Haaye Haaye SHAAM -4
Haye Haye Shaam Haye Haye Shaam
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Abb Wo Sajjad Na Raha Sajjad
Jis Ghadi Bey Rida Hui Zainab - 2
Karbala Mein Hi Mar Gaya Sajjad
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Ab Wo Sajjad Na Raha Sajjad
1. Kya Hai Parda Yeh Sham Walon Ko
Teri Dadi Ny Hi Sikhaya Hai
Un Hi Logon Ny Meri Phuphion Ko
Bey Rida Shaam Mein Phiraya Hai
Kya Ghazab Hai Keh Hath Phaila Kar
Mangta Hai Bas Ek Rida Sajjad
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Ab Wo Sajjad Na Raha Sajjad
2. Jis Ny Baghair Mehmil Ky
Ghar Sy Bahir Qadam Na Rakha Tha
Us Phuphi Ko Zamanay Walon Ny
Aap Ky Baad Bey Rida Dekha
Kash Abbas Aaj Hoty To
Yeh Qayamat Na Dekhta Sajjad
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Ab Wo Sajjad Na Raha Sajjad
3. Sar Py Jab Tak Tha Aap Ka Saya
Maaon Behnon Ky Sar Py Thi Chadar
Warna Main Bhi Ali Ka Beta Hun
Janta Hun Main Jang Ky Johar
Dekh Kar Bey Rida Phuphi Ka Sar
Sharm Ky Mary Jhuk Gaya Sajjad
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Ab Wo Sajjad Na Raha Sajjad
4. Nanhy Bachon Ky Hath Mein Pathar
Dy Ky Mara Gaya Sakina Ko
Pusht E Naqa Sy Bhi Giraya Aur
Taziyaney Lagy Yateema Ko
Main Bandhy Hath Dekh Kar Roya
Us Ny Har Dard Par Kaha Sajjad
5. Badr O Khaibar Ki Jo Adaawat Thi
Us Ka Yun Inteqam Lety Hain
Shaam Ky Log Bheerh Mein Har Dam
Meri Phuphion Ka Naam Lety Hain
Taziyaney To Seh Gaya Baba
Tanz Lekin Na Seh Saka Sajjad
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Ab Wo Sajjad Na Raha Sajjad
6. Is Tarha Sy Bandhy Hain Rassi Sy
Hath Mery Galy Yateemon Ky
Na Jhukun To Zameen Sy Baba
Paon Uthty Hain Nanhy Bachon Ky
Bas Rukooh Mein Hi Shukr Ky Sajdy
Kar Ky Guzry Ga Ab Tera Sajjad
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Ab Wo Sajjad Na Raha Sajjad
7. Jis Behan Ny Hamesha Jeenay Ki
Haye Abbas Ko Duayen Diin
Bey Rida Sar Py Rakh Ky Hathon Ko
Us Ny Abbas Ko Sadayen Diin
Sar Sinaan Sy Wahan Gira Un Ka
Aur Yahan Khak Par Gira Sajjad
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Ab Wo Sajjad Na Raha Sajjad
8. Apny Mola Ky Aik Ansoo Ka
Haq Ada Na Sahaab Kar Paya
Girty Ashkon Ki Roshnai Sy
Dill Ky Qirtaas Par Yehi Likha
Kitna Gehra Tha Gham Ridaon Ka
Ya Khuda Janta Hai Ya Sajjad
Nok E Naiza Sy Dekh Lo Baba
Ab Wo Sajjad Na Raha Sajjad
Us waqt jab ke zainab, darbar mein gayi thi
qaari namaziyo se mehfil saji hui thi
zalim ye puchta tha, ghazi tera kaha'n hai
baalo se mu chupaye zainab ye keh rahi thi
aye mere baba jaan
ho rahi hai azaan, sar chupaun kaha'n?
Majma e aam mein, be watan be amaan, agaya karwaan
Aye meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kaha'n?
1. Mein bhi hoon marziya, Bint e Khayrun Nisa,
Mere lehjay mein hai, baba teri adaa.
Naam Zainab mera - baba jaa'n
tune jo rakh diya - baba jaa'n
day di apni zubaan
Aye meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kaha'n?
2. Baba jaan mein rida maangti reh gayi,
Bamo dar saj gaye, jite ji margayi,
Halqa e Shaam mein - baba jaa'n
naam sunkar mera - baba jaa'n
margaya naatawan
Aye meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kaha'n?
3. Ruk na paya mere bawafa ka wo sar
noke naiza se aane laga khaak par
behen ko dar ba dar - baba jaa'n
dekh ke nange sar - baba jaa'n
seh na paaya jawa'n - baba jaa'n
Aye meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kaha'n?
4. Kal thi maa aaj mai bhi hu darbaar mein
misl e zahra khadi hu mai aghyaar mein
us taraf hai shaqi - baba jaa'n
is taraf reh gayi - baba jaa'n
be padar betiya'n
Aye meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kaha'n?
