Haye jafar e sadiq.. haye jafar e sadiq..(2)
Kazim utha rahe hai jafar ka janaza..(2)
Haye hussain kehkar aansu baha rahe hai
kazim utha rahe hai jafar ka janaza..(2)
1. Taboot ko utha kar kitne qadam badhaye
har ek qadam pe unko sajjad yaad aaye
abid ki bebasi ka nauha suna rahe hai
2. Mansoor ne ghiza mein zehre jafa diya tha
mazloom ke badan par jiska asar hua tha
aflaak se malaek purse ko aa rahe hai
3. Nikla dahan se bahar aaye jigar jo kat kar
khoo'n rang hogaya tha maula ka mere bistar
manzar ye ehle dil ke dil ko dukha rahe hai
4. Haider se dushmani ye ab tak nahi ruki hai
maula hasan se lekar jafar tak aagayi hai
har ek charagh e zehra zalim bujha rahe hai
5. Aulad e sayyeda mein aysa hai ye janaza
jisme madine wale dene ko aaye pursa
ehle madina saare ye ghum mana rahe hai
6. Jafar ke zehn mein bhi kazim ka hai janaza
mayyat uthane wala waris koi na hoga
zere kafan bhi jafar khoo'n rote jaa rahe hai
7. Salman aur meesum dekha ye khwaab aksar
baad e zahoor maula Mehdi baqi mein aakar
Zehra ka aur inka roza bana rahe hai
Karbala jaana, karbala jaana..(2)
Kyu itne pareshaa'n ho
aye sheh ke azadaro'n
kyu thamte nahi aa'nsu
kyu chaak gareeba ho
jo kaabe ka kaaba hai
wo aap ka maula hai
wo izn e safar dega
koi nahi rokega
udte chale jaoge, aisa sukoo'n paoge
ghum apne bhulaoge..(2)
Dilo ka dard bataana...
sab apna haal sunana
Karbala jaana, karbala jaana..(4)
suno tum karbala jaana
1. Laraib yehi sach hai jo karbala jaate hai
wo khud se nahi jaate shabbir bulate hai
na ye ke bulate hai mehmaan banate hai
mehmaan banate hai..(2)
naseeb apna jagana...(2)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
2. Dil jab ke ziyarat ko har waqt tadapta hai
ek aisa waseela hai radd ho nahi sakta hai
ghazi ke waseele se, kya kuch nahi milta hai
kya kuch nahi milta hai..(2)
alam jari ka uthana..(2)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
3. Imam e jafar e sadiq ne hai ye farmaya
hamare jadd ki ziyarat ko tark naa karna..(2)
namak se rotiya khana..(3)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
4. Tum kaun ho rutbe ko..(2)
khud apne zara samjho
shabbir ke naukar ho dar dar pe nahi bhatko
duniya se kabhi koi ummeed nahi rakho
ummed nahi rakho..(2)
mile na koi thikana..(2)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
5. Duniya pe nahi rona ye ashk bhi ne'mat ha
ho farsh e azaa par to jannat ki zamanat hai
aa'nsoo ye azadaro zehra ki amanat hai
zehra ki amanat hai..(2)
liye hue ye khazana..(2)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
6. Suno mai tumko batata hu karbala kya hai
ye mariya hai, ye nainawa hai, ye karbala hai
ye karbala hai, ye karbala hai, ye karbala hai
Ye karbala hai jaha'n lut gaya rasool ka ghar
phir ek baar jalaya gaya batool ka ghar
jaha'n hussain the pyaase
haan karbala wo hai
har ek simt the laashe
haan karbala wo hai
gire zameen pe Akbar
haan karbala wo hai
tadap gaya jaha'n Asghar
haan karbala wo hai
Jaha'n pe hogaya tukde hai Qasim e mazloom
sitam ki hadd abhi tumko kaha'n hui maloom
Yaha'n pe teer chale
Yaha'n pe baazu kate
yah'n pe khaime jale
yaha'n lutey parde
Badan hue sabhi pamaal aaye naizo'n pe sar
na apne bhai ko ro paayi ek behen muztar
Palti hai bahan jis dum zinda se riha hokar
Chehlum ki hui majlis shabbir ki turbat par
haan sunnate zainab hai ye farsh e ghum e sarwar
ye farsh e ghume sarwar..(2)
azaa ka farsh bichana..(2)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
7. Duniya se mile har dum ghum uske gharane ko
deta hai khushi lekin wo saare zamanae ko
darr usse nahi behtar ghum apne bhulane ko
ghum apne bhulane ko..(2)
ghumo ko apne bhulana.(2)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
8. Khushiyo'n ka manana bhi fitrat ka taqaza hai
sughra ne magar kaise khushiyo'n ko manaya hai
sughra ko jo kunbe ka pursa tumhein dena hai
pursa tumhe dena hai..(2)
ek eid aise manana..(2)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
9. Salman ko meesum ko ghum uska rulata hai
ek aisi yateema hai jo shaam mein tanha hai
tiskeen e dile sarwar, shehzadi ka nauha hai
shehzadi ka nauha hai..(2)
ghum e sakina sunana..(2)
Karbala jaana, karbala jaana..(3)
suno tum karbala jaana
Haye ali, haye haye ali..(2)
Behta hai khoon e haider, koofe mein karbala mein
Zehra ka ghar luta hai, haaye rahe khuda mein
koofe mein karbala mein
behta hai...
