Sunday, 16 February 2025

Nadeem Sarwar (2003)

Akhpala baba jaana

(Pyaare baba jaan) x5 (Akhpala baba jaana) x2 Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina

(Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

(Pyaare baba jaana) x2 Utro zuljanah se baba haal sunke jaana

(Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  1. (Is tunshakatal kana) x2 Maadar tadata zuljanah ab khaine wale dina

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  2. (Qatl gay na jaana) x2 Sar kadam pe zuljanah ke rakhti hai Sakina

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  3. Ay baba garm reti par tum zara si der baith jao, milonge ab hame kahan tum Sakina ko bataake jaawo (Akhpala baba jaana) x2 Karbala ke ban me baba mujh ko na rulaana

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  4. (Matapa garm rego ke na) x4 (Akhpala baba jaana) x2 Wede Karbala watan ke dejadele dina

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  5. Ay baba Akbare jawaan ka, hai dil pe zakhm mere tazaa, sunehri zulf khoon mein dubi, zameene garm pe hai laasha (Akhpala baba jaana) x2 Khul zama ko baba mere dhup se uthana

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  6. Ay baba alqama ka sahil, chacha ke khun se hai rangin, qalam huwe jo unke bazu, hai mauj alqama ki gamgin (Akhpala baba jaana) x2 Khoon bhare alam ko baba sine se lagaana

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  7. Ay baba gultha shah Qasim, bikhar gaya hai ah qasim, lagai kis liye thi mehndi, huwa tha kyun biyaha qasim (Akhpala baba jaana) x2 Tukre tukre lasha baba gul samajh kar lana

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  8. Ay baba be zaba ka jhula, ruka huwa hai andhiyo mein, labo pe jiske tabassum, badal gaya hai hichkiyon mein (Akhpala baba kaana) x2 Loriyan sunaake baba dasht mein sulaana

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  9. Ay baba dur hu watan se, dari huwi hun khuni ban se, chale gaye jo aap ran mein, khiza na jayengi chaman se (Akhpala baba jaana) x2 Dekho baba sina apna tiro se bachaana

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  10. Ay baba kaan ki ye bali, tumhare hathon se jo pehni, mujhe ye khauf aa raha hai, chine na aap ki nishaani (Akhpala baba jaana) x2 Mannati ye bali baba khud badha ke jaana

    (Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

  11. Kaha Hussain badshah ne, hame to ghera hai kazaa ne, chale hai ham to shahzadi watan se dur sar kataane (Gul sakina jaane) x2 Qatl gehne beta hamko dhundne na aana

(Akhpala baba jaana) x2 (Khudshe Zuljanah na maake sohre dale dina) x2

Alam abbas ka

Al Qama bata

Ay al Qama bata

Ay Karbala bata, Ay al Qama bata

Tanha Hussain dekh, rahe the ye majra

Aya tha kis tarha say, tarai me ba wafa

Or kis tarha se khun may tar ho kai reh gaya

(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

  1. Ye wo alam hai jis say, shahidon ki shaan hai Qurbanion ka naam, wafaa ka nishan hai Bachon ki abroo hai, Sakina ki jaan hai

    (Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

  2. lehra raha hai iska pharera hawaon mai iski bulandyo ka hai charcha fizaon mai sab karbala hai iskai phareray ki chaon mai

    (Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

  3. phaila huwa iska jo saya Hussain tak rasta isi ne sub ko dikhaya hussain tak hur bhi isi ko dekh kar aya hussain tak

    (Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

  4. piyaso ka is alam may safina bhi dekhiye panjay mai roshni ka khazina bhi dekhiya lipti hui hai mashk-e-sakina bhi dekhiye

    (Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

  5. dekh is alam kay saye mai yakja hai kon kon qasim hai baheb-e-kalbiyo Aabis Umairo oun akbar say khoob ruke barabar kharain hain john

    (Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

  6. ghazi kai khun sai jo mili hai baqa isay hazir ye iftikhar rahay ga sada isay har dor main uthayengay ahle-e-aza isay

    (Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

    bete bichar gaye hain ye dil ko malal hai lakin bahan ko bhai kai haq ka sawal hai zainab ko har dua mai isi ka khayal hai

