Shabbir aa rahe hai..(2)
maqtal mein..(2)
Shabbir aa rahe hai..(2)
maqtal mein..(2)
Shabbir aa rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
zakhme jigar ko apne..(2)
akbar chupa rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
1. Bole hawa se akbar, kuch khaak hi udaa de
seena ghame sina ke, lillah tu chupa de
hum zakhm kha chuke hai, wo zakhm kha rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
2. Kuch der neend karlo, jaage ho raat bhar ke
kuch kaam hai phuphi ke, kuch shaam ke safar ke
hum raasto ke kaante, baba hata rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
3. Aana hai gar zaroori, is dasht e be amaa'n mein
is abr e teero khanjar, is barish e sina mein
abid ko bhej dijiye, kyu aap aa rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
4. Barchi ka phal hamare, seene mein kab hai utra
yaad aagayi thi sughra, seene mein dard uttha
seene pe haath rakhke, yaadein bhula rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
5. Sheh ne pa-e tasalli, akbar ko ye sadaa di
aye mere laal tumko, ab tak khabar na pohchi
sughra ka khat hai aaya, hum dene aa rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
6. Akhir wo waqt aaya, shabbir ladkhadaye
ghutno ke bal wo chalke, laashe pisar pe aaye
bole ae laal uth jaa, hum khat suna rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
7. Khat kya sunate maula, aansu bahake bole
wo kaise khat sunega, jo aankh tak na khole
hum aansuo se sughra, khat ko mita rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
8. Barchi jigar se khaichi, ubla lahu ka dhara
akbar tadap ke bole, ruk jaaiye khudara
sughra se kya hai kehna, hum wo bata rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
9. Laashe pisar pe maula, ghash khake gir chuke the
maqtal mein gunjte the, saidaniyo ke nauhe
rehan aur raza jo, dohraye jaa rahe hai
Jis dum suna ke baba, maqtal mein aa rahe hai..(2)
Shabbir aa rahe hai...Shabbir aa rahe hai
maqtal mein..
Shabbir aa rahe hai
Haaye,
Zindaaa'n mein jab sakina ki jaa'n lab pe aagayi
boli wo roke kehde pidar se zara koi
hasrat thi nikli aapki godi dum mera
seene pe sar rakhu to mujhe chayn aaega
choome qadam sakina ke jhukkar jo maut ne
boli wo maa se amma karo qibla roo mujhe
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
amma ye raat jaan meri leke jayegi
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
1. Ruk ruk ke saans aati hai kholo rasan zara
amma nikalne wala hai seene se dumm mera
kya is andhere ghar mein mujhe maut aayegi
amma ye raat jaan meri leke jayegi
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
2. Lele ke god mein mujhe roti hai kyu phuphi
kisse chhupa rahi yaha to koi nahi
taqdeer jaane ab kya sitam mujhpe dhaayegi
amma ye raat jaan meri leke jayegi
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
3. Phir rote rote aankh sakina ki jab lagi
dekha padar ko khwaab mein bachhi tadap uthi
boli sakina baba ke humraah jaayegi
amma ye raat jaan meri leke jayegi
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
4. Aaye the lene baba abhi to mujhe yaha
aye bibiyo batao pidar hai mere kaha
kehte the ab sakina mere saath jayegi
amma ye raat jaan meri leke jayegi
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
5. Ye sunke shor e girya utha yu ke al amaa'n
bheja yazeed ne sare shabbir nagahaa'n
qismat pidar se haaye ye kaise milayegi
amma ye raat jaan meri leke jayegi
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
6. Haye haye rage guloo se tapakta hai khoo'n abhi
