Fatima sa
Fatima sa
Fatima sa Hay Fatima sa
Fatima sa Hay Fatima sa
Koi Maaney Ya Naa Maaney
Fatima sa Hay Fatima sa
Jis Kay Laiq Mustafa saww Hain, (x2)
Wo Ata'a Hay Fatima sa
1.Do (2) Mohammad Paal Kar Tuney Diye Islam Ko (x2)
Baap Nay Youn Tujh Ko Apni, Maa'n Kaha Hay Fatima sa
2.Khud Ko Wo Hasnain Ka Darzi Kahega Umr Bhar (x2)
Aap Ney Rizwan Ko Darzi, Keh Diya Hay Fatima sa
3.Apni Dhaari Say Safai Tere Dar Ki Raat Bhar (x2)
Kon Hay Jo Youn Tahajjud, Parh Raha Hay Fatima sa
4.Jor Kar Hathon Kay Apney Hur Nay Yeh Awaz Di (x2)
Aap Kay Hathon May Mera, Faisla Hay Fatima sa
5.Mukhtasar Khairunisa Ka Bas Yahi Mafhoom Hay (x2)
Aalam E Niswa'n Ki Khatir, Mustafa Hay Fatima sa
6.Sehan E Qaba Tak Bhi Janey Ki Na Zehmat Di Gai (x2)
Tujhko Har Beta Musaleh, Par Mila Hay Fatima sa
7.Mehdi E Dora'n Takallum Hay Jahan Per Aaj Bhi (x2)
Parda E Ghaibat Nahi, Teri Ridaa Hay Fatima sa
Dost'on Yeh Saath (7) Hijri Ki Baat Hay
Jab Musalmano Ki Izzat Untalees (39) Din Say Khayber May Daoun Per Lagi Hui Thi
Aakhir Ash Dasht E Risalat Dua Kay Liye Buland Howey
Aur Lab E Risalat Per Wahi E Nayiq Kuch Unh Machalne Lagi
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
Ali Ya Ali,
1.Pehra Ilaahiyyat Pe Naad E Ali Ka Hai
Ek Khauf Mushkilaat Pe Naad E Ali Ka Hai
Saaya Ajaa’ibbat Per Naad E Ali Ka Hai
Ahsaan Kaainaat Per Naad E Ali Ka Hai
Hai Vird Dhadkano Ka Yahi Hai Ali Madad
Naad E Ali Simat Ker Bani Ya Ali Madad
2.Adam Say Kar Raha Hai Safar Ya Ali Madad
Hai Murtaza Kay Zayr E Asar Ya Ali Madad
Taweez Hai Pahenlo Agar Ya Ali Madad
Karta Hai Mushkilaat Ko Sar Ya Ali Madad
Mahshar May Jab Namaz Bhee Daman Churdaigi
Bus Ya Ali Madad Ki Sada Kaam Aaigi
4.Hai Saamnay Ki Baat Na Samja Ye Admi
Allah Ab Na Jism Tho Rakta Nahi Koi
Zaat E Khuda Nay Isliye Khud Ko Rakha Khafi
Dast E Khuda Ali Hai Lisan E Khuda Ali
Khud Azamaa Ke Deykho Nazar Aaingey Ali
Allah Madad Kaho Ge Magar Aaingey Ali
5.Jo Faqr E Mustafa Hai Madad Ussay Maangiye
Jo Naasir E Khuda Hai Madad Ussay Maangiye
Jo Deen Ka Asraa Hai Madad Ussay Maangiye
Jo Zinda Maujaza Hai Madad Ussay Maangiye
Jo Khud Hee Mar Chukay Hai Wo Kaisay Bachaingey
Tum Hashr Tak Bulaatay Rahogey Na Aaingey
Dam Dam Ali Ali Ki Aati Hai Jo Sada
Dil Kah Raha Hai Cherd Dun Khaibar Ka Waqiya
7.Khaibar Mey Guunj Ti Hai Ye Salman Ki Pukaar
Lo Aagai Hai Haider E Karrar Hooshiyaar
Khush Aaj Mustafa Kay Sahabi Hai Beshumaar
Chuptee Hai Maut Run May Nikalti Hai Zulfiqar
Maidaan E Kaar E Zaar Mey Haider Utar Gaye
