Ab tak he zabano pe Alamdar, Alamdar
Mara gaya sarwar ka madadgar, Alamdar
Khaimon me nahi aa saka Abbas ka lasha
Abbas ka laasha, Abbas ka lasha
Pamaal he khud laasha e Qasim se zyada
Abbas ka lasha, Abbas ka lasha
1) Abbas ki qaamat pe bara naaz tha usko, Mill ke dua maango (2x)
Allah kare dekhe nahi bali Sakina…Abbas ka lasha, Abbas ka lasha
2) Pucha kyun lehad chhoti he Zaynab ne jo ro ke, Sajjad ye boley (2x)
Amma mujhe maidaan se itna hi mila tha… Abbas ka laasha, Abbas ka laasha
3) Sheh bolay ke ghayyur tha woh mera biradar, Dekho Ali Akbar (2x)
Jis jah hai giri mashk waheen par hi milega…
4) Bhai ke kate haathon ko maqtal me uthaa kar, Seene se laga kar (2x)
Rote huwe khud dhuund rahe hein Shahewala…
5) Jis waqt chala gardan-e-Shabbir pe khanjar, Har zarbe la'een par (2x)
Saahil pe tarap-ta raha Sarwar se ziyada…
6) Jin haathon se bachpan me usse jhula jhulaya, Gowdi me uthaya (2x)
Un haathon se ab kayse uthayein mere Maula… Abbas Ka Lasha
7) Akbar bhi yahan he, wahan Zainab he akeli, Aajayen na Shami (2x)
Kyun aap uthaa ne ke liye aa gaye Aaqa…Abbas ka lasha
8) Sajjad gharibi pe tarapne lagey Maula, Jis waqt ye dekha (2x)
Gowdi me uthaaye huwe pehle se thi Zahra…Abbas ka laasha
Haye..Haye
Ye ghum wo ghum hai ke, dono jahaan rote hai
yateem aaj imam e zamaan hote hai
Haye hasan askari maula..
haye hasan askari maula..
Haye hasan askari maula..
haye hasan askari maula..
Aye bin e zahra, askari maula..(2)
shahe samarrah, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(2)
1. Haaye qayamat ki ghadi aagayi kaisi
saaye se mehroom tere hogaye Mahdi
hoke juda rota raha aapka beta
aye mere baba, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)
2. {Kaisa aseeri ka sitam tum pe hua hai
tere liye ghar tera zindaan bana hai}..(2)
maula tera ghar mein hua dafn janaza
haye ghurbata, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)
3. Samarrah har saal chale aate hai zawwar
aapka taboot uthate hai azadaar
farshe azaa bichta raha bichta rahega
lijiye pursa, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)
4. Saare azadaro ke lab par ye dua hai
waasta tujhko tere bete ka diya hai
dil mein basa roza tera, Mahdi ke baba
humko bulana, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)
Askari Maula, Hasan ..(4)
5. Qaidi e Mazloom mere gyarwe(11) sarkar
dene ko pursa tumhe aaye hai azadaar
pursa qubool ho aye mere sayyed o sardaar
humlog tere nazre karam ke hai talabgaar
ghum ye tera dil mein sada uthta rahega
roti hai duniya, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)
6. {Jab bhi tere naam ki hoti hai ye majlis
saath mein zahra ke chali aati hai narjis}..(2)
dekhiye zara mehwe buka hai teri zaujah
karti hai nauha, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)
7. Parda e ghaibat mein jo beta hai tumhara
bheje use jald pareshan hai duniya
sunlo dua behre khuda warise kaaba
hai ye ilteja, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)
8. Mesum o azlan pe bus itna karam ho
naam tere chahne walo mein rakam ho
kardo ataa hum ko sila nauhe ka maula
khwab ho pura, askari maula
Aye bin e zahra, askari maula..(3)
Dashte Karbala Mai Kehti Thi Zehra... Aye Wallah... Wallah... Aye Wallah
Ek Din Mai Mera Ghar Ujar Gaya
Ek musafir he teen din ka pyasa
Sabr ka khuda he deen ka asaasa
Fauj sab qatl huwi... Haye Hussaina!
