Wednesday, 19 February 2025

Shadman Raza (2020)

Hussain ya hussain..(3)
Karbala, karbala..(8)
Hum aa rahe hai..(3).. Karbala
Hum aa rahe hai..(3).. Karbala

Maula labbaik.. Aaqa labbaik
Maula labbaik.. Aaqa labbaik

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye
mashq e nusrat ke liye hai sar zameen e karbala 
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

1. Aurte, bache hai budhe aur jawa'n bhi saath hai
kudsiyo jinn o malak kaun o makaa'n bhi saath hai
za'ere karbobala, Mahdi e jaa'n bhi saath hai
Hussain ya hussain..(2)
badh rahe hai shauq se sab shayeqeen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

2. Roza e Haider se hoti hai wafa ki ibteda
mojiza jisko hai samjha ye hai zahra ki dua
hai karodo ka juloos aur saath hai farsh e azaa
Hussain ya hussain..(2)
ab najaf tak bich gayi hai sar zameen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

3. Is ziyarat ke safar mein sahib e kirdaar hai
parcham e abbas hatho mein hai sab bedaar hai
aye Imam e asr nusrat ke liye tayyar hai
hussain ya hussain
muntaqim ke muntazir hai momineen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

4. Lashkar e Mahdi karo wo dabdaba ye manzilat
ye najaf se karbala tak ka safar hai ma'refat
marg bar taghoot hai ye marg bar sufiyaniyat
Hussain ya hussain
nusrat e Mahdi karo zere nageen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

5. Khana e kaaba ki deewaro se uttha shoro shayn
aasma'n ko dekhta hai Fatima ka noor e ayn
hajj ko umre mein badal kar chal diye maula hussain
Hussain ya hussain..(2)
aazmeen e hajj hue hai aazmeen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

6. Parda e ghaibat uthega mere maula aayenge
gar bulaya aapne paidal bhi chal kar jayenge
saath mein maa baap bache aur bhai layenge
Hussain ya hussain..(2)
kar qubool in zehmato'n ko aye makeen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

7. Ek majlis hogi rozo par pohoch kar aur bayn
ek taraf abbas honge ek taraf maula hussain
kaisa girya hoga kya zakir ki hogi zebo zayn
Hussain ya hussain..
ek jagah hoge bahattar sama'een e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

8. Chauda farsakh tak hume khana khilata kaun hai
za'er e shabbir ko paani pilata kaun hai
saaf jute karke ye aasu bahata kaun hai
Hussain ya hussain..(2)
Allah, Allah dekho shaan e zaereen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

9. Ho sharaf hasil ziyarat ka qamar maango dua
shadma'n har ek qadam par bus yehi hai sochta
roza e abbas dekhunga to halat hogi kya
Hussain ya hussain..(2)
saamne jab aayegi mere zameen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

Akbar, akbar haye akbar..(2)
Akbar mera sehreya wala akbar..(2)
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)
kaha'n teri mayyat uthane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

1. Wo galiya'n jaha'n tera bachpan hai guzra
jaha'n dekhte hai sabhi tera rasta
wahi lautke ab to jaane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

2. Hai baithi hui dar pe beemar sughra
tujhe lene aaunga tha jisse waada
behen ko watan se bulane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

Kaha'n teri mayyat uthane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

3. Tujhe naaz se aise paala phupi ne
duaein tujhe di hai khud zindagi ne
nigaho'n mein tujhko basane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

4. Shahe dee'n ye laashe pe kehte hai rokar
sukoo kaise paaye bhala qalb e muztar
sahara tera ab to paane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

Kaha'n teri mayyat uthane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

5. Har ek subha madar ne jab tujhko dekha
utari nazar tera sadqa utara
aye beta ye mannat badhane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

6. Tadapte hue keh rahi hai ye madar
mere naujawa'n aye mere laal akbar
kaleje se tujhko lagane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

7. Tha 'izhar' aur shadma'n ghum ka manzar
lipat kar jo laashe se kehti thi madar
ye naushaah tujhko banane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)

Kaha'n teri mayyat uthane ke din the
Aye akbar ye sehra sajane ke din the..(2)
Akbar mera sehreya wala akbar..(2)

Abbas, mere bhai..(2)
Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

Qadam, qadam pe rahe saath umr bharr abbas
Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

1. Ye jante ho sakina ka haal kya hoga..(2)
palat ke aaye na darya se tum agar abbas

Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

2. Koi hai nauha kuna aur koi tadapta hai..(2)
bana hai dard ki tasweer ghar ka ghar abbas

Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

3. Na jaane kya hua sakit hai bolti hi nahi..(2)
palat ke dekhlo zainab ko ek nazar abbas

Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

4. Khabar na hogi tumhe tum to so rahe honge..(2)
jab hogi zainab e dilgeer darbadar abbas

Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

5. Gaye jo tum sue maqtal zubaa'n se kuch na kaha..(2)
khade na reh sake sibt e nabi magar abbas

Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

6. Raha na ek bhi suraj hussain ke ghar mein..(2)
na hogi shaam e ghareeba ki ab sahar abbas

Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

7. Tumhare baad jo hona tha wo hua akhir..(2)
hussain mar gaye zainab hai nange sar abbas

Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)

