Fatema Zehra, shukriya Zehra..(2)
Apne gham ko bhool gaya hu mai bakhuda,
Sine se jab se maine lagaya ghame HUSSAIN,
Kis muh se shukriya karu Zehra ka mai adaa,
Unke sabab naseeb me aaya ghame HUSSAIN......
Tu salamat rahe..(2)
Hamesha ghame hussain
Kahan se gham ko uthane ka hausla aata
Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)
1. Khudana khaasta aata kabhi jo ye mauqa
Ke baap dekhta kadiyal jawaan ka laasha
To lash uthaa ne se pehle hi baap mar jaata....
Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)
2. Ajeeb chahate hoti hai baap beti ki
Agar hussain ki beti na hausla deti
To beti baap ki mayyat se kaise hoti judaa
Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)
Jo ho gae shahid ghamee sheh ki raah mein
Unko liya HUSSAIN ne apni panah mein
Maaein ye boli beto ke laashe ko chum kar
Milna hame Imame Zama ki sipaah mein
3. Tumhare chaah ke karze chukaae hai maula
Ke Maa ne beto ke laashe sajaein hai maula
Karaar kaise shahido ki maao ko aata
Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)
4. Agar ye marsiye nauho me na suna hota
Ke laashe ghaazi pe kis tarah tune sabr kiya
Toh gham me bhai ke bhai ka dam nikal jaata
Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)
5. Wo Maa ka pehlu shikasta bhi tune dekha tha
Agar nazar me na hota bichadna Maa Se Tera
toh kaise maa ke janaze ko beta dafnata
Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)
Ya Hussain..
6. Haye farhan o zille raza
Kaisa sabir tha maula mera
Sabr har gham pe karta raha
Zikr ho kaunse sabr ka
Nana ke jane pe
Tera Sabr maula..
Maa ke janaze pe
Tera Sabr maula..
Haye baba ke zakhmo pe
Tera Sabr maula..
Haan bhai ke marne pe
Tera Sabr maula..
Haye akbar ke seene pe
Tera Sabr maula..
Haan qaasim ke tukdo pe
Tera Sabr maula..
Masoom beti pe
Tera Sabr maula..
Haye asgar ki hichki pe
Tera Sabr maula..
Haan laashe Barabar pe
Tera Sabr maula..
Behno ki chadar pe
Tera Sabr maula..
Jalte hue ghar pe
Tera Sabr maula..
Lut te hue ghar pe
Tera Sabr maula..
HUSSAIN ya HUSSAIN..(3)
HUSSAIN ya HUSSAIN ya HUSSAIN ya Hussain
Shaame gariba ....2
Baap ke sine pe sar rakhkar Sakina so gae
Aur durra leke aa pohcha wahan shimre laae....
Baap ki lash pe beti ko joh paaya hoga...
Allah jaane.. Allah jaane.. kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga....
1. Kitni raat Se wo jaagi hue masooma thi,
Baap ki lash Se lipti toh osse neend aae,
Markar durra joh zaalim ne jagaaya hoga.....
Allah jaane.. Allah jaane.. kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
2. Marta tha kabhi durre kabhi pathar wo shakhi,
Fhir bhi lipti rahi lasshe Se judaa hoti na thi,
Nooch kar baal jo zaalim me uthaya hoga,
Allah jaane.. Allah jaane.. kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
3. Bekasi kaisi thi gham Kaisa jafaa kaisi thi,
Har tamache pe wo ghaazi ko sadaa deti thi,
Khoon Abbas ne ankho Se bahaya hoga,
Allah jaane.. Allah jaane.. kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
4. Dhundne bachi ko maqtal me joh Zainab pohchi,
Khoo Me tar baap ke laashe pe khadi thi beti,
Nauha Zainab ke labon par yahi aaya hoga,
Allah jaane.. Allah jaane.. kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
5. Betiyon walo zara socho wo manzar haae,
Baap ki laash pe beti ne tamache khaae,
Khoon rukhsaaro Se us dam nikal aaya hoga....
Allah jaane.. Allah jaane.. kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
6. Ek shab aaya joh zindaan me sare Shahe anam,
Muh pe muh rakha Sakina ne hue saase tamam,
Waqt jab ghuslo kafan dene ka aaya hoga.....
