Monday, 17 February 2025

Irfan Haider (2007)

Abbas mere sar ki qasam kha

Abbas

Ghar se chale jab behre safar, (sibte payambar) x2

Kehne lagi abbas ki madar, (shere dilawar) x2

Eik nasihat karti hu(n) me, (ay mere dilbar) x2

Gham koi bhi shabbir ke ayega nahi paas, abbas

Ujrega na zehra ka bhara ghar, abbas mere sar ki qasam kha

(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

  1. ay buzu-e shabbir wafadar qasam kha,
  2. ujrega nahi zehra ka gharbar qasam kha,

    rakh haath mere sar pe tu ik baar qasam kha, abbas,

    aaqa pe fida hoga tera sar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

  3. jab tak tera shano pe rakha he ye tera sar,
  4. ayenge nahi khayma-e sarwar me sitaghar,

    gar aaye su-e khayma laeeno ka wo lashkar, abbas

    jaa(n) de ke bachana hai tujhe ghar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

  5. ye bazu nigehbaan hai zainab ki rida ke,
  6. narghe ho agar charo taraf ehle jafa ke,

    tu rakhega shehzadi ko parde me chhupa ke, abbas

    jaegi na shehzadi ki chadar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

  7. saqa hai tu saqayi pe jaa(n) apni lutana,
  8. pyasi ho agar aal-e-nabi paani pilana,

    din raat sakina ko kaleje se lagana, abbas

    roegi na shabbir ki dukhtar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

  9. kar wada ke ye qafla hargiz na lutega,
  10. jis tarha chala ghar se ye waisa hi milenga,

    ye jhula bhi aur jhoolne wala bhi rahenga, abbas

    ajayenge ghar laut ke asghar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

  11. doran-e-safar dhyan rahe ehle haram ka,
  12. har waqt unhe saya mile tere alam ka,

    ik pal bhi na sadat ko ehsas ho gham ka, abbas

    na dhup parhegi kabhi unpar

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

  13. ye baat mere laal tujhe bhi to khabar hai,
  14. tu fatema zehra ki duawo(n) ka samar hai,

    sarwar ho agar dhup me tu misle shajar hai, abbas

    khanjar na chalega shahe dee(n) par

    (abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas

  15. phir "mazhar-o-irfan" ye bola wo dilawar,

ye jaan bhi qurban hai zehra ke pisar par,

kyu(n) aap ye kehti hai meri madar-e-muztar, abbas

lut jaye na zehra ka bhara ghar

Allahu akbar

(Allahu akbar Allahu akbar) x2

(Subhe aashoor zara sun azaan-e-akbar hai) x2

  1. Laila ke phool ki
  2. shakle rasool ki

    Azaane aakhir hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Ashhadu al-la illaha illallah) x2

  3. Bol-e-Hussain sun kar takbeer ki sada ko
  4. Bejang tumne Akbar jeeta hai karbala ko

    Lehjaa ye Mustafa ka ab gunjta rahega

    Jo tere lab par hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Ashhadu anna Muhammadur rasoolullah) x2

  5. Sar par kafan sajaaye hein sab ba sab namaazi
  6. Sun kar azaan iqaamat kehne lage hein ghazi

    Hein mutma'in imamat nazdeek hai shahadat

    Ye subhe mehshar he

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    Ashhadu anna Alliyun Waliyullah

    Ashhadu anna Alliyun Hujjatullah

  7. Kya azm hosla hai ansar shah-e-dee(n) ka
  8. He us taraf jafaayein sajda idhar yaqee(n) ka

    Teeron ka abr barsa jaari hai phir bhi sajda

    Ajeeb manzar hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar hai

    (Allahu Akbar) x2

    (Hayya Alas Salaah) x2

  9. Jhoole mein sone waala bedaar hochuka he
  10. Nusrat ko shah-e-dee(n) ki tayyar hochuka he

    Maa kehrahi hai beta be teygh jang karna

    Ye hukm-e-maadar he

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Hayya Alal falaah) x2

  11. Zainab bhi laadlon ko apne saja rahi hai
  12. Ibn-e-Hasan ko farwa dulha banaa rahi hai

    Naad-e-ali hai lab par sar par dua ki chaadar

    Ye sheh ka lashkar hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Hayya Ala Khairil amal) x2