5. Shaam e ashoor se, shaam o kufa talak
Maine manga nahin hai khiraj e fadak
Meri chadar say hai - baba jaa'n
meri maan ka sukoo'n - baba jaa'n
sunle zalim jahaan
6. Haath kanoon pe hai, neel gaalo'n pe hai
Aur nisha'n jo Sakina ki shaano pe hai
Har nisha'n se yehi - baba jaa'n
aa rahi hai sada - baba jaa'n
baba jaan baba jaan
Aye meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kaha'n?
7. Aisa khutba diya maine darbar mein
Likh raha hai jo Yawar tere pyaar mein
Lehjaye hayderi - baba jaa'n
har azaan ke liye - baba jaa'n
hai sadaa e azan
Allahu akbar, Allahu akba
Haye Zahra Haye Zahra
Haye Zahra Haye Zahra
Subbat Alaiya Masayebun Lao Anna Ha
Subbat Alal Aiyaami Sirna La Ya La Ya
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Koi Aaya Nahi Bhujany Ko - 2
Jalta Dar Dekhti Rahi Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Jany Kis Tarah Maara Zalim Ny - 2
Munh Ky Ball Khak Par Giri Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Tery Rukh Par Nishan Tamache Ka - 2
Kaash Zainab Na Dekhti Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Karbala Shaam Samarra Mashad - 2
Kitny Hisson Mein Bat Gai Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Aag Sy Jin Ky Jal Gaye Daaman - 2
Ek Sakina Hai Doosri Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Hai Tasawwur Mein Ghurbat E Haider - 2
Haye Zahra Haye Zahra
Saans Leti Hai Akhri Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Munh Ky Ball Gir Parhy Ali Sun Kar - 2
Ab Jahan Mein Nahi Rahi Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Haye Rakh Ky Maiyat Lahad Mein Boly Ali - 2
Ab Woh Zahra Nahi Rahi Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Ay Takallum Hai Jany Qabr Kahan - 2
Itni Bey Kas Hai Aj Bhi Zahra - 2
Apny Baba Ki Laadli Zahra
Choor Zakhmon Sy Ho Gai Zahra
Ya hussain, maula hussain..(2)
Ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain..(2)
Ya hussain, haye hussain
Ya hussain, haye hussain
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(3)
shaam tak jayegi..(2)
zainab ki rida naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
1. Raah mein pucha sakina ne jo baba hai kaha'n..(2)
khoon rote hue..(2)
aabid ne kaha naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
Haye asghar, haye haye asghar
2. Qabr jis chand ki chup chup ke banate the hussain..(2)
raat hote hi wohi..(2)
chand chadha naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
3. Shiddat e pyaas hai, tanha hai ghareeb e zahra..(2)
aag ugalta hua..(2)
suraj hai sawaa naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
4. Khoon aabid ki tarha rote the mazloom hussain..(2)
chhu ke chadar ko jo..(2)
aati hai hawa naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
5. Haye,
Maine parde mein ise paala hai boli zainab..(2)
sar mujhe shimr na..(2)
akbar ka dikha naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
Haye sakina, haye haye sakina
6. Shaam tak bali sakina ne tamache khaye..(2)
shaam tak rote rahe..(2)
shah e huda naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
Wa hijaba, Wa hijaba
7. Baad mein majlis e shabbir hui zindaa'n mein..(2)
pehle majlis hui..(2)
chadar ki bapa naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
8. Sirf aur sirf hussain ibn e ali jaante hai..(2)
Kaise hoti hai asad..(2)
hamd e khuda naize par
hamd e khuda naize par
Kis tarha thehre sare shah e wafa naize par..(2)
Haye mazloom sakina
Haye mazloom hussain
Haye baba mazloom baba
haye mera mazloom baba
Haye baba, Haye baba
Haye,
Rula rula ke tujhe qatl kar diya baba..(4)
Teri sakina ko yeh..(2)
dard kha gaya baba
Rula rula ke tujhe qatl kar diya baba..(2)
1. Tumhari beti ko aata nahi kuch aur nazar
mere nigaah mein phirta hai ab yehi manzar
tumhari zulfo mein zalim ka haath tha baba
2. Mai kis tarha se batau wo waqt kaisa tha
sitam ye baap pe, beti pe ek jaisa tha
teri tarha se tamacha mujhe laga baba
3. Jise pahen ke kaha tha yeh aapne mujhse
sakina ye meri maa ne siya tha mere liye
tere badan pe woh kurta nahi mila baba
4. Akeli mai nahi, dadi bhi saath hai mere
yeh zakhmi teri mohabbat mein haath hai mere
mai rokti rahi khanjar nahi ruka baba
5. Jagah nasheb mein dedo meri yateemi ko
chhupalo dher mein in pattharo ke beti ko
sakina bhool gayi ghar ka raasta baba
6. Meri ghareebi pe karta nahi koi nazar
tumhe to maara hai baba rula rula ke magar
mujhe to rone pe bhi haye,
mujhe to rone pe bhi milti hai sazaa baba
7. Hai qatl gaah sakina ki shaam tak ka safar
tumhe lagega chalaya hai shimr ne khanjar
gale pe dekho nishan e rasan zara baba
8. Kamar jhuki hui aankho mein kam basarat thi
jawa'n ke laashe pe jaisi tumhari halat thi
tumhare laashe pe wo mera haal tha baba
9. Wo qabr mein to takallum hai ek zamane se
magar sadaein ye aati hai qaid khane se
mera rasan mein gala hai bandha hua baba
Rula rula ke tujhe qatl kar diya baba
Haye baba mazloom baba
Haye baba mazloom baba
Haye baba, Haye baba
Hussain Hussain Hussain
Hussain....
