Monday, 17 February 2025

Irfan Haider (2008)

Alvidaa shehzada-e-Qasim

Alwidaa Shehzada-e-Qasim Alwidaa

Saji Huwi Hai Karbala, Jaao Tumhe Allah Ko Sompa, Magar,

Ab Kisse Kehke Bulaunga Mai Tasweer-e-Hassan

Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  1. Zainab-e-Khasta Jigar, Aur Kulsum-e-Hazeen
  2. Hoke Masruf-e-Bukaa, Ghash Pe Ghash Khaane Lagi

    Roke Kehti Hai Phuphi, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Izne Dekho Na Akhi, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Tu Sifarish Ke Liye Laaya Jo Tawiz-e-Hassan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  3. Bhai Shabbar Ki Mere, Ik Nishaani Tum Ho
  4. Kaise Marne Ke Liye, Bhejdun Mai Tumko

    Tumhi Akber Ho Mere, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Tumhi Lashkar Ho Mere, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Sang Iss Dil Pe Rakhaa Phir Yeh Kiye Maine Sukhan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  5. Dediya Izne-Wighaa, Thaam Ke Qalbo-Jigar
  6. Tum Bhi Hojaao Judaa, Ay Mere Nure-Nazar

    Jaao Hafiz Hai Khuda, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Roke Sarwar Ne Kahaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Alwidaa Tujhko Kahaa, Hone Lagi Dil Mei Chubhan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  7. Maa Ke Armaan Hai Kya, Yeh Nahin Socha Kabhi
  8. Kya Hai Behnon Ki Dua, Yeh Nahin Socha Kabhi

    Tum Jo Marne Ko Chale, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Zakhm-e-Dil Gehre Huwe, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Bewaa Lagne Lagi Yeh Kehte Hii Ik Shab Ki Dulhan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  9. Maardalega Mujhe, Teri Furqat Ka Yeh Gham
  10. Tu Suwe Dasht Na Jaa, Tujhko Sughra Ki Qasam

    Waqt Yeh Kaisa Padaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Jo Ho Manzur-e-Khudaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Dasht Se Laaunga Gathri Mei Tera Tukde Badan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  11. Ban Mei Jab Jaaoge Tum, Yeh Toh Mujhko Hai Khabar
  12. Tan Se Kardoge Judaa, Arzaqe Shaami Ka Sar

    Hai Magar Yeh Bhi Yaqee(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Tujhko Gheirenge Laee(n), Ay Mere Shere-e-Jawaan

    Haaye Hojaaega Paamaal Yeh Naazuk Sa Badan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  13. Dashte Ghurpat Pe Mujhe, Sab Ke Sab Chhodgaye
  14. Aur Shahadat Ke Liye, Tum Qamar Bastaa Huwe

    Meri Mayyat Ke Liye, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Chaar Kaandhe Na Rahe, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Ab Yaqee(n) Hogaya Rehjaaunga Begoro Kafan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  15. Dekh Maadar Ki Taraf, Kaisi Karti Hai Bukaa
  16. Aankh Mei Dajlaae Gham, Aur Honton Pe Sadaa

    Dekh Marjaaye Na Maa(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Kaise Bhejun Me Wahaa(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Tu Jahaan Jaane Ko Kehta Hai Woh Hai Mawt Ka Ban

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  17. Roke "Mazhar" Ne Kahaa, Yeh Hai "Irfan"-e-Aza

Jab Tasawwur Mei Gaya, Mera Dil Qaamp Uthha

Kaise Maula Ne Kahaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Jaa Sue Dashte-Qazaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Aaj Bhi Rota Hu(n) Jab Honton Pe Aata Hai Sukhan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x3

