Shaam aagaya Shaam aagaya
Karb o bala se loat ke aaya jo qafla
Qabr e Nabi pe matam e Shabbir jab hua
Zainab ne baal kholay Nabi ke mazaar par
Boli luta ke aayi hoon jangal may saara ghar
Aray Nana May roti rahi
Mera ghar ujrra
Tera deen bacha Nana
Laikin meray Hussain ne waada nibha diya
Hussain ya Hussain ya Hussain
Nana teray sheher se chala Zehra ka laadla
Deen ke kaam aa gaya
Salaar e qafla ban gaya
Beemar natawan
Aur phir Shaam aa gaya
Raahon ke sangrezon ne pursa diya usay
Haey Nana Shaam walon ne baaghi kaha usay
Aey deen ke badshah teray is mazloom laal par
Ye bhi ilzaam aa gaya
Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...
Aey Nana baazuon may jab baandhi gayi rasan
May ro parhi to naize se bolay Shah e zaman
Aey behna gham saho har gharhi ummat ke wastay
Sun ke aaram aa gaya
Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...
Nana bataoon kaise may kiya ho gaye sitam
Kufay ke dar pe jaise hi pohonchay aseer e gham
Abid ke lab hilay dekh kar Muslim ki laash ko
Lab pe Ash-Shaam aa gaya
Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...
Wahan ik Yahoodi rehta tha Bahya tha jis ka naam
Wo kalma parrh ke chaadarain le aaya khush kharam
Phir chadarain chini phir wohi behurmati hui
Sabr phir kaam aa gaya
Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...
Koofay may ham jo aa gaye beparda noha gar
Kehta tha Koofay walon se ye shimr e bad gohar
Hakim ko do khabar laya hoon naizon pe sab ke sar
Lenay in-aam aa gaya
Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...
Abid ko aa ke Khooli ne gham ki khabar ye di
Hakim ke samnay abhi peshi hay aap ki
Nana ye saneha aap ke sadaat ke liye Ban ke kohraam aa gaya
Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...
Beghairaton ke shahr may sadaat aa gayay
Pohonchay jo dil ko thaam ke haakim ke saamnay
Aey Nana us gharri aik ik bibi ke zehn may Tera zarghaam aa gaya
Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...
Wo batain likh saka hi nahi Mazhar Abidi
Jo keh rahi thi Nana se beti Batool ki
Aey Nana meray dard ka Irfan hay jisay
Aray ansoo na ruk sakain gay kabhi us ki ankh se
Jab Shaam pohoncha qafila
Sadaat may kohraam tha
Haey haey
Pathar bhi lagay
Sau zakhm sahay
Durray lagay
Tanay sahay
Sab hanstay rahay
Ham rotay rahay
Bas haey Hussaina kehtay rahay
Hussain ya Hussain ya Hussain
Haaye...
jab aai shaam ki basti me (nange sar zainab)..(2)
aseer o muztar o betaabo (nauhagar zainab)..(2)
mu'n apna baalo'n se dhaanpe thi u'nth par zainab
ye roke kehti thi har dam ba chashme tarr zainab
haaye...
behen husain ki hu'n fatima ki jaayi hu
mai karbala e mualla se lutke aayi hu
1. Ujaad maariya me kho gaya chaman mera
bichhad gaya ali akbar sa gulbadan mera
hua shaheed har ek sher sa shikan mera
lahu rulata hai khud mujhko ye sukhan mera
haan...
2. Sakina bibi ne tab haath jod kar ye kaha
sina se dekho to ye zulm ye sitam baba
phuphi ke nauhe se dil hota hai taho baala
ke shaam walo ne mujhko nhi hai pehchana
haan...
3. Na koi raah me aaram hai na soti hu
tadapti rehti hu behaal ghum se hoti hu
ghame faraaq me mu'n aansuo'n se dhoti hu
ye bayn karti hu aur subh o shaam roti hu
haan...
4. Nahaar oonto ki thaame hai abid e muztar
kahi'n se aag barasti hai aur kahi'n patthar
aseere tauq salasil hai kya kare yaawar
wo mar na jaaye kahin mera marsiya sunkar
haan...
5. Ye baat shaam ke logo ko kya khabar na hui
ke ye jo oonto'n pe aaye hai sar khule qaidi
falak nasheen hai in qaidiyon me har bibi
khudara shaam ke logo ko ye bataye koi
haan...
6. Suna hai hoga ta'arruf abhi yaha'n mera
zamee'n chupa le mujhe ya utha le mujhko khuda
na sun sakungi shaqi ki zabaa'n se naam apna
sunu bhi kaise gawara lahu nahi karta
haan...
7. Zamee'n dabeer ki tazmeen hai ye mazhar ki
fughaa'n labo pe hai irfan ghum ke manzar ki
azaan e ranjo alam hai ye qalbe muztar ki
sadaa rulaegi ta hashr binte haider ki
haan...