Jibreel Parr Samaitlo Warna Ye Parr Gaye
8.Sarr Sarr Chali Jo Tegh Tho Marhab Ka Sar Gaya
Marhab Gaya Tho Dil Say Sahaba Kay Darr Gaya
Do Ungliyon Say Uttah Sarro Say Guzar Gaya
Abtak Nahi Pata Dar E Khaibar Kidar Gaya
Aati Shikanj O Ghayz May Unki Jabeen Par
Phir Dar Tho Kiya Qila Bhee Na Milta Zameen Par
9.Palta Alam Jo Mir Takallum Wo Gaard Kay
Rak Dee Ali Nay Kufr Ki Basti Ujaad Kay
Kehnay Laga Ye Dast E Khuda Haat Jhaard Kay
Lo Aagai Hai Hum Dar E Khaibar Ukahaad Kay
Jitnee Bhee Aaj Jisko Zaroorat Hai Loot Lo
Talwaaray Chordo Maal E Ghanimat Hai Lootlo
Ya sarih ar-riza
Ya man ismahu dawa
Wa zikrahu shifa
Ya sarih ar-riza
Mawla Raza, mawla Raza
Saaray aalam ka masiha hai tera Sahn e shifa
Aye ghareeb ul ghuraba
Saani e khaak e shifa, Hai ye shifa khana tera
1.La dawa saarey mareezon nay hai sehat paaii
Teray khadmon ki badawlat ye sa’adat paaii
Yaha paani bhee nazar aata hai zamzam jaisa
2.Arsh waalo say mulaqaat yaha hoothi hai
Zindagi aakay yaahi par tho jawaa hooti hai
Tere is sahan may sehmee huwi rahti hai khaza
3.Apnay gham kay siwa har gham say churda do bhai
Apnay bemaar mohibbon ko shifa do bhai
Tum nay aamin kaha dee jo kareema nay dua
4.Sa’ee mey jab teray gumbbat kay kabih aata hun
Aasmon say kaheen aagay nikal jaata hun
Itni nazdeek say sooraj ko yaheen par deykah
Ya sarih ar-Reza,
Allahu Akbar
5.Fajr ka waqt tha jab mujko ye ahsaas huwa
Ek hee raag tha ek hee surr tha mawla
Dil ki dhadkan say mili jab teray nawbat ki sada
6.Phir say ashoor ki tadbiir bana day mawla
Rowza e hazrat e shabeer dikha day mawla
Jaanib e karbobala khulta hai darwaza tera
Mawla raza mawla raza
Aye Reza jaan, Aye Reza jaan
Dilum meekhaad
Mera Dil chahta hay
Her chi daaraam
Meray paas Jo kuch hay
Nazr e imam Raza a.s kunam
Imam Raza a.s per Qurban Kardun
7.Mera kuch bhee nahi sab tayri ataa hai Sarkar
Teray baytay teri beti teray ghar par nisaar
Mera beta mayri beti bera ghar baar raza
8.Haq takallum wo Wilayat ka adaa kartein hai
Majlis e Fatima jo qom may bapa kartein hai
Ye karam aap ka hai aur kareema ki dua
Saaray aalam ka masiha hai tera Sahn e shifa
Aye ghareeb ul ghuraba
Mawla raza mawla raza
Aye Reza jaan, Aye Reza jaan...
Koi To Hay Jo, Nizam E Hasti Chala Raha Hay,
Wohi Khuda Hay
Allah Humma Swalley Ala Mohammd Din Wa Aalay Mohammad
Durood Aalay, Nabi Pey Har Dam Jo Bhejta Hay,
Wohi Khuda Hay
Jo Ho Key Ma'bud, Inki Midhat
Sikha Raha Hay, Wohi Khuda Hay
1.Naa Hum Ney Dekha, Naa Hum Ney Socha, Kisey Khabar Thi, Key Wo Hay Kesa.?
