Monday, 17 February 2025

Shahid Baltistani (2015)

Fatima zahra..(2)
Zahraa..
Fatima zahra..(2)
Sayyeda tahera..(2)
Sayyeda..
Ya ghareeb ya husain..(6)

Aai zahra ki sada pyasa hai bacha mera shimr khanjar na chala..(2)

Jurm kya isne kiya
Kuch to kar khaufe khuda
Mujhpe ye zulm na dha..

Aai zahra ki sada..

1. Ghar jalaya, mere mohsin ko bhi mara tumne
Zeher shabbar ko pilaya tumne
Meri beti ke liye
Hai nigehbaan bacha
Aakhri beta mera

2. Soch kar neend me ye pyaas se jaage na kahi
Paani lekar mau khadi rehti thi
Kis tarah dekhe ye maa
Tu sirhane pe yaha
Leke khanjar hai khada

3. Mera bacha jo sue khaima nazar karta hai
Yaad abbas use aata hai
Zere khanjar bhi yahi
Iske lab par hai sada
Haaye zainab ki rida..hayy

4. Mai sakina se tujhe maang ke laadungi gauhar
Lele sab ehle haram ke zevar
Maa ka phat-ta hai jigar
Itni tauheen na kar
Payr seene se hata

5. Haath pyase ki na gardan se hatayegi ye maa
Apne bache ko bachaegi ye maa
Ab nhi fikr mujhe
Haath kat jae mere
Katne dungi na gala

6. Baad maa ke jo behen shaah ki maa jaisi thi
Jis ghadi khaime se wo nikli thi
Khushk tha sheh ka gala
Zere lab itna kaha
Jaa behen khaime me jaa

7. Qatl madar hui, hamsheer bhi, beti bhi hui
Jab churi shaah pe akbar ki chali
Kya qayamat tha sama
Tanha mazloom kahan
Qatl khanjar se hua

Ya ghareeb yaa husain..(2)

Haye Haye ZAINAB (SA) Haye Haye Shaam ......3

Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

Jis Ko GAZI (AS) Ne Bhi Nazre Na Utha Kar Dekha
Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

1. Kam Na Thi shimr (LA) Ke Khanjar Se Nazar Logon Ki.....2
SHEH (AS) Ne Naize Se Bahan Ko  Tahe Khanjar Dekha
Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

2. Hath Aankhon Pe SAKINA (SA) Ke Rakhe Bhai Ne.....2
Pani Pita Hua Jub Shaam Ka Laashkar Dekha
Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

3. Teer Ka Zakhm Kahan Yaad Raha ASGAR (AS) Ko.....2
Maan Ko Jub Shaam Mein Khate Hue Patthar Dekha
Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

4. Hath Khali Na The Bazar Mein Aane Wale .....2
Kahin Sadqe Ki Khajoore Kahin Patthar dekha
Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

5. Tasht Mein Baap Ka Sar Aur Labon Par Thi Chadi.....2
Ek Masoom Si Bacchi Ne Yeh Manzar Dekha
Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

6. Jis Ne Maanga Na Kafan Baap Ki Maiyat Ke Liye.....2
Usko Ko ZAINAB (SA) Ke Liye Maangte Chadar Dekha
Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

7. Phir Takllum Na ALAMDAR (AS) Ne Kholi Aankhe.....2
Binte ZEHRA (SA) Ki jo Chadar Ko Sinah Par Dekha
Haye ZAINAB (SA) Ko Zamane Ne Khule Sar Dekha.....2

Shab ki tareeki me namaz e shab ke baad
Mera mazloom imaam, dua maang raha hai
Mere maula tujhe wasta, is ghareeb ke ashko ka
Sukoon e dil ke liye kar mujhe sakina ataa
Allah Allah Allah Allah..(2)

Namaze shab me koi baap maangta hai dua
Allah Allah Allah Allah..(2)

Sukoon e dil ke liye kar mujhe sakina ataa
Allah Allah Allah Allah..(2)

1. Diya hai sabr to mujhko karaar bhi dede
Mehek batool ki haider ka pyaar bhi dede
Mai baagh baagh rahu woh, mujhe kahe baba
Allah Allah Allah Allah..(2)

2. Wo mere seene pe soye to dhadkane khush ho
Chale wo ungli pakad kar to aahate khush ho
Wo mange pani to hatho, ko mai karu kuza
Allah Allah Allah Allah..(2)

