Wednesday, 19 February 2025

Meesum Abbas (2017)

Mohammad ka gharana..(4)
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)
noke naiza pe bhi qur'aan..(2), sunane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)

1. Ye jafao'n ke sile mein bhi dua dete hai
apne qatil ko bhi sharbat ye pila dete hai
ek sajde se ye islam..(2), bachane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)

2. Ek mashkeeze mein darya ko utha lete hai
ye to khud pyaas ko darya ki bujha dete hai
pyaase darya se palat kar hai..(2), ye aane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)

3. Baat ho haqq ki to ye maut se ghabrate nahi
ilm hai inko shahadat hai shehad se sheeree'n
maut ko jeene ke aadab..(2), sikhane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)

4. Apne haatho'n pe uthate hai kabhi khaiber ko
aur zara maqtal e akbar ki taraf to dekho
budhe kaandho' pe jawaa'n laash..(2), uthane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)

5. Door tareekiye aalam ko kiya shahe zaman
naam e ahmed ke diye karke dilo'n mein roshan
apne khaime ke charagho ko..(2), bujhane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)

6. Laashe paamaal hui qaidi bane ghar bhi jala
phir bhi paigham mohammad ka mitaye na mita
tanha nau laakh ke lashkar ko..(2), harane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)

7. Humne yu meesum o salman baqa paayi hai
chauda sadiyo'n se jo naslo'n mein azaa aayi hai
nasl dar nasl azadaaar..(2), banane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2)
Mohammad ka gharana..(2)

Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai
tadap ke laasha e akbar pa boley sibte nabi
hamare noor e nazar ko lagi nazar kiski
sitam ghareeb musafir pa ye mazeed kiya
batao kisne mere sher ko shaheed kiya
sina kaleje pe akbar ke maarne waale..(2)
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai

sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

1. Bade hi naaz se paala hai ye jawaan pisar
ye mere ghar ka ujala, ye mera noor e nazar
ye mera hasliyo'n wala reyazato'n ka samar..(2)
lahu mein dooba hua aidiya'n ragadta hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

2. Ye meri god mein qur'a ki tarha rehta tha
ye noor banke meri aankh mein chamakta tha
ye saaya banke mere saath saath chalta tha..(2)
meri sada pe na koi jawaab deta hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

3. Ali ki betiya'n jhula ise jhulati thi
hijab e noor mein lori ise sunati thi
janab e umme banee iske naaz uthati thi..(2)
aur ab hussain yaha'n iski laash uthata hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

4. Jo bachpane mein pakadke ye mera haath chala
to haath uthake ise di thi zindagi ki dua
khabar na thi ke mujhe ye bhi dekhna hoga..(2)
ke aaj haatho'n pe akbar tera janaza hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

5. Batao tum mein koi ho jo sahib e aulad
jawaan laal ho jismein hai wohi ghar aabad
sitamgaro ne kiya haaye mera ghar barbaad..(2)
hawaye zulm se ghar ka charagh bujhta hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

6. Hamare seene se nikla hai dil lahu rota
aur apne khaime se nikli hai zainabe kubra
najaf se nikle ali aur madine se nana..(2)
jab iske seene se barchi ka phal nikaala hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

7. Salam e akhri mujhko kiya tha jab isne
na pooch humse ke aaye yaha'n pa hum kaise
kabhi uthe kabhi maqtal ki khaak par hai gire..(2)
zaeef baap se ye ghum kaha'n se uthta hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

8. Hua hai nauha jo meesum teri zaba'n se adaa
ye joshe girya o matam bata raha hai raza
ke nauha sunne yaha'n aagaye mere maula..(2)
har ek zabaan pe akbar tera hi nauha hai
sina kaleje pe akbar ke maarne waale
pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

Haye sakina..(2)
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
zindaa'n mein sakina ko..(2)
ye ghum bhi uthane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)

1. Shabbir ke baccho'n mein, ek aisi yateema hai
maloom nahi hota, murdaa hai ke zinda hai
zalim ke tamacho'n se, haye
zalim ke tamacho'n se, rukhsaar bachane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)

2. Masoom si bacchi pe, ye zulm bhi dhaate hai
roye to satate hai, chup hoto rulate hai
kab jaane hansi thi wo, haye
kab jaane hansi thi wo, ab beete zamane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)

