Ab na khanjar na kisi waar se darr lagta hai
Ek shabbir ke khuddar se darr lagta hai
Isliye qaid mein mukhtaar ko rakhta hai ziyad
saari duniya ko azadaar se darr lagta hai
Uski talwaar ko uthti to qayamat hoti
jiski zanjeer ki jhankaar se darr lagta hai
Waqeya ye bhi hai tareekh ke daaman mein ajab
ek hakim ko giraftar se darr lagta hai
Qasim o akbar o abbas, hussain ibn e ali
dekho nau(9) laakh ko in chaar se darr lagta hai
Yaa to chup jaye nishan isliye lamba hai ghilaaf
yaa tumhe kaabe ki deewar se darr lagta hai
Mujhse darta hai zamana ye kaha marhab ne
aur mujhe Haider e qarrar se darr lagta hai
Boli zainab ke daro shaam ke hakim se tumhi
kyuki makkaro ko makkar se darr lagta hai
Isliye karbobala shaam se aaya na yazeed
usko abbas e alamdaar se darr lagta hai
Koi jhutha bhi yaha khata nahi jhuthi qasam
sabko abbas ke darbaar se darr lagta hai
Aaj bhi dekh ke darr jaate hai ghazi ka alam
bewafao ko wafadaar se darr lagta hai
Hum sharar naqvi hai deewane abu talib ke
unko eemaa'n ke tarafdaar se darr lagta hai
Haider.. Haider.. Haider.. Haider....
Haider.. Haider.. Haider.. Haider....
Ishq pagal nahi karta hai
wali karta hai...
Ishq haider se jo karta hai
sahi karta hai
Kehta hai ye dawar e mehshar.. zindabad
sabse bada hai ishq e haider.. zindabad
Ishq e haider.. ishq e haider..
ishq e haider zindabad..
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Tootna deewar ka wo umme haider ke liye
ishq kaabe ne kiya haider se itna toot ke
toot jaana ..Ishq e haider
darr banana ..Ishq e haider
muskurana ..Ishq e haider
kaabe ki muskaan se hai ye deewar o dar zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Aayi hai 13 rajab tum ghar sajaa kar dekhna
ghar mein dastarkhan maula ka bicha kar dekhna
rizq badha de ..Ishq e haider
ghar chamka de ..Ishq e haider
rooh mehka de ..Ishq e haider
ishq e haider mein jo saja wo momin ka ghar zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Meesam e tammar hai aur ye balandi daar ki
kar raha hai is balandi par ali ki zaakiri
daar pe jaana ..Ishq e haider
khoo'n me nahana ..Ishq e haider
aazmana ..Ishq e haider
meesam tere dum se hai ye daar ka mimbar zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Haider.. Haider.. Haider..
Dar e haider ki faqeeri mein jo aajayega
is faqeeri mein tu shaahi ka maza payega
ishq e haider ki ye gehrayi hai aisi pyaare
jitna doobega tu utna hi ubhar jayega
Ishq mein doobi hui parwaaz de maula
Khatm na parwaaz ho wo raaz de maula
Phir najaf se tu hame awaaz de maula
haziri ka tu hame aijaaz de maula
Raah dikha de ..Ishq e haider
rabb se mila de ..Ishq e haider
duniya bhula de ..Ishq e haider
ishq mein tere jo mar jaye wo hai mar kar zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Ishq e haider mein jo doobe ye use parwaaz de
pyaar se phir naam bhi maula use shahbaaz de
dil mila de ..Ishq e haider
mast bana de ..Ishq e haider
lauh badha de ..Ishq e haider
bolo bolo laal sakhi shahbaaz qalandar zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Baap se gutthi mein haider ki wila mujhko mili
doodh maa ne jab pilaya tab padhi naad e ali
yu sikhaya ..Ishq e haider
khoo'n mein samaya ..Ishq e haider
naa bhulaya ..Ishq e haider
ishq e ali sikhlane wali meri maadar zindabad
Ishq e haider mein mujhe hadd se guzar jane do
tum mere dil ko zara wajd mein to aane do
khuld mein jaate hi behlol ka ghar dhundhunga
khoob guzregi jo mil baithenge deewane do
Ishq ye behlool se deewane ko daana kare
khuld ke ghar bech ke duniya ki parwaah na kare
dil pukare ..Ishq e haider
ikhteyaare ..Ishq e haider
ye nazaare ..Ishq e haider
jannat ke ghar baatne wala tera naukar zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Hai ghadeer e khum mein majma khaas koi baat hai
haath haider ka uthaye mustafa ka haath hai
bol raha hai ..Ishq e haider
sab ko dikha hai ..Ishq e haider
kitna bada hai ..Ishq e haider
karta hai ailane wilayat mera payambar zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Haan...
