abbas alamdar 5
abbas karbala ki zarurat hai dosto
abbas murtaza ki riyadat hai dosto
abbas ambiya ki karamat hai dosto
abbas zulfikare imamat hai dosto
abbas jaisa koi nhi iss jahan me
maula hussain rehte hai iski amaan me 3
koi bayan kaise kare iska martaba
isko salaam karta hai maryam ka ladlaa
abbas khud hai teesra beta butul ka
ye raaz aaj tak na zamana samajh saka
beta ise butul ne yubhi banaya hai
mohsin k badle deher me abbas aaya hai 3
masoomiyat ka shak hai jinhe iski zaat me
inka jawab hai ye meri diniyat me
hargiz koi kami nhi iski sifaak me
baade hussain hota agar qaynat me
milti ise imamat isika mukaam tha
sajjad ki kasam yahi chautha imam tha 3
kaise aaya ho iska bhala kya mukam hai
haatho me iske dono jaha ka nizam hai
iske liye ye baat zamane me aam hai
abbas bas akela wafa ka imam hai
dono jaha me markade hai saas ek hai
zahra k khandan me abbas ek hai 3
ek din khuda se kehne lagi binte mustafa
rohul amin ko mere ghar bhejde khuda
chakki chalaye aake mujhe kaam hai zara
yaad aaraha hai aaj mujhe ek bawafa
kya hai mukam iska jaha ko batana hai
abbas k liye mujhe kurta banana hai 3
isko imamato ne galese lagaya hai
shere khuda ne isko duao se paya hai
abbas ko butul ne beta banaya hai
sajjad ne ye raaz jaha ko bataya hai
ye fel har bashar ko bajaal aana chahiye
ghazi ka naam aaye to uth jana chahiye 3
dee ka alam rasul ne hamza ko tha diya
hamza k baad jafare tayyar ko mila
jafar se haath o haath li ko ataa hua
ghazi k paas aate hi ghazi hogaya
karbobala k baad kisi ko mila nhi
ghazi k haath chhod k parcham gaya nhi 3
sajjad kya bayan ho abbas ka mukam
iska rasule paak b karte hai ehteram
bheja hai isko madare shabbir ne salaam
iska qasida padhte hai khud waqt k imam
baade zarur dekhna wo waqt aayega
hajj karne kaba rozaye ghazi pe jayega 3
al ajal ya mehdi 2
aayenge jab bhi barweh sarkar dekhna 2
phirse hasegi kaabe ki deewar dekhna
aayenge jab b barweh sarkar dekhna
jaise bichhad k milte hai do dost iss tarha 2
hoga alam k saath alamdar dekhna
aayenge..............
dedo imame waqt ka gar wasta ise 2
rukjayegi ye waqt ki raftar dekhna
aayenge..............
bedi ka hathkadi ka mukhalib jo aaj hai 2
kal hoga mushkilo me giraftar dekhna
aayenge................
quraa pe mujhko kaariye quraa kahega khud 2
jab hoga ibne zahra ka didar dekhna
aayenge..................
qaidi amiri shaam hai bazare shaam hai 2
manzar ye hone wala hai tayyar dekhna
aayenge...................
jo bhi zuba chali hai khilafe abu turab 2
kaatega isko meesame tamaar dekhna
aayenge.................
has haske muftiyo se takkallum ye kehta hai 2
maula sunenge khud mere ashaar dekhna
aayenge..............
al ajal ya mehdi..................
Ali Ali Ali Ali 2
haideriyo kalandaram mastam banadaye murataza ali hastam - 2
peshwahe tamam rindanam ke sage kue shere yazdanam
hamara hai ye aqida ali ali kar ke 2
koi b mar nhi sakta 2
ali ali kar k............hamara hai aqida 2
jo kehna chahata hai dil wo bol deta hai
ali zuba ki girho ko khol deta hai
kalim bante hai musa 2
ali ali kar k.........hamara................2
teri b nind me saale salaat hojaye
tere liye shabe meraj raat hojaye
yakike farsh pe so jaa 2
ali ali kar k......hamara................2
wo na khudaye khudai dikhai deta hai
jaha b dekhu ali hi dikhai deta hai
nazar se uth gaya parda 2
ali ali kr k............hamara .............2
yaha pe aayega ek roz hum mezaj mera
ye kibriya ne barahim se kaha hoga
banao khanye kaba 2
ali ali kar k..............hamara..............2
zuba se baat kabhi dogli nhi karte
usul shia hai mohsin kushi nhi karte
khuda ko karte hai sajda 2
ali ali kar k............hamara............2
farazadar se dete hai ye sadaa meesam
shehed se sheeri hua zayka ali kasam
chakkha maza jo kaza ka 2
ali ali kar k................hamara..............2
ali k naam ne ye martaba mujhe baksha
ye raaz hazrate isa ne aashkaar kiya
me murde karta zinda 2
ali ali kar k........hamara................2
hayato maut k maa behen waqt hai kamtar
idhar udhar me na barbad sheh takkallum kar