Chale aao baba

(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Chale Aao Baba) x2

Sunaati Hai Mujhko Phuphijaan Kahaani, Karun Kya Magar Neend Aati Nahin Hai

(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x2

  1. Kaleje Mai Uthta Hai Ik Dard Aisa,
  2. Ke Jiske Liye Na Dawaa Na Dilaasa

    Mai Kal Tak Toh Sine Pe Soti Thi Baba,

    Yehi Soch Kar, Neend Aati NAhin Hai

    (Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2

  3. Huwaa Kyun Na Jaane Sitamgar Zamaana,
  4. Kabhi Gurkhiyan De Kabhi Taziyana

    Yehi Khauf Hai Jo Satata Hai Mujhko,

    Issi Baat Par, Neend Aati Nahin Hai

    (Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2

  5. Rulaati Hai Mujhko Laeenon Ki Baatein,
  6. Guzarti Hai Aise Yateemi Ki Raatein

    Kahin Shimr Aakar Tamaache Na Maare,

    Hai Dil Mai Yeh Dar, Neend Aati Nahin Hai

    (Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2

  7. Khabar Hai Yeh Mujhko Khataa Meri Kya Hai,
  8. Yehi Na Ke Jadd Mera Mushkil Kusha Hai

    Sunaaye Woh Mushkil Kusha Mujhko Lori,

    Unhe Do Khabar, Neend Aati Nahin Hai

    (Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2

  9. Yateemi Ka Ehsaas Hii Ik Sitam Hai,
  10. Musalsal Tarapne Se Hoton Pe Gham Hai

    Agar Ab Yeh Zindaan Hii Ghar Hai Mera,

    Chale Aao Ghar, Neend Aati Nahin Hai

    (Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2

  11. Kabhi Maine Socha Nahin Tha Yeh Baba,
  12. Ke Tumse Bichhadkar Bhi Jeena Padhega

    Tumhaare Bina Hii Mujhe Ab Hai Jeena,

    Yehi Jaankar, Neend Aati Nahin Hai

    (Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2

  13. Phuphi Jaa(n) Se Aksar Suna Hai Yeh Nauha,
  14. Tadapta Hai Ban Mai Shah-e-dee(n) Ka Laasha

    Mere Paas Aajaao Maqtal Se Baba,

    Tumhe Bhi Agar, Neend Aati Nahin Hai

    (Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2

  15. Masaaeb Ne Yeh Haal Sab Ka Kiya Hai,
  16. Ke Din Raat Matam Hai Aaho Bukaa Hai

    Phuphi Ho Ke Sajjad Ho Ya Sakina,

    Kisi Ko Idhar, Neend Aati Nahin Hai

    (Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2

  17. Yeh "Irfan-o-Mazhar" Ke Dil Ki Sadaa Hai,

Jaha Shahzadi Ka Madfann Banaa Hai

Hai Jisne Bhi Dekha Sitam Ka Wo Zindaan,

Usse Umr Bhar, Neend Aati Nahin Hai

(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x2

Khat-e-Sughra

Haaye Sughra, Udaasi Ghar Mai Nauha Khwaan Thi

Haaye Sughra, Shabihe Zehra Pareshaan Thi

Haaye Sughra, Jab Yaad Sataane Lagi Ahl-o-Ayaal Ki

Sughra Ne Ik Charaagh Jalakar, Baba Ko Khat Likha

  1. (Watan Mai Chhorgaye, Apni Shahzadi Ko) x2
  2. Hamaare Baad Khushi Koi, Jab Manaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aayenge) x3

  3. Salaam Bheja Hai Sughra Ne, Bas Yehi Kehkar
  4. Na Maut Aayi Na Tum Aaye, Na Ali Akber

    Parinde Lout Ke Jab Bhi, Gharon Ko Jaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3

  5. Yeh Baap Beti Ki Ulfat Toh, Kam Nahin Hogi
  6. Dukhe Huwe Mere Iss Dil Ko, Hai Sukun Yehi

    Ghale Se Baali Sakina Ko, Jab Lagaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3

  7. Mera Shabihe Nabi Akber, Jab Azaa(n) Dega
  8. Zohr Ho Fajr Ho Maghrib Ho, Asr Ho Ke Isha

    Namaz Parhte Jo Daste, Dua Uthaayenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3

  9. Chalaa Tha Ghar Se Safar Ko Jo, Kaarwaa(n) Mera
  10. Humak ke Gowdi Me Aaya Tha, Bezubaa(n) Mera

    Jab aap Jhulaa Mere Bhai, Ka Julaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3

  11. Chacha Bhatiji Ki Ulfat Toh, Yaad Hai Baba
  12. Alam Ke Saaye Mai Rehti Thi, Fatema Sughra

    Mere Chacha Ka Alam Jab, Wahaa(n) Sajaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3

  13. Safar Pe Jaane Se Pehle Yeh, Baat Hoti Thi
  14. Ke Sab Se Pehle Dulhan Aaye, Ghar Mai Qasim Ki

    Jab aap Dasht Mai Dulha, Usse Banaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3

