Wednesday, 19 February 2025

Syed Raza Abbas Zaidi (2022)

Shabeer Ke Khaimay Mein Qayamat Ka Tha Manzar.
Rukhsat Ke Liye Aaye Jo Abbas-e-Dilawar.
Jab Ro Chukay Abbas Ko Seene Se Laga Kar.
Bhai Ki Taraf Dekh Ke Kehne Lagay Sarwar.
 
Batees Baras Ka Sath Hai Na Chodiye Bhai.
Bhai Ke Liye Maut Hai Bhai Ki Judai.
 
Abbas Mera Dil Ho Tum Hi Jan Ho Meri.
Kya Meri Muhabbat Mein Kami Reh Gayi Koi.
Bhai Se Zyada Tumhein Pyari Hai Tarai.
 
Ghurbat Mein Mujhe Chor Ke Bhai Na Sidharo.
Khuwaish Hai Meri Qabar Mein Tum Mujh Ko Utaro.
Pardais Mein Ghurbat Humein Kis Moor Pe Layi.
 
Pardais Mein Shabeer Ka Hai Kaun Sahara.
Bhai Na Miley Ga Mujhe Tum Jaisa Dobarah.
Kyun Chor Ke Jane Ki Khabar Tum Ne Sunai.
 
Ghazi Meri Behno Ko Bari Aas Hai Tum Se.
Zainab Ko Jo Dharas Hai Woh Ahsas Hai Tum Se.
Tum Sath Ho Iss Wastay Woh Aayi Hai Bhai.
 
So Jao Gay Tum Bazu Kata Kar Lab-e-Darya.
Ammo Hain Kahan Mujh Se Yeh Pochay Gi Sakina.
Masooma Na Seh Paye Gi Ammo Ki Judai.
 
Jane Lagay Abbas Tu Nazron Mein Thi Chadar.
Rotay Hoye Abbas Ne Dekha Tha Palat Kar.
Jab Khaima-e-Kulsoom Se Aawaz Yeh Aayi.
 
Aaya Nahi Phir Laut Ke Saqa-e-Sakina.
Jab Gurz Laga Sar Pe Kaha Haye Sakina.
Shabeer Chaley Khaimay Se De De Ke Duhai.
 
Darya Pe Kamar Tham Ke Jab Pohanchay Sirhaney.
Ghazi Se Kaha Ro Ke Sheh-e-Karb-o-Bala Ne.
Hai Aap Ki Furqat Ne Kamar Meri Jhukai.
 
Zeeshano Raza Toot Gayi Aas Haram Ki.
Dam Toor Gaye Shah Ki Aagosh Mein Ghazi.
Shabeer Yeh Kehte Rahe Bhai Mere Bhai.

Hussain.. Hussain.. Hussain

Kiya hai paamal isko ran mein
hai zakhm hi zakhm is badan mein
nahi hai koi uthane wala
bohot akela hai is watan mein
idhar ki sab pasliya'n udhar hai..(2)
udhar ki sab pasliya'n idhar hai

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Ye wo badan hai ke jiska seena
haan chumte the shah e madina
bhara hai teero se haye ghurbat
kaha pe soyegi ab sakina
yehi woh seena hai jispe chadh kar..(2)
laee'n ne kaata hussain ka sar

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Hui thi woh jinki naal bandi
the aam ghodo'n se aur wazni
jo ghode daude the is badan par
kuchalna unki khususiyat thi
na jaane kis tarha maa ne dekha..(2)
sumo ke niche ghareeb beta

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Laee'n wo bajdal(l.a), tha naam jiska
sirhane jab is badan ke pohcha
anguthi kis tarha loot ta woh
tha zakhmi hatho'n pe warm itna
na utri zalim se jab anguthi..(2)
to kaat kar le gaya wo ungli

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Akela lakho'n se zakhm kha kar
ye sogaya jab sitam utha kar
andhere ban mein isi badan se
behen ne patthar hataye aakar
na jaane zainab ne kaise dekha..(2)
ghareeb bhai ka zakhmi laasha

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Saro ko naizo pe jab chadhaya
sar ek chota sa mil na paaya
laee'n ne naiza zamee'n pe maara
toh laasha asghar ka saath aaya
pidar ke zakhmi badan pe rakh kar..(2)
chalaya nanhe gale pe khanjar

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Pidar ke seene pe sone wali
jab is badan ke qareeb pohchi
ye aake shimr e laee'n ne dekha
pidar se lipti hui hai beta
pakad ke baalo'n se jab chhudaya..(2)
badan zamee'n par tadap raha tha

