Abbas ,
Abbas ,
Abbas
Beta Hay Tu Ali Ka, Zahra Ki Tu Dua Hay
Shabbir Tera Aaqa, Ummul Baneen Maa Hay
Her Sorat O Chalan May Haider Say Na Juda Hay
Taa Hashar Tujh Say Qaim Duniya May Bas Wafa Hay
Dil Ki Muraden Ghazi Tere Alam Say Paayen
Roti Hui Jo Maaen Tere Alam Pay Aayen
Zahra Kay Dard E Pahlu Ka Deti Hay Wasta
Fizza Ki Kaneezi May Inka Bhi Naam Aye
Tere Alam Ko Thaamey Her Shaks Kah Raha Hay
Mazloom E Karbala Ka Zainab Ka Wasta Hay
Pardesi Koi Aesa Pardes May Na Ujhrey
Sadqay May Uskey Jiska Ghar Bhaar Lut Gaya Hay
Haey, Taqdeer Kay Sataey Tere Dar Pey Sir Jhukayen
Ashkon Ki Elteja Hum Ghazi Tujhe Sunayen
Bemaar Sarba'an Kay Zakhmo Ka Wasta Hay
Jitney Bhi Khasta Dil Hain Maula Shifaa Wo Payen
Her Laash Per Ali Ko Kerty Thay Yaad Sarwer
Lekin Uthaney Aye Jis Waqkt Laash E Akber
Haey, Baba Ki Be-Kasi Per Rota Tha Nu-Jawan Bhi
Shabbir Nay Kaha Ju Barchi Pey Haath Rakh Ker
Haey Abbas,
Khanjer Galay Pey Jis Dam Bhai Kay Chal Raha Tha'
70 Qadam Say Manzer Zainab Nay Khud Yeh Dekha
Haey, Jab Shimmr Maarta Tha Gardan Pey Sheh Kay Khanjer
Her Zarb Per Tarap Ker Kehti Thi Bint E Zahra
Haey, Sarwar Ki Laadli Ka Ik Tu Hi Tha Sahara
Paani Kisi Say Us Ney Maanga Nahi Dobara
Haey Jab Koi Marta Tha Rukhsaar Per Tamachay
Baba Say Bhi Ziyada Us Ney Tujhe Pukara
Haey Abbas
Us Waqkt Jab Key Zainab Darbar May Gae Thi
Qaari Namaziyun Say Mehfil Saji Hui Thi
Haey Zaalim Yeh Pochta Ghazi Tera Kahan Hay
Balo'on Say Mu Chupaye Zainab Yeh Keh Rahi Thi
Shaam E Ghariban May Jis Ka Kurta Jal Gaya Hay
Kaano Say Baaliya'n Bhi Haey Shimmr Lay Gaya Hay
Is Be-Kasi Say Maula Bachi Koi Na Tarsey
Farsh E Aza Pey Ro Kar Her Dil Yeh Kah Raha Hay
Jitney Bhi Ashk Maula Kirtaas Per Giray Hain
Masooma Ki Kasam Yeh Ghazi Faqat Tere Hain
Wo Kuch Raqam Karon Main Ju Na Raqam Hua Hay
Alfaaz Wo Ataa Kar Yawar Say Ju Parhe Hain
Aye alamdaar e hussain... wa abbassa
wa abbassa, abbassa..(2)
Parcham e abbas hi parcham e islam hai..(2)
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(3)
Ye parcham e nabi hai..(2)
humko hai jaa'n se pyaara
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)
1. Humza e Murtaza ne, Jafar ne bhi uthaya
abbas tak ye parcham yu haath o haath aaya
baazu katake isko..(2), abbas ne sawara
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)
2. Do tukde chand kar de panje mein itna dum hai
taara jaha'n pe utra, us ghar ka ye alam hai
uski bulandiyo par..(2), qurbaan chand taara
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)
3. Pabandi sarhado ki naa qaid hai zubaa'n ki
bus ye khususiyat hai abbas ke nishaa'n ki
duniya mein ye alam hai..(2), mazloom ka sahara
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)
4. Saanso ki dor iski dori se hi bandhi hai
baab e karam yahi hai, baab e ataa yahi hai
isse muraade lene..(2), aaye jahaan saara
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)
5. Chauda so saal se hai iski yahi kahani
yeh fatha ki hai aayat, yeh jeet ki nishani
isko uthane wala..(2), haarega na aur na haara
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)
6. Islam ka ye parcham Allah iska zamin
kab se utar rahe hai sar momino ke lekin
apne gharo se humne..(2), parcham nahi utara
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)
7. Abbas ka ye parcham ab tak lahu bhara hai
zainab se ye takallum Mahdi tak aagaya hai
laenge saath apne..(2), Qaem ise dobara
Abbas haye abbas, haye abbas, haye abbas
Alam bhai ka lahu mein bhara
utha laye jab shahe karbala
qayamat bapa haram mein hui
tadapne lagi nabi zadiya'n
suni jab sakina ne ghum ki khabar
tadap kar ye pucha kaha'n hai chacha
kaha shahe dee'n ne mera ghar luta
sakina tumhara chacha naa raha
Yateemo ka jab suna ye baya'n
tadapne lagi nabi zadiya'n
yateemo se ye kaha shaah ne
wasiyat ye thi mere bhai ki
na le jana khaimo mein laasha mera
hai pyaso se sharminda unka chacha
ye kehkar alam, behen ko diya..
