Mat badho janibe khaima
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Ismato aayaye tatheer ke rakwale hai
Hurmate khanaye kaaba ye haram waale hai
(Jhal na jaaye koi khaima)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Dar pe khaime ke hai hamsheer meri mazluma
Mere khaime me sakina hai meri masooma
(Us taraf jaane na dega)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Luthane ke liye khaimo ki taraf wo jaate
Dekh sakta nahi beti ko tamache khate
(Shimr aage nahi badhna)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Tumne abbas ke bi kaat diye the baazu
Meri aaghosh me cheda mere asghar ka gulu
(Kehne ke ye shah ne roka)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Mere chehre pe hai asghar ke lahu ki surkhi
Mere seene me hai akbar ke jigar ki barchi
(Tukde qasim hai laasha)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Akhari saans hai ay zalimo me ghalib hu
Me Hussain ibne ali ibne abi talib hu
(Azm zakhmo se na tuta)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Tum jo badhte ho udar mujhko jalal aata hai
Ya ali ye meri ghairat ka sawal aata hai
(Aage badhne nahi dega)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Teer pebast the me pushte faraz se jo gira
Me gasith tha hua khaimo ki taraf hu badhta
(Beh gaya khoon ka dariya)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Hai yateem usme hi sehmi hui kuch maae hai
Bain karti hui khaime me ye bewaaye hai
(Bibiyo ka hai sahara)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Ay kamar hona hai ik din mere mehdi ka zahoor
Sheh ye kehte hai ye waris mera aayega zarur
(Leke badla wo kahega)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain
Haye baba, pyaare baba
haaye...
sakina kehti jaati thi..(2)
sare shabbir se rokar
arey bitha ta hai mujhe shimr e sitamgar
pushte naaqa par, baba dekhte rehna
aye baba dekhte rehna..(2)
bithata hai mujhe shimr e sitamgar pushte naaqa par
aye baba dekhte rehna..(3)
1. Khuda ke waaste rakhna nazar mujhpar mere baba
najane kyu satata hai ye mujhko darr mere baba
kahi aisa na ho ke raah mein mar jau mai gir kar
baba dekhte rehna..
2. Mere nazdeek se shimr e sitamgar jab guzarta hai
yateemi par khuda jaane meri kyu tanz karta hai
kahi aisa na ho rakhde gulu e khushk par khanjar
baba dekhte rehna..
3. Rehem khaya na meri kamsini par baniye shar ne
shutar ki pusht se bandha hai aye baba sitamgar ne
mai sar se paao tak odhe hue hu zakhm ki chadar
baba dekhte rehna..
4. Meri aankho'n ke aage aap ka chehra rahe baba
mujhe deedar daurane safar hota rahe baba
har ek sadma saha kar lungi lekin mujhko mud mudkar
baba dekhte rehna..
5. Mai sabir baap ki beti hu duniya ko bataungi
mujhe jis haal mein lejaenge aada mai jaungi
na aayega kisi bhi mod par shikwa mere lab par
baba dekhte rehna..
6. Chacha abbas ka sar kyu nazar aata nahi mujhko
mai kabse dhundhti hu par nazar aata nahi mujhko
theher jaye to batlana sare naiza chacha ka sar
baba dekhte rehna..
7. Meri qismat ne aye baba ye kaise din dikhaye hai
khuda jaane ke ab tak kitne patthar maine khaye hai
mai roti hu to ghurbat par meri haste hai ehle sharr
baba dekhte rehna..
8. Laga rakhi hai aye baba mere rone pe pabandi
bata sakti nahi jo kaifiyat is waqt hai meri
musalsal kha rahi hu pusht par kodhe kabhi patthar
baba dekhte rehna..
9. Karu mai dastane ranjo ghum asif bayaa'n kaise
sunaye ehle eemaa'n ko sakina ki fugha'n kaise
sadaa ye aaj bhi shadmaa'n aati hai reh reh kar
baba dekhte rehna..
bithata hai mujhe shimr e sitamgar pushte naaqa par
aye baba dekhte rehna..(3)
Karbala karbala karbala....(2)
Qadam badhta rahe...2
Qadam badhta rahe
Aao karbala ki taraf....
Labo pe ya Hussain ho
Labo pe ya Hussain ho....
Labo pe ya Hussain ho
Labo pe ya Hussain ho....
Labo pe ya Hussain ho
Or aankh ashkbaar
Qadam badhta rahe...2
Qadam badhta rahe
Aao karbala ki taraf....
