Aajawo ali asger
(Aajawo ali asger) x3
(Maa jula julaye) x4
Raato ko uth kar lori sunaye hai,
Ay phool sa sipahi,
Tujko salaam mera,
Tune kiya hai uncha,
Dunya me naam mera,
Aajawo tuje maa sine se lagaye hai,
(Maa jula julaye) x2
Amu hai paas tere,
Baba hai aur akber,
Darna na zalimo se,
Ay be zuban asger,
Maa ko bulaana jab nind na aye hai,
(Maa jula julaye) x2
Maa teri tashnagi par,
Qurbaan meri jaani,
Kyu beh rahaa hai darya,
Tujko mila na pani,
Aaja ke madar paani pilaye hai,
(Maa jula julaye) x2
Tu chaand mere ghar ka,
Dunya se jane waale,
Tu kya gaya hai gar se,
Rukhsat hu ye ujaale,
Taarikiyo ke badal se chhaaye hai,
(Maa jula julaye) x2
Awlaad ka bicharna,
Sab se baraa hai sadma,
Ujri hai kokh meri,
dil ro raha hai mera,
yeh aag dil ki maa kaise bujaye hai,
(Maa jula julaye) x2
madar ke samne jab,
paani ka jaam aye,
besaakh ta labo par,
tera hi naam aaye,
paani me tera chehra nazar aaye hai,
(Maa jula julaye) x2
Dil se nikal rahi hai,
Ab yeh duwae har pal,
Maa ban ke tujko paale,
Ye sar zamine maktal,
Darti hu laykin tu khof na khaye hai
(Maa jula julaye) x2
Sunti hu rodiya tha,
Tuj par sitam ka lashkar,
Tu muskura raha tha,
Jis waqt teer kha kar,
Kayse tuje maa dilse bhulaye hai,
Alam sajaawo
Bicha ke farshe azaa
Fatema ko yaad karo
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
siyah kapre badan par ho sirf is gham mein,
ruke na ankh se ansoo kabhi muharram mein,
(libas se hazrate zainul aba ko yaad karo) x2
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
kabhi sabil se pani piyo to ye kehkar,
me teri pyas pe kurban husain ki dukhtar,
(kabhi sakina kabhi ba wafaa ko yaad karo) x2
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
gale mein shale azaa aur hath sino par,
alam utha ke chalo yu dahekte sholo par,
(jo bekaso pe huwi us jafaa ko yaad karo) x2
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
Jula julawo kisi be zabaan ka jab bhi,
to yaad karna zara be kasi wo banu ki,
(kabhi rubab ki aaho buka ko yaad karo) x2
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
ghame husain mila hai tumhe mukadar se,
sadaa husain ke matam ki aaye ghar ghar se,
(husain husain karo karbela ko yaad karo) x2
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
wo jisne din ke khatir luta diya gar ko,
khuda ki raah me jisne kataa diya sar ko,
(par ho namaaz to us be khataa ko yaad karo) x2
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
Alam jo hazrate abbas ka utha te hai,
Dile batul se lakho duwae paate hai,
(alam ka saye mein awo duwa ko yaad karo) x2
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
kabhi ye shoch ke tum dekhna pharere ko,
yahi to zainabe muztar ki aas tha logo,
(alam ko dekho to us berida ko yaad karo) x2
(Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo) x2
bahen ke samne dulha bane koi bhayi,
jo apne bhayi ka sehra na dekhne paye,
(usi gharib behen ki sadaa ko yaad karo) x2
Khuda na khasta kismat ye din jo dikhlaye,
Kisi jawan ko jawani mein maut ajaaye,
(to hum shabihe nabi ki kazaa ko yaad kare) x2
Ek baar watan lot ke aaja
Isse pehle,
Ke muje maut aajaye,
Mere bhaya,
Ali akber,
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
sugra ki kasam hai tujhe akber
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Kya tujko gawaara hai ke mar jawoo tarap kar
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Aaja mein teri chand si soorat ki balaloo,
Dulha na sahi mein tujhe dulha sa banaaloo,
Dil mein hai jo armaan nikale teri khwahar,
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Bhabhi ke liye meine jo poshak banayi,
Roti hu use dekh kar deti hu duhaee,
Hai shaam-o-sahar ek sadaa mere labo par
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Kiya tujko meri yaad sataa ti nahi bhaya,
Mein to tujhe ek pal bhi bhulati nahi bhaya,
Kyu bhool gaya tu mujhe pardes mein jakar
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Kaano mein jo aawaz azan aati hein bhaya,
tasweer teri dil mein utar jaati hai bhaya,
roti hu ye kehkar ali akber ali akber
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Roti huye har eid guzari meri bhaya,
Ati thi mujhe yaad tumhari mere bhaya,
Yaado se hai abaad tere baad mera ghar
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Bimar tarap ti hai dawaa koi nahi hai,
Is ghar mein udasi ke siwa koi nahi hai,
Thakti bari yaad se diwaar kabhi gar
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Rukhkar ke suwe karbobela roti hu bhayi,
Milne ki shabo roz duwa karti hu bhayi,
Nana ki ziyarat ko taras ti hu baradar
(Ek baar watan lot ke aaja) x2
Tum bin mai jiyu ye koi aasan nahi hai,
Hoga tera phir koi armaan nahi hai,
Hoga ye tera aakhri ehsan bahan par
Ek kafela laya tha mein
Sula hai kabr mai besheer ko husaini ghareeb,
Har ek shaheed ke lashe pe aaye hai rote huwe,
Labe husain se suye falak aayi sadaa
(Ek kafela laya tha mein) x3
Us kafele mein tha ali akber sa ek beta jawaan,
Abbas jesa bhayi tha,
(Masum asgher be zubaan) x2
Kuch bibiya thi saath mein mehshar mein jinka naam tha
(Ek kafela laya tha mein) x3
Ye kafela kaise luta ye soch ke mai ro diya,
Pala tha jinko naaz se,
(karbobala mein kho diya),
Un sab ke laashe samne the aur hoto par buka
(Ek kafela laya tha mein) x3
Karyal jawaan ki laash hatho par uthayi hai abhi,
Ek be zuban ki kabr bhi,
(Maine banayi hai abhi) x2
Samaan mere katl ka karte hai ab ye ashkiya
(Ek kafela laya tha mein) x3
Pyase mere atfaal hai behta hai darya samne,
Ek be watan ko dasht mein,
(Luta hai foje shaam ne) x2
Roti hai mere chah ne waalo ke laasho par kazaa
(Ek kafela laya tha mein) x3
Kismat meri laykar muje karbobala tak agayi,
Ab barte barte bat
(Zainab ki rida tak agayi) x2
Ho jawoonga mein katl to chinjayegi uski rida
(Ek kafela laya tha mein) x3
Kuch der mein kanjar laeen ka halk par chal jayenga,
Aur baad mere khaym-e
(Sadaat bhi jal jaayenga) x2
Ya yu koi pardes mein aa kar lootaye karbela
(Ek kafela laya tha mein) x3
Jab katl mein ho jawoonga shaame ghariba ayengi,
Saydaniyo ke kalb pe,
(taaza kayamat dhayengi) x2
us waqt uthengi meri laashe buridaa se sadaa
(Ek kafela laya tha mein) x3
lashe sabhi rehjayengi jalti zamin par bekafan,
kaydi banengi mustufa
(ki aal pabandhe rasan) x2
Raho mein rota jayenga bimar ye karke buka
(Ek kafela laya tha mein) x3
Reh jayengi bali sakina ki fugaa zindan mein,
Kaydi rahengi saal bhar,
(saydaniya zindan mein) x2
sajaad mera kayd se jayenga ye kehte huwa.
Hay kasim jag zara
Hai Kassim jag zara. Mera Pyare jag zara
- Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
Ha tera sehra Zainab layee hai
Hai Bain kare Farwa Hai Kassim jag zara. Mere Pyare jag zara
- Teri Mehndi Khuld se Aayee hai
Poshak naye banwaee hai
Teri sej sajaye, Wawaila
Teri Rasm Himaee, Wawaila
Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
- Teri Behne shakan manati hai
Aur Neg wo lene aati hai
Abbas Dilawar, Wawaila
Maidan me kausar, Wawaila
Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
- Jannat se guletar Aaye hain
Poshak Abuzar Laye Hain
Aur pahen ke dulha, Wawaila
Poshak aur kangan, wawaila
Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
- Sab hur aur farishte aayenge
Rizwan kaside sunayenge
Sab khuld ke vaasi, wawaila
Hai tere barati, wawaila
Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
- Tera sehra sunate hai shabbar
Mashnad ko bichate hai kambar
Teri sej urusi, wawaila
Har garne sajayi wawaila
Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
- Kulsum aur fizza aayi hai
Do salah banakar layi hai
Abbase dilawar, wawaila
Maidane kausar, wawaila
Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
- Phir khwaab yeh toota farwa ka
Aur peshe nazar ek laasha tha
Na mehndi uptan wawaila
Na masnad dulhan, wawaila
Teri Mehndi , tera upton, tera gehna
Nana neend Nahi Aundi
Nana Neend Nahi Aundi
- Nana Neend nahi aundi hai karu roz duwawa x3
Viran kyu nahi aaye hai x3
Roro tak diya rawa
Nana Neend nahi aundi hai karu roz duwawa x2
- Hai Muntazir nigahe baithi hu raah par
Deti hu main sadayen baithi hu raah par
Viran kyu nahi aaye hai .
- Nana mere baradar kyon chod kar gaye
Bimar ko rulakar kyon chod kar gaye
Viran kyu nahi aaye hai .
- Kasim ko yaad kar ke roti hu raat din
Ankho main ashk bhar ke roti hu raat din
Viran kyu nahi aaye hai .
- Tarsi huvi hain aankhen asger tera liye
Jula bani hai bahain asger tere liya
Viran kyu nahi aaye hai .
- Lene na mujko aaye naraz kyo huwe
Baba bhi gar na aaye naraz kyo huwe
Viran kyu nahi aaye hai .
- Lo Aun aur jaffer kyon lawt te nahi
Nana mere baradar kyon lawt te nahi
Viran kyu nahi aaye hai .
- Hujro mein sab ke jakar kar ti hu yaad mein
Akber ko jake der par karti hu yaad main
Viran kyu nahi aaye hai .
- Kisko gale lagau ab kaun paas hai
Kyon roz derpe jau kya mujko aas hai
Viran kyu nahi aaye hai .
Pardesi musafir ki
Halminasir yansuruna x 4
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
(Kuch sehme huye bache) x2
Behta huwa pani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
Ay karbobala tere,
Daman mein chupa kya kya,
(Bachpan ali asger ka) x2
akber ki jawaani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
taabut, alam, jula,
pani ki sabile bhi,
(jis simt nazar jaaye) x2
pyaaso ki nishani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
mansoob alam se jo,
ek mashke sakina hai,
(amu se bhatiji ki) x2
ulfat ki nishaani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
ansoo na ruke logo,
shabbir ki majlis mein,
(us ujre huye gar ki) x2
yu yaad manaani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
shabbir ye kehte the,
mein kaise ijazat du,
(ay qasim tu mere) x2
bhayi ki nishaani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
ye laashaye akber par,
layla ne kahan ro kar,
(kyu khoon me tar teri) x2
poshak shahani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
de te the sadaa sarwar,
abbas chale aawo,
(mayat ali akber ki) x2
ab mujko uthani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
rota hai falak ab tak,
shabbir tere gham mein,
(dunya ye samaj ti hai) x2
barsaat ka paani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
sheh bole bahan zainab,
zindaa se riha ho kar,
(rudaade sitam jaakar) x2
amma ka sunani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
ey mere khuda tujse,