Allah jaane.. Allah jaane.. kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
7. Rookh le zille raza apna kalam ab nahi taab,
Gham Se behaal hue hogi bohot umme rubab
Nauha farhaan ne jis dam ye sunaaya hoga
Allah jaane.. Allah jaane.. kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
kis tarah baap se beti ko chudaaya hoga.... 2
Fatema ki poti hu...
Mai Hussain ki beti....
Abbas ki bhatiji hu......
Mai baali sakina hu... mai baali sakina....5
Jo bhi aata hai alam par mai...2
Duaa deti hu
Mai toh Bigdi hue taqdeer bana deti. hu.... 2
Mai baali sakina hu... mai baali sakina....2
1. Naam hai baali Sakina hai sakhi mere Chacha,
La dawa mang ne ata hai agar koi Shifa,
Usko Abbas ke Parham ki.... 2
Hawa deti hu
Mai toh Bigdi hue taqdeer bana deti hu....
Mai baali sakina hu...mai baali sakina....2
2. mang ne aata hai gar koi alam par bete,
Apne ammu ke Wasilee Se khuda Se kehke,
Usko sadka Ali asgar Ka... 2
Dila deti hu
Mai toh Bigdi hue taqdeer bana deti hu....
Mai baali sakina hu...mai baali sakina....2
3. Janti hu mai aziyat ka siwa ho jana,
Kitna mushkil hai yu apni Se juda ho jaana,
Bas yahi sochi ke bichde ko... 2
Mila deti hu
Mai toh Bigdi hue taqdeer bana deti hu....
Mai baali sakina hu...mai baali sakina....2
4. Baat ye dil ki batati hu rakho yaad ise,
Khush bohot hoti hu mai jab bhi kisi momin Se,
Usko ek beti mai ba izne .... 2
Khuda deti hu
Mai toh Bigdi hue taqdeer bana deti hu....
Mai baali sakina hu...mai baali sakina....2
5. Mangta hai joh azakhana sajane ke liye,
Ayse momin ki dua sunti hu sabse pehle,
Gaibi asbab Se mai ghar bhi... 2
Naya deti hu
Mai toh Bigdi hue taqdeer bana deti hu....
Mai baali sakina hu...mai baali sakina....2
6. Log dete hai khuda ko joh wasila mera
Mangte hai betiyo behno ke naseebo ki dua
Kehke ameen nasebo ko .... 2
Jagaa deti hu
Mai toh Bigdi hue taqdeer bana deti hu....
Mai baali sakina hu...mai baali sakina....2
7. Mere baba ka azadar hai ye ZILLE RAZA,
Zakira Bibi Sakina hai ye FARHAAN Mera,
Unko har baar me rauze pe.... 2
Bulaa leti hu
Mai toh Bigdi hue taqdeer bana deti hu....
Mai baali sakina hu...mai baali sakina....2
Wasiyat He Yateema Ki Zindan Se Sakina Ki,
Kon Zindan Me Sunay Ye Meray Naly Amma,
Kar Dia Mujh Ko Andheroun Ke Hawalay Amma
Aik Mudat Se Nahi Dekhay Ujalay Amma
Mujh Ko Zindan Ke Andheroun Se Bachna Amma
Roz Turbat Pe Meri Shama Jalana Amma,
Apnay In Zakhmoun Ki Me Taab Na Lapaoun Gi
Mujh Ko Lagta He Me Kuch Roz Me Mar Jaoun Gi
Amma Me Luat Ke Na Apnay Watan Jaoun Gi
Meri Haalat Meri Sughra Ko Batana Amma,
Roz Turbat Pe Meri Shama Jalana Amma
Jab Bhi Me Roi Mujhay Marta Tha Shimr E Laeen
Neend Is Dar Se Mujhay Qaid Me Aati Hi Nahi
Phir Meri Qabr Pe Wo Shimr Na Ajay Kahin
Mujh Ko Tanha Na Yahan Chorh Ke Jana Amma
Roz Turbat Pe Meri Shama Jalana Amma
Piyas Ki Aakhri Manzil He Ye He Waqt Karha
Jism Ka Pani Mera Sookh Gaya He Sara
Ab Tu Haddi Se Mera Gosht Juda Honay Laga
Mera Ye Haal Chcha Jan Ko Sunana Amma
Zehra... zehra.. zehra... zehra...