1. Saath leke karbala ke sher ka alam
(Bawafa sipahi ki tarha uthe Qadam)×2
(Yazidiyat ko rond do)×2
(Badhe chalo badhe chalo)×2
Karbala me jis tarha badhe the sheh ke jaanisaar
2. Raah me khade hai saf ba saf malaika
(Tumko dekh dekh kar kahenge marhaba)
(Tum aza ka chain ho)×2
(Zaaere Hussain ho)×2
Tumse milne ke liye hai ambiya bhi bekaraar
3. Shahe deen fatema ka noore ayn ka
(Jis jagah pe lut gaya tha ghar Hussain ka)×2
(Jaha pe sar qalam hua)×2
(Lahu me tar alam hua)×2
Royi nanhi kabr khod ke jaha pe zulfaqaar
4. Jiske bete hogaye shaheed be khata
(Ran me jiski betiyo ki chin gayi rida)×2
(Jo dasht me ujad gayi)×2
(Hussain se bichad gayi)×2
Wo ghareeb maa tumhara kar rahi hai intezaar
5. Bhai ke mazaar par behan ke saath saath
(Ro rahi hai bain kar ke saari kayenaat)×2
(Zami se taaba aasma'n)×2
(Hai ek matami samaa)×2
Hogi har taraf Hussain ya Hussain ki pukaar
6. Yaad saare momino ko dam ba dam rahe
(Karbala pohonch ke har nigaah kham rahe)×2
(Har ek kanize fatemah)×2
(Bol kar rakhe rida)×2
Ye rahe khayal tum Hussain ke ho sogwaar
7. Khoon me tar namaz padh ke shah ne kaha
(Hai yahi baqaye dee'n raza e kibriya)×2
(Ho bar zameene karbala)×2
(Namaz waqt par ada)×2
Dega sajdaye Hussain bi duae beshumaar
8. Har Qadam ho maqsade Hussain ki taraf
(Badh rahe ho akherat ke chayn ki taraf)×2
(Nazar me gohare azaa)×2
(Ho bas raza e kibriya)×2
Ho safar najaf se karbala ka aaj yadgaar
Qadam badhta rahe...2
Qadam badhta rahe
Aao karbala ki taraf....
Karbala karbala karbala....
Haaye haaye haaye..(2)
Ghabraegi zainab, ghabraegi zainab
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
ali ki laadli ghabra rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)
ali ki laadli ghabra rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)
1. {Zamee'n chup hai falak sehma hua hai
dil e zainab paresha'n ho raha hai}..(2)
ghata zulm o sitam ki chhaa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)
2. {Qaza ki zadd pe zahra ka chaman hai
husaini qafela tashna dahan hai)..(2)
lahu chashme falak barsa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)
3. {Jidhar dekho nazar aata hai lashkar
ajab purhal hai sehra ka manzar}..(2)
yazeedi fauj simti aa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
4. {Kabhi auno mohammad ko bulaya
kabhi seene se akbar ko lagaya}..(2)
kabhi abbas ko samjha rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
5. {Kabhi gehwara e asghar jhula kar
kabhi godi mein bhai ko utha kar}..(2)
sakina khud ko yu behla rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
6. {Rasool e paak ki masnad bichakar
ali akbar ko pehlu mein bithakar}..(2)
sukoon e qalb zainab paa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
7. {Khamoshi dasht mein chai hui hai
sakina aaj ghabrai hui hai}..(2)
sadaa e al atash bus aa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
8. {Qalam khursheed likhta hi rahega
ghame shabbir ka dariya bahega}..(2)
gauhar fikre rasa barsa rahi hai
Shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
Zameen e Karbala pe dil tadapta chod aaya hoon..(2)
Gham e Shabeer mein rota bilakta chod aaya hoon
Mujhe mehsoos hota hai sare maidan mein jaise
Sakina ko andhere mein sisakta chod aaya hoon
Zaifi mein utaye Shaah ko Laashe Ali Akbar
Kabhi ghirta khabi phir se sambalta chod aaya hoon
Dhuwa phayla huwa har ek soo tha us shaame ghariba mein
Mein ek bemaar ka bistar dehekta chod aaya hoon
Gulu e Asgar e besheer ko haatho'n pe Syed ke
Mai ran mein teer e saypal se ulajta chod aaya hoon
Shabe ghurbat mein maadar doondhti thi ghumshuda bache
Use tareek e jungle mein bhatakta chod aaya hoon
Jise Maadar ki turbat pe Ali shab mein chale jaate
Use bazaar se din mein guzarta chod aaya hoon
Sada halmin ki ab har pal mujhe wapas bulati hai
Ali ke laal ko tanha mai ladta chod aaya hoon
Bohut dushwaar tha Karbobala ko alwida kehna..(2)
Rawa saaso'n ko seene mein atakta chod aaya hoon
Labbaik Ya Hussain. ....
