Haye abbas, haye haye abbas..(2)
Ghairat ka aasma'n, Zainab ka sayeba'n(2)
Kaise Zainab ki taraf dekhta Abbas ka sar..(2)
Sharm se khaak pe,
Sharm se khaak pe girta raha Abbas ka sar
Kaise Zainab ki taraf dekhta Abbas ka sar..(2)
1. Sham ke logo ne patthar se kiya istaqbal..(2)
ju hi bazar mein..(2), dakhil hua Abbas ka sar
2. Yu bhi is sar se liya badr o ohod ka badla..(2)
hu baba Ali..(2), jaisa tha Abbas ka sar
3. Woh sina par bhi na Aaqa ke barabar aaya..(2)
Sheh ki tazeem mein..(2), jhukta raha Abbas ka sar
4. Pao'n ke aable Abid ko kaha'n yaad rahe..(2)
jab gira garm zamee'n..(2), par gira Abbas ka sar
5.Yu bhi bandha gaya rahwar ki gardan se ise..(2)
zulm nazdeek se..(2), dekhe zara Abbas ka sar
6. Pehle chadar se lahu saaf kiya Zainab ne..(2)
saath asbaab ke..(2), jis dum mila Abbas ka sar
7. Neher pe jis ghadi Abbas ne dum toda tha..(2)
dilbar e Zahra ki..(2), godi me tha Abbas ka sar
8. Yaad Zeeshan sar e shere khuda aane laga..(2)
gurz se aise..(2), shikasta hua Abbas ka sar
Jab ran ko chale khaime se hum-shakl e payambar
Laila ne kaha bete ko seene se lagakar
Aye meri jaan Akbar
Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana
baba se chupana
Laila ne kaha rokar jab dard ho seene mein
tum maa ko batana
Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana
baba se chupana
1. Laashe utha utha ke ab thak chuke hai baba
atthara saal wala tu hai jawan beta
mai janti hu akbar, mushkil hai zaeefi mein
tera laash uthana
2. Mar jaye jiska beta woh kaise ghum uthaye
tujhse lipat ke ran mein shabbir mar na jaye
is maa ke liye akbar, asaa'n nahi khaimo mein
do laasho ko lana
3. Rakhe khuda salamat akbar teri jawani
bus tu hi Mustafa ki hai akhri nishani
takte hai tera chehra, jab bhi tere baba ko
yaad aate hai nana
4. Barchi ka dard seh kar thehroge kaise zee'n par
jab dil pe hath rakh kar girne lago zamee'n par
mai tumko sambhalungi, godi mein uthalungi
tum mujhko bulana
5. Aye laal sabr karna naa dard se tadapna
baba ke saamne tum mat aediya'n ragadna
tum bete ho Laila ke, woh dilbar e Zahra hai
yeh bhool na jana
6. Jaate hue phuphi se ek baar aur milna
armaan dil me koi reh jaye na adhura
Zainab ki tamanna hai, beta tere maathe par
sehra hai sajana
7. Jab Sughra yaad aayi ro ro ke maa pukari
hai muntazir watan mein kabse behen tumhari
yeh bhool nahi jana, Sughra se abhi tumne
wada hai nibhana
8. Zeeshan Abidi woh maa gir gayi zamee'n par
khaime se jab jawa'n ko rukhsat kiya ye kehkar
jab barchi koi maare, is chand se seene se
na dhaal hatana
Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana
baba se chupana
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan
Bin Bazu Zeen Tu Lay Gaya Ay Zainab Kulsoom Da Maan Ay
Hun Lut Lo Chadar Zainab Di Hoya Fojaan Wich Elan Ay
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Saday Burqay Khaak Tay Aye Ney Nahi Sirf Ay Bawaan Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Aa Wekh Alam Bardar Ay Aj Zainab Pehray Dar Ay
Mere Muk Gaye Maan Bhirawan Day Jadon Rukiyan Saawan Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Teri Jurtaan Nu Zakhma Gayi Tenu Chup Shabbir Di Kha Gayi
Ankhiyan Daa Khoon Ay Disda Ay Hin Baaqi Hasrataan Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Ghatri Wich Laash Chupa Kay Chooti Jayi Qabar Bana Kay
Bara Roya Kar Kay Yaad Abid Beymisel Wafawaan Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Sada Maqtal Veer Taiyyar Ay Agay Shaam Wala Bazaar Ay
Parday Wich Sham Di Aurata Nay Rassiyan Wich Izzata Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Naizay Tay Tukray Chaaye Tere Qatila Ney Lahraye
Wich Maqtal Jashn Manandey Ray Chuk Chuk Kay Bawaan Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Nahi Ujri Behen Bhulana Tera Ookha Zeen Tu Laona
Hunjwa Nal Aap Utariyan Sin Zainab Nay Nazraan Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Jeri Peo Di Matamdar Ay Oday Zakhmi Hin Rukhsaary
Kanna Choon Shimr Nay Dur Laye Rahi Takdi Rawaan Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
Muhsin Sadaat Da Maan Ay Jera Parday Da Nighraan Ay
Karbal Wich Chalday Hokum Jaday Karay Pori Arzaa Teriyan
Haye Ghazi Jundiyan Mar Gaiyan Aj Bhena Teriyan
karo maatam Hussain ka
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
farsh bichaa lo halqa bana lo
yeh keh raha hai mahe Azaa
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
yeh azadari taaziya daari Zahra ke ghar se hai wafadaari
ansoo baha kar nohay suna kar karte rahengey ye pursa daari
jab tak hamari sansen hain baqi dil se yeh gham na hoga juda
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
yeh jo hamaray ghar par alam hai shahe wafa ka hum par karam hai
saaye mein is ke maatam karaingay jitna hamaray seenon dam hai
farsh Azaa ka bichta rahay ga kehte rahengey hum yeh sada
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
yeh maatami jo halka laga hai thok ke seenah yeh keh raha hai
maatam se hum ko rokay na koi zainab se hum ne wada kiya hai
seenay pay Daaghe maatam saja ke karte rahengey wada wafa
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
ehley haram ko aur un ke gham ko bhool na jana tum is karam ko
jis ne khuda se manga tha ghazi us fatima ne manga hai hum ko
hai khush naseebi hum hai hussaini aur hain duaye khayrunnisa
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Zahra hon Raazi maatam ho aisa jo is ka haq hai pursa ho waisa
khud ko bhula kar maatam karo tum ae azadaron sharmana kaisa
hai yeh ibadat chhodo nazakat ban kar faqeere karbobala
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
sun kar bichaao gham ka musalla hayya alal aza hayya alal aza
haath hamaray ban kar namazi karte rahengey seenay pay sajda
baad Iqamat karlo niyat qurbatan shaahe wafa
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
qaid sitam se paake rihayi har bibi apne pyaron ko roi
us waqt lekin beti Ali ki bachon ko apne bilkul na roi
chhootey se haae do sir jab aaye bibiyon se zainab ne kaha
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
ghar ghar mein maatam ki jo sada hai yeh ehtijaj karbobala hai
baatil ke mun pay hai ye tamache is ne hi haq ko zindah rakha hai
zeeshan hum ko darwaish gham ko bedaar rakhti hai yeh sada
haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain
Qaid khane mein ye ek roz Sakina ne kaha
manzile pyaas ki kitni hai batao bhaiyya
Haye Abid ne kaha sunke Sakina ki sada
pyaas ki char(4) manazil hai, aye pyasi behna
Yeh boli Sakina, sunao na bhai
hai kya pyaas mujhko, batao na bhai
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
1. Kaha roke Abid ne, aye pyasi behna
nazar aaye jis dum dhua'n hi dhua'n sa
hai yeh pyaas ki pehli manzil Sakina
Haye,
Yeh sunkar Sakina pukari tadap ke
suna tha yeh Qasim ke sukhe labo'n se
chacha jaan mai itna pyasa hu ke ab
dhua'n chha raha hai nigaho ke aage
jo us waqt Qasim pe mushkil thi bhaiyya
wahi pyaas ki pehli manzil thi bhaiyya
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
2. Ho lab tishnagi se ye halat badan ki
chipak jaye taalu se sukhi zuba'n bhi
hai yeh dusri manzil e pyaas bibi
Haye,
Yeh manzil bhi dekhi hai baba pe maine
kaha pyase akbar ne jab ran se aake
zuba'n rakhke baba ke sukhe dahan mein
mere bhaiyya akbar tadap kar pukare
zuba'n khushk hai ab, dahan mein hai kaa'nte
mere baba mujhse zeyada hai pyaase
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
3. Kabhi pyaasi machli ki halat suni hai
woh jab baar baar apna muh kholti ai
yehi teesri manzil e tishnagi
Haye,
Yeh sunte hi Abid se boli Sakina
yehi haal tha mere Asghar ka bhaiyya
litaya tha baba ne jalti zamee'n par
tadapte hue jab woh sakit hua tha
kabhi kholta tha woh pyaase labo'n ko
kabhi band karta tha sukhe labo'n ko
4. Kaha phir yeh Sajjad ne Shahzadi
na baqi rahe jab badan mein nami bhi
hai yeh akhri manzil e pyaas bibi
haaye, haaye
Hai is manzil e pyaas par yeh behen bhi
nami se mehroom mera badan bhi
mere haath ab mere bus mein nahi hai
hai paiwast mere gale me rasan bhi
aye bhai zyada na jee paungi ab
mai baba se milne chali jaungi ab
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
5. Jo Sajjad se pyaas ka puchti thi
woh raat aa gayi chal basi jab woh pyaasi
hilata raha uske shano ko Abid
magar bhai se woh Sakina na uththi
lipatkar woh soyi hai baba ke sar se
bohot thak chuki pyaas ke is safar se
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