Humarey Sadiq Nabi Nay Jis Ko Khuda Kaha Hay, Wohi Khuda Hay
2.Yahi Mashi'at Hay Mere Rab Ki, Chalaygi Beyton Say Nasl Sab Ki
Nabi Ka Shajrah Jo Fatima Say Chala Raha Hay, Wohi Khuda Hay
3.Nabi Ka Sajda, Taweel Kardey, Kabhi Libaas E Jinnah Wo Bhejey
Jo Naaz Zehra Kay Laadlon Key Utha Raha Hay, Wohi Khuda Hay
4.Buzurg Hota Hay Ghar Ka Jo Bhi, Wohi To Karta Hay Faisley Bhi
Wo Jis Ney Rishta Ali O Zehra Ka Tey Kiya Hay, Wohi Khuda Hay
5.Wo Kaam Ata Hay Her Kisi Key, Takallum Is Ki Daleel Yeh Hay
Usi Ney Pardey May Apna Qaim, Chupa Rakha Hay Wohi Khuda Hay
Allah Hu
Allah Hu
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Dour Say Kab Tak Main Dekhun Khana E Kabaa
Ab Nahi Mujh Sey Raha Jata Mere Maula
Raat Din Aankhon May Bas Yeh Khuwab Rehta Hay
Lab Pey Allah Humma Labbaik Ka Nara'a
Labbayka -Allāhummalabbayka, labbaykalā šharīka laka labbayka,
ʾinna al-ḥamda wa an-niʿmata lakawa al-mulk lāšharīkalak
Labbayka -Allāhummalabbayka,
1.Baandh Ker Miqaat Say Ehraam Aounga
Khana E Qaba Kay Phir Chakker Lagaonga
Hajr E Aswad Choom Lunga Apni Nazron Say
Hajj Pey Yeh Armaan Sarey Lay Key Jaonga
Surah E Hajj Parh Liya Qura'an May Maula
Hay Safa Marwa Mere Osaan May Maula
Jism To Mera Yahan Per Reh Gaya Lekin
Roh Hay Arfaat Kay Maidaan May Maula
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
2.Aey Khuda Aashiq Hun Main Ruqan E Yamani Ka
Aab E Kusar Ki Tarhan Zamzam Ka Hun Piyasa
Ayaten Meccay May Hai Pehli Hui Teri
Dil Minaa Per Hay Mera Qurban Aey Maula
Aankh Say Mahool Jannat Ka Nahi Dekha
Ager Tere Mehboob Ka Jalwa Nahi Dekha
Sari Duniya Dekh Ker Bhi Aesa Lagta Hay
Kuch Nahi Dekha Ager Kaba Nahi Dekha
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
3.O' Apney Bandon Say Ager Naraaz Hay Maalik
Panjetan As Ka Wasta Raazi Ho Aey Maalik
Tou Ager Chahey To Ho Asaan Her Mushkil
Raastey Hum Per Safar Key Khool Dey Maalik
Labbaik Allah Humma Labbaik
Labbaik Allah Humma Labbaik
4.Hay Takallum Muslimu Ko Dars Yeh Hajj Ka
Sab Ka Andaz E Ebadat Aik Hi Jesa
Muttahid Ho Jao Ab To Aey Musalmano
Masjid Sab Ki Alag Hay Aik Hay Kabaa
Aik Hay Kabaa, Aik Hay Kabaa
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Allah Hu
Allah Hu
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Dour Say Kab Tak Main Dekhun Khana E Kabaa
Ab Nahi Mujh Sey Raha Jata Mere Maula
Raat Din Aankhon May Bas Yeh Khuwab Rehta Hay
Lab Pey Allah Humma Labbaik Ka Nara'a
Labbayka -Allāhummalabbayka, labbaykalā šharīka laka labbayka,
ʾinna al-ḥamda wa an-niʿmata lakawa al-mulk lāšharīkalak
Labbayka -Allāhummalabbayka,
1.Baandh Ker Miqaat Say Ehraam Aounga
Khana E Qaba Kay Phir Chakker Lagaonga
Hajr E Aswad Choom Lunga Apni Nazron Say
Hajj Pey Yeh Armaan Sarey Lay Key Jaonga
Surah E Hajj Parh Liya Qura'an May Maula
Hay Safa Marwa Mere Osaan May Maula
Jism To Mera Yahan Per Reh Gaya Lekin
Roh Hay Arfaat Kay Maidaan May Maula
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
2.Aey Khuda Aashiq Hun Main Ruqan E Yamani Ka
Aab E Kusar Ki Tarhan Zamzam Ka Hun Piyasa
Ayaten Meccay May Hai Pehli Hui Teri
Dil Minaa Per Hay Mera Qurban Aey Maula
Aankh Say Mahool Jannat Ka Nahi Dekha
Ager Tere Mehboob Ka Jalwa Nahi Dekha
Sari Duniya Dekh Ker Bhi Aesa Lagta Hay
Kuch Nahi Dekha Ager Kaba Nahi Dekha
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
3.O' Apney Bandon Say Ager Naraaz Hay Maalik
Panjetan As Ka Wasta Raazi Ho Aey Maalik
Tou Ager Chahey To Ho Asaan Her Mushkil
Raastey Hum Per Safar Key Khool Dey Maalik
Labbaik Allah Humma Labbaik
Labbaik Allah Humma Labbaik
4.Hay Takallum Muslimu Ko Dars Yeh Hajj Ka
Sab Ka Andaz E Ebadat Aik Hi Jesa
Muttahid Ho Jao Ab To Aey Musalmano
Masjid Sab Ki Alag Hay Aik Hay Kabaa
Aik Hay Kabaa, Aik Hay Kabaa
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
No comments:
Post a Comment