ye kehkar alam, behen ko diya..
takaza kare na koi pyaas ka
alam hi janaza hai abbas ka
alam hi janaza hai abbas ka
sakina tumhara chacha na raha
Haye haye ali akbar..(3)
Haaye!!!
Barchi nikaal ne lage jab shah e karbala
awaaz maa ko deke ye mazloom ne kaha
hai aap ke hussain ki ghurbat ka imtehaa'n
Amma madad karo..
Kaise nikalu seena e akbar se mai sina
Amma madad karo..
Hai aapke hussain ki ghurbat ka imtehaa'n
Amma madad karo..
Kaise nikalu seena e akbar se mai sina
Amma madad karo..
1. Bardaasht kis tarha se ye kar payega hussain
bete ke saath dasht mein mar jayega hussain
kadiyal jawaa'n ragadta hai maqtal mein ediyaa'n
Amma madad karo..
2. Afsos aa na paaya mai usko utarne
zee'n se gira diya ise naize ke waar ne
tooti hai aap ki tarha akbar ki pasliyaa'n
haye, amma madad karo..
3. Akbar ke saath saath mera dil bhi chhid gaya
uth ta nahi hai haath tumhare ghareeb ka
pehle mere kaleje se tum khaich lo sina
Amma madad karo..
4. Paala hai jisne naazo se hai intezaar mein
chadar na bhool jaye wo akbar ke pyaar mein
zainab ko rok lo kahi'n aa jaye na yaha'n
Amma madad karo..
5. Aati hai sharm baap ko bete ke saamne
aankho'n pe rakh do haath dikhayi na de ise
haye, rote za'eef baap ko dekhe na naujawaa'n
Amma madad karo..
6. Amma ghadi ye kaisi ajab imteha'n ki hai
do bekaso ke haath mein mayyat jawa'n ki hai
pehlu shikasta aap ka, meri kamar kamaa'n
Amma madad karo..
7. Tooti hui kamar hai meri, mera saath do
mai chahta hu khaime mein akbar ko le chalo
zinda na dekh le ise, ek baar iski maa
Amma madad karo..
8. Pohcha ke laash khaime takallum ki ye sadaa
zainab jo mujhse puchegi, kya mai bataungi
mujhse na hogi tum hi shahadat karo bayaa'n
Amma madad karo..
Jaffar E Taiyar Da Bachra,
Puttar Nu Ay Samjha Vey
Ro Ro Sabaq Parha Vey
Aun Bachra Aey Yaad Rakheen, Shabbir Da Dard Vandave'n
Ro Ro Abdullah Aakhey,
Jad Jang Da Vela Aa Vey
Akber Tu Pahly Jaave'en
Jis Seenrh Da Puttar Mai Waali Han, Us Seenrh Di Aey Manshah Aey,
Tenu Sadqa Veer To Laway, O Panj Meel Da Raqba Honrey,
Karbal Tu'n Bahar Ja Kay, Tu Puttar Zameen Tay Aaveen
Teri Maa Day Ser Di Chaadar Vi, Qabay Da Paak Ghilaaf Aey
Odha Kar Kay Puttar Taowafay, Fhir Paak Imam Dy Dar Tey
Tazeem Da Sajda Kar Kay, Tu'n Ezan Jihaad Da Paaveen
Rakh Yaad Hamaishah Syedda Dy Ghar Di Yeh Reet Purani
Ban Kay Abbas Da Saani, O' Jad Seenrh Sakina Aa Vey
Sawa'an Di Waaj Naa Away, Oday Saamney Sir Naa Chaaveen
Shabbir Nu Saari Zindagi May, Khud Maula Aakh Bolaya
Raiyat Da Faraz Nibhaya, Aey Adab Tu'n Bhul Na Jaaveen
Sajjad Nu Veer Naa Akhi, Onoh Tu'n Sardaar Bulaaveen
Aj Puttar Mohammad Kamsin Aey, Rakhi Odah Khaas Khiyaal Ay
Her Qadam Tay Hoveen Naal Aey, Har Vaar Tay Dy Veen Daad Aey
Kavi Raazi Nay Ajdaad Ay, Eenvey Hoosla Deenda Jaaveen
Tenu Jang Tu'n Pahly Amri Nay, Siffeen Da Haal Suna Nay
Dujaa Abbas Bana Nay, O Kariyeen Vey Nehar Ty Qabza
Ik Khoon Da Chaalda Dariya, Dariya Day Naal Baha Veen