6. Sunau mai Zeeshan manzar woh kaise
rasan bhi na khul payi haatho se uske
Lahad mein Sakina ke laashe ko rakhke
kaha roke Abid ne baba ke sar se
aye mazloom beti ke mazloom baba
tumhare hawale tumhari Sakina
tumhare hawale tumhari Sakina
karbalaa is liye sughra ko nahi laaye Hussain
pardes gaye baba dais mein sghra tanha hai
hubahu fatima jaisa hi tha chehra uss ka
karbalaa is liye sghra ko nahi laaye Hussain
baap ko dekhe gi woh dasht mein kaisay pyasa
phir nabi zadi ko yeh din na dikhaye koi
raah mein is ko tamache na lagaye koi
zakhmi hathon se chupaye na woh zakhmi chehra
aaye gi khaimon mein jab laash Ali akbar ki
hogi uss waqt kaleje mein Sina tooti hui
dekh na paye gi bhai ka woh zakhmi seenah
sheh ne dekha tha usay baithy hue jhulay ke paas
apne hathon se banatay hue asghar ke libaas
khoon mein dooba hue dekhe gi woh kaisay Kurta
taoq sajjad ki gardan se chhudanay ke liye
peechay peechay na chali aaye bachanay ke liye
haae taziyaana koi maaray na samajh kar Zahra
dekh kar is ko tamashaayi kahenge hans kar
yeh to hai fatima Zahra usay maro pahther
meri beti se liya jaye ga khhum ka badla
sheh ne nana ki lehad chhodi thi yeh kehte hue
koi to ho jo mere baad meri janib se
aake rozay pay jalaaye mere hissay ka diya
sheh ne zeeshan kaha aik sabab hai yeh bhi
bhai ko jaisay shaam mein manwaye gi
yeh mera naam madine mein rakhay gi zindah
Aye maa ke ladle, baba ke sahare..(2)
behno ke dulare, aye cheh mahine wale
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka
Muh khula reh gaya..(2)
khoo'n behta raha Asghar ka
1. Teer jab khaicha to muh pher liya rote hue..(2)
zakhm shabbir se..(2)
dekha na gaya Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
2. Aasma'n kaap gaya aur zamee'n rone lagi..(2)
baap ne chehre pe..(2)
jab khoon mala Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
3. Pusht ke chhalo se tarr hone lagi jalti zamee'n..(2)
Shah ne qabr mein..(2)
jab laasha rakha Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
4. Teer ke baad Lahad mein use naiza maara..(2)
haye naiza maara
qatl ek roz mein..(2)
do baar hua Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
5. Haaye,
Saat baar aage badhe, peeche hate Sheh lekin..(3)
laasha khaimo me na..(2)
le jaaya gaya Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
6. Khaicha naize se badan aur zamee'n par rakh kar
has ke zalim ne..(2)
gala kaat liya Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
7. Haaye,
Ek khilone ki Tarah khela uchala, phaika..(2)
shaam ke bachho ko..(2)
sar jab bhi mila Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
8. Kaise Zeeshan baya'n koi kare pyas uski..(2)
khushk lab hogaye..(2)
jab naam liya Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
Aye maa ke ladle, baba ke sahare..(2)
behno ke dulare, aye cheh mahine wale
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka
Muh khula reh gaya..(2)
khoo'n behta raha Asghar ka
1. Teer jab khaicha to muh pher liya rote hue..(2)
zakhm shabbir se..(2)
dekha na gaya Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
2. Aasma'n kaap gaya aur zamee'n rone lagi..(2)
baap ne chehre pe..(2)
jab khoon mala Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
3. Pusht ke chhalo se tarr hone lagi jalti zamee'n..(2)
Shah ne qabr mein..(2)
jab laasha rakha Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
4. Teer ke baad Lahad mein use naiza maara..(2)
haye naiza maara
qatl ek roz mein..(2)
do baar hua Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
5. Haaye,
Saat baar aage badhe, peeche hate Sheh lekin..(3)
laasha khaimo me na..(2)
le jaaya gaya Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
6. Khaicha naize se badan aur zamee'n par rakh kar
has ke zalim ne..(2)
gala kaat liya Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
7. Haaye,
Ek khilone ki Tarah khela uchala, phaika..(2)
shaam ke bachho ko..(2)
sar jab bhi mila Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
8. Kaise Zeeshan baya'n koi kare pyas uski..(2)
khushk lab hogaye..(2)
jab naam liya Asghar ka
Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)
No comments:
Post a Comment