  13. Pyaason ko apni jaanib darya bulaa raha hai
  14. Lekin har eik pyaasa maqtal ko jaa raha hai

    Na khof hai na dar hai har ek ko ye khabar hai

    Ye raahe kausar hai

    Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

    (Allahu Akbar) x2

    (Allahu Akbar) x2

  15. "Rehan" ke qalam se "Irfan" tera lehja,
    nowho(n) me dhal ke ubhre tute na ab ye rishta,
    is par dua-e-zehra har dam kiye hai saya
    ye aisa shaa'ir hai

Subhe aashoor zara sun azaane akbar he

(Allahu Akbar) x2

(La illaha illallah) x2

Ghar chalo

Haay, Shaame aashur jab rote rote ghash khaagayi Sakina

Khwaab mein dekhti hai Sakina

Bhaiya qaasim ka aya he sehra

Jab na aaya nazar usko dulha

Are maqtal mein usko dhundne nikli woh jaa ba jaa

(Nagaah usko laasha-e-qasim nazar aaya) x2

(Laashe qasim pe boli Sakina, Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo) x2

  1. (Ghar mein shaadi ki masnad bichhi he) x2
  2. Fatima Kubra dulhan bani he

    Dhoom shaadi ki ran mein machi he

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

    Laashe kaasim pe boli Sakina

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

  3. (Manqabat dada haider ki parh kar) x2
  4. Haath mein tera sehra utha kar

    Tujhko awaaz deti he khahar

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

    Laashe kaasim pe boli Sakina

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

  5. (Ye ghari mujhko rab ne dikhaayi) x2
  6. Aaj hai teri rasme hinaai

    Neg mehndi ka dena he bhaai

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

    Laashe kaasim pe boli Sakina

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

  7. (Kaisa kubra ka bigra muqaddar) x2
  8. Siyaah kapre hai uske badan par

    Kyun ye kehti hun mein ban mein ro kar

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

    Laashe kaasim pe boli Sakina

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

  9. (Jis ghari tuta khwaab-e-Sakina) x2
  10. Khud ko usne sar-e-dasht paaya

    Peet ke sar pukaari woh dukhya

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

    Laashe kaasim pe boli Sakina

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

  11. (Hai phupi ke labon par ye nauha) x2
  12. Hogaya qatl maqtal mein dulha

    Raegaa(n) he mera ab ye kehna

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

    Laashe kaasim pe boli Sakina

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

  13. (Amma farwa ko kaise sambhaalun) x2
  14. Kis tarha mei tasalli unhe du(n)

    Pehle khud ko ye kehke sambhaalo

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

    Laashe kaasim pe boli Sakina

    Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

  15. (Dasht mein tha jo pur dard manzar) x2

Kehrahi paaye irfaano mazhar

Kaanpti thi zamee(n) bas ye sunkar

Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

Laashe kaasim pe boli Sakina

Ghar chalo bhaai mehndi lagaalo

Paani ley aawo

Jaan sakina ki jab aayi labo(n) par,

Suka huwa mashkiza layi wo muztar,

(Dekha bari yaas se bachi ne chacha ko) x2,

daste adab jhor ke kehne lagi rokar,

  1. lelo mashko alam tumko meri qasam,
  2. awo diladu me izne shehe umam,

    rakhlo sakina ka ye maa(n)

    (paani layawo amu jaa(n)) x3

  3. hasrat he yaas is darja pyaas hai,
  4. (kya meri pyaas ka tumko ehsas hai) x2

    ayi labo(n) pe ab ye jaa(n)

    (paani layawo amu jaa(n)) x3

  5. bache tashnajigar bethe hai nawha ghar,
  6. (pyaas ke chhale hai in sab ke honto par) x2

    pyaaso(n) ke tumho nigehbaa(n)

    (paani layawo amu jaa(n)) x3

  7. alatash ki sada sunti hai alqama,
  8. (sunte hai mashkize nawha sakina ka) x2

    gar tumko pyaaso(n) ka hai dhya(n)

    (paani layawo amu jaa(n)) x3

  9. nazish-e-karbala tumho fakhre wafa,
  10. (pyaaso(n) ki aas ho phuphiyo(n) ki ho rida) x2

    lillah sherena yazda(n)

    (paani layawo amu jaa(n)) x3

  11. jawo hafiz khuda misle khaybar khusha,
  12. (darya ko cheen kar bharlena mashkiza) x2

    bazuwe sayede zeesha(n)

    (paani layawo amu jaa(n)) x3

  13. wada nibhana hai darya pe jaana hai
  14. (paani bhi lana tumko bhi aana hai) x2

    tum mujhpe me tumpe qurba(n)

