Amma achi amma
Dakhil jo madine me huwe ahl-e-madina
Jaate huwe kuch aur the ab kya hai karina
Na Akbaro Abbas na Hamrah Sakina
Aur gham se har ik bibi ka labrez tha sina
Jab ghar ke karib aagayi kunbe ki sawaari
Sughra ne jo dekha to ye, roro ke pukaari
Amma, amma
Hay (Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x3
- Sughra, kya puch liya Sughra tune, sab kuch to ayaa hai chehre se, le dekh safed yeh baal mere, mat puch kaha hai ab kunba
(Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
- Sughra, jis jaan se pyaara kehti thi, din jis ke liye tu ginti thi, be goro kafan hai baba tera, mat puch kaha hai ab kunba
(Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
- Sughra, jis kunbe ko tu puchti hai, wo karbobala ki khaak huwa, sab chand chupe karbal me tere, mat puch kaha hai ab kunba
(Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
- Sughra, wo eik zaeef jawaan jo hai, pehchaan isse Sajjad hai ye, Isse shaam ki galiya maar gayi, mat puch kaha hai ab kunba
(Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
- Sughra, wo Asghar jo cheh maah ka tha, wo bhi na raha, wo bhi na raha, maa dhoop me baythi roti hai, mat puch kaha hai ab kunba
(Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
- Sughra, jab shaam-e-ghariba ayi thi, Zainab pe bari tanhaayi thi, ghar jalta that chinti thi rida, mat puch kaha hai ab kunba
(Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
- Sughra, darti thi andhere se jo bahot, wo bali Sakina teri behen, ab tak hai wo zindaa mei Sughra, mat puch kaha hai ab kunba
(Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai) x2
Aysa alam
(Ya Abbas) x2
(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
- Ye hai Abu Talib ka gharana, Is pe Khuda ka khas karam hai, Sare Arab me sare ajam me, kisko mila ye jaaho hasham hai (in me koi yasin-o-muzammil, in me koi sardar-e-iram hai) x2 Uski alag hi shan hai maula, jisko mila haider ka alam hai
(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
- Kaisa saja hai kaisa hasin hai, karbobala mei shah ka lashkar, yu to sabhi hai sheyr-e-dilawar, Auno Muhammad Qasimo Akbar (Ibne Mazahir Wehbe Kalbi, John bhi Hur bhi sare dilawar) x2 Apni jagha ye sab hai bahaddur, Foj me teri ay shah-e-safdar
(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
- Baade namaz-e-fajr ziyarat, tere alam ki karta hu, sharf ghulami ka mil jaye, mai ye wazifa parhta hu (karke ziyarat tere alam ki, phir me ghar se chalta hu) x2 Saye mei chawda masoomo ke, shukhre khudaa mei rehta hu
(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
- Ham to saje darbar ali hai, khas ye tujse rishta hai, jad bhi hai tera kool ka maula, tu bhi hamara aaka hai (tere fakiro me ay ghazi, Arsh nashi bhi rehta hai) x2 Sindhme aawo maula kadam par, laal kalandar kehta hai
(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
- Shaam ke lashkar me halchal thi, kaun jari ab aata hai, burhe jawaano se kehte the, yeh to Ali ab aata hai (sar pe khuda thokar me kazaa hai, kehre jali ab aata hai) x2 Kehna para Ahmed ko Ali se, tera wasi ab aata hai
(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
- Teri shahadat se kunbe par, kaisi qayamat tut gayi, jis ko kaha karte the aaka, katl huwa wo bhayi bhi (Sar se chini Zainab ke chadar, teri Sakina qayd huwi) x2 Hayi teri majboori Ghazi, Maa Zehra ye kehti rahi
(Aysa alam hai kaha, aysa jawaan hai kaha) x2
Jo Bhi Masroof
(Ya Hussain) x4
(Jo bhi masroof-e-salaame, shohada rehta hai) x4
- Wo to rehta nahi par naam, sadaa rehta hai
Jo bhi masroof salaame, shohada rehta hai, Wo to rehta nahi par naam, sadaa rehta hai
- (Shimr kehta tha yahi maa hai, Ali Akber ki) x3 Jiska ek haath kaleje pe, dharaa rehta tha hai
Jo bhi masroof salaame, shohada rehta hai, Wo to rehta nahi par naam, sadaa rehta hai
- (Hai yeh sharmindagi paani ke, na ponchaane ki) x3 Naize pe bhi sar-e-Abbas, jukaa rehta tha hai
