Monday, 17 February 2025

Shahid Baltistani (2014)

Fatema Zahra..(4)
Sayyeda tahera sayyeda(4)
Haay Sakina haay Sakina
Zahra ki tarah aasu bahati hai Sakina - 2

Bachpan me zaifa - 2
nazar Aati hai sakina

Haider se shikayat kiya karte the hamesha
Zahra ko musalmano ne rone na diya tha
Rone pe tamache Yaha - 2
Khaati hai Sakina

Kis karb se guzri hai bataya na kisi ko
Zahra ne Koi zakhm dikhaya na Ali ko
Sajjad se zakhmo ko - 2
Chupati hai Sakina

Jalte hue darwaze ko Zahra ne bujhaya
Dono ko musibat me kisine na bachaya
Jalte hue daman ko - 2
Bujhati hai sakina

Zehra ko Mila baap pe rone k liye ghar
Allah re shabbir ki beti ka muqaddar
Zinda ko azakhana - 2
Banati hai sakina

Darbaare sahaba me Gai Fatima zehra
Ye soch ke sajjad ne fir sar na uthaya
Darbaare sharabi me -  2
Hai jaati hai sakina

Zahra bhi bohot tadpi thi furqat me padar ki
Par baap ko is tarha sada deti hai Bachi
Zahra ko bhi turbat me - 2
Rulati hai sakina

Dono ki hi turbat pe andhero ka hai pehra
Yu lagta hai sajjad sada deti hai zahra
Mehdi tujhe zinda me - 2
Bulati hai sakina

Ya husain haay husain
Ya husain ya husain

Ana ibnul Abbas - 4

Mera naam Mohammad hai Abbas ka hu beta..(2)

Akbar se Mujhe pehle de izne wigha maula

Mera naam Mohammad hai Abbas ka hu beta..(2)

Ghaazi ki dua mai hu Naukar hu mai asghar ka
Naqsha me badal dunga nau laakh ke lashkar ka
Siffin sunakar hai..(2)
Amma ne Mujhe paala

Zainab ke hai do bete sadqa Ali akbar ka
Daadi ne madine me mujhko ye bataya tha
Zainab ke Jo bete hai..(2)
Dono ka hu mai sadqa

Akbar ki tarah maula qasim mera aaqa hai
Sehra mere aaqa ka armaane sakina hai
Marjaunga jiteji..haay(2)
Kubra Jo hui bewa

Khaimo me bapa maula ek shor-e-qayamat hai
Darya ki taraf jau kya mujhko ijazat hai
Shehzadi ko ab pyasa..(2)
Mai dekh nhi sakta

Sajjad ke pehlu me khamosh Jo baitha hai
Wo uski zaifi ka ghurbat me Sahara hai
Bach Jae mera baqir..(2)
Mai uspe Maru maula

Qurban hua yawar Abbas ka shehzada
Aur shukr ka ghazi ne us waqt kiya sajda
Maqtal se sada aai..(2)
Sad shukr mere maula

Ya husain ya husain..(2)

Bi ayyi zambin qutilat..(2)...qutilat qutilat

Qatl Jo mazloom hua
Uski faqat hai ye Khata
Wo pairawe wilayat hai..(2)

Aliyun waliyullah..(4)
Ali Ali Ali Ali Ali..

Aliyun waliyullah..(2)
Ali Ali
Aliyun waliyullah..(2)

Zalimo ki maut hai aur - 2
Aasra mazloom ka...ya Ali

Hum azadaro ki ye pehchan hai zere falak
God se madar ki lekar qabr ki aghosh tak
Ek markaz ek nukhta..(2)
ek mehwar ek sada..yaa ali

Jo ise nafiz kare wo qaum zindabad hai
Adliya ki Shan hai ye adl ki buniyad hai
Sirf naara hi nhi ye..(2)
hai nizame kibriya..yaa ali

Sabse pehle ghar jala jiska Ali ke naam par
Hay ---- ho gayi wo khud zaifa pasliya tooti magar
Fatima ki siskiyo me..(2)
aakhri dam tak raha..yaa ali

Saltanat k waste tha Kab qayame karbala
Isliye sheh ne kiya tha ehtemame karbala
Janti thi saari duniya..(2)
manta Koi na tha..yaa ali

