Sunday, 16 February 2025

Nadeem Sarwar (2016)

Abbas..
Abal fazl, abal fazl..(4)
{Abal fazl e bawafa, alamdaar e lashkaram
Mahe haashmi nasab, ameer e dilawaram}..(3)

1. Khuda ke dee'n ka paasbaa'n
shuja'ato ka aasmaa'n
jalaal tera al amaa'n.. abal fazl..(2)
Husainiyat ka tarjumaa'n
ye ghum zado'n ka sayebaa'n
alam ba dosh e rehnumaa.. abal fazl..(2)

2. Ye murtaza ka gul badan
weqaar e haideri chaman
shuja'ato ki anjuman.. abal fazl..(2)
ali misaal tegh zan
wohi sukhan wohi chalan
ali e dashte karbala.. abal fazl..(2)

3. Ameer e sabr ka akhi
qaraar e jaane zainabi
amme sakina hai yahi.. abal fazl..(2)
tujhko shahadat jo mili
bhoolegi duniya na kabhi
tera alam u'ncha raha.. abal fazl..(2)

4.  Aye noor e dil mara qamar
aye roshni mara sahar
ba waqt e ghum mara separ.. abal fazl..(2)
tere hai sab ye behrobar
tu hi duao me asar
tere sabab hu bekhatar.. abal fazl..(2)

5. Ghulam e ibne murtaza
rehan o sarwar e azaa
hamara marqaz e wafa.. abal fazl..(2)
dua e binte fatema
jaha'n alam ye jab utha
falak pukara marhaba.. abal fazl..(2)

{Abal fazl e bawafa, alamdaar e lashkaram
Mahe haashmi nasab, ameer e dilawaram}..(3)

Ye jo panja hai ek balandi par..(2)
hai ye shane alam sare manzar
sar balandi ka ek ishara hai
ye jo mashkiza e sakina hai
pyaase bacho'n ka ye safina hai
ashiqo'n, saaya e dua me chalo
haan chalo bazme bawafa me chalo
aaj bhi ye alam hamara hai..(3)

aaj bhi ye alam hamara hai..(4)

Har azadaar ka sahaara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

1. Ae azadaro khush naseeb hai hum..(3)
humko shabbir ne pukara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

2. Meri tareekh hai azadari..(3)
meri majlis bhi ek idaara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

3. Hai gawahi yahi juloos e azaa..(3)
kaun jeeta hai kaun haara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

4. Aur, iska maqtal mein faisla hoga..(3)
hurr hamara hai ya tumhara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

5. Mukhtalif hai sabhi shaheed magar..(3)
ek hi sabka istekhara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

6. Baad e takbeer aur risalat ke..(3)
meri pehchaan ali ka naara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

7. Aye azadaar ye azakhane..(3)
dekh jannat ka ye nazara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

8. Hum hai sarwar helaal behre azaa..(3)
ta qayamat yahi sahara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(2)

Har azadaar ka sahaara hai
aaj bhi ye alam hamara hai..(3)

Alwida, alwida, alwida..(4)

Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata
Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
Alwida, alwida, alwida..(2)
Ae musafir..

1. Boli zainab, ae mere maa jaye ye kya haal hai
kaise pehchanu tera laasha bohot pamaal hai
aah re anta akhi kya, hai tu hi bhaiyya mera
mai musafir shaam ki hu,.....

2. Kya tumhi ho ibne zehra, kya tumhi ibne ali
kya tumhi bhai hasan ke, aur jaane zainabi
ae gule baagh e mohammad, haal ye kya hogaya
mai musafir shaam ki hu,.....

3. Na rahi nalayn, na malboos, na dastaaar hai
ae ghareeb e fatima, tu khuld ka sardaar hai
ae tane uryaa'n tera to, aaj sab kuch lut gaya
mai musafir shaam ki hu,.....

4. Mai rasan basta chali, waada nibhane ke liye
ghar me qatil ke teri, masnad bichane ke liye
kal yahi masnad banadungi, teri farshe azaa
mai musafir shaam ki hu,.....

5. Bhai, amma, aur nana ka, padar ka waasta
baat kar mujh se baradar, kholde aankhein zara
dekh to chehra behan ka, kis qadar murjha gaya
mai musafir shaam ki hu,.....