Jo bhi masroof salaame, shohada rehta hai, Wo to rehta nahi par naam, sadaa rehta hai
- (Shaam hoti hai to unto se, ootarte hai haram) x3 Par sar-e-shah to naize pe, charaa rehta hai
Jo bhi masroof salaame, shohada rehta hai, Wo to rehta nahi par naam, sadaa rehta hai
- (Roke yeh hind ki beti ne, sakina se kaha) x3 Sar tera kisliye har waqt, khulaa rehta hai
Jo bhi masroof salaame, shohada rehta hai, Wo to rehta nahi par naam, sadaa rehta hai
- (Wo lagi kehne yatimo ki, nishaani hai yehi) x3 Kurta beywarsi bacho ka, phataa rehta hai
Jo bhi masroof salaame, shohada rehta hai, Wo to rehta nahi par naam, sadaa rehta hai
- (Khawfe kaaba ka tuje showk hai, Asbaast-e-dabeer) x3 Mustarib dil siffat-e-kibla, numaa rehta hai
Jo bhi masroof salaame, shohada rehta hai, Wo to rehta nahi par naam, sadaa rehta hai
Maa Bulati
Hai Bistare se thar tharaa ke uthhi thaam kar asaa, Qabr-e-nabi pe fateha-e-aakhri parha, Hum saaiyon ke ghar gayi rukhsat ko aur kaha
Izza thi tum sabhon ko mere shaur-o-shain se, Kal Fatema na hogi so owege tum chain se, Nagahh showr utha ke Zehra guzar gayin, Amama sar se phaink ke rowe imaam-e-deen rotithi milke Zainab-o- kulsum thi qarib, aur door se Hussain rotethe khare, Fizza pukari aap yahan kya na aayenge, Bole Hussain amma pukare to jaayenge
Tute bande kafan Fatema ke aur phir haath nikle kafan se, aayi aawaz aa ay Hussain, Maa Bulati hai aa ay Hussain
(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
- (Aye Shabbir Zehra ke lab yu hile) x2 Chakiya pis ke maine palaa tuje, Aa mere laal aa maa ke laag ja gale, wakt-e-ruksat hai aise nahi ruth te
(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
- Teri khaatir mein jaa kar palat aayi hun, Dekh kar tere aansu mein ghabrayi hun, Dekh zere kafan gham se tharayi hun, Tujh ko behlaane jannat se mein aayi hun
(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
- Aa mere laal aa aik ye kaam kar, mere seene pe kuch dair aaram kar, tu to chalta tha ungli meri thaam kar, yaad woh subho kar yaad woh shaam kar
(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
- Tu ne khaana bhi khaaya ke khaaya nahin, kehde maa se ke aaj tu pyaasa nahi, subh se muh kisi ne dhulaya nahi, so gayi mein tujhe kyun sula ya nahi
(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
- Daste Zainab mein phir deke daste Hussain, Boli Zahra kafan mein basad showr o shain, dekh Zainab meri laadli noor e ayn, ye jo roya to Zahra na paayegi chain
(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
- Jaaiyo saath iske ye jaaye jidhar, mere bache ki Zainab hai tu humsafar, Karbala ka musaffir hai mera pisar, gham ki badli na chaaye mere chaand par
(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2 - Haaye Karbobala mein wo din aagaya, Shimr ka halqe Sarwar pe khanjar chala, Amma Amma ki aane lagi jab sada, Baal bikhrake Zehra ne ro kar kaha
(Maa bulati hai aa ay Hussain) x2 (aa mere paas aa ay Hussain) x2
Nabi nabi honga
Awozobilahe Menashaitan Nir Rajim, Bismillah Hir Rahmin
Saari Tarife us Khuda-e-Buzurgho Barkat ke Naam, Ke jis Ke Kabzae Kudrat Me Kainat Ka Har Nizam Hai Doorudo Salam Mohamed wa Ale Mohamed Par
(Allahumma Salle Ala Mohammedin Wa Ale Mohammed) x3
Ya Nabi Allah Ya Habib Allah Ya Kalim Allah Ya Shafi Allah Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah
(Ya Rasool Allah) x4
- Zamin Jab Na thi, na Aasma koi, na chand tare the, na keh kasha koi, hooruf bhi na the, na thi zaba koi (Tha ayse alamme bhi mehrba koi) x2 Khuda bas ayse me yeh keh raha hoga Mere Hawale se jo taskera hoga
(Nabi Nabi Hoga) x2 Chaman Chaman Hoga Kali Kali Hoga
- Habib mera hai libas-e-rehmat me, Banayi hai dunia isi ki chahat me, sanaa isi ki hai, kalame kudrat me (doorud isi per hai meri ibadat me) x2 jo saktiya jhele meri mohabat me, shafi-e-mehshar bhi fakat yahi hoga
