Sunday, 16 February 2025

Mir Hasan Mir (2009)

Ya aba abdillah..(2)
assalam alaika ya aba abdillah

majnoon al husain..(4)

ana majnoon al hussian..(2)
deewana e hussain hu
ana majnoon al hussian

Shabbir ka mai hu deewana..(2)
aa maut mujhe seene se laga
ana majnoon al hussian..(2)

1. Chehre ki siyahi noor bani
maqtal ki taraf jab jaun chala
aur aakhri lamhe me paaya
shabbir ke zaanu ka takiya..(2)
aaram mila jab dard utha..(2)
har zakhm ne milkar di ye sadaa
ana majnoon al hussian..(2)

2. Shabbir ke daste qudrat me
eesa se zeyada qudrat hai
hatho ka hunar fir kya hoga
gehware me jab ye taaqat hai..(2)
fitrus ne jo baalo par paaye..(2)
jhoole se lipat kar kehne laga
ana majnoon al hussian..(2)

3. Sar kab se rakha hai sajde me
tasbeeh ki kya tadaat hui
sajde me rasool e akram ko
thi fikr kaha in baato ki..(2)
jab tak ke nawasa pusht pe tha..(2)
kehta raha dil payghambar ka
ana majnoon al hussian..(2)

4. Jo maa ne sabaq samjhaya tha
har daur me usko yaad raha
abbas yahi dohrata hua
bachpan se jawani tak aaya..(2)
ghaazi ki zuba me kehta hai..(2)
ab tak ye alam lehrata hua
ana majnoon al hussian..(2)

5. Hum karbobala ke deewane
jab taziya lekar chalte hai
aashoor ke din bhukhe pyase
mazloom ka matam karte hai..(2)
gir gir ke sadae deta hai..(2)
behte hue khoo ka har qatra
ana majnoon al hussian..(2)

6. Tewar ye batate the uske
ae baniye shar ek teer hai kya
mai dhaal hu apne baba ki
lashkar ke tu saare teer chala..(2)
asghar ne tabassum ki surat..(2)
maqtal me rajas bas itna padha
ana majnoon al hussian..(2)

7. Pohcha jo dar e shabbir pe wo
marzi e shahe abraar mili
rumal e batool ki surat me
anmol use dastaar mili..(2)
ye faiz hai us ek jumle ka..(2)
jo hurr ne bawaqt e fajr kaha
ana majnoon al hussian..(2)

8. Gar aaj khuda ki janib se
kaabe ko ijazat miljae
makke ki zamee ko chhod ke wo
khud karbobala me a pohche..(2)
har waqt husain ke roze ka..(2)
ye padh ke tawaaf kare kaaba
ana majnoon al hussian..(2)

9. Socho to sahi ae meer hasan
lamhe wo bhala kese honge
jab bazm e imam e mehdi me
tum sher padhoge akbar ke..(2)
aur saath tumhare mehfil me..(2)
har shakhs yahi kehta hoga
ana majnoon al hussian..(2)

assalam alaika ya aba abdillah..(3)

ali ali ali ali ali ali ali ali..(2)

aynullah uznullah noorullah wajhullah

ya ali ali ali

Aise hote hain ali ke naukar
dekh kar missam o salmaan ko kehti hai nazar
aise hote hain ali ke naukar
 
1. Waqt par waqt ki raftaar badal dete hain
fitrat e khanjar o talwaar badal dete hain
daar par lehja e guftaar badal dete hain
zere khanjar bhi sadaa dete hain haidar haidar
 
2. Tumne mola ki mohabbat ka nazaara dekha
lashkar e kufr zyaada tha magar haar gaya
chand afraad ne lebnaan ka naksha badla
bhaagne vaale zara dekh to pitche murh kar
 
3. Ishq e haidar ki ye tabligh kiya karte hain
aise diwaane hain daanaayi ataa karte hain
aql waale inhein behlol kaha karte hain
haa mitti se bana dete hain ye khuld ke ghar
 
4. Qasre bay’at ke sutunon ko giraane ke liye
apna ghar qalb e payambar me banaane ke liye
jhutiyaan sibte payambar ki uthaane ke liye
hurr ne haste hue dunya ko lagaadi thokar
 
5. Marke bhi ulfate haidar nahi marne deti
baat ye hazrat e salmaan ne saabit kardi
baad marne ke agar inko bulaaenge ali
maut ki god se labbayk kahenge uth kar

