Baba Aao Na
Eik Bibi(s.a.) Yaad Mein Baba Ki
Moti Ashkon Kay Piroti Hai
Jaagti Hai Naa Soti Hai
Bas Ro Rokar Yeh Kehti Hai
Meray Baba Haey Baba Aao Na
(Baba Aao Na) x2
Din Kat Tay Hain Ro Rokar Ratein Katein Fariyadon Mein
(Baba Aao Na) x2
Bain Karon Kab Tak Baba Main(s.a.) Ashkon Ki Barsaaton Mein
(Baba Aao Na) x2
- Tum Jab Say Gaey Saathi Meri Beemari Hai Tanhai Hai
- Dukh Beemari Ka Kaafi Tha Kion Dard-e-Judai Dekay Gaey
- Maen To Sahar Hoti Hain Baiti Kay Liey Har Toofan Mein
- Cheh Maah Hue Aai Na Khabar Pardes Ko Janay Walon Ki
- Khaali Hujray Khaali Bistar Jab Daikhti Hoon Baba Ghar Mein
- Woh Aangan Soona Soona Hai Jahan Ghutnion Chalta Tha Asghar(a.s.)
- Jis Din Say Gaey Ho Tum(a.s.) Baba Main Soochti Rehti Hoon Aksar
- Kia Rooth Gaey Baba Mujh Say Kion Suntay Nahin Fariyad Meri
- Eik Waaday Par Main(s.a.) Zinda Hon Waada Jo Kia Tha Asghar(a.s.)
- Shabaan Gai Ramzan Gaya Aur Eid Bhi Guzri Rotay Huey
- Woh Din Bhi Kabhi Ab Aaeyga Jab Aun(a.s.)-o-Mohammad(a.s.) Aaengay
Uthta Hi Nahin Sar Bistar Say Kuch Aisi Naqahat Chai Hai
Ashkon Kay Deep Jalati Hoon Tanhai Ki In Raaton Mein
(Baba Aao Na) x2
Eik Choti Behan(s.a.) Humjoli Thi Tum(a.s.) Saath Usay Bhi Lekay Gaey
Woh(s.a.) Hoti To Dil Behlati Main Us Say Baton Baton Mein
(Baba Aao Na) x2
Main Kaisay Guzarongi Lamhay Tanhai Kay Aisay Zindan Mein
Khat Likhnay Ko Bas Rehta Hai Qirtaas-o-Qalam Ab Hathon Mein
(Baba Aao Na) x2
Khojaey Na Rotay Rotay Kahin Beenai Hamari Aankhon Ki
Dil Darta Hai Uftaad Na Ho Meray Baba Teri Raahon Mein
(Baba Aao Na) x2
Eik Hook Si Dil Mein Uthti Hai Eik Dard Sa Hota Hai Sar Mein
Hojatay Hain Aansoo Bhi Shamil BaBa Sughra(s.a.) Ki Aanhon Mein
(Baba Aao Na) x2
Mehraab Woh Dil Tarpaati Hai Detay Thay Azan Jis Mein Akbar(a.s.)
Aaja Asghar(a.s.) Aaja Akbar(a.s.) Aawaz Hai Meri Karahon Mein
(Baba Aao Na) x2
Te Kaisay Kia Hoga Tum Nay Sehraaon Mein Garmi Ka Yeh Safar
Jab Koi Shajar Rastaky Mein Nahin Lagay Khaimay Kaisay Chaaon Mein
(Baba Aao Na) x2
Kia Aati Nahin Tum Ko Baba Thorhi Si Bhi Ab Yaad Meri
Hasrat Hai Kitni Aey Baba Aakar Dekho In Aankhon Mein
(Baba Aao Na) x2
Lenay Mujhay Aaengay Bhaiyya(a.s.) Khud Mujh Say Kaha Tha Akbar(a.s.) Nay
Hai Mujh(s.a.) Ko Yaqeen Meray Baba Sachchai Hai Un Kay Waadon Mein
(Baba Aao Na) x2
Main(s.a.) Bewaris Si Lagti Hoon Pooray Kunbay Kay Hotay Huey
Bin Aap Kay Yoon Lagta Hai Mujhay Hain Zehr Ghula Meri Saansoon Mein
(Baba Aao Na) x2
Dastak Dekar Darwazay Par Seenay Say Meray Lag Jaaengay
Main(s.a.) Apni Phophi(s.a.) Kay Bachchon(a.s.) Ko Lelongi Apni Baanhoon Mein
(Baba Aao Na) x2
Bhayi Kamar Torh Gaey
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Tanha Humein Dasht Mein Kaisay Bhala Chorh Gaey, Haaey Kamar Torh Gaey, Bhayi Kamar Torh Gaey
- Aray, Degaey Ho Itnay Ghum Jee Sakeingay Kaisay Hum(a.s.)