Jo garm reti pe be-kafan hai
ghareeb e zahra ka ye badan hai

Hussain ki jab lahad pe jana
raza o zeeshan yaad rakhna
bichi hai turbat mein ek chatayi
ye dil ki aankho'n se dekh lena
wahi yeh zakhmi badan rakha hai..(2)
sagheer seene pe so raha hai

Gire zameen pe maqtal mein jab ali akbar
tadap ke khaime se nikle hussain thaame kamar
chalu mai saath pukari jo zainab e muztar
behen ke dekhke bhai ne ye kaha ro kar
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
 
1. Laee'n ne seene mein jab se sina ko toda hai
mera ghareeb pisar dard se tadapta hai
ragad raha hai wo maidaa'n me ediya'n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
 
2. Wo jisko naazo se atthara saal pala hai
meri hi god mein woh laal marne wala hai
mai jab uthaunga wo lasha e jawa'n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
 
3. Wo tumko dekhke royega khud ko samjhao
hai uski aakhri saanse na saamne jao
bohot rulayegi akbar ki hichkiya'n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
 
4. Meri taraf bhi to dekho mai uska baba hu
nazar bhi kam hai kamar kham hai, aur pyasa hu
girunga raah mein jaane kaha'n kaha'n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
 
5. Dua karo ke ye mushkil ka waqt tal jaye
sukoon se mere bete ka dum nikal jaye
na sun sakunga mai akbar ki siskiya'n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
 
6. Wo baar baar madine ki simt dekhta hai
sadaein deta hai sughra ko aur rota hai
behen ki yaad mein uljhi hai uski jaa'n zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
Jawan bete ke seene mein..
 
7. Chale hussain ye zeeshan aur raza kehkar
sina ke saath kaleja bhi aayega bahar
hai baap bete ki ghurbat ka imteha zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab
 
Jawan bete ke seene mein hai sina zainab
na dekh paogi tum bhi ho uski maa zainab

Gir Chuka Dar Fatima Par
Ab Hai Zakhmi Muhammad Ki Beti
Haye Ik Din Sar Jhukaye
Apne Hujray Mein Bethi Hoi Thi

Phir Hussain Aa Ke Amma Se Kehne Lagay
Aankh Mein Kyun Hain Aanso Batao Mujhe
Fatima Ne Kaha Mere NooreNazar
Aaj Amma Ki Yaad Aa Rahi Hai Mujhe

Sun Ke Maa Ki Sada Dil Tarapney Laga
Ro Ke Shabeer Ne Fatima Se Kaha

Kyun Chor Jati Hai Maa

Ungli Pakar Ke Chalaya Seene Se Tum Ne Lagaya
Inn Teen Saloon Mein Amma Tum Ne Bohat Kuch Sikhaya
Maa Se Bichar Ke Jeetay Hain Kaisay Kya Yeh Sikhati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Darwaza Jab Se Gira Hai Pehlu Shikasta Howa Hai
Totein Hoi Pasliyaan Hain Shabeer Sab Janta Hai
Takleef Mein Hoon Bachoon Ko Apne Kab Yeh Batati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Iss Fikar Mein Jaag Jana Pyasa Na Ho Mera Beta
Ahsas Hai Mujh Ko Amma Kya Pyar Hota Hai Maa Ka
Raton Ko Uth Kar Betay Ko Apne Pani Pilati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Qissa Mujhe Aik Maa Ka Bhaiyya Hasan Ne Sunaya
Beta Wahin Samne Tha Jab Maa Ne Khaya Tamacha
Ab Apne Ghar Mein Beton Se Apna Chehra Chupati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Jab Se Laga Taziyana Mushkil Tha Mujh Ko Sulana
Jab Hath Dekha Tumhara Tab Ja Ke Main Ne Yeh Jana
Hoon Hath Zakhmi Phir Bhi Thapak Kar Lori Sunati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Shabeer Ne Phir Sada Di Kya Chor Jao Gi Tum Bhi
Kyun Aisa Kehti Ho Amma Rehti Nahi Maa Kissi Ki
Acha Batao Kya Door Ja Ke Phir Laut Aati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Maa Ne Kaha Phir Yeh Shabeer Se Har Maa Tu Aati Nahi Laut Ke
Aye Mere Dil Mere NooreNazar Zahra Ka Ab Tum Se Wadah Hai Yeh
Jab Tum Bulao Gay Aaye Gi Maa Seene Se Tum Ko Lagaye Gi Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Ik Roz Aisa Bhi Aaya Tha Fatima Ka Janaza
Rukh Se Kafan Jab Hataya Shabeer Ne Maa Se Pocha
ZaireKafan Bhi Aawaz Sun Kar Aanso Bahati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Bin Maa Ke Bachoon Se Aa Ke Jab Haal Pocha Ali Ne
Haye Raza Our Zeeshan Shabeer Ro Ro Ke Bolay
Aye Baba Ghar Mein Lagta Nahi Dil Jab Yaad Aati Hai Maa
Kyun Chor Jati Hai Maa