(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
- Wo mere bando ko, mera pata dega, who besaharo ko bhi aasra dega, who zakham kayega magar duwa dega (isi ka kunba to gala kata dega) x2 Husain sab apne diye buja dega, andhera jab fayle, who roshni hoga
(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
- Nabi ka roza hai hamare sino me, hasino yakta hai who sab hasino me, isi ka charcha hai falak nashino me (jali hai naam iska sabhi sahifo me) x2 likha hai naam is ka sabhi safino me, ab humko tufan se na dar koi honga
(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
- Duwaye karte hai tere wasile se, mariz jitne hai unhe shifa dede, nabi ke sadke me ye martaba dede (yaki(n) ki manzil ka tu raste dede) x2 nabi ke bachho ka tu khake pe dida kahaa tera jaysa koi sakhi honga
(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
(Ya ali maula) x4
Imamul momineen, Imamul muttaqeen, Imamul saddiqeen, Imamul alimeen, Imamul awaleen, Imamul akhireen
(Ya kaheral aduwe, wa waliyal wali, ya mazharal ajaaeb, ya murtaza Ali) x2
- Nabi ne manga tha, khudaase ek nasir, Ali ki surat me, huwa hai wo zahir, Nabi ne jab chaaha ali huwe hazir (Ali ki midhat se zaban hai kasir) x2 Ali sar-e-mimber salooni ka zakir, jaha nabi honga, waha Ali honga
(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
- Ali ko baksha hai, khudaane kya rutba, nabi sa bhayi hai, batool si zawjah, Ali nazar aya, Ali ka har beta (Nabi ki hiqmat ka Ali hai darwazah) x2 Na dusra haider, na dusra kaba, na ho saka pehle, na ab kabhi hoga
(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
- Who asr-e-ashoora, ali ka ek beta, rasool the jisse, rasool se jo tha, tamam lasho ko uthata tha tanha (Jo zere khanjar ye, bayaan deta tha) x2 Rahenga deen ab to hamare nana ka, zamin-e-maqtal per likha yahi honga
(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
- Ali ke kunbe per, sitam huwe kya kya, kahi jale khayme kahi luta parda, kahi kate bazu, kahi chida seena (Kisi ka maqtal me bikhar gaya lasha) x2 Ye zulm dekha to khuda pukar utha, Hussain jo kehde sada wahi honga
(Nabi Nabi hoga) x2 chaman chaman hoga kali kali hoga
Nabi Nabi hoga, ali ali honga chaman chaman hoga kali kali hoga
(Ya Rasool Allah) x4
Salallaho alayhi wa aali hi wa sallam
Jab Khaime Me Rukhsat Ko Shahe Bayro Baraye,
Chilaee Sakina Mere bekas padar ayee
Sheh keh te the bibi hame ro ker na rulawo
Phir pyar kare ham tumhe mu aage ko lawo
Woh kehti thi hamrah muje leke to jawo mai kya karu maidan me ghar ja ke na awo
(Need ayengi jab aap ki bu pawungi baba) x2 Me raat ko maktal me (chali awungi baba) x2
(Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba) x2
- Farmaya nikalti nahi sayyedaniya bahar sine pe sulayengi tumhe raat mai madar kyu kehti ho maktal me chali awungi baba, Mai raat ko maktal mai (chali awungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
- Nanhe se Kaleje pe mere chalti hai talwar, khulta nahi kyu aap ne bandhe hai ye hathyar, mai aap ko kho ker na kabhi pawoungi baba mai raat ko maktal mai (chali awoungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
- Aa ti hai bala sarpe to pehle muje waro, mar jawongi baba na sidharo na sidharo, jawonge jahan mai bhi wahin jawoungi baba mai raat ko maktal mai (chali awoungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
- Shab hongi to phir khak pe soenge kaha aap, sine pe to asgher ko sulayenge waha aap, acha mai wahi khakh pe so jawongi baba
mai raat ko maktal mai (chali awoungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
- Aane do agar pyas se gash ayenga baba, tum jite raho pani bhi miljayenga baba, mai aap ko dekhungi to jijawungi baba
mai raat ko maktal mai (chali awoungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
- Kuch door na the ham ke tumhe nind na aye, kiya hoyenga jab hogi mahino ki judayi, bibi na kaho mai nahi so pawungi baba
mai raat ko maktal mai (chali awoungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
- Farmaya nikalti nahi sayyedaniya bahar, sine pe sulayengi tumhe raat mai madar, kyu kehti ho maktal me chali awungi baba, Mai raat ko maktal mai (chali awungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
- Nanhe se Kaleje pe mere chalti hai talwar khulta nahi kyu aap ne bandhe hai ye hathyar, mai aap ko kho ker na kabhi pawoungi baba, mai raat ko maktal mai (chali awoungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
- Woh hal Anis ab nahi ho sakta hai marku, jis tarha chuti bap se woh dukhtare mazlum, nawha tha yahi jiska na ji pawongi baba,
mai raat ko maktal mai (chali awoungi baba) x2
Nind ayengi jab aap ki bu pawungi baba, chali awungi baba
Shaah ast hussain
(Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deen panah ast hussain) x2
- (Sar daad na daad dast dar dast-e-yazeed) x3 haqqa ke bina la illah ast hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- Sardaaro shehenshaah ay shaahe shaheedan, qaari sare naiza ay waarise quran (kehti hain namazein ab tak sare maidaan) x2 suno zindaa hai hussain suno zinda hai hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- Azaon namaaze milad-e-mohammed, ye majlis-o-matam abbas ka parcham (kehti hain sabilein kehta hai muharram) x2 suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- Akbar ka kaleja halq-e-ali asgher, abbas ke baazu zainab ka khula sar (kehte hain ye tujhse ay shaam ke lashkar) x2 suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- Marqad se nikal kar khud fatema zahra, maqtal ki zameen par deti rahi pehra (khanjar se sina se kehti rahi zahra) x2 suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- Zanjeer-e-sitam ne rasta nahi roka, pehne huwi bairi chalte rahe mawla (kehta hai abhi tak sajjad ka sajda) x2 suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- Adaa ke tamache rukhsaare sakeena, jhalta huwa damaan gharmi ka mahina (kehti thi phuphi se har aik se kehna) x2 suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- Beemare madina woh fatema sughra, darwaaze pe baithi takti hai jo rasta (khud ko yehi kehkar deti hai dilasa) x2 suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- Sarwar sare majlis zikre shahe waala, raihaan musalsal is gham ka hawala (Dorahta hai har dam tareekh ka jumla) x2 suno zinda hai hussain suno zinda hai hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
- (Sar daad na daad dast dar dast yazeed) x3 haqqa ke bina la illaaha ast hussain
Shaah ast hussain badshaah ast hussain, deen ast hussain deepanah ast hussain
Zakhmi Zuljanah
(Zakhmi zuljanah, zakhmi zuljanah) x4
- Mera maaja hai kaha, chor aya tu kaha, teero ke darmiyan
Zakhmi zuljanah, zakhmi zuljanah, Hay zakhmi zakhmi Zuljanah, zakhmi Zuljanah, zakhmi Zuljanah
- Zainab ka dil to pehle se zakhmi hai Zuljanah, Akbar ke gham ke sine me barchi hai Zuljanah, Zakhmi badan liye, aya hai kis liye, karta huwa fughaa

- Ay gham nasib zakhmi badan zuljanah bataa, Saye me mera bhayi tha jab zeen se ghira, khanjar tha jab karib, pani huwa nasib, ya kushk thi zaban

- Ek do peher me apne bhare ghar ko royi hu, Hur ko Habib ko Ali Asgher ko royi hu, Abbas ki kasam, Shabbir ka ye gham, Uthenga ab kaha

- Ay rahawaar tu to wafadar hai bahot, apne sawaar se to tujhe pyaar hai bahot, Ya kis ka hai lahu, Khamosh kyu hai tu, Chup hai teri zaban

- Kulsum aawo madar-e-Akbar ho tum kaha, Fizza urhaawo khaak qayamat huwi aya, bhayi ko chor kar, apne lahu me tar, Aaya hai nawha khwaan

- Kadmo pe tere bali Sakina ne sar rakha, Ay Zuljanah dasht me baba ko ley na ja, Wo kaise soyengi, Ghabra ke royengi, Hai tera imethan

- Ley chal waha jaha dil-e-zehra ka chayn hai, jalti huwi zamin pe jis jaa Hussain hai, Mai zakhm dhowungi, Gurbat pe rowungi, Ley ley ke hichkiya

No comments:
Post a Comment