Sunday, 16 February 2025

Nadeem Sarwar (2017)

ya Abbas a.s (10)

Aey Alamdar e man Aey Sipah dar e man(2)
Aey wafadar e man Aa
Main hogaya tanha
Ya Abbas a.s(3)

1. Waqt e madad hai ba wafaa
darya pe ab sota hai kya
Halmin ki deta hu sada
sun aey Sakina a.s ke chacha
aey mere bawafaa aey mere dilruba aey mere mehlaqaan Aa
Main Hogya Tanha Ya Abbas a.s (3)

2.  Aa dekh meri zindagi
Dard o alam main ghir gayi
zakhmi huwa rah war bhi
barhne lagi hai tishnagi
Tunay rakha bharam Har ghadi har qadam Phir uthalay Alam Aa
main hogaya tanha ya Abbas a.s (3)

3. Laashain utha kar thak gaya
Pucho na kese ghar gaya
Abbas phir main gir gaya
Samjhi Behn main mar gaya
haye kiya reh gaya hogayi inteha jaane Mushkil Kasha Aa
main hogaya tanha Ya Abbas a.s (3)

4. Bhaya mujhay yeh hai khabar
Be dast tu hai khaak par
Phir bhi magar koshish to kar
Aja tarayi chod kar Tere baazoo qalam khoon main dooba Alam Hai Sakina a.s ko gham Aa
mai hogya tanha Ya Abbas (3)

5. Khanjar talay hai sar mera
zaalim hai seenay par charha
thi Sarwar o Rehan yeh
Mola e be Qas a.s ki sada
Aa mere bhai Aa Kat raha hai gala Aakhri hai sada Aa
main hogaya tanha ya Abbas a.s (3)

Aey Alamdar e man Aey Sipah dar e man Aey wafadar e man Aa Main hogaya tanha Ya Abbas a.s(10)

Ghul machate be adab wo kufiyaane bad zabaan..(2)
wahshato'n ke dayere mein thi ali ki betiya'n
zalimo ke saamne, qatilo'n ke darmiyaa'n
choti dukhtare ali ki aa rahi thi ye sadaa
hussainnn...
nauha ye tha kulsoom ka, aye kufiyane bewafa..(2)
aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo'n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo'n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

1. Us hussain ko qatl kar diya
jiske paas hai marziye khuda
deen jiske ghar surkhroo hua
jis hussain ka, nana mustafa(s.a.w.w)..(2)
jis hussain ka, baba murtaza(a.s.)
jis hussain ki, maa hai sayyeda(s.a.)
ru baru agar hoga saamna
kaise jaoge peshe kibriya(s.w.t)..(2)

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo'n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

2. Zulm kaunsa humpe na hua
phir bhi hum rahe raazi ba raza
bhai ko mere dhoka dediya
saath na diya, akela kar diya..(2)
pehle khat likhe aur bula liya
phir ghareeb ka khoo'n baha diya
mat zameen par tum bano khuda
waqt hai qareeb hoga faisla..(2)

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo'n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

3. Aye kufiyo, zulm hogaya
aale mustafa se muqabela
itrate nabi hum hai ba khuda
zere aasma'n sar khula hua..(2)
baandh kar hame qaid kar liya
aur phir hame baaghi keh diya
jis ke nana se deene haq mila
us nawase ko ye sila mila

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo'n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

4. Wa museebata, wa museebata
wa museebata, yu chaman luta
gher kar hame, laaye karbala
band hum pe phir paani kar diya
qatl kar diya ghar ka ghar mera
sayyedo ke sar kar diye juda
zulm ki hui hampe inteha
tum pe waay ho haay kya kiya
ajr e mustafa yu adaa kiya..(2)

aye kufiyane bewafa, aye zalimo ehle jafa
hai tumhe khabar, tum ho aashna
kiska ghar luta, kiska khoo'n baha
haye tumne ye kya kar diya
kisko loot kar, ghar jala diya
hai zabano par kalma e khuda
phir bhi seeno mein dil hai sang ka..(2)

