Jab Chali Talwar Haye Zehar Mein Dobi Hoi.
Sar Shikasta Ho Gaya Uth Na Sakay Maula Ali.
They Sirhaney Shabar-o-Shabeer Our Abbas Bhi. Baap Ko Jab Betiyon Ki Yaad Tarpaney Lagi.
Dekh Kar Beton Ka Chehra Yeh Ali Kehne Lagay. Waqt Kam Hai Betiyon Ke Pas Le Jao Mujhe.
Dekh Kar Zainab Ko Meri Sans Mein Sans Aaye Gi. Dekh Kar Kulsoom Ko Yeh Zindagi Barh Jaye Gi.
Baap Kuch Din Our Jee Le Betiyon Ke Samne.
Zakhm Zarbat Ka Wahan Yeh Dekhna Zahir Na Ho. Khon Sar Se Saaf Kar Ke Phir Amama Bandh Do. Betiyaan Ghabra Na Jaein Meri Halat Dekh Ke.
Haye Phir Shabeer Se Rotay Hoye Bolay Ali.
Woh Agar Mangay Tu De Dena Nishani Baap Ki.
Yeh Musalla Sath Rakh Lo Meri Zainab Ke Liye.
Iss Liye Hi Baap Se Beti Ka Hai Rishta Hai Ajab. Betiyaan Hain Baap Ki Maiyyat Pe Ronaq Ka Sabab. Khush Naseebi Hai Khuda Beti Atta Kar De Jisay.
Apne Baba Ke Janazay Par Jo Roein Fatima.
Oss Ghari Main Apni Zainab Ke Liye Rota Raha.
Kitna Mushkil Hai Bicharna Betiyon Ka Baap Se.
Kal Main Jab Kulsoom Ke Ghar Se Chala Roney Lagi. Mere Seene Se Lipat Kar Mujh Se Yeh Kehne Lagi.
Ja Rahe Hain Laut Kar Phir Aaeingay Kab Ghar Mere.
Le Chalo Ab Betiyon Se Door Main Kaisay Rahon. Zainab-o-Kulsoom Ke Ja Kar Main Shaney Chom Loon.
Haan Issi Kofay Mein Hoon Gay Hath Dono Ke Bandhay.
Dekh Kar Abbas Ka Chehra Ali Ne Yeh Kaha.
Samne Rehna Hamesha Orh Kar Meri Abba. Betiyaan Jeeti Rahein Chehra Tumhara Dekh Ke.
Haye :ZEESHAN:-o-:RAZA: Jab Hukam Baba Ka Suna. Ghar Ki Janib Le Chaley Betay Basad Aah-o-Baqa. Our Ali Beton Se Ro Ro Kar Yehi Kehte Rahe.
Hussain... hussain.... hussain
Kya puchte ho ehle azaa
Haye kya karu bayaa'n
Mai zakir e hussain hu
Aur ek nauha khwaa'n
Aaya hu karbala se basad ranj aur fughaa'n
Koi kare sawaal ye aansu hai kyu rawaa'n
Dil karbala mein reh gaya
Mai aagaya yaha'n
Yeh dil bina hussain ke..(2)
Aaye sukoo kaha'n
Dil karbala mein reh gaya
Mai aagaya yaha'n
1. Naam e hussain kafi tha rone ke waaste
Ek ek qadam rulati hai yu karbala mujhe
Pehle mai khaimagaah e hussaini pe ruk gaya..(2)
Yaad aagaya ke ek bahan yaa thi nauha khaa'n
Ghurbat mein qatl hogaya mazloom be watan
Mai bhai bhai kehti thi laasha bahan bahan
Mai bhai bhao kehti thi laasha bahan bahan..(2)
Dil karbala mein reh gaya
Mai aagaya yaha'n
2. Nikla mai uske baad khayam e hussain se
Aasar thodi door the qatl e yadain ke
Dekha muqam e baazu bureeda mai ro diya..(2)
Kaise pukara hoga wafao ka aasma'n
Mere haath nahi hai, mere haath nahi hai..(2)
Dil karbala mein reh gaya
Mai aagaya yaha'n
3. Nazdeek tha maqam e ali akbar e jawa'n
Girya kuna thi sehra liye kal bhi bibiya'n
Aawaz ek fizao'n mein dil ko hilati thi..(2)
Baba mile to kehna ke kehta tha ek jawa'n
Hai jaan ab labo'n par barchhi na khechna
Bole pidar se akbar barchi na khechna
Dil karbala mein reh gaya
Mai aagaya yaha'n
4. Gehwara ek choti imarat mein tha rakha
Gehware mein shaluka tha ek khoon mein bhara
Gehwara choom choom ke de de ke loriya'n
Lagta tha keh rahi ho hussain o hasan ki maa
Maa qurbaan asgar jaan aajao
Dil karbala mein reh gaya
Mai aagaya yaha'n
5. Han wo muqaam jo ke zamee'n se buland tha
Beti ali o zehra ki pohchi basad buka
Dekhi jo chalte gardan e shabbir par churi..(2)
Zainab pukari baba ghazab hogaya yaha'n
Zainab lipat ke baap se deti rahi sadaa
Sattar (70 ) qadam ka faasla bhai bahan mein tha..(2)
Dil karbala mein reh gaya
Mai aagaya yaha'n
6. Jannat nisha hai aaj bhi roza hussain ka
Maqsood e kayenaat hai baba hussain ka
Itne ameer baap ke bete ne kyu kaha..(2)
Faryaad kar rhi ho jo sukhi hui zubaa'n
Amma ghareeb hu mai, amma ghareeb hu mai..(2)
Dil karbala mein reh gaya
Mai aagaya yaha'n
7. Manzar bada ajeeb tha rehan aur raza
Maqtal ki simt jaane lage shah e karbala
Aur neend se sakina ke chehre pe warm tha..(2)
Godi mein leke sheh ne kaha ab na ho fughaa'n
Meri sakina ko neend aa rhi hai..(2)

No comments:
Post a Comment