Abbas Abbas ya abal fazlil abbas (2)
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai(2)
Tum bhi nahi ham ko thukrana (2)
Ham duniya ke thukraae hai
Abbas abbas ya abal fazlil abbas
Saare sahaare tut chuke,hame apne paraye lut chuke (2)
Tum apni panaho me le lo (2)
Ham ran se bohot ghabraae hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Ashko ki zaban pehchaante ho,jo dil me hai wo bhi jaante ho (2)
Ham keh nahi sakte tum sunlo (2)
Bas haatho ko failaaye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Har suni godi bhar jaye ,har beti ko rishta mil jaye(2)
Un chehro ko ronak de do (2)
Jo ban ke sabab murjaye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Maula tum babe hawaaij ho,roze pe unhe b bulwaalo (2)
Ghurbat ke sabab jo aa na sake (2)
Ham unke aranje se aye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Jo naam tumhara leta hai,Allah b usko deta hai (2)
Khairat buri da shano ki (2)
Lene k liye ham aye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Hote hai kitne zulm shadid aur ehle aza hote shaheed(2)
Jo khatm yazido ko kar de (2)
Wo taakat maangne aye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Maula hai apse ek hi sawal,Allah hame de rizk e halal(2)
Ho lashkar mehdi me shaamil (2)
Jitney bhi zaaer aaye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Kha kha ke tamache roti hai,zinda ki khaak pe soti hai (2)
Buj jaaye pyaas sakina ki (2)
Ham aankh me aansu laaye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Darbar saki Abbas ka tha,kuch mangna tha laazim manga (2)
Lekin ye haqeeqat bhi hai qamar (2)
Ham pursa dene aye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Ya abal fazlil abbas
Haaaaaaa…..jab gire ghode se…..abbas …….to pahoche maula…..zakhmi abbas ka sar apne zaano pe rakha….pochkar khun ko…aankho se kia…..ek gila….zindagi bhar kabhi tumne na mujhe bhai kaha….dil ye kehta hai ke…zehra ne kaha to hoga….dil ye kehta hai ke zehra ne kaha to hoga….ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2)
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde (2)
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2)
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde (2)
Tujko godi me sambhala mere shabbier ne hai
Teer aankho se nikala mere shabbier ne hai
Aakhri waqt ye shabbir (2)K tu lag ja gale
Ay mere bhai tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2)
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Tujko har waqt hai farzande payambar ka khayal
Mujse dekha nahi jata mere shabbir ka haal
Aarzu iski hai ke abbas (2) muje bhai kahe
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Chakkiya pees ke shabbir ko maine paalaa
Ab nahi koi bhi ise bhai kehne wala
Mere Shabbir ne maktal me (2) bohot ranj sahe
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Bhai jitney bhi the kehte rahe maula aqa
Ehteraaman kisi bhai ne bhai na kaha
Bhai kehlane ko beta (2) mera kabtak tarse
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Yu to kuch dam me mere paas chal aayega
Mera shabbir to tanha yaha reh jaaega
Isse pehle ki gala bête ka (2) khanjar se kate
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Mera shabbir meri jaan hai nabi ka waaris
Mera abbas jari tu hai ali ka waaris
Tere baba ki bhi khwaaish (2) hai ke tu bhai kehde
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Yaad rakhega jaahan tune wafa wo ki hai
Tune farzande mohammad ke liye jaan di hai
ye tere zakhm tera khun (2) me tere sadke
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Jab gira ghode se to tune sadaa ek di thi
Mai tere paas shabbir se pehle pohchi
Ab mera ek tu ab maan (2) le ye maa jo kahe
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Jism me teer hai baazu hai juda zakhmi sar
Mai bohot roti hu beta teri mazlumi par
Khun bhar dastt wo ridaaa(2) tere maine chume
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Mere shabbir ko dharas hai sakina ko aas
Roze mehshar bhi tu hai babe hawaaij abbas
Phir kate haath me laaugi (2) shifa-at ke liye
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Aur qamar par hukme abbas kare kya na kare
Ek taraf maa ki kasam ek taraf zehra hai
Dil se bhai ka na hoto (2) se keh na sake
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde
Haayee shame gariba (3)
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (3)
Haayee ye kismat kaha (2) Zainab kaha khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Sar chupane ke liye jaaye bhi to jaaye kidhar
Khoon ke pyaase nazar aate hai bahaqqe nazar
Dur tak faili hai zer (2) aasma khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Aalame islam ko ghairat dilaane ke liye
Zulm iss had hue ye bataane ke liye
Le gayi hai sham tak (2) saidaaniyaa khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Karbala ki khaak par khoon me nahaakar so gaye
Naaz zainab ko tha jinpar qatl wo sab ho gaye
Kaash udte dekhte (2) teero jawaa khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Bediyaan ne zer rasan pathar tapish aur gudkiya
Kya yahi kismet me likha tha ke dekhe ham yaha
Nezayo shamshiro khanjar (2) barchiyaan khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Ham ise ghurbat sakina ki kahe ya bebesai
Sar chupaane ke liye jaane hussain ibne ali
Daalti hai sar me hur k (2) mutthiyaa khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Raakh ne behte lahu ko jasb jis dam kar lia
Chan dhiram par hi sahi par dekhne me lu laga
Ban gayi kaano ki jaise (2) baaliyaan khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Rehmato ka raat din wallah wo taahe nuzul
Khil rahi hai aaj us jaa shabbiri ke phool
Chaar su faili hui thi (2) kal jahan khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (2)
Allah Allah karbala se shaam talak ka intehaan
Kar nahi sakta koi asif ki si surat bayaan
Shaadmaan is gham khud hai (2) nauhakhwaan khaimo ki raakh
Kar rahi hai daastaane gham bayaa khaimo ki raakh (3)
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (3)
Dar par malakul maut to tayyaar hai beti (2)
Mai tumse izzat ka talabgaar hu beti
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (2)
Maalum….. hai beti k…. sataaegein ye duniya,jab mai na rahuga to rulaaegi ye duniya
malum hai beti k sataaegein ye duniya
afssos tere fgar ko jalaaegein ye beti(2)
aaoga na ek lamha sukun qabr ke andar
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (2)
Ek roz lahad me hai har ek shaks ko sona,sab ke liye ye khaak ka bichona
Ek roz lahad me hai hare k shaks ko sona
dekha nahi jata ye beti tera rona (2)
jana hai bulata hai mujhe khaalike akbar
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (2)
Jitney ye munafiq hai bazaahir jo hai khaadim , likh dege bohot aur zara hogena naadim
Jitney ye munafiq hai bazaahir jo hai khaadim
darbar me bulwaege ek din tujhe ye zaalim
allah salaamat rakhe beti teri chaadar
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (2)
Ham hoge na tum hogi na haider bhi rahege ,us waqt ye jab chaal munafiq ye chalege
Ham hoge na tum hogi na haider bhi rahege
beti tere shabber ka ye qatl karege
begoro kafan dhup me hoga tera ye zewar
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (2)
Ha zinda na bichadkar zara reh paoge beti , pehlu e shikastaliyaan tum aaogi beti
Ha zinda na bichadkar zara reh paoge beti
tum mujse bohot jald hi mil jaoge beti
shabbier pe ham qabr me roege barabar
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (2)
Beti ye hai khalil ki nazr me teri azmat ,dekhi na ye aisi malakul maut ki haalat
Beti ye hai khalil ki nazr me teri azmat
ye tera sharaf hai jo ye maangni hai izazat
de do isse aane ki izazat meri dukhtar
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (2)
Kehte hai qamar deen ko allah bachae ,is bakshishe ummat ki duao hoto pe aaye
Kehte hai qamar deen ko allah bachae
farzand mera amno amaan dehr me laaye
ek roz zarur ayega ayega ghaibat se nikalkar
Kehte hai nabi Fatema Zehra se tadapkar (3)
Sakeena Sakeena Sakeena
Haye Baba
Ye Nauha Sakeena hai *2
Mai Sine pe Baba ke Soun Kahan
Teer hi Teer hai ..... **2
Haaye...
Teer hi Teer hai.. haye
1.Kund Khanjar se sukha Gala kat gaya
Mera baba magr phir bhi pyasa raha
Aagayi Raat maine na Pani piya *2
itne Sine pe hain Zakhm Nouke sina...
Teer he Teer hai.. *2 Haye
Mai sine pe baba ke soun kahan
Teer hi teer hai
Haye
2. Dekhiye Dada Baba ka kya haal hai
Dadi Zahra yahi Aapka Laal hai
Laash ghodon ki tapon se pamal hai *2
Jism tukde hua tuti hain Pasliyan..
Teer hi teer Hain.. *2 Haye
Mai sene pe baba ..