1. Ek fajr par hai sajda, ek sajda asr par hai
ek simt par hai beta, ek simt pe padar hai
kya fark hai batao, dono pe is jafa mein
koofe mein karbala mein
behta hai...
2. Koofe mein murtaza ki, beti pe hai yatimi
shabbir ki yatima, karbobala mein ujdi
hai zainab o sakina, ek dard ki fiza mein
koofe mein karbala mein
behta hai...
3. Kulsoom aur zainab, padhti rahi hai nauha
baba ko zakhmi dekha, bhai ko zakhmi dekha
manzar hai ek jaisa, is dehr e bewafa mein
koofe mein karbala mein
behta hai...
4. Maloom tha ali ko, sajda na hoga pura
sarwar ko bhi pata hai, ab aakhri hai sajda
sar ko jhukaya phir bhi, taazeem e kibriya mein
koofe mein karbala mein
behta hai...
5. Haye, qasim ke ho wo tukde, ya ho gulu e asghar
akbar ka ho wo seena, ya baazu e dilawar
imraa'n ka khoo'n baha hai, haye bughze murtaza mein
koofe mein karbala mein
behta hai...
6. Salmaan aur meesum, tareekh hai batati
guzri hai zindagi bas, aulad e sayyeda ki
matam mein murtaza ke, shabbir ki azaa mein
koofe mein karbala mein
behta hai...
koofe mein karbala mein..(2)
Dua e fatima zehra ka tumpe saaya hai..(2)
Imam e Jafar e sadiq ne ye bataya hai
karna khushi bhi lekin..(2)
ye ghum na bhoolna..
Moharram na bhoolna.. Ya hussain..(4)
1. Ghar mein khuda dikhaye tumhare koi khushi
shadi ho wo bete ki ya beti ki rukhsati
tum bewa e qasim ka..(2)
kabhi ghum na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
2. Qayam karo sabeelein azadaro har jagah
kausar se kam nahi hai ye paani sabeel ka
jaari hai iss sabeel mein..(2)
zam zam na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
3. Baqir ke laadle ka imamat ke phool ka
farman hai ye Sadiq e Aal e rasool ka
jaise ghadeer bhoole..(2)
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
4. Saqqa banao baccho'n ko ghazi ki yaad mein
bachpan se hi alam ko utha kar wo chal sakein
dooba hua lahu mein..(2)\
parcham na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
5. Aaram ke wo din ho ya sakhti ki raat ho
ehsaas karbala ka hamesha hi saath ho
tum maqtal e hussain ka mausam na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
6. Har haal mein bichana hai farshe ghum e hussain
milta hai isse Fatema Zehra ke dil ko chayn
zakhme dil e batool ka..(2)
marham na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
7. Bedi ho hathkadi ho, ya taboot aur alam
saare tabarrukat e hussaini hai mohtaram
tazeem inki tum bani..(2)
Adam na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
8. Jab apni betiyo'n ko karo pyaar momino
shabbir ki yateema ka matam kiya karo
khati rahi tamache wo..(2)
har dam na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
9. Kufe ke raasto'n mein kabhi shehr e shaam mein
bazaar e aam mein kabhi darbaar e aam mein
beparda thi jo ghairate...(2)
Maryam na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
10. Wajib hai tumpe Mesum o Salman Azmi
matam ki janamaz bichaye jo matami
nauho'n ki tum azaan pe..(2)
matam na bhoolna
Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)
Haye, haye..