Habib tum par salam e hussain..(4)
Chale aao karbobala..(2)
Akela hua hai hussain
Habib tum par salam e hussain..(2)
Mere habib, ay mere dost, ay meri aankho ke chayn
Habib tum par..(2)
1. Rajab me madine se nikla tha mai
mohabbat thi jisse wo ghar chhod kar
mai sehta raha sakhtiya'n ay habib
rasool e khuda sheher chhod kar
chale aao karbobala...
2. Bohot mukhtasar sa hai lashkar mera
muqabil to mere hai laakho adu
wafadar bhi ho bahadur bhi ho
nazar dhundhti hai tumhe chaar su
chale aao karbobala...
3. Mere khoo'n ke pyase hai ye ehle sharr
mere qatl ki hai ye tayyariya'n
laeeno ki teghe bhi hai muntazir
tumhari zarurat hai mujhko yahan
chale aao karbobala...
4. Abhi mera maqtal saja bh nahi
magar mujhpe roti hai karbobala
meri bekasi ka hai jo marsiya
agar sunna chaho to ay hamnawa
chale aao karbobala...
5. Ye tehreer padhte hi nikle habib
to rahwaar roka sare karbala
kiya aake sheh ko salam e wafa
habib e hazi se ye sheh ne kaha
acha kiya habib tum yaha aagaye
mere habib, ay mere dost, ay meri ankho ke chayn
6. Ye dekho ye dekho sitam
kahan mere khaime kahan alqama
jo dil par hai guzri sunaunga mai
jo tum aa gaye to dilasa mila
acha kiya habib tum yaha aagaye
7. Ye mazhar, ye irfan, ye matami
hai tarteeb me karwaan e aza
ye sab hai habib e shahe mashraqain
sare hashr bolenge shahe huda
Habib tum par salam e hussain..(4)
Khwaab mein dekhti hai Sakina
Bhaiya qaasim ka aya he sehra
Jab na aaya nazar usko dulha
Are maqtal mein usko dhundne nikli woh jaa ba jaa
(Nagaah usko laasha-e-qasim nazar aaya) x2
(Laashe qasim pe boli Sakina, Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo) x2
1. (Ghar mein shaadi ki masnad bichhi he) x2
Fatima Kubra dulhan bani he
Dhoom shaadi ki ran mein machi he
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
2. (Manqabat dada haider ki parh kar) x2
Haath mein tera sehra utha kar
Tujhko awaaz deti he khahar
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
3. (Ye ghari mujhko rab ne dikhaayi) x2
Aaj hai teri rasme hinaai
Neg mehndi ka dena he bhaai
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
4. (Kaisa kubra ka bigra muqaddar) x2
Siyaah kapre hai uske badan par
Kyun ye kehti hun mein ban mein ro kar
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
5. (Jis ghari tuta khwaab-e-Sakina) x2
Khud ko usne sar-e-dasht paaya
Peet ke sar pukaari woh dukhya
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
6. (Hai phupi ke labon par ye nauha) x2
Hogaya qatl maqtal mein dulha
Raegaa(n) he mera ab ye kehna
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
7. (Amma farwa ko kaise sambhaalun) x2
Kis tarha mei tasalli unhe du(n)
Pehle khud ko ye kehke sambhaalo
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
8. (Dasht mein tha jo pur dard manzar) x2
Kehrahi paaye irfaano mazhar
Kaanpti thi zamee(n) bas ye sunkar
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Khwaab mein dekhti hai Sakina
Bhaiya qaasim ka aya he sehra
Jab na aaya nazar usko dulha
Are maqtal mein usko dhundne nikli woh jaa ba jaa
(Nagaah usko laasha-e-qasim nazar aaya) x2
(Laashe qasim pe boli Sakina, Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo) x2
1. (Ghar mein shaadi ki masnad bichhi he) x2
Fatima Kubra dulhan bani he
Dhoom shaadi ki ran mein machi he
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
2. (Manqabat dada haider ki parh kar) x2
Haath mein tera sehra utha kar
Tujhko awaaz deti he khahar
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
3. (Ye ghari mujhko rab ne dikhaayi) x2
Aaj hai teri rasme hinaai
Neg mehndi ka dena he bhaai
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
4. (Kaisa kubra ka bigra muqaddar) x2
Siyaah kapre hai uske badan par
Kyun ye kehti hun mein ban mein ro kar
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
5. (Jis ghari tuta khwaab-e-Sakina) x2
Khud ko usne sar-e-dasht paaya
Peet ke sar pukaari woh dukhya
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
6. (Hai phupi ke labon par ye nauha) x2
Hogaya qatl maqtal mein dulha
Raegaa(n) he mera ab ye kehna
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
7. (Amma farwa ko kaise sambhaalun) x2
Kis tarha mei tasalli unhe du(n)
Pehle khud ko ye kehke sambhaalo
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
8. (Dasht mein tha jo pur dard manzar) x2
Kehrahi paaye irfaano mazhar
Kaanpti thi zamee(n) bas ye sunkar
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
Laashe kaasim pe boli Sakina
Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo
No comments:
Post a Comment