Thursday, 20 February 2025

Farhan - ALI WARIS - 2016

Sunle sadaa mere sakhi maula..(4)
Jhukte hai jaha'n shah bhi, tera wo astaa'n..(2)
Abbas tere dar sa duniya mein dar kaha'n..(2)
Maula..

1. Tu kamar e bani hashim, zehra ki tu dua hai..(2)
saaya tere alam ka, do jag pe ba khuda hai..(2)
tere alam ko choomne jhukta hai aasmaa'n
abbas tere dar sa..

2. Jo bhi khuda se maanga, tere alam se paaya..(2)
tere alam ka saaya, hai kibriya ka saaya..(2)
kyu na tere alam pe aakar kahe jahaa'n
abbas tere dar sa..

3. Tere darr ke hai bikhari, sab auliya, qalandar..(2)
sajde kare farishte, chaukhat pe teri aakar..(2)
dene lage zamee'n par qudsi bhi ye azaa'n
abbas tere dar sa..

4. Mushkil kusha ali hai, mushkil kusha hai tu bhi..(2)
wo dast e kibriya hai, rabbe wafa hai tu bhi..(2)
padhte hai ali waley yehi manqabat yaha'n
abbas tere dar sa..

5. Roze pe tere aake, ehsaas ye hua hai..(2)
ye ghar hai panjetan ka, is ghar mein hi khuda hai..(2)
sajde mein gir gaya mai dekar yehi bayaa'n
abbas tere dar sa..

6. Dardar bhatakne walo, ek baat meri maano..(2)
be dast is sakhi ke, dar par jabee'n jhukalo..(2)
be saakhta kahoge, khologe jab zabaa'n
abbas tere dar sa..

7. Farhan tere darr ka, naukar hai mere ghaazi..(2)
ek qarz ma'refat ka, mujhpe hai mere ghaazi..(2)
padhlu namaz e midhat dekar yehi azaa'n
Abbas tere dar sa duniya mein dar kaha'n..(2)

Maula, maula ghaazi
shehenshaaah, maula ghaazi
saqqa e sakina..

ali ali, ali ali, ali ali, ali ali..(2)
Is baat pe kyu kar na kare fakhr mawali
socha nahi bus humne to maana hai ali ko
batlati hai ye kaabe mein maujood dararein
is ghar ne bohot toot ke chaaha hai ALI ko

ali ali maula ali ali maula ali ali maula ali ali ali ali..(2)
ali ali maula ali ali maula ali ali maula ali ali

Masjid boli, mimbar bola..(2)
13 rajab ko kaaba bola
ali ali maula ali ali maula
saath zaba'n ke dil ye bola

ali ali maula ali ali maula
13 rajab ko kaaba bola

1. Charo'n taraf midhat ki fizaein
aao zamane bhar ko sajaein
aaj zahoor hai maula ali ka
kyu na khushi mein naara lagaein
wajd mein aakar, naara lagaya
ali ali maula haider maula

ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola
ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola

2. 13 rajab ki bazm sajai
khoob hui fir madha sarai
ishq tera darwaish banae
ishq tera bakshe danaai
khoob wila ka jaam piya tha
phir bhi nashe mein mai nahi dola

ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola
ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola

3. Tune namaz e ishq sikhai
tune hume tauheed batai
kaun baya'n kar paega maula
teri fazeelat teri badaai
padhne laga wo tera qaseeda
jab bhi kabhi qur'aan ko khola

banao jashn ke kaabe mein aa rahe hai ali
khuda ke ghar se buto'n ko bhaga rahe hai ali
jidare kaaba ne has kar kaha khuda ki qasam
mujhe tawaaf ke qabil bana rahe hai ali

4. Joothi khudao'n walo aao
joothe khudao'n ko le jao
aa gaya ghar ka malik dekho
apni duka'n kahi'n aur lagao
aagai andar madar e haider
jhoom ke kaaba fir ye bola

ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola
ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola

5. Marhab se ladte bhi dekha
tanha use rote bhi dekha
sajda use karte bhi dekha
sajda use hote bhi dekha
sajid aur masjood ali hai
raaz yahi salmaan ne khola

ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola
ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola

6. Rasm e wafa duniya ne chala di
ishq ki wo tehzeeb sikha di
karta raha duniya mein manadi
meesam tha is wird ka aadi
kaati zabaa'n jab ehle sitam ne
daar pe jaakar meesam bola

ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola
ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola

7. Padhte hue mai nahj e balagha
ishq mein tere soch raha tha
kya hai teri me'raj bata de
tujh ko sare me'raj bhi dekha
mere lahu mein, mere junoo mein
tere ishq ne hi ras ghola

ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola
ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola

8. Mulk e adam par teri hukumat
khuld o iram par teri hukumat
marziye rab ka malik tu hai
lauh o qalam par teri hukumat
duniya tujhko rabb kehti hai
jab jiska eemaan tatola

ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola
ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola

9. An'amta ka raaz bhi tu hai
nabiyo ka dam saaz bhi tu hai
'Mazhar' ka eemaan hai maula
hatif ki aawaz bhi tu hai
madha sana 'Farhan' hua to
kehne laga darwaisho ka tola

ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola
ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola

ali ali maula ali ali maula ali ali maula ali ali ali ali..(2)
ali ali maula ali ali maula ali ali maula ali ali

Kaash mai daur e payambar mein uthaya jaata..(2)
ba khuda qadmo mein sarkaar ke paaya jaata
kaash mai...