Karbala rone lagi... Haye Hussaina!
Choor he thakkan se, gowd ka paala... Aye Wallah
Ja baja parey hein aqraba ke laashe
Hai badan kisi ka, haath hein kisi ke
Be kafan laash sabhi... Haye Hussaina!
Ye zameen tapti huwi... Haye Hussaina!
Phir bhi bachpane ka waada nibhaya... Aye Wallah
Kaise dediye ye imtehaan beta
Ek javaan bhai, ek javaan beta
Sab tujhe chhor gaye... Haye Hussaina!
Dil tera tor gaye... Haye Hussaina!
Hausala barhane aa gaye Baba... Aye Wallah
Khaak par Sakina kar rahi thi nauha
Ayi-ye Najaf se ab madad ko dada
Ayi Haidar ki sada... Haye Hussaina!
Teri himmat pe fida... Haye Hussaina!
Jo na kar saka me, tune kardiya... Eyvallah
Ye zameen e maqtal, khoon ugal rahi he
Dashte Karbala me kaisi bekasi he
Dar e Khama pe behan... Haye Hussaina!
Hay labon par ye sukhan... Haye Hussaina!
Teri musibat par, roye gi dunya... Aey Wallah
Ek naya sitam he ye dil e hazeen par
Ab he tera laasha, zeen na zameen par
Woh tera khushk dahan... Haye Hussaina!
Kund khanjar ki chubhhan... Haye Hussaina!
Bas tujhe bachane, aa gayi beta... Aey Wallah
Farshe gham pe Mesum jab parha ye nauha
Dil tarap raha tha Mazhar Abidi ka
Matami keh-ne lagey... Haye Hussaina!
Ashq aankhon se girey... Haye Hussaina!
Marsiya mukammal he yahi jumla... Aey Wallah
Haye Qasim, Haye Qasim
Sheh Ne Rotay Huay Qasim Se Kaha, Hogayi Dair Mujhe Aane Mai
Tujhse Sharminda Hai Beta Ye Chacha, Hogayi Dair Mujhe Aane Mai
Kal bahattar they giray qalbe Hasan ke tukre
Hai hazaaron mai yahaan tere badan ke tukre
Aaj phir mara gaya Bhai mera… Hogayi Dair Mujhe Aane Mai
Hogayi ho jo kabhi farz nibhaane mai kami
Jaake Baba se shikayat nahi karna meri
Milke unse mai kahoonga bhi to kya…
Baariyan leke udu ghoron ko dauraate rahe
Aur mai tujhko bacha paya na pamaali se
Tu sadaaon pe sada deta raha…
Kaash maqtal mai jo kuch pehle mai aya hota
Aaj dulha meri beti ka bhi zinda hota
Kaise Kubra se kahoonga mai bhala…
Iss qadar jism tera bikhra hua tha beta
Jabaja khaak pe maqtal ki mai chunta hi raha
Phir bhi tu poora mujhe mil na saka…
Rakh ke ghatri mai jo le jaaonga lasha tera
Maa jo pooche gi kahan rehgaya beta mera
Kaise maa ko teri batlaaonga…
Kaisi naushah ki ghurbat thi Hilal aur Mesum
Laash ke tukre tadapte they zameen par peham
Jab ye kehte they Shahe Karbobala…
Ya hussain ya hussain (×2)
Shah ast hussain
Badshah ast hussain
Deen ast hussain
Deen panah ast hussain
Maa naukar maula saeen anjo(×2)
Haan karbal ware saeen anjo
Mere syed mere sardar
Karo apna karam sarkar
Hussain saeen (×4)
Mere syed mere sardar
Karo apna karam sarkar
Hussain saeen (×4)
Wallah tere ibne haider
Charche hai sakhawat ke ghar ghar
Rahib ko diye hai saant pisar
Man misli hai fitroos ke lab par
Ham par bhi mehez ek baar
Karo apna karam sarkar
Hussain saeen (×8)
Tum murshid ho tum aaka ho
Ham mangte tum andaata ho
Ham adna hai tum aala ho
Ham maulayi tum maula ho
Tum karte nhi inkaar
Karo apna karam sarkaar
Hussain saeen (×8)