Salam ho aap par aye Adam ke waris
Salam ho aap par aye Nuh o Ibrahim o Musa o Isa ke waris
Salam ho aap par aye Mohammad o Ali o Zahra salamullah alaiha ke waris
Salam aye ghareeb e Zahra, Salam
Hussain..
1. Mere hussain teri pyaas ko salam mera
ke teri pyaas se sairaab hai ye deen e khuda..(2)
gawahi deta hai ka'ba, azaan aur sajda
hussain waris e Adam hai waris e Isa
Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2)
ter roze pe tujhe karta hai salam
Salam, Salam
Salam aye ghareeb e Zahra
2. Hussain qaid nahi hai hussain sabka hai
hussain aalame insaniyat ka wirsa hai
ajab ameer hai jannat ko chhod kar apni
hussain aaj bhi toote dilo mein rehta hai
Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2)
ter roze pe tujhe karta hai salam
Salam, Salam
Salam aye ghareeb e Zahra
3. Hussain dard mein jeena sikha diya tune
Hussain pyaas ko paani bana diya tune..(2)
ghareeb bhi jaha'n jakar ameer lagta hai
Hussain sheher hi aisa basa diya tune..(2)
Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2)
ter roze pe tujhe karta hai salam
Salam, Salam
Salam aye ghareeb e Zahra
4. Ajeeb shaan se wa'da nibhaya nana ka
khuda ki raah mein tune luta diya kunba
jawan bete ke laashe pe shukr ka sajda
koi rasool bhi hota hawaas kho deta
Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2)
ter roze pe tujhe karta hai salam
Salam, Salam
Salam aye ghareeb e Zahra
Mere ghareeb hussain, mere shaheed hussain..(2)
Assalamu alaika ya qateel al abaraat
5. Ba waqt e asr gire shaah jalti reti par
kahi se lagta tha naiza kahi se teer o tabar
khuda kisi ko qayamat na ye dikhaye kabhi
bahan ke saamne bhai pe chal gaya khanjar
Assalamu alaika ya qateel al abaraat
Salam, Salam
Salam aye ghareeb e Zahra
6. Dhala jo asr ka suraj ajeeb shaam hui
padar ke laasha e be sar pe aayi ek bacchi
hata ke laash se patthar kaha ye rote hue
utho utho,
utho utho mere baba ujad gayi beti..(2)
Salam, Salam
Salam aye ghareeb e Zahra
7. Usi nasheb se naize pe aa rahe hai hussain
Sina ki nok se qur'aan suna rahe hai hussain
ye baat sach hai takallum khuda ki marzi se
khuda ki saari khudayi chala rahe hai hussain
Kya nabi aur wali khud Mohammad sa nabi..(2)
ter roze pe tujhe karta hai salam
Salam, Salam
Salam aye ghareeb e Zahra
Hayya alal azaa
Hayya alal buka
Hayya alal azaa
Hayya alal buka
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi..(2)
Sar jhuka kar baith jo..(2)
majlis mein ro sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
1. Haq e girya hum azadaro se hoga kya adaa..(2)
Haq e girya hum azadaro se hoga kya adaa
Abr ka tukda samandar ko bhigo sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
2. Munkir e matam ke maathe par hai wo daaghe siyaah..(2)
Munkir e matam ke maathe par hai wo daaghe siyaah
Aab e zam zam se wuzu bhi jisko dho sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
3. Aatish e dozakh bujha deta hai jab ashk e azaa..(2)
Aatish e dozakh bujha deta hai jab ashk e azaa
Kya ye aasu zulm ki duniya dubo sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
4. Karwatein jalti zamee'n par sheh ki jisko yaad hai..(2)
Karwatein jalti zamee'n par sheh ki jisko yaad hai
roz e ashura to wo bistar pe so sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
5. Shaah kehte the ye duniya bhi hai ibrat ki jagah..(2)
Shaah kehte the ye duniya bhi hai ibrat ki jagah
mar gaya beta jawa'n aur baap ro sakta nahi
Zabt e girya matam e sarwar mein ho sakta nahi
Hussain ya hussain maula hussain hussain..(2)
6. Nazm hai ye yaa dure shehwar ki ladiya anees..(2)
Nazm hai ye yaa dure shehwar ki ladiya anees
Johari bhi is tarha moti piro sakta hai

No comments:
Post a Comment