- Baba ab to aa jao
Beti ki sadaaon par agaye Ali Haidar
Ye pukaar Zeinab ko kab gale se liptaa kar
Ab na you kaho roo kar Baba ab to ajao
Likh raha hai jo Maajid Shadman parho nauha
Gunjta ta hai kaanon me bekasso ka ye nara
Ay yateemon ke Yavar Baba ab to ajao
- Humara rishta Hussein se hai
Kashtiyé diné khuda ka rakhuda hussain hussain hussain
Ya hussain, Ya hussain ... hussain hussain
Humé na ja ho saltanat [na takht-o-taaj chahiyé] x2
Baland taaj-o-takht sé [maga mizaaj chahiyé] x2
Shahidé karbala ka buss, dilon pé raaj chahiyé
Ya hussain, Ya hussain ... hussain hussain
Hamara rishta hussain sé hai x2 buss ék rishta hussain sé hai
Zoher-o-Muslim ibné Osajaa, Shabir ki tarha
Janabé Hur aur John ké naseeb ki tarha
Humé yé fakhr hai ké hazraté habib ki tarha
Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai
Hai kaun apna tchara gar hussain hai hussain hai
Hai kaun hum sé baa khabar hussain hai hussain hai
Hai kaun apna raah bar hussain hai hussain hai
Hai kaun dil mein jal bagar hussain hai hussain hai
Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai
Har ek simt dehr mein hai ya hussain ki nidaah
Har ek kaum ki har ek dine ki bhi hai sadaa
Kamaal to yeh hai ké bhoot parasst bhi yeh bol utha
Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai
Hamara tchara gar nahin koyi hussain ké siva
Hamara baa khabar nahin koyi hussain ké siva
Hamara raah bar nahin koyi hussain ké siva
Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta Hussein sé hai
Yeh woh hussain hai mila hai jisko doshé Mustufa
Yéhi baqaaré arsh hai yéhi hai naazé kibriya
Ana minal Hussain keh ké yé Nabi né keh diya
Issi sabab sé aaj hum bhi dé rahe hai yeh sadaa
Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai
Hussain ko dilon mein tum bithaalo ay hussainiyo
Hussain ko nazar mein tum bassaalo ay hussainiyo
Yeh keh ké apna dehr ko banaalo ay hussainiyo
Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai
Samaa silé ké taa samak hussain hi hussain ho
Zamin sé aasma talak hussain hi hussain ho
Jahan jahan falak falak hussain hi hussain ho
Hamara rishta Hussain sé hai, buss ék rishta Hussain sé hai
Jahan péh gham Hussain ka wahan péh bhi siya saté
Jahan péh gham hussain ka wahan péh bhi kadhuraté
Khuda ké waasté mitaado dil ki yéh galaazaté
Munaafiqat ko tchhor kare payal zaban yehi kahé
Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai
Rahengué yawmé hashr bhi wohi to log Shadman
Ghamé hussain mein jo kar rahein hai naaraa o fugaan
Ay Maajid apné paas aana paaégua ghamé jahan
Hamara rishta hussain sé hai, buss ék rishta hussain sé hai
Sirf Ya Hussain ....
Lamha lamha shumaar karti hai
Ai azaadaro aao majlis me
Fatema intezar karti hai
Ai azaadaro suno kehrahi hai saiyada....x2
Har ek chahne wale ko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi.x2
Tum apne gharme azakhana jab sajaoge
Jaza rasul se iski zarur paoge
Khuda bhi razi rahega ali bhi aur mai bhi
Gham apna bhul ke aashur jab manaoge
Tumhare dil ki har ek zakhm ki dawa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Har ek chahne wale ko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Ajeeb haal se aungi mai sar e mehshar
Ke laungi maii waha goud me husain ka sar
Mai laungi mere abbas ke kate hue hath
To saath lasha e asghar bhi aur hasan ka jigar
Khuda se baba ki ummat ko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Har ek chahne wale ko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Ba waqt e asr gulu e husain kat ta tha
Pisar ke gird phiri ruh e fatema zehra
Nida e fatema aati thi aah wawaila
Ke chakki peeske maine husain ko paala
Karo na qatl ise mai tumhe dua dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Har ek chahne wale ko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Meri sakina o zainab ki sab kaneezei sune
Wasiyat ek meri hai ye dhyan me rakhei
Kabhi ho zikr jo zainab ki beridai ka
To ek lamha bhi khud ko wo berida na karei
Mai tumko betiya zainab si ba haya dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Har ek chahne wale ko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Tum is jahaa'n me hamara sahara banjao
Hamari baai'se izzat to banke dikhlao
Na aisa ho kabhi apne kisi amal se kahi
Azaa ki ruh ko nuksaan tum na pohchao
Ye mera waada hai mai tumko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Har ek chahne wale ko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Jo umr bhar mere bachhe ka nauha khwaa'n hoga
Baroz e hashr wo utna hi "Shadmaa'n" hoga
Jo nauhe likhte rahe "Mazhar Aabdi" yuhi
kalam ye taaba qayamat yuhi rawaa'n hoga
Har ek bait pe jannat me ghar dila dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi..
