Wednesday, 19 February 2025

Shadman Raza (2012)

haay abbas kya kare
roka huwa hai tegh ko ghaazi hai tashnakaam
hukme imaame waqt se majbur hai gulaam
are armaan saara jang ka ashkon me beh gaya
abbas aaj laashe uthaane ko reh gaya
milti nahi hai ran ki riza jab imaam se
abbas kya kare

laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
abbas kya kare
haay abbas kya kare

1. Koi bachha maqtal se jab
khun me naha kar aata hai
aaqa laasha laate hain to
sharm se sar jhuk jaata hai
tukde huwe hain khaak pe wo god ke pale

abbas kya kare
laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
abbas kya kare

2. Baba ijaazat milti nahi
aaj bohot sharminda hun
aun o mohammad jaan se guzre
aur mein ab tak zinda hun
binte ali ke lakhte jigar dono mar gaye

abbas kya kare
laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
abbas kya kare

3. Maqtal me kya haal huwa hai
aaqa hasan ke bete ka
dil me mere zakhm banaa hai
qaasim ke har tukre ka
ghathri banaake laayi gayi mere saamne

abbas kya kare
laashon pe laash aate rahe dekhta rahe
abbas kya kare

4. Ek tadbir ye maqtal ki hai
mashk mein le kar jaawunga
bibi sakina ki khaatir mein
paani le kar aawunga
maangi hai is ne izne wigha haath jod ke

abbas kya kare
laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
abbas kya kare

5. Darya saamne behta hai bas
izn wigha ka mil jaaye
saaqi e kauthar ke bacchon par
paani bandh huwa haaye
rote huwe ye aas se hain mujh ko dekhte

abbas kya kare
laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
abbas kya kare

6. Khwahish ye hai aakhri lamha
unki zyaarat ham paayen
aisa nahi ho laash utha kar
mere aaqa thak jaayen
aaye madad ko aaqa mere kis tarha kahe

abbas kya kare
laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
abbas kya kare

7. Shadman paani lene gaye
abbas ki mushkil kam na huwi
tir qamar aankho me laga tha
khoon baha aur mashk chidi
sar pe laga hai gurz mere haath kat gaye

abbas kya kare
laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe
abbas kya kare

haay haay haay
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay
 
neze pe hai hussain ka sare haay haay haay
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay
 
jis ne diya hijaab usi ghar ki betiyaan
baazaare shaam aayi hain karti huwi fugaan
kaaton pe kar rahi hain safar haay haay haay
 
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay
 
meri kaniz dekh na le mujhko beridaa
sajjad se ye zainabe dilguir ne kaha
aaya qarib shirin ka ghar haay haay haay
 
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay
 
ek hashr sa bapaa hai dile sogvaar me
zainab kise bulaaye bhala is dayaar me
baba hain na bhaayi na pisar haay haay haay
 
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay
 
barsaat pattharon ki hai aale rasool par
haste hain shaam vaale asiron ko dekh kar
karti hain shaahzaadi agar haay haay haay
 
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay
 
kitne sukun se ham ne kiya tay ye raasta
zainab ne tis ghanthon me tay ye safar kiya
be parda thaame qalb o  jigar haay haay haay
 
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay

ay waqt ke imam ye pursa kare qubool
hai maadare hussain yahaan aap aur rasool
karte hain saare jinn o bashar haay haay haay
 
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay
 
hamraah shadman ke ponhtcha jo qaafela
baazaare shaam dekh ke yaad aaya ba khuda
ay mazhar aabdi wo safar haay haay haay
 
zahra ki betiyon ka safar haay haay haay

hussainiyat zindabaad
hussain hussain hussain hussain

karbala ke dasht ki hai dastaan hussainiyat
hai hamaare khoon me rawaan rawaan hussainiyat
hai jahaan jahaan khuda wahaan wahaan hussainiyat
hogi kaayenaat me zabaan zabaan hussainiyat
zindabaad thi zindabaad hai
zindabaad zindabaad hai hussainiyat
zindabaad zindabaad zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