Jo suwe karbobala
Jo suwe karbobala banne chala
(Zawware Hussain)x2
(Zawware Hussain)x2
Pehle sun hazare jabar ka mukam
Unka hai khulde mualla me kayam
Nemate hogayi sab unpe tamam
Unko bejha hai imamo ne salam
Sab se pehle hai khitam unko mila
(Zawware Hussain)x2
Barsi rehmat ki ghata deep jhale
Muskura utthi wafa mil ke gale
Khuld bichne lagi kadmo ke tale
Ambiya oliya sab saat chale
Jo suwe karbobala banne chala
(Zawware Hussain)x2
Sar dare shah pe kham karta hai
Apni aankho ko bi nam karta hai
Matame shahe umam karta hai
Uspe allah karam karta hai
Khoob leta hai ibadat ka maza
(Zawware Hussain)x2
Uspe hoti hai ataye nazil
Wo nahi rehta aza se ghafil
Uske azmat ke farishte kayil
Naam hai ahle aza me shamil
Ye jaha waale kaha kuja or kuja
(Zawware Hussain)x2
Door ho jaati hai har ek ghutan
Khil chuta hota hai kismat ka chaman
Keh chuke hai ye shahenshahe sukan
Lout kar aata hai jab apne watan
Saat laata hai shifa khake shifa
(Zawware Hussain)x2
Wo zamaane me ho aabad kahi
Ban ke rehta hai ibadat ka ameer
Apne sajdo se sajata hai zami
Jagmagati hai sada uski jabi
Usko deti hai laqab karbobala
(Zawware Hussain)x2
Tu har ik jaahe shahadat pe gaya
Yaad kar kar ke unhe rota raha
Tere honto pe nazar aayi sada
Ya Hussain haai Hussaina ki sada
Tujhko mazloom behan degi dua
(Zawware Hussain)x2
Rozaye sabte payambar pe gaya
Tune abbas ka dar chum liya
Tune sajde kiye matam bi kiya
Gohare haq ki hidayat pe chala
Tujhse razi hai muhammad ka khuda
(Zawware Hussain)x2
Labbaik Ya Hussain. ....
Jo suwe karbobala
Jo suwe karbobala banne chala
(Zawware Hussain)x2
(Zawware Hussain)x2
Pehle sun hazare jabar ka mukam
Unka hai khulde mualla me kayam
Nemate hogayi sab unpe tamam
Unko bejha hai imamo ne salam
Sab se pehle hai khitam unko mila
(Zawware Hussain)x2
Barsi rehmat ki ghata deep jhale
Muskura utthi wafa mil ke gale
Khuld bichne lagi kadmo ke tale
Ambiya oliya sab saat chale
Jo suwe karbobala banne chala
(Zawware Hussain)x2
Sar dare shah pe kham karta hai
Apni aankho ko bi nam karta hai
Matame shahe umam karta hai
Uspe allah karam karta hai
Khoob leta hai ibadat ka maza
(Zawware Hussain)x2
Uspe hoti hai ataye nazil
Wo nahi rehta aza se ghafil
Uske azmat ke farishte kayil
Naam hai ahle aza me shamil
Ye jaha waale kaha kuja or kuja
(Zawware Hussain)x2
Door ho jaati hai har ek ghutan
Khil chuta hota hai kismat ka chaman
Keh chuke hai ye shahenshahe sukan
Lout kar aata hai jab apne watan
Saat laata hai shifa khake shifa
(Zawware Hussain)x2
Wo zamaane me ho aabad kahi
Ban ke rehta hai ibadat ka ameer
Apne sajdo se sajata hai zami
Jagmagati hai sada uski jabi
Usko deti hai laqab karbobala
(Zawware Hussain)x2
Tu har ik jaahe shahadat pe gaya
Yaad kar kar ke unhe rota raha
Tere honto pe nazar aayi sada
Ya Hussain haai Hussaina ki sada
Tujhko mazloom behan degi dua
(Zawware Hussain)x2
Rozaye sabte payambar pe gaya
Tune abbas ka dar chum liya
Tune sajde kiye matam bi kiya
Gohare haq ki hidayat pe chala
Tujhse razi hai muhammad ka khuda
(Zawware Hussain)x2
No comments:
Post a Comment