Har ek chahne wale ko bakshwa dungi
Mere husain ko rote raho dua dungi....
- Karbala Karbala
jaise sakina yateem hui
sham ke zindan may jab sakina ko baba ka sar mila
lipta ke sar ko seene se bachi ne ye kaha
kha gaye sham ke zindan may andhere baba
kisko kehte hai yateemi ye suna tha maine
aap ke baad ye ehsaas hua hai baba
kha gaye sham ke....
aap ke baad yateemi ki saza paayi hai
itni tanha hoo ke saaya hai na parchayi hai
raat ro ro ke guzarti hai to din matam may
qaid khane may yuhin saal kata hai baba
kha gaye sham ke....
zindagi meri dukhon se hai ibarat baba
kaise qismat ne dihkhayi hai musibat baba
mai jo roti hoo to lagte hai tamachay baba
aap ki yaad may rona bhi saza hai baba
kha gaye sham ke....
ashk aankhon se nikalte hai lahoo kano se
ab darindo se nahi khauf hai insano se
ek majboor yateema par sitam dhaate hai
meri taqdeer may durro ki jafa hai baba
kha gaye sham ke....
aap ki tarha se roothe hai ujaale baba
kaun zindan se ab mujhko nikaale baba
tune maanga tha duaon may khuda se jisko
ab wohi beti hai zindan may jafa reh baba
kha gaye sham ke....
apne armaan thay ke zindan se mai ghar jaungi
aisa lagta hai yehi ro ro ke marjaungi
ye sitamgaar sakina ko kafan kya denge
kya kafan aap ke laashe ko mila hai baba
kha gaye sham ke....
baba kehte hai ye zindan ke andhere mujhse
maut hi aayegi ab mujhko dilaase dene
meri har saans hi rehti hai sitam ki zad par
aise jeene se to marna hi bhala hai baba
kha gaye sham ke....
zakhm laakhon hai kaleje may dikhaun kaise
mujhpe jo beeth rahi hai wo bataun kaise
pyas lagti hai to peeleti hoo aansu apne
zulm ke durre sakina ki ghiza hai baba
kha gaye sham ke....
lafz mazhar ne jo likhe hai lahoo rote hai
shadman khaak se yun ashke aza behte hai
aisa lagta hai ke zindan se sada aati hai
aisa nauha meri ghurbat pe likha hai baba
kha gaye sham ke....
- Mera Abbas [Asma]
Ghururé fawdjé sitam ghar ko, tor sakta hun
Rukhé furat, nigahon sey mor sakta hun
Ali ka beta hun, mojiz numaion ki qassam
Mein aftaab sey paani nitsor sakta hun
Mera abass , Ghazi abass (4)
1. Maaniyé ruffaté Issaro vafa hai abass
Jazbaé hossala é Shehré Khuda hai Abass
Ruhé Ehsaas Rassoulé dosara hai Abass
Yaani Allah ké maqsad ki baqaa hai Abass
Rastaa rehbaré Islam ki ruqné na diya
Kath gaya hath alam din ka jukné na diya
Mera abass, Ghazi abass...
2. Mei jo ehjaz dikawun to yé naksha badlé
Arsh pei Fasl Ughé Farsh pei suraj niklé
Nehr sey Ghard urhé , sang sey tsachma phoothe
aag paani mey lagué aag sey paani nikley
ghur ké dekhun to toum sab bemamat ajaaé
Mere tuté huwé neyzé pei furat aajaé
mera abass, Ghazi abass..