- Aray, Dekh Meri Bebasi Karbobala Kay Ali(a.s.)
- Aray, Tum(a.s.) To Alamdar Thay Bhayi Kay Gumkhuar Thay
- Aray, Doon Main(a.s.) Kisay Ab Sada Ran Mein Hon Tanha Kharha
- Aray, Baad Meray Hoga Kia Yeh Nahi Tujh(a.s.) Ko Pata
- Aray, Aankh Main Khoon Hai Bhara Teer Hai Aisa Laga
- Aray, Taigh Talay Shah(a.s.) Deen Sajday Main Rakhkar Jabeen
- Aray, Teray Saharay Bahan(s.a.) Chorh Kay Aai Watan
- Aray, Bali Sakina(s.a.) Teri Jo Hai Teri Ladli
- Aray, Jee Kay Karon Kia Main Ab Hogaya Aisa Ghazab
Aray, Hogaya Kaisa Sitam Ghum Say Kamar Hai Yeh Khum
Guzri Meray Dil Peh Kia Kaisay Bataaon Tujhay
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Had Say Barhhi Tashnagi Ghairay Hain Mujh(a.s.) Ko Shaqi
Halq Peh Kia Janiey Kab Meray Khanjar Chalay
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Kitanay Wafadar Thay Fauj Kay Saalaar Thay
Ab Yeh Alam Fauj Ka Hum(a.s.) Bhala Daingay Kisay
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Waqt-e-Ajal Aagaya Khushk Hai Mera Gala
Chalnay Ko Talwaar Hai Khushk Galay Par Meray
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Sab Saron Say Rida Looteingay Yeh Ashkia
Fauj-e-Sitam Bandhay Gi Aihl-e-Haram(a.s.) Kay Galay
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Hogaey Baazoo Juda Sar Bhi Dopara Hua
Bhai Yeh Halat Teri Jeenay Na Degi Mujhay
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Kehtay Thay Sun Aey Zamin Ab Mera Koi Nahin
Woh Jo Thay Baazoo Meray Neht Peh Kaatay Gaey
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Bhar Gaya Laashon Say Ban Lashein Hai Sab Bekafan
Kis Ko Pukaray Bahan(s.a.) Sar Say Jo Chadar Chinay
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Mashk Tujhay Dechuki Dar Peh Hai Ab Bhi Kharhi
Nehr Ko Takti Hai Woh Hathon Mein Kooza Liey
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Aray, Jeetay Thay Jis Kay Sabab Janay Mileingay Woh(a.s.) Kab
Qatl Kareingay Udo Tanha Humein Dekh Kay
(Haaey Kamar Torh Gaey Bhayi Kamar Torh Gaey) x2
Eik Hai Naara Haidery
Ho Eik Hai Naara Haidery
Ya Ali Ya Ali Ya Ali(A.S) Haider(a.s.)
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
- Aisa Naara Mil Kay Lagao Soi Hui Ummat Ko Jagao
- Yeh Naara Islami Naara Yeh Naara Hai Khair-e-Amal
- Khail Kay Maidanon Say Lekar Batil Kay Aiwanon Tak
- Pakistani Fauj Ka Naara Allaho Ya Haidery Naara
- Yeh Naara Naara Hi Nahin Hai Zarb Hai Qalb-e-Batil Par
- Donon Jahan Mein Aey Maula Tu Hai Aur Teri Sarkaar
- Zarb-e-Ali To Zarb-e-Khuda Hai Taigh-e-Ali Bhi Taigh-e-Khuda Hai
- Zarb-e-Ali Hai Aik Ibadat Zarb-e-Ali Maqsood-e-Risalat(s.a.w.w.)
