Abbas ka maidan
Ghazi ki shahaadat se, saadaat pe kya guzri
(Maula ki qamar tuti, zainab ki rida utri) x2
(Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x3 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo
- (Are khaimon mei yatimon ke piyaalon ka bikharna) x2
- Are Shabbir ko ghazi ki sunani jo sunaai, (Bechain huwe dasht mei dhunde kiye bhai) x2, (mazlum ki aankhon ka wahaan kaam na karna) x2
- Are Sajjad pe zaalim ke tamaachon ki woh baarish, (maasum sakina pe tamachon ki woh baarish) x2 (haan shimr ka woh shaame gharibaan mei na darna) x2
- Are Rone pe koi zulm tarapne pe koi bain, (haathon mei rasan khun mei tar jism khule sar) x2 (ye kaafela shabbir ki maqtal se guzarna) x2
- Are Tatheer ki parwasta ko galiyoin mei phiraana (har shehr ke har mor pe hi eid manaana) x2 (ujre huwe ko dekh ke logon ka sawarnaa) x2
- Are karne pare bimaar ko taamil hazaaron, (be aasra sayyedaaniyan aur neel hazaaron) x2 (ab tak hi yatimon ka koi zakhm na bharna) x2
- Are zainab pe khuli rehti thi baazaar ki aankhen, (roti hi rahi khun woh bimaar ki aankhen) x2 (sajjad ka har roz mei so baar ka marna) x2
- Are maaruf kabhi shoukato farhaan na hote, (lafzon pe agar shaah meherbaan na hote) x2 (alfaaz mei hota kabhi nauhe ka asar naa) x2
Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo (Abbas ka maidan mei ghore se utar naa) x2 Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo

Ay mere maula
*Dua-e-Ilaahi Adhmal balaa*
(Ai mere maula) x2 Sab logon ka imaan jaga dijiye maula (Ai mere maula) x2
- Bar rahi hai kaisi dilon mei ye nafrate (ho rahi hai kaisi mominon ki haalaate) x2 Dur ho rahi hai dilon se mohabbate (Ai mere maula) x2, Zehnon ki kadurat ko mitaa dijiye maula
- Bar rahi hai meri nasib joro jafaa se, (jaata raha husne asar baste dua se) x2, Mit gaye hai ehle hunar kaare wafa se, (Ai mere maula) x2 ab raaz ka manzil ka bataa dijiye maula
- Nazme gaahe deen mei tha naam hamara, (saltanat lagaa na saki daam hamara) x2, khouf pe mabni huwa har kaam hamara, (Ai mere maula) x2, phir maisamo mukhtar bana dijiye maula
- Naazon ke hawaale se to ik khwaab bhi ham hai, (taarikh mei bas waarise mehraab bhi ham hai) x2, is daur mei ab saahibe mizraab bhi ham hai, (Ai mere maula) x2, jine ki hame shams dikhaa dijiye maula
- Parti rahi taarikh hamara hi qasida, (nezon pe faqat tune parha haq ka jarida) x2, shaitan ki zad mei hai malango ka aqeeda, (Ai mere maula) x2, mirfat ka koi jaam pilaa dijiye maula
- Ye deen amanat hai khayanat se bachaae, (is basme wilayat ko khilaafat se bachaae) x2, aankhon ki ita'at ko siyasat se bachaae, (Ai mere maula) x2, Bas majlison matam ko jilaa dijiye maula
- Sadiyon se hi aulaade nabi giryaa kuna hai (shabbir ke aangan mei udhaasi hai fizaa hai) x2, haa fatema zehra ko bhala chain kahaan hai, (Ai mere maula) x2, Us qalbe shikasta ko dawaa dijiye maula
- Mazlum qabile ki madad ke liye aaye, (asghar hai pyaasa use paani bhi pilaae) x2, ik dhuup mei baithi huwi maa ko bhi uthaae, (Ai mere maula) x2, sughra ko bhi asghar se milaa dijiye maula