Ash hadu anna aliyun waliyullah..(2)

Hichkiya ma ki Bani zainab musalle par giri
Naam sunkar babajan ka Ro diya ibne Ali
Subhe ashura azaa me..(2)
naujawa ne jab Kaha..yaa ali

Beridai aur khutba al hafizo Alama
Fatha ka ailan sunkar gunji awaze Azaan
Barsare darbaar zainab..(2)
ne ye sabit kar diya..yaa ali

Zainab ki jaidad aliyun waliyullah
Eeman se muraad
Ha logo ka  mafaad
Hai baite ittehaad
Ghaibat me muntazar ko rulao na dosto..(2)
Is naare ko fasaad banao na dosto

Jab bhi ghaibat se takallum Aane wala aaega
Chahta hai Jo khuda darwesh wo hojaega
Us ghadi raej zamee par..(2)
Har taraf ho jaega...yaa ali

Waqul jaa al haq wa zahukal baatil
Innal baatila kaana zahooqa

Ya Husain ya husain

Sada rahega husain ka ghum - 4

Ye fatema ki amanat hai Itna yaad rakho - 2

Ghume husain nayi nasl ke supurd karo

Ye Fatima ki amanat hai itna yaad rakho.

Ye kehke laao juluso me Apne Bacho ko - 2
Apne Bacho ko
Chalo hamare qadam se qadam Mila ke chalo

Mila tha Jaise buzurgo se tumko wese hi - 2
Tumko wese hi
Alam Jawano k hatho me Apne haath se do

Barange majliso matam barange zikre husain - 2
Barange zikre husain
Imame waqt se Har waqt raabte me raho

Ye baabe Tauba khula hai Har ek hurr k liye - 2
Har ek hurr k liye
Imaam Baara k darwazo
Par ye baat likho

Ye kya karenge dhamake imam saath hai jab - 2
Imam saath hai jab
Hato na piche azadaro
Aur Aage badho

Khilaaf matame shabbir Jo zaba khole - 2
Jo zaba khole
Koi jawab na do sirf
Ya husain kaho

Ye khaab me Ali akbar behen se kehte the - 2
Ham aaye hai tumhe Lene
Hamare sath Chalo

Khudara rok le khanjar theher ja ae zaalim - 2
Theher jaa ae zaalim
Na zibha saamne behno ke
Kar baraadar ko

Utho Jo farshe aza se to sar utha ke Chalo - 2
Sar utha ke Chalo
Yaha pe aao takallum to
Sar jhuka ke rakho

Ghaazi ka Salam aaya..(4)

Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya haay
Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya

Zahra ki betiyo ka, tune qadam qadam par
Hai saath Jo nibhaya

Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya..(2)

Zainab ki zindagi ki karti rahi duae
Khati rahi hai pathar sehti rahi jafae
Bazar ho ya galiya, Darbaar ho ya zinda
Shikwa na lab pe aaya

Darya pe Koi laasha pehlu badal raha tha
Pardes me Ali ka ghar baar jal rha tha
Zainab ke sath milke, sholo pe chalke tune
Sajjad ko bachaya

Nauke sina se dekha shabbir ne ye manzar
Karbobala se lekar taa shaam Har kadam par
Zalim ka taziyana, Apne kamar pe tune
Zainab se pehle khaya

Zainab Gai jaha bhi tu sath me Gai hai
Saye ki tarah Har pal tu dhoop me rahi hai
Qurbaniyo ko Teri sab maante hai bibi
Apna ho ya paraya

Baba ko yaad karke roti thi jab sakina
Har baar usse kehti sabir bohot thi Zahra
Makhdooma ke masaeb, Har shab suna ke tune
Bachi ka dil badhaya

Choda na unka daman jab tak rahi hai zinda
Izzat hai Mustafa ki zainab ho ya sakina
Tune samajhke Zahra, Har bibi ki lahad par
Shab bhar diya jalaya

Bimaare karbala jab thak kar Kahi pe baitha
Aakar qareeb tune dekar use dilasa
Kaate Kabhi nikale, Chhalo pe aasuo ka
Marham Kabhi lagaya