Padar zinda hai akbar..(2)
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
Aisa bhi zamane mein kahi'n hota hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
1. Maqtal se janaze ko tere kaise uthayein
jin haatho'n se mangi tere jeene ki duaein
un haatho'n pe ab haaye tera laasha hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
2. Dil apna sambhalu'n to sina dil se nikalu
phir kaampte haatho'n se tera laasha uthalu
kis haal mein dekho to tera baba hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
3. Tum aankhein phira lete ho jab dard ke maare
jab saans nahi lete ho haatho'n pe hamare
dum saath mein mera bhi nikal jaata hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
4. Socha tha tumhe shaan se hum dulha banate..(2)
afsos magar laash pe hain aansoo bahate
ab khoon ka maathe pe tere sehra hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
5. Chut ta hai zaeefi mein jo bete ka sahara
ab saath nahi deti hai beenayi hamara
uth-ta hai padar aur kabhi girta hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
6. Zainab ko tera haal ye dikhlau to kaise
mai apne gale se tujhe liptau to kaise
lipta hua barchi mein tera seena hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
7. Nauha Ali akbar ka hai "meesum" ki zabani
aakho'n se "raza" hoti hai ashko ki rawani
ehsaas tere ghum ka badha jaata hai akbar
tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)
Haye SADAAT (ASWS).....4
Aaise Ujde, Ke Na SAADAT Phir Aabad Hue.....2
Ya NABI Itne Sitam Haye Tere Baad Hue
Ro Diye AHLE HARAM Sham E Ghariba' Ki qasam.....2
Baad E ABBAS Alamdar Jo SAJJAD Hue
Ya NABI Itne ..
Roye Chautees Baras Khoon Ke Aa'nsu AABID ..(2)
Jab SAKINA Ke Bina Qaid Se Azad Hue
Ya NABI Itne ..
Jis Ke Nana Ne Uthayi Nahi Talwar Kabhi ..(2)
Us Ko Dukh Dene Ko Kitne Sitam Ijad Hue
Ya NABI Itne ..
Itne Tukde To HASAN Ke Bhi Jigar Ke Na Hue ..(2)
Jis Kadar Tukde Tere QASIM E Nashaad Hue
Ya NABI Itne ..
Yeh Dua Karti Thi ZAINAB Ke Yu Ujde Na Koi ..(2)
Jaise Pardes Mein Hum Log Hai Barbad Hue
Ya NABI Itne ..
Kyun Nahi Mesum O Salman Karenge Girya ..(2)
Qatl Dariya Pe Hamare Hi To Jadad Hue
Ya NABI Itne ..
Ya ayyuhal asad..(4)
ya ayyuhal asad..ayyuhal asad
chale aao, chale aao...
chale aao, chale aao...
Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
1. Jis ghadi sham e ghariba'n aayi
Fizza maida'n mein khadi chillayi
abu haris ho kaha' aajao
be saharo'n ki madad farmao
rann mein hai laashe hussain ibne ali
karne aajaye na pamaal shaqi
Apne waade ko nibhao aao
pehra shabbir ke laashe ka karo
Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
2. Ek sada tumko safeena ne jo di
tumne aakar waha'n imdaad hai ki
wo sahabi e rasool e do sara
aur mai to hu'n kaniz e Zahra
mera rutba hai juda
de rahi hu mai sada
aayi shabbir pe ghurbat ki ghadi
baaqi bhai hai na beta koi
Apne waade ko nibhao aao
pehra shabbir ke laashe ka karo
Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
3. Mojiza rabb ne jo fizza ko diya
Ahed jo teen duao'n ka kiya
wasta deke usi waade ka
maangi rabb se yehi fizza ne dua
abhi rehta abu haris hai jaha'n
meri awaaz ye pohcha de waha'n
Apne waade ko nibhao aao
pehra shabbir ke laashe ka karo
Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
4. Waasta tumko rasool e haq ka
Waasta tumko Ali ka hai diya
wo Ali sher e khuda
jinse waada tha kiya
usi waade ki qasam
jald aao zaigham
de rahi hu jo tumhe mai ye sada
hukm mujhko hai ye zainab ne diya
Apne waade ko nibhao aao
pehra shabbir ke laashe ka karo
Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
5. Laga akbar ke hai naiza, haye haye
teer asghar ne hai khaya, haye haye
tukde qasim ka sarapa, haye haye
maara abbas ko pyaasa, haye haye
hogaye qatl shehenshah e umam
hai pareshan bohot ahle haram
Apne waade ko nibhao aao
pehra shabbir ke laashe ka karo
Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
6. Kya sitam kam tha ke sab qatl hue
par sitamgaar sitam karte rahe
kaate khanjar se hai pyaso'n ke gale
ab ye pamaal karenge laashe
hadd sitam ki ye rukegi na kabhi
hoga parda bhi to pamaal abhi
Apne waade ko nibhao aao
pehra shabbir ke laashe ka karo
Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
7. Waqeya Mesum o Salman ye raavi ne likha
aagaya sher wo aur laash pe pehra bhi diya
pehra deta raha...