baba pe mere kisne jafa is tarah se ki
sadma sakina ab ye utha bhi na payegi
amma ye raat jaan meri leke jayegi
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
7. Rehan jab sakina ne thama sare hussain
khamosh hogai wo raza karte karte bayn
bano ko muddato ye sada ab rulayegi
amma ye raat jaan meri leke jayegi
baba na aayenge, na mujhe neend aayegi..(2)
Sher hue do waarde lashkar
maqtal mein barpa tha mehshar
fakhr se apne sar ko uthakar
kehti thi abbas ki khwahar
haan ye mere bete hai..(4)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
1. Naam hai inke aun o mohammad
haider ke akkas hai ye
mulk e wafa ke dono makee'n hai
dono hi abbas hai ye
fatima zehra ke hai nawase
mamu par jaa'n dete hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
2. Maine inhe takeed ye ki thi
darya par mat jaana tum
maqtal mein pyaase hi rehna
sabr e ali dikhlana tum
waqt e wigha ye bint e asad ki
god ke paale lagte hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
3. Aun mohammad se kehta tha
bhai bhool na jaana tum
hum hai ali akbar ka sadqa
amma ka nazrana tum
shukre khuda amma ke sajde
fakhr se kehte rehte hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
4. Ghar jaana hai khoo'n mein nahake
pohche jab khaimo mein laashe
khushk zabaa ko dekhke amma
kehde hai shehzade pyaase
hukm e madar maanne wale
marke zinda rehte hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
5. Aun o mohammad ki ye hasrat
puri hui zindaan mein jaakar
jab waqt e azaadi aaya
nauk e sina se utre jab sar
boli zainab peet ke sar ko
lawaris jo dikhte hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
6. Aun o mohammad jaise bete
kaash khuda rehan o raza de
fakhr se sar uncha ho maa ka
baap kare sajde pe sajde
rooh e abu talib ye pukare
haider jinko rote hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
Wa hijaba wa abbasa..(6)
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
zainab e muztar pukari shamiyo ke darmiya'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
1. Zamine chadar banakar laayi thi ghar se jise
mai sadaye de rahi hu koi batla de use
sar khula hamsheer ka hai hone waali hai azaa'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
2. Wo amama ho rida ho sar se nisbat hai use
kaun hai ye saanha batlaye ab zainab kise
bhai ka sar meri chadar hai sare nauke sina
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
3. Haath se chehra chhupau ya ke dhaapu apna sar
tu madad kar ab ghareebo ki khuda e behrobar
haath kab azaad hai bandhi gayi hai rassiya'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
4. Tumko pala hai bade naazo se is dilgeer ne
dediya tha bachpane hi mein mujhe shabbir ne
aye ali akbar bata do tum to na lo imtehaa'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
5. Saaqiye kausar ka beta aur saqqa e haram
ye khabar aayi hai uske hogaye baazu qalam
maut hai sar par khadi aur le raha hai hichkiya'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
6. Qabr e asghar ki taraf rukh karke dukhiya ne kaha
ae mere kamsin mujahid ye mere sarki rida
shimr kaise cheen sakta tha jo tum hote jawa'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
7. Roohe zainab aajtak jis ghar pe rehan o raza
dekhti hai parchame abbas par doshe hawa
puchti hai wo kaha'n hai jiska parcham hai nishaa'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade..(2)
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
1. Arshe bari ho jiska musalla
sajda jise karta ho qibla
jiski sukunat sehne kaaba