1. Shaamil jo hai khun me karbala
kyun haar jaayenge ham hosla
tufaan beh lenge khud raasta
dengi duaayen hame sayyada
chalta rahega yun hi silsila..(2)
ruk na sakega kabhi qaafela
hoga ye sheh ka gham zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

2. Ek mashvara ehle dunya suno
zillat ki ye zindagi chhod do
shabbir ke raaste partchalo
chaahe badan pe ye sar ho na ho
ye dars detaa hai farshe azaa..(2)
hurr ban ke karlo abhi faisla
haq pe ho to kaho zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

3. Tum bomb dhamaake karo jaa ba jaa
maatam ko tum rok sakte ho kya
taarikh parh ke to dekho zaraa
hujjaaj se badh ke zaalim ho kya
ae naasiraane shahe karbala..(2)
allah mohammad ali fatema
kyun na phir ham kahen zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

4. Ye daaghe maatam to aizaz hai
maatam nahi fath ka saaz hai
ye to shahidon ki aawaaz hai
qudrat ka ye ek haseen raaz hai
zinda hai kyun aaj tak karbala..(2)
ye raaz jis par ayaan ho gaya
us bashar ne kaha zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

5. Ye maatami misle mukhtaar hain
har waqt marne ko tayyaar hain
khushyon me gham ke talabgaar hain
baatil pe ham misle talwaar hain
jo hai hussaini who marta nahin..(2)
haq baat kehne se darta nahin
kehte hain jism o jaan zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

6. Binte nabi ka ye armaan tha
ghar ghar me maatam ho shabbir ka
armaan bibi ka puraa huwa
hai aaj ghar ghar me farshe azaa
hai shaadman aur mazhar sadaa..(2)
lab pe rahegi yehi ek sadaa
zindabaad zindabaad zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

7. Jab tak wafa saans karti rahengi
sajaayenge ghar ghar me abbas ka ham alam
maatam ko ye haath uthte rahenge ghame
shaah me aankh rakhenge har waqt nam
chalta rahega yun hi silsila..(2)
ruk na sakenge ye ehle azaa
hoga ye sheh ka gham zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

8. Karbobala ka jo paighaam hai wo sunaayenge
dunya ko har haal me nauhakhaan
pehnake khud apne lakhte jigar ko kafan
in juluson me khud bhej deti hain maan
dekha ye imaan ye hosala..(2)
taarikh daano ko kehna parha
gham ka ye kaarvaan zindabaad

hussainiyat zindabaad..hussain

Taarikh de rahi hai ye aawaaz dam ba dam
dashte sabaa to azm hai dashte balaa o gham
sabre masih ho jurrate suqraat ki qasam
is raah me hai sirf (ek insaan ka qadam)..(2)
jiski raghon me aatishe badr o honayn hai
us surma ka isme gheraami hussain hai

hussain ya hussain

Shore rajaz baland hua vaar ho gaya
lehje se gharm khaak ka baazaar ho gaya
roze oruje shaam shabe taar ho gaya
nikla jo mun se harf (wo talwaar ho gaya)..(2)
ehle jafaa ki maut ka farmaan aa gaya
dashte balaa me nuh ka tufaan aa gaya

hussain ya hussain

Maskan jo the ghuroor ke wo sar jhuka diye
eiwaane khusrawi ke parakche urhaa diye
lab teshnagi ne khun ke darya baha diye
pyaase ne aabe tegh ke (johar dikha diye)..(2)
eiwane shar me aag lagi khaak ho gaya
saare yazidiyon ka jigar chaak ho gaya

hussain ya hussain

Pal bhar me saans ehle jafaa ki ukhad gayi
bay'at talab yazeed ki surat bigad gayi
daste khuda se qismate shaahi udhad gayi
haydar ki tegh sina e (baatil me gad gayi)..(2)
haq ne rag-e saqifa ki chhalwal nikaal di
paa e bani umayya me zanjeer daal di