pehra deta raha..
pehra deta raha ankho'n se raha khoon rawa'n
jab talak dafn ko aaye nahi sajjad waha'n
karbala jate hai zaer jo muqam e Fizza
ab bhi mehsoos waha'n hoti hai Fizza ki sada..
Apne waade ko nibhao aao
pehra shabbir ke laashe ka karo
Chale aao, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
Sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza, sher e fizza
chale aao, chale aao...
Haye...
Paykaa'n baras rahe hai taboot par hasan ke..(2)
ummat mita rahi hai asaar panjetan ke
Paykaa'n baras rahe hai taboot par hasan ke
Haye hasan, haye hasan..(2)
Teero'n ne sajaya hai, taboot hasan ka..(2)
Haye taboot hasan ka...
taboot hasan ka
Ghar laut ke aaya hai, taboot hasan ka
Teero'n ne sajaya hai, taboot hasan ka..(2)
Haye taboot hasan ka...
taboot hasan ka
1. Shabbir ye kehte the
shabbar ke janaze par..(2)
kyu'n khoo'n mein nahaya hai
taboot hasan ka...
2. Ujla tha kafan lekin
bedard laeeno ne..(2)
khoo'n rang banaya hai..
taboot hasan ka
3. Ek duniya mukhalif thi
puche koi sarwar se..(2)
kis tarha uthaya hai
taboot hasan ka...
4. Jab teero'n ki barish thi
aye shahe najaf tumne..(2)
girne se bachaya hai..
taboot hasan ka...
5. Mehsoos ye hota hai
taboot ki chadar se..(2)
zainab ne banaya hai..
taboot hasan ka...
6. Aye binte nabi tumne
khud aake baqayya se..(2)
aankho'n se lagaya hai...
taboot hasan ka...
7. Pehlu mein mohammad ke
rakhne na diya laasha..(2)
baahar se dikhaya...
taboot hasan ka...
8. Ashaab e nabi koi
pohche na janaze mein..(2)
jaise ke paraya hai..
taboot hasan ka...
9. Amm ko salami jo
deni thi baqayya mein..(2)
rukta hua aaya hai..
taboot hasan ka...
10. Rehan ka meesum ka
ye dil hai azakhana..(2)
is dil mein basaya hai..
taboot hasan ka...
Ghulam e Fatah e Beerul Alam Main Zafar Hoon
Qaum e Jinnat Ka Shah e Ummam Main Zafar Hoon
Khaas Mujh Per Hai ALI (ASWS) Ka Karam Main Zafar Hoon
Aaj Rota Hoon Magar
Thaam Kar Apna Jigar
Dasht Main Mara Gaya
Mere Aaqa Ka Pisar
Hai Ye Afsos Me Mojood Raha
Jaan MAULA (ASWS) Pe Fida Karnasaka
Haye Kuch Kar Na Saka… Zafar E Jinn
…Suno Main Tum Ko Batata Hoon Waqaya Jo Hua
…Roze Ashoor Tha Pehla Hua Tha Raaj Mera
…Vo Mere Jashn Ka Din Tha Saja Tha Taaj Mera
Do Ghulaamon Ne Mere Aake Kaha Ae Maalik
Jiske Baba Ke Sabab Taj Mila Ae Maalik
Qatl Hota Hai Jo Malik He Tera Ae Malik
Hogaya Hashr Bapa
Taj Pairon Me Gira
Apne Lashkar Ko Liye
Main Chala Karbobala
Meri Parwaz......