6. Laasha e besar tadapkar ye sada dene laga
ae behan waada nibhake, mai to maqtal se chala
thi sadaa rehan o sarwar, haaye khwahar alwida
Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida

Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrata
Mai musafir shaam ki hu, dushmano mein berida
Alwida, alwida, alwida..(4)

hussain x2
badshaah hussain, hussain
badshaah hussain

yeh deen panaahi ka sharaf kisko mila hai,
yeh kiska laqab hai jo sare arsh likha hai

badshaah hussain, hussain
badshaah hussain

Ajmer ke khwaaja ne yeh sach khoob kaha hai,
laarayb k shabbir hi kalme ki baqa hai

badshaah hussain, hussain
badshaah hussain

shah ast hussain, badshah ast hussain
dee'n aat hussain, dee'n panah ast hussain
sardaad na daad dast dar dast e yazeed
haqqa k bina laa ilaah ast hussain

badshaah hussain, hussain
badshaah hussain

karbobala ishq e khuda
ishq ka tu sultaan hussain

shah hussain, badshaah hussain
dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain

1. Maula bada kaam kiya,
deen e khuda aam kiya,
kar naa saka koi kabhi,
tune wahi kaam kiya,
waada wafa karke raha,
sar na jhuka haq pe jiya,
sabse bada mera khuda
karta rha ailaan hussain

shah hussain, badshaah hussain
dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain
badshaah hussain, hussain
badshaah hussain
karbobala ishq e khuda
ishq ka tu sultaan hussain

2. Ishq tera, ishqe khuda
noke sina tak jo gaya
ishq mei jo tune diya
koi bhi woh de na saka
noor e khuda dast e khuda
tere siwa kaun hua
kehna pada likhna pada
hai yeh tera ehsaan hussain

shah hussain, badshaah hussain
dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain
badshaah hussain, hussain
badshaah hussain
karbobala ishq e khuda
ishq ka tu sultaan hussain

3. Sarwar e zeeshan hussain
azmat e insaan hussain
bolta qur'an hussain
main tere qurbaan hussain
meer e haram rab ki kasam
tera yeh gham hoga na kam
farsh e aza haq ki sada
hai yeh tera faizaan hussain

shah hussain, badshaah hussain
dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain
badshaah hussain, hussain
badshaah hussain
karbobala ishq e khuda
ishq ka tu sultaan hussain

4. Azme jawaa'n tashnalaba
bewatana bekafana
tere liye hai yeh fugha
arsh o zameen nauhakuna
dard e dilaa'n tashnadahaan
khush zabaa'n noke sina
tan se juda sar tha magar
padhta raha qur'an hussain

shah hussain, badshaah hussain
dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain
badshaah hussain, hussain
badshaah hussain
karbobala ishq e khuda
ishq ka tu sultaan hussain

5. haaan...
har jaaa'n hai huqumat teri
har dil mei basa hai
har dil mei azakhaana tera aaj saja hai
quraan e masaaeb mei tera naam likha hai
matam ki sada hai ki yeh tu bol rha hai
ishq e khuda teri adaa
naam tera zinda raha
karbobala di hai sada
tu hai bada insaan hussain

shah hussain, badshaah hussain
dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain
badshaah hussain, hussain
badshaah hussain
karbobala ishq e khuda
ishq ka tu sultaan hussain

6. haaan...
thi zinda azadaari teri zinda rahegi
woh qaum jo bedaar hai gham tera karegi
awaaze azaan jo tere rauze se uthegi
wallah khudaayi teri aawaaz sunegi
shaahe zaman, hadi e mann
naaze chaman, sheeri sukhan
shaan e Nabi, shaan e Ali
yaani meri jaan hussain

shah hussain, badshaah hussain
dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain
badshaah hussain, hussain
badshaah hussain
karbobala ishq e khuda
ishq ka tu sultaan hussain

7. Jannat e mann karbobala
rahat e mann karbobala
sarwar o rehan e aza
daulat e mann karbobala
hum hai safeeran e aza
shah e huda tumpe sada
jaan karein tumpe fida
hai yeh mera armaan hussain

shah hussain, badshaah hussain
dee'n ast hussain dee'n panah ast hussain

karbobala ishq e khuda
ishq ka tu sultaan hussain
badshaah hussain, hussain
badshaah hussain

Bismillahi noor e khuda
Bismillahi shams uz zoha
Bismillahi ayn ul yaqeen
yab na ameerul mo'mineen..(3)

Haan....
Aye yaare mann, aye yaare mann
aye dilbaro dildaar e mann
aye sayyedo sardaar e mann
aye rahbaro salaar e mann..(2)
ali...ali...ali...ali....