3. Meri Talwaar sey Jibril key par Kampté hai
Meri hai bass sé sab ye jino bachar kampté hai
tumko kya cheez ho cheron key jigar kampté hai
Maut sey pehlé hi ajssam key sar kampté hai
Meyné talwar jo ek baar chalayi hoti
Sari dunya mein dohayi hi dohayi hoti
Mera Abass, Ghazi abass..
4.Jang siffen ka mahol dobara hojaé
Khétslun tegh to dunya mein savera hojayé
Alqamah ko jo mera ek ishara hojayé
Khayma é shah hi darya ka kanara hojaé
Khatm pyasson ki abhi tachnadahaani kardun
Mein agar tsahun paharon ko bhi paani kardun
Mera Abass, Ghazi abass..
5. Huré maqtal ko ek ungli pei natsha sakta hun
Tum jo marjao to thokar sey jila sakta hun
Aag behté huwé paani mein lagaa sakta hun
Tum ko ab ruh key ishaaré sey bhaga sakta hun
Hath kathné pei bhi larné sey mein maazour nahin
Hukmé Shabeer ka pabant hun majboor nahin
Mera Abass, Ghazi abass..
6.Han magar gardishé dohra ney yé manzar dekha
Kath gayé baazué abass saré rahé wafaa
Sar pei bhi gurz lagua ankh pei bhi tir laga
as bhi tut gayi mashk sey paani jo baha
Ho salam aap pei aka yé pukaré Abass
Nehr sey jaané bhi firdos sidharé abass
Mera Abass, Ghazi abass...
7.Jab suna nehr pei sakaé haram mara gaya
Girgayi bibyon key sar sey ye sunté hi rida
Bibi zaynab ki sada aaney lagui vavéla
Ghir gaya dasté Sakina sey zamain par Kuza
Boli yé ro key mujé as nahin hai ammu
jald ajao key ab pyass nahin hai ammu
Mera Abass, Ghazi abass...
8. Rokey Shabeer pukarey mere Bhayya Abass
Mere ghamkhar mere ashiko sheda Abass
Moujko paani to pilaado mein hun pyassa abass
Mein Ghira jaata hun do mujko sahara abass
Khaymaé Fatema Zehra key sipar tut gayi
Hath bhayi key kathé meri kamar tut gayi...
- Mere Baba ke Zuljanah
Zuljanah e Shahe waala bhi bouka karta raha
Ouske bhi teer lage bagh kati zin thala.
Aise aalam me souye khaima e Shabbir tsala
Dekh kar ousko Sakina bhi fougha karne lagui
Haay bagh ghore ki pakar kar ye bayan karne lagui
Mere baba x2
Mere baba ke Zuljana x 4
Kya meri yateemi ki tou laya hai khabar
Mere baba ke Zuljana x 4
Kar yad ke samjhaya tha toumhe dame rukhsat
Khajae gi iss dil ko mere baba ki furqat
Mere baba ke Zuljana
Main roti rahi aur kiya tou ne safar
Mere baba ke Zuljana x 4
Kehte the toujhe baba mere asbe Wafadaar
Yeh kaisi wafa toune dikhayi mere gham khaar
Mere baba ke Zuljana
Tchor aaya ounhe dasht e bala me kyun kar
Mere baba ke Zuljana x 4
Yeh dekh mere baalon me hai khaak e yateemi
Ab seene pe har saans bhi dushvaar hai meri
Mere baba ke Zuljana
Ankhon me meri dekh zara gham ka assar
Mere baba ke Zuljana x 4
Main roti rahi aur tujhe tars na aaya
Le dekh mere sar se outha baap ka saayaa
Mere baba ke Zuljana
Sine pe mujhe kaun soulaae ga magar
Mere baba ke Zuljana x 4
Ye khaaq e bayabaan bani mera muqaddar
Ab tchhin ke le jaaenge bunde ye sitamghar
Mere baba ke Zuljana
Hai daaghe yateemi hi Assiri ki khabar
Mere baba ke Zuljana x 4
Iss khaaq ke bistar pe mujhe sauna parhe ga
Kya neend mujhe aegui tune nahi sotchha
Mere baba ke Zuljana
Jaagun gui shab o rauz yehi keh keh kar
Mere baba ke Zuljana x 4
Haan tchadaren tchhine ge laeen khaime jhala kar
Ammu ko bulaoun gi kabhi baba ko rokar
Mere baba ke Zuljana
Tchhinen ge oudou jab mere kaanon se gohar
Mere baba ke Zuljana x 4
Ai shadman mazhar bhi likhe kaise who manzar
Dam tora kalam ne bhi isi baat ko likh kar
Mere baba ke Zuljana
Baba jo nahin hai to jeeyun main kyun kar
Mere baba ke Zuljana x 4
- Ro rahe hai Imaam e Zamana [as]
Imam waqt hai ranjeeda kaun sochenga
Aa kissi roz, isi doukh pe , ikhathar rowe
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