Meri Parwaaz Hui Shehre Musayyab Pe Tamaam
Mujhko Tahad-e-Nazar Aya Nazar Lashkare Shaam
Main Barha Agay Ke Miljayen Mujhe Mere IMAM (ASWS)
Ruk Gaye Mere Qadam…Ruk Gaye Mere Qadam…
Jahan SHABBIR (ASWS) Ko Insanon Ne Tanha Dekha
Meri Aankhon Ne Wahan Laakhon Ka Majma Dekha
Ambiya Bhi They Malaaik They Ajinnah They Kharay
Aisi Noorani Bashar They Ke Nazar Na Tehre
Ek Jaanib The RASOOL E ARABI(SAWS), Ek Jaanib They ALI (ASWS), Ek Jaanib HASAN IBNE ALI (ASWS)
Phir Na Aankhon Ko Mere Taab Rahi, Maine ZEHRA (SAWS) Ki Sawaari Dekhi
Apni Nazron Ko Jhuka Kar Jo Hataya Peeche
Nabi Adam (as) , Nabi Musa(as) , Nabi Haroon (as) Dikhe
Isa (as) o Yusuf (as) o Yaqoub (as) Bhi Pehlu Main Mile
Hud (as) aur Lut (as) Kahin Nuh (as) Kahin Khizr (as) Kaheen
Zikriya (as) Yarmiya(as) Aur Shees (as) O Sulaiman (as)Bhi They
Mukhtasir Ye Ke Nabi Saare Wahaan They Maujood
Un Ke Peeche Thi Malaaik Ki Qataarain Maujood
Farishte Gaane Jahanumm - Farishte Gaane Bahisht
Israel, Israfeel, Mikael, Dardaeel
Rizwan aur Maalik, Fitrus Wa Jibrael
Saath SHABBIR (ASWS)Ke Maujood They Sab Aali Muqaam
Maine Socha Ke Kahan Jaaye Bhala Adna Ghulam
Mujhko Pehchaan Bhi Paayen Ya Nahi Mere Imam
Haaye Umeed Meri Dil Me Murjhaane Lagi
Ke Achanak Se Wahan Ye Sada Aane Lagi
Aao Zaafar Aao Zaafar
Aao Zaafar Tumhe SHABBIR (ASWS) Ne Bulwaya He
Zafar E Jinn Ana Jafar E Jin
Pohoncha Qadmo Me Kaha Maula Shahe Jinn o Bashar
Ho Salam Aap Pe Iss Jinn Ka Shahe Jinn o Bashar
Hukm Pe Aapke Hoon Fidya Shahe Jinn O Bashar
Dil Mera Doob Gaya
Jab Ye MAULA (ASWS) Ne Kaha
Tum Palat Jaao Agar
Hone Aaye Ho Fida
Maine MAULA (ASWS) Se Kaha Izn Mujhe Den Shahe Deen
Bolay SHABBIR (ASWS) Ye Jinnat Ki Hai Jung Nahi
Main Ye Bola Kahan Insa’n Hen Darinde Sabhi
Bolay SHABBIR (ASWS) Ke Nana Ki Ye Ummat He Meri
Inhe Tum Kuch Na Kaho, Inhe Tum Kuch Na Kaho
Tum Hi Batlao Jiyoon Kaise Bhala Me Zafer
Aao Dikhlaaon Tumhe Karbobala Main Zaafar
Janisaaron Ke Janaaze Dekho
Mere Pyaaron Ke Ye Laashe Dekho
Tukre QASIM (ASWS) Ka Saraapa Dekho
Zakhmi AKBAR (ASWS) Ka Kaleja Dekho
Kaheen ABBAS (ASWS) Ke Baazu Kaheen ASGHAR (ASWS) Ka Gulu
Run Me Bikhra He Sabhi Bani Hashim Ka Lahu
Dil Ko Ab Taab Nahi Phatne Laga He Ye Jigar
Isse Agay Main Bayaan Karnahi Sakta Manzar
Mukhtasir Ye Ke Huay Qatl Shahe Jinn O Bashar
Wada ABID (ASWS) Se Kiya
Main Hoon Masroof E Aza
Jab Talak Zinda Raha
Main Karoonga Girya
Tha Yahi Mesum o Salman Kalaam E Zaafar
Karbala Main Hain Jahan Dafn IMAM E Zaafar (ASWS)
Usse Kuch Door Hai Maujood Muqaam E Zaafar
Zafar E Jinn Ne Kiya
Apne Waade Ko Wafa
Aakhri Saans Talak
Thi Labon Par Ye Sada

No comments:
Post a Comment