Haay
Aye phuphi amma - 3
Aye phuphi amma meri - 4

Kya andhera hai phuphi - 2

Qaidkhane me sakina ka tha nauha aye phuphi
Kya andhera hai phuphi - 2

Ek shama mangwaiye ke ho ujala aye phuphi
Kya andhera hai phuphi - 2

1. God me apni chupalo dil dhadakta hai mera
Har ghadi lagta hai jaise shimr fir se aa gaya
Paas se mere nahi jaana khudara aye phuphi

2. Khauf aata hai phuphi din ke ujaale me yaha
Wehshate hi wehshate hai qaidkhane me yaha
Ek pal lagta nahi hai dil hamara aye phuphi

3. Ab kaha baba ka seena chayn ki raate kaha
Ab kaha wo din rahe wo pyaar ki baate kaha
Aayenge kab laut ke wo din dubara aye phuphi

4. Haa abhi kuch der pehle mujko neend aayi to thi
Chand lamho baad firse aankh meri khul gayi
Yu laga jaise ho baba ne pukara aye phuphi

5. Aaye baba to sunau mai sitam ki daastaan
Mai dikhaaungi rasan ke aur tamacho ke nishan
Sun nahi paayenge baba haal saara aye phuphi

Ae bhai hussaina..(8)
Rehai paa ke jo zinda'n se be watan aai..(2)
Ye kehke gir gayi naaqe se roke chillai
ke mere haal pe roti hai ab to tanhai
salam karne ko aai hai teri maa jayi
tu hi bataa...
tu hi bata, mere bhaiyya kaha'n sukoo'n pau
madine jaau ya karbobala mein reh jau..(3)

tu hi bata, mere bhaiyya kaha'n sukoo'n pau
madine jaau ya karbobala mein reh jau

1. Sitam ne loot li ek din mein kayenaat meri
na jaane kaise basar hogi ab hayaat meri
na din sukoon se guzrega ab na raat meri
kaha'n hai laal mere jo sunenge baat meri
tu hi bataa...

2. Mai tujhko chodke bhaiyya kahi na jaungi
mai teri qabr ko apna watan banaungi
mai ek choti si basti yahi'n basaungi
mai zaereen ko paani yehi pilaungi
tu hi bataa...

3. Akeli reh gayi atthara bhaiyo ki bahan
jo hota ghazi to banti na bazuo mein rasan
batau kya ke jo puchenge mujhse ehle watan
hussain ko diya tumne batao kaise kafan
tu hi bataa...

4. Na koi mera yaha'n hai na koi mera waha'n
sakina shaam mein hai dafn aur tu hai yaha'n
kaha'n kaha'n kise royegi ab meri amma
na hoga ab kabhi abaad fatema ka maka'n
tu hi bataa...

5. Yaha'n hai asghare besheer aur waha'n jhula
yaha'n pe auno mohammad waha'n pe abdullah
jo pucha bacho ko unse mai kahungi kya
madina dil hai mera rooh meri karbobala
tu hi bataa...

6. Yaha'n hai qasim e khasta badan waha'n kubra
yaha'n shabihe payambar waha'n pe hai sughra
waha'n pe fazl akela yaha'n pe sab kunba
jawab kitne sawalo'n ka dungi mai tanha
tu hi bataa...

7. Ye haath jodke kehti hai teri maa jayi
duaein dengi mere bhai meri tanhai
bus ek din ko mere saath chal mere bhai
lagega jaise madine mein fir bahaar aayi
tu hi bataa...

8. Lo jaa rahi hai bahan alwida mere bhai
rahi jo zinda to phir aayegi ye maa jayi
raza ye sunte hi qabr e hussain tharrayi
phir iske baad kabhi ye sada nahi aayi
tu hi bataa...