Allaho nabi ke pyaare ho
Zehra ke raaj dulare ho
Quraan e ali ke paare ho
Tum chashme hasan ke taare ho
Kudrat ka hasin shahkaar
Karo apna karam sarkaar
Hussain saeen (×8)
Hai wird bari ajmeri ka
Kehna hai shams noorani ka
Bolay har bait bhitayi ka
Naara hai laal shehwani ka
Hai tera khula darbaar
Karo apna karam sarkaar
Hussain saeen (×8)
Sindh walo ki hai shaan yahi
Mehran ki hai pehchaan yahi
Har lab par hai elaan yahi
Apna toh hai imaan yahi
Hum apke ke hai hubdar
Karo apna karam sarkar
Hussain saeen (×8)
Kayo maula saeen manzoor dua
Mukhe bhi ghurayo karbobala
Karbala karbala (×2)
Tumse hai muallah karbobala
Hain noori tajallah karbobala
Kaabe ka hai kaaba karbobala
Nabiyon ka musallah karbobala
Karte hai dua zawar
Karo apna karam sarkar
Hussain saeen (×8)
Khaliq ki mohabbat mil jaye
Naukar ko ijazat mil jaye
Maula ye saadat mil jaye
Hum ko bhi shahadat mil jaye
Kehte the sabhi ansar
Karo apna karam sarkar
Hussain saeen (×8)
Abbas ka lasha wawaila
Akbar gaya mara wawaila
Tum reh gaye tanha wawaila
Yeh sabr tha kaisa wawaila
Kehti hi rahi talwar
Karo apna karam sarkar
Hussain saeen (×8)
Jawad aur mesum ki hai sada
Hum tere bhikhari hai maula
Joh rizq bhi hai humko milta
Hain sadqa tere asghar ka
Hum tere hai namakhar
Karo apna karam sarkar
Hussain saeen (×8)
Ya hussain ya hussain (×3)
Haa....
Jab tisri shaban ko aya gul-e-Zahra (sa)
Shabbir (as) ko godi me Muhammad (saws) ne uthaya
Haddar jo khushi se rukh-e-masoom ko dekha
Itne me sada dar pe yeh Jibreel (as) ki aayi
Ya saiyadi qurbaan duhayi hai duhayi
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka 3
1) Loh-e-mehfooz ek ek satar laya hu
Ek tehrir hai purdard magar laya hu
Ek safar nama-e-magh mu-e-jigar laya
Din khushi hai magar ghum ki khabar laya hu
Dil me hai khanjar Loha zaba'n par
Saiyadi -3 salamalayka
2)Sath mehzar ke me wo khaak-e-shifa laya hu
Saari duniya ke liye ghum ki dawa laya hu
Umme Salma(sa) ki zaaefi ka asa laya hu
Yani rumaal me maqtal hi chhupa laya hu
ispe girega khoon-e-bahattar
Saiyadi -3 salamalayka
3)Sunke Jibreel(as) ki faryad Muhammad (saws)ne kaha kya hai mehzar me likha-2
mujhko sunao to Zara
Roke kehne laga Jibreel(as)meri jaan fida
Aapke pyaare nawase ka shahadatnama
Karbobala main jaayga dilbar
Saiyadi-3 salamalayka
4)Bole Jibreel(as) padho mehzar-e-ghum bade salam
Isme shamil hai shahido ke asiro ke bhi naam
Akraba ahl-e-haram chand kanizo aur gulam
Koi maqtal me rahega to koi jaayga shaam
Koi hai be sar koi khule sar
Saiyadi-3 salamalayka
5)Roz-e-jumma hai likha aur san iksath hijri
Aap ke pyaare nawase ki shahadat hogi
Aap honge na Hasan(as) honge na Zahra(sa)-O-Ali(as)
Sunke Halmin ki sadae bhi na aayga koi
Hoga akela naaz sh-e-Haidar(as)
Saiyadi-3 jaan Hussain(as)-3
6)Ya Nabi(saws) aapki ummat yeh sitam dhaygi
Jab su-e-Karbobala Shah(as) ko bulwaygi
Aapki aar Madine me na reh paygi
Aapke baad yeh duniya hi badal jaygi
Jaayge maqtal chhordh ke jab ghar