    (paani layawo amu jaa(n)) x3

  15. sakina meri pyaari sakina, sakina, meri pyari sakina
  16. sunkar bhatiji ki baat shere jari,

    (bola qurban hai tumpar ye jaa(n) meri) x2

    tum jo kehti ho meri jaa(n)

    (paani layawo amu jaa(n)) x3

  17. mange "mazhar" dua rab-e-mushkilkhusha,

(roze mehshar kahe tujhse khayrun nisa) x2

nawha suna wohi "irfa(n)"

(paani layawo amu jaa(n)) x3

Qulla asalukum

Aoodhu billahi minash shaitaanir rajeem

Bismillahir rahmaanir rahim

Harbul li man haarabahum

(Wa silmul li man saalamahum) x2

Aduwwul li man aata hum

(wa muhibbul liman ahabbahum) x2

Isiliye to apne nabi se kehta hai Allah

(Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  1. Hukme khuda quran me ayaa
  2. Ajre risaalat maanglo apna

    Mere nabbi-e-haq he tumhara

    Yaani mawaddat ehle Qurba

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  3. Inse adaawat mujhse adaawat
  4. Inse muhabbat mujhse muhabbat

    Hoga wahi mehroome shifa-at

    Jisne bhi inko dukh pohonchaya

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  5. Midhat o girya majlis o matam
  6. Yaani rajab shabaan o muharram

    Inki khushi aur inka har gham

    Ajre risaalat iske siwaa kya

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  7. Inka madeena inka he kaaba
  8. Jannat he inki kauthar inka

    Waarise adam waarise isa

    Kehdo nabi man kunto maula

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  9. Qaule nabi irshaade khuda ko
  10. Kisne nibhaya kaisa dekho

    Sibte nabi par rone waalo

    Kya kehta he aakhri sajda

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  11. Ajre risaalat bandishe paani
  12. Ajre risaalat ye mehmaani

    Gardane sheh khanjar ki rawaani

    Kehta raha har khun ka qatra

    (Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

  13. Apna he ye "irfan" aqeeda

Shah ka gham na ruka na rukega

Kaise ruke "rehan" ye girya

Isme he shaamil rabbe kaba

(Qul la asalukum alaihi ajran illal mawaddata fil qurba) x2

Rida laake ke urhaade

Zainab aagayi hai shaam

Meri rida ke pasbaan

Rida laake ke urha de

(Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3

  1. Ay mere ghazi alamdaar
  2. Rida laake ke urha de

    (Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3

  3. ye buturab ki beti ho kyu(n) na fariyaadi
  4. agar wo toko salaasil se paaye azaadi

    To mera abide bimaar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  5. Wo beridayi ke sadme ko kaise jhelega
  6. Ye dard abide muztar ki jaan lelega

    Guzar na jaaye dilafgar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  7. Mujhe chhupale mere ghazi in nigaaho(n) se
  8. Sabeel aisi banaa koi tay ho ye raste

    Na dekhe mujhko sitamghaar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  9. Ghareeb hogayi ummat ne di saza mujhko
  10. Tu dekh sakta nahi ghazi berida mujhko

    Sina se gir nahi farwa

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  11. Tujhe sakina ke ashko(n) ki hai qasam ghazi
  12. Tamaam umr me phir tujhse khuchh na mangungi

    Hai ibne haidere karrar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  13. Tujhe to baba ne bakhshi masnade aali
  14. Sawali koi tere dar se kab gaya khali

    Zamane bhar ke madadghaar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  15. Kabhi jo ghar se nikalti me saal me ik baar
  16. Tu barh ke logo(n) se kehta tha band karo bazaar

    Wahi behan wahi bazaar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  17. Sare hussain bhi rota hai noke neza par
  18. Padar bhi rote hai nana bhi bas yahi kehkar

    Khule saro(n) ke wafadar

    Rida laake ke urha de

    Ay mere ghazi alamdaar

    Rida laake ke urha de

    Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

  19. Sada ye shaam se aati hai "mazahar-o-irfan"

Tarap ke aaj bhi kehti hai zainabe zeeshaan

Meri rida ke nigehbaan

Rida laake ke urha de

Ay mere ghazi alamdaar

Rida laake ke urha de

Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de

Ujjar gaya hai

(Shaame gharibaan) x2 jalte khaima, (yaas ka aalam) x2

Koi yahaan karta tha nawha (aur koi matam) x2
Naade ali parhne lagi zainab (dasht mein jis dam) x2