Tareekh Day Vich Mahfooz Raway, Aey Jung Hay Bachra Teri
Gal Yaad Rakheen Yeh Meri, Tin Din Taeen Piyasa Rah Key
Run Vich Ya Zahra Kah Kay, Mera Chund Talwaar Chalaaveen
Abdullah Aun Day Naal Akber, Gal Aey Wo Aakhiri Ki Ti
Tere Hath Izzat Aey Meri, O' Jad Sir Katwaanrh Da Vella
Away Wich Karbal Bachra, Meri Jaa'nh Tey Sir Katwaaveen
Ya Hussain, Ya Hussain..(2)
Ya Hussain..(4)
Ya qateel e jafa.. Haye ghareeb Hussain..(2)
Haye ghareeb Hussain..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno, ke saamne..
Khanjar tale hussain ne ghazi ko di sadaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
1. Wo jaanta hai aale nabi hai khadi hui
Qura'n pe pao'n rakhta hai zalim ghadi ghadi
Zulfein pakadke shaah ki hasta hai be haya..
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
2. Khanjar wo kund aur woh sukhi hui ragein
chup chap sehli bhai ne saari aziyatein
majburiyo ne sheh ko tadapne nahi diya
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
3. Baba ko maarta hai wo daulat ke waaste
hai jiske paas jo mere daaman mein daal de
phaila ke haath deti hai bacchi koi sadaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
4. Kaise bachane bhai ko wo bhai aayega
zainab pukari ab use koi na de sadaa
sharminda hoga dasht mein abbas e bawafa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
5. Sheh keh rahe the daaldo chadar ko jism par
mujh par padhe na zainab o kulsoom ki nazar
tey kaise hoga qatl ka amma ye marhala
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
6. Har beti buturaab ki ye dekhti rahi
do bhaiyo'n pe kaisi qayamat guzar gayi
ek ke badan mein teer the, teero'n pe ek tha
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
7. Tha karbala ke ban mein takallum ajeeb haal
apne lahu mein laal hua Fatima ka laal
sajde se sar hussain ka naize pe aagaya
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
Ya Hussain, Ya Hussain..(2)
Ya Hussain..(4)
Haye muslim haye muslim x 2
Aye muslim-e-gareeb x 2
Karb-o-Bala Se Pehle Ruqaiya ujad Gayi.
Muslim Ki Lash Kufe -2 Mein Be Aasra Hui.
Kya Haal Kar Diya Hai Safeer-e-Hussain Ka.
Zakhmo Se Choor Choor Hai Damad-e-Murtaza.
Phir Kufa Roney Aayi Hai Beti Rasool Ki.
Logo Zirrah Ko Baich Ke Dena Mujhe Kafan.
Mil Jaein Jab Pisar Mere Pohanchana Tum Watan.
Muslim Ki Pori Koi Wasiyat Na Ho Saki.
Muslim Hai Be Deyar Kissi Ko Nahi Khayal.
Kya Ho Ga Karbala Mein Yeh Kofay Mein Jab Hai Haal.
Syed Shaheed Hota Hai Hanstay Hain Ummati.
Beton Ko Intezar Tha Woh Laut Aaein Gaye.
Behno Ki Eid Ho Gi Galay Jab Lagaein Gaye.
Haye Baba Ke Badlay Unn Se Yateemi Galay Mili.
Do Ungliyon Ke Darmiyaan Dekho To Bhai Jaan.
Are Khanjar Galay Pe Kofay Mein Muslim Ke Hai Rawaan.
Yeh Baat Ro Ke Ghazi Se Shabeer Ne Kahi.
Ik Eid Ke Qareeb Hue Baap Se Juda.
Ik Eid Par Behan Ka Bhara Ghar ujad Gaya.
Abbas Dono Eido'n Pe Rotay Hain Aaj Bhi.
Qabr-e-Batool Par Gayi Ik Khali God Maa.