- Momin Ki Naslon Ko Bachakar Batil Ko Dozakh Mein Girakar
Jaen Najaf Tak Is Ki Sadaen Mushkil Ko Khatir Mein Na Laao
(Jhomay Najaf Ki Har Gali) x2 Eik Hai Nara Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Is Naaray Ki Zad Peh Rahay Hain Khyber Khandaq Jang-e-Jamal
(Akhir Duniya Maan Gai) x2 Eik Hai Naar Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Is Naaray Ki Gonj Suni Hai Maqtal Say Zindanon Tak
(Bol Rahi Hai Har Sadi) x2 Eik Hai Naara Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Hanafi Naara Jaffery Naara Har Maslak Har Qaum Ka Naara
(Sab Ki Baqa Bhi Hai Yehi) x2 Eik Hai Naara Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Le Aya Tha Nooh Ki Kashti Ko Yeh Naara Sahil Par
(Jis Mein Chupi Hai Zindagi) x2 Eik Hai Naara Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Tujh Ko Dia Hai Nabi(s.a.w.w.) Nay Alam Rab Nay Bhaiji Hai Talwar
(Baat Yeh Kitnon Ko Khali) x2 Eik Hai Zarb-e-Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Tum Chahay Mano Na Mano Yeh Dekho Tareekh Mein Kia Hai
(Kehtay Rahay Iqbal Bhi) x2 Eik Hai Zarb-e-Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Zarb-e-Ali Ki Zad Mein Aakar Bach Nahin Sakti Kufr Ki Quwwat
(Jaan Gaey Yeh To Sabhi) x2 Eik Hai Zarb-e-Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Do Hisson Mein Tol Kay Katay Zarb-e-Ali Nay Zulm Kay Lashkar
(Taigh Bhi Hai Meezan Bhi) x2 Eik Hai Zarb-e-Haidery
(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2
Haey Shaam
(Shaam Haey Shaam Haey Shaam Haey Shaam) x2
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
- Naizon Peh Shahidon Kay Sar Hain Beemar(a.s.) Bhi Chalta Jaata Hai
- Zanjeer Ulajh Kar Peron Say Kehti Hai Yeh Ghum Kay Maaron Say
- Eik Rassi Hai Aur Bara Galay Yeh Qafla Aakhir Kaisay Chalay
- Kothon Peh Tamashai Hain Kharhay Aur Shaam Kay Baam-o-Dar Hain Sajay
- Darbaar Ka Dar Nazdeek Aya Bazaar-e-Sitam Ab Khatm Hua
- Darbar-e-Sitam Ki Aaraish Aur Takht-e-Laen Ki Zebaish
- Ba Parda Kanizein Baithi Hain Saidanian Saari Roti Hain
- Zalim Nay Ajab Yeh Kaam Kia Zainab(s.a.) Ka Achanak Naam Lia
- Zanjeer Chatakh Kar Toot Gai Beemar(a.s.) Nay Eik Angrhai Jo Li
- Darbar Say Jab Zindan Mein Gaey Sajjad(a.s.) Phophi(s.a.) Say Kehnay Lagay
- Zindaan Mein Sakina(s.a.) Nay Poocha Ghar Jaengay Hum(a.s.) Kis Din Bhaiyya(a.s.)