jiska amama gumbade khazra
jisse hai aabru, deene khuda ki wo hussain
haideri zebo zayn, fatima zehra ka hai chayn
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
2. Shane qayadat roohe imamat
jiski mawaddat ajre risalat
barsare naiza husne tilawat
sabr hai jaisa waisi shaja'at
aye shahe mashraqayn, aye dil o jaane karbala
aap hi ibteda, aap hi ishq ki intehaa
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
3. Chehra tera wan-najm ki surat
gesu tere wal-layl ki aayat
badr e tamami qad aur qamat
aankho ki hai wan-noor alamat
qalbe qur'an ke, noor mein baham hai hussain
usme ek lafz hai, uska mujassam hai hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
4. Hurr se dilawar kya the, kya hai
rahib o fitrus tujhpe fida hai
jitne shaheede karbobala hai
teri ataa pe mehwe sanaa hai
sura e rehman ki, puchiye kya tafseer hai
khud kahega khuda, bus wo mera shabbir hai
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
5. Karbobala ab humko bulaye
farshe zamee'n par arsh dikhaye
khake shifa dastaar banaye
roze pe tere sar ko jhukaye
karbala naam hai, ishq ki us me'raj ka
paa sake koshishe, karke bhi na jise ambiya
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
6. Kaisi sahar ashoor ki aayi
kaisi sitam ki aandhi chhayi
baqi rahe na bete bhai
roti rahi tujh par tanhai
ran ko jo bhi gaya, tujhpe fida hota raha
ro rahi hai aaj bhi, gham me tumhare karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
7. Fakhr hame salman o raza hai
humko mayassar farsh e azaa hai
fatima zehra ki ye ataa hai
lab pe hamare jo nauha hai
baadshahi se badh-kar, hai hamari naukri
dhadkane qalb hai, naam e hussain ibn e ali
Ya Hussain, Ya Hussain
Ishq e ali o zahra hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Aaja asghar lori sunau..(2)
khali jhula kaise jhulau
Aaja asghar lori sunau
khali jhula kaise jhulau
Aaja asghar lori sunau
Dil se lagau, naaz uthau
aaja asghar lori sunau
1. Kaale gesu, rang sunehra
kitna hasee'n tu, chaand hai mera
khaak o lahu mein, lekin dooba
phoolo jaisa, tera chehra
dhoop mein ran ki, kaise bachau
aaja asghar lori sunau
2. Ek ek pehlu, teri khushboo
chaaro taraf hai, mere phaili
tera kurta, tera shaluka
aise basa hai, yaad me meri
jitna sochu, doobti jaau
aaja asghar lori sunau
3. Chaand se badhkar, tera ujaala
maine safar mein, tujhko paala
rehgayi hasrat, ghar ke sahan mein
na tu chala aur, na tu khela
ungli pakadkar, tujhko chalau
aaja asghar lori sunau
4. Akbar mera, pehne sehra
tumko banau, mai shahwala
makhmal jaise, phoolo wala
chhota sa ek, pyaara sehra
sar pe tumhare, beta sajaau
aaja asghar lori sunau
5. Nazuk se gardan pe tumhari
maine suna hai, zakhm laga hai
kaisa sitam zalim ne kiya hai
tu chhota hai, teer bada hai
roti jaau, kehti jaau
aaja asghar lori sunau
6. Kyu na padhe salman o raza hum
nauhe ke soorat mein lori
lori sunane ki hasrat thi
jo na hui madar ki puri
kehti thi mai, mar na jau
aaja asghar lori sunau
Chaa gayi jab madine mein tareekiya'n
chaand surkhi liye rukh pe zahir hua
sheh ke hujre se rone ki aayi sadaa
yaad akbar ki phir se ghazab dhaa gayi
sughra khat likhne baithi thi ghash khaa gayi
hosh aaya, hosh aaya
to thama jigar aur likha
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n..(2)
haaye ab tak mai zinda hu'n..(2)
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
1. Byaah akbar ka jis dum rachaoge tum
tha yaqee'n baba mujhko bulaoge tum
haaye qismat ne kya din dikhaya mujhe
bujh gaya tha jo ummeed ka ek diya