  15. Yeh Itminaan Mere Baba, Hai Mere Dil Ko
  16. Koi Kaniz Ho Kubra Ho, Ya Sakina Ho

    Kisi Ko Pyaar Se Jab Bhi, Ridaa Urhaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3

  17. Safar Mai Eid Jab Aayegi, Sayyed-e-Zeesha(n)
  18. Chacha Ho Aap Ho Akber Ho, Ya Phuphi Amma(n)

    Sakina Bibi Ko Jab, Baaliya(n) Penaaenge

    (Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3

  19. Jo khat Mai Bayn The Sughra Ke, "Mazhar-o-Irfa(n)"

Pisar Ki Laash Pe Parhte The, Sayyed-e-Zeesha(n)

(Watan Mai Chhodgaye Apni Shahzadi Ko) x2

Hamaare Baad Khushi Koi Jab Manaaenge

(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge)

Khuda Hafiz-o-Nasir

Khuda Hafiz-o-Nasir, Khuda Hafiz-o-Nasir

Khuda Hafiz-o-Nasir

(Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna) x2

(Zindagi Rahi Toh Phir Milenge) x2

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  1. Waise Bhi Ab Iss Duniya Mai Jine Ka Mazaa Kya
  2. (Hamshakle Payamber Hai Na Abbas Hai Mera) x2

    Rukhsat Karo Shabbir Ko Ye Kehke Khudaara

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  3. Dil Sine Mai Betaab Hai Aur Lab Pe Bukaa Hai
  4. (Iss Dasht Mai Ab Tera Nigehbaan Khuda Hai) x2

    Yeh Sochke Maqtal Ko Chalaa Bhai Tumhara

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  5. Logo Ne Hamei(n) Lutliya Ghar Se Bulaakar
  6. (Baitha Hu Abhi Laashon Se Maqtal Ko Sajaakar) x2

    Allah Se Ummeed Rakho Ay Meri Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  7. Har Gaam Pe Yeh Jumla Tumhe Honsla Degaa
  8. (Jab Ahmed-e-Mursal Na Rahe Kaun Rahega) x2

    Mat Girya Karo Degi Yehi Baat Sahara

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  9. Padh Naade Ali Bhai Pe Rone Ke Bajaaye
  10. (Takte Hai Meri Raah Wahaa(n) Mawt Ke Saaye) x2

    Yeh Kehte Huwe Rota Hai Mera Bhi Kaleja

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  11. Tum Qaatib-e-Taqdeer Se Shikwa Nahi Karna
  12. (Ham Ghar Se Chale jaaye Toh Girya Nahin Karna) x2

    Bas Marzi-e-Maabud Pe Imaan Hai Apna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  13. Woh Aun-o-Muhammed Ho Ya Abbas Ya Akber
  14. (Qasim Sa Hasee(n) Phul Ke Hurr Jaisa Dilawer) x2

    Har Eik Ko Yeh Kehke Tere Bhai Ne Bhejaa

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  15. Kulsum Ko Kubra Ko Lo Baba Ko Sambhaalo
  16. (Roro ke Na Marjaaye Sakina Ko Sambhaalo) x2

    Yeh Keh Toh Diya Usne Sidhaaro Mere Baba

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  17. Kuch Der Huwi Tumne Toh Dekha Tha Yeh Manzar
  18. (Hamshir Se Yeh Kehke Chalaa Tha Ali-Asgher) x2

    Mai Nusrate Shabbir Ko Jaata Hu(n) Sakina

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

    Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

    Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

  19. Ay Kaash Yeh Din Hamko Bhi Dikhlaaye Muqaddar

(Ho "Mazhar-o-Irfan" Bhi Qabre Shah-e-dee(n) Par) x2

Aur Jaate Huwe Hamse Kahe Zehra Ka Beta

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Ab Ham Bhi Sue Dashte Balaa Jaate Hai Behna