Andhere andhere yateemo se chup kar
sare qabr e zehra ali ro rahe hai
Ya zehra, ya zehra
1. Tumhari musibat bhulaunga kaise
mai bachho se aasu chupaunga kaise
tumhe yaad karke jo royenge bachhe
mai bachho ko apne manaunga kaise
tasawwur mein zehra se karke ye baatein
jhukaye sar apna ali ro rahe hai
2. Ya zehra, ya zehra
kabhi aasuo'n ko chupati hai zainab
kabhi bhaiyo ko uthati hai zainab
kabhi ghar ke aangan mein aati hai zainab
kabhi maa ke hujre mein jaati hai zainab
kabhi roke dukhiya ye karti hai nauha
utho amma fizza ali ro rahe hai
3. Ya zehra, ya zehra
Utho shahzadi hua hai andhera
tumhare bina wo kaha'n so sakega
mai jaunga wapas to bolega baba
meri maa kaha'n hai bula do khudara
akele jalakar charagh aasuo'n ka
sare qabr e zehra ali ro rahe hai
4. Ya zehra, ya zehra
Hai shehre nabi mein samaa karbala ka
na koi tasalli na koi dilasa
taraste hai ghar mein yatiman e zehra
koi aake deta nahi inko pursa
hussain o hasan ka kahi'n par hai girya
kahi'n mere maula ali ro rahe hai
5. Ya zehra, ya zehra
kabhi is jagah ko na bhulenge maula
ye kucha hai maqtal dil e murtaza ka
yaha'n se na guzre hasan baad e zehra
sitamgar ne maara tha yu taziyana
Mohammad ki beti zamee'n par giri thi
yaha'n baithe tanha ali ro rahe hai
6. Ya zehra, ya zehra
Wo lamhe hai mushkil ali ko bhulana
wo pehlu pe jalte hue darr ka girna
wo aaho'n ka bharna wo zakhmo ka ghisna
shahadat wo mohsin ki zehra ka rona
takallum abhi tak isi bekasi par
lahad mein bhi maula ali ro rahe hai
Andhere andhere yateemo se chup kar
sare qabr e zehra ali ro rahe hai..(3)
Wa Waila Hay Wa Waila
Wa Waila Hay Wa Waila
Wa Waila Hay Wa Waila
Wa Waila Hay Wa Waila
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai
Ab Laut Aa Musafir
Ab Laut Aa Musafir
Zehra Bulaa Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai ×2
1. Ek Saal Yun Guzara
Takti Rahi Me Raahe
Bas Dhoond Ti Hai Bhayya
Tumko Meri Nigaahein
Ab Laut Aao Akbar ×2
Sughra Bula Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai ×2
2. Mehendi Lagaungi Me
Sehra Sajaungi Me
Armaan Hai Ye Maan Ka
Dulhan Bhi Laungi Me
Ab Laut Aao Qasim ×2
Farwa Bula Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai ×2
3. Aey Aun Aur Muhammad
Tum Jin Me Khelte The
Sooni Hai Ab Wo Galiya
Veeran Hai Wo Hujre
Ab Laut Aao Pyaro ×2
Dukhiya Bula Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai ×2
4. Maan Dhoop Me Rahegi
Faryaad Bhi Karegi
Jab Tak Na Aaoge Tum
Paani Nahi Piyegi
Ab Laut Aao Asghar ×2
Mamta Bula Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai ×2
5. Ummul Baneen Ro Kar
Ye Kar Rahi Hai Noha
Tum Dashte Karbala Me
Kulsoom Par The Fidya
Ab Laut Aao Ghazi ×2
Behna Bula Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai ×2
6. Bas Waris E Ali (a.s) Se
Farhan Aur Mazhar
Karte Hai Dil Ki Baatein
Farsh e Aza Bichha Kar
Ab Laut Aao Maula ×2
Duniya Bula Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai ×2
Ab Laut Aa Musafir ×2
Zehra Bulaa Rahi Hai
Ujray Huway Gharon Se Awaaz Aa Rahi Hai ×3

No comments:
Post a Comment