Haye
3. Dekh kar teer hi teer roti hun mai
Bolte kyu nahi Jaan khoti hun mai
Aapke sirf sine pe soti hun mai *2
Nend aati hai lekin mai soun kahan
Teer hi teer hai *2 Haye
Mai sene pe Baba ke soun kahan
Haye..
4. Jal chuke khaime aur chadare chhin chuki
Berida meri phupiyan hain bethi huyi
is jagah bhi na Aajaye Shimre lain *2
Mera kurta jala chhin chuki baliyaan
Teer hi teer hai *2 haye
Mai sine pe baba ke soun kahan
Haye
5.Bhaiyya sajjad par ab hai Mushkil badi
Ap ke baad kya kya musibat padi
Dekhiye aap ke pas mai hun khadi *2
Ye tamanchon ke rukhsaar par hain nishaan..
Teer hi Teer hai *2 Haye
Mai sene pe baba ke Soun kahan
Haye
6. Mai to samjhi thi yaan hoga Asgar mera
Teer se chid gaya jiska nanha gala
Aake sine pe wo apke sogaya*2
Baba batlain hai mera Asgar kahan..
Teer hi Teer hai haye
Mai sine pe baba ke
Haye
7.Lashe Qasim ki Surat hai Laksh Aapki
Hai kamar bhai ke Gum setuti hui
Zakhme Akbar jigar se hai rista abhi *2
Ab bhi nikli nhi hai wo nouke sina
Teer hi Teer hai haye *2
Mai sine pe baba ke soun kahan
Haye
8. Zakhm bazu pe pyase baradar ka hai
Zakhm sine pe baba ye Akbar hai
Hai jo Gardan kati zakhm Asgar ka hai *2
Kaise Soun ye hai Ap ka Imtehaan..
Teer hi Teer hai (Haye) ] *2
Mai sene pe Baba ka
9. Ro Rahi hai Zameen Rota hai Asmaan
Aye Kamar ye Batain Imame Zamaan
Sina Sone ko Mil jaaye ho Shadmaan
Teer kaise nikalegi ye Natwaan*2
Teer hi Teer hai (haye) ]*2
Mai sene Pe Baba Ke soun kahan ..Teer hi Teer hai.!!
Labbaik ya Hussain (3) Hussain ya hussain (4)
Maatam ki sadayein se zamaane ko hila do
Pagham e Hussain ibn Ali sabko suna do
Pyaase hai zulm ke azar mita do
Inkar ke har jism ko miti mai mila do
Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Paaighaame sadaaqat sebaatil ko mitaa dege
Ye hasti hai baatil ki duniya hilaa dege
Ahmad ke gharaane ki har shaan dikha dege
Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Quran ko ye apna ghamsar samajte hai
Ye huzne shahadat ka ghar raah samajte hai
Marna rahe khaalik me ejaaz samajte hai
Sab zulmo pe tashaddud ki buniyaad mita dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Ye maut ki har manzil aasan samajte hai
Imaan pe mit jana imaan samajte hai
Islam ki fitrat ka irfan samajte hai
Ye kasre yazidi ko mitti me mila de
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Ye khoon se sichege gulzaare nabuwwat ko
Mitne hi nahi dege tauheed ki azmat ko
Ye khel samajte hai duniya e shahadat ko
Islam ko ye gaazi islam banaa dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Zaalim ki kabhi baiyat ham log nahi karte
Ham naasir e mahdi se zaalim se nahi darte
Gar qatl kare duniya ham log nahi marte
Zinda e shahadat se ham ji ke dikha dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Darbar me zaalim ke haq baat pe hai dat-te
Imaan nahi jata ho laakh gale kat-te
Ye karbobala wale firqo me nahi bat-te
Ham saare hussaini hai ham milke dikha dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Safdar hai dilawar hai talwar ke gaazi hai
Islaame sipahe hai kirdaar ke gaazi hai
Mazbut iraade hai guftaar ke gaazi hai
Ye sham ki faujo ko kufe se mila dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Shabbir ke mahsad ko ham log nahi bhule
Chode na namazo ko parde me rahe ehle
Bhai se wafadari maa baap ka dil rakhe
Sajjad shifa dege abbas dua dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Haa tufan musibat ka aya hai to kya gham hai
Paighaam tabaahi ka laya hai to kya gham hai
Badal sa rahoonat ka chaayaa hai to kya gham hai
Zulmat ke zamaane ko purnoor bana dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Maula ki ye himmat hai ye teer bhi khaalege
Akbar ke kaleje se barchi bhi nikaalege
Peeri mai jawaani ka laasha bhi utha lege
Jab sab ye luta dege gardan bhi kata dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Zaalim ki nazar jinko majbur samajti hai
Taakat se mitaa dena dastur samajti hai