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Kuch Dair Mein Paththar Barseingay
Is Shehr Kay Baala Khanon Say Sajjad(a.s.) Ka Dil Gharbrata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Be Ghar Hain Musafir Bechadar Hai Kitni Aziyat Ka Yeh Safar
Bazoo Hain Bandhay Maan Behnon Kay
Sar Baap(a.s.) Chacha(a.s.) Kay Khoon Mein Tar Beemar(a.s.) Bohat Sharmata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Jalti Hai Zamin Kanton Say Bhari
Ronay Lagay Peron Kay Chalay Khoon Zakhmon Say Rista Jata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Ummat Hai Nabi(s.a.w.w.) Ki Chaar Taraf
Parhti Hai Nabi(s.a.w.w.) Zadi(s.a.) Khutbay Aur Ashk Falak Barsata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Kuch Dair Aseeron(a.s.) Ko Roko
Yeh Hukm-e-Yazidi Hai Aya Darbar Sajaya Jata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Jab Hochuki Poori Tab Jakar
Badkar Nay Ki Yeh Farmaish Lo Jashn Manaya Jata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Fizza(s.a.) Ko Banakar Jab Parda
Zehra(s.a.) Ki Betian(s.a.) Chupti Hain Sajjad Ko Ghash Ajata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Ghabrakay Ali(a.s.) Ki Beti(s.a.) Nay
Haathon Say Jigar Ko Thaam Lia Abid(a.s.) Ko Jalal Aajata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Darbar-e-Sitam Mein Shor Utha
Kia Aaj Najaf Say Aaey Ali(a.s.) Ya Waqt-e-Qayamat Aata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Yeh Kaisa Andhera Zindan Hai
Yaan Zinda Raheingay Hum(a.s.) Kaisay Dil Mera Dooba Jata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Ya Aur Koi Baqi Hai Sitam
Ghut Ta Hai Yahan To Dam Mera Ab Saans Ukharhta Jata Hai
Hosla Baba
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
- Bujha Rahi Hai Diyay Shaam Ki Hawa Baba(a.s.)
- Tumhara Saamna Kaisay Karay Haya Meri
- Jaltay Khaimon Ka Dhuwan Daikh Rahay Ho Baba(a.s.)
- Tamam Din Woh Manazir Nazar Nay Daikhay Hain
- Meray Ghareeb(a.s.) Ko Lakhon Nay Milkay Maara Hai
- Main Haath Malti Rahi Sheh(a.s.) Peh Chal Gaya Khanjar
- Azan Jo Di Ali Akbar(a.s.) Nay Parh Kay Bismillah
- Janaza Amman Ka Shab Mein Uthaya Tha Tum Nay
- Chupalo Apni Aba Mein Keh Thak Gai Hoon Main
- Bachakay Sholon Say Abid(a.s.) Ko Lai Hoon Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Udo Nay Cheenli Baba(a.s.) Abhi Rida Meri
Hamari Mushkilein Tum Hi Karo Kusha Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Ashk Aankhon Say Rawan Daikh Rahay Ho Baba(a.s.)
Guzar Gaya Meray Kunbay Peh Saneha Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Woh Daikho Ganj-e-Shahidaan Mien Kitnay Lashay Hai
Uthakay Lashay Mera Bhai(a.s.) Thak Gaya Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Har Aik Zakhm Peh Us Nay Tumhain Pukara Hai
Baghair Dhaar Ka Khanjar Tha Aur Gala Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Hai Meray Bhai(a.s.) Ka Laasha Bhi Jalti Reti Par
Kafan Bhi Bhai(a.s.) Ko Meray Nahin Mila Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Tarhap Tarhap Kay Main Roi Hoon Subhey Ashura
Main Jaanti Thi Bicharhta Hai Mehlaqa Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Main Roi Thi To Galay Say Lagaya Tha Tum Nay
Tumhari Beti(s.a.) Hai Maqtal Mein Be Rida Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Aseer Hokay Suey Shaam Jaarahi Hoon Main
Safar Taweel Hai Dushwaar Raasta Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Main Ghumzada Hoon Falak Ki Satai Hoon Baba(a.s.)
Kaleja Dard Say Zainab(s.a.) Ka Phat Gaya Baba(a.s.)
(Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba) x2
Ilayya Ya Bunaiyya
Ilayya Ya Bunaiyya
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
- Ter BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
- Thookrain Khaati Hui Maqtal Mein Kion Aai Hai Tu
- Jaanta Hoon Meray Senay Par Sada Soi Hai Tu
- Aaj Ki Shab Maan(s.a.) Kay Paihloo Mein Hi Sona Tha Tumhain
- Hogai Hai Shaam Phir Bhi Garm Hai Saari Zamin
- Sogaey Wehshi Darinday Tu Hai Ab Tak Jaagti
- Aa Meri Aaghosh Mien Kuch Dair Aakay Lait Ja
- Tujh Ko Paidal Mujh Ko Naizay Par Safar Karna Hai Ab
- Beh Raha Hai Khoon Kaanon Say Sakina Kis Qadar
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Mujh Ko Dikhlanay Tamanchon Kay Nishan Lai Hai Tu
Neend Say Aankhein Hai Bojhal Aa Meray Nazdeek Aa
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Teri Aankhein Keh Rahi Hain Kis Qadar Roi Hai Tu
Is Andheray Dasht Mein Kion Daiti Hai Mujh Ko Sada
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Piyasay Bachon Aur Phuphi(s.a.) Sath Rehna Tha Tumhain
Aa Meray Teeron Bharay Seenay Peh Aakay Lait Jaa
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Daikh Teray Paoon Mein Chalay Na Parh Jaen Kahin
Kion Nikal Aai Hai Khaimay Say Barehna Pa Bata
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Phir Rahi Hai BaBa(a.s.) BaBa(a.s.) Kehti Meri Laadli
Main Yahan Aur Nehr Peh Betab Hotay Hain Chacha(a.s.)
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Phir To Sooey Shaam Jaega Hamara Qafla(a.s.)
Teri Gardan Mein Rasan Bandhay Gi Yeh Fauj-e-Jafaa
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Karbala Sar Hochuki Hai Shaam Sar Karan Hai Ab
Daikh Marqad Chorh Kay Maqtal Mein Aaen Syeda(s.a.)
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Askh Say Chehra Hai Bheega Khon Say Poshak Tar
Daikh Kar Tujh Ko Pukara Laasha-e-Besar Mera
Tera BaBa(a.s.) Sota Hai Yahan
(Ilayya Ilayya Ya Bunaiyya) x2
Lashkar-e-Hussain Ban Kay
Isteghasa Hai "Rehan Azmi" Mera
Bargah-e-Aakhir-Uz-Zamaan(a.s.) Mein Aey Khuda
Lashkar-e-Imam(a.s.) Mein Hon Saaray Matmi
"Farhan" Majlis-e-Hussain(a.s.) Mein Karay Dua
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
- Gharian Intezar Ki Tamam Ho Chukin
- De Rahay Hain Kab Say Al-Ajal Ki Hum Sada
- Masjidein Pukarti Hain Har Namaz Mein
- Intezar-e-Adl Hai Adalaton Ko Bhi
- Hain Libas-e-Deen Mein Mukhalif-e-Aza
- Parhtay Hain Namaz Sheh(a.s.) Kay Saaray Matmi
- Paash Paash Aap(a.s.) Ka Bhi Dil Hai Ya Imam(a.s.)
- Ris Raha Hai Khoon Ab Bhi Jis Kay Kaan Say
- Intaqaam Shah(a.s.)-e-Karbala Ka Leingay Aap(a.s.)
Zulm-o-Jor Ki Fizaen Aam Ho Chukin
Aap(a.s.) Kay Zahoor Ki Jo Thin Nishanian
Roonuma Woh Sab Har Aik Gaam Ho Chukin
Dair Ho Chuki Sahib-Uz-Zamaan(a.s.)
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Bhaijtay Hain Har Baras Areezay Aur Dua
Mauj Ko Banalia Hai Apna Namah Bar
Jaanti Hai Mauj Hi To Aap(a.s.) Ka Pata
Aapp(a.s.) Kay Liey Hum Tarhaptay Hain
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Bargahein Dhondti Hain Har Ghari Tumhain
Majlison Mein Parhtay Hain Dua-e-Nahia
Aarzoo Hai Is Sadi Mein Tum Ko Daikhlein
Daur Khatm Ho Ab Yeh Ghaib Ka
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Aap(a.s.) Aakhri Imam(a.s.) Barhwein(12th) Ali(a.s.)
