Sunday, 16 February 2025

Nadeem Sarwar (2005)

Abbas hamara hai

(Abbas-e-Ali Aaye Karib-e-Shah-e-Abrrar) x2

Bhayi ko Alam deke kiya sheh ne bohot pyar

Has has ke rafiko se ye karne lage guftaar, jaisi ye meri fowj hai waisaa hi Alamdar

Gazi sa koyi deen ka sardar na hoga, Abbas sa dunya mai(n) alamdar na hoga

Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2 Hashim ka kamar haider-e-Karrar pyara

Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  1. Haider ke garane ki sakhawat sakhi abbas, khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas, zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas, kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  2. Qur'an-e-wafa sheyr-e-nayafshaan-e-ali hai, Zehra ki tamanna hai dil-o-jaan-e-ali hai, is ke liye bachpan hi se farmaan-e-ali hai, mei ilm ka darya hu ye darya ka kanara

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  3. Paida huwe abbas to gaudi me utha ker, Zainab ne rakha naam kaleje se lagaa ker, chotaa sa alam sheh ne diya unko sajaa ker, dekha jo alam ne to alam khud ye pukara

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  4. Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nisha(n) hai, Kehte hai ye Shabbir meraa shere jawaa(n) hai, Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai, Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  5. Abbas-e-Ali ruh-e-wafaa jaan-e-wafa hai, Abbas-e-Ali fatema Zehra ki duwaa hai, har waqt alam chumti rehti ye hawaa hai, bhulaa nahi abbas ko darya ka kanaraa

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  6. Dunya-e Shahadat me kaha(n) uskaa hai sani, jo saare shahido ki safo me raha ghazi, be dast bhi ho ker jo bhare joliyaa(n) sabki, hashim ka kamar sare fakiro ka sahara

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  7. Haider ke garane ki sakhawat sakhi abbas, khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas, zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas, kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  8. Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nisha(n) hai, Kehte hai ye Shabbir meraa shere jawaa(n) hai, Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai, Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  9. Lazim hai ke ham dekhe(n)ge ik roza ye manzar, farmayenge jab mehdiyo dora dar-e-mimbar, kabe se namudaar jo hoga mera lashkar, hoga yahi lashkar ka alamdar hamaraa.

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  10. Yad ata hai wo rukhsate-e-abbas ka manzar, wo rona sakina ka phareyra ko pakar kar, Wo dekhna Zainab ka kabhi sar kabhi chadar, kehti thi palat aye behen bhayi ka pyara

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  11. Abbas gaye hogaya maula mere tanha, dekha kabhi maydaa(n) to kabhi janib-e-darya, nagaah alam nehr pe girte huwe dekha, Zainab se kaha sheyr gaya nehr pe mara

    Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

  12. Ay "Sarwar-o-Rehan" ye imaan hai apna, Abbas ke parcham ka sada sarpe hai saya, parne ke liye hashr mei Shabbir ka nawha, Abbas bulaayenge hame karke ishara

Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2

(Hashim ka kamar) x2 Haider-e-karrar ka pyaara

Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x4

Allah jaane kaha

Jab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko. Ik aan na rahat ki na araam haram ko. Har baar tapakta tha lahu, ashk rawaan se (Zindaan larazta tha) x2 Sakina ki fugha se

(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

Baba kitni rate guzar gayi baba

Allah jaane, kaha ho ay baba

(Chote se sin mei qaydi zindaan hogayi) x3

(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  1. Din mei jo mere dard hai khaliq ke hai ayaa(n)

    Kisko kahu(n) mei baap mere, baap hai kahaa(n)

    Tum bekafan mei besaro samaan hogayi

    (Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

    (Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  2. Kya kya na khalq karne hakarat se behgayi

    Mei bekasi se dekhke muh sabka rehgayi

    Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi

    (Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

    (Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  3. Dar aah ki to shimr pukara khamosh ho

    Aur chup huwi to be padari ne kaha ke ro

    In afato mei girse pareshaan hogayi

    (Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

    (Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  4. Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaaye

    Jo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataaye

    Shehzaadi-e-Hussain ki ye shaan hogayi

    (Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

    (Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  5. Sadke gayi bataawo kaha hai mere padar

    Aaye padar to jaaye Sakina bhi apne ghar

    Kyu aise zalimo(n) ki mei mehman hogayi

    (Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

    (Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  6. Poti hu(n) uski jo ke hai kohnain ka ameer

    Jisne hazaro qayd se churwaaye diyey aseer

    Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi

    (Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

    (Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  7. Jab sarpe shah-e-deen ke Sakina ne phiri nazar

    Chillaayi roke haye gazab mar gaye padar

    Baba ke sar ko dekhke hayraan hogayi

    (Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

    (Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  8. Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaar

    Sadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-waar

    Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi

    (Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

    (Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

  9. Bas ay "Anees" bazm mei hai giryaa-o-buka

Sadiyo(n) talak rulaayenga sabko ye marsiya

Bali Sakina qarb ka unhwaan hogayi

(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi

(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2

Baba kitni rate guzar gayi baba

Allah jaane, kaha ho ay baba

Aun-o-muhammad

Kehti thi Zainab ay mere sheyro, kehti thi Zainab, mere dilero

(Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x4

  1. Khwaab ye Zainab ka tha, chaand sitare mere (chaand sitare) x2

    Mamu pe hogaye fida, god ke pale mere (god ke pale) x2

    Khwaab ye sacha huwa, sar mere uncha raha, hone ko sheh par fida laal mere, sheyr mere chaand mere

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

  2. Jaffar-e-tayyar ke khun ke akkas ho (khun ke akkas) x2

    Husn mei Akbar ho tum josh mei Abbas ho (Josh mei Abbas) x2

    KoJang ke maydaan mei maut ke armaan mei, saya-e-Qur'an mei, aise utho aise badho maut pe tum toot paro

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

  3. Ha meri takeed par dhyan tumhara raho, (dhyaan tumhara) x2

    Jake lab-e-nehr bhi pyaas gawara rahe (pyaas gawara) x2

    Dudh na bakshungi mei, mu bhi na dekhungi mei, sheyr ki beti hu mei, wada karo aao chalo, chup na raho

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

  4. Maana ke pyaase ho tum, pyaas pe kabu rahe (pyaas pe kaabu) x2

    Sheh ke alamdar ki, saans mei khushbu rahe (saans mei khushbu) x2

    Bas ye tamanna meri, laaj rahe khoon ki, hai ye wasiyat meri, khawo qasam, jao hasham, hoga na kam

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

  5. Aun ye kehna laga, bhaayi Muhammad suno (bhaayi Muhammad) x2

    Ek taraf mei badho, ek taraf tum badho (eik taraf tum) x2

    Jang ho fowj-e-sitam, jang kare aise ham, Maamu hame de alam, dekhe hame, amma kahe, jite rahe

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

  6. Dono jari jang ko surat-e-andhi bare, (surat-e-andhi) x2

    Nana Ali ki tarha, maut pe havi rahe (maut pe havi) x2

    Milke jo hamla kiya, meymana-o-mesra, eik me dam hogaya, teygh-e-Ali, aise chali, dhum machi

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

  7. Dekh rahi thi jo maa khayme ke darpar khari, (khayme ke dar par) x2

    Saath wahi the khare Hazrat-e-Abbas bhi, (Hazrat-e-Abbas) x2

    Bhaayi behen saath the, sahib-e-awlaad the, waris-e-ajdaad the, kehne lage khub lare sheyr mere

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

  8. Larte kaha tak bhala pyaas ke maare huwe (pyaas ke mare) x2

    Jalti huwi khaak par dono tarapne laga (dono tarapne) x2

    Bhaayi se kehne lagi, fakhr se bint-e-Ali, surkhru Zainab huwi, sar pe tere bhaayi mere, laal huwe

    (Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

  9. Aun-o-Muhammad na the, wo dur-e-nayaab the (wo dur-e-nayaab) x2

'Sarwar-o-Rehan' wo wakif-e-adab the (wakif-e-adab) x2

Hukm jo maa ne diya rukh na kiya nehr ka, pyaas ka sadma saha, maa ne kaha shukhr-e-khuda, huwe fida

(Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad) x2

Bhaayi shabbir

Le chala karvaan khuda hafiz,

(Haaye shabbir fiamanillah, chali hamsheer fiamanillah) x2

(Zamin ye bikhre huwe noor is behen ka salaam) x2

Badan darida o majboor is behen ka salaam

Chali hai tumse bohot door is behen ka salaam

Misaale fatema har dukh me muskuraungi

Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi

Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah

  1. salaam umme abiha ke godh ke paale,

    salaam karte hai zehra ke haath ke chaale,

    salaam zulfe muhammed se khelne waale,

    (parenge durre to me sabr aazmaungi) x2

    Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi

    Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah

  2. Ye gham nahi hai ke me sogwaar kaydi hun,

    Abu turaab ki aur fatema ki beti hun,

    Me is kaleje mai kuwwat ali ki rakhti hun,

    (Yazide waqt ke khayber ki mai garaaungi) x2

    Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi

    Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah

  3. Rahe wafaa ke bahattar masafiron ki kassam,

    Labe farat sulagte huwe gharon ki kassam,

    Sina ki nok pe rakhe huwe saron ki kassam

    (jalaale hazrate abbas banke jaaungi) x2

    Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi

    Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah

  4. Khushi se ehle sitam bandha de mere bazu,

    Benege nuh ka tufaan ab mere ansuu,

    Na chhut sakegi ye khune hussain ki khushbu,

    (me sar khule huwe darbaare shaam jaungi) x2

    Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi

    Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah

  5. Nigaah janibe dariya uthi to itna kahaa,

    Mere diler alamdaar fathaye dariya

    tujhe khabar hai mere sarse chhingayi hai rida

    (tere alam ka pharera rida banaaungi) x2

    Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi

    Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah

  6. Jo ponchi shaam to bazaar ko sajaa dekha,

    Kabhi najaf to kabhi sue karbala dekha

    Pukaari baba mera tumne hosla dekha

    (jahaa bhi jawungi farshe azaa bichaungi) x2

    Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi

    Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah

  7. Suna hai "sarwaro rehan" khwahare shabbir

ali ke lehje me karti ye jis ghari takreer

yazeedon shimr ke sine pe chalti thi shamsheer

(wo jab ye kehti thi wade ko me nibhaaungi) x2

Hussaim zindaa hai duniya ko me bataungi

Bhayi shabbir fiamanilla, chali hamsheer fiamanillah

(Le chala karvaan khuda hafiz) x3

Jaao ke na ab deyr karo

Qafela lutgaya amma mera lashkar na raha, amma nana ki nishaani Ali Akbar na raha, rehgaya dard-e-kamar haaye baradar na raha. Ab khabar aapne li ghar ki ke jab ghar na raha. Aur ab dam-e-zibha ye pure mere armaa(n) karna. Arsh ke niche na baalo(n) ko parishaa(n) karna

(Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par) x3

  1. Aap aayi hai amma mei salaami ko na uttha

    Hai dard kaleje mei jo uthna nahi deta

    Hasrat se tere pehle mei dam mera nikalta

    Mei cheyn se sojata tere god mei madar

    Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

  2. Are kuch deyr mei neze pe rakha honga mera sar

    Na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar

    Chaljayenga us waqt tere qalb pe khanjar

    Gore abhi dorenge meri laash ke uppar

    Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

  3. Mei subh se ta asr uthata raha lashe

    Daman mei chune qasim-e-nawshaah ke tukre

    Lipta Ali Akbar ka kaleja tha sina se

    Amma mere chehre pe hai khun-e-Ali Asghar

    Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

  4. Is haal mei amma hai teri god ka pala

    Maqtal mei mera khogaya har eik ujaala

    Hai kon Sakina ko meri poochne wala

    Soeyngi mere sine pe kaise meri dukhtar

    Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

  5. Dekho to qayamt hai bapa ehl-e-haram mei

    Khayme se nikal aayi hai Zainab mere gham mei

    Ab ane ko hai bibiya(n) bahar koi dam mei

    Samjaawo unhe amma rahe khayme ke andar

    Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

  6. Lo saans ubharne lagi dil doob raha hai

    Nazro(n) mei meri Zainab-e-muztar ki rida hai

    Abid se thi umeed so wo ghash mei para hai

    Kya honga mere baad Sakina ka muqaddar

    Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

  7. Ay "Sarwar-o-Rehan" bayaan kaise ho manzar

Sheh kehte the amma ye kara waqt hai mujpar

Kistarha kaleje se lagu aapke uth kar

Kyu munga qadam aapke ab mei lab-e-quasar

Ke ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par

Jaise jaise raat ja rahi hai

ek alam ke saaye may qaime, mehwe dua qaimo may pyase
pyaso ki awaaz fiza may, shukre khuda dohra rahi hai
jaise jaise raat....

door watan se kuch pardesi seh ke aziyat tishnalabi ki
dekh rahe hai jaanibe darya mauj qayamat dha rahi hai
jaise jaise raat....

aamne samne do lashkar sabr idhar us ja khanjar hai
fauj idhar masroofe ibadat ek tayghein chamka rahi hai
jaise jaise raat....

ek behan ko fikr yehi hai raat ye kyon dhalti jati hai
iski sehar ke peeche peeche subhe shahadat aa rahi hai
jaise jaise raat....

kehti hai bachon se maayein aao tumhein aaj sayjayein
waqt yehi qurbani ka hai deen pe musibat aa rahi hai
jaise jaise raat....

wo jo shabihe payghambar hai das pe sina ki uska jigar hai
maut usi ki khaatir naiza maqtal may lehra rahi hai
jaise jaise raat....

jhoola jhoolne wala bacha lori sunkar bhi na soya
bache ko aadabe shahadat lori khud samjha rahi hai
jaise jaise raat....

saath isay is ban may ek maa baal khule bahaale pareshan
jhaadti hai maqtal ki zameen ko roti hai thar-ra rahi hai
jaise jaise raat....

rakhdo qalam rehan o sarwar dard bhara hai subho ka manzar
lehjaye akbar se jo ubhri hote azan wo aa rahi hai
jaise jaise raat....

Musafiran-e-musibat

Na mehmil hai na haudaj hai,

Na lashkar ki wo sajdhaj hai,

Na sarpe alam na chadar hai,

Allah ye kaisa manzar hai,

(musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  1. safar se aate hai soghate dard laate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  2. kiya salaam muhammed ke aastane ko,

    pataa ke aaye hai zehra ke sab gharane ko,

    na kar kubool tu hum bekaso ke aane ko,

    ye nawha karte hai aur ashk khu(n) bahaate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  3. madina hum tere waali ko aaye hai kho kar,

    madina kufe me sar nange hum phire dardar,

    madina daaghe rasan hai humare shaano par,

    uthaa ke haath madine ko ye sunaate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  4. har ek kadam hai buka kab labo pe bayn nahi,

    hamaye zindaa pa zehra ka noor ayn nahi,

    madina akbaro qasim nahi hussain nahi,

    ye kaise kaise jawaan the jo yaad aate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  5. madine waalo kaho us behan ki kya taqdir,

    jo dekhe apne biradar ke halq par shamsheer,

    lahu me ghark jo dekhe hussain ki tasveer,

    lahu me kya yuhi baayi ka sar dikhate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  6. batawo kahte hai kya sab us amma jayi ko,

    jo arbaeen talak de kafan na bhayi ko,

    bahan dikhayegi mu(n) kis tarha khudayi ko,

    kafan diya hai na unki lehed banaate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  7. chala bashir ye deta huwa khabar har jee,

    magar mehelaye hashim me dekhta hai kya,

    ke ik mariza sare raah hai khari tanha,

    hai muntazir ke wo kunbe ke log aate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  8. khabar ye phayli to matam har aik ghar me huwa,

    nikal nikal pari sab aurate barehnapaa,

    ghiri zamin pe sughra ke uspe charkh gira

    ye soghwaar hai sughra ke paas ate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  9. fizae dard me lekar udaasiya aayi,

    shapar se lit ke idher bhukhi pyasiya aayi,

    utho rasul tumhari nawasiya ayi,

    ye khudko untho se ehle haram ghiraate hai

    (musafirane musibat, watan me aate hai) x2

  10. jo aayi kaan me awaaze banue muztar

kaha ho ay mere wali imame jinno bashar,

tarap ke rehgayi sughra bapa huwa mehshar,

"kabir" bas ab falaq thartharate hai

(musafirane musibat, watan me aate hai) x2

Ya hussain

(Hussain hussain hussain) x3

(Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

  1. Aap ki kya shaan hai maula, bolta quran hai maula

    Fatema ki jaan hai maula, Marzi-e-subhan hai maula

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

  2. Karbala ka fat'he azaam bakhuda hai waris-e-Adam

    Jabajaa phehle tere par aam ta abad hoga tera matam

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

  3. Teen din ki tishnagi maula haaye teri bekasi maula

    Khushk ghardan par churi maula, karbala kehti rahi maula

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

  4. Kistarha bhoolenge wo manzar jab chala tha halk pe khanjar

    Jab sina ki nok pe tha sar bol tha Qur'an tere lab par

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

  5. Ye sabile ye azakhana aankh mei ashko(n) se paymaane

    Matmi laaye hai nazraane ab janaab-e-sayyeda jaane

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

  6. Ye teri maula azadari zindagi se bhi hame pyaari

    Hai yahi tujse wafadari ashk ankho(n) se rahe jaari

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

  7. Waris-e-Qur'an zindabaad rehbar-e-insaan zindabad

    Mazhar-e-imaan zindabad fatema ki jaan zindabad

    (Mere lahu ke har qatre mei gunj raha hai ya Hussain, ab to sabka vird zubaa(n) bhi rehna laga hai ya Hussain) x2

  8. As-salaam ay malike kausar as-salaam ay kushta-e-khanjar

As-salaam ay jaan-e-payghambar kehte hai "Rehan-o-Sarwar"

No comments:

Post a Comment