Zindagi Rahi Toh Phir Milenge

Manam safeer-e-aza

Bar Muhammad wa aal-e-Muhammad salawaat

Allahuma salle ala Muhammadin wa aal-e-Muhammad

(Manam safeer-e-aza) x2 Manam safeer-e-Karbala

  1. Zamee(n) pe hamko bhejkar (Nabi se rabne kehdiya) x2
  2. Yahi to hai wo kaam jo karengi zikr-e-karbala

    Qabila inka eik hai, Wasila inka eik hai

    Hussain ke hai matami jo kehrahe hai par mala

    Maa(n) ki godi mei suni mene ye nawho(n) ki azaan

    Gutniyo(n) chalne jo paaya to mila farsh-e-aza

    Sheer-e-madar se mere khun mei ye baat basi

    Jab talak saans rahe, jaari rahe lab pe sada

    Manam safeer-e-aza

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  3. Labo(n) pe hai yahi sada, (mujhe hai fakhr bakhuda) x2
  4. Sabab mere wujood ka bani dua-e-Sayyeda

    To kyu(n) na jaawu(n) har jaga, Bara-e-majlis-e-aza

    Sikaarte aza ka kaam Sayyeda ne de diya

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  5. Suno(n) mere Hussayniyo, (meri sada mei saath do) x2
  6. Nadeem-e-shaah-e-Karbala jo mei bhi hu(n) jo tum bhi ho

    Kaho ye baat har jaga, Saja ke lab pe karbala

    Tumhaare khu(n) ki eik eik bund se uthe sada

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  7. Gineez book hai cheez kya (falak pe likha jaayenga) x2
  8. Tumhaara naam aur iska saath safeer-e-aza

    Magar bas eik shart hai, Zabaa(n) tumhaari jab khule

    Sunaao(n) maqsad-e-Hussain bas ye kehke har jaga

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  9. Jo hai yazeed ke pisar (zabaa(n) kaat de agar) x2
  10. Lahu se ik sada uthe, kare hawaao(n) mei safar

    yazeed ke sipaahiyo(n), suno meri sada suno

    Tumhare bas ki baat hi nahi ke mujhko do qaza

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  11. Hamari dars gaah ka (pata hai sirf karbala) x2
  12. Hamara dil pe hukmaraan hai pisaar Batool ka

    Jahaa(n) bhi ham rakhe qadam, rahenga dosh par alam

    Alam utha ke bawafa ka ham kahenge har jaga

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  13. Sikhaaya waalidayn ne (lahu pe tere qarz hai) x2
  14. Ye zikr-e-Shaah-e-karbala labo(n) pe har ghari rahe

    Charaagh-e-haq jaalaye jaa, Zamane ko bataaye jaa

    Mei zakir-e-Hussain hu(n), Hasab nasab hai ye mera

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  15. Meyaan-e-dasht-e-karbala (har ik shaheed-e-basafa) x2
  16. Badan pe teer khaa ke de raha tha bas yahi sada

    Shaheed-e-tashnakaam hu(n), Hussain ka ghulaam hu(n)

    Meri hayaat ka do aam, hai yahi laqab mera

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  17. Wo bint-e-Shaah-e-La Fatah (Huwi jo qayd se riha) x2
  18. To usne qayd-e-zulm mei manaaya gham Hussain ka

    Wo pehli majlis-e-aza, Bapa huwi to ye kaha

    Hussain tu gawaah hai, bani hu(n) baad-e-karbala

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

    (Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

  19. Sada hai ye "Irfan" ki (suno to "Mazhar Abidi") x2

Gham-e-Hussain ke liye hai waqf meri zindagi

Jahaa(n) talaq mere khuda, Karengi zindagi wafa

Mere badan se ruh se lahu se aayengi sada

(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

(Manam safeer-e-aza) x2 (Manam safeer-e-Karbala) x2

Meri Tarhaa Koi Yateem Na Ho

Qafla shah ka, haay warid-e-kufa jo huwa,

aan kar umme habiba ne sakina se kaha,

ay yatima tu mere waste yeh maang dua,

are teri tarhaa se kise ko na yatimi de khuda,

sunke bazaar me ye umme habiba ki buka,

are rookh suwe neza kiya aur sakina ne kaha, Baba

Dua mei karti, aamin kaho, meri tarhaa koi yatim na ho

Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan, Meri tarhaa koi yateem na ho

  1. Baba yateem ho kar, ehsaas ye huwa hai, kya cheez hai yatimi, har saas hi sazaa hai, Babajan
  2. Yeh meri dil ki hai aawaaz suno, meri tarhaa koi yatim na ho