- Sab ehle azaa hoke pareshaan pukaare, (is aalaame ismaam ke insaan pukaare) x2, har saans mei hi shoukato farhaan pukaare, (Ai mere maula) x2, Parde se hi parde ko hataa dijiye maula
(Ai mere maula) x4
(Ai mere maula) x4
(Ai mere maula) x4
(Ai mere maula) x4
(Ai mere maula) x4
(Ai mere maula) x4
(Ai mere maula) x4
(Ai mere maula) x4
(Ai mere maula) x4
Haaye mere Hussain
(Haae mere Hussein aaja) x7
- (Aa tujhko bulaae maa) x2 aa maa ke paas aaja, haae
- Pyaasa hai bohot bete, mei ashk pilaati hun, bachpan ki tarah se mei, godi mei sulaati hun, (Aa tujhko bulaae maa) x2 aa maa ke paas aaja, haae
- Ghore se utar ne mei, ai laal na ghabraao, phailaa hai mera daaman, aagosh mei aajaao, (Aa tujhko bulaae maa) x2 aa maa ke paas aaja, haae
- Jo baap ki zeenat hai, jangal mei na ghabraae, tujse bhi kahin pehle, zainab hi na marjaae, (Aa tujhko bulaae maa) x2 aa maa ke paas aaja, haae
- Ummat nahi choregi, poshaake badan lelo, behno ki ridaaon kaa, shabbir kafan lelo, (Aa tujhko bulaae maa) x2 aa maa ke paas aaja, haae
- Ek haath se pehlu ke, zakhmon ko sambhaalungi, ek haath se mei teri, sab teer nikaalungi, (Aa tujhko bulaae maa) x2 aa maa ke paas aaja, haae
- Hasnain ke chehron par, kya karb ka ghaaza hai, the teer janaaze par, teeron pe janaaza hai, (Aa tujhko bulaae maa) x2 aa maa ke paas aaja, haae
- Farhaan aur shoukat ne, taarikh sunaadi hai, yun fatema zehra ne, jangal mei sada di hai, (Aa tujhko bulaae maa) x2 aa maa ke paas aaja, haae
(Haae mere Hussein aaja) x3
(Haae mere Hussein aaja) x3
(Haae mere Hussein aaja) x3
(Haae mere Hussein aaja) x3
(Haae mere Hussein aaja) x3
(Haae mere Hussein aaja) x3
(Haae mere Hussein aaja) x3
(Haae mere Hussein aaja) x3
Jaag utho
(Hai waqt karaa sar par aaya, hai chaaron taraf gham ka saaya) x2
(Phir aaj bani hai karbobala) x2 phir karbobala ne yaad kiya
(Ay hussayniyon) x2 (jaag utho) x3 Hussayniyo, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon
- Ek jaan hoke saare huseini chalo, apni hasti sawaare huseini chalo, is alam ke sahaare huseini chalo, faatema ke pyaare huseini chalo, (sirf ghazi ka parcham uthaa kar chalo) x2 (jaag utho) x3
- apni taarikh par mehr baani karo, ilm ke des pe hukm raani karo, apne dushman ko ab paani paani karo, naam akber ke apni jawaani karo, (ilmo hikmat ki shamma jalaakar chalo) x2 (jaag utho) x3
- akl ki jang afkaar se jeetlo, har mubah-la ko guftaar se jeetlo, zulm ko sabr ke waar se jeetlo, saari dunya ko kirdaar se jeetlo, (khud ko apne hussaynio banaakar chalo) x2 (jaag utho) x3
- Zikre shabbir hi apna manshur hai, usse ham duur hai sheh se woh duur hai, har zamin karbala se hi maamur hai, apna har yawm hi yawme aashur hai, (karbala apne dilme basaakar chalo) x2 (jaag utho) x3
- jiska aain kerdaar saadhi bhi hai, waqt ki jiske haathon mei baazi bhi hai, jo shahadat ka talib hai ghazi bhi hai, matami hai wohi jo namazi bhi hai, (apne kirdaar se ye batakar chalo) x2 (jaag utho) x3
- Apne maazi se pucho ke tum koun ho, tum ho musa agar koi firaun ho, tum khuda wand ke aun ke aun ho, har nayi karbala ke liye john ho, (khaakh mei dushmanon ko milaa kar chalo) x2 (jaag utho) x3