Wo shaam ka zindaan, wo ghurbat wo andhera
kurte ka kafan aur, sakina ka janaza
sajjad se jab laasha, bahan ka nahi uttha
laashe pe rabab aake, ye karne lagi nauha

aye bibiyo tum meri, madad karne ko aao
haye mazloom sakina ke, janaze ko uthao

sakina bibi, haye
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza
sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

Ye rone wali ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

1. Hai haath ab bhi rasan mein iske
hum hi hai ab is watan mein iske
na jaane kab se ye tashna lab hai
nami nahi hai badan mein iske
yeh meri pyaasi, haye
yeh meri pyaasi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

2. Yateem, bekas, ghareeb, dukhiya
thi kitni mazloom o be sahara
chacha ke sar ke qareeb lakar
pakad ke baalo se jisko maara
yeh us bhatiji, haye
yeh us bhatiji ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

3. Wo jiski sukhi hui rago par
chala tha karbobala mein khanjar
bhara tha teero se uska seena
hai jisko maara rula rula kar
yeh uski beti, haye
yeh uski beti ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

4. Jala hai kurta, hai kaan zakhmi
gale mein paywast hai rasan bhi
kahi pe khaya tha taziyana
kahi ye naaqe se gir gayi thi
ye ghum ki maari, haye
ye ghum ki maari ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

5. Mila jo paani to isne lakar
giraya abid ki bediyo par
kahi se chadar mili to pehle
hume udhayi hai isne aakar
ye sab ki pyaari, haye
ye sab ki pyaari ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

6. Hai iske baalo mein bhi safedi
kamar bhi kham ho chuki hai iski
ise bhi darbaar jab bulaya
pakad ke deewar ye chali thi
batool jaisi, haye
batool jaisi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

7. Mai iski halat batau kaise
ab aur ghurbat sunau kaise
tumhe khabar hai mai iski maa hu
madad karo mai uthau kaise
ye meri bacchi, haye
ye meri bacchi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

8. Jise rehayi ki aarzu thi
wo ab hamesha rahegi qaidi
madine wale bhi ro diye jab
raza o zeeshan maa pukari
ye shaam wali, haye
ye shaam wali ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

sakina bibi ka hai janaza
uthao zainab, uthao fizza

Abbas - 8

Ya kashefal karbe an wajhil Hussain,
Ikshif karbi be haqqe akhikal Hussain.

Shabeer Ke Chehray Se Gham Door Karne Walay.
Tum Door Kar Do Aa Kar Abbas Gham Hamarey.

Tum Baab-e-Hawaij Ho Zainab Ka Sahara Ho.
Ho Fazal-o-Karam Hum Pe Tum Fazal Ke Baba Ho.
Hum Kis Se Madad Mangay Koi Nahi Hamara.
Bas Jee Rahe Hain Maula Hum Aap Ke Saharey.

Milney Ke Liye Aaon Hasrat Hai Mere Dil Ki.
Na Rasta Aasaan Hai Na Zaad-e-Safar Koi.
Mushkil Yeh Meri Hal Ho Mushkil Kusha Ke Betay.
Aa Jaein Jald Hum Bhi Darbar Mein Tumhare.

Jab Ghar Mein Azakhana Ro Ro Ke Sajatay Hain.
Yeh Kehte Hoye Momin Hathoon Ko Uthatay Hain.
Zahra Ki Dua Ho Tum Sun Lo Dua Hamari.
Aa Jao Mere Ghar Bhi Umm Ul-Baneen Ke Pyaray.

Matam Ki Qasam Maula Seene Ka Sakoon Tum Ho.
Aye Qamar-e-Bani Hashim Ab Chain Miley Dil Ko.
Oss Bali Sakina Ki Ghurbat Ka Wasta Hai.
Kano Se Jis Ke Cheeney Zalim Ne Goshwaray.

Andaz-e-Wafadari Dunya Ko Sikhatay Hain.
Woh Hath Rahein Baqi Parcham Jo Uthatay Hain.
Main Wasta Oss Pal Ka Deta Hoon Tum Ko Maula.
Kat Kar Girey They Bazu Jab Nehar Ke Kinaray.