    Sakina kehti thi ro ro kar (Babajaan)Meri tarhaa koi yateem na ho

  3. Awlaad waalay mujhe ko, kehne lagay yatima, pardes me sakina, par waqt kaisa aya, Babajan
  4. Yeh kehke sar pe merey haath rakho, Meri tarhaa koi yatim na ho

    Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan, Meri tarhaa koi yateem na ho

  5. Yeh aap jaantey hai, jo kaifiyat hai meri, socha kabhi nahi tha, bazaar me phiroongi, babajan
  6. To ab dua mei mera saath to do, meri tarhaa koi yatim na ho

    Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan, Meri tarhaa koi yateem na ho

  7. Kya haal kar diya hai, dekho to ashkiya ne, khaane ko kya milaa hai, zaalim ki taaziyaane, babajan
  8. Lagay jo pyaas to bas ashkh piyo, meri tarhaa koi yatim na ho

    Sakina kehti thi ro ro kar (Babajaan)Meri tarhaa koi yateem na ho

  9. Jeenay se mera dil to, bezaar hochuka hai, baazu bandhe hai sabke, mera gala bandha hai, babajan
  10. Meri aseeri ko dekho socho, meri tarhaa koi yatim na ho

    Sakina kehti thi ro ro kar (Babajaan)Meri tarhaa koi yateem na ho

  11. Kyu(n) zinda hai sakina, itne ghamo ko seh kar, zaalim mujhe bulaae, apni kaneez keh kar, babajan
  12. Me khud se kaisay kahu(n) sabr karo baba, meri tarhaa koi yatim na ho

    Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan Meri tarhaa koi yateem na ho

  13. Beti ki baat sun kar, sar shah ka pukaara, Sakina, sun kar fughaa tumhaari, rota hai dil humaara, (Meri jan)
  14. Khuda se mai yehee kehta hu suno, teri tarhaa koi yatim na ho

    Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan Meri tarhaa koi yateem na ho

  15. "Irfan" aur "Mazhar", rota hai is fughaa(n) par, shabir ki who dukhtar, kehti hai hum se rokar (Zaakiro)

Ye marsiya meri majlis me parho, meri tarhaa koi yatim na ho

Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan Meri tarhaa koi yateem na ho

Shaam-e-gharibaa(n)

Kaisi Qayamat Laikar Aayi, Dasht-e-Balaa Mai Sham-e-Gharibaa(n)

Saani-e-Zehra Thi Pehre Par, Tashna Dahan Ba Haale Parishaa(n)

Aaye Ali, Jab Dashte Balaa Mai, Baap Ko Beti Ne Pehchaana

Phenk Diya Tuta Huwa Neza, Kadmon Me Ghir Kar Boli Who Dukhiya

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

  1. Aap Aagaye Is Dasht Mei, Accha Kiya Baba
  2. Khud Dekhiye Kis Haal Mei, Hai Aapka Kunba

    Hai Baap Kisi Ka Yahaa(n), Beta Hai Kisi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

    Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

  3. Paamaal Huwa Dil Mera, Qasim Ki Tarha Se
  4. Saughaat Mujhe Kya Mili, Is Karbobala Se

    Kaata Hai Pas-e-Pusht Se, Sar Mere Akhi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

    Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

  5. Khaimo(n) Ki Bachi Raakh Hai, Saadaat Ka Bistar
  6. Kya Soyegi Is Raakh Par, Shabbir Ki Dukhtar

    Ye Jalti Huwi Ret Hai, Gehwaara Kisi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

    Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

  7. Paivast Mere Qalb Mei, Barchhi Ki Ani Hai
  8. Zainab Ki Toh Is Dasht Mei, Jaagir Luti Hai

    Who Dekhiye Laasha Mere, Hamshakle Nabi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

    Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

  9. Ay Baba Usse Khaagaye, Gham Karbobala Ke
  10. Paala Tha Jisse Aapne, Saaye Mei Abaa Ke

    Hai Dasht Mei Begoro Kafan, Laasha Ussi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

    Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

  11. Maanga Tha Jisse Aapne, Khaaliq Se Dua Mei
  12. Matam Hai Ussi Sheyr Ka, Maqtal Ki Fazaa Mei

    Gham Khagaya Uss Sheyr Ko, Bas Tashna Labi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

    Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

    Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

  13. "Mazhar" Yeh Bayaa(n) Sunte Hii, Rone Lagaa Irfa(n)

Thi Aale Nabi Dasht Mei, Kis Darja Pareshaa(n)

Yeh Dekh Ke Tukre Huwa, Dil Gham Se Ali Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Abbas-e-Jari Ka, Abbas-e-Jari Ka

Alvida.. shehzada e qasim.. alvida...
Saji hui hai karbala jao tumhe allah ko saunpa
magar
ab kise keh ke bulaunga mai tasweer e hasan
alvida gul pairahan qasim e tashna dahan

1) Zainab e khasta jigar aur kulsoom e hazi'n
hoke masroof e buka ghash pe ghash khane lagi
roke kehti hai phuphi, ay mere shere jawan
izn de kyu na akhi, ay mere sher e jawan
tu sifarish ke liye laya jo taviz e hasan

2) Bhai shabbar ki mere ik nishani tum ho
kaise marne ke liye bhej du mai tumko
tumhi akbar ho mere, ay mere sher e jawan
tum hi lashkar ho mere, ay mere sher e jawan
sang is dil pe rakha phir ye kiye maine sukhan

3) De dia izn e wega thaam ke qalb o jigar
tum bhi ho jao juda aye mere noor e nazar
jao hafiz hai khuda, ay mere sher e jawan
roke sarwar ne kaha, ay mere sher e jawan
alvida tujhko kaha hone lagi dil me chubhan

4) Maa ke armaan hain kya ye nahi socha kabhi
kya hai behno ki dua ye nahi socha kabhi
tum jo marne ko chale, ay mere sher e jawan
zakhme dil gehre hue, ay mere sher e jawan
bewa lagne lagi ye kehte hi ik shab ki dulhan

5) Maar dalega mujhe teri furqat ka ye gham
tu suye dasht na ja tujhko sughra ki qasam
waqt ye kaisa pada, ay mere sher e jawan
jo ho manzoor e khuda, ay mere sher e jawan
dasht se launga gathri me tera tukde badan

6) Ban me jab jaoge tum ye to mujhko hai khabar
tan se kardoge juda arzaqe shami ka sar
hai magar ye bhi yaqeen, ay mere sher e jawan
tujhko gherenge layi'n, ay mere sher e jawan
haye ho jayega paamaal ye nazuk sa badan

7) Dasht e ghurbat me mujhe sab ke sab chod gaye
aur shahadat ke liye tum kamar basta hue
meri turbat ke liye, ay mere sher e jawan
char kandhe na rahe, ay mere sher e jawan
alvida tujhko kaha hone lagi dil me chubhan

8) Dekh maadar ki taraf kaise karti hai buka
aankh me dajlyae gham or honto pe sada
dekh mar jaye na maa, ay mere sher e jawan
kaise bheju mai wahan, ay mere sher e jawan
tu jahan jaane ko kehta hai wo hai maut ka ban

9) Roke mazhar ne kaha ye irfan e aaza
jab tasavvur me gaya mera dil kaanp utha
kaise maula ne kaha, ay mere sher e jawan
ja suye dasht e qaza, ay mere sher e jawan
aaj bhi rota hun jab honto pe aata hai sukhan

Tere Qurbaan Alamdaar-e-wafa

(Tere qurbaan alamdaar-e-wafa) x4

Chu raha hai aasmaa(n) tera nishaa(n)

Momino(n) pe saayebaa(n) tera nishaa(n)

Tera nishaa(n), lashkar ki shaa(n)

Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

  1. Ay jaan-e-Haider, Zahra ke bete
  2. (Parcham uthaana sikha hai tujhse) x2

    Aaye hawaa jab tere alam se

    (Ye dil ye jaa(n)) x2 Ho yak zabaa(n)

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

    (Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

  3. Aath Muharram Ham yu(n) manaaye
  4. (Bacho(n) ko apne saqqa banaaye) x2

    Sharbat pe teri nazre dilaaye

    (Zainab ka maa(n)) x2 Sarwar ki jaa(n)

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

    (Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

  5. Baab-ul-Hawaaij, tera laqab hai
  6. (Abhi wafaao(n) ka tu hi rab hai) x2

    Wo baat kehdu jo zeyr-e-lab hai

    (Shah-e-zeeshaa(n)) x2 Rab-e-subhaa(n)