hussain ya hussain

utthi nigaah chehra e baatil jhulas gaya
ek naag ke himmate aadaa ko dhas gaya
paa taal me saqifa e ehle hawas gaya
aadaa pe zulfeqaar ka (paani baras gaya)..(2)
haybat se nariyo ka lahu sard ho gaya
bay'at talab yazeed ka mun zard gaya

hussain ya hussain

is haadese pe aaj bhi giryaan hain behr o bar
allah ye talaatume pur haul yu hai shar
ye kapre al hafiz ye udwaane al hazar
paani si chiz band hai (wo bhi hussain par)..(2)
maula kisi pe koyi na aisi jafaa kare
kaafir pe bhi na band ho paani khuda kare

hussain ya hussain

zarraat mehve naal o fughaan gharqe shoro shain
tapti huwi zameen pe akbar sa noore ayn
ek bezubaan ki laash pe seidaaniyon ke bayn
ay waay bar tabaahi e (mazlumi e hussain)..(2)
khaime ke dar ko dida e girya kiye huwe
zainab khari thi baal pareshaan kiye huwe

hussain ya hussain

hawwa khadi thi sar se utaare huwe rida
takraa rahi thi baare mashiyat se karbala
aur farsh tha namuna e mehshar bana huwa
gunji huwi thi dasht me (zehra ki ye sadaa)..(2)
sun le sadaa ay baare khuda shoro shain ki
parwardigaar ho khair ho mere hussain ki

hussain ya hussain..(4)

ha ek aayenaa shabe ashoor tha wo maqtal kaa
hussain ne jo bataya hilaal ne dekha
ye hai imam e zamaana ki ghaibate kubra
ye farz kijiye lekar hame chale maula
wahaan hussain zameen par jagaa bataate hain
yahaan imam ye manzar hame dikhaate hain
 
1. Padi hui hai ye laashen lahu hai ab bhi rawaan
wo mera hurr e jari qatl hogaya mehmaan
jo karbala ke the ansaar de chuke hain jaan
dilon ko thaam lo logo to kuch karu mein bayaan
laraztaa ab bhi tane paash paash hai dekho
ye hai jo gathri ye qaasim ki laash hai dekho..(3)
 
2. Lahu me dubi huwi hai shabihe payghambar
jawaan ki laash pe girya kunaa hai har maadar
pisar ke seene se barchhi nikaal ni thi magar
na band ho sakaa wo zakhme sinaye akbar
dua karo ke ye ghaybat meri simat jaaye
ye zakhm dekh ke mera jigar na phat jaaye..(3)
 
3. Har ek dukh meri ghaybat ki kaayenaat me hai
ye karbala jo bapaa hai ye meri zaat me hai
mein ro raha hun meri zulfiqaar saath me hai
gale me teer hai asghar ki laash haath me hai
bahot qarib se mein shor o shein sunta hun
mein ab bhi maadare asghar ke bayn sunta hun..(3)
 
4. Lahu me dubi meri qaayenaat hai logo
jigar hai sokhta tashna hayaat hai logo
taweel ghaybate kubra ki raat hai logo
har ek shahid ki maa mere saath hai logo
har ek god hai khaali zahoor kab hoga
har ek maa hai sawaali zahoor kab hoga..(3)
 
5. Imam khaimaye ghaybat me ho gaye hain aseer
chidi huwi hai sina se rasool ki taswir
wo laashe qasim o abbas hai ye laashe saghir
har ek laash yahaan aake rakh gaye shabbir
are bachaa hi kaun tha maqtal se koyi aa na sakaa
mere hussain ka laasha koi utha na sakaa..(3)
 
6. Imam qatl huwe naasiron ko bhi khoya
na waqt ne kabhi is mere zakhm ko dhoya
na ek pal mein kisi raat chain se soya
hazaar saal mein chautees(34) saal ko roya
ye qaid khaane ka rastaa bur kab hoga
sakina putch rahi hai zahoor kab hoga..(3)
 