8. Wafa sheyaaro mein hashim ka naam aajaye..(2)
bus ek nazr e karam mujhpe ho agar abbas

Chale ho kis pe shahe dee'n ko chod kar abbas..(2)
Qadam, qadam pe rahe saath umr bharr abbas

Zahra.. Fatima Zahra..(2)
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Mai Zehra hu mujhe pehchano..(2)
ye kehti hai wo ro rokar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

1. Rasan basta gulu e haider e safdar kabhi dekha
kabhi dekha hai darr jalta..(2)
shikasta pasliyo ko thaam kar,
kehti hai ghut ghut kar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

2. Wo bacche chote chote sehem kar madar se lipte hai
bohot betaab hote hai..(2)
wo bachho ko sambhale ya rakhe
marham wo zakhmo par
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

3. Sar e darbaar aayi qadmo pe chalti hui Zahra
magar jab de chuki khudba..(2)
sahar leke fizza ka gayi baba ki turbat par
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

4. Masaeb mujhpe jo toote dino par wo agar padte
to din raato mein dhal jaate..(2)
mujhe tum paas bulwa lo
yehi kehti hai ro rokar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

5. Shikasta pasliyo'n ke zakhm mein wo dard badhta tha
magar poshida hi rakha..(2)
namaze padh rahi thi rakh ke
daaya haath pehlu par
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

6. Falak bhi keh raha tha ye aziyat dene walo se
ye kalma padhne walo se..(2)
jise jhutla rahe ho tum
wohi hai juzwe paighambar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

7. Shab e rukhsat hai waqt e akhri hai dum ukhadta hai
ke sab kunba bichadta hai..(2)
utha tareeki e shab mein
janaza haye ye kehkar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

8. Hai bibi ki azaa ke din mein hu qalbe tapa majid
ho kaise shadmaa'n majid..(2)
bus ek nauha ho lab par
haye Zahra bint e paighambar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra
Zahra.. Fatima Zahra

Haye sakina, haye sakina..(2)
Yateem bacchi hai, dard o alam ki maari hai
koi ghareeb nahi hai, ye shahzadi hai
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(3)

Yateemi ki ghadi hai, bohot sehmi hui hai
sitam itna na dhao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)

1. Abhi maara gaya hai iska baba
arey is waqt do isko dilasa
tamache mat lagao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)

2. Bohot pyaasi bohot pyaasi hai haye
kahi'n ye tashna lab hi mar na jaye
ise paani pilao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)

3. Ye saydani hai ye aala nasab hai
arey ye dukhtar e shahe arab hai
qareeb iske na jao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)

4. Khadi hai itni laasho mein ye tanha
andhera aur balaa ka hai andhera
zara himmat badhao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)

5. Is aalam mein na jee payegi haaye
bina baba ke mar jayegi haaye
koi sheh ko bulao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)

6. Na ab baba hai na iska chacha hai
lagi hai aag daaman jal raha hai
koi aakar bachao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)

7. Bade naazo'n mein ye bacchi pali hai
bohot kamsin hai ye ghabra gayi hai
zara sa rehem khao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)

8. Sada ek laash se gauhar ye aayi
na tum ghabrao aye baba ki pyari
humare paas aao
sakina par khudara, sitam itna na dhao..(2)
Haye sakina.. haye sakina..(2)

Ya Ali Maula, Haider Maula..(3)
Shahe Mardaa'n..(3)
Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

1. Kis tarha chalti thi ran mein tegh e shere kirdigaar
ashqiya'n mein har taraf se al amaa'n ki thi pukaar
kar chuka jab zer marhab ko shahe dul dul sawaar..(2)
aa rahi thi ye sadaa deewar o darr se baar baar

Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

2. Jis tarha koi khuda e paak se bartar nahi
jis tarha koi rasulallah ka humsar nahi
ek hai duniya mein haider, dusra haider nahi..(2)
misle haider ye kisi ki tegh mein jauhar nahi

Ek taraf saari ibadat, ek taraf haider ka waar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

3. Yaad karlo door kyu jaate ho kal ki baat hai
jung ke maida'n mein kaam aaya wo kiski zaat hai
mehwe hairat muttasil lashkar se kayenaat hai..(2)
fatho nusrat aaj bhi naam e ali ke saath hai

Goonjta hai, haideri naaro se dashte kaargaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