Saiyadi-3 jaan Hussain(as)-3
7)Joun(as)-o-Hur(as) aur Habib(as) ibne Mazahir Asadi
Kaise jaabaz wafadar hai Wehbe kalani
Qasim(as)-o-Akbar(as)-o-
Abbas(as) alamdar-e-jari
Haye Asghar(as)-o-Aun(as)-o-
Muhamma(as) bhi hai kamsin hi sahi
Shamil-e-mehzar hai yahi lashkar
Saiyadi-3 salamalayka
8)Haye ab dekhiye Jibreel(as) ki aakho'n se yeh manzar
Ashur ki woh subeh azan-e-Ali Akbar(as)
Ek pyase ko har simt se ghere hai sitamgar
Wo naiza wo paikan wo talwar wo khangar
Maqtal ke wo muazir ka Laasha sar-e-maqtal
Barchi ka nishaa'n sine pe ek tuta hua pal
Talwar se ek turbat-e-besheer ba nana
Turbat pe phir ek soya hua chand chhupana
Phir kaapte hoto se yeh zamee'n ko yeh batana
Asghar(as) tera mehma'n ise jhoola jhula na
Pani jo maya sar na hua haya duhai
Ashko rida turbat-e-Asghar(as) chadhai
Wo asr ka hangam ghadhi qatl ki
Jab Shimr(la)ne ek pyase pe talwar chalai
Ek ret ke tire pe gayi Zahra(sa) ki
Maqtal me behen ro ti rahi
Naize pe bhai
Manzar wo baya'n kaise kare "Mesum o Mazhar"
Baba se kaha Fatema Zahra(as) yeh rokar
Are loot jayga jab dasht-e-bawa me mera ghar
Roe go kaun bhala mere bachche jakar
Beti se farmane lage Ahmad-e-Mukhtar
Ta hashr ise roe ge duniya me azadar
Hussain...(a.s)
Hussain...(a.s)
Hussain...(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Alif hai laam meem hai
Hussain Hussain...(a.s)
Azim ka Azim hai
Hussain Hussain..(a.s)
Najaf ka dur aqiq hai
Kareem hai Shafiq hai
Hussain(a.s) wo hai Hur ko jo,
Azab se nikaal de.
Hussain(a.s) wo jo John ko,
Jo husn de Jamaal de.
Saare jahan ko paalne wala
Sab k ghamo ko taalne wala
Koi nai koi nai bas Hussain (a.s) hai..
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(a.s)(×2)
Jis k karam se ahle wafa ko samar mile..
Bezar ko zar mile kbi beghar ko ghar mile..
Ho iska wasta toh dua ko asar mile..
Hur ko Jinnah mile to fitrus ko par mile..
Koi nai koi nai bas Hussain (a.s)hai..
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(a.s) (×2)
Haa ye mere Hussain ka jodo karam bhi hai..
Jis ghar mei hai namaz usi mei Alam bhi hai..
Baaqi hai azaan toh matam bhi gham bhi hai..
Mera Hussain maalik e loho kalam bhi hai..
Koi nai koi nai bas Hussain hai..
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...
Kareem e Karbala Hussain...(×2)
Kis k karam k gunj hai
Rahib kahe Hussain..
Jiski Talab Hussain wo
Taalib kahe Hussain..
Duldul k pusht pr hai jo
Raqib kahe Hussain..
Ha apna Peshwa jisee
Ghalib kahe Hussain..
Koi nai koi nai bas Hussain hai..
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...
Kareem e Karbala Hussain...(×2)
Be nasl hai Kareem Ali ka pisar Hussain..
Ek saibaan qaseem Ali ka pisar Hussain..
Do jagh se hai azeem Ali ka pisar Hussain..
Alhamd ki hai meem Ali ka pisar Hussain..
Koi nai koi nai bas Hussain hai..
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Tera karam maula maula..
Tera karam maula maula..
Zayar jo gye karbobala tera karam..
