Sunday, 16 February 2025

Mir Hasan Mir (2008)

Ya Mohammad ya Ali..(2)
Fatima, Hasan, Husain..(2)

aagae panjetan aagae..(4)

jab bicha ghar me farshe aza
aagae panjetan aagae..(2)
rashk e jannat hua ghar mera
aagae panjetan aagae..(4)

1. Kaun sajdo ki zeenat banata tujhe
kaun jannat ki jannat banata tujhe..(2)
ae zamee kar ada shukriya

aagae panjetan aagae..(4)

2. Ek uljhan thi pehchanu kese use
kisko dekhu ke khaliq samajh aa sake..(2)
ho gaya hal mera mas'ala

aagae panjetan aagae..(4)

3. Maut par fatha jab paa gai zindagi
uth ke tazeem salma ki mayyat ne ki..(2)
gul madaen me hone laga

aagae panjetan aagae..(4)

4. Dhoom niklega sachaiyo ka abhi
haar manegi qaum e nasara abhi..(2)
pal me hojaega faisla

aagae panjetan aagae..(4)

5. Pehle hi usko jaldi shahadat ki thi
aakhri saans aur tez chalne lagi..(2)
jab ye maqtal me hurr ne suna

aagae panjetan aagae..(4)

6. Misle nehje balagha jo nukte sune
lehja e murtaza me jo khutbe sune..(2)
binte zehra ko dene dua

aagae panjetan aagae..(4)

7. Roze mehshar ke munsib hai aale abaa
faisle inko karne hai meri jagah..(2)
hashr me khud kahega khuda

aagae panjetan aagae..(4)

8. Akbar o qasim o zainab o bawafa
saath sarwar ke pohcha jo ye qafela..(2)
barmala keh uthi karbala

aagae panjetan aagae..(4)

9. Meri nisbat hai ae laal tatheer se
boli aayat ke jaldi se le chal mujhe..(2)
dekh jibreel zere kisa

aagae panjetan aagae..(4)

10. Pehle hi usko jaldi shahadat ki thi
aakhri saans aur tez chalne lagi..(2)
jab ye maqtal me hurr ne suna

aagae panjetan aagae..(4)

11. Unke darr se wafa ka sila mil gaya
jab bhi likha takallum qaseeda naya..(2)
khud badhane mera hausla

aagae panjetan aagae..(4)

Ya Mohammad ya Ali..(2)
Fatima, Hasan, Husain..(2)

Ya ali maula, maula ya ali maula..(2)
haider haider haider haider

Haider hu mai haider..(2)
Kehte the ali kufe  me ye barsare mimbar
Haider hu mai haider..(2)

Hairan hai duniya kyu mere mojize sunkar
Haider hu mai haider..(2)

1. Suraj mere kehne pe bhala kyu na palat ta
taara meri dehleez pe kaise na utarta
maine hi jalae..(2) the bujha deta mai yaksar
Haider hu mai haider..(4)

2. Mai ghaib hu duniya ko ye idraak nahi hai
haan mujhpe kisi naam ka iflaak nahi hai
bus mujhko samajhte..
bus mujhko samajh sakte hai allah, payambar
Haider hu mai haider..(4)

3. Hai rabb ki sadaqat ke hawale mere basme
qur'aan me allah ne khai mere qasme
'La Raib' laqab hai..(2) mera qur'aan ke andar
Haider hu mai haider..(4)

4. Is baat ki qudrat hai faqat mere qalam me
tasweer banata hu mai madar ke shikam me
takhleeq pe khaliq..(2) ne kiya mujhko muqarrar
Haider hu mai haider..(4)

5. Gar qatl kiya jau to mai qatl na hunga
so(100) baar bhi maut aegi hargiz na marunga
bebas hai mere saamne..(2) ye maut ka chakkar
Haider hu mai haider..(4)

6. Pohche sare meraj nabi jis ghadi logo
bas haath milaane ka waha izn tha mujhko
jee kar ta tha kehdu..(2) mai ye parde se nikalkar
Haider hu mai haider..(4)

7. Maa ne kabhi marhab ki ye marhab se kaha tha
tu laakh bahadur hai magar usse na ladna
maidan me aajae..(2) agar koi ye kehkar
Haider hu mai haider..(4)

8. Tum kisko darate ho yu naam apne batake
wo aur the maidan se jo bhaag gae the
mai aam sahabi..(2) nahi ae marhab o antar
Haider hu mai haider..(2)