Sajday Ke Sath Aankh Se Aanso Hue Rawaan.
Umm-Ul-Baneen Ko Jab Yeh takallum Khabar Mili.
Ya Hasan, Ya Hussain..(4)
Aye mere bhai hussain..(2)
Aye maa ke dulare
Baba ke laadle..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
Qasim ko karbala mein..(2)
nahi rokna hussain.. haye
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
1. Akbar ko isse pehle naa, maqtal mein bhejna..(2)
nana ka de raha hu..(2), tumhe waasta hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
2. Lauta do aaj bhai amanat mujhe meri..(2)
tumne bohot khayaal..(2), rakha shukriya hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
3. Marne ki tumne isko ijazat na di agar..(2)
ghut ghut ke mera laadla..(2), mar jayega hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
4. Dulhan banata kubra ko armaan reh gaya..(2)
hojata beta aapka..(2), beta mera hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
5. Kamsin se ladne aajaye jo arzaq sa pehelwaan..(2)
Qasim ki jeet ke liye..(2), karna dua hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
6. Ghode tumhari laash pe daudaenge shaqee'n..(2)
pamaal zinda hoga..(2), mera laadla hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
7. Qasim ki tooti pasliya'n dekhoge jis ghadi..(2)
maqtal mein yaad aayegi..(2), maa Fatima hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
8. Maqtal mein girke maa ko pukarega mera laal..(2)
zehmat na dega aapko..(2), qasim mera hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
9. Honge nisha'n sumo ke na maa dekh payega..(2)
chehre pe daal dena..(2), tum apni abaa hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Taweez mein hasan ne yeh rokar likha hussain
rokar likha hussain
10. Sajjad aasuo'n se tha akhir mein yeh likha..(2)
laasha uthane bete ka..(2), khud aaunga hussain
Haye qasim, haye haye qasim..(2)
Aye mere bhai Hussain
Aye mere bhai Hussain
Baba ke laadle
Masjid main huye zakhmi Haider zainab pay qayamat tooti hay
Ye fajr Ali ki Beti ko Ashoor Kay jesi lagti hay
Nazdeek Jo pohonchay ghar k Ali bolay ye Hasan say aey beta
ashaab say keh do Ghar jaen darwazay pay Zainab bethi hay
Zainab nay zakhmi baba Kay chehray say Lahu Jo saaf Kia
Marqad say sada di Zahra s.a nay ye karbal ki tayyari hay
Do saal Kay Hain Sajjad a.s magar Bund ankhain ki Hain ghairat say
Namoos e Mohammad SAWW ki Jo Rida girti hui Sir say dekhi hay
Ek bar shahadat baba ki ek bar shahadat Shohar ki
Afsos Kay sheher e koofa main do baar Ruqayya s.a urji hay
Wo jis nay apnay Qaatil ko sharbat say nawaza Koofay main
Aulaad ko uski Ummat nay sehra main pyaasa maari hay
Ahista Ali a.s nay di ye sada ghabrana nahi main bhi honga
Darbar main Jana hay tum ko Zainab ye Khuda ki Marzi hay
Aey Mir Takallum shor utha ub dono milengay Karbobala
Inna Lillahh Parhlo Zainab s.a baba ki sawari jaati ha
Masjid main huye zakhmi Haider zainab pay qayamat tooti hay
Ye fajr Ali ki Beti ko Ashoor Kay jesi lagti hay
Nazdeek Jo pohonchay ghar k Ali bolay ye Hasan say aey beta
ashaab say keh do Ghar jaen darwazay pay Zainab bethi hay
Zainab nay zakhmi baba Kay chehray say Lahu Jo saaf Kia
Marqad say sada di Zahra s.a nay ye karbal ki tayyari hay
Do saal Kay Hain Sajjad a.s magar Bund ankhain ki Hain ghairat say
Namoos e Mohammad SAWW ki Jo Rida girti hui Sir say dekhi hay
Ek bar shahadat baba ki ek bar shahadat Shohar ki
Afsos Kay sheher e koofa main do baar Ruqayya s.a urji hay
Wo jis nay apnay Qaatil ko sharbat say nawaza Koofay main
Aulaad ko uski Ummat nay sehra main pyaasa maari hay
Ahista Ali a.s nay di ye sada ghabrana nahi main bhi honga
Darbar main Jana hay tum ko Zainab ye Khuda ki Marzi hay
Aey Mir Takallum shor utha ub dono milengay Karbobala
Inna Lillahh Parhlo Zainab s.a baba ki sawari jaati ha
No comments:
Post a Comment