Alamdaar na aaya, alamdaar na aaya..(3)
Aaya hai alam, aur alamdaar na aaya..(2)
darya se dil e haider e qarrar na aaya
aaya hai alam..
1. Baazu jo kate daa'nto mein mashkeeza dabaya..(2)
jab mashk chhidi phir wo hayadaar na aaya
aaya hai alam..
2. Har waaste bhai ka madadgaar tha ghaazi..(2)
baad uske koi sheh ka madadgaar na aaya
aaya hai alam..
3. Jab tak wo raha chadar e zainab ka muhafiz..(2)
khaime ki taraf koi sitamgaar na aaya
aaya hai alam..
4. Baazu tha jo shabbir ka be baazu hua wo..(2)
be dast wo dast e shahe abraar na aaya
aaya hai alam..
5. Jis waqt tamache hai lage boli sakina..(2)
kya mujhpe chacha jaan tumhe pyaar na aaya
aaya hai alam..
6. Hai mujhko yaqee'n naize pe ghazi ko ye ghum tha..(2)
kabze mein mere shaam ka bazaar na aaya
aaya hai alam..
7. Manga hai sakina ke tawassul se jo meesum..(2)
salman dar e ghazi se inkaar na aaya
aaya hai alam..
Haye abbas - 4
Abbas tere baad sitam ye bhi hua hai
Abbas sitam ye bhi hua hai
Masoom sakina ka bhi rassi me gala hai
Abbas tere baad sitam ye bhi hua hai
Abbas sitam ye bhi hua hai
Kis haal me haaye hai bhare ghar ki dulaari
Khaati hai tamache shahe mazloom ki pyaari
Hoton pe faqat x 2 haaye chacha haaye Chacha hai
Che maah ke asgar ne sitam kitne uthaaye
Nanhi si lahad khod ke sar kaata hai haaye
Do baar x 2 laaeno ne ise qatl kiya hai
Gardan me gara tauk hai aur paao me langar
Is haal me kaato pe chalate hai sitamgar
Beemar ko x 2 haasil na dawa hai na giza hai
Har saas aziyat hai aziyat hi aziyat
Har gaam qayamat hai qayamat hi qayamat
Zainab ko x 2 mayassar na amaari na rida hai
Shaano me mere rassiya kuffar ne daali
Sadqe ki khajure bhi meri samt uchaali
Sadaat pe x 2 kya waqt qayamat ka pada hai
Aabid ka koi haath batane nahi aaya
Tanha hi sakina ke janaze ko uthaya
Har saas pe x 2 sau baar wo mar mar ke jiya hai
Wo chaalo bhare paao wo kaato bhari raahe
shabbir ke maqsad pe hai aabid ki nigahe
Zanjeer ka x 2 shikwa hai naa durro ka gila hai
Dil hai ke sambhalta hi nahi meesumo fakhri
Mausam ye badalta hi nahi meesamo fakhri
Barsaat hai x 2 ashko ki to maatam ki ghata hai
Alamdaar na aaya (5)
Aaya hai alam aur alamdaar na aaya
Daryaa se dil e hyder e karraar na aaya.
Aaya hai....
1) baazuu Jo katey daanto mey mashkeeza dabaaya (2)
Jab mashq chidii Phir WO hayaadaar na aaya.
Aaya hai....
2) har laash pey Bhaii ka madadgaar tha GAAZI (2)
Baad uskey koi shah ka madadgaar na aaya.
Aaya hai.....
3) jab tak WO rahaa chaadar e zainab ka muhaafiz (2)
Qaimey ki taraf koi sitamgaar na aaya.
Aaya hai.....
4) baazuu tha Jo Shabbir ka Bey baazu huwaa WO (2)
Bey dast WO Dast e shah e abraar na aaya.
Aaya hai....
5) jis waqt tamaachey hai lagey Boli sakina (2)
Kya mujhpey Chacha Jaan tumhey pyaar na aaya.
Aaya hai....
6) hai mujhko yaqee naizey pey GAAZI ko ye ghum tha (2)
Qabzey mey Merey shaam ka baazaar na aaya.
Aaya hai.....
7) maangaa hai sakina key tawassul sey Jo mesum (2)
Salmaan dar e GAAZI se inkaar na aaya.
Aaya hai....
Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi
Har ek gham se bacho hussain hussain karo
Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi x 2
Tumhare ashko ko mai saath leke jaaungi
Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi x 2
1. Wo jin gharo me azakhanae hussain saja
To un gharo me rahega sada qayaam mera
Ye mera wada
Ye mera wada hai har haal me nibhaaungi
2. Shabihe jhulae asgar sajayenge jo bhi
To unki godiya khaali nahi rahengi kabhi
Mai unko sadqae besheer de ke jaaungi
3. Alam bayade alamdar jo uthaayenge
Diler aur wafadar honge wo bacche
Mai unke dilse har ek khauf ko mitaaungi
4. Haa wo yateema jo tarikiyo me thi har dam
Charaag yaad me uski jala ke rakhna tum
Mai us yateemae shabbir ko bhi laaungi
5. Thi ek bahan jise armaan reh gaya tha kabhi
Jo ho sake to saja lena ek sehra bhi
Mai ashke fatema sughra na bhool paaungi
6. Mere hussain ka tabooto taziya rakhkar
Karoge giryao matam rahoge nauhagar
Mai apne ashko se taboot wo sajaaungi
7. Bataya jafare sadiq ne waise hi rona
Chupa ke aasu na shabbir pe buka karna
Karungi mai bhi buka ashke gham bahaaungi
8. Jo haq hai purse ka is tarah se ada karna
Salamo soz padho aur marsiya padhna
Mai iska ajr tumhe hashr me dilaaungi
9. Payam meesumo salman pohche ye sab tak
Bahisht me na chale jaaye matami jab tak
Qasam hussain ki x 2
Qasam hussain ki mai khuld me na jaaungi
Ali ya ali x 4
Haaye Ali ya Ali x 2
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Kiska nawasa hu mai kis liye pyaasa hu mai
Warise kaaba hu mai bekaso tanha hu mai
Khushk hai kyu kar gala haaye Ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Bewatano bekhata jung se kya waasta
Saath hai bacche mere kar nahi sakta wigha
Band hai aabo giza haaye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Betiya zehra ki hai pardanashi bahaya
Jinke liye arsh se rab ne utaari kisa
Unpe bhi hogi jafa haaye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Sine pe soti hai jo aapki poti hai jo
Pyaas se behaal hai dard se roti hai jo
Uska bandha hai gala haaye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Dulha tha ek raat qasime gulbo kaba
Laaunga maidaan se lasha wo mehndi bhara
Sughra karegi buka haaye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Hai jo shabihe nabi akbare kadyal jawaan
Jo meri binayi hai aur phuphi ki hai jaa
Aayegi usko qaza haaye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Auno mohammad mere fikre abo jad jo the
Zainabe dilgeer ne sadqe jo mujper kiye
Ho gaye pyase fida haye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Aabide muztar mera gash me hai abtak pada
Shaam talak jaayega hoke aseere jafa
Royegi zanjeere paa haaye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Baba hai waqte madad zulmo sitam hai hasad
Baazu kataye hue jalti zameen per jasad
Hai mere abbas ka haaye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
Meesumo rehan ab gham ka yahi hai sabab
Lut gaye pardes me aale nabi sab ke sab
Kehte hai ahle aza haaye ali ya ali
Karte the sarwar buka Haaye Ali ya Ali
Aaiye shere khuda Haaye Ali ya Ali
haaye beemar x 2
Haaye beemar mera bediyo wala bhaiyya x 2
Haa yateemi me mere naaz uthata bhaiyya
Haaye beemar mera bediyo wala bhaiyya x 2
1. Raahe purkhaar me kuch mujko aziyat na mili
Sehli takleef to lekin meri gardan na khichi
Bas yahi soch ke phir sar na uthaya bhaiyya
2. Payr jalte the mere bhai ke har gaam magar
Dhup me jalti zameen per mai kadam rakhti jidhar
Apne saaye se waha saaya banata bhaiyya
3. Jab tamache muje lagte to wo ruk jaata wahi
Chhod kar mujko use durre lagate the laeen
Durre khud khaake muje unse bachata bhaiyya
4. Seenae shah pe sone ki sada aadi thi
Zakhmi rukhsar zameen per nahi rakh paati thi
Haaye zakhmi seene pe muje apne sulata bhaiyya
5. Qabr ki tarha se taarik tha zindaane jafa
Mujko zindaan ke andhero se jo dar lagta tha
Apne ashko se waha karta ujaala bhaiyya
6. Baat bas meesumo salman ye ehsaas ki hai
Yu dua karti thi shahzaadi rihaayi ke liye
Kaise haatho se bandhe qabr banata bhaiyya
hussain hussain hussain hussain
hussaina hussaina hussaina hussaina
karbala karbala hussain hussain
ay mere aaqa ay maula
aap ko na dekha na suna
chauda sadi se dil hai fida