- dehr mei ab bhi halmin ki aawaaz hai, tum woh ho jinpe shabir ko naaz hai, shah ka gham muqaddar ki parwaaz hai, matami kehl waana to ehsaas hai, (apne seeno pe tum gha sajaa kar chalo) x2 (jaag utho) x3
- fikr ko har badi se muarra karo, bas musalmaan hone pe gharra karo, dil yazidi safon se mubarra karo, panjatan ke udu pe tabarra karo, (naaraa-e-hydery tum lagaa kar chalo) x2 (jaag utho) x3
- Zikre shabbir hi apna manshur hai, usse ham duur hai sheh se woh duur hai, har zamin karbala se hi maamur hai, apna har yawm hi yawme aashur hai, (karbala apne dilme basaakar chalo) x2 (jaag utho) x3
- apni taarikh par mehr baani karo, ilm ke des pe hukm raani karo, apne dushman ko ab paani paani karo, naam akber ke apni jawaani karo, (ilmo hikmat ki shamma jalaakar chalo) x2 (jaag utho) x3
- akl ki jang afkaar se jeetlo, har mubah-la ko guftaar se jeetlo, zulm ko sabr ke waar se jeetlo, saari dunya ko kirdaar se jeetlo, (khud ko apne hussaynio banaakar chalo) x2 (jaag utho) x3
- Shoukaton zikr maula ka irfaan hai, ye aqeeda malango ke pehchaan hai, jo bhi shabbir pe dilse qurbaan hai, woh azadaar jannat mei farhaan hai, (ye aqeeda sabhi ko sunaakar chalo) x2 (jaag utho) x3
Hussayniyon, Ay Hussayniyon, Ay Hussayniyon
Hussayniyon, Ay Hussayniyon, Ay Hussayniyon
Hussayniyon, Ai Hussayniyon, Ai Hussayniyon

Khaak urhaawo
(Haae Zainab) x3 Haae Madina
(Are logo, ab khaak urhaao) x3
- Pardes se lut kar aaya, shabbir ka kunbaa saara
- Jo mera Hussein tha logo, jo yasrab ka tha ujala, pardes bulaa kar usko, (aada ne maar hi daala) x2 khaime se mei chillayi, pyaasa hai mera bhai
- Aabaad kabhi hota tha, ab hai wiraan madina, naa mei asghar ko laai, (na aayi saath sakina) x2 ik dashte bala ko dhaaya, ek ne hai shaam basaaya
- Lo akber ki bhi sunlo, usne taqdeer rulaadi, shabbir ke haath pe usne (karli hai mout se shaadi) x2 uski baatein howengi, sabki behne rowengi
- Us waqt ghazab mei aayi, kehte hai aap karimi, jab khaak par khun mei tarpi, (qaasim ki paak yatimi) x2 kuch shah khaimon mei laaye, kuch ab tak dund na paae
- Us dasht mei kufi shaami, kehte the koun mohammed, shabbir pe sadqa karke, (bheje hai aun mohammed) x2 na mei ab tak soyi hun, na bachon ko royi hun
- Shoukat farhaan bataado, sab gham ke baab sunaado, zainab chillayi mujhko, (bas maa ki qabr dikhaado) x2 kab shehr mei reh paaungi, mei shaam chali jaaungi
(Are logo, ab khaak urhaao) x2
(Are logo, ab khaak urhaao) x2
(Are logo, ab khaak urhaao) x2
(Are logo, ab khaak urhaao) x2
(Are logo, ab khaak urhaao) x2
(Are logo, ab khaak urhaao) x2
(Are logo, ab khaak urhaao) x2
Kya muje
Haaye amma, are suno ama, are aapse mei bayaan, dil ka haal karun, are dil mei uth ta hai jo, ik sawaal karun
(Qaid se jab rihaai haram paaenge) x2 (kya meri qabr pe phir nahi aaenge) x2 (sirf ranjo alam) x3 mujhko tarpaaenge
(kya mujhe chor kar sab chale jaaenge) x2
- Qaid se jab rihaai haram paaenge
- Kya isi qaid mei gut ke marjaaungi, kya mei do gaz kafan bhi nahi paaungi, mele kurte mei kya mujhko dafnaaenge
- Sarse paaun talak mei lahu mei hu tar, mera zakhmon bhara ye badan dekh kar, sirf zaalim nahi zulm pashtaaenge