Gehra samandar ..Ishq e haider
rooh ka langar ..Ishq e haider
darse payambar ..Ishq e haider
qabr ke andar ..Ishq e haider
aasmaa'n par ..Ishq e haider
jannat ka darr ..Ishq e haider
saare mawali milkar bolo saqiye kausar zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Ishq e haider mein fana farhan o mazhar abidi
ishq e haider ne badal di hai dono ki zindagi
meri jannat ..Ishq e haider
naam o shohrat ..Ishq e haider
maa badaulat ..Ishq e haider
saare malango naara lagao ishq e haider zindabad
Ishq e haider zindabad..(2)
Zindabad zindabad ishq e haider zindabad..
Ishq e haider.. ishq e haider..
Aye shamiyo
Aye kufiyo
Aye shamiyo
Aye kufiyo
Haider ka pisar, sher e babar
zinda jigar hu
be tegh hu, maidaan mein
par seena sipar hu
Tum sab ki qaza hu, Zahra ki dua hu
saqaa e sakina...
Mai hu abbas mujhe shere jari kehte hai..(2)
Mai hu abbas.. mai hu abbas
Mai hu abbas mujhe shere jari kehte hai..(2)
1. Dast e haider ka tarasheeda nagina mai hu
mahfil o sabr o shuja'at ka qareena mai hu
rooh ko naaz hai jis par woh safeena mai hu
han mujhe fakhr hai saqqa e sakina mai hu
marziye rab ke khareedar ka ehsaas hu mai
mujh ko pehchan lo abbas hu abbas hu mai
Mai hu abbas.. mai hu abbas
Mai hu abbas mujhe shere jari kehte hai..(2)
2. Ghaiz mein aau to darya ko ulat sakta hu
alqama khud mai tujhe paani pila sakta hu
murda ummeedo'n ko thokar se jela sakta hu
nehr ko kaat ke khaimo se mila sakta hu
hukme aaqa ka mai paband hu majboor nahi
aur agar chaahu to kausar bhi bohot door nahi
Mai hu abbas.. mai hu abbas
Mai hu abbas mujhe shere jari kehte hai..(2)
3. Parcham e ja'far e tayyar uthaya maine
haq parasto ko diya dhoop mein saaya maine
han wafa ko bhi wafadaar banaya maine
junge siffeen mein woh haath dikhaya maine
sab ke hoto'n pe tha...
sab ke hoto'n pe tha waliyo ke wali aate hai
bhaagne wale samajhte the ali aate hai
Mai hu abbas.. mai hu abbas
Mai hu abbas mujhe shere jari kehte hai..(2)
4. Laaye ho tegh e tabar kis ko darane ke liye
ye khilone to hai asghar ko hasane ke liye
kya yaha aaye ho be waqt hi jaane ke liye
koi tarkeeb karo jaan bachane ke liye
Haideri shaan se lunga jo abhi angdayee
tum ye kehte hue bhagoge qayamat aayi
Mai hu abbas.. mai hu abbas
Mai hu abbas mujhe shere jari kehte hai..(2)
5. Lafze ehsaas ka ifham e mua'ni mai hu
shere darya e tabee'at ki rawani mai hu
faatahe khaibar o khandaq ki jawani mai hu
jo kabhi khatm na ho aisi kahani mai hu
har jagah parchame...
har jagah parcham e saqqa e haram uth ta hai
mera laasha nahi uth ta to alam uth ta hai
Mai hu abbas.. mai hu abbas
Mai hu abbas mujhe shere jari kehte hai..(2)
Mai hu abbas.. mai hu abbas
Mai hu abbas mujhe shere jari kehte hai..(2)
Haider ka pisar, sher e babar
zinda jigar hu
be tegh hu, maidaan mein
par seena sipar hu
Tum sab ki qaza hu, Zahra ki dua hu
saqaa e sakina...