Aye naaz e mann, dastaar e mann
aye mahramo ghumkhwaar e mann
aye maliko mukhtaar e mann
aye hazrat e sultaan e mann...
ali...ali...ali...ali....

Bismillahi noor e khuda
Bismillahi shams uz zoha
Bismillahi ayn ul yaqeen
yab na ameerul mo'mineen..(3)
Hussain Sarallah... aba abdillah..(3)
Bismillahi......

Aye murshid e mann aye wali
maula hussain ibn e ali
aye aashiq o ki aagahi
rasme wafa tujhse chali..(2)
pohcha jo mai teri gali
qadmo se peshani mali
apni khabar bhi na rahi
aye mahwar e eeman e mann..(2)
Bismillahi...

Mai nauhakhwaa tere liye
meri zabaa'n tere liye
mera bayaa'n tere liye
ye jism o jaa'n tere liye
ghum ki azaa'n tere liye
ashk e rawaa tere liye
matam kunaa tere liye
aye girya e mishgaaan e mann
Bismillahi...

Wo ho najaf ya karbala..(2)
dono se hai roohe baqa
wo sajdagaah e qudsiyaa'n
ye karbala khaak e shifa..(2)
wo ibtedaa ye intehaa
dono shahadat ka silaa
hai silsila dar silsila
har jaa ali ka khoo baha
bahaa ali ka khoo bahaa..(2)
na aisa koi soorma
na aisa koi raah bar
lahoo me apne tar ba tar
bala ki pyaasi hai magar
hazaaro qatilo me bhi
chala hai jo utha ke sar
ye kaun hai aseere ghum
ye puch aye hawae ghum
ye kaun hai ye kaun hai..(3)

haan.. ahmed ka nawaasa hai..
ye kaun hai ye kaun hai
haan.. haider ka saraapa hai
ye kaun hai ye kaun hai
haan.. zahra ka dulara hai
ye kaun hai ye kaun hai
haan.. shabbar ka bhaiyya hai
ye kaun hai ye kaun hai
haan.. zainab ka sahara hai
abbas ka aaqa hai
akbar ka ye baba hai

haan.. ye hussain hai ye..(2)
ye ishq e rabbani
ye gauhar e jaani
ye fehme qur'aani
ye ehle furqaani
ye zikre toofani
ye noore tabani
yabna ameeril mu'mineen..(2)
Sarallah... aba abdillah
Hussain Sarallah... aba abdillah..(3)

Qasam ali ke khoon ki
hussain phir hussain hai
rehan o sarwar e azaa
baraye deen e mustafa
ye apna ghar luta chuka
hazaar zakhm khaa chuka
jhuka nahi daba nahi
jama raha dataa raha
jhuka nahi hila nahi
daba nahi thama nahi
thaka nahi ruka nahi
hussain phir hussain hai..(8)

Hussain Hussain Hussain
Ye farshe aza sab ke liye hai zahra ki dua sab ke liye hai..(2)
Ye farshe aza
Ye farshe buqa
Ye farshe aza farshe buqa karbobala hai
Ye khaq e najaf khak e haram khaak e shifa hai
Ye noor e khuda qibla numa arshe khuda hai
Jalne na do nafrat ke diye pyari hawao
Hai ek khuda ek nabi sab ko batao
Aur kaho
Aur kaho
Aur kaho

Labbaik hussain labbaik
Ye farshe aza sabke liye hai.....