6. Baat karne ke liye jab bhi zabane khole
apne qirdaar ko meezan e amal par tole
laakh hum khud ko ghulam e dare haidar bole
baat jab hai ke hume dekh ke bole haidar

7. aathwe daur e imamat me jo bikhra darya
aata sailaab to har samt tabahi karta
waasta tab diya maroof ne apne sar ka
khud tadapna pada darya ko hado ke andar

8. Tegh siffin me jab malik e ashtar ki chali
bhaagne walo se maidan me bhagdadh si machi
sar kate jeeb kate haath kate saans kati
daad maalik ko diya abbas ne khud ye keh kar

9. Maslehat, jhooth, riyakari, siyasat, dhoka
khudnumayi bhi dikhawa bhi sare farshe azaa
aur fir hubbe ali ka bhi takallum dawaa
kya bataenge agar puchle maula aakar

ali ali ali ali ali ali ali ali

Husain ka asghar
bade bado se bada hai husain ka asghar

husainiyat ki baqa hai husain ka asghar
bade bado se bada hai husain ka asghar

1. Ghuroor karti thi jis hurmala pe fauj e yazeed..(2)
usi pe rann me hasa hai husain ka asghar

2. Jo maangna hai to jhule ki simt aa jao..(2)
ameer e karbobala hai husain ka asghar

3. Kabhi shaoor ki ankho se padh kitaab e atash..(2)
waraq waraq pe likha hai husain ka asghar

4. Qadam utha nahi paya magar yazeed tere..(2)
qadam ukhaad gaya hai husain ka asghar

5. Bilaal ab meri qaamat ko kaun naapega..(2)
meri jabee pe likha hai husain ka asghar

bade bado se bada hai husain ka asghar

Sayyada, tahera, raaziya, marziya..(2)
Haan wo hai fatima..(4)

Naazil dil e rasool par..(2) jo mojiza hua
Haan wo hai fatima..(4)

1. Charkha jo kaatti hai to burti hai aasma
chakki jo peesti hai to chalta hai ye jahaan
yu haath kibriya ka batati hai jo sada
Haan wo hai fatima..(3)

2. Zehra ki azmato ko kya samjhega ye bashar
hasnain baagh e khuld ke sardaar hai magar
jannat hasan husain ki..(2) hai jiske zere paa
Haan wo hai fatima..(3)

3. Qanoon e kibriya hai ye is kayenat me
shauhar ka rizq likha hai zawja ke haath me
tehreer jiske haath me hai rizq e murtuza
Haan wo hai fatima..(3)

4. Tanzeem e kaynat me haider ke saath thi
mitti khameer hazrat e adam se jo bachi
jisne usi khameer se..(2) hawwa ko di jila
Haan wo hai fatima..(3)

5. Masoom ki hadees hai sab ko hai ye khabar
chawda naqab e noor hai khaliq ke noor par
pehla naqab jo hai rukhe kirdigaar ka
Haan wo hai fatima..(3)

6. Haq to yahi tha hota ta'arruf rasool se
rishte magar khuda ne ginaye batool se
jiske liye nizam e..(2) mashiyat badal gaya
Haan wo hai fatima..(3)

7. Ismat ka rabb ne paas yu rakha kitab me
aayat me bhi zikr kiya to hijaab me
qur'an me jiska naam bhi khul kar nahi liya
Haan wo hai fatima..(3)

8. Mangwa ke do libaase falak ikhteyaar se
jisne hasan husain ki khwahish ke waaste
aayaat lane wale ko..(2) darzi bana liya
Haan wo hai fatima..(3)

9. Akbar ko noor e aale mohd ki hai qasam
duniya me meer koi nahi usse mohtaram
wo jiske ehteraam me uth te ho mustafa
Haan wo hai fatima..(3)