Maula ya hussain hussain maula..(2)
Sadqe jawa'n tere maula hussain..(4)
Maula ya hussain hussain maula..(2)
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
1. Tujhko aghoshe risalat ne uthaya aise
Noor ki rehel pe quran rakha ho jaise
Chadare fatima zehra pe chupakar tujhko
bosa lete the ali aur yahi kehte the
Fitrus ko dede shifa dede par o baal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
2. Kya likhu wo tere bachpan ki adaaye wallah
Pushte nana pe nawase ka safar mashallah
Eid ke roz madine me ajab tha manzar
Daikh kar Ehle madina ne kaha bismillah
Hai ye sawaari kamaal sawar bhi kamaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Maula ya hussain hussain maula..(2)
3. Sar jhukaye jo tere dar pe pada rehta he
Tu use ishq ki parwaaz ataa karta he
Karbala jabse mujhe tune dikhai maula
Tera darwesh hawaoo me uda phirta he
Darpe guzaru tere din wahi misaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
4. Teri chaukhat me fakiri me he shaahi ka maza
Teri dehliz pe hi bigda mukaddar badla
Unche mehlo se to uncha he mera dil maula
Jisme tu rehta he aur saath tere aale aba
Is dil mein ghar he tera mai hu mala maal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain..(2)
Maula ya hussain hussain maula..(2)
5. Tere aane sehi wal asr ko tafseer mili
Yaani peshaaniye islaam ko tanweer mili
Hur ki taqdeer likhi tune ali ke baite
Us gunahgaar ko bhi khuld ki jageer mili
Aasiyo ka rakhta hai kaun yu khayaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
6. Tune is dharti pe jiss roz rakha pehla qadam
Milgaya khaak me duniya ke yazido ka bharam
Sajda e shukr risalat ne kiya ye kehkar
Ab mere qaul ki tasdeeq huwi rab ki qasam
Deen ki hayaat hussain deen ki he dhaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
7. Aur kuch mazharo farhan ko bhaata hi nahi
Maula ab humko koi khwahish e duniya hi nahi
Tere mimber ki balandi pe khade he maula
Isse unchi koi manzil koi rutba hi nahi
Ab iss balandi ko karde lazawal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula..(2)
Sadqe jawa'n tere maula hussain..(4)
Maula ya hussain hussain maula..(2)
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
1. Tujhko aghoshe risalat ne uthaya aise
Noor ki rehel pe quran rakha ho jaise
Chadare fatima zehra pe chupakar tujhko
bosa lete the ali aur yahi kehte the
Fitrus ko dede shifa dede par o baal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
2. Kya likhu wo tere bachpan ki adaaye wallah
Pushte nana pe nawase ka safar mashallah
Eid ke roz madine me ajab tha manzar
Daikh kar Ehle madina ne kaha bismillah
Hai ye sawaari kamaal sawar bhi kamaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Maula ya hussain hussain maula..(2)
3. Sar jhukaye jo tere dar pe pada rehta he
Tu use ishq ki parwaaz ataa karta he
Karbala jabse mujhe tune dikhai maula
Tera darwesh hawaoo me uda phirta he
Darpe guzaru tere din wahi misaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
4. Teri chaukhat me fakiri me he shaahi ka maza
Teri dehliz pe hi bigda mukaddar badla
Unche mehlo se to uncha he mera dil maula
Jisme tu rehta he aur saath tere aale aba
Is dil mein ghar he tera mai hu mala maal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain..(2)
Maula ya hussain hussain maula..(2)
5. Tere aane sehi wal asr ko tafseer mili
Yaani peshaaniye islaam ko tanweer mili
Hur ki taqdeer likhi tune ali ke baite
Us gunahgaar ko bhi khuld ki jageer mili
Aasiyo ka rakhta hai kaun yu khayaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
6. Tune is dharti pe jiss roz rakha pehla qadam
Milgaya khaak me duniya ke yazido ka bharam
Sajda e shukr risalat ne kiya ye kehkar
Ab mere qaul ki tasdeeq huwi rab ki qasam
Deen ki hayaat hussain deen ki he dhaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
7. Aur kuch mazharo farhan ko bhaata hi nahi
Maula ab humko koi khwahish e duniya hi nahi
Tere mimber ki balandi pe khade he maula
Isse unchi koi manzil koi rutba hi nahi
Ab iss balandi ko karde lazawal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula
No comments:
Post a Comment