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

    (Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

  7. Mashko alam hai teri nishaani
  8. (Ye shor-e-darya ke hai mahaani) x2

    Tere qaside parhta hai paani

    (Saara jahaa(n)) x2 Mere mehmaa(n)

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

    (Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

  9. Kehta hai sabse teri kahaani
  10. (Ye charta suraj, ye behta paani) x2

    Gunji dahaari tashnadahani

    (Bole har aa(n)) x2 Fakhr-e-azan

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

    (Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

  11. Dekha julooso(n) mei hamne aksar
  12. (Dhoop ki shiddat aayi jo sar par) x2

    Tere alam ke saaye me aakar

    (Hai yak zabaa(n)) x2 Peer-o-jawaa(n)

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

    (Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

  13. Tera alam jab ley aaye Sarwar
  14. (Kulsoom royi Sheh se lipat kar) x2

    Hasrat se dekhi, Zainab ne chadar

    (The tashna kaa(n)) x2 Marsiya khwaa(n)

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

    (Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

    Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

  15. Ay mere Ghazi, ay ibn-e-Haider

(Teri ata se likhta hai "Mazhar") x2

Kehta hai teri, chawkhat pe aakar

(Tera "Irfa(n)") x2 Har nawha khwaa(n)

Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

(Tera nishaa(n)) x2 (lashkar ki shaa(n)) x2

Tere qurbaan alamdaar-e-wafa

Zehra ko do pursa

Karbobala Ke Dasht Mai, Be Aasra Aale Nabi

Maare Gaye Ansar Sab, Zakhmi Huwa Ibne Ali

Munis Nahi Yawar Nahi, Ghazi Nahi Akber Nahi

Bikhde Pade Hai Jaa Bajaa, Laashe Kahin Aur Sar Kahin

Matam Karo Ehle Aza, Ghar Lutgaya Shabbir Ka

Purse Ko Aayi Sayyeda, Matam Karo Ehle Aza

Pursa Bhare Ghar Ka Hai Yeh, Jo Karbala Mai Lutgaya

(Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

  1. Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka
  2. Ik Do pahar Mei Lutgaya, Makhdum-e-Alam Ka Ghar

    Kaunain Ki Shahzadiyan, Nauha Kuna Hai Nange Sar

    Tumse Ali Ki Laadli Kehti Hai Yeh Sar Pit Kar

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

  3. Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka
  4. Ai Rone Waalo Kya Kahe, Kaisi Huwi Ham Par Jafaa

    Kohe-Musibbat Ghir Paraa, Ham Hogaye Be Aasra

    Har Majlise Shabbir Mai, Aati Hai Zainab Ki Sadaa

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

  5. Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka
  6. Paamaal Hai Farwaa Ka Dil, Paamaal Qasim Ka Badan

    Mara Gaya Nawshaah Bhi, Pardes Mai Tashna Dahan

    Shaale Azaa Pehne Huwe, Kehti Hai Ik Shab Ki Dulhan

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

  7. Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka
  8. Nana Ki Jo Taswir Tha, Rukhsat Huwa Khaakar Sinaa(n)

    Ik Haath Sine Par Rakhe, Behosh Hai Akber Ki Maa(n)

    Zindaa Rahun Kaise Bhalaa, Hai Umme Laila Ki Fughaa(n)

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

  9. Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka
  10. Kya Asr ka Hungaam Tha, Jab Shaah Par Khanjar Chalaa

    Woh Teraa Zarbe Shimr Ki, Mazlum Ka Sukha Galaa

    Maadar Ko Dekha Dasht Mai, Aur Zere-Lab Kehne Laga

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

  11. Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka
  12. Shame-Ghariba Aagayi, Karbobala Roti Rahi

    Jalti Huwi Uss Khaak Par, Baithi Rahi Aale Nabi

    Dashte Balaa Mai Marsiya. Karti Rahi Binte Ali

    (Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

  13. Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

Hai "Mazhar-o-Irfan" Bhi, Farshe Aza Par Maatami

Aankhon Se Jaari Alqama, Purse Ka Hai Haq Toh Yehi

Marham Dil-e-Zehra Ka hai, Nauhagari Sinazani

(Sab Milke Azadaro, Zehra Ko Do Pursa) x2

Barbaad Huwa Ran Mai, Ghar Aale Payambar Ka

No comments:

Post a Comment