Haay, Fizza ne kiya marsiya ya haidare karrar

(Ujar gaya hai zainab ka ghar baar) x3

  1. Subhe daham se asr ke hangame balaa tak
    Baiyat se chali baat to aapohnchi rida tak
    (Zainab ko yaqeen hogaya) x2
    Ya Haidare Karrar
  2. (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

  3. Roti rahi woh alqama aur pyaase rahe hum
    Saadat ne paya yahaan har lamha naya gham
    (Har zakhm par aisa laga) x2
    Ya Haidare Karrar

  4. (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

  5. Kya waqt tha pardes mein aulaade nabi par
    Khaime se jo marne chale ham shakle payambar
    (Shabbir ne ro kar kaha) x2
    Ya Haidare Karrar
  6. (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

  7. Is se bari ab aur kya aayegi qayaamat
    Khud baap le kar aagaya jab bete ki mayyit
    (Ro kar pukaari Karbala) x2
    Ya Haidare Karrar
  8. (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

  9. Ujre nahin pardes mein yun kunba kisi ka
    Matam huwa jab dasht mein abbase jari ka
    (Roya alam royi wafa) x2
    Ya Haidare Karrar
  10. (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

  11. Auno Muhammad hogaye maqtoole jafa jab
    Beton ke laashe dekh ke ye kehti thi Zainab
    (Lo dekhlo aakar zara) x2
    Ya Haidare Karrar

  12. (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

  13. Aqa tumhaare laal pe jab chalta tha khanjar
    Royi zameene karbala ye marsiya parh kar
    (Ya Mustafa ya Fatima) x2
    Ya Haidare Karrar

  14. (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

  15. Ab na yahaan Shabbir hai na baaqi he lashkar
    Bas karbala ki khaak he aur aale payambar
    (Ehle haram ki he buka) x2
    Ya Haidare Karrar

  16. (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

  17. Ab "Mazhar-o-Irfan" ke aayi he labon par
    Jo baat fizza ne kahi is jalti zameen par
    (Hojaaye ye dunya fanaa) x2
    Ya haidare karrar

(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3

Ye hussaini kaafla

(Chehlum karke hussain ka) x2

Maqtal se chala kaafila

Zainab ne di sadaa

Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  1. Haay - Majlise chehlume shabbir sare dashte bala
  2. Kar chuke ehle haram girya o maatam barpa

    (Kaasimo akbaro abbas ka pursa bhi diya) x2

    Ye to sab hogaya ek kaam bacha he tera

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  3. Haay - Jaanti hun ke ghamo ranj se lachar he tu
  4. Yaad mein baali sakina ki giriftaar he tu

    (Meri tarha se bahattar ka azadar he tu) x2

    Kaarwaane shahe mazloom ka salaar he tu

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  5. Haay - Yun to ye kaam bhi karsakti hun mein tashna jigar
  6. Qalbe zainab ki yehi aakhri khwahish he magar

    (Ek imam aaya tha hum sab ko watan se lekar) x2

    Ek imam apne dilafghaaron ko lejaaye ghar

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  7. Haay - Apne nana ko ye rudad sunane ke liye
  8. Zakhm pardes mein jo paaye dikhaane ke liye

    (Dadi zehra ko har ek baat bataane ke liye) x2

    Fatima Sughra ko seene se lagaane ke liye

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  9. Haay - Wada Shabbir ka he beta agar yaad tujhe
  10. Dil se ay beta bhulaani he har uftaad tujhe

    (Laaj rakhni he meri sayyade sajjad tujhe) x2

    Phir se nana ka shehr karna he abaad tujhe

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  11. Haay - Naqsh is dil pe mere laal musibat he teri
  12. Ruh ke zakhmon men pewast azziat he teri

    (Jo hua so woh huwa beta ye kismet he teri) x2

    Ab bhi nana ke madeene ko zaroorat he teri

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  13. Haay - Dekh ay laal ye tujhko bhi he mujh ko bhi yaqeen
  14. Khoon royegi mere haal pe yathrib ki zameen

    (Fatima Sughra ka mein saamna karsakti nahin) x2

    Isliye kehti hun tujhse ay mere maah jabeen

    Ay mere sajjad sun kafla salaar sun

    Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa

  15. Haay - Haaye kya mazharo irfan qayamat thi bapa

Peet kar seena o sar karte the saadat buka

(Baap ki kabr se woh kaafla salaar utha) x2

Thaam kar baazue sajjad jo zainab ne kaha

No comments:

Post a Comment