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
haaye ab tak mai zinda hu'n..(2)
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
2. Fajr ki jab mai sunti hu baba azaa'n
yaad e akbar mein hote hai aasu rawa'n
karb aisa madine mein hai chaar su
jaise ghar se kisike janaza utha
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
haaye ab tak mai zinda hu'n..(2)
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
3. Baba kaisi hai bali sakina meri
phool jaisi wo nazuk si behna meri
titliya'n dhundhti hai seher shaam use
wo gayi kya ke har phool murjha gaya
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
haaye ab tak mai zinda hu'n..(2)
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
4. Khali asghar ka jhula jhulati hu mai
loriya'n deke aasu bahati hu mai
qabr hai ab to baba ye ujda makaa'n
khali hujre hai samaa'n meri maut ka
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
haaye ab tak mai zinda hu'n..(2)
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
5. Guzre kuch din chali surkh aandhi yaha'n
yu laga jaise humpe gira aasma'n
khoon tapka falak se zamee'n kaa'np uthi
kaisa manzar tha zakhmi jigar kar gaya
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
haaye ab tak mai zinda hu'n..(2)
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
6. Asr ka waqt baba qayamat ka tha
shor girya baqayyah se uthne laga
khake ghash gir padi dadi ummul bani
mere seene mein lagta tha dum na raha
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
haaye ab tak mai zinda hu'n..(2)
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
7. Mujhpe aajaye aana ho jo bhi bala
mere kunbe ko abaad rakhe khuda
kitna zakhmi hai dil kaise tehreer ho
phir samar likhke sughra ne khat rakh diya
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
haaye ab tak mai zinda hu'n..(2)
baba jaa'n, baba jaa'n, baba jaa'n
baba jaa'n, baba jaa'n
Madar e aqdas ki turbat pe gaye jis dum hussain
hogaye hairan pehle se waha'n barpa the bayn
pucha jab shabbir ne amma se rone ka sabab
qabr e zehra se sadaa aayi nahi hai dilko chayn
nana se kiya wada jab tum nibhaoge
maa aayegi hussain..(2)
nana se kiya wada jab tum nibhaoge
maa aayegi hussain..(2)
Mimbar sina ki nauk pe jab tum sajaoge
maa aayegi hussain..(2)
nana se kiya wada jab tum nibhaoge
maa aayegi hussain..(2)
1. Aye laal jab khareedoge maqtal ki tum zamee'n
rakhna khayal ho wo zamee'n neher ke qareeb
jab neher se sakina ko paani pilaoge
maa aayegi hussain..(2)
2. Rakhna qadam zameen par lekar ali ka naam
karna na bhulna abu talib ko tum salam
bint e asad ki nazr waha jab dilaoge
maa aayegi hussain..(2)
3. Baade namaz e jung ka aaghaz dekhne
hurr jaise jaanesar ka andaaz dekhne
ghode pe hurr ko padhke dua jab bithaoge
maa aayegi hussain..(2)
4. Waqt e sahar azaa'n ali akbar ki hogi jab
doobega khoon roke waha'n mahtab e shab
aur tum safe namaz e shahadat pe jaoge
maa aayegi hussain..(2)
5. Karke khizaab khoon se asghar ki laash par
thaame hue jigar ko jhukae hue nazar
laasha, laasha garam zameen mein jis dum chupaoge
maa aayegi hussain..(2)
6. Wo hausla bhi dekhne beta mai aaungi
lekin nigaahe tujhse mai kaise milaungi
mayyat jawan laal ki jab tum uthaoge
maa aayegi hussain..(2)
7. Jab zeen na zameen par hoga tera badan
teero pe laash hogi teri jab ke bekafan
tum amma amma kehke hume jab bulaoge
maa aayegi hussain..(2)
8. Hai ye sada baqiyyah se rehan aur raza
karte hai jo jahan mein beta teri azaa
bakshish ko unki hashr mein jab tum bulaoge
maa aayegi hussain..(2)