3. Ebadato ka sila tujh se maangta hu mai
Yahi to ek dua tujhse maangta hu mai
Charaghe khaima jalau, to wo ho misle diya
Allah Allah Allah Allah..(2)

4. Suna hai beti janaze ki hoti hai ronak
Mujhe bhi chahiye qur'an e  zindagi ka waraq
Mile janaze ki ronak, baraye karbobala
Allah Allah Allah Allah..(2)

5. Khuda ne sunli dua e husain ibne ali
Mili wo beti jo bilkul shabihe zahra thi
Sukoon mil gaya sheh ko sakina naam rakha
Allah Allah Allah Allah..(2)

6. Magar sukoon ye karbobala me jaata raha
Hui yateem sakina bandha rasan me gala
Husain rote the kehkar ye barsare naiza
Allah Allah Allah Allah..(2)

7. Pase husain sakina ne wo sitam dekhe
Tadap ke kehti thi bachi padar ke lashe se
Chupa lo khoo bhare daman me mujhko ae baba
Allah Allah Allah Allah..(2)

8. Sare husain se aai sada sare maidaa
Namaze shab ki dua ka asar sakina jaa
Karega teri hifazat wo naam hai jiska
Allah Allah Allah Allah..(2)

9. Rehan aazmi kehti thi karbala ki faza
Hai baap beti ka ye imtehaan kaisa khuda
Har ek zulm pe dono ke lab pe hai ye sada
Allah Allah Allah Allah..(2)

Chal pada karbobala se jab husaini qafela
ek rasan mein pusht e abid aur tha baqar ka gala
saans khanjar ki tarah mehsoos jab hone lagi
apne babajaan se rokar ye Baqar ne kaha

Aye mere baba.. Aye mere baba

Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba ..(2)

Mushkil hai safar mar jaauga ..(2)
Tu holay holay chal baba
Aye merai baba ..(2)
Rassi mein gala..

1. Padhni hai namaz e mazloomi, Baba tu imamat karta ja
Khud dhoop bhi ham pe roti hai, Jalta hai mussala reti ka
Mai shukr ka sajda kar lu ada, Tu holay...

Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba

2. Kulsoom, Sakina, Zainab hai, Aur saath Ruqqaya bibi hai
Is ek rasan mein Aye baba, Har umr ki Zahra(sa) qaidi hay
Girti hai meri amma Fizza, Tu holay...

Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba

3. Ab dhoop mein itni shiddat hai, Jalte hain aseeri ke zewar
Pani to nahi hai ansoo hai, mein un pe chidak dunga aa kar
Aaram tujhe mil jaye ga, Tun holay...

Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba

4. Ankho'n se rawaa'n hai khoon tere, Jo teri phuphi hai be parda
Meri bhi phuphi hai be chadar, Woh naam Sakina hai jis ka
Khinchta hai rasan se us ka gala, Tu holay...

Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba

5. Islam bachane ki khatir, Nikli hai sharafat be chadar
Paoon ke chhaale rote hain, Chalti hai imamat kanto'n par
Ye pehla safar hai Zainab ka, Tu holay..

Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba

6. Dekha nahi jaata Aye baba, Mujh se ye qayamat ka manzar
Rukti hai kabhi chalti hai kabhi, Zainab ke badalte hai tewar
Ye Shaam ko jata hai rasta, Tu holay holay chal baba

Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba

7. Gir gir ke jo chalti hai Zainab, Mehsoos mujhe bhi hota hai
Sajjad pukare Aye beta, Mera bhi kaleja phat-ta hai
Jab sunta hoon tera noha, Tu holay holay chal baba

Aye Mere Beta..Aye mere beta
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba

8. Gar tez chala to Aye beta, Bazar e sitam aa jaye ga
Aahista agar beemar chale, Durron ki azziyat payega
Aur tere labon par hai beta, Tu holay holay chal baba

Aye Mere Beta..Aye mere beta
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba

9. Manzoor azziyyat hai mujh ko, Baqar ne Takkalum di ye sada
Har kaam mein teri marzi hay, Tu jaise chahai chal baba
Mai ab na kahoon ga Aye baba, Tu holay holay chal baba

Aye mere baba.. Aye mere baba
Rassi mein gala hai Baqar ka
Tu holay holay chal baba
Haye baba....

No comments:

Post a Comment