7. Hai mere zehn me wo qarb e aabide bimaar
khule saron ki aziyat wo shaam ka baazaar
agar che paas mere hai hussain ki talwaar
qamar me kya karun lashkar mera nahi tayyaar
ab inteqaam ka sab inhesaar tum par hai
mere zahoor ka daar o madaar tum par hai

de diya har imtehaan
beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain
na ghabraaye hussain

apne hi haathon pe apni laash le aaye hussain
beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

sina e akbar me bartchi dekh ke royi qazaa
fatema ke laal par ye imtehaan ka waqt tha
boli zainab haay hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

ek ke baad ek laasha dasht se laate rahe
god ke paalon ka dil par zakhm bhi khaate rahe
kitne laashe laaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

qabr asghar ki bana kar aaya ibne buturaab
maut boli teri daulat dekh ay umme rabab
dasht me tchhor aaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

qatl ghaazi ho gaya jab ho tchuke baazu qalam
burhe kaando par utha kar khun me duba alam
dasht se jab laaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

kat tchuki jab fauj saari dil tha gham se paayemaal
tin din ke bhukhe pyaase aur zakhmon se nidhaal
jang larne aaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

ek taraf zehra ka beta ek taraf nau laakh tegh
wo chamakte teer o neze sab the pyaase khun ke
zulm se takraaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

tchur the zakhmo se maula teer aur talwaar ke
aakhri sajde ki khaatir pusht se rah haar ke
jab zamin par aaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

shaah ki mazlumiyat par hogayi zehra gavaah
jhaarti thi apne baalon se pisar ki qatl gaah
maan pukaari haaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

likho mazhar aabedi jab ho tchuke sab imtehaan
shukr ka sajda kiya tha sheh ne ho kar shadman
qatl hone aaye hussain
na ghabraaye hussain

beh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

sehra lahu lahu hai
bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

dashte bala me sheh ka sajda lahu lahu hai

lashkar yazidiyon ka pal me jalaa raha hai
mehboob e kibriya ka wo dil dukha raha hai
insaaniyat ka dekho tchehra lahu lahu hai

bikhre parhe hainn laashe sehra lahu lahu hai

shehzaadiyaan falak ki qaidi bani huwi hain
aur tchaadaren saron se inke tchhini huwi hain
baparda bibiyon ka parda lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

jis dam kate the baazu abbase ba haya ke
mashk o alam lahu me dube the baawafa ke
pyaaon ki tishnagi par darya lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

ek shab ki jo biyaa thi deti rahi duhaayi
kaisi khushi mili jo ek pal na raas aayi
qaasim ka haay ran me sehra lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

jab ran me aaye haidar har bibi thi hazina
kehti thi dada jaan se ro ro ke ye sakina
tsipka huwa badan se kurta lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

ye tchikhti fazaayen deti hain ye sadaayen
hai khaak o khun ki sar par saadaat ke ridaayen
aulade mustafa ka rutba lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

dushvaar raaste hain manzil kathan hai saari
zakhmon se naatawaan ke taaza lahu hai jaari
karbal se shaam tak ka rasta lahu lahu hai

bikhre parhe hain laashe sehra lahu lahu hai

zahra ki dua hai

bismillahir rahmanir rahim
allaahumma kun lewaliyyekal hujjat ibnil hasan
salawaatoka alayhe wa alaa aabaaehi
fi haazehis saa’ate wa fi kulle saa’ah
waliyan wa haafezan wa qaa’edan wa naaseran
wa dalilan wa aynan hattaa tuskenahu arzaka taw’an
wa tomatte’ahu fihaa taweelaa

zahra ki dua hai
ghaibat se nikal aaye khudaya mera beta
zahra ki dua hai

koyi to uthale mere shabbir ka laasha
zahra ki dua hai

nanne ali asghar ka lahu abh bhi ravaa hai
ab tak ali akbar ke kaleje me sina hai
mehdi mera aa jaaye to sine se laga le

zahra ki dua hai
ghaibat se nikal aaye khudaya mera beta
zahra ki dua hai

hay khanjar se gala kath gaya wo gurz wo bhale
is  laash pe ghore hai abhi dorhne waale
koyi mere shabbir ke laashe ko uthaale