3. Ek shab ki musafat pe, taqdeer hi badli hai
ke zadd pe tamacho'n ki, kamsin si wo bacchi hai
qurbaan hue jispe, haye..
qurbaan hue jispe, abbas ke shane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)

4. Darr apni jagah lekin, kuch yu'n bhi nahi roti
 ye soch ke chup hai ke, jis waqt riha hogi
tab turbat e asghar pe, haye
tab turbat e asghar pe, kuch aansu bahane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)

5. Shabbir se sabir ki, beti ye sakina hai
qaidi bhi hai be bus bhi, zakhmi bhi hazeena hai
par sabr ke sab jauhar, haye
par sabr ke sab jauhar, zalim ko dikhane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)

6. Salman ya meesum ho, ya koi bhi zakir ho
bus ek bhi lamhe ko, aisa ho agar socho
ghutt ghutt ke sisakte ho, haye
ghutt ghutt ke sisakte ho, aur nauhe sunane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
Haye sakina..(4)

Azakhana, azakhana.(2)
14 ho alam, ek mashkiza
besheer ka ek nanha jhula
do baaliya'n choti bibi ki
ek shamma jalakar tum rakhna
aur yaad mein ho ek dulha ki
kuch mehendi kangana aur sehra
ghar mein yu azaa khana jo saja
paoge bohot zahra ki dua..(2)

zahra ki dua paana sajana azakhana..(2)

1. Ae ehle aza e shahe huda
is deher mein jab tak ho zinda
tehzeeb e azadari hai yehi
do kaam zaruri tum karna..(2)
majlis mein chale aana, sajana azakhana
zahra ki dua paana sajana azakhana..(2)

2. An amta alayhim ki ayat
ya phir rehman ka ho surah
shamil hai azakhana usmein
nemat ka jaha'n bhi zikr hua..(2)
nemat ko na thukrana, sajana azakhana
zahra ki dua paana sajana azakhana..(2)

3. Be dast hua saqqa lekin
usne na alam ko jhukne diya
pehchan e aza khana hai alam
paigham yehi abbas ka tha..(2)
duniya se na ghabrana, sajana azakhana
zahra ki dua paana sajana azakhana

4. Tazeem kabhi na kam karna
ta hashr rahe hurmat baaqi
ye sirf azakhana hi nahi
armaan e dile zahra hai yehi..(2)
bachho'n ko ye samjhana, sajana azakhana
zahra ki dua paana sajana azakhana

5. Jis waqt chhida tha mashkiza
jab aayi khabar ghazi na raha
kuch kooze pyaase baccho ke
haatho'n se gire aur toot gaye..(2)
kuch kooze bhi rakhwana, sajana azakhana
zahra ki dua paana sajana azakhana

6. Rahib ki tarha mil jaye pisar
ya hurr ke tarha bakhshe jao
fir shukr adaa karne ke liye
tum bhi ye saleeqa apnao..(2)
aise ho ye shukrana, sajana azakhana
zahra ki dua paana sajana azakhana

7. Shabbir ye zainab se bole
kuch kaam abhi bhi baaqi hai
zalim jo shaheedo'n ke sar de
wo pehle azakhane mein sajein..(2)
jab shaam bahan jaana, sajana azakhana
zahra ki dua paana sajana azakhana

8. Salman ke meesum ke jis din
aamal liye jayein yakja
jab tum se sawaal malak puche
duniya mein kiya kya kaam bhala..(2)
tum fakhr se likhwana, sajana azakhana
zahra ki dua paana sajana azakhana

Ya aba abdillah..(2)
Hussain, hussain, hussain, hussain, hussain
hussain,hussain, hussain..(2)
Hussaina!!..(6)

Shabe awwal e moharram
meri ankho'n mein nami
qurbaa'n tere sog pe
mere maula har khushi
meri sanso mein azaa
meri dhadkan mein buka
tera ghum ghume karbala
keh rahi hai ye chashme namm
salam bar moharram..(4)

