Wednesday, 19 February 2025

Shadman Raza (2008)


ke roohe hazrate sarwar nikaal kar le aa
rahe khayaal ke shabbir ko na ho eeza
hussain pehle hi zaqmon se choor choor huwa
malak pukara ye mujhse na ho sakega khuda
mai kis tarha se nikaloo badan se jaane hussain
bahot hi saqt hai ya rab ye imtehane hussain
mai kis tarha se....

laga hai zaqme tabar beh raha hai sar se lahoo
bhare hai khoon may jaane rasool ke gaysoo
khareeb jake rakhun dil pe kis tarha khaboo
ke is lahoo may to hai fatema ke doodh ki boo
mai kis tarha se....

mai phir in aankhon pe dhaun sitam ye kya hai zaroor
bichar ke wo ali akbar se hogayi be-noor
nida ye aayi dahan se nikaal jaane huzoor
kaha dahan may to kante pade hai rabbe ghafoor
mai kis tarha se....

nida ye aayi ke gardan se khainch jaan inki
kaha mai kya karoon gardan pe chal rahi hai churi
churi pakad ke ye chillati hai koi bibi
na zibha kar mere bache ko mai dua dungi
mai kis tarha se....

nida ye aayi ke seene se khabz kar le jaan
kaha wo teeron se chalni hai ay mere rehman
abhi to maar ke barchi hata tha ek shaitan
aur ab to hai tahe zanon shimr ye quran
mai kis tarha se....

nida ye aayi ke mazloomiyat ke rutba shinaas
kamar se khaich le saabir ke jaan le vasvas
kaha malak ne tadap ke badardo hasrat o yaas
kamar to toot gayi jab se mar gaye abbas
mai kis tarha se....

falak se tab huwa roohul ameen ka ulme nuzoor
kaha pukaar ke moo dhamp lo baraye batool
pisar ki laash pe kholengi baal binte rasool
sada ye thi maluk-ul maut ki ba huzno malool
mai kis tarha se....

mutee-e-hukm hoo par fikr hai ye yazdan
har ek uzr hai zaqmi lagaun haath kahan
khuda pukara ye mushkil karenge hum aasan
na tu nikaal mere aashiqe ghareeb ki jaan
mai khud nikaal raha hoon badan se jaane hussain
ke khatm hone ko ab hai ye imtehane hussain

Mera sehriyan wala akbar x4
zakhm dil ke dikhaaon maen kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Lashay akbar pae shah jab pohnchay
dil ko haton se tham kar bolay
teree furqat nae aye ali akbar
aag dil mein meray lagadee hae
aag dil kee bhujaaon maen kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Too hae karyal javan aye beta
baap tera zaeef hae kitna
Noor ankhon ka hogaya rukhsat
mujhko ata nahee nazar khayma
Lekay khemon mae jaaon mae kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Jisne athara saal paala tha
Kaise dekhee gee vo tera lasha
Teree shaadi ka tha jise armaan
Kaisay jhelegee vo tera sadma
Teree maa ko bataoon mae kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Dekh aya hae qaside sughra
Rah(a) tak tee hae vo dukhi behna
tujko beemar nae bulaya hae
vaada sughra ka kyoon bhula dala
Gham ye dil se lagaaon maen kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Bhai behnon ka hae ajab rishta
Jiska saani kahin naheen milta
Roke sughra nae ye likha akbar
aik dukhya kee laaj rakhlena
Margaya too bataaon mae kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Lutf jeenay maen ab kahan akbar
Dil se uththi hae ye fughan akbar
subhe ashoor dee thee jo toonay
khun rulayegee vo azaan akbar
Teree soorat bhulaaon maen kaisay  x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Zabt gham ka mohal aye beta
Dekhoon kaisay ye zakhm seenay ka
Maen to pardes maen akela hoon
Dekh kar zakhm kya karoon batla
Is pe marham lagaaoon maen kaisay
Tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Aisi gurbat me mooh nhi modo
Main hoon tanha mjhe na yoon chhodo
Kya guzarti hai baap ke dil par
Gamzada dil ko yoon nahi todo
Apni gurbat bataaun main kaise
Tera laasha

Shadmaan yeh dua hai khaaliq se
Waqt aisa kisi pe naa yaae
Jaisa mazhar ne likh diya manzar
Shah kehte the bass yahi ro kar
Zakhm dil ke dikhaaun main kaise
Tera laasha uthaaun main kaise..

Mera sehriyan wala akbar x4
zakhm dil ke dikhaaon maen kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Lashay akbar pae shah jab pohnchay
dil ko haton se tham kar bolay
teree furqat nae aye ali akbar
aag dil mein meray lagadee hae
aag dil kee bhujaaon maen kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Too hae karyal javan aye beta
baap tera zaeef hae kitna
Noor ankhon ka hogaya rukhsat
mujhko ata nahee nazar khayma
Lekay khemon mae jaaon mae kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Jisne athara saal paala tha
Kaise dekhee gee vo tera lasha
Teree shaadi ka tha jise armaan
Kaisay jhelegee vo tera sadma
Teree maa ko bataoon mae kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Dekh aya hae qaside sughra
Rah(a) tak tee hae vo dukhi behna
tujko beemar nae bulaya hae
vaada sughra ka kyoon bhula dala
Gham ye dil se lagaaon maen kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Bhai behnon ka hae ajab rishta
Jiska saani kahin naheen milta
Roke sughra nae ye likha akbar
aik dukhya kee laaj rakhlena
Margaya too bataaon mae kaisay x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Lutf jeenay maen ab kahan akbar
Dil se uththi hae ye fughan akbar
subhe ashoor dee thee jo toonay
khun rulayegee vo azaan akbar
Teree soorat bhulaaon maen kaisay  x2
tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Zabt gham ka mohal aye beta
Dekhoon kaisay ye zakhm seenay ka
Maen to pardes maen akela hoon
Dekh kar zakhm kya karoon batla
Is pe marham lagaaoon maen kaisay
Tera lasha uthaaoon maen kaisay
akbar mera sehriyan wala akbar x2

Aisi gurbat me mooh nhi modo
Main hoon tanha mjhe na yoon chhodo
Kya guzarti hai baap ke dil par
Gamzada dil ko yoon nahi todo
Apni gurbat bataaun main kaise
Tera laasha

Shadmaan yeh dua hai khaaliq se
Waqt aisa kisi pe naa yaae
Jaisa mazhar ne likh diya manzar
Shah kehte the bass yahi ro kar
Zakhm dil ke dikhaaun main kaise
Tera laasha uthaaun main kaise..

No comments:

Post a Comment