nana se kiya wada jab tum nibhaoge
maa aayegi hussain..(2)
Ya hussain, ya hussain..(2)
mera qad chota, phupiya hai badi..(2)
gardan mein rasan sabke hai bandhi..(2)
mai paao'n zamee'n par kaise rakhu
mai kaise chalu..(4)
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma, dukh raha hai gala
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
1. Mere payr zamee'n par tikte nahi
aur zalim hai ke rukte nahi
ab dard se mai chillati hu
aada ke tamache khati hu..(2)
ghum, ranjo masaeb, alam
sehti hu har dum sitam
rukti nahi hai jafa, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
2. Dada meri mushkil karde kusha
hojaye meri hajat ye rawa
na saya hai na paani hai
dadi ki kahani maani hai..(2)
aye mushkil kushaye jahan
mushkil mein hai meri jaa'n
mar jaungi ba khuda, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
3. Bhai hai mera beemar e hazee'n
godi mein mujhe le sakta nahi
zanjeer e sitam hai payro mein
aur khaar biche hai raaho mein..(2)
wo rota hai mere liye
rou mai uske liye
jaari hai ye silsila, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
4. Chalti thi kabhi mai phoolo mein
mai soti nahi thi jhoolo mein
bistar tha mera tera seena
kya yaad nahi tumko baba..(2)
mai sojati is khaak par
itni thakan hai magar
aayegi ab neend kya, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
5. Mai payro chal kar jaati thi
ammu ke gale lag jaati thi
godi mein chacha behlate the
aur zere alam le jaate the..(2)
jo hota agar bawafa
hoti qayamat bapa
kehdeti gar mai chacha, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
6. Rehan o raza wo shahzadi
ek lamhe ko khaamosh hui
najane khayal aaya kaisa
wo kehne lagi rokar dukhiya..(2)
haye, khanjar se kaata gaya
baba tumhara gala
kaise kahu mai bhala, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
Mehsoos kare koi to, dil kaap uthega
sailaab e ghamo dard hai, roke na rukega
khud kaatib e taqdeer basad dard likhega
maqtal ki zamee'n roegi, zindaan kahega
Pardes hai ghurbat hai, (barabar ki thakan hai)..(2)
Abbas sa bhai hai to, (zainab si bahan hai)..(2)
1. Ek saniye zehra hai, to ek saniye haider
shabbir ka ek bhai hai, (aur ek hai khwahar)..(2)
Hai boodhe ali bhai , (bahan rashke chaman hai)..(2)
Pardes....
2. Ek zamine chadar hai, sabhi ehle haram ka
aur ek ki rida dhoop mein, (saaya hai alam ka)..(2)
ek dharas e shabbir hai, (ek qalb e hasan hai)..(2)
Pardes....
3. Dono ne wafao'n ka, bharam aise rakha hai
ye hukm ka paband wo, (paband e haya hai)..(2)
ek tashna e paykar hai, (ek tashna dahan hai)..(2)
Pardes...
4. Dono hi alamdaar e wafa hai sare maidaa'n
ye asr se pehle wo, (pase shaame ghareeba'n)..(2)
kaapa huwa sehma hua, (dono se hi rann hai)..(2)
Pardes...
5. Ek majlis o matam ki, bena daalne wali
ek baad e shahadat bhi hai, (maidaan ka ghaazi)..(2)
ek hai bani hashim ka qamar, (ek kiran hai)..(2)
Pardes...
6. Bazu the bandhe sar tha, khula jab ke behan ka
be bazu alamdaar tha, (mohtaj kafan ka)..(2)
dono ke kalejo me, (musalsal ye chubhan hai)..(2)
Pardes...
7. Wo barsare naiza tha, ye kaa'nto pe rawa thi
sar uska gira naize se, (ye mehwe fugha thi)..(2)
ye khoon ki taseer hai, (rishto ki lagan hai)..(2)
Pardes...
8. Abbas ki ik aankh mein jab teer chubha tha
dil thaam ke zainab ne, (basad dard kaha tha)..(2)
majboor hu bhaiyya mere, (haatho'n me rasan hai)..(2)
Pardes...
9. Rehan o raza zainab o ghaazi ki dua hai
wallah ye shehzaadi, (sakina ki ataa hai)..(2)
is nauhe me taaeed e (shehenshahe zaman hai)..(2)

No comments:
Post a Comment