ali k paas chala jaa 2
ali ali kar k..........hamara..............2
ali ali ali ali.........2
kare nabi o ali ki midhat kaha kisi kam nasal ki kismat
jo unki azmat ko jante hai wahi to gunn unke gaa rahe hai
jo apne qirdar me mujahir the sibte jafar ali k naukar
isiliye darjaye shahadat imam unko dila rahe hai
jo paak teenat hai asal apni, amanse apne ata rahe hai
welaki mehfil saja rahe hai, safe azaa ki bichha rahe hai
kare nabiyo ali ki midhat kaha kisi kam nasal ki kismat
jo unke azamat ko jaante hai wahi to gun unke gaa rahe hai
jo unke garde safar bane the jo unke kadmo se mass hue the
wo saare zarre sitare ban banke arsh pe jagmaga rahe hai
zahur ki thi jinhe tammanna safe wo apni durus karne hamesha jinko pukarte hai
wo aane wale the aarahe hai saji hai mehfil jo arshe aula pe sayyade zain aabidi ki
to sibte jaffar ko sab malayk paynedawat bula rahe hai
jo apne qirdar me mujahid the sibte jaffar ali k naukar 2
isilye darjaye shahadat imam unko dila rahe hai
teri judai ka ghum hai lekin teri hi talkin k mutabik
teri hi khatir basad mussarrat teri shahadat mana rahe hai
jo unke katil samajh rahe the k silsila khatm ho chuka hai
ab unke bete ko dekhkar wo baranjo tilmila rahe hai
jo puchha maula ne sibte jafar hamare khatir hai koi tohfa
adab se do zaanu baith kar wo ali ko basta dikha rahe hai
lahad me aaye jo sibte jafar to bole munkir nakir baham
sawal chhodo nikalo basta lahad me ustad aarahe hai
jo ibne ahmed the sibte jafar to ye abuzar hai ibne jafar 2
isi tarha silsila mawaddat ka aale ahmed chala rahe hai
jo paak kinat hai asl apni aman se apne bata rahe hai
wila ki mehfil saja rahe hai
safe azaa ki bichha rahe hai
jo paak kinat hai asl apni
hussain aaj bhi hai 4
hai karbala ka ye dawa hussain aaj b hai 2
ye kisne kehdiya kal tha 2
hussain aaj bhi hai
hussain .............hai karbala.............hussain............
ye hurmizaj jise kehti hai majalise shabbir
bas k pal me badal jayegi teri takdeer
azaa k farsh pe aaja 2
hussain aaj bhi hai. 2
hussain...........hai............. hussain...............
karo hadise anamil hussain per b nazar
rasule paaak hai zinda ye mante ho agar
to phir ye maan na hoga 2
hussain aaj bhi hai
hussain......hai.............hussain.............
na naam lewa hai koi na hai nishane mazar
fanna yazid hua khatm hogaya darbar
magar hussain k jaisa 2
hussai aaj bhi hai
hussain............hai............hussain............
wo aur honge jinhe apni jaan hai pyari
kaza k khauf se kyu chhod de azadari
hai jab yakin hamara 2
hussain aaj bhi hai
hussain...............hai .................hussain...
chalo isme jo kabhi zuljanah aata hai
to iske chalne ka andaz ye batata hai
k jaise deen pe baitha 2
hussain aaj bhi hai
hussain............hai........hussain.......
shahadato k labo par hai shukriya zainab
na hoti tu to simat jati karbala zainab
tere wasile se zinda 2
hussain aaj b hai
hussain...........hai..........hussain...........
khudaya baaki hai ghaibat ka aur kitna safar
ye pucchti hai bahattar shahadate milkar
kaha hai teen saw tehra (313) 2
hussain aaj bhi hai
hussain.........hai.............hussain........
yazidiyat b larazti thi roze aaashura
sawa crore zamano pe ek naara tha
faza me gunj raha tha 2
hussain aaj bhi hai
hussain.........hai...........hussain..........
ye dawa thik hai mukhtar aur takkallum ka
zahur kayeme aale rasul jab hoga
kahega sara zamana 2
hussain aaj bhi hai
hussain...........hai...........hussain.........
har ek beti se badkar rasul ki beti 2
rasul k liye madar rasul ki beti
har ek..........
nabi ko ab kaha meraj ki zarurat hai 2
khud aagai hai zamee par rasul ki beti
har ek......
fazilato pe fazilat hai iss fazilat ko 2
hai buturab ki humsar rasul ki beti
har ek......
bagaire ehle azaa k kabhi na jayegi 2
khadi hai babe jinah par rasul ki beti
har ek......
fakat khuda k liye yaa ali k haqq k liye 2
tere kadam gaye bahar rasul ki beti
har ek.......
zamana dhund raha hai usse zamane me 2
khuda ka ghar hai tera ghar rasul ki beti
har ek.......