har waqt duwa ye hai,
(maula ki safay matam) x2
har gar mein bichani hai
(Pardesi musafir ki purdard kahani hai) x2
(Kuch sehme huye bache) x2
Behta huwa pani hai
Sakina utho
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x3
- ye Karti thi maa, lahad pe bukaa. Meri ladli, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- Yaha se chalo, chale karbala. Wahi se tumhe, milenge chacha. Sitam jo huwe, bataana une. Dikhaana unhe, ye kurta jalaa. Chacha jaan ko, dikhana zara, ridaa khun bhare, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- Bataana unhe, kabhi saktiya. Mili jis kadar, tuje gurkhiya. Hamari ridaa, luti kis tarha. Chini jis tarha, teri baliya. Bataana une, buji kis tarha, teri tishnagi, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- Padar se milo, to dil joee ho. Bataana unhe, bahot roi ho. Kasam lo agar, tumhare bina. Sakina kabhi, kahi soyi ho. Lahad bap ki, mile jab tuje, to kehna yahi, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- Lahad jab mile, tuje bhai ki. To kehna use, meri ladli. Rehaee mili, hame kaid se. Hame ab nahi, aziyat koi. Mere be zuba, utho gar chale, shabi hai nabi, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- labe al kama, tu karna fugaa. Teri moj hai, abhi takh rawa. Meri pyas par, huye jo fida. Chacha ke mere, hai bazu kahaa. Kahaa mashk hai, kahaa hai alam, kahaa hai zari, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- Na ab gham koi, na uftad hai. Wo zanjir se, ab aazad hai. Puphi bhi teri, tere sath hai. Tere sath hi, wo sajjad hai. Meri gham zadaa, shabe gham kati, sahar ho chuki, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- Labo par tere, yahi baat thi. Watan jayenge, kabhi ham puphi. Tuje shimr ka, nahi khof ab. Satayenge na, tuje ab shaki. Nikal kayd se, shuru ham kare, nayi zindagi, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- Gharibo ka ye, luta kafela. Wida ho ke phir, watan jayenge. Tuje payengi, jo sughra teri. To bimar ko, milengi dawa. Gale mil ke phir, bohot royengi, wo behna teri, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
- Mazar-e nabi, laraz jayenga. Bahen jab teri, karengi bukaa. Kaha hai chacha, kaha hai padar. Kaha hai bataa, bhara gar mera. Suna ne use, ye rudaad-e gham, yehi bebasi, chalo gar chale.
(Sakina utho. Meri jaan utho. Rehaee mili. Chalo gar chale) x2
Utho abbas
(Ya abbas) x2
(haye abbas utho) x2
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
Ek bhatija ke siwa koi madadgar nahi
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
Sham jaana hai rida sar pe nahi hai bhaya
(haye abbas utho) x2
Dile gham zadaa kare ye buka,
Behan ka nahi koi aasra,
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
Ghar se nikli thi to mehmil me bithaya tune
(haye abbas utho) x2
Safar dusra shuroo hai mera,
Chali chawd ke behan karbela,
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
Mayne yasrab ki bhi galiya na kabhi dekhi thi
(haye abbas utho) x2
Behan kya kare milenge mujhe,
Naye log or naye raste,
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
maa ki tarha se mein darbare sitam jawoongi
(haye abbas utho) x2
bataawo zaraa mere bawafaa,
garibul watan kare kya bhala
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
samne kaise me shiri ka karungi socho
(haye abbas utho) x2
karoo mein fugaa bandhi reshwa,
huwi kayd sab nabi zaadiya,
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
kya gawaara hein ke sab dekhe khule sar mujko
(haye abbas utho) x2
duwa do mujhe sikha do mujhe,
chaloo kis tarha bataado mujhe,
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
shimr marega sakina ko behan royengi
(haye abbas utho) x2
kerenge sitam laeen har kadam,
tu hein har kadam bhulayenge hum
(utho abbas bahan waqife-e bazaar nahi) x2
kaise jayengi nabizadi sitam gharo mein

No comments:
Post a Comment