 

hak ka irfan jo paya to ali yaad aaya
dil main quran samaya to ali yaad aya

adam o noh payambar hon ya hazrat issa
younus o khizir hon ya hazrat mossa
wakt unper bhi jo aaya to ali yaad aaya

ghar tha Allah ka mojood makin koi na tha
koi aayega yahan yeh bhi yakeen koi na tha
dar jo deewar main aaya to ali yaad aaya

sekron soorma the aur pehlwan hazaar
jo the khaiber main sabhi yaar magar mere yaar
mard ka zikar jab aaya to ali yaad aaya

jism ke aik se do(2) tukde barabar dekhe
khoon ki barsaat hoyee urte hoye sar dekhe
ran main abbas jab aaya to ali yaad aaya

neza o teer o tabar koi khanjar na mila
lakh dhoondha kahin kufaar ko lashkar na mila
saaf maidan nazar ayya to ali yaad aaya

apna kuch hosh na tha itni pareshani thee
ghum e duniya ne mujhe ghair rukha tha phir bhi
haath momin se malaya to ali yaad aaya

zikar nabiyon ka suna khoob yake baad deegar
main nusairi to nahin khair se walah magar
zikar Allah ka aaya to ali yaad aaya

jo ke akwal e mayambar ko bhula bhaithe the
hum ali ko bhi nahin jante yeh kehte the
unko mitti main dabaya to ali yaad aaya

kalb e baatil ko kayee tukdon main battey dekha
takht kia cheez hai darbar ulatte dekha
khutba zainab ne sunaya to ali yaad aaya

shab e mairaj ajab baat hoyee yeh gohar
sunke awaz e khuda chounk uthe paighambar
jab nazar kuch nahin aaya to ali yaad aaya

hak ka irfan jo paya to ali yaad aaya
dil main quran samaya to ali yaad aya

Jaage hue fitno ko sulane chale aao..(3)
ab beet gaye kitne zamane chale aao

1. 1100 baras kese guzare mere aaqa..(2)
ghaibat me jo guzri hai sunane chale aao
kab aaoge maula..

2. Jab aana ho aajana magar khwaab me mere
kab aaoge maula..(2) ye batane chale aao
kab aaoge maula..

3. Ye matami hai ye hai namazi ye koi aur..(2)
in saari fasilo ko girane chale aao
kab aaoge maula..

4. Ho qadir e mutlaq ki tumhi aakhri hujjat..(2)
majbooro ko mukhtar banane chale aao
kab aaoge maula..

5. Har samt rawa hai abu sufiyan ka sikka..(2)
sikka abu talib ka..(2) chalane chale aao
kab aaoge maula..

6. Ghaazi ka alam aapke lashkar ka nisha hai..(2)
kaabe pe ise maula sajane chale aao..(2)
kab aaoge maula..

7. Armaan hai ghaibat se sada aae ke sibte..(2)
jafar zara ash'aar sunane chale aao
kab aaoge maula..

kab aaoge maula ye batane chale aao

Karbala naam hai mera..(3)

karbala, maut ke saaye ko nigal sakti hai
karbala, takht ko talwo se masal sakti hai
karbala, khaak to kya aag pe chal sakti hai
karbala, waqt ki raftaar badal sakti hai
khusrawi jabr yaha kaash nahi kar sakti..(2)
karbala taaj ko bardash nahi kar sakti

mai karbobala karbobala karbobala hu, mai karbobala hu

kab bhala sabko..(2)
mayassar hai musalla mera
naam shabbir ne rakha hai mu'alla mera

mai karbobala karbobala karbobala hu, mai karbobala hu

1. Rabbe qudrat ki tarashi hui tasweer hu mai
qismat e hurr ki qasam katib e taqdeer hu mai
khud pe maghroor hu abbas ki jageer hu mai
markaz e noor hu ash shams ki tasweer hu mai
ho nahi sakta mere noor ka humsar suraj
mere aaghosh me utre hai bahattar suraj

2. Baar nabiyo ki amanat ka uthaya maine
apne zarro ko sitaro se badhaya maine
aise darbaar shahadat ka sajaya maine
farsh par arsh nasheeno ko bulaya maine
beijazat yaha se koi rehbar guzra
har nabi khums lahu ka mujhe dekar guzra

3. Mujhko zehno ke marizo ki dawa aati hai
mere zarro se analhaq ki sada aati hai
sajda karne meri chaukhat pe qaza aati hai
bus meri khaak se khushbu e wafa aati hai
jab se abbase ke..(2) parcham ko utha rakha hai
aasmano ne mujhe sar pe bitha rakha hai

4. Qabr me jab bhi utarti hai kisi ki mayyat
hukm e mabood se hota hai fishare turbat
mere malik ne mujhe bakshi hai aisi quwat
mai kafan me jo rahu khake shifa ki surat
sakhtiyo se use turbat ki chhuda deti hu
mai azadaar ko jalne se bacha leti hai

5. Toor par musa ne bus ek jhalak dekhi thi
hai mujassam yaha maujood husain ibn e ali
meri mitti ko bhala toor se nisbat kesi
baate karne waha allah se jaate the nabi
meri sarhad me ye qanoon badal jaata hai
yaha shabbir se milne ko khuda aata hai

6. Maine abbas ke qadmo se wafaen leli
apne qabze me zamane ki hawaen leli
rehmato ne meri badh badh ke balaen leli
meri mitti ne jo zehra ki duaen leli
raat din mojize is waaste hote hai yahan
shabe ashoor ke jaage hue sote hai yahan

7. Meri meraj ki tareekh hai ek sath(61) hijri
wo jo sadiyo se bechaini meri khatm hui
meri taqdeer ne hurr ki tarah karwat badli
maine mangi thi jo daulat mujhe shabbir ne di
ab meri khaak kisi..(2)  taaj ki mohtaaj nahi
sheh ki na'layn se badhkar to koi taaj nahi

8. Ibne zehra ne takallum mere badle halaat
hai meri raah se lipti hui ab raahe nijaat
takhte bilqees bani hai mere zarro ki zakaat
ek pyaase ne pilaya hai mujhe aabe hayaat
mere waadi pe qayamat na giraega khuda
jaisi hu hashr me wesa hi uthaega khuda

Karbala naam hai mera..(3)

Dosto aao sunau tumko mai ek waqea..(2)

ek din majlis se apne ghar ki janib mai chala
raaste me saamna waaez se mera hogaya
hasbe aadat tanziya lehje me wo kehne laga
shirk hai ghaire khuda par ashk barsana suno
mai ye bola baat ab meri bhi maulana suno

aadam o hawwa ka kya bete pe rona shirk tha
hazrat e yaqoob ne yusuf pe kyu girya kiya
tu agar hai ummati sarkaar ka to ye bata
hazrate hamza pe kyu roye muhammad mustafa
yato ab sarkaar se tu apna rishta tod de
ya azadaro pe waaez tanz karna chhod de

kaat kar fir baat meri ye kiya usne sawaal
kyu madad haider se lete ho bajae zuljalaal
mai ye bola apni bosida kitabe to khangaal
un me mil jaegi tumko jung e khaiber ki misaal
tujhpe ho jaega saabit behes ye bekaar hai
nara e haider lagana sunnat e sarkaar hai

baato baato me jahalat uski jab khulne lagi
badhte badhte baat zikr e karbala tak aagai
wo ye bola karbala to jang shehzado ki thi
mai ye bola karbala hai zindagi islaam ki
tere shehzade se badhkar yu mera shabbir hai
wo saraapa rijs hai ye warise tatheer hai

mu banakar tilmila kar fir chali uski zuba
tu hai maulai to haider ke fazael kar bayaan
mai ye bola is qadar bardasht hai tujhme kahan
sochle dil par tere girne lage gi bijliyan
tere sehat ke liye kaafi hai ye ghaibi pukaar
lafata illa ali la saif illa zulfiqar

baat imaan e abu talib ki usne chhed di
kufr par uske mutabiq guzri unki zindagi
mai ye bola fir to ye tauheen hai allah ki
parwarish kafir ke ghar sarkaar ki hoti rahi
aqd e paighambar padha jisne wo insaan kaun hai
gar abu talib hai kafir, fir musalmaa kaun hai

padhke wo lahaul akhir khud hi ghayab hogaya
padhke wo lahaul akhir khud hi ghayab hogaya
fir mujhe rota hua maidan e mehshar me mila
muskura kar maine pucha khair to hai kya hua
aah bhar kar wo ye bola haay mai maara gaya
ab yaqee aaya ghum e sarwar me rona theek tha
maanta hu mai takallum tera kehna theek tha

Ye chaukhat choom kar ki hai dua har baar mashhad mein..(2)

Ilahi theher jae waqt ki raftaar mashhad mein

Ye chaukhat choom kar ki hai dua har baar mashhad mein..(2)

1. Janaze to bohot aate hue dekhe magar maine..(2)
nahi dekhe kahi bhi maut ke aasaar mashhad mein

2. Suna hai khud shifa dene ko aate hai waha maula..(2)
so ab khud jaa ke mai hojaunga beemaar mashhad mein

3. Raza ke husn par yusuf ko bikte dekhti duniya..(2)
agar hota kahi jo misr ka bazaar mashhad mein

4. Suna kar manqabat maula ki mai unse dua lunga..(2)
milenge jab kabhi bhi meesam e tammar mashhad mein

5. Wo chahe ghar ki surat ho ya chahe qabr ki surat..(2)
khuda wanda banade meer ka darbaar mashhad mein

man kunto mola fahaza ali yun mola ..(3)
mera waris hai ali..(4)

khum k maidaan me..(2)
ailaan ye karte the nabi
mera waris hai ali..(4)

1. adam o nuh o payamber hon ya hazrat musa,
younis o khizr hon illiyas k hazrat esa,
ghir k mushkil me yehi..(2)
kehta tha hr ek nabi
mera waris hai ali..(4)

2. Qabr me mujhse nakeerain ne jb ye pocha,
kon waris hai tera kon hai mola tera,
mujhse pehle ye meri..(2)
qabr ki mati boli
mera waris hai ali..(4)

3. Maut kya maut se dar jane ka qissa kya hai,
shaam walon ne ali walon ko samjha kya hai,
ghir ke taighon me bhi..(2)
kehta tha hajar ibn e adi
mera waris hai ali..(4)

4. Ghair e farrar ka karrar ka haq hai mujhpar,
meri janib na kare koi sahabi bhi nazar,
bola khaiber me alam..(2)
hath lagaye na koi
mera waris hai ali..(4)

5. Khana e haq me nhi jayen ge dar se mola,
un pe khul jaye ga aabayi wo rasta unka,
junhi kaabe ke qareeb..(2) aake kahenge mehdi
mera waris hai ali..(4)

6. Maut ke maathe pe ayega paseena ran me,
hurmla aj se tu rota phirega ban me,
sab se kehti rahi..(2)
maqtal me ye asghar ki hasi
mera waris hai ali..(4)

7. Maine aada ke saron pr hi apna safar,
meri taapon se hi marjaye ga sara lashkar,
ye rajas parhte hue..(2)
ran me mujalli nikli
mera waris hai ali..(4)

8. Mujhko mola mere alfaz se pehchanenge,
meer ko lehja o awaaz se pehchane ge,
roz e mehshar jo sada..(2)
gunjegi akbar apni
mera waris hai ali..(4)

man kunto mola fahaza ali yun mola ..(2)

Ya muhammad..(6)
Ya muhammad aisi izzat aapne paayi ke bus..(2)

ki shabe asraa khuda ne woh paziraai k bus
yaa muhammad

1. Ek pal me mustafa ko arsh par bulwaaliya
ek pal me mustafa ko apne ghar bulwa liya
apne bande ki khuda ko aisi yaad aayi ke bus

2. Ginte ginte thak gayi taaro ki naazuk ungliya..(2)
mustafa ke hai zameen par itne shaydayi k bus

3. Maine jalti dhoop me jab chhed di naate rasool..(2)
rehmato ki har taraf aisi ghata chhayi k bus

4. Dekh ab bhi waqt hai daaman nabi ka thaam le..(2)
warna kal mehshar me hogi aisi ruswaayi ke bus

5. Ek din mai likhne baitha tha shabe hijrat kaa haal..(2)
kya kahu yaaro mujhe bhi aisi neend aayi k bus

6. Un farishto ne abhi pucha hi kya tha ai saroj..(2)
daf'atan mere sirhaane se sada aayi ke bus

Ya muhammad..(6)
Ya muhammad aisi izzat aapne paayi ke bus..(2)

ki shabe asraa khuda ne woh paziraai k bus
yaa muhammad

1. Ek pal me mustafa ko arsh par bulwaaliya
ek pal me mustafa ko apne ghar bulwa liya
apne bande ki khuda ko aisi yaad aayi ke bus

2. Ginte ginte thak gayi taaro ki naazuk ungliya..(2)
mustafa ke hai zameen par itne shaydayi k bus

3. Maine jalti dhoop me jab chhed di naate rasool..(2)
rehmato ki har taraf aisi ghata chhayi k bus

4. Dekh ab bhi waqt hai daaman nabi ka thaam le..(2)
warna kal mehshar me hogi aisi ruswaayi ke bus

5. Ek din mai likhne baitha tha shabe hijrat kaa haal..(2)
kya kahu yaaro mujhe bhi aisi neend aayi k bus

6. Un farishto ne abhi pucha hi kya tha ai saroj..(2)
daf'atan mere sirhaane se sada aayi ke bus

No comments:

Post a Comment