takkallum iss se badha kya silah majalis ka 2
jinah se aai mere ghar rasul ki beti
har ek beti se badh kar rasul ki beti
Dekh kar 6
rokega rab zarur gunahgar dekh kar 4
par jaane dega sheh ka azaadar dekh kar
rokega.................2
ishqe ali me logo nuseri bhi mat bano 2
nafrat ali ko hoti hai ye pyar dekh kar
rokega.................2
hum kalmago se achhe hai har kaum kehti hai 2
binte nabi ki kabr ko mismaar dekh kar
rokega.................2
kehti hai maa khuda kare bandh jaye aur maraz 2
mujhko ghame hussain me bimaar dekh kar
rokega..................2
humto khuda ki yad me jaate hai uske ghar 2
par yaad ali ki aati hai deewar dekh kar
rokega..................2
keemat bataoo kyu tujhe rizwan ashq ki 2
boli lagaunga me kharidar dekh kar
rokega..................2
jannat me apne saath rakhenge kise ali 2
ye faisla to hona hai kirdar dekh kar
rokega..................2
matam b kar liya karo waayiz inn haatho se 2
afsos hota hai inhe bekar dekh kar
rokega...................2
haa thik hai likha karo sajjad marhaba 2
bas itna kehde maula ye ashaaar dekh kar
rokega...................2
kaha na nau namak ki hai gadai shehre mash had me 2
fakiro ko mayyassar hai khudai shehre mash had me
kaha na..................
kabhi khake shifa ki jab zarurat inko padhti 2
farishte aake karte hai safai shehre mash had me
kaha na .....................
likhi jaati hai jaise aayate phir do nagine par 2
yu hoti hai mukkaddar ki likhai shehre mash had me
kaha na......................
usse kaba bhi lekar jaa nhi sakta hai jannat me 2
nazar jiss shaqs ko jannat na aai shehre mash had me
kaha na.......................
wo chehre jaane pehchane wo galiya dekhi dekhi si 2
nahi lagti koi b sheh parai shehre mash had me
kaha na.........................
tasssavvur me jo tasvire hai wo b zinda hoti hi 2
magar ye maujiza hota hai bhai shehre mash had me
kaha na.......................
siyahi noor me dhalti hai lafze jagmagati hai 2
chamak uthti hai akbar roshnai shehre mash had me
kaha na............................
yu tere naam se is dil ne mohabbat ki hai 2
naat likhe hue kagaz ki bhi izzat ki hai
yu tere naam se is dil ne mohabbat ki hai
raat bhar jaag k ashaar likhe hai mene 2
yani kagaz pe tahajjud ki ibadat ki hai
yu......................
khalo khadnam k harfo se tarashe unke 2
isme ahmad me mohammad ki seyarat ki hai
yu.................
humke taakire zamana k sabab dur rahe 2
humne haatho pe nhi zikr pe beyyat ki hai
yu...................
ayate chalti rahi aap ke pichhe pichhe 2
aapke qadmo se quran ne hijrat ki hai
yu..................
gardne midhate afrak ki hasrat ki hai 2
apne kaamat se badhi baat ki niyat ki hai
yu.................
naat koi jo agar ki hai kisine akbar 2
hasbe taufik nhi hasbe inayat ki hai
yu................
zulm ko sheh ki himayat nhi milne wali 2
sabto miljayega baiyat nhi milne wali
zulm ko..............
dushmane aale muhammad ye yaki karle tujhe 2
maa ke kadmo me b jannat nhi milne wali
zulm sheh ki............................
shabe hijrat k payambar ko na maanoge to phir 2
darbadar bhatkoge hijrat nhi milne wali
zulm ko sheh ki.................................
yaa nabi aaj hi kardijiye elaan- e-ghadir 2
aaj k baad ye ummat nhi milne wali
zulm ko sheh ki................................
waarise aale muhammad ko to aajane do 2
saas lene ki b moholat nhi milne wali
zul ko sheh ki.................................
jab talak teghe ali niyaam se bahar hogi 2
malakul maut ko fursat nhi milne wali
zulm ko sheh ki..............................
ye bhi allah ki ek khaas inayat hai sarosh 2
sabko ye dard ki daulat nhi milne wali
zulm ko sheh ki..............................
zulm ko sheh ki himayat nhi milne wali 2
sabto miljayega baiyat nhi milne wali
zulm ko..............
dushmane aale muhammad ye yaki karle tujhe 2
maa ke kadmo me b jannat nhi milne wali
zulm sheh ki............................
shabe hijrat k payambar ko na maanoge to phir 2
darbadar bhatkoge hijrat nhi milne wali
zulm ko sheh ki.................................
yaa nabi aaj hi kardijiye elaan- e-ghadir 2
aaj k baad ye ummat nhi milne wali
zulm ko sheh ki................................
waarise aale muhammad ko to aajane do 2
saas lene ki b moholat nhi milne wali
zul ko sheh ki.................................
jab talak teghe ali niyaam se bahar hogi 2
malakul maut ko fursat nhi milne wali
zulm ko sheh ki..............................
ye bhi allah ki ek khaas inayat hai sarosh 2
sabko ye dard ki daulat nhi milne wali
zulm ko sheh ki..............................
No comments:
Post a Comment