9. Jo log samajhte hai mai wallah nahi hu
bus jaanlo sab kuch hu mai allah nahi hu
mabood hai akbar..(2) wo mera khaliq e akbar
Haider hu mai haider..(4)

Ya ali maula, maula ya ali maula..(3)

Ya ali maula maula ya ali maula ... 4

Haider hu main haider haider hu main haider ... 4

Kehte thi ali kufe main ye bar sare mimbar haider hu main haider .. 2
Hairaan hai duniya .. 2
Hairaan hai duniya kyu mere maujizai sun kar ..
Haider hu main haider .. 2

1 . Suraj mere kehne pe bhala kyu na palata ..
Tara mere dehleez pe kaise na utarta ..
Maine he jalayi thi bujha deta main yaksar ...
Haider hu main haider .. 2

2 . Main gaib hu duniya ko ye idraak nahi hai ..
Hai mujpe kisse naam ka itlaak nahi hai ..
Bus mujko samaj sakte hai Allah ho payembar ..
Haider hu main haider .. 2

3 . Hai kab ke sadakat ke hawale mere bis main ..
Quran main Allah ne khaai mere kasame ..
Laaraib lakab hai mere quran ke andar ..
Haider hu main haider .. 2

4 . Is baat ke kudrat hai fakat mere kalam main ..
Tasveer banata hu main madar ke shikham main ..
Takhleek pe khaalik ne kiya mujko mikarrar ...
Haider hu main haider .. 2

5 . Jar qatal kiya jaao to main qatal na hunga ..
Sauw baar bhi maut aayige fir bhi na marunga ...
Baibus hai mere saamne ye maut ka chackar ..
Haider hu main haider .. 2

6 . Puhace sare mairaaj e nabi jis ghadi logo..
Bus haath milane ka waha izzn tha mujko ..
Jee karta tha kehdu main ye parde se nikal kar ..
Haider hu main haider .. 2

7 . Maa ne kabhi marhab ke ye marhab se kaha tha ..
Tu lakh bahadur hai magar usse na ladna ..
Maidan main aajayi agar koi ye kehkar ..
Haider hu main haider .. 2

8 . Tu kisko darate ho yu naam apne batake ..
Woh aur thi maidan se jo baag gayi thi ..
Main aam sahabi nahi aayi marhabo antar ..
Haider hu main haider .. 2

9 . Jo logo samaj thi hai main wallah nahi hu ..
Tum jaan lo sab kuch hu main Allah nahi hu ..
Maabud hai Akbar woh mera khalike Akbar .
Haider hu main haider .. 2

Khuld me sabr o ita'at ki rawani fizza..(2)
hai zaeefi me aqeede ki jawani fizza

Aal e imraan ki pakeeza nishani fizza
khud hi hai lafz e wafa khud hi ma'ani fizza
jism kaate nahi hote wo chaman hai fizza
hadd hai zehra ne kaha meri behen hai fizza

Tum ne hasnain ki maa banke hifazat ki hai
tumne qur'aan ke lehje me khitabat ki hai
tumne haider ki tarah deen ki wiqalat ki hai
tumne zehra ke musalle pe ibadat ki hai

Aae jibreel jo qur'aan ki aayat lekar
bayte zehra me gaye tumse ijazat lekar

Turbat e saniye zehra ki mujabir tum ho
yani mastoor me hum soorat e jabir tum ho
ghar me zehra ke ho yu risht se qasir tum ho
saath masoom o ke anwaar ki zaer tum ho

Ye sharaf log kaneezo ko kaha dete hai
fatima zehra ke bacche tumhe maa kehte hai

Chawda(14) sadiyo se bahattar ki azadar ho tum
binte zehra ke liye sayae deewar ho tum
naaz karti hai wafa jispe wo qirdaar ho tum
khana e zehra ki namak khaar ho tum

Har mawaddat ke sahife me tera qissa hai
fatima zehra ke faqo me tera hissa hai

Aake saael ne kabhi darr pe jo dastak dedi
arsh walo ne kabhi aake jo roti mangi

Aagai leke wo darwaze pe khairat e ali
hukm e haider pe farishto ki bhi bhardi jholi

Ye bhi ek teri azmat ka hawala fizza
rizq maula ne tere haath se baata fizza

Kya likhe meer takallum tere ausaaf bhala
aaj islaam ki pehchan hai qirdaar tera
naam lete hai adab se tera sab ehle aza
tujhko zehra ki kaneezi ka sila aisa mila

Jo bhi ab shaam ziyarat ke liye jaata hai
sajda karne teri chaukhat pe zaroor aata hai

Khuld me sabr o ita'at ki rawani fizza..

Kya bataun maqaam zainab ka..(2)
Isme aazam hai naam zainab ka

1. Mai to kya khud qaseeda padhte hai..(2)
mere bara(12) imaam zainab ka
kya batau..

2. Tere darr par bhi aega jibreel.(2)
tu bhi ho ja ghulaam zainab ka
kya batau..

3. Allah Allah hurr teri qismat..(2)
tujhko aaya salaam zainab ka
kya batau..

4. Saare nabiyo se keh raha tha khuda..(2)
dekha tum sab ne kaam zainab ka
kya batau..

5. Ban gaya khud alam sa kaghaz par..(2)
likh raha tha mai naam zainab ka
kya batau..

6. Chal raha hai azaa ki surat me..(2)
do jahan me nizaam zainab ka
kya batau..

7. Matam e shaah aur yazeed ke ghar..(2)
dekhlo inteqaam zainab ka
kya batau..

8. Dekhta hai husain ka sajda..(2)
khud bhi rukh kar qayam zainab ka
kya batau..

9. Meri behno hijab lazim hai..(2)
hai ye tumko payaam zainab ka
kya batau..

10. Tera hamsar nahi hai meer koi..(2)
kyu ke tu hai ghulaam zainab ka

Kya bataun maqaam zainab ka
Isme aazam hai naam zainab ka

Abbas haider, haider abbas..(2)

Mad'he abbas mad'he haider hai..(4)
jaise lashkar ke peeche lashkar hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

1. Ek nuseri ka ek wafa ka khuda..(2)
do khudaon ka ek hi ghar hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

2. Ek saaqi hai ek saqqa hai..(2)
alqama ek ki, ek ka kausar hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

3. Ain dono ke naam me shamil..(2)
aur alam dono ka muqaddar hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

4. Ek ali dusra hai naad e ali..(2)
ek dil me hai ek lab par hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

5. Dushman e deen e mustafa ke liye..(2)
ek talwaar ek khanjar hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

6. Gaadh na hai alam hadaf lekin..(3)
ek ka paani hai ek ka patthar hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

7. Dono zainab ke saath saath hai yu..(2)
ek saaya hai ek chadar hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

8. Matla rehan nazre ghaazi hai..(2)
maqta rehan nazre haider hai
Mad'he abbas mad'he haider hai..(2)

Abbas haider, haider abbas

[Chhed diya hai zikr e maula
mimbar jaane haider jaane]..(2)