Haaji ka laqab unko mila tera karam..
Tujhse siwa sawab mila tera karam..
Bhookha na koi pyaasa raha Tera karam..
Tera karam maula maula..
Tera karam maula maula..
Aulad wafa rizq hunar. Tera karam..
Hum sab ko mila azad Safar. Tera karam..
Karte hai talab jinno bashar. Tera karam..
Zinda na rahe ho na agar. Tera karam..
Mushkilo ko taal de
Gham se jo nikaal de
Ilm de kamaal de
Ishq e la zawaal de
Ibne laafata hai kon..
Dard ki dawa hai kon..
Fakhre ambiya hai kon..
Naazishe khuda hai kon..
Koi nai koi nai bas Hussain hai..
Hussain Hussain..
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(×2)
Hussain ne yazidiyat ko khaak mei milaa diya
Chirag e deen e mustafa ko hawaon mei jala diya
Ajal ne maanga ek sar toh ghr ka ghr lutaa diyaa
Hussain phir Hussain hai sina pe btaa diya
YA MAULA YA HUSSAIN (×2)
Baade Hussain qaidi huyi bibiyan tamam..
Karbobala k dasht se pohche dares e shaam..
Aankhon se khoon bahaty rahe aahan mei Imam..
Haakim k saamne kiya Zainab ne yu kalaam..
Koi nai koi nai bas Hussain hai..
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(×2)
Meesum mere Hussain k jaisa nahi koi..
Yaane khuda e sabr o Riza bepanah saqi..
Jiske karam ko dekh k hairan huve Nabi..
Phir Q na saf saf kahe Mazhar Abidi..
Koi nai koi nai bas Hussain hai..
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Hussain Hussain..(a.s)
Kareem e Karbala Hussain...(a.s)
Kareem e Karbala Hussain..(a.s) (×2)
Haye Ali Akbar (as), Haye Ali Akbar (as)
Hai Baap Ke Haathon Par, Lasha Ali Akbar Ka
Maa Dekh Nahi Paayi, Sehra Ali Akbar Ka
1) Baba Ki Museebat Ko Akbar Bhi Samajh Paate (2x)
Duniya Mai Agar Hota, Beta Ali Akbar Ka...
2) Shabbir Ye Kehte Ta Marg Na Bhooloonga (2x)
Abbas Ke Do Baazu, Seena Ali Akbar Ka...
3) Shabbir Se Kehti Thi Hamsheer Yahi Aksar (2x)
Ye Aun o Muhammad Hain, Sadqa Ali Akbar Ka
4) Laila Se Koi Kehde Waapis Nahi Aayega (2x)
Ab Dekhle Jee Bhar Ke, Chehra Ali Akbar Ka...
5) Khat Koi Nahi Bheja Na Laut Ke Ghar Aaye (2x)
Takti Hi Rahi Rasta, Sughra Ali Akbar Ka...
6) Shabbir Ka Jeena Hai Shabbir Ka Marna Hai (2x)
Jeena Ali Akbar Ka, Marna Ali Akbar Ka...
7) Iss Chand Ke Seene Mai, Paiwast Hui Barchi (2x)
Parhti Thi Yahi Noha, Fizza Ali Akbar Ka...
8) Hai Mazher o Mesum Ki Aankhon Se Lahu Jaari (2x)
Asaan Nahi Parhna, Noha Ali Akbar Ka...