4. Kaam aaya phir wohi jab sakht aaya imtehaa'n
naam se jiske larazte hai zameen o aasmaa'n
laakh jalta ho Ali ke karnamo se jaha'n
sab se afzal aaj hai duniya mein haider ka nishaa'n

Aaj bhi sajti hai seeno par yehi yaadgaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

5. Juz ali tha kaun haq ke waste seena sipar
kaun uth-ta tha rasulallah ki awaaz par
kisne qurbaa'n kar diya rahe khuda mein apna ghar..(2)
is haqeeqat se bhala hum kis tarha phere nazar

Hai isi aawaaz par, takbeer ka daro madaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

6. Kehte the aun o mohammad madar e ghumkhwaar se
is tarha jung mein ladenge lashkar e kuffar se
sab hume tashbeeh denge jafar e tayyar se..(2)
bach pe jaa payega koi kya hamare waar se

Khaich denge tegh se hum badr ke naksh o nigaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

7. Kya koi rokega humko matam e shabbir se
baandh de koi hume gar aahni zanjeer se
muttasil ho jaye gardan bhi agar shamsheer se..(2)
kyu na ho mehshar aqeedat shah e khaiber geer se

Ya ali keh denge jab lag jayegi khanjar ki dhaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

Assalam o alaiki ya
sayyeda, tahira, raziya, marziya, fatima

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

Duniya tumhari khaak e paa
ya marziya, ya fatima..

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

1. Chakki chalayi deher ki
fuqra ko nano zarr diya
khud faqa kash reh reh ke bhi
saael ke kaase bhar diya
jo kuch bhi tha chup chap wo..(2)
raahe khuda mein de diya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

2. Tazeem yu baba ne ki
umme abeeha ban gayi
is waaste ashraaf mein
tazeem tere ghar ki thi
darr par tere utre malak..(2)
khud chalke taara aagaya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

3. Tum malik e lau laak ho
aur sahib e aflaak ho
tum tahira, tum marziya
tum rijz se bhi paak ho
bus ek teri dehleez par..(2)
sajde kare sab ambiya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

4. Jannat ke jo sardaar hai
wo aap ke hubdaar hai
jinka zamana muntazir
wo aapke ghumkhwaar hai
shehzadi e kaunain ki..(2)
tauseef kaise ho bhala

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

5. Ghum tujhpe hai itne pade
umme masaeb hogayi
baba ka ghum Mohsin ka ghum
dil mein liye hi mar gayi
teri shahadat ka sabab..(2)
darbaar jana hogaya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

6. Baad e Mohammad aap par
toote masaeb kis qadar
pehlu shikasta kar gaye
jo aag laaye tere ghar
ummat ne baba ko tere..(2)
ajr e risalat yu diya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

7. Subbat alaiyya baba jaa'n
kehti rahi jab fatima
likhu bhala mai shadmaa'n
kis tarha se ye marsiya..(2)
jo zulm baqer ho gaya

Ya sayyeda, khair un nisa..(2)
ya marziya, ya fatima..

Assalam o alaiki ya
sayyeda, tahira, raziya, marziya, fatima
Haye Zahra....

Haye abbas, haye abbas, haye abbas
Abbas... Abbas... Abbas.. (2)

Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar
Uski bhi lehed bangayi..(2)
asghar ke barabar
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

1. Wo sher gira khaak pe jab pusht e faras se
be dast pe talwar o sina, teer the barse
woh waqt tha shabbir par..(2)
mehshar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

2. Tukdo mein jo shabbir ka abbas bata tha
aylaan sare dasht ye tab karte the aada
badle bhi hue badr ke..(2)
khaibar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

3. Gehna gaya ban mein bani hashim ka qamar bhi
baad uske jhuki karb se maula ki kamar bhi
jo waaste behno ke tha..(2)
chadar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

4. Naize se bhi abbas ka sar girta raha tha
dar asl taqaza tha yeh, aaqa se wafa ka
kaise wo theherta sare..(2)
sarwar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

5. Be baazu tha, be sar bhi tha, be ghusl o kafan tha
rab jaane use kis tarha abid ne sameta
tadfeen sare dasht ki..(2)
haye tukdo ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

6. Shabbir ke lashkar mein sab ashaab e jari the
ye wasf magar khaas tha, abbas ka haaye
lagta tha akela woh..(2)
bahattar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

7. Jo bughz Mohammad se tha, Zehra o Ali se
mazloom Hasan aur Hussain ibn e ali se
ghazi se liye badle..(2)
bhar ghar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

8. Nauhe ko 'Sahab' ek hi misre mein utara
jab shadma'n ye roza e abbas pe bola
haq tha ke lehed ho teri..(2)
Haider ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)
Abbas.. Abbas.. Abbas.. (2)

No comments:

Post a Comment