1. Saath sarkaar ke ghazwaat mein shamil hota..(2)
unki nusrat mein lahu mera bahaya jaata

2. Ret ke zarro mei Allah badal deta mujhe.(2)
phir mujhe raahe Mohammad mei bichaya jaata

3. Khaak hojata mai sarkaar ke qadmo ke tale..(2)
khaak ko khaak e madina mein milaya jaata

4. Milke sab log mujhe matti se gaarha karte..(2)
phir mujhe masjid e nabawi mein lagaya jaata

5. Kaash aye kaash..(2)
kaash aye kaash mai hota koi aisi lakdi..(2)
jisko sarkaar ke mimbar mein lagaya jaata

6. Unke roze ke daro baam sajane ke liye..(2)
rozano mein meri aankho' ko lagaya jaata

7. Laaya jaata sare darbaar aseero'n ki tarha..(2)
hukm par unke mai azaad karaya jaata

8. Ya utarta mai kisi naat ke misre bankar..(2)
ru ba ru unke mai unko hi sunaya jaata

9. Hote us daur ka qissa koi "Noor" o "Farhan"..(2)
Aaj ke daur mein baccho ko padhaya jaata
Kaash mai daur e payambar mein uthaya jaata
ba khuda qadmo mein sarkaar ke paaya jaata
Kaash mai daur e payambar mein uthaya jaata

Ya Mohammad.. Ya Mohammad..(5)
Madina kab bhala firdaus se kam hai kisi surat
ye hai wo raaz jo humko farishto ne bataya hai
meri qismat pe naaza hai muqaddar saari duniya ke
mere sarkaar ne mujhko watan apne bulaya hai
madiney ka musafir hu..(4)

Salaam un paak rasto'n par jaha'n sarkaar guzre hai
salaam un paak galiyo'n par jaha'n hasnain(a.s.) khele hai
dare zehra(s.a.) jaha'n aakar, farishte bheekh lete hai
unhi rasto'n, unhi galiyo'n, usi darr ka mujawir hu,

Aye zawwaro'n Mohammad(s.a.w.w.) ke, tumhe sar par uthaunga
tumhe raste mein mai sarkaar ki naatein sunaunga
jo thak kar baith jao tum, mai payro ko dabaunga
mere ham raah ho jao, mai har khidmat ko hazir hu

Baqayya jaate hi khudko zamee'n par mai giraunga
nabi ki aal ki gurbat pe mai aasu bahaunga
masaeb aale ahmed ke mai duniya ko sunaunga
tadapta hai ye dil kitna, mai batlane se qasir hu

Madiney jaake mai sarkaar ki mehfil sajaunga
mai khud sarkaar ko sarkaar ki naatein sunaunga
pakad kar jaaliya'n unse sanad bakhshish ki paunga
karam farhan par kar dein mere aaqa mai zaaer hu
madiney ka musafir hu..(4)

Sakina.. sakina.. sakina... sakina..(2)
Jaise ke bayaa'n ho nahi sakta
do lafzo mein qur'aan sakina
sakina.. sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)
kaise mai likhu dusra qur'aan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

1. Shabbir ke hoto'n pe hai bibi teri midhat..(2)
ya lab pe hai qur'an ke qur'an sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

2. Ek samt hai shabbir to ek samt hai abbas..(2)
gehware ki tere hai ajab shaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

3. Qur'aan e taharat mein ho tum sura e kausar..(2)
is par hai mukammal mera eemaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

4. Parcham to bohot aur bhi duniya mein hai lekin..(2)
hai parcham e abbas ki pehchan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

5. Shabbir ye kehte ho ke tum jisme nahi ho..(2)
ghar aisa nazar aata hai veeran sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

6. Us shakhs ka rutba koi abbas se puche..(2)
jo hai tere darbaar ka darbaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

7. Jab shaam ke darbaar mein hoti hai azaanein..(2)
hota hai teri jeet ka ailaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

8. Is khwaab ki tabeer dikha de mujhe bibi..(2)
mai phir se hua hu tera mehmaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

9. Dil mein hai mere ek hi armaan sakina..(2)
nikle tere rauze pe meri jaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

10. Sab kuch mai luta deta hu shabbir pe phir bhi..(2)
hone nahi deti mera nuksaan sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)

11. Ash'har ne kaha badh gayi tauqeer teri aur..(2)
beti ka rakha naam jo 'farhan' sakina
midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2)
Sakina.. sakina.. sakina... sakina

Tu aye taqdeer taaje azmat e kaunain rakh dena..(2)
Tu aye taqdeer taaje azmat e kaunain rakh dena
Mere sar par mere sarkaar ki nalain rakh dena

Ilahi dekhlu mai bhi to abru e Mohammad ko..(2)
Meri aankhein zara qausain ke mabain rakh dena

Kaha Allah ne qausain kab hadd hai Mohammad ki..(2)
Jaha'n ye aap ruk jaye wahi qausain rakh dena

Azeezo saath mere izzate darain rakh dena..(2)
Kafan ke saath mein khaak e dare hasnain rakh dena

Jo hai qur'aano itrat se gara palla do aalam ka..(2)
To is naat mein ek qafiya saqlain rakh dena

Farishte jab mere amaal ke baare mein kuch puche..(2)
To unke aage naat e sarwar e kaunain rakh dena

Sarosh aankhein teri arshe bari ki sair kar lengi..(2)
Tu inko zere paaye sahib e kausain rakh dena

No comments:

Post a Comment