- Shaam waale karenge abhi kuch sitam, mujhko khaae chala jaa raha hai ye gham, ye meri qabr pe shimr ko laaenge
- Dekh kar zakhm baba ke ghabraayi mei, hashr mei baap ke paas jab aayi mei, dekh kar mujhko baba bhi ghabraaenge
- Karbala hai kahaan aur kahaan shaam hai, na mujhe chain naa unko aaraam hai, woh mujhe karbala roz bulwaaenge
- Karbala jaake baba se ye puchna, hashr mei unse jab ho mera saamna, kya mujhe apne sine se liptaaenge
- Kehna sughra se apna chaman milgaya, ho mubarak tumhe to watan milgaya, hashr tak ham musaafir hi keh laaenge
- Shaam mei hi meri shaam hojaaegi, ye kahaani agar aam hojaaegi, baap beti se kab pyaar farmaaenge
- Ham na funkaar hai aur na ehle kalam, hai ye farhaano shoukat pe unka karam, hamse shabbir nauha kehel waaenge

Mei chal bhi nahi sakta
(Haaye Sajjad, Haaye Bimaar) x3
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
- (aankhon se lahu meri) x2 ik pal bhi nahi rukta
- Ye khun jo behta hai, is pak ka matam hai, mujhe touk aur beri ke, gham se bhi sawa gham hai, (maa behne phuphi aayi) x2 baazaar mei be parda
- Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri, naamu se mohammed ki, jis waqt ridaa utri, (baazaar mei aaya hai) x2 zindaan ye mera laashaa
- Tatheer ke parwardaa, ummat ne phiraaye hai, us bibi ko logon ne, darbaar dikhaaye hai, (jis bibi ka baba ne) x2 chehra bhi nahi dekha
- Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar, kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par, (jab maa ne kahaa mujhse) x2 tum koun ho ai betaa
- Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi, maasum sakina ye, har mour pe kehti thi, (kya dafn huwe honge) x2 karbal mei mere baba
- Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega, zainab ke khule sar ko, woh dekh na paaega, (ghairat ke khuda ka sar) x2 neze pe nahi rukta
- Akber ka hasin chehra, jo dekhte rehte hai, sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai, (is husn ke paikar ki) x2 ab tak hai maa zindaa
- Maa behne khule sar hai, raahon mei tamashaai, aulaade mohammed ko, taqdeer kahaan laayi, (paa bande silaasil hun) x2 kaanton se bhara rasta
- Tera hi kalam maula, teri hi zabaan maula, farhaan aur shoukat ki, aukaat kahaan maula, (tauheed bhi karti hai) x2 har waqt tera giryaa
- (aankhon se lahu meri) x2 ik pal bhi nahi rukta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta
Utho Akbar
Qaasid ko leke aaye hai maqtal mei jab Hussein
Zakhmon ka ek hujuum tha maula ke saath mei
Akber ki laash uthi hai taazim ke liye
Aakhir behen ka khat jo tha maula ke haath mei
Bete se keh rahe the ke behnaa ka khat suno
Hai qarb qaaenaat ka har ek baat mei
Utho akber, khat aaya hai, khat aaya hai
(Utho akber, khat aaya hai) x4
- khat mei likha hai pehli satar par, ay mere pyaare bhayya Akber, meri dua hai ay mere bhayya, tujhpe ho qurbaan teri khwahar, aanchal dua ko phailaaya hai
- pucha hai beta teri bahan ne, akber ke sehra kaisa laga hai, hasrat se usne ye bhi likha hai, sehre mei chehra kaisa laga hai, baaton ne uski tarpaaya hai
