Sunday, 16 February 2025

Mir Hasan Mir (2007)

sabhi khush hain
sabhi khush hain khudaayi bhi khuda bhi
ali ke saath hai zehra ki shaadi

larka hai khuda ke ghar ka larki hai nabi ke ghar ki
wo arz o samaan ka maalik ye malika behr o bar ki
zameen raksa hai raksa aasmaan bhi

haidar hai kulle imaan aur kulle ismat zehra
us sar pe wafa ka sehra is sar pe haya ka sehra
wo shehzaada hai aur ye shaahzaadi

dulha ke roop me pyaare ali ibne taalib hain
tha baap bhi sab se ghaalib ye bhi kulle ghaalib hai
ye daamaade nabi hai aur wo sambdhi

baaraat chali haidar ki rehmat ke saaye saaye
baaraat ke aage aage qur'aan qaside gaaye
nabi saare chale ban kar baraati

tohfe me mile mehk aise inhein jannat aur kawsar ko
ye saara namak aur paani haq mehr mila zehra ko
salaami me mili marzi khuda ki

qudrat ki taraf se inko abhi tohfe aur milenge
kal inke haseen aangan me do asli phul khilenge
haseen shajarein jinhein denge salaami

ab chaahe koyi bharke ab chaahe koyi tarpe
ab meri bhalaa se chaahe mar jaaye koyi jal jal ke
khushi ki baat thi maine sunaadi

kaise ho bayaan wo manzar jab khatm huwi sab rasmein
kaunein ki har sheh gauhar kehti thi kha kar qasmein
mubaarak hai mubaarak hai ye shaadi

<span ke="" aage="" qur'aan="" qaside="" gaaye

Gham shahe shaheeda ka manana hi padega..(2)
soyi hui qismat ko jagana hi padega
gham shahe shaheeda..

Aise nahi manega meri baat zamana..(2)
matam ke liye haath uthana hi padega
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Ye madar e eesa to nahi hai jo palat jaye..(2)
kaabe ko naya darr to banana hi padega
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Shabbir ka ghum rakhlunga har cheez lutakar..(2)
jeene ke liye kuch to bachana hi padega
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Jannat ki ghiza khane ki khwahish to waez..(2)
majlis ka tabarruk tujhe khana hi padega
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Abbas ko dekha to nusairi ne ye socha..(2)
bus aaj to eemaan bachana hi padega
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Jo log fidak khake bane sahib e daulat..(2)
un chehro ko aaina dikhana hi padega
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Islam ke parcham ko bachana hai to waez..(2)
Abbas ke parcham ko uthana hi padega
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Maine to dare shaah pe sar rakh diya Yasir..(2)
taqdeer ko ab auj pe jaana hi padega
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Gham shahe shaheeda ka manana hi padega..(2)
soyi hui qismat ko jagana hi padega

Hai waliye mash'ad ye badhai tere darr ki..(2)
taqdeer banati hai gadaai tere darr ki
hai waliye mash'ad..

Hai rashke jina aaj bhi mash'ad ka ilaaqa..(2)
khaliq ne ajab shaan banai tere darr ki
hai waliye mash'ad..

Be noor nigaaho'n ko mila noor e mujassam
in aankho'n mein jab khaak lagayi tere darr ki
hai waliye mash'ad..

De phir se sadaa behre karam shahe khorasa'n
bardasht nahi hoti judayi tere darr ki
hai waliye mash'ad..

Lab choomke jhoom uthe malak qabr mein aakar
khushbu meri saanso se jo aayi tere darr ki
hai waliye mash'ad..

Turbat mein farishto'n ke sawa laakh ke badle
mai karta raha mad'ha sarayi tere darr ki
hai waliye mash'ad..

Jaa rob kashee'n ka jo sharaf mujhko milega
palko'n se karunga mai safayi tere darr ki
hai waliye mash'ad..

Wabasta hai chaukhat se teri marziye daawar
phir kisko gawara ho judayi tere darr ki
hai waliye mash'ad..

Rutba mera har daur ke shaho'n se siwa hai
hasil hai hasan ko jo gadayi tere darr ki
hai waliye mash'ad..

Taqdeer banati hai gadayi tere darr ki
Hai waliye mash'ad ye badhai tere darr ki

Itni bhar jaye in aankho'n mein ziyaae abbas
mujhko koi na nazar aaye siwaye abbas

Mere alfaaz mein kyu ho na rawani ka kamaal..(2)
Maine daryao'n se seekhi hai sana e abbas

Karbala ek hi misre mein suna sakta hu'n..(2)
Azm e zainab, dil e shabbir, wafa e abbas

Mere ash'aar bhala khuld mein maqbool na ho..(2)
Itni kamzor nahi hoti sanaa e abbas

Maine is husn e shabahat pe bohot ghaur kiya
sochta hu'n ke ali likh du bajaa e abbas

Akhri saans jo tauba ke liye hoti hai..(3)
Maine wo saans bhi rakhli hai bara e abbas

Yu karo naam e sakina zara lekar dekho..(2)
ghair mumkin hai bulane pe na aaye abbas

Zaat ko chhod ke rakh marziye maula pe nazar
haa Musaddiq yehi hoti hai wilaye abbas

Uthi hai noor ki noori ghataein ghaibat se
tamaam ehle azaa lau lagaye ghaibat se
sune baghaur to mehsoos aisa hota hai
ke aa rahi hai musalsal sadaein ghaibat se
azaa ki deep jalao mai aane wala hu'n
mai aane wala hu'n
gham e hussain manao..(2)
mai aane wala hu'n
azaa ki deep jalao mai aane wala hu'n

Mai jaanta hu ke niyyat mein ek hai dono
namazi aur azadaar ek hai dono
bas ab ye farq mitao..(2)
mai aane wala hu'n

Rasool pesh karenge waha'n qaseeda naya
wahee'n pe hoga bapa jashn mere dada ka
qadam najaf ko badhao..(2)
mai aane wala hu'n

Tumhare dil mein hamari wilaa makeen nahi
areeza likhte ho lekin tumhe yaqeen nahi
yaqeen karlo ye jaao..(2)
mai aane wala hu'n

Furu e deen se hargiz karo na bezaari
haram mein karke namaz o azaa ki tayyari
azaa ye sabko sunao..(2)
mai aane wala hu'n

Na hone paye kabhi dil se kam hussain ka ghum
hai meri fauj ka parcham mere chacha ka alam
alam gharo'n mein sajao..(2)
mai aane wala hu'n

Mai apna dard karu kis tarha tum pe ayaa'n
meri nigaaho'n mein phirti hai har shaheed ki maa
use bhi jaake batao..(2)
mai aane wala hu'n

Ye mehfile ye aza zindagi ka rizq hai sab
ye ayn e ishq hai zinda ho tum inhi ke sabab
na inse maal kamao..(2)
mai aane wala hu'n

Suni hai meer takallum ne karbala se sadaa
hai ikhtetaam ke nazdeek ghaibat e kubra
haram pe nazre jamao..(2)
mai aane wala hu'n

Yaa zahra..yaa zahra
shukr tera, shukr tera
yaa zahra, ya zahra
shukr tera, shukr tera

Midhat e shabbir tera shukriya..(4)
kaatib e taqdeer tera shukriya
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

Yaad akbar ki dila deta hai tu..(2)
nara e takbeer tera shukriya..(2)
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

Mere ghar aate hai masoomeen bhi..(2)
Majlis e shabbir tera shukriya..(2)
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

Mushkilo'n mein muskurana aagaya..(2)
asghar e besheer tera shukriya..(2)
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

Tere dumm se hai sadaa e ya hussain..(2)
zainab e dilgeer tera shukriya..(2)
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

Aaj bhi kaabe se aati hai sadaa..(2)
sajda e shabbir tera shukriya..(2)
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

Rizq milta hai hame tere tufail..(2)
daste khaibar geer tera shukriya..(2)
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

Ban gaya turbat mein mahaul e kisa..(2)
madar e shabbir tera shukriya..(2)
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

Karbala hai sibt e jafar ka watan..(2)
khuld ki jageer tera shukriya..(2)
Midhat e shabbir tera shukriya..(2)

ya ali ya ali ali ali
ya ali ya ali ali ali

Allah o Payambar x2
kay madadgar hain dono
Quran o Ali(A.S) ilm ka mayar hain dono x2

ashiq meray mola kay hain dono hain wafadar
ik Hazrate Isa hain to ik Messame Tammar
haider ki mohabbat main sare dar hain dono

kud kehtayhain kuffar ye dawa nahi mera
siffin ka lushkur ho ya ho ghat ka pehra
ghazi kay liyay rait ki diwar hain dono 

kaam agaye turbat main meri ulfate Hasnain(A.S)
apnay hi aqeeday ke milay muj ko naqeerain
meri tarhan Mola kay azadar hain dono

Fitrus yehi kehta hua urta hai hawa main
Kaabay main dua maang lo ya karbobala main
Shabbir(A.S) shenshah kay darbar hain dono 

maray gaye talwar se jub Marhab O Antar
ashab e Payambar se kaha mot nay hans kur
do aye thay maidan mai ab char hain dono

ik sajda e Mabood se moon mor raha hai
ik halqa e matam se hamain tor raha hai
tum kuch bhi kaho asl mai ghaddar hain dono

ik hai Shab e mairaj Payambar se mukhatib
ik hai sare darbar sitam gur se mukhatib
lehjay mai magar Haider e karrar(a.s) hai dono

Suno zehra ke ehsaan suno
Raaziya...Marziya..
Umme abeeha.. Fatima zehra.. Fatima zehra

Zahra teri jageer hai jannat bhi fidak bhi
Ye jabl, ye asjaar, ye paani bhi falak bhi
shauhar ki taraf se hai ghulami mein malak bhi
bibi tere haq mehr mein shamil hai namak bhi
bus tere zameeno pe basi jaati hai duniya
sadiyo se faqat tera namak khati hai duniya

Suno zehra ke ehsaan suno, suno zehra ke ehsaan

Iske ghar mein hi to chadha hai..(2)
deene nabi parwaan
Suno zehra ke ehsaan suno

Khush hota hai khaliq e akbar
sunke midhat zahra ki
Hafiz e qur'aa'n tu kya jaane
kya hai azmat zehra ki
khud qur'aan ne inse seekha..(2)
hai padhna qur'aan

Suno zehra ke ehsaan suno

Zere kisa jab noor ke har
mansab ka ta'rruf hota hai
tab khaliq bhi fatima zehra
ka hi sahara leta hai
noor ke har mansab ki hai goya..(2)
zehra se pehchaan

Suno zehra ke ehsaan suno

Apne ho wo ya ke paraye
sab ne baat ye maani hai
zehra ke beto ne kal bhi
deen ki keen girani hai
aaj bhi zehra ka ek beta..(2)
deen ka hai nigraan

Suno zehra ke ehsaan suno

Bibi khadija ne kal tak
tum sabke bado ko pala tha
aaj ke kalma goyo tumko
paalne wali hai zehra
baaghe fidak ke darr par jaakar..(2)
kehta tha salmaan

Suno zehra ke ehsaan suno

Rehmat e alam ki beti thi
isliiye khud ko rok liya
ghaiz mein gar aajati logo
shere ilaahi ki zauja
ek lamhe mein shehr e madina..(2)
ban jaata shamshaan

Suno zehra ke ehsaan suno

Ae najraan ke rehne walo
eesa ke kalma goyo
tum maidan mein aaj usi
bibi ke muqabil mein aaye ho
maryam ko khairat mein jisne..(2)
ismat ki hai daan

Suno zehra ke ehsaan suno

Bait e khuda weeran pada tha
logo ek zamane se
jaan faqat isme aayi hai
mere ali ke aane se
aur ali ke ghar ko bakhshi..(2)
hai zehra ne jaan

Suno zehra ke ehsaan suno

Mujhko yehi lagta hai akbar
hashr ka din jab aayega
khatt ek khaliq e akbar ki
janib se sunaya jayega
rabb ke us noorani khatt ka..(2)
hoga yehi unwaan
Suno zehra ke ehsaan suno, suno zehra ke ehsaan

Shahe marda'n shere yazda quwate parwardigar
la fatah illa ali la saif illa zulfiqar

Jo ek baar bana.
Jo ek baar bana hai wo shaahkaar hu mai
zamana jaan le haider ki zulfiqar hu mai

Mai aaj apna ta'arruf tumhe karati hu
hijab apni hi khilqat se mai uthati hu
hasab nasab hai mera kya abhi batati hu
mai misle meesam o salma'n ali ki saathi hu
khuda ne noor ki aatish mein mujhko dhaala hai
falak pe kitne baras kibriya ne paala hai

Ohod ke rann mein meri rasm e roonumayi hui
zamee'n pe pehle hi din kufr se ladayi hui
ali ki quwat e baazu se aashnayi hui
shikast rone lagi aisi jag hasayi hui
khuda ne ghayb se lashkar kushayi di hai mujhe
rasool e paak ne khud mu dikhai di hai mujhe

Har ek jari mere jauhar ka madha khwaan raha
meri kama se jo nikla wo be amaan raha
bashar raha na koi jism par nishaan raha
hamesha jung mein mujhko ye itmnenaan raha
abu turaab ne mujhpar ye aitbaar kiya
palat ke laash na dekhi jo maine waar kiya

Munafiqo ko naye mojize dikhati hu
ali ali ka jaha'n ko sabaq sikhati hu
qaza ko apne isharo pe mai nachati hu
saro'n ko sarr se hawao'n mein mai udaati hu
ali ke haath pe sajda meri ibadat hai
khuda ke haath mein rehne ki mujhko aadat hai

fidak ke roz ye maine kaha tha maula se
mere imaam wigha ki mujhe riza dede
hue hai log jo mujrim janab e zahra ke
har ek ashk ki qeemat abhi chukaenge
kisi ko mujhse mayassar rahe faraar nahi
jigar na kaat ke rakhdu to zulfiqaar nahi

Mai kitni sadiyo se "akbar" usi dayaar min hu
Ali ke sher ke hamraah mei kachaar mein hu
Mai meer e ghaibat e kubra ke ikhteyaar mein hu
mai apne izn e takallum ke intezaar mein hu
kisi zubaa'n se jaha'n al ajal nikalta hai
mayan e sabr mein mera badan machalta hai
zamana jaan le haider ki zulfiqar hu mai..(3)

Shahe marda'n shere yazda quwate parwardigar
la fatah illa ali la saif illa zulfiqar

Jo ek baar bana.
Jo ek baar bana hai wo shaahkaar hu mai
zamana jaan le haider ki zulfiqar hu mai

Mai aaj apna ta'arruf tumhe karati hu
hijab apni hi khilqat se mai uthati hu
hasab nasab hai mera kya abhi batati hu
mai misle meesam o salma'n ali ki saathi hu
khuda ne noor ki aatish mein mujhko dhaala hai
falak pe kitne baras kibriya ne paala hai

Ohod ke rann mein meri rasm e roonumayi hui
zamee'n pe pehle hi din kufr se ladayi hui
ali ki quwat e baazu se aashnayi hui
shikast rone lagi aisi jag hasayi hui
khuda ne ghayb se lashkar kushayi di hai mujhe
rasool e paak ne khud mu dikhai di hai mujhe

Har ek jari mere jauhar ka madha khwaan raha
meri kama se jo nikla wo be amaan raha
bashar raha na koi jism par nishaan raha
hamesha jung mein mujhko ye itmnenaan raha
abu turaab ne mujhpar ye aitbaar kiya
palat ke laash na dekhi jo maine waar kiya

Munafiqo ko naye mojize dikhati hu
ali ali ka jaha'n ko sabaq sikhati hu
qaza ko apne isharo pe mai nachati hu
saro'n ko sarr se hawao'n mein mai udaati hu
ali ke haath pe sajda meri ibadat hai
khuda ke haath mein rehne ki mujhko aadat hai

fidak ke roz ye maine kaha tha maula se
mere imaam wigha ki mujhe riza dede
hue hai log jo mujrim janab e zahra ke
har ek ashk ki qeemat abhi chukaenge
kisi ko mujhse mayassar rahe faraar nahi
jigar na kaat ke rakhdu to zulfiqaar nahi

Mai kitni sadiyo se "akbar" usi dayaar min hu
Ali ke sher ke hamraah mei kachaar mein hu
Mai meer e ghaibat e kubra ke ikhteyaar mein hu
mai apne izn e takallum ke intezaar mein hu
kisi zubaa'n se jaha'n al ajal nikalta hai
mayan e sabr mein mera badan machalta hai
zamana jaan le haider ki zulfiqar hu mai..(3)

No comments:

Post a Comment