Tumhe to pata hai maula
gunahgaar hu mai maula
har ek waqt har ek lamha
khatao'n mein hu mai duba
magar jab moharram aaya
teri simt mai laut aaya
khatakaar hu mai beshak
magar hu mai banda tera
ye sab kuch teri hi ataa hai
hamein ye mahina mila hai
faqat ek aansoo pe hi
makaa'n khuld mein paaya hai
tera jo ghum mila
na koi ghum raha
ae shahe karbala
dil ne di ye sada
salam bar maahe hussaini
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Juloos e aza e hussaini
jaha'n mein bapa hai paiham
alamdaar e karbobala ka
qayadat hai karta parcham
mukhalif tha saara aalam
ruke na azaa aur matam
hui  chauda(14) sadiya'n lekin
hai jaari raha ye moharram
azadar e sheh ka jazba
ye saare jaha'n ne dekha
ke kamsin se baccho ne bhi
kafan ko saro'n pe bandha
ashiq e karbala
sehte rahe jafa
jaanein huee fida
rukna saki azaa
salam bar azadaar!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Moharram ki aamad hai aur
ye nazrein jidhar jaati hai
sajein hai azakhane aur
sabeele nazar aati hai
libaase siyaah bacho'n ko
ye maaein jo pehnati hai
azaa ke saleeqe yehi
zamane ko samjhati hai
alam mashk aur kayaley
ya ho hathkadi ho bedi
ye sab ishq ki hai daleelein
nahi rasm samjhein koi
saramaya e azaa
samjho to ba khuda
ishq ki ibteda
ishq ki inteha
salam bar ishq e hussaini!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Karo yaad iksath(61) hijri
moharram ka wo ashura
mohammad ke kunbe par jo
qayam hui thi barpa
musalle pe teero ke tha
shahe karbala ka laasha
buka kar rahi thi ran mein
arey baal khole zahra
ye ghum karbala ka ghum hai
bapa isliye matam hai
nabi o ali zahra ki
hui aankh ismein nam hai
qatl e shahe umamm
kaisa hua sitam
ta hashr bhi ye ghum
na ho sakega kam
salam bar ghum e karbala!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Moharram ka aisa asar hai
zehen mein wohi manzar hai
hai behta hua ek darya
to pyaasa koi lashkar hai
ke bikhri hui laashe hai
to chinti hui chadar hai
jala fatima ka ghar hai
jaha'n mein bapa mehshar hai
kahi pe kate bazu hai
lahu mein kahi gesu hai
ye ujde hue pardesi
har ek aankh mein aansu hai
kaisi hui jafa
zehra ka ghar luta
usi ki yaad mein
jaari hai silsila
salam bar aale sayyada!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)

Jo makhdooma e aalam ne
dua ko hai haath uthaya
azaa o buka ki khatir
khuda ne hamein hai banaya
hai "salman" o "meesum" ham pe
bine sayyada ka saaya
hume naaz hai ke humne
inhi ka to sadqa khaya
bohot fakhr hum ko ispar
ke hum hai ghulam e haider
hai buss zindagi ka maqsad
hamari aza e sarwar
shaer o nauhakhwan
jab tak rahegi jaa'n
denge is tarha
nauho ki ham azaaa'n
salam bar dua e zahra!!!
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)
salam bar moharram..(2)
Hussaina..(6)

Acha hai teri beenai nahi,
tu dekh nahi paata jabir..(2)

Thi binte ali bazaro'n mein..(2)
be maqna o be parda jabir
tu dekh nahi paata jabir

1. Jabir ye zameene karbobala
zahra ka yaha'n gulshan bikhra
jis jaa pe khade ho tum jabir
ghode se yahee'n abbas gira
pyaasi thi bateeji khaime mein..(2)
be baazu hua saqqa jabir
tu dekh nahi paata jabir

2. Atthara baras ka bhai mera
seene mein lagi naize ki ani
jabir ye sunoge kis tarha
shabbir ki bhi beenayi gayi
bus ek qadam hi chalte the..(2)
girte the mere maula jabir
tu dekh nahi paata jabir

3. Akbar, asghar, qasim na rahe
the aun o mohammad ke laashe
is par bhi ruki na zoro jafa
sabke laashe pamaal hue
shabbir pe chalta tha khanjar..(2)
zainab thi sare khaima jabir
tu dekh nahi paata jabir

3. Phir shaam e ghareeba aa pohchi
khaimo ko jalaya aada ne
phupiyo'n ki ridao'n ko meri
naizo'n se utaara aada ne
jalta tha sakina ka kurta..(2)
asghar ka kahi'n jhula jabir
tu dekh nahi paata jabir