Yaad karke loutre gar ka manzar
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
Khak karbobala dale sar par
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
1-Tair ta hai nazar me woh manzar
(Tsal raha hai namazi pe khanjar)*2
Vaar hota hai soukhe gale par
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
2-Bhul sakte nahi jalte khaime
(Bhul sakte nahin taaziane)*2
Bhule kaise woh Zainab ki tchaadar
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
3-Yaad hai ounko ab bhi vo manzar
(Jab baraste te pathar saron par)*2
Bibiyan Shaam me thi khule sar
(Ro rahe hai Imame Zamana)*2
4-Yaad karke louthi chhaadaron ko
(Yaad karke safar ke dukhon ko)*2
yaad karke Sakina ke gohar
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
5-Yaad karke woh ghazi ke baazou
(Yaad karke woh Akbar ke gessou)*2
Yaad karke woh zoulme sitamghar
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
6-Zikr-e-Karbobala ho raha hai
(Aaj saara jahaan ro raha hai)*2
Aa ke khoud aaj farsh-e-azaa par
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
7-Al ajal al ajal kehne valon
(Apne aamal ko bhi to dekho)*2
Baa khouda ghaib me aaj tum par
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
8-Ghaib me kar rahe hai douaen
(Jald ghaibat se baahar vo aee)*2
Badla karbal ka le jald aa kar
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
9-Ankh mere kalam ki houwi nam
(Kar rahi hein ye tehrir matam)*2
Noor noha raqam ho ye kyun kar
(Ro rahe hein imame Zamana)*2
- Teri laash outhaae kaise Hussein
Haaye Akbar x8
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x3
Dil thaame huwe aur kham hai qamar
Beenayi nahi aur zakhmi jigar
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Ai beta Zaeefi lai aise
Laasha hai bagal me baba ke
Abbas nahi Qassim bhi nahi
Imdaad ke lhateer kaun aye
Lee boj issi gham ka dil par
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Sadmon ki thakan ne maar diya
Din bhar to outhaye hai laashe
Sab zabt ke badhan tuth gaye
Beenayi gayi tere gham se
Tanha hai sare maqtal ye padar
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Ai laal teri sourat ki qassam
Ab tab nahi hai iss dil ko
Main burha padar aur tum ho javan
Kya waqt parha itna sotso
Main beqasso tanha aur muztar
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Khaime me tujhe roti hai phuphi
Aur zebe mussalla hai maadar
Athaara barass paala hai tujhe
Tou khud hi bataa ai mere pissar
Kya biit rahi hogi dil par
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Pardess me mere noor e nazar
Jee te ji mujhe tou maar gaya
Neze ki tarha ye gham Akbar
Hum sab ke dilon se paar gaya
Roti hai teri maa ye keh kar
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Karta hun dua en Khaliq se
Kismat na kissi ko de ye gham
Ho samne bête ka laasha
Aur baap kare ouska matam
Sounle ye dua Rabbe Akbar
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Taqdir kissi maadar ko bhi
Yegham na dobaara dikhlaye
Beta ho Shabih he Payghambar
Maa jeeti rahe who mar jaae
Mar jaaegui ro ro kar maadar
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Joo tere kaleje me thi sinah
Hai zakhmi oussi se hai zakhmi oussi se dil mera
Kis tarha sinah wow khetsi thi
Main tujko nahi batla sakta
Dil tukre huwe jaata hai Pissar
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
Jo bain kiye Sheh ne ban me Mazhar who bayaan kar sakta nahi
Sine pe pissar ke sar rakh kar
Yeh kehte rahe bas Shaahe din
Ab zinda rahun main bhi kyun kar
Akbar teri laash outhae kaise Hussein x2
- Zafare djinn
- Zafare djinn
No comments:
Post a Comment