kufr hai gar ye ishq ali ka
kafar jaane haider jaane

1. Binte asad to jaengi har haal me kaabe ke andar..(2)
darr hogi deewar kaha se
maadar jaane haider jaane

2. Ismaeel ye soch rahe the
kyu gardan par haath rakhu
naam e ali hai mere labo par
khanjar jaane haider jaane

3. Fatha likhi hai daste khuda par ab bhi mere pyaare habeeb..(2)
naade aliyan kehke bulale
khaiber jaane haider jaane

4. Aarefa e aijaz e ali hai
maadar hai ummat to nahi
bint e asad ko fikr nahi hai
ajdar jaane haider jaane

5. Jung e ohod me mera maula shaakh se sar karta hai qalam..(2)
tegh falak se aae na aae
lashkar jaane haider jaane

6. Ishq e ali ke dawe daro
rabb ki ibadat lazim hai
ye keh kar mat jaan chhudao
mehshar jaane haider jaane

7. Sher e khuda ka pota hai ye kehkar maa ne bhej diya..(2)
ladta hai ab kese rann me
asghar jaane haider jaane

8. Shaam me aur meraj nabi me
ek hi lehja goya tha
kisne rakha hai kiska parda
dukhtar jaane haider jaane

9. Mir hasan aur sibt e jafar
banda e haider hai dono
inke kafan par likhwa dena
naukar jaane haider jaane

Noor ki anjuman faatima
markaze panjetan faatima

1. Arsh se ban ke aayi hai tu
murtaza ki dulhan faatema

2. Kehkasha se zyaada hasee
tere ghar kaa chaman faatema

3. Khuld ka arsh par hai dimaa
chu ke tere charan faatima

4. Kab kisi maa ne paida kiye
fir hussaino hasan faatima

5. Ban gaya tera baaghe fidak
ghaasibo ka kafan faatima

6. Boli zainab se ruhe ali
sar utha aur ban faatima

7. Hai yeh qaule nabi ai sarosh
mera tan mera man faatema

Sajda ek aisa karbobala me adaa hua..(2)
jiske sabab hai khana e kaaba bacha hua

1. Is baat ke gawaah shah e mursaleen hai
jis khaak ke khameer se yusuf haseen hai
us me husain ka hai paseena mila hua

2. Heere pade the kaanch ke tukdo ke saath saath
zehra ne chun liye hai ye kehkar jawaherat
in aasuo pe naam hai mera likha hua

3. Jaisa diya hai wesa hi fanoos chahiye
jannat ke shahzade ko malboos chahiye
rizwaan laao arsh se kurta sila hua

4. Darwaza e ali ke namak khaar aagae
jannat me shahe deen ke azadar aagae
sach hogaya husain ki maa ka kaha hua

5. Pushte nabi pe aaj imamat ka naaz hai
waed mujhe bata ke ye kaisi namaaz hai
kis waaste nabi ka hai sajda ruka hua

6. Wo bhi hai ek sipahi husaini sipah ka
karta hu ehteram me yu zuljanah ka
khaak e shifa me uska bhi khoo hai mila hua

7. Chaaya hua dimaagh pe uske ghubaar hai
usko bhi ab husain ka ghum na gawaar hai
tukdo pe jo husain ke palkar bada hua

8. Is meer e khush nawa ke tarannum pa naaz hai
sacchaiyo ko iske takallum pe naaz hai
kyu ke hai ye husain ke darr ka padha hua

sarwar ke azadar - 6

mazloom ki talwar - 2 sarwar ke azadar
hai deen ke madadgar sarwar ke azadar - 2

1. Allah ne jab khalq ke meyaar banaye
jo zarf kushada the wo sardar banaye
sardar me kuch sahibe anwaar banaye
anwaar tarashe to azadar banaye
Ab jo mere maula ka azadar nahi hai
khudse zara soche ke wo bakaar nahi hai

2. Takhleeq ki tarkeeb me hai 4 anaseer
sab hai mere maula ke azadar anaseer
is waaste hai sahibe asraar anaseer
khud karte hai is baat ka iqraar anaseer
na aag na paani se na mitti se hawa se
hum khalq hue fatima zehra ki dua se

3. sach hai ke nazar ho to hate ayb nazar ka
mausam to kabhi dekhiye tauheed nagar ka
maghmoom fiza surkh shafaq huzn sahar ka
kaala hai gilaaf isliye Allah ke ghar ka
tauheed parastaare wali ibne wali hai
khaaliq bhi azaadare husain ibne ali hai

4. kis zarf ka haamil hai azadar ka sina
na bughz na ilhaad na ohaam na kina
hai karbobala ka yaha aabad madina
is shehr me dushwaar hai agyaar ka jina
sine pe jo maatam ki ye tehreeq chali hai
sine me hai dil dil me hussain ibne ali hai

5. hum sino pe maatam se banate hai musalle
hoti hai azaan jab to sajate hai musalle
maatam ke julooso me bichaate hai musalle
khud apni zubaa se ye batate hai musalle
sajdo me bhi shabbir ko rota hai namazi
shabbir ka har matami hota hai namazi

6. uthta hai jo maatam ko azadar ka panja
tehzeeb ke sine pe hai afqaar ka panja
5 ungliya hai 5 ke iqraar ka panja
har duar me har zulm ke inqaar ka panja
islam ki buniyad ka dhaancha bhi yahi hai
rukhsaare yazidi pe tamacha bhi yahi hai

7. Hubdaar ki aankhon me hai rehmat ke zakhire
palko me chupe hai kahi ashko ke jazeere
jab kohe basirat se utarte hai ye hire
ho jaate hai tabdil muqaddar ke vatire
sidra se azadar ko aati ye sada hai
is jins ka mehshar me kharidar khuda hai

8. Ek ashk se ho jaati hai saason ki taharat
ek ashk se buj jaati hai dozakh ki hararat
ek ashk se kar sakte ho jannat ki tijarat
ek ashk se hojaati hai maula ki ziyarat
aankhon ko agar rone ki aadat nahi hogi
turbat me bhi maula ki ziyarat nahi hogi 

Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

Har nafas har ghadi, mere dil se yahi
aa rahi hai sadaa..
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

1. Teri azmat pe bhala kyu na dalaalat banta
sher qaleen ka kis tarha na zinda hota
hai haqeeqat yahi, teri marzi me hi, hai khuda ki raza
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

2. Ghair mumkin ko yu hote hue dekha mumkin
jaagti ankho se jannat me guzare kai din
usko kya ho yaqee, jisne dekha nahi, kabhi roza tera

3. Rabt kesa ye mere zehn me aaya hai abhi
jaise gehware ne fitrus ko shifa baati thi
wese hi rozo shab, baat ta hai shifa, tera sehne shifa
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

4. Ab ke mash'had se jo palta hu to mere mohsin
saans lena mujhe acha nahi lagta lekin
fir bhi hai ye suku, mai kahi bhi rahu, dil wahi hai mera
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

5. Kese samjhega zamana tere naukar ki hade
tere maroof ne bandhe hai samandar ki hade
badhte toofan ka, rukh badalta gaya, usne jab di sada
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

6. Puchne haal nakeerain jab aae mera
maine dohraya jawaban jo qaseeda tera
wajd me aake fir, wo bhi kehne lage, mai bhi kehne laga
Ya saree ar-riza..(4)

7. Meri is waqt tere darr pe nazar hai maula
aur tujhe meri musibat ki khabar hai maula
dur uftaad kar, meri imdaad kar, tu hai mushkil kusha
Ya saree ar-riza..(4)

8. Ilteja aap se karta hu imam e hashtum
unke sadqe me jinhe kehte hai masuma e qum
jo pareshan hai, jald kardijiye, uski hajat rawa
Ya saree ar-riza..(4)

9. Jiteji jaan se apni mai guzar jaunga
jald mash'had na bulaoge to mar jaunga
ae imam e ghareeb, tum ho mere tabeeb, jald kar do dawa
Ya saree ar-riza..(4)

10. Apne is meer ko anmol banade maula
mujhko is daur ka behlol banade maula
mai azadar hu, nakhsh bardar hu, tere khuddam ka
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

Har nafas har ghadi, mere dil se yahi
aa rahi hai sadaa..
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

1. Teri azmat pe bhala kyu na dalaalat banta
sher qaleen ka kis tarha na zinda hota
hai haqeeqat yahi, teri marzi me hi, hai khuda ki raza
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

2. Ghair mumkin ko yu hote hue dekha mumkin
jaagti ankho se jannat me guzare kai din
usko kya ho yaqee, jisne dekha nahi, kabhi roza tera

3. Rabt kesa ye mere zehn me aaya hai abhi
jaise gehware ne fitrus ko shifa baati thi
wese hi rozo shab, baat ta hai shifa, tera sehne shifa
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

4. Ab ke mash'had se jo palta hu to mere mohsin
saans lena mujhe acha nahi lagta lekin
fir bhi hai ye suku, mai kahi bhi rahu, dil wahi hai mera
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

5. Kese samjhega zamana tere naukar ki hade
tere maroof ne bandhe hai samandar ki hade
badhte toofan ka, rukh badalta gaya, usne jab di sada
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

6. Puchne haal nakeerain jab aae mera
maine dohraya jawaban jo qaseeda tera
wajd me aake fir, wo bhi kehne lage, mai bhi kehne laga
Ya saree ar-riza..(4)

7. Meri is waqt tere darr pe nazar hai maula
aur tujhe meri musibat ki khabar hai maula
dur uftaad kar, meri imdaad kar, tu hai mushkil kusha
Ya saree ar-riza..(4)

8. Ilteja aap se karta hu imam e hashtum
unke sadqe me jinhe kehte hai masuma e qum
jo pareshan hai, jald kardijiye, uski hajat rawa
Ya saree ar-riza..(4)

9. Jiteji jaan se apni mai guzar jaunga
jald mash'had na bulaoge to mar jaunga
ae imam e ghareeb, tum ho mere tabeeb, jald kar do dawa
Ya saree ar-riza..(4)

10. Apne is meer ko anmol banade maula
mujhko is daur ka behlol banade maula
mai azadar hu, nakhsh bardar hu, tere khuddam ka
Ya imam e raza, ya imam e raza..(4)

No comments:

Post a Comment