4. Aaghaz e imamat tha mera
tohfe mein mile zanjeer o rasan
poshak yateemi ki pehne
zakhmo se bhara tha mera badan
gardan ka lahu pairo se baha..(2)
ye waqt bhi tha aaya jabir
tu dekh nahi paata jabir

5. Bazaar ka haal suno jabir
pathhar the kabhi shole the kabhi
ummat thi tamashayi saari
aur aale mohammad the qaidi
aur habshi ghulamo ki tarha..(2)
bazaaro'n mein khencha jabir
tu dekh nahi paata jabir

6. Bazaar hua jab khatm to phir
darbaar qayamat aaya tha
darbaar sharabi majme mein
zainab ko pukara jaata tha
paigham e hussaini ki khatir..(2)
jaise wo rahi zinda jabir
tu dekh nahi paata jabir

7. Hasrat thi rihai ki jisko
zinda'n se reha wo ho na saki
darti thi andhere se bacchi
turbat bhi andhere mein hi bani
zinda'n mein sakina ka haaye..(2)
haatho'n pe tha jab laasha jabir
tu dekh nahi paata jabir

8. Salman karega kaise bayaa'n
meesum jo mere maula ne kaha
beenai meri rukhsat na hui
ankho'n se magar khoo'n itna baha
aankho'n ke lahu se surkh hua..(2)
tha shaam ka sab rasta jabir
tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,
tu dekh nahi paata jabir..(3)

Acha hai teri beenai nahi,
tu dekh nahi paata jabir..(2)

Thi binte ali bazaro'n mein..(2)
be maqna o be parda jabir
tu dekh nahi paata jabir

1. Jabir ye zameene karbobala
zahra ka yaha'n gulshan bikhra
jis jaa pe khade ho tum jabir
ghode se yahee'n abbas gira
pyaasi thi bateeji khaime mein..(2)
be baazu hua saqqa jabir
tu dekh nahi paata jabir

2. Atthara baras ka bhai mera
seene mein lagi naize ki ani
jabir ye sunoge kis tarha
shabbir ki bhi beenayi gayi
bus ek qadam hi chalte the..(2)
girte the mere maula jabir
tu dekh nahi paata jabir

3. Akbar, asghar, qasim na rahe
the aun o mohammad ke laashe
is par bhi ruki na zoro jafa
sabke laashe pamaal hue
shabbir pe chalta tha khanjar..(2)
zainab thi sare khaima jabir
tu dekh nahi paata jabir

3. Phir shaam e ghareeba aa pohchi
khaimo ko jalaya aada ne
phupiyo'n ki ridao'n ko meri
naizo'n se utaara aada ne
jalta tha sakina ka kurta..(2)
asghar ka kahi'n jhula jabir
tu dekh nahi paata jabir

4. Aaghaz e imamat tha mera
tohfe mein mile zanjeer o rasan
poshak yateemi ki pehne
zakhmo se bhara tha mera badan
gardan ka lahu pairo se baha..(2)
ye waqt bhi tha aaya jabir
tu dekh nahi paata jabir

5. Bazaar ka haal suno jabir
pathhar the kabhi shole the kabhi
ummat thi tamashayi saari
aur aale mohammad the qaidi
aur habshi ghulamo ki tarha..(2)
bazaaro'n mein khencha jabir
tu dekh nahi paata jabir

6. Bazaar hua jab khatm to phir
darbaar qayamat aaya tha
darbaar sharabi majme mein
zainab ko pukara jaata tha
paigham e hussaini ki khatir..(2)
jaise wo rahi zinda jabir
tu dekh nahi paata jabir

7. Hasrat thi rihai ki jisko
zinda'n se reha wo ho na saki
darti thi andhere se bacchi
turbat bhi andhere mein hi bani
zinda'n mein sakina ka haaye..(2)
haatho'n pe tha jab laasha jabir
tu dekh nahi paata jabir

8. Salman karega kaise bayaa'n
meesum jo mere maula ne kaha
beenai meri rukhsat na hui
ankho'n se magar khoo'n itna baha
aankho'n ke lahu se surkh hua..(2)
tha shaam ka sab rasta jabir
tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,
tu dekh nahi paata jabir..(3)

No comments:

Post a Comment