Laachar samajti hai mehjul samajti hai
Wo asr talak mazhar ghar apna luta dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Haaaayyee abbas kya sunoge …..Mere dard ki khabar…. aya hu mai sakina ko behosh chodd kar….abbas yaad hoga madine se wo safar… aur fehrist roye the tum jiske naam par….aur wo hurmula ke teer se bejaan ho gaya, jule se aake dasht me bhi asgar bhi so gaya
Shaah Ne aliasgar ko jab dafn kia hoga (3)
Abbas ka laasha to hai(2)
Ut ut ke gira hoga
Shaane aliasgar ko jab dafn kia hoga
Shaane aliasgar ko jab dafn kia hoga
Aise hi to sar katke neze pe nahi jata (2)
Qaatil me ziba bacha hai (2)
Khud zibha kia hoga
Shaah Ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Shaah Ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Sar kat ke zaalim ne jis waqt uchala tha (2)
Zehra ka kaleja ka to (2)
Mitti pe gira hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Neze pe jo bacha tha au root pe madar thi(2)
Dil godd me lene ko hai (2)
Bechain raha hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Lo qatla ke baad asgar akbar se bada nikla (2)
Chota sa kaleja tha haaye (2)
Neza to bada hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Jo jula julati thi wo chumti jaati thi (2)
Ek saal sakina ne haaye (2)
Bosa na diya hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Kyu kabr ki taariki gham khaye murawwat ko (2)
Nauha ali asgar ka haaye (2)
Markad me padha hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Shaah ne aliasgar ko jab dafn kia hoga
Jo hukm ki khaatir baitha hai (2)
Jo ghaibat me ranjida hai (2)
Jo hukm ki khaatir baitha hai ,Jo ghaibat me ranjida hai (2)
Jo amr pe tere qaaem hai (2)
Makhluq se jo poshida hai (4)
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Wo amre elahi aayega
Mazbut dilo ko kar dega
Bezar logo ko zar dega
Beghar logo ko ghar dega
Wo teg ali ka laaega
Wo adl se duniya bhar dega
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Jo jhuthiyan anaa par qaaem the
Wo pasr giraaye jaaege
Jo zulmo sitam ke baani the
Wo takht jalaaye jaaege
Zaalim ko hataya jaaega
Mazlum bithaaye jaaege
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Puraa kar de ab ehde wafaa
Ab bhej de usko parde se
Maaye behne hai mehbe dua
Ab bhej de usko parde se
Har ek hussaini kehta hai
Ab bhej de usko parde se
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Mazlum ko taakat wo dega
Zaalim pe galbaa paaega
Quran khuda ka laaega
Talwar ali ki laaega
Koshish karle duniya jitni
Wo aane wala aayega
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Haider ke naare hai lab par
Aur baandhe kafan hai sar par
Qaaem ka zikr karte hai
Wo namazi shaamo seher
Hai matami halko ki surat
Tayyaar juluso ke lashkar
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Aawaaz zahoor jab aayegi
Pahoche ham sab kaabe par
Paabandi hogi khatm zarur
Aur hoga maatam kaabe par
Aayegi ghaadi lehraaye
Abbas ka parcham kaabe par
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Jo chin liya tha gaasib ne
Waapas wo elaaka lena hai
Abbas ki surat aana hai
Saahil se darya lena hai
Har zulm ka badla lena hai
Aur sham ka badla lena hai
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Ye saari yazidi murda hai
Murdo se aage darna kya
Ham maut ke baad bhi jite hai
Phir maut se pehle marna kya
Mazlum ke dil ki taaqat hai
Mazlum hai ye hai darna kya
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Halmin naasir jo kehta hai
Wo aaj bhi tanha rehta hai
Aajae Imame Asr abi
Mohsin ka badla rehta hai
Maa maktal me hai baithi hui
Bas ek janaza rehta hai
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Padte hai duae nudba qamar
Ham raahe haq ke raahi hai
Ham shadmaam ki khushiyon me
Ham zulmo sitam ki tabaahi hai
Jo aakhri fath ki zaamin hai
Us taaj ke ham bhi sipaahi hai
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (3)

No comments:
Post a Comment