- Kisne lagaayi akber ke mehndi, kuch to bataao ay baba jaani, shaadi ka jora jab usne pehna, kaisi lagi thi uski jawaani, aisa woh mera maa jaayaa hai
- Usne likha hai akber ke dam se, kaisi saji hai karbal ki baadi, pucha hai usne mei jo nahi thi, kaisi rahi hai akber ki shaadi, akber pe kaisa roop aaya hai
- Abbas chacha ki takbeer sunkar, maidaan saara dehelta to hoga, baali sakina ki ungli pakar kar, ab mera asghar chalta to hoga, uska bhi kurta bhijwaaya hai
- Khaane lagi hai dilko udaasi, mushkil huwa hai ab mera jina, betab raahe, khamosh galiyaa, sunsaan aangan viraan madina, ik hu ka aalam saa chaaya hai
- Dekha hai maine ik khwaab jisme, giryaa kuna hai saari fazaaen, dekha hai maine daryaa lahu ka, bikhri huwi hai jisme ridaaen, mera kaleja ghabraaya hai
- Sughra ko ab mei likhne laga hun, akber se milne ki ummeed choro, ab umr bhar hai matam hi matam, har shaad choro har eid choro, tumpe ghamon ka ab saaya hai
- Farhaan tumpe lamha ba lamha, akber ki ujri behen ka karam hai, shoukat ke haathon pe akber ke damse, har waqt maqtal shana sa kalam hai, nauha usi ne likhwaaya hai
(Utho akber, khat aaya hai) x3
(Utho akber, khat aaya hai) x3
(Utho akber, khat aaya hai) x3
(Utho akber, khat aaya hai) x3
(Utho akber, khat aaya hai) x3
(Utho akber, khat aaya hai) x3
(Utho akber, khat aaya hai) x3
(Utho akber, khat aaya hai) x3
(Utho akber, khat aaya hai) x3
Watan tarasha
(Lot ke aawo) x4 (Watan ko baba jaan) x3
(Watan Tarasha baba jaan) x2 Haey Baba Musafira
(Watan Tarasha baba jaan) x2 Haey Baba Musafira
(Nishta Sukoon baba jaan) x2 Haey baba Musafira
- Wai Da Ma Tanhai Da lala Zamaan Door De
- Poochti Hoon Dil Say main aap Ki Paheliyan
- Baba jaan Sochuka Saey Zamaan Naseeb De
- Kia Taweel Gham Mila Mujh Ko Arz-o-Tool Ka
- Aghay Pa Gham Ke Jaarh Ma Da Zamaan Khushali Da
- Di Khizaan Ne Yeh Sada Ab Bahaar Chorh De
- Ghat Ghonde Yo Daagh Oo Husn P' Shabab Ke
- Nauha Aur Hussain Ka Kab Bashar Ka Kaam Hai
Jism Sala baba jaan Qalb-e-Hazeen Choor De
Maray Gi Tanhai Yeh bhayi Mera Door Hai
Sath Meray Jism Kay Dil Bhi Mera Choor Hai
(Dil Ko Gham Jalaa Gaya) x2 Haey baba Musafira
(Watan Tarasha baba jaan) x2 Haey Baba Musafira
Dekhti Hoon Roz-o-Shab Apni Yeh Hatheliyan
Dukh Meray Aziz Hain Ghurbatein Saheliyan
Aik mein Ghareeb Hoon Aur Bhari Hawliyan
(Aik Gham Sa Chaa Gaya) x2 Haey baba Musafira
(Watan Tarasha baba jaan) x2 Haey Baba Musafira
Sukh Zamaan Raqeeb De Dukh Zamaan Qareeb De
Baba jaan Sochieay Kia Mera Naseeb Hai
Sukh Meray Raqeeb Hain Dukh Meray Qareeb Hai
(Ab To Ghum Hi Bhaa gaya) x2 Haey baba Musafira
(Watan Tarasha baba jaan) x2 Haey Baba Musafira
Tukrhe Tukrhe Hogaya baba Dil Malool Ka
Har Gali Mein Bain Hai dadi jaan batool Ka
Bujh Gaya Charagh Bhi Roza-e-Rasool Ka
(Mera Dil Bujhaa Gaya) x2 Haey baba Musafira
(Watan Tarasha baba jaan) x2 Haey Baba Musafira
Gul Che Rana Laarh Zamaan Gul Shoyara Joand Zamaan
Us Kay Gham Mein Rona Hi Ab To Hai Meri Khushi
Jab Say Chala Gaya Gul Hui Hai Zindagi
(Zindagi Ka Kia Gayaa) x2 Haey baba Musafira
(Watan Tarasha baba jaan) x2 Haey Baba Musafira
Apnay Har Qaraar Ko Be Qaraar Chorh De
Aankh Ki Umeed Ko Ashk Baar Chorh De
Keh Raha Hai Dil Mