Monday, 17 February 2025

Irfan Haider (2009)

Aagayai shaam se

Aa gai sham se lo aapki hamsheer hussain
Marsiya karti he ye zainabe dilgeer hussain


(Aap mehroome kafan aur mein mehroome rida) x2
Who naseeb apka aur ye meri taqdeer hussain

(Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  1. Shaam ki galiyon se guzri sare darbaar gayi
    Koi kehsakta nahin teri behan haar gayi
    (Haaye be makna o chaadar bhi na dastaar gayi) x2
    Phir bhi kab dil se miti aapki tasweer hussain
  2. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  3. Rah mein khushk na hopaye mere deedae nam
    Mein zabaa(n) band bhi karlun to shahannshahe umam
    (Eik ik zakhm sunayega who rudade sitam) x2
    Who safar pusht pe durron se he tehreer hussain
  4. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  5. Teri ghurbat pe fida ey mere mazloom akhi
    Waqt ik aisa bhi aya ke behan kaamp gayi
    (Hukm bachhi ki kaneezi ka suna ta tha shaqi) x2
    Bas usi waqt to ghabrayi thi hamsheer hussain
  6. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  7. Tey safar kaise huwa kaise mein batlaun bhala
    Koi hodaj thi na mehmil na amaari na rida
    (Bas isi dard se khu(n) rota raha zainul iba) x2
    Who jo rota to buka karti thi zanjeer hussain
  8. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  9. Jis ko suraj ne nahi dekha tha na sar nange kabhi
    Sham ki galiyon mein sar nange wohi shehzaadi
    (Eik chadar ki talabgaar laeeno(n) se huwi) x2
    Royi neze pe meri chaadar-e-tatheer hussain
  10. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  11. Karbala hogayi aabad luti ale nabi
    Haaye islah na ki ummat se ye soghat mili
    (Be ghari nawha gari aho buka sina zani) x2
    Kya yahi ajre risalat ki he tafseer hussain
  12. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  13. Rah mein ale payambar ka dilasa mein bani
    Sham ke log tamashai tamasha mein bani
    (Teri rudade masaib ka khulasa mein bani) x2
    Khwabe ajdad ko yun milgayi tabeer hussain
  14. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  15. Mein bohot royi sakina ko wahan dafna kar
    Kaam ye pehla kiya hukme rihai paa kar
    (Qaid khaane mein tera farshe aza bichwakar) x2
    Tere chehlum ke liye aagayi dilgeer hussain
  16. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  17. Shiddate gham se utha farsh-e-aza par kohraam
    Bas yahi "mazhar-o-irfan" karo khatm kalaam
    (De hame is ki jaza shahe najaf shahe anaam) x2
    Ab mile ya na mile khuld ki jageer hussain

(Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

Ab Zindagi Bhar Ya Hussain

(Hussain hussain hussain) x2

Ye konsi wiqar he

Bala ka sheh sawar he

Ye bil yaqeen hussain he

Nabi ka noore ain he

Libas he phata huwa

Lahu mein he ata huwa

Tamam jisme naznee(n) chidha huwa kata huwa

Magar kuchh ada se aya Fatima ka ladla

lahu lahu huwi furat aur sukoot chha gaya

kuchh aisa ran para ke kaante pargaye zabaan par

khuda ne iske khoon se likha ye aasman par

jo ghar luta chukka

ali ka ladla

to boli karbala

hussain marhaba

khuda ke saath saath tera zikr hoga ay ghareebe nainawa

Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

Ab zindagi bhar ya hussain

Ab zindagi bhar ya hussain

  1. karbobala mein dasween muharram ka roz tha
  2. khanjar tale hussain ne sajde mein sar rakha

    rokar pukari zehra ise kon royega

    dashte bala mein haatife ghaibi ne di sada

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  3. Woh dil bujhe huwe woh hawaein thami huwi
  4. woh ek behan ki bhai pe nazrein jami huwi

    arzo saman ki saas thi goya ruki huwi

    zainab ki zindagi ka khulasa ye bangaya

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  5. Din bhar utha ke lata raha aqraba ki laash
  6. hamshakle Mustafa ki kabhi bawafa ki laash

    qasim se shahzada e gulbu qaba ki laash

    aalam ko jisne kehne pe majboor kardiya

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  7. Jiska hujoom e dardo alam se ye haal tha
  8. sina tha pash pash jigar paemal tha

    Rukh par tha tishnagi ka dhuwan dil nidhaal tha

    Mojon ki isteraf se aane lagi sada

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  9. Tujhsa shaheed kon he alam me ay hussain
  10. Tu he har ek deedae purnam me ay hussain

    Rote hein do jahaan tere gham me ay hussain

    Zinda rahega halqae matam mein bhi sada

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  11. Hussain be kafan
  12. Hussasin be khata

    Shaheede Karbala

    Binae la ilah

    khuda ke saath saath tera zikr hoga ay ghareebe nainawa

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  13. Har war mein lainon ne chaha ye barha
  14. Mit jaye is jahaan se ye majlise aza

    baqi rahe na naam zameen par hussain ka

    Lekin nabi ki beti se Allah keh chuka

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  15. Hai daimi hayat tere naqshe pa ke baad
  16. Ye raaz chaah na dunya ne teri qaza ke baad

    te hogayi ye baat bhi karbobala ke baad

    haq aur yazeediat ka rahega maarka

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  17. ho dor koi Ali ke bte
  18. jo baat haq he yuhin rahegi

    Tere lahu ka ye mojiza he

    ye khak khake shifa banegi

    anees ho ya dabeer koi

    lahu me jabtak he josh baqi

    khuda ne wajib kiya he sab par

    qalam likhega zaban kahegi

    Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

    Ab zindagi bhar ya hussain

    Ab zindagi bhar ya hussain

  19. koi "Irfan" ho ya ho "Mazhar"

hum agar he sada yahi labpar

qabl az karbala khuda hi khuda

bad az karbala hussain hussain

Ab zindagi bhar ya (hussain)x3

Ab zindagi bhar ya hussain

Ab zindagi bhar ya hussain

Alamdaar Alamdaar

(Alamdaar) x3

  1. (Ankhon mein asu, Haathon mein kuze) x2
  2. Pyason ke lab par he ye buka

    (Alamdaar) x6

  3. Jeene nahin payegi bali Sakina
  4. Pyaas se marjaayegi bali Sakina

    Nehr se aao Haye Alamdaar

    Aas bandhawo Haye Alamdaar

    Kehne lagi Zainabe Lachaar

    (Alamdaar) x6

  5. Pyason ki saqai ab kon karega
  6. Mein jo karungi buka kon sunega

    Dasht mein tanha Haye Alamdar

    Bhai he mera Haye Alamdaar

    Kaise jiye Sayade abraar

    (Alamdaar) x6

  7. Thaame kamar haath se shahe huda he
  8. Dashte bayabaan mein mehwe buka he

    Mein hu(n) akela Haye Alamdaar

    Chahe dilasa Haye Alamdaar

    Ghere he ye lashkare kuffar

    (Alamdaar) x6

  9. Bali Sakina yahi kehti he rokar
  10. Koi chachajaan se kehde ye jaakar

    Mein huwi be ass Haye Alamdar

    Koi nahin paas Haye Alamdaar

    Ab nahin pani ki talabgaar

    (Alamdaar) x6

  11. Bain he kulsum ke jeeke karun kya
  12. Tera alam dekh ke karti hu(n) nawha

    De gaya tu gham Haye Alamdaar

    Karti hu(n) matam Haye Alamdaar

    Ay mere parde ke nigehdaar

    (Alamdaar) x6

  13. Chalne lagi jis ghari bhayi pe shamsheer
  14. Ro ke ye kehne lagi Zainabe dilgeer

    Bhai ko mere Haye Alamdaar

    Aake bachaale Haye Alamdaar

    Kon bane sheh ka madadgaar

    (Alamdaar) x6

  15. Dhal gaya din dasht mein sham jab aayi
  16. Aale payambar ki thi ban mein duhai

    Ban ke maseeha Haye Alamdaar

    Lot ke aaja Haye Alamdaar

    Ghar na jalaade ye sitamgaar

    (Alamdaar) x6

  17. Parti he nade ali ale payambar
  18. Kehti he rokar yahi aale payambar

    Kisse kahein hum Haye Alamdaar

    Apne sabhi gham Haye Alamdaar

    Hum huwe lachaar-o-dilafgaar

    (Alamdaar) x6

  19. "Mazharo irfan" wo kaisa tha manzar

Lut gaye ehle haram chin gayi chadar

Boli ye fizza Haye Alamdaar

Kyun nahin aaya Haye Alamdaar

Ban gayi khud Zainab-e-lachaar

(Alamdaar) x6

Bazaar Agaya He

Noke sina pe farqe burida salam le
Ay Fatima ke qalbe darida salam le
Kya tera faisla he
Behan kya kare bata


(Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  1. Athara bhaiyon ki behan aur berida
    Dekho khare hein kitne tamashaai ja baja
    Dil roke puchhta he, Behan kya kare bata
  2. (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  3. Khutbon ki tegh saath he aur sabr dhaal he
    Zakhmon se chur chur badan dil nidhal he
    Ye meri karbala he, Behan kya kare bata
  4. (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  5. Naaqon pe ehle bayt bhi gham ke safeer hein
    Pathhar he taziyane hein neze hein teer hein
    Zakhmon ki ye dawa he, Behan kya kare bata
  6. (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  7. Na paak in zabaanon pe ab naam he mera
    He qafele ka karwan ghairat ka ik khuda
    Ye gham bohot bara he, Behan kya kare bata
  8. (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  9. Aankho(n) se kyu na ho meri seylaab-e-gham rawaa(n)
  10. Qaydi rasool-e-zaadiyaa(n), Sajjad saarebaa(n)

    Sadmo(n) ki inteha hai, behan kya kare bata

    (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  11. Jana he sar khule mujhe darbaar kuchh bata
    Ey karwane dard ke salar kuchh bata
    Tu zabt ka khuda he, Behan kya kare bata
  12. (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  13. Nake se girgayi he sakina mere hussain
    Kya jaane ab kahan he hazina mere hussain
    Anjaan rasta he, Behan kya kare bata
  14. (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  15. Darbaar aaraha he behan kya kare bata
    Kulsum ham nawa he behan kya kare bata
    Har zakhm puchhta he, Behan kya kare bata
  16. (Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x2

  17. "Irfan" dard he tujhe aur gham se agahi
    Likhti kitabe ranjo alam "mazhar abdi"
    Aur naam ye rakha he, Behan kya kare bata

(Bazaar agaya he, Behan kya kare bata) x3

Jeete Raho Auno Muhammad

Al-amaa(n) hazar

Kuchh aise lare jang mein zainab ke dulhare

maidaan se udu bhage sabhi khof ke mare

Ghulthakeran aisa kabhi parte nahin dekha

bachhon ko is andaaz se larte nahin dekha

barhte the kabhi gah sarak jaate the abbas

jab waar who karte the to ye farmaate the abbas

jeete raho auno Muhammad

(Jeete raho auno Muhammad) x2

  1. Tegh zameen ka hunar tumhi dikhate raho
  2. Khoon se talwaar ki pyaas bhujate raho

    dushmane shabbir ki hasti mitate raho

    haidari jaaho hasham aur barhate raho

    Aise laro phir hi kahein fatehe khaiber

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  3. Aise chale tegh ab dashto daman kaat de
  4. Waar karo sar pe tum kar who badan kaat de

    marhabo antar ke dil tere kafan kaatde

    Nehr ki har moj ko tashnadahan kaat de

    Jhoom ke khud teghe ali bole muqarrar

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  5. Qalb mein jaakar laro lashkare kuffar ke
  6. Chehr pe tewar rakho jafare tayyar ke

    Zarb mein andaaz ho haidare karrar ke

    Jag uthe dasht se ehle sitam haar ke

    Aye baqiyyah se sada doshe hawa par

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  7. Saye se talwar ke mot bhi bachkar chale
  8. Ek qadam aage na peeche ye lashkar chale

    Charon taraf dasht mein mot ka manzar chale

    Mot kahe kaam kya donon jari gar chale

    Mere hunar tumne dikhaye hein yahaan par

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  9. Har baar sada dete the ey gaysuo walo
  10. Kya kehna he phir bhar ke wahi haat nikalo

    Rahwar barhe jaate hein baaghon ko sambhalo

    Halka he kari aankh zira poshon pe dalo

    In hathon ke boson ke liye aye payambar

    Qasim bhi kahe mein bhi kahun aur ali akbar

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  11. Aun ye kehne lage khub Muhammad lare
  12. Goya Muhammad huwe aun bhi behad lare

    Maut ko bhi dasht mein karte huwe rad lare

    Donon lare is tarah jaise ab o jad lare

    Maa bhi dare khaima pe kehne lagi rokar

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  13. Larte huwe nehr par aagaye al akhtasar
  14. narghae ada mein phir girgaye donon pisar

    Teer kahin se chale aur kahin se tabar

    Shah ko awaz di girte huwe khaak par

    Pohonche shahe karbobala tha yahi lab par

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  15. Agaye abbas ki ankhon mein ashke aza
  16. Jeet gaye pyaas se nehr par who mehlaqa

    Nargae aada mein bhi donon ko ye yaad tha

    Maa ki naseehat pe hi hogaye donon fida

    Shukr ke sajde mein giri madare muztar

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  17. Donon ko maidan se khaime mein laye Hussain
  18. Halqa kiye lashon ka karne lage sab hi bain

    Fizza ne awaz di binte shahe mashreqain

    Shah pe sadqe huwe dekh tere nure ain

    Zainabe muztar ne kaha shane hila kar

    (Jeete raho auno Muhammad) x3

  19. Kya hashr tha khaime mein bapa mazharo irfan

Shabbir jo lasho(n) pe huwe lashon chaak girehban

Lashon se mukhatib yun huwi zainabe zishan

Tum bhai pe qurban huwe tujpe mein qurban

Jo kehke chale ghar se wohi karke dikhaya

Ab qadr huwi maa ko bara fakhr he tumpar

(Jeete raho auno Muhammad) x3

Kehti thi Sakina ro ro kar

Haye Sakina (x6)

Shab ki tareeki mein aksar

Zindane sham mein ghabrakar

Shimr ke ddar se yaade padar se

Maa se lipat kar

(Kehti thi sakina ro ro kar, Ay amma yahan se riha ho kar, Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

  1. Koi sunta nahin faryad meri
  2. (He zakhm bara is dil pe yahi) x2

    Dada se kahungi ghum apne

    Jis roz yahan se jaaoungi

    Kab tak mein rahungi nawhagar

    Kehti hun jabhi to mein aksar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo

  3. Dada ki lahad par jaaoungi
  4. (Ye neel unhe dikhlaungi) x2

    Ye zakhmi kaan jala kurta

    Sughra ko dikhane jaaoungi

    yaad aye kabhi mujhko khwahar

    Yaad ayein kabhi dada haidar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo

  5. Jo bibi payambar zaadi he
  6. (Wo bhi to yahaan faryaadi he) x2

    Yasrab ke tasawwur ne amma

    Ek rahe sukoon dikhlaati he

    Ho khatm aziyyat ka ye safar

    Bhar jaayenge sare zakhme jigar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo

  7. Ab aur ghamo(n) ki taap nahin
  8. (Ro ro ke ye ankhein khushk huwi) x2

    Kya tum ko gawara he amma

    Ban jaye mera marqad bhi yahi

    Kuchh khauf nahin marne ka magar

    Ehsaan karo itna mujhpar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo

  9. Har raat huwi matam mein basar
  10. (Har din hi guzara ro ro kar) x2

    ye zakhme aseeri zakhme jigar

    Zalim ke tamaache yaade pidar

    Milti he sazae maut agar

    Ye akhri khwahish he maadar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo

  11. Azad parindon par aksar
  12. (Ay amma meri jaati he nazar) x2

    Us waqt khayal ata he mujhe

    Kab qaid se chhut kar jaayenge ghar

    He khof laino(n) ka dilpar

    Faryaad karun kyu(n) na rokar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo

  13. Ankhon ko rasai dene lage
  14. (Sab zakhm duhai dene lage) x2

    Jab mot mere sar par aayi

    Ye log rihai dene lage

    Ye lamhe ghaneemat he maadar

    Ye zakhm banenge rakhte safar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo

  15. Dada ko wahaan pursa denge
  16. (Phir fateha khani karlenge) x2

    Jab dil ko sukoon miljayega

    Ham log watan ko jaayenge

    Sab royenge qabre zehra par

    Jo meine kaha socho manzar

    (Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

    Kehti thi sakina ro ro kar

    Ay amma yahan se riha ho kar

    Ya najaf chalo ya watan chalo

  17. "Irfan" aur mazhar apna watan

(He bibi sakina ka madfan) x2

Nisbat he najaf ki matti se

Payenge usi dharti ka kafan

Jab waqte qaza hoga humpar

Kehdenge farishto(n) se rokar

(Ya najaf chalo ya watan chalo) x2

Kehti thi sakina ro ro kar

Ay amma yahan se riha ho kar

Ya najaf chalo ya watan chalo

Mera ghazi na jaane kahaan he

Jab huwe maqtool ghazi, Zulm ki shamsheer se
marsiya nikla tha logo, Ye dil-e-shabbir se
Nau shabein jaaga huwa tha, Paasbaane ehle bayt
Sogaya pehra badal kar, Zainabe dilgeer se

Ye sada barsare karbala hai
(Mera ghazi na jaane kahaan hai) x2
Ye sada barsare karbala he

  1. Suna ban he sitamgar hai ye shab
    (Pehra deti he khaimon ka Zainab) x2
    Phir bhi hoton pe ye marsiya he
  2. (Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
    Ye sada barsare karbala he

  3. Sabr kaise kare ab Sakina
    (Pyaas karti he dushwaar jeena) x2
    Khushk hoton pe bas ye buka he

  4. (Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
    Ye sada barsare karbala he

  5. Janibe khaima aata he lashkar
    (Ye na ho shimr le jaaye chaadar) x2
    Bibi Kulsum ki ye sada he

  6. (Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
    Ye sada barsare karbala he

  7. Kya kahe kis tarah de dilase
    (Mar na jaayein tarap kar ye pyaase) x2
    Nawha khwaan binte khairun nisa he
  8. (Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
    Ye sada barsare karbala he

  9. Bibi fizza ye karti he ye naale
    (Koi mushkil kusha ko bulale) x2
    Zulm ki zad pe ale aba he
  10. (Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
    Ye sada barsare karbala he

  11. Shor utha who aaye sitamgar
    (Chhin gayin chadarein aur jala ghar) x2
    Ek ik bibi mehwe buka he

  12. (Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
    Ye sada barsare karbala he

  13. Bain karti he zainab ye rokar
    (Ek neze pe he bhai ka sar) x2
    Ek neze pe meri rida he

  14. (Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
    Ye sada barsare karbala he

  15. Lut gaye jab haram aaye haider
    (Baap se boli Zainab ye ro kar) x2
    Dekho ujri huwi karbala he

  16. (Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
    Ye sada barsare karbala he

  17. Aise "irfan-o-mazhar" buka ho
    (Nawha khwani ka haq to ada ho) x2
    Jab ke misra ye khud marsiya he


(Mera ghazi na jaane kahaan he) x2
Ye sada barsare karbala he

Sadqa ali asghar ka

Inkar asmaa(n) ko he

Razi zameen nahi(n)

Asghar tumhare khoo(n) ka thikana kahi(n) nahi(n)

Chehre pe khun mal ke shahenshahe behrobar

Ehsaan kardiya he bara qainat par

Ye zameen asghar ka sadka

asmaan asghar ka sadka

(roze ashura se ab tak) x2

khaa rahe hein dono(n) jahaa(n )

sadka ali asghar ka

sadka ali asghar ka

  1. Yunhi nahin ye bezubaan
  2. Babul hawaij bangaya

    Is ke waseele se khuda

    Sunta raha sab ki dua

    Dunya ke har zi nafs ko

    Likhna para kehna para

    (roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  3. Malik he ye kaunain ka
  4. Beta he ye hasnain ka

    Is bezaban se lo laga

    Zamin he ye sukh chain ka

    Jab milgayi gham se shifa

    Nara bana darain ka

    ( roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  5. Ye rizk jo khate hei(n) hum
  6. Kaise mila kyunkar mila

    Sunkar zamee(n) is baat ko

    Kehne lagi ye bar mala

    Mein banj hojati agar

    Girta lahu besheer ka

    (roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  7. Tum jab kabhi Pani piyo
  8. Shukre Ali Asghar kaho

    Shukre Ali Asghar kaho

    Jab rizk ki tangi na ho

    Ye baat mein ne kyun kahi

    Is ka sabab he momino

    (roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  9. Shabbir ke besheer ka
  10. Jhula kahin jo dekhlo

    Pehle karo usko salam

    Aur phir ziyarat bhi karo

    Koi sabeel aaye nazar

    Jab rah mein to ye kaho

    (roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  11. Ye raz he ya mashwara
  12. Sunlo magar ahle aza

    Jab bhook ki shiddat barhe

    Miljaye jab aabo ghiza

    Karna isi besheer se

    In nematon ka shukriya

    (roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  13. Is dard mein dube huwe
  14. Qirtas ne samjha diya

    Chehre pe jo sheh ne mala

    Us khun ne batladiya

    Meine parhi jab karbala

    Ehsaas ne samjha diya

    (roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  15. Har majlise shabbir mein
  16. Kehta he har zakir yahi

    Is majlise shabbir mein

    Bethi he maa shabbir ki

    Miljata he unko sukoon

    Kehte hein jab ye maatami

    (roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  17. Jo zojae hur laayi thi
  18. Pyasion ki khaatir haziri

    Ghar ghar mein ye ehle aza

    Karte hein uski perawi

    Jab dekhte hein haziri

    Kehta he dil ro kar yahi

    (roze ashura se ab tak) x2

    khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

    sadka ali asghar ka

  19. Irfano mazhar abidi

Pegham he apna yahi

Socho agar to rizq hein

Ye ilm or ye agahi

Unke karam ki bheek he

Ye lafz aur ye shairi

(roze ashura se ab tak) x2

khaa rahe hein donon jahaan sadka ali asghar ka

sadka ali asghar ka

Asghar tumhare hasne pe roti he foje sham

Tum teer kha ke aye ho ya teer maarke

Deene haq ke tazkiron ko is tarah se aam kar

Name asghar ka wazifa har ghari har gaam kar

Jab khuda ke deen ke saare sahara chhut gaye

Tab chala deene khuda asghar ki ungli thaam kar

Sakina Ka Janaza

Hai bekasi sajjad ki

Ehsaas huwa jab ke qaza kargai sakina

Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Sajjad ka zindaane sitam mein tha ye nawha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  1. Faqon pe basar karta raha mein nahin roya
  2. Kanton pe safar karta raha mein nahin roya