Aap(a.s.) Aeay To Dil Ko Chain Aaeyga
Aap(a.s.) Hi Kay Intezar Mein Hai Zindagi
Taigh-e-Haidery(a.s.) Aap(a.s.) Laengay
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Baichnay Lagay Khateeb Zikr-e-Karbala
Para Para Kardia Hai Ittehad Ko
Majlison Say Hai Namaz Ka Muqabla
Waris(a.s.)-e-Aza Deer Na Laga
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Zikr Hai Namaz Ka To Majlison Mein Bhi
Sajda-e-Hussain(a.s.) Ka Jisay Khayal Hai
Janta Hai Manzilat Ko Woh Namaz Ki
Is Tafarraqay Ko Mitaeay
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Yaad Aap(a.s.) Ko Bhi Hai Woh Karbala Ki Shaam
Jab Ridaen Bibion(s.a.) Kay Sar Say Chin Gaen
Jal Rahay Thay Jis Gharhi Hussain(a.s.) Kay Khayam
Pursa Lejiey Har Shaheed(a.s.) Ka
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Woh Sakina(s.a.) Qaid Say Na Aai Laut Kay
Qaid-e-Shaam Mein Lehad Hai Us(s.a.) Ki Aaj Bhi
Aati Hai Sada Yeh Aaj Us(s.a.) Ki Qabr Say
Zalimon Say Ab Intaqaam Lein
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Majlison Mein Zikr-e-Karbala Kareingay Aap(a.s.)
Matam-e-Hussain(a.s.) Kay Urooj Kay Liey
Apnay Jad(a.s.) Kay Haal Ka Nauha Parhheingay Aap(a.s.)
Ghazi(a.s.) Ka Alam Hoga Haath Mein
Lashkar-e-Hussain(a.s.) Ban Kay Aeay Maula
(Aeay Maula Aeay Maula, Lashkar-e-Hussain Ban Kay Aeay Maula) x2
Ya Rab
(Ya Rab Ya Rab) x2
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Yeh Nehr Ye Mojein Yeh Machalta Hua Pani) x2
(Aankhon Mein Meri Kanta Sa Chubhta Hua Pani) x2
Kehta Hai Meray Khon Sa Ubalta Hua Pani
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Meray Khuda Dekh Meri Tashna Labi Ko) x2
(Khoon Rulatay Hain Yeh Din Aal(a.s.)-e-Nabi Ko) x2
Milti Nahin Nehr Say Eik Boond Kisi Ko
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Waada Hai Mera Tashna Dahan Bachchon Say Maula) x2
(Le Aaonga Khaimon Ki Taraf Khainch Kay Dariya) x2
Lekin Meri Taqdeer Mein Hai Aur Kuch Likha
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Meri Wafa Sakht Musibat Mein Ghiri Hai) x2
(Main Hon Alamdar(a.s.) Laqab Mera Jari(a.s.) Hai) x2
Piyasi Bhatiji(s.a.) Dar-e-Khaima Peh Kharhi Hai
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Mash To Main Bhar Chuka Faujon Ko Bhagakar) x2
(Lekin Tu Gawah Rehna Meray Lab Na Huey Tar) x2
Jana Hai Khaimon Ki Taraf Mashk Bachakar
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Mera Jo Alam Nehr Kay Seenay Peh Garha Hai) x2
(Be Taigh Yeh Qabza Jo Abhi Main Nay Kia Hai) x2
Seh Roz Say Ya Rab Tu Magar Dekh Raha Hai
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Waaday Ko Nibhanay Ki To Mohlat Mujhay Deday) x2
(Sharmina Na Kar Bachchon Say Izzat Mujhay Deday) x2
Yeh Baat Na Dohraaon Woh Taqab Mujhay Deday
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Pani Ko Kabhi Aag Lagatay Nahin Dekha) x2
(Piyasay Ko Musafir Ko Satatay Nahin Dekha) x2
Ashkon Ko Lahoo Mein Nay Banatay Nahin Dekha
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Paani Nay Yahan Khoon Mera Kardia Paani) x2
(Yaad Aati Hai Bachchon Ki Mujhay Tashna Dahani) x2
Dil Rota Hai Jab Sunta Hoon Bachchon Ki Zubani
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
- (Bin Pani Liey Nehr Say Jaaey Ga Na Abbas) x2
(Soorat Kisi Piyasay Ko Dikhaeyga Na Abbas) x2
Baat Is Kay Siwa Lab Peh Nahin Laega Abbas(a.s.)

No comments:
Post a Comment