Jo Godiyaan Khali Hain Ab Jald Unhein Bhar Do.
Oss Maa Ke Waseelay Se Aoulad Atta Kar Do.
Jholay Se Lipat Kar Jo Kehti Thi Mere Asghar.
Tum Bin Rubab Kaisay Ab Zindagi Guzarey.

Beemar Shifa Paein Ho Jaein Reha Qaidi.
Sajjad Ki Ghurbat Ki Hai Tum Ko Qasam Ghazi.
Aabad Rahe Sar Pe Saya Tere Alam Ka.
Farsh-e-Aza Pe Aa Kar Ro Ro Ke Dil Pukarey.

ZEESHANO RAZA Kyun Na Faryad Karein Tum Se.
Jab Zarbain Lagin Terah Shabeer Ki Gardan Pe.
Har Zarb Pe Maula Ne Ro Kar Tumhein Pukara.
Manzar Woh Yaad Kar Ke Rotay Hain Gham Ke Marey.

Likha Hai Ya Hussain Muharram Ke Chand Par.
Zahra Bhi Aa Gayin Hain Baqiya Ko Chor Kar.
Totay Hoye Dilon Ka Sahara Hai Jis Ka Dar.
Aa Jao Oss Hussain Ki Janib Karein Safar.
Jo Kibriya Ki Shan Muhammad Ki Jan Hai.
Haan Apne Zairon Ka Jo Khud Mezban Hai.

Dam Ba Dam Qadam Qadam Hai Dil Mein Ishq-e-Karbala Hussaina Hussaina.
Zairon Ke Qafilon Se Aa Rahi Hai Yeh Sada Hussaina Hussaina.

Chaley Chalo Barhey Chalo Hussain Ki Sada Suno.
Hussain Tum Ko Bola Rahe Hain Hai Samne Karbala.

Akbar Ke Sath Ghazi Khud Lainay Ja Rahe Hain.
Sultan-e-Karbala Ke Mehman Aa Rahe Hain.

Parcham Ke Saye Mein Hai Abbas Ki Sawari.
Mehmaan Nawaziyon Ki Teyariyaan Hain Jari.
Shabeer Ka Haram Hai Halchal Hai Khadmo Mein.
Gunbad Pe Shah-e-Dein Ke Parcham Laga Rahe Hain.

Jo Be Kafan Hai Oss Ka Darbar Saj Raha Hai.
Woh Ho Raha Hai Jo Bhi Abbas Ne Kaha Hai.
Hain Surkh Roshni Mein Kalay Libas Walay.
Ro Ro Ke Farsh-e-Matam Khadam Bicha Rahe Hain.

Ro Ro Ke Keh Rahe Hain Afsoos Hai Yeh Bibi.
Aye Kash Hum Jo Hotey Ashor Walay Din Bhi.
Nu Lakh Zalimo Mein Tanha Na Hotey Maula.
Labaik Keh Rahe Hain Our Rotay Ja Rahe Hain.

Norani Chehray Walay Galon Pe Khak Mal Kar.
Zawwar Aa Rahe Hain Paidal Najaf Se Chal Kar.
Iss Ishq Ke Safar Mein Har Shaks Maizbaan Hai.
Kuch Loag Rastay Se Pathar Hata Rahe Hain.

Unn Par Salam Ho Jo Besakhiyon Pe Aaye.
Paon Ke Bal Nahi They Phir Bhi Na Larkharaye.
Milti Nahi Sabhi Ko Yeh Ishq Ki Bulandi.
Bas Ya Hussain Keh Kar Woh Chalte Ja Rahe Hain.

Thamay Hoye Tabaruk Rahoon Mein Jo Kharey Hain.
Qasim Ka Naam Le Kar Taqseem Kar Rahe Hain.
Dono Jahan Mein Aisa Jazba Kahin Na Dekha.
Jo Saal Bhar Kamaya Woh Sab Luta Rahe Hain.

Yeh Woh Zameen Hai Jis Par Pyasi Rahein Sakina.
Ghazi Ko Yaad Kar Ke Roti Rahein Sakina.
Ab Iss Zameen Pe Koi Pyasa Nahi Hai Dekho.
Pyason Ko Mashk Walay Pani Pila Rahe Hain.

ZEESHAN aur RAZA Jab Maula Ke Pas Jana.
Hur Ki Qasam Hai Tum Ko Tabdeel Ho Ke Aana.
Aye Zaireen-e-Maula Hai Asal Yeh Ziyarat.
Unn Ki Hai Mezbani Jo Hur Bana Rahe Hain.

Tum Apne Dil Mein Ziyarat Ki Aarzu Rakhna.
Phir Unn Ka Kam Hai Jazbay Ki Aabro Rakhna.

No comments:

Post a Comment