    (Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

  7. ay tashnalab wafao kay darya salam lai har apne soghwar ka piyasa salam lai ay karbala kai dast-e-guridan salam lai

(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2

Ek Pyaase ki Jung dekho

Roze ashoor hai. Zuljanah par sawaar. Ghum ka seene pei haar. Kown maqtal mein aata hai parwardigaar. Dil mein bhaayi ka beton ka apno ka gham. Sehra ha hai musalsal sitam par sitam. Khoon mein duba libaas-e-ghareebi liye. Ran mein dekho Hussain aa raha hai. Khushk honto se sukhi zabaan se. Jo sada pe sada de rahaa hai.

Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

  1. Naam mere khuda ka raheyga. Qalma-e-laa ilaaha raheyga. Deen Qur'aan kaaba raheyga. Mera Islaam zinda raheyga. Tegh meri qaza mein dhali hai. Mere baazu mein zoor-e-Ali Hai.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

  2. Karbala haq ki taaqat raheygi. Ye lahu ki tamazat raheygi. Meri dharti ki izzat raheygi. Mere parcham ki hurmat raheygi. Khatm ho jaayegi har ghulaami. Mujhko tareekh degi salaami.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

  3. Tum ho sairaab aur mein hun pyaasa. Tum hazaron ho aur mein hun tanha. Margaya hai jawaan bhaai mera. Le gaya nur aankhon ka beta. Jung ka naam ab tum na loge. Kyaa Ali aagaye ye kahoge.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

  4. Khoon kyun aadmi ka bahayen. Amn ke phool har jaa khilayen. Saari insaniyat ko jagayen. Zulm se haan magar haath uthaayen. Tum ne majboor mujh ko kiya hai. Ab meri tegh-o-amr-e-khuda hai.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

  5. Wo jo laashon pe laashe uthaaye. Ek katra jo paani na paaye. Jis ka ghora bhi thakkar karaa hai. Jung us ki hazaron se haaye. Phir bhi jinn-o-malak jung dekhe. Arsh waale meri jung dekhe.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

  6. Mere baba Ali aa chuke hain. Mere bhaya Hasan aa chuke hai. Daad Abbas bhi de rahen hain. Mujh ko Akbar mere dekhte hain. Dar-e-khayma pe behne khari hain. Amma Zahra dua de rahi hai.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

  7. Jab kiya parh ke takbeer hamla. Shoor uthne laga al amaan ka. Shola-e-zulfiqaar aisa chamka. Paaon tak khoon mein duba tha ghora. Ran mein uth ne lagi khoon ki mowjein. Jaa ke kufe se takraayi fowjein.

    Shaamiyon Shaamiyon Shaamiyon aawo maqtal mein aawo. (Ek pyaase ki jung dekho) x2 (Allahu Akbar Allahu Akbar) x2

  8. Jab ye dekha falak se ye manzar. Bola jibreel se Rabb-e-Akbar. Kehdo Shabbir se ab ye jaakar. Imtehaa khatm hai ibne Haider. Mutmain nafs waale palat aa. Rab tera tujhse raazi huwa. Tera zaakir hai tera khudaa. Ay Hussain Irjaaee Ay Hussain Irjaaee. Irjaeee Marhaba. Shor Raihaan-o-Sarwar uthaa. Asr-e Aashoor ka waqt tha. Aa rahi thi azaan ki sadaa. Sheh ne Sajde mein Sar Rakhdiyaa.

Ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain

Koi Ho to chaale Khudaya

(Khudaya) x4

Koi ho to chale khudaya. Koi ho to chale Istighasa hai sar-e-daar Koi ho to chale Aik pyaase pe hai yalghaar. Koi ho to chale Istighasa hai sar-e-daar

(Koi ho to chale) x2

  1. (Qaafile so gaya maqtal mein sare shaam sabhi) x2 Reh gaya Qaafila saalar

    (koi ho to chale X2)

  2. (Aik beta hai jo gehwaare se utra naa kabhi) x2 Doosra beta hai beemar(

    koi ho to chale X2)

  3. (Khud ko jhule se ghira dete hai jaane waale) x2 Kown aisa hai wafaadar

    (koi ho to chale X2)

  4. (reh gaya naizon ke jangal mein musaffir tanha) x2 Ye shahadat ke hain aasar

    (koi ho to chale X2)

  5. (Lamha lamha ye sadaa deti hai aashoor ki shaam) x2 Beriyan hoti hain tayyar

    (koi ho to chale X2)

  6. (Allah Allah ye lahu pehnaye huwe tanhaayi) x2 Lut gayi kis ki ye sarkaar

    (koi ho to chaale X2)

  7. (Ye hain naamoos-e-nabi khayme se kaise nikle) x2 Kya kare saahib-e-kirdaar

    (koi ho to chale X2)

  8. (Jaane ye kown pase khayma hai girya girya) Hai koi is ka azaadar

    (koi ho to chale X2)

  9. (Jis tarha se dare zindaan pe sakina ro eey) x2 Saath roo-ay- daro deewaar

    (koi ho to chale X2)

  10. (Kis ke lehje mein Ali bol rahen hai logo) x2 Kown bola sar-e-darbaar

    (Koi ho to chale X2)

  11. (Beriyaan jis ki musibat pe lahu roti hain) x2 Kown aaya sar-e-baazar

    (koi ho to chale X2)

  12. (Jo ho us fawj-e-mukhaalif ka sipahi na chale) x2 Han magar Hur ka tarafdaar

    (koi ho to chale X2)

  13. (Ye sadaa aaj bhi maqtal se hilal aati hai) x2 kown haq ka hai talabgaar

(koi ho to chale X2)

Koi ho to chale khudaya koi ho to chale khudaya

Mere sar pe lillah

Haay. Salaami laeeno. Ne kya kya jafaa ki. Nashakhi huwi yaa mushkil kusha ki. Thi shame ghariban qayamat bapa ki, ke ik hath zainab ki chadar tak ayaa. Ho zainab ke lab par fakat ik sadaa thi

(Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

Kuch ai shimr kimat samaj is ridaa ki, ke ye paak chadar hai khayrun nisaa ki

(Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

  1. (khule sar jise bhayiyo ne na dekha) x2 (uthaa raat me jiski maa ka janaaza) x2 wo din me hai motaj bas ek ridaa ki

    (Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

  2. (lo bandho mere haath kehti thi zainab) x2 (na chhino rida kehke roti thi zainab) x2 mai mazlum beti hu mushkil khushaa ki

    (Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

  3. (zara jaag ay mere gayyur bhayi) x2 (ke ab baat meri ridaa tak hai aayi) x2 behen ko zarurat hai teri wafaa ki

    (Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

  4. (utho mere sajjad jalte hai khayme) x2 (sumbhaloo akeli mai bachho ko kaise) x2 me kaise sahu sakhtiya ashkiya ki

    (Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

  5. (wo shaame ghariban me baba ka aana) x2 (wo zainab ka haatho se chehra chhupaana) x2 khuda se rida ke liye ilteja ki

    (Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

  6. (tamaashayi kufe ki galiyon me kehte) x2 (zamane badalte hai lamho me kitne) x2 ke sar nange zainab hai kudrat khudaa ki

    (Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

  7. (wo mayen wo behne kanizane zainab) x2 (jo hai aaj bhi pursadaarane zainab) x2 rakhe laaj zainab ki bas us sadaa ki

(Mere sar pe lillah rehne de chadar) x2

Sakina kahani suno

Siyah raat mai

Zindan ke dar pay ro ro kai

Sakina kehti hai, baba ye shab sata ti hai

Judaye aap ki, us par ye khak ka bistar

Kahin andhaire mai bachon ko neend uraati hai

Ye sun kay Zainab-e-mazloom boli gham na karo

Kahani kehti hu may ek, suno sakina suno

Sakina kahani suno, sakina kahani suno

  1. ek shahanshah tha, haye sakina, ek shahanshah tha, yasrab mai raha karta tha, us ka ghar wo tha kay quran jahan utra tha, dar pay Gibreel ka darban raha karta tha, us ka angan bhi sitaro say bhara rehta tha, uskai darwazai say khali na koi ja ta tha, asman us ki sakhawat ki qasam khata tha

    (haye sakina kahani suno)x2

  2. uskai baba ko dar-e ilm kaha jata tha, maa nai shahzadi-e Qawnain laqab paya tha, us kai baiton mai nazar aks-e nabi ata tha, baitiyon ko gule pakiza kaha jata tha, us kai ek bhai ki rag rag mai wafa behti thi, ek bahan sath me saye ki tarha rehti thi

    (haye sakina kahani suno)x2

  3. ek din kia hoa, haye sakina, ek din kia hoa, wo ghar say safar par nikla, uska sab kunba bhi quran ki hifazat ko chala, ashkia nai usai pher dashtai bala me ghaira, teen din tak use pani bhi mayyassar na hoa, ho gaye aam har ek joro jafa us kai liye, or phir jang ka maidan saja us kai liye

    (haye sakina kahani suno)x2

  4. us kai ek baitay kai sinay me sina toot, gaye bhai kay hath katay, tir laga, mashk chidee, lash pamal bhatijae ki bhi maqtal mai huwi, bay zuban qatl hoa, khasta churee us pay chali, us shahanshah kai kunbay pai ghareebi chayee, bujh gaye sarai diyai shameghariban aye

    (haye sakina kahani suno)x2

  5. khaymai jalnai lagay nazdeek sitamgar aaye, us shahanshah ki bachi nai tamachai khaye, kaan zakhmi howai khun ankhon say tapka haye, dhundnai bap ko maqtal mai wo kaisay jai, jaltai daman ko liye ganjai shaheedan mai gaye, rassi gardan mai bandhi shaam kay zindan mai gaye

    (haye sakina kahani suno)x2

  6. phir sakina nai kaha, haye sakina, phir sakina nai kaha rehtai hain wo loog kahan, boli zainab kai howay sab wo asirai zindan, qissa akhir hoa neend aayi na tumko meri jaan, boli ro ro kai sakina phuphi ab neend kahan, tum to kehti thi kahani suno neend aati hai, is kahani say meri neend uri jati hai

    (haye sakina kahani suno)x2

  7. boli ro ro kai sakina ye mera qissa hai, is kahani ka shahanshah mera baba hai, neza jis kay laga Sinai main mera bhayya hai, mera asghar hai laeeno nai jisai mara hai, bay rida tum ho phuphi jaan meri jaati hai, ye kahani to merai ghar ki nazar aati hai

    (haye sakina kahani suno)x2

  8. jisko Sinai pe shahanshah kai neend aati thi, dasht-e main haye chacha keh kai jo chillati thi, jiskai kaano say laho behta tha jo piyasi thi, apnai baba ki jodaye main mari jati thi, us shahanshah ki baiti wo sakina mai hon, jis ka dushwar huwa qaid main jina mai hon

(haye sakina kahani suno)x2

  1. Khatm jab shaam ke zindaan mai kahani ye huwi, wo jo sunti thi kahani wo sakina na rahi, thame zanjeer naa kahast se utha ek qaidi, ek nanni si lahad kapte haatho se bani, sar shahenshah ka godi me lahu rota tha, wa hussaina ka bas ek shor bapaa hota tha

Waqt-e rukhsat

(Ya hussain)x3

Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

(Haye haye) x2

Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

(Haye haye) x2

  1. Karbala, karbala, karbala, ab imtihan-e sabr-e sarwar dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  2. Door tak jatay howay dekha kiay kartay hussain. Thukaray kha kha kay khud sambhla kiay kartay hussain Aiye ali akbar zara peechay palat kar dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  3. Ma kay armaano ki chadar ka amaama sar pe hain. Fatima sughra ki ankho ka ujala sar pe hain. Bigray ga ek pal may kitno ka muqaddar dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  4. Dosh par bikhree hovey zulfay ura ti thee hava. Bikhrey zulfo say nikalty ja rahi thee karbala. Maut ki jurrat nahi thi ankh bhar kar dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  5. Uth raha hai gir raha hai ek parda bar bar Umme laila ka ye khayma hai meray parwardigar Lash jab aiye to mar jaiyengi madar dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  6. haye maqtal ghutnio kay bal chala hai is qadar kehta hai awaz de mujhko meray noor-e-nazar kho gaye beenayi meri meray dil bhar dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  7. Aye hussain ibn-e ali Jao na akbar kay karib Zulm aisa hu gaya hai, tab la saktay nahi Kia gawara hai sina sinay kay andar dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  8. Imtiha hai burhay kandhoo ka jawan baitay ki lash Khu mai dubee kis tarhan daikhay gi ma baitay ki lash Is jaga awlad waloo khud ko rakh kar dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  9. Mar te dam akbar ko dar hai ma na ajaye kahi Bahraha hai khu meray sinay say rangin hai zamin Kehdo amma say mujhe yu na taraptay dekhna

    (Haye haye) x2

    Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

  10. Baba meri ma meray gham ko utha sakti nahi Neend aisey arahi hai, ma jaga sakti nahi Zakhm mera ma ki nazro say bacha kar dekhna

(Haye haye) x2

Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

Ya sari ar-reza) x6

Ighfir leman la yamleko ilad dua, Fa innaka fa’alool lema tasha, Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Tu hi kabir tu hi kibriya tu rehnuma, Rage gulu se bhi nazdeek tu har ek lamha, Hai tere naam ki taasir har maraz ki dawa, Hai tere zikr me poshida mere hak me shafa, (baghair maange hi karta hai tu ataa pe ataa) x2 Sadaa se pehle hi sunta hai sahilo ki sada
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua, Fa innaka fa’alool lema tasha, Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Ali wasila bane aur komail paye shafa, Usi ke naam se mansoob hogayi ye dua, Shabe jumaa hai dua-e-komail shukr tera, Ye ibteda hai to hai imtehan hadise kisaa, (elahi teri riza ke siwaa kuch aur nahi) x2 ke mere paas dua ke siwa kuch aur nahi
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua, Fa innaka fa’alool lema tasha, Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Mere khuda wo zabaane jo teri hamd kare, Wo tere panjatan-e-paak ki dua me rahe, Kabhi wo nare jahanum ki sakhtiya na sahe, Pule siraat se bekhof bekhatar guzre, (gunahagaro ko ye aasra hai subho masa) x2 khula huwa hai musalsal tera dare tawba
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua, Fa innaka fa’alool lema tasha, Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Rasule paak ke sadke me ay khuda ghar ghar, Sho aaye ilm ki kirno ka mustakil ho guzar, Khula rahe mere bacho pe shahre ilm ka dar, Rahe jawaano ki har dam teri riza pe nazar, (teri riza ki bina riske ilm kya ho ataa) x2 jo tune chahe dare ilm khil nahi sakta
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua, Fa innaka fa’alool lema tasha, Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Tu mere aib chupata hai daal kar parda, Elahi deta hu mai tujko waasta uska, Wohi jo shaame ghariban me de rahi thi sadaa, Nahi hai kuch bhi mere paas is rida ke siwaa (rasool zadi ke parde ki laaj rakhlena) x2 haram duaawo ka meri bhi aaj rakhlena
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua, Fa innaka fa’alool lema tasha, Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Shakhista pahlue zehra ka wasta ay khudaa, Jo waqte gusle ali ne basad buqa dekha, To apne aasu ali saat jari na rok sakaa, Khuda ka shehr bhi ek cheekh maar kar roya, (usi rasool ki beti ka waasta ay khudaa) x2 ho waalidain ko sehat ke saath umr ataa
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua, Fa innaka fa’alool lema tasha, Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Wo ek mariz jo bas shaam keh ke rota tha, Jukaaye sar wo hayadar rota jaata tha, Pahen ke beriyaan jo karbala se shaam gaya, Usi mariz ke sadke se mangta hai shafa, (maraz se pehle dawa khalk tune ki hai khuda) x2 baraye sayyade sajaad de hame bhi shifa
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua, Fa innaka fa’alool lema tasha, Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa, Wa tahtahu ghenan

Zindaa'n se reha hogaye sadaat
Allah ye kya hogaye sadaat
khud karbobala hogaye sadaat

Ye kaisi rehaayi hai ke dil khush nahi hota
kya rehgaya zindaa'n mein ke har qaidi hai rota
haa apni sakina se juda hote hai sadaat
allah mere allah
zindaan se reha....

Ay shaamiyo ab chayn se aaraam se sona
bechain karega na kisi bachi ka rona
jo shab ko buka karti thi royegi kabhi na
allah mere allah
zindaan se reha....

Zainab ne kaha qaid mein hai mera khazana
ay wariso jab shaam dhale is taraf aana
turbat pe sakina ki diya ek jalana
allah mere allah
zindaan se reha....

Sajjad ne zevar jo aseeri ke utaare
toote hue sab zakhm hare hogaye saare
sar dekh ke baba ka tadap kar wo pukaare
allah mere allah
zindaan se reha....

Zainab ne rida paa ke kaha shukre khuda hai
abbas mere bhai magar sadma bada hai
sar nange hame saara jaha'n dekh chuka hai
allah mere allah
zindaan se reha....

Kulsoom jo ek lafz abhi tak na thi boli
jis waqt rasan baazu ke sajjad ne kholi
kehne lagi kya jaaye watan khaali hai jholi
allah mere allah
zindaan se reha....

Ye qaafila jab karbobala laut ke aaya
dekha ke pada dhoop mein hai bhai ka laasha
zainab ne sare khaakhe bala khud ko girayaa
allah mere allah
zindaan se reha....

Kya shaan thi sadaat ki jab ghar se chale the
mehmil thi amaari bhi thi mashkeeze bhare the
abbas-e-alamdar alam khole hue the
allah mere allah
zindaan se reha....

Galiyon mein madine ki ajab shor bapa hai
sughra se abhi aake kisi ne ye kaha hai
aa sughra tera baba watan chod raha hai
allah mere allah
zindaan se reha....

Roze pe muhammad ke jo saydaniya'n pohchi
ay sarwaro rehaan nigaahe bhi jhuki thi
dikhlake nishaa'n rassi ke zainab ye pukari
allah mere allah
zindaan se reha....

Zindan se rihaa

(Haye hussaina) x6

(Zindan se rihaa hogaye sadaat) x3

  1. (Allah ye kya hogaye sadaat) x3 Kuch karbobala hogaye sadaat

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  2. (Ye kaysi rihaayi he ke dil khush nahi hota) x2 (Kya rehgayaa zindaan me ke har qaydi hai rota) x2 Ho apni sakina se judaa hote hai sadaat. Allah, mere Allah

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  3. (Ay shamiyo ab chayn se araam se sona) x2 (Be chayn karenga na kisi bachi ka rona) x2 Jo shaks wo bukaa karti thi rowengi kabhi maa. Allah, mere Allah

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  4. (Zainab ne kaha qayd me hai mera khazana) x2 (Ay aurto jab shaam chale is taraf anaa) x2 Gurbat pe sakina ki piya ret jalaa na. Allah mere Allah

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  5. (Sajjad pe zewar jo asiri ke utare) x2 (Sukhe huwe sab zakhm har ik kho gaye sare) x2 Sar dekh ke baba ka tarap kar wo pukaare. Allah mere Allah

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  6. (Zainab ne ridaa pak kaha shukr khudaa hai) x2 (Abbas mere bhayi magar sadma baraa hai) x2 Sar nange hame saraa jahaa dekhta hai. Allah mere Allah

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  7. (Mazloom jo ik lafz abhi tashnagi boli) x2 (Is lafz rasan bazu ki sajjad ne kholi) x2 Kehne lagi kya jaaye watan khali hai joli. Allah mere Allah

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  8. (Ye kafla jab karbobala lot ke aya) x2 (Dekha ke para doop me hai bhayi ka lahsa) x2 Zainab ne sare khaak balaa khud ko giraaya. Allah mere Allah

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  9. (Kya shaan thi sadaat ki jab ghar se chale the) x2 (Mehmil thi amari thi mashkize bhare the) x2 Abbas-e-alamdar alam khole huwe the. Allah mere Allah

    (Zindan se rihaa hogaye sadaat) x2

  10. (Galiyo me madine ki ajab shor bapaa hai) x2 (Sughra se abhi aake kisi ne ye kaha hai) x2 Aa sughra tera baba watan lot raha hai. Allah mere Allah

No comments:

Post a Comment