Ali...
Ya ali, ali.. ya ali, ali
Man kunto maula, fahaza aliyun maula
Jiska mai maula, uska tu ali maula

Ya haider, haider..(4)

maulaaa.......

mera ishq bhi tu,
Wijdaan bhi tu,
meri jaan bhi tu
imaan bhi tu

mera qibla kaaba masjid mimber,
mazhab aur quraan bhi tu
mera sayyad, peer, ameer bhi tu,
mera haadi, wali, imaam bhi tu
mera khwaab bhi tu taabeer bhi tu
aaghaz bhi tu anjaam bhi tu
meri shaam o seher lehje ka asar
mera haal khayaal kamaal bhi tu
mera kaul o fayl sawaab jaza
takhleeq, baqa, ahwaal bhi tu

Ya haider, haider..(4)

mera ishq bhi tu,
imaan bhi tu
meri jaan bhi tu
pehchaan bhi tu

Ya haider, haider..(4)

kyun khaak udaaein dar dar ki
bas ek kitaabe ishq padhe
aa chhod de yeh faani duniya
bas ek jahan aabad karein
woh dekh najaf ka rasta hai
aa uss raste par saath chalein
har ek qadam ho, Ali Ali
Haaatho'n mei alam ho, Ali Ali
Naaro ka bharam ho, Ali Ali
yeh ishq na kam ho, Ali Ali
woh dekh shahenshaah
woh dekh shahenshaah aur gada
kehte hai najaf mei sab milkar

Ya haider, haider..(4)

mera ishq bhi tu,
imaan bhi tu
meri jaan bhi tu
pehchaan bhi tu

Ya haider, haider..(4)

Sarkaar e najaf k raste mein
kya aashiq e haider milte hai
kahin raabe abasri aur buzar
salmaan qaseede padhte hai
kahin qambar maalike ashtar hai
kahin daar pe meesum chadhte hai
maula e qambar, Ali Ali
aaqa e abuzar, Ali Ali
salman ka rehbar, Ali Ali
Kahe maalike ashtar, Ali Ali
sakhi laal qalandar........
sakhi laal qalandar kehta hai
Wallllahh Ali ka mai naukar

Ya haider, haider..(4)

mera ishq bhi tu,
imaan bhi tu
meri jaan bhi tu
pehchaan bhi tu

Ya haider, haider..(4)

Maidaan e khum mein ahmed ne
haider ko pukaara hai maula
Haanthon pe utha ke maula ne
Maula ko banaaya hai maula
shahe marda shere yazda
laarayb humara hai maula
man kunto maula, Ali Ali
Lafzon ne pukaara, ALI ALI
Waliyon ka sahara, ALi ALi
Sab haare na haara, ALi ALI
Hai baara imaamo'n..........
Hai baara imaamo'n mein pehla
har jung mein pehla hai number

Ya haider, haider..(4)

mera ishq bhi tu,
imaan bhi tu
meri jaan bhi tu
pehchaan bhi tu

Ya haider, haider..(4)

Laarayb ALi ke jaisa hi
jee daar ali ka qunbaa hai
jab jab bhi sada qur'aan ne di
yeh jaan nichawar karta hai
islaam ki khaatir jeeta hai
islaam ki khaatir marta hai
sajjad ka khutbaa, Ali ALI
Zainab ka lehja, ALi ALI
Abbas ka naara, ALi ALI
Hasnain ka saaya, ALi ALI
Awwal ho ke ausat........
Awwal ho ke ausat yaa akhir
iss ghar mei hai sabke sab haider
Ya haider, haider..(4)

mera ishq bhi tu,
imaan bhi tu
meri jaan bhi tu
pehchaan bhi tu

Ya haider, haider..(4)

ALi Jaanam ALi Jaanam..(4)

Ali jaan ast o jaan aanam
Ali dar dast o dar daanam
Ali deen ast o eemaanam
Ali khuld ast o rizwaanam
Ali ayaat e qur'aanam
ALi aayaat e subhaanam
Ali virde zabaane man
Ali taaveez jaane man
ALi raazo neyaaz e man
ALi sozo qudaaze man
ALi pushto panaahe mein

ALI ki baadshaahi hai, Ali ism e ilaahi x4
har ek mizaan mei tola, zubaan k saath dill bol

ALi maula x10

Aye mere Maula
Mujhe apna banaale
ek baar sada de
mujhe najaf dikha de
haidery bana de yaa maula ..(9)

Kaaba hai siyahposh falak mehwe buka hai
Ye gumbade aflaak se kyu shor utha hai
Kohram baqaiyya ki fizao me bapa hai - 2

Ye kaun gira - 2

Ye kaun gira reti per - 2

1. Tha waqte asr arshe moalla pe shor tha - 2
Wa hasrata ke zeen se zameen per koi gira
Kaapi zameen chashme malaaek ko yu laga
Quran rehle zeen se sare farsh gir pada - 2
Deeware kaaba bayth gayi arsh gir pada

2. Girte hi iske kaabe ki deewar gir gayi
Sar aasman ka jhuk gaya dastaar gir gayi
Insaniyat ki dehr me sarkaar gir gayi
Zakhmo se chur chur hai jhuk kar kamaan hai - 2
Hairaan hai maut khauf nahi itmenaan hai

3. Ye hogaya maalum ye khaasaane khuda hai
Ye aisa bashar hai jo zamane se juda hai
Qaunain me kyu iske liye hashr bapa hai
Kyu iske liye arshe moalla pe hai matam - 2
Rote hai nabi saare siyah posh hai adam

4. Ye marde khuda shahe arab aala nasab hai
Alhamd se wan naas talak iska hi sab hai
Baba ka nasab maa ka hasab iska hasab hai
Teero ke musalle pe jo sajde me gira hai - 2
Islam isi sar se madad maang raha hai

5. Aye shahe mashraqain hamara salam le
Haider ke zebo zayn hamara salam le
Zehra ke dil ka chayn hamara salam le
Insaniyat ke deen ka imaan ka salam - 2
Karle qubool sarwaro rehan ka salam

Kaaba hai siyahposh falak mehwe buka hai
Ye gumbade aflaak se kyu shor utha hai
Kohram baqaiyya ki fizao me bapa hai - 2

Ye kaun gira - 2

Ye kaun gira reti per - 2

1. Tha waqte asr arshe moalla pe shor tha - 2
Wa hasrata ke zeen se zameen per koi gira
Kaapi zameen chashme malaaek ko yu laga
Quran rehle zeen se sare farsh gir pada - 2
Deeware kaaba bayth gayi arsh gir pada

2. Girte hi iske kaabe ki deewar gir gayi
Sar aasman ka jhuk gaya dastaar gir gayi
Insaniyat ki dehr me sarkaar gir gayi
Zakhmo se chur chur hai jhuk kar kamaan hai - 2
Hairaan hai maut khauf nahi itmenaan hai

3. Ye hogaya maalum ye khaasaane khuda hai
Ye aisa bashar hai jo zamane se juda hai
Qaunain me kyu iske liye hashr bapa hai
Kyu iske liye arshe moalla pe hai matam - 2
Rote hai nabi saare siyah posh hai adam

4. Ye marde khuda shahe arab aala nasab hai
Alhamd se wan naas talak iska hi sab hai
Baba ka nasab maa ka hasab iska hasab hai
Teero ke musalle pe jo sajde me gira hai - 2
Islam isi sar se madad maang raha hai

5. Aye shahe mashraqain hamara salam le
Haider ke zebo zayn hamara salam le
Zehra ke dil ka chayn hamara salam le
Insaniyat ke deen ka imaan ka salam - 2
Karle qubool sarwaro rehan ka salam

No comments:

Post a Comment