    Is gham ne mujhe ankhon se haye khun rulaya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  3. Pathrayi huwi ankhon ne mujhko ye khabar di
  4. Ehsaas huwa jab ke qaza kargayi bachhi

    Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  5. Taqdeer ne ay baba sitam kaisa kiya he
  6. Maut aane se pehle hi mujhe maar diya he

    Zindaan mein aakar mujhe batlaao khudara

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  7. Hei(n) beriya(n) pero(n) mei(n) magar dil he giraftar
  8. ye kaisi ghari ayi imamat huwi lachaar

    Ejaze imamat na dikhau(n) to karu(n) kya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  9. Na taaqti aisi he ke chalne nahi(n) deti
  10. Zainab ne kaha uspe ye zanjeer he bhari

    Sajjad sambhalu(n) mei(n) tujhe ya mere beta

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  11. Chipka tha badan se jo wohi kurta kafan he
  12. Ye soch ke khun rota ye mehroome watan he

    Kis tarah sakina ko yahaa(n) dafn karunga

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  13. Is bachhi ne ghurbat mei(n) bohot saath diya tha
  14. Peene ko mila pani to zanjeero(n) pe dala

    Afsos ke mei(n) uski madad kar nahi(n) paya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  15. Zanjeer bhi he nawha kuna mein bhi haram bhi
  16. Zindan mein he masroofe fugha mein bhi haram bhi

    Is manzare ghamnaak pe sab karte hei(n) girya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  17. "Irfan-e-aza" tera har ek lafz he "mazhar"

Phir bhi tu raqam kar nahin paya he who manzar

Ye baat he sajjad ke nawhe ka khulasa

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

(Hai bekasi sajjad ki)x3

Sakina Ka Janaza

Hai bekasi sajjad ki

Ehsaas huwa jab ke qaza kargai sakina

Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Sajjad ka zindaane sitam mein tha ye nawha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  1. Faqon pe basar karta raha mein nahin roya
  2. Kanton pe safar karta raha mein nahin roya

    Is gham ne mujhe ankhon se haye khun rulaya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  3. Pathrayi huwi ankhon ne mujhko ye khabar di
  4. Ehsaas huwa jab ke qaza kargayi bachhi

    Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  5. Taqdeer ne ay baba sitam kaisa kiya he
  6. Maut aane se pehle hi mujhe maar diya he

    Zindaan mein aakar mujhe batlaao khudara

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  7. Hei(n) beriya(n) pero(n) mei(n) magar dil he giraftar
  8. ye kaisi ghari ayi imamat huwi lachaar

    Ejaze imamat na dikhau(n) to karu(n) kya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  9. Na taaqti aisi he ke chalne nahi(n) deti
  10. Zainab ne kaha uspe ye zanjeer he bhari

    Sajjad sambhalu(n) mei(n) tujhe ya mere beta

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  11. Chipka tha badan se jo wohi kurta kafan he
  12. Ye soch ke khun rota ye mehroome watan he

    Kis tarah sakina ko yahaa(n) dafn karunga

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  13. Is bachhi ne ghurbat mei(n) bohot saath diya tha
  14. Peene ko mila pani to zanjeero(n) pe dala

    Afsos ke mei(n) uski madad kar nahi(n) paya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  15. Zanjeer bhi he nawha kuna mein bhi haram bhi
  16. Zindan mein he masroofe fugha mein bhi haram bhi

    Is manzare ghamnaak pe sab karte hei(n) girya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  17. "Irfan-e-aza" tera har ek lafz he "mazhar"

Phir bhi tu raqam kar nahin paya he who manzar

Ye baat he sajjad ke nawhe ka khulasa

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

(Hai bekasi sajjad ki)x3

No comments:

Post a Comment