Duniya me saf e matam e shabbir bichao..(2)
Khwahish hai ye zahra ki ise bhul na jao
Paigham e hussain ibne ali sabko sunao
Insan shanasi hai aza khano me aao
Ye amn ka paigham hai dunaya ko sunao

Shabbir ne sikhlayi hai insaan shanasi
Insa ki hidayat ke liye jaan luta di
Hai majlis e shabbir isi nukhte ki aadi
Allah ki dharti pe na tum khoon bahao
Chahat ke shajar phool muhabbat ke khilao

Haan...
Insa ki nigheban azadari e shabbir
Momin ka hai imaan azadari e shabbir
Rishto ki hai pehchan azadari e shabbir
Is dar se muhabbat ko suno aur sunao
Abbas e alamdar ke parcham ko uthao

Ye karbobala kya hai ye maqtal nahi maqtab
Is maqtab e aali ki mudarris hui zainab
Jis bibi ne mazbut kiya aur bhi mazhab
Is bibi ke khutbo ko nisabo me padhao
In phulon ko guldan e aqeedat me sajao

Haan...
Gar shauk e ziarat hai azakhane me aao
Gar amn ki chahat hai azakhane me aao
Dehshat se jo nafrat hai azakhane me aao
Jannat ki zururat hai to is gham ko manao
Duniya se sitamgaro ke fitne ko mitao

Ye aun o mohammad ali Akbar ka hai matam
Abbas sakina ali asghar ka hai matam
Ye zainab o kulsum ka haider ka hai matam
Wo dekho safiraan e aza aate hai aao
Aye sarwar o rehan chalo nauha sunao

Maula...
Rahe dil mein salamat ye ghum tera
Na ghum ho koi is ghum ke siwa
manzoor karo shahe karbobala
har momin ke ye dil ki dua
ye dil ki dua, ye dil ki dua
maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe..(2)

maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe
zikr zehra de laa laa'nda, mere ghar vi bayaa'n howe
maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe..(2)

1. Chade jad chand moharram da
safe matam bichawa'n mai
gharche zakir bulawaa'n mai
teri majlis karawaa'n mai
zuljanah garcho'n jad nikle
jag girya kuna howe
maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe..(2)

2. Dukhi zainab jo na kita
tera matam karawaa'n mai
teri phoodi bichawaa'n mai
othe langar pakawaa'n mai
azadari le ee maula
koi aisi witha howe
maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe..(2)

3. Azakhana mere ghar bane
jithe masoom awandge
payr pawandge jadd wede
paag mere jagawandge
panja baara te chauda di
uthe sibto sanaa howe
maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe..(2)

4. Maula menu mile je ghar
jhula asghar sajawaa'n mai
aap laawa'n sabeela mai
sabnu pani piyawaa'n mai
jithe mashke sakina howe
ghazi da nishaa'n howe
maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe..(2)

5. Mere ghar jo baramad howe
jaddo taboot beemar daa
yaad kar maula sajjad nu
rowe dil har azaadar daa
sadqa beemar sajjad daa
maaf har ek gunaah howe
maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe..(2)

6. Menu milya jo hai ghum tera
nasl dar nasl milda rawe
panjetan di mohabbat daa
phool khurshid ae khilda rawe
raazi sarwar te mehshar de din
dukhi zainab di maa howe
maula mera vi ghar howe, uthe alma di chaa howe..(2)

Momino qissa e sadaat suno
thaam kar dil ye meri baat suno
khoon se likhe huwe halaat suno

ya zahra, ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)
ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra

Momino qissa e sadaat suno
thaam kar dil ye meri baat suno
noor e kaunain madina hai jaha'n
ek mahella bani hashim hai waha'n
ek mahelle ke ek ghar ka bayaa'n
jisse behtar nahi duniya mein makaa'n
deen o eemaan ke kirdaar ka ghar
panjetan paak ke anwaar ka ghar
dukhtar e Ahmed e mukhtar ka ghar
fatima haider e qarrar ka ghar
laadle..(3), inke hasan aur hussain
aur do betiya'n thi noor e ayn
ek kulsoom thi, ek baap ka zayn
aur abbas dilo jaan ka chayn
ghar ye tha bayt e khuda
jisme qur'aa utra
aur kis tarha luta
inka rutba na zamana samjha

ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra

Kaisi mazloom magar thi zahra
baap ke ghum me bhi rone na diya
haq se mehroom kiya wa abata
aaj bhi jiski lahad be saaya
jispe jalta huwa darwaza gira
hogayi pehlu shakista zahra
qatl mohsin bhi hua wawaila
baad e zehra wo ali ka girya
masjide..(3), kufa me phir shor utha
haaye haider pe chali teghe jafa
thi sada fusto be rabbil kaaba
ghar mein zehra ke qayamat thi bapa
sar se saaya jo utha
ghar ye veeran huwa
thi yateemo ki buka
haaye baba, haaye baba baba

ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)

Baad e haider ye sitam aur huwa
khoo'n mein shabbar ka janaza dooba
aur phir deen jo mushkil mein ghira
tab hussain ibn e ali ghar se chala
karbala jaise hi pohcha kunba
phir to kya zulm na sayyed pe huwa
milke laakho'n ne unhe gher liya
teen din pehle to paani na diya
aur phir..(3)
maqtale sadaat sajaa
bhanje, bete, bhatija na raha
na wo lashkar na alamadaar bacha
asr se pehle wo halmin ki sadaa
chal gayi teghe jafa
khoon bekas ka baha
sar suwe naiza gaya
tan ko aghosh me zehra ne liya

ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)

Aa gayi shaam e ghareeba'n haye haye
aur phir aag lagi khaime jale
ghash se jab aabid e beemar uthe
qaidi kunbe ke wo salaar bane
haaye sajjad ne kya kya dekha
sar khule shaam me kunba dekha
jashn darbaar mein hota dekha
choti hamsheer ka laasha dekha
qaid se..(3), chutke chale karbobala
sab ka chehlum kiya matam bhi kiya
qafila jab ye madine pohcha
ab baya'n sarwar o rehan ho kya
haye matam tha bapa
jab ye zainab ne kaha
na rahi meri rida
amma mai aagayi bhai na raha

ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)

Momino qissa e sadaat suno
thaam kar dil ye meri baat suno
khoon se likhe huwe halaat suno

ya zahra, ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)
ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra

Momino qissa e sadaat suno
thaam kar dil ye meri baat suno
noor e kaunain madina hai jaha'n
ek mahella bani hashim hai waha'n
ek mahelle ke ek ghar ka bayaa'n
jisse behtar nahi duniya mein makaa'n
deen o eemaan ke kirdaar ka ghar
panjetan paak ke anwaar ka ghar
dukhtar e Ahmed e mukhtar ka ghar
fatima haider e qarrar ka ghar
laadle..(3), inke hasan aur hussain
aur do betiya'n thi noor e ayn
ek kulsoom thi, ek baap ka zayn
aur abbas dilo jaan ka chayn
ghar ye tha bayt e khuda
jisme qur'aa utra
aur kis tarha luta
inka rutba na zamana samjha

ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra

Kaisi mazloom magar thi zahra
baap ke ghum me bhi rone na diya
haq se mehroom kiya wa abata
aaj bhi jiski lahad be saaya
jispe jalta huwa darwaza gira
hogayi pehlu shakista zahra
qatl mohsin bhi hua wawaila
baad e zehra wo ali ka girya
masjide..(3), kufa me phir shor utha
haaye haider pe chali teghe jafa
thi sada fusto be rabbil kaaba
ghar mein zehra ke qayamat thi bapa
sar se saaya jo utha
ghar ye veeran huwa
thi yateemo ki buka
haaye baba, haaye baba baba

ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)

Baad e haider ye sitam aur huwa
khoo'n mein shabbar ka janaza dooba
aur phir deen jo mushkil mein ghira
tab hussain ibn e ali ghar se chala
karbala jaise hi pohcha kunba
phir to kya zulm na sayyed pe huwa
milke laakho'n ne unhe gher liya
teen din pehle to paani na diya
aur phir..(3)
maqtale sadaat sajaa
bhanje, bete, bhatija na raha
na wo lashkar na alamadaar bacha
asr se pehle wo halmin ki sadaa
chal gayi teghe jafa
khoon bekas ka baha
sar suwe naiza gaya
tan ko aghosh me zehra ne liya

ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)

Aa gayi shaam e ghareeba'n haye haye
aur phir aag lagi khaime jale
ghash se jab aabid e beemar uthe
qaidi kunbe ke wo salaar bane
haaye sajjad ne kya kya dekha
sar khule shaam me kunba dekha
jashn darbaar mein hota dekha
choti hamsheer ka laasha dekha
qaid se..(3), chutke chale karbobala
sab ka chehlum kiya matam bhi kiya
qafila jab ye madine pohcha
ab baya'n sarwar o rehan ho kya
haye matam tha bapa
jab ye zainab ne kaha
na rahi meri rida
amma mai aagayi bhai na raha

ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)

No comments:

Post a Comment