zahra ki dua hai
ghaibat se nikal aaye khudaya mera beta
zahra ki dua hai

ghaazi ki mohabbat ho hussaini ka ho kirdaar
misam ka saliqa ho khomeini ka ho kirdaar
har ek azaadaar ye kirdar banaa le

zahra ki dua hai
ghaibat se nikal aaye khudaya mera beta
zahra ki dua hai

haay wo darbadari kufe ke darbaar ka badlaa
baaqi hai abhi shaam ke darbar ka badlaa
allah mere laal ko ghaibat se nikaale

zahra ki dua hai
ghaibat se nikal aaye khudaya mera beta
zahra ki dua hai

pyaasa mera shabbir hai ghaibat me hai beta
who khatm ho ab jaisi musibat me hai beta
har ek azaadaar agar dil se bulaale

zahra ki dua hai
ghaibat se nikal aaye khudaya mera beta
zahra ki dua hai

kehti hai qamar pyaare hai ye maatami saare
laashon ko uthaate hain azaadaar hamaare
allah azaadaaron ki naslon ko batchaale

zahra ki dua hai
ghaibat se nikal aaye khudaya mera beta
zahra ki dua hai

Zikre shabbir me karke jannat ataa
haq ne puchha bata aur kya chaahiye
maine lauta di jannat ye kehte hue
karbala karbala karbala chaahiye

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye..(2)
karbala bas karbala..(2)

1. Theek hai darya me musa ke liye raste bane..(2)
ya ali keh kar hame paani pe chalna chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

2. Tashnagi sab ki bujhane ke liye darya nahi..(2)
hazrate abbas jaisa ek pyaasa chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

3. Chhe mahine ke ali asghar ka ye paighaam hai..(2)
jitna jina hai zaruri utna jina chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

4. Aakhri sajda kiya shabbir ne ye soch kar..(2)
jaisa wo mabood hai waisa hi sajda chhahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

5. Dekhiye paakiza kitni hai dua e fatema..(2)
sochiye ek maatami ko kaisa hona chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

6. Kat gaya sajde me sar to keh utha ishqe hussain..(2)
ab sina ki noq par quran parhna chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

7. Chaahiye bas meri beti ko sakina ki dua..(2)
mere bete ko ali asghar ka sadqa chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

8. Ye hussaini hain dua e sayyada hai unke sath..(2)
har yazidi ko azaadaaron se darna chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

9. Aao suraj me bichhaate hain qamar farshe azaa..(2)
har jaga par karbala ka zikr hona chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

Zikre shabbir me karke jannat ataa
haq ne puchha bata aur kya chaahiye
maine lauta di jannat ye kehte hue
karbala karbala karbala chaahiye

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye..(2)
karbala bas karbala..(2)

1. Theek hai darya me musa ke liye raste bane..(2)
ya ali keh kar hame paani pe chalna chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

2. Tashnagi sab ki bujhane ke liye darya nahi..(2)
hazrate abbas jaisa ek pyaasa chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

3. Chhe mahine ke ali asghar ka ye paighaam hai..(2)
jitna jina hai zaruri utna jina chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

4. Aakhri sajda kiya shabbir ne ye soch kar..(2)
jaisa wo mabood hai waisa hi sajda chhahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

5. Dekhiye paakiza kitni hai dua e fatema..(2)
sochiye ek maatami ko kaisa hona chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

6. Kat gaya sajde me sar to keh utha ishqe hussain..(2)
ab sina ki noq par quran parhna chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

7. Chaahiye bas meri beti ko sakina ki dua..(2)
mere bete ko ali asghar ka sadqa chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

8. Ye hussaini hain dua e sayyada hai unke sath..(2)
har yazidi ko azaadaaron se darna chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

9. Aao suraj me bichhaate hain qamar farshe azaa..(2)
har jaga par karbala ka zikr hona chaahiye
karbala bas karbala..(2)

zinda rehne ke liye bas ek jazba chaahiye

No comments:

Post a Comment