Dooba lahu me laut ke, aaya jo Zuljanah
Samjhi Sakina Baba ko, laaya he Zuljanah
Dekhi jo zeen khaali toh, karne lagi ye bayn
Zuljanah, Zuljanah
Zuljanah, Zuljanah, Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Jo gaya he ghar se aa nahi saka… Haye Zuljana, Haye Zuljanah
Shaam hogaye he, din guzar gaya… Haye Zuljana, Haye Zuljanah
Kyun teri bage kateen zulm kya huwa
Khoon se tar he jabeen zulm kya huwa
Kyun he zeen khali, Baba he kahaan… Haye Zuljana (2x)
Pusht kyun he zakhmi, khoon he rawaan… Haye Zuljana (2x)
Mere Baba ke wafadar kuch bata
De mujhe sabr aur karaar kuch bata
Teer he badan par tere jaa ba jaa… Haye Zuljana (2x)
Kyun nahi bata-ta, Kya sitam huwa… Haye Zuljana (2x)
Teri khamoshi me he gham ki kya khabar
Kya me samjhun ke juda hogaye padar
Haath jorh kar me keh rahi thi naa… Haye Zuljana (2x)
Ji sakungi kayse Baap ke bina… Haye Zuljana (2x)
Ab jo dunya me mere Baba na rahe
Kon seene pe sulaye ga ab mujhe
Uth gaya jo sar se saaya-e-padar… Haye Zuljana (2x)
Soye gi Sakina kayse khaak par… Haye Zuljana (2x)
Shimr le jayega ab baaliya meri
Haye Saadat ki chadar bhi chiney-gi
Qatl ho gaya kya Fatima ka laal… Haye Zuljana (2x)
Ye dukhi Sakina ho ke pur malaal… Haye Zuljana (2x)
Tujh se ro-ro ke kar rahi thi ilteja
Mere Baba ko suu-e-dasht na leja
Har taraf he laashey, har taraf lahoo… Haye Zuljana (2x)
Dhundu me padar ko, kayse chaar-su… Haye Zuljana (2x)
Ayse be-dard la'eeno ke darmiyaan
Tu bata laashe padar paaungi kahaan
Bayn be-khata ke sun ke ro diya… Haye Zuljana (2x)
Sar jhuka ke apna ran ko chal diya… Haye Zuljana (2x)
Kya kahein Mesum aur Mazhar Abidi
Keh ke ye khaak par Sakina gir gayi
Dooba lahu me laut ke, aaya jo Zuljanah
Samjhi Sakina Baba ko, laaya he Zuljanah
Dekhi jo zeen khaali toh, karne lagi ye bayn
Zuljanah, Zuljanah
Zuljanah, Zuljanah, Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Jo gaya he ghar se aa nahi saka… Haye Zuljana, Haye Zuljanah
Shaam hogaye he, din guzar gaya… Haye Zuljana, Haye Zuljanah
Kyun teri bage kateen zulm kya huwa
Khoon se tar he jabeen zulm kya huwa
Kyun he zeen khali, Baba he kahaan… Haye Zuljana (2x)
Pusht kyun he zakhmi, khoon he rawaan… Haye Zuljana (2x)
Mere Baba ke wafadar kuch bata
De mujhe sabr aur karaar kuch bata
Teer he badan par tere jaa ba jaa… Haye Zuljana (2x)
Kyun nahi bata-ta, Kya sitam huwa… Haye Zuljana (2x)
Teri khamoshi me he gham ki kya khabar
Kya me samjhun ke juda hogaye padar
Haath jorh kar me keh rahi thi naa… Haye Zuljana (2x)
Ji sakungi kayse Baap ke bina… Haye Zuljana (2x)
Ab jo dunya me mere Baba na rahe
Kon seene pe sulaye ga ab mujhe
Uth gaya jo sar se saaya-e-padar… Haye Zuljana (2x)
Soye gi Sakina kayse khaak par… Haye Zuljana (2x)
Shimr le jayega ab baaliya meri
Haye Saadat ki chadar bhi chiney-gi
Qatl ho gaya kya Fatima ka laal… Haye Zuljana (2x)
Ye dukhi Sakina ho ke pur malaal… Haye Zuljana (2x)
Tujh se ro-ro ke kar rahi thi ilteja
Mere Baba ko suu-e-dasht na leja
Har taraf he laashey, har taraf lahoo… Haye Zuljana (2x)
Dhundu me padar ko, kayse chaar-su… Haye Zuljana (2x)
Ayse be-dard la'eeno ke darmiyaan
Tu bata laashe padar paaungi kahaan
Bayn be-khata ke sun ke ro diya… Haye Zuljana (2x)
Sar jhuka ke apna ran ko chal diya… Haye Zuljana (2x)
Kya kahein Mesum aur Mazhar Abidi
Keh ke ye khaak par Sakina gir gayi
No comments:
Post a Comment