Thursday, 20 February 2025

Mir Hasan Mir - Marsiha

Ya Rasool Allah
Teri Zahra pa musibat ki ghadi hai

Huzoor apki dukhtar ka dar jalay gaya
Huzoor apki dukhtar pa dar giraya gaya

Huzoor apki turbat sy chand qadmon par
Ap ki masjid sa chand qadmon par

Huzoor aapne awaz to suni hogi
Bayn to kano me gunjty hoon gy

Huzoor Shor wahi shor qaid karnay ka
Lakriyan darwazay per girany ka

Huzoor Shor wahi shor bab Hitta pr
Qehqahon ka thokaron ka dastak ka

Huzoor Shor wo darwazay ky ukharnay ka
Huzoor Bayn tahe dar hadeese biz'at ka

Huzoor Bayn wahi ben almadad Fiza
Huzoor Shor wahi shor taziyanay ka

Huzoor neel ka chehray pa sabt honay ka 
Huzoor Shor wahi shor Bayn wahi Bayn

Huzoor Zulm huay aur betahasha huay
Ashk bahay aur betahasha bahay

Huzoor Is pa bhi Asmat ki pasdari rahi
Huzoor Phir bhi ALi a.s ko nahi pukara gaya

Kaise Darwaza hataun Kaise Mohsin ko bachaun
Sans seenay ma ruki ha teri Zahra pa Musibat ki ghadi hai

Sakina chaar barso me zaeefa ho gayi baba
Sitam itne hue mujh pe mai Zahra ho gayi baba

Kisi se kuch nahi kehti hu mai bas khawamosh rehti hu (X2)
tumhari laash se uth kar mai laasha ho gayi baba

Mujhe pechana mushkil hai chehra itna zakhmi hai ( x2)
tamacho ke Rida ab mera parda ho gayi baba

Tumhara sar Jale Daman me jab Darbar me aaya (x2)
mujhe aise laga me phir se Zinda ho gayi baba

Bacha laayi hu mai sajjad aur bakir ko zinda Tak (x2)
Teri beti tere beto pe sadqa ho gayi baba

Sar e shabbir pe sar rakh ke aahista se wo boli (x2)
Jo tum kehte the chup ho jao accha ho gayi baba

Sakina chaar barso me zaeefa ho gayi baba
Sitam itne hue mujh pe mai Zahra ho gayi baba

Kisi se kuch nahi kehti hu mai bas khawamosh rehti hu (X2)
tumhari laash se uth kar mai laasha ho gayi baba

Mujhe pechana mushkil hai chehra itna zakhmi hai ( x2)
tamacho ke Rida ab mera parda ho gayi baba

Tumhara sar Jale Daman me jab Darbar me aaya (x2)
mujhe aise laga me phir se Zinda ho gayi baba

Bacha laayi hu mai sajjad aur bakir ko zinda Tak (x2)
Teri beti tere beto pe sadqa ho gayi baba

Sar e shabbir pe sar rakh ke aahista se wo boli (x2)
Jo tum kehte the chup ho jao accha ho gayi baba

Labon se nikal kar azaan ro rahi hai
Musallay Pe Akbar Ki Maa Ro Rahi Hai

Abhi To Gaya bhi Nahi Ran Mein Akbar.
Abhi Dil Hai Akbar Ka Seene Ke Andar.
Magar Phir Bhi Nook-e-Sina Ro Rahi Hai.

Dua Hai Yehi Ghamzada Maa Ke Lab Par.
Khudaya Salamat Rahe Mera Akbar.
Woh Le Le Ke Bas Hichkiyaan Ro Rahi Hai.

Kabhi Khak Par Baith Kar Rahgurzar Mein.
Judai Mein Akbar Ki Veeran Ghar Mein.
Behan Ghamzada Neem Jaan Ro Rahi Hai.

Tarapti Hai Sughra Chaley Aao Bhaiyya.
Kahin Mar Na Jaye Judai Mein Sughra.
Woh Beemar Ab Na Tawaan Ro Rahi Hai.

Wahan Par Madine Mein Roti Hai Sughra.
Yahan Par Sakina Ke Lab Par Hai Noha.
Behan Ik Yahan Ik Wahan Ro Rahi Hai.

Dua Kar Rahi Hai Yeh Karbal Mein Laila.
Na Maut Aaye Akbar Ko Mere Khudaya.
Jawani Yeh Sun Kar Biyaan Ro Rahi Hai.

Aye Nazoon Ke Palay Zara Sa Thehar Ja.
Keh Zainab Saja Le Tere Sar Pe Sehra.
Keh Aoun-o-Muhammad Ki Maa Ro Rahi Hai.

Nabi Dekhtey Hain Falak Se Yeh Manzar.
Safon Mein Kharey Sab Namazi Hain Muztar.
Imamat Liye Hichkiyaan Ro Rahi Hai.

Nikla hai janaza koi Allah Ke ghar se,

Aflaaq me ek shor hai maatam Ke asar se.

afsos Ke masjid me namaazi gaya maara,
Kuch kamm nahi ye hashr qayaamat Ke asar se.

zainab se kehdo Ke ye dil kholke roye,
Shabbir ki hamsheer hai roney ko na tarsey.

abbas zaraa zainab e muztar se qabardaar,
Faryaad se hat jaayena chaadar kahi Sar se.

haa bhoolna jaana inhey koofey Ke makeeno,
Guzrengi ye shehzaadiya is raah guzar se.

ashaab Bhi sun Paaye na jis bibi ki aahat,
Sar nangey wohi guzrengey is raah guzar se.

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2)
Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2)

1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2)
Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka

2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2)
Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka

3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2)
Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2)

4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2)
Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2)

5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2)
Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2)

Hota hai azaano me charcha ali akbar ka

No comments:

Post a Comment