ghar me bitcha kar farshe azaa
labbaik kaha
kya karun dil hai tujh pe fida hussain
shaahe karbobala hussain
mein diwaana tera hussain
ya hussain ya hussaina
mehraabe dil me azaa ki qasam
qibla e jaa hai tu shaahe umam
kaaba e ishq hai tera haram
us ke tawaaf me nikle hum
ho itna karam
aarzoo karbala hai meri hussain
aankh me hai nami hussain
chaahta hun yahi hussain
ya hussain ya hussaina
kyun na rakhun is par mein jabeen
kaise na chumun mein wo zameen
jispe rahe hain aap makeen
aap ke qadmon ke hain wahi
par naksh haseen
mein fida tere qadmon pe hun hussain
mere dil ka sukun hussain
tu hai mera junun hussain
ya hussain ya hussaina
ishqe man jaane man
roohe man qalbe man
bewatan bekafan baadshaahe zaman
mazloom
yaad mujhe hai wo manzar
laasha zameen pe tha na zeen par
khushk gale par tha khanjar
khaa ke giri gash ek muztar
teri khwahar
aah sajde ka sajda hai karbala
aah qible ka qibla hai karbala
aah kaabe ka kaaba hai karbala
karbala karbala karbala
karbala karbala karbala
jaa na saka gar karbobala
dekha nahi jo roza tera
khaaq wujud hai phir mera
khaaq me tu us ko mila
yane ke khaaqe karbobala
gar jiyun to bhi tujh pe marun hussain
aur ayse marun hussain
jaise zinda rahun hussain
ya hussain ya hussaina
zaade safar kuch kam hai magar
dil pe huwa hai aysa asar
ishq me tere shaam o sahar
karbobala ki simt safar
karti hai nazar
mesum aur salman bayaan
zikr karo ye misle azaan
hoga ye jab bedaar jahaan
aaenge mehdi shaahe zamaan
aaj jo diwaanon ne kahaa
saara jahaan kal dega sadaa
Haaye Ali ya Ali ..(8)
Momino haidere qarraar ka maatam karlo ..(2)
Wo mohammad ke alamdaar ka maatam karlo
Momino haidere qarraar ka maatam karlo ..(2)
1. Jo ke paacho'n me bhi hai 12 imamo me bhi hai ..(2)
Saare nabiyo ke madadgaar ka matam karlo
2. Khaak udaao ke Ali shere khuda maare gaye ..(2)
Bazue Ahmed e mukhtar ka maatam karlo
3. Milke jibreel ke ustaad ka pursa dedo ..(2)
Saahibe duldulo talwaar ka matam karlo
4. Apne qaatil ko diya jisne ke jaame shireen ..(2)
Kausari jaam ke mukhtar ka matam karlo
5. Ay nusayri muje pursa de mere maula ka ..(2)
Apne rab mere madadgaar ka matam karlo
6. Wo jo zehra ke janaze pe raha mehwe fugha ..(2)
Aye azadaro azadaar ka matam karlo
7. Marte dam jisko tha zainab ki aseeri ka khayal ..(2)
Aise mazloom hayadaar ka matam karlo
8. Khil uthi thi jo kabhi waqte nuzoole haider..(2)
Aaj usi kaabe ki deewar ka maatam karlo
9. Sogwaarane ali meesam o rehan ho tum..(2)
Dam ba dam sayyade abraar ka matam karlo.
Ya Imame Reza x 4
Aye garibul watan ya Imame Reza x 2
Warise bekafan ya Imame Reza.
Aye garibul watan ya Imame Reza x 2
1. Haye sitam zeher ka dono sehkar gaye
Bilyaqeen laadle dono zehra ke the
Ek imame hasan ya Imame Reza
2. Shahe karbobala se ye nisbat teri
Unke laashe pe bhi tere laashe pe bhi
Rona paayi behen ya imame Reza
3. Tere baba ka tabut uthna saka
Pool pe baghdad ke laasha rakkha raha
Tha kafan payraahan ya imame Reza
4. Jo chubhan tere seene me thi zeher ki
Abbhi mehsoos karte hai wo maatami
Apne dil me chubhan ya imame Reza
5. Aye bine sayyada aye bine murtaza
Mushkilo me hame hai tera aasra
Badshahe zaman ya imame Reza
6. Haqqe ajdaad ko tujse chhina gaya
Haye madina tera tujse chhudwa diya
Aye aseere mahan ya Imame Reza
7. Jaaye salmaano meesum khorasan me
Tere rauze pe jaaker ye nauha padhe
Dede izne sukhan ya imame Reza
Ya Imame Reza x 4
Aye garibul watan ya Imame Reza x 2
Warise bekafan ya Imame Reza.
Aye garibul watan ya Imame Reza x 2
1. Haye sitam zeher ka dono sehkar gaye
Bilyaqeen laadle dono zehra ke the
Ek imame hasan ya Imame Reza
2. Shahe karbobala se ye nisbat teri
Unke laashe pe bhi tere laashe pe bhi
Rona paayi behen ya imame Reza
3. Tere baba ka tabut uthna saka
Pool pe baghdad ke laasha rakkha raha
Tha kafan payraahan ya imame Reza
4. Jo chubhan tere seene me thi zeher ki
Abbhi mehsoos karte hai wo maatami
Apne dil me chubhan ya imame Reza
5. Aye bine sayyada aye bine murtaza
Mushkilo me hame hai tera aasra
Badshahe zaman ya imame Reza
6. Haqqe ajdaad ko tujse chhina gaya
Haye madina tera tujse chhudwa diya
Aye aseere mahan ya Imame Reza
7. Jaaye salmaano meesum khorasan me
Tere rauze pe jaaker ye nauha padhe
Dede izne sukhan ya imame Reza
No comments:
Post a Comment