Pardesiyo ki tarha tu ab bhi shaam me hai
Ghar jaati Kis tarah se zainab bhi shaam me hai
Lagta hai ye takallum, binte Ali ke sar par
Abhi hai tera saaya

Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya..(2)
Haay fizza

Aulade fatema..Maqtal me be amaa..(3)
Maqtal me be amaaa

Ghurbate shabbir pe tu, bekasi roti rahi..(2)

Maut matam kar rhi thi..(2)
Zindagi roti rahi

Ghurbate shabbir pe tu, bekasi roti rahi..(2)

Waqte zibha shaah se zainab ki nazre jab mili..(2)
Bhai bhi Rota raha.(2)
Hamsheer bhi roti rahi

Kaat kar shabbir ka sar haath me khanjar liye..(2)
Shimr to hasta raha..(2)
Binte Ali roti rahi

Saath le aai jigar akbar ka naize ki ani..(2)
Maa isi manzar pe saari..(2)
Zindagi roti rahi

Ran me jab ghaazi gira bin bazuo ke khaak par..(2)
Haath pehlu par rakhe..(2)
Bibi Koi roti rahi

Qabr par asghar ki maa ne jaane kya waada kiya..(2)
Umr bhar wo dhoop me..(2)
Baithi rahi roti rahi

Shimr chadar lut kar kehta tha ghaazi ko bula..(2)
Sar jhukae Fatima ki..(2)
Laadli roti rahi

Bediya pehne hue akbar wo padhta tha namaz..(2)
Dekh kar aabid k sajde..(2)
Bandagi roti rahi

Ghurbate shabbir pe tu, bekasi roti rahi..(2)

Haay zainab, zainab, haay zainab haay zainab
Zainab sa zamane me azadar Kaha hai..Haay zainab
Hamsheer thi bankar rahi shabbir ki maa hai
To mustaqil sheh ki azadaar rahi
Apne Bacho ko na royi zainab

Umr bhar bhai ko roti hi rahi
Apne Bacho ko na royi zainab..(2)

Laashe maidaa se Jo laaye maula
Sajdae shukr ada usne kiya
Mamta kehti rahi maa se fir bhi

Pursa bibi ne bhare ghar ka diya
Zikr beto ka Kaha usne kiya
Aaye jab shaame ghareeba me Ali

Yaad kamsin ki rahi pyaas use
Itna mamta ka tha ehsaas use
Saamne madare asghar ke Kabhi

Apna ek haath kaleje pe rakhe
Uth Gai duniya se rote rote
Ghame akbar ki sina Aise lagi

Jis taraf auno mohammad ke the sar
Raah me ki nahi us simt nazar
Dekh kar ghazi ka sar roti rahi

Sar Jo zinda me shahido k mile
Pyaar tha Kitna use bhai se
Sar liye god me wo baithi rahi

Banke wo auno mohd ki bahen
is tarah royi laraz utha watan
Jab khabar fatema sughra ko mili

Maane beto ke Jo hujre dekhe
Aasu aankho se takallum Nikle
Pehle usdin se na baad uske Kabhi

hussain - 2
Mazloom hussain

o son of muhammad
o son of Ali
O the love of fatema -2

Ya gareebe karbala  - 8

1. saviour of humanity, axis of equality - 2
source of spirituality, symbol of purity
o hussain you are the will of god - 2
strike on brutality

2. O the love of Almighty, victim of brutality - 2
To revive morality, sacrificed your family
By the side of flowing river- 2
O hussain you died thirsty

3. Your blood spilled in oppression, Your kids faced aggression - 2
O hussain you stood for love, o hussain you stood for peace
O hussain you spread justice, O the ship of salvation

hussain - 2
Mazloom hussain

o son of muhammad
o son of Ali
O the love of fatema -2

Ya gareebe karbala  - 8

1. saviour of humanity, axis of equality - 2
source of spirituality, symbol of purity
o hussain you are the will of god - 2
strike on brutality

2. O the love of Almighty, victim of brutality - 2
To revive morality, sacrificed your family
By the side of flowing river- 2
O hussain you died thirsty

3. Your blood spilled in oppression, Your kids faced aggression - 2
O hussain you stood for love, o hussain you stood for peace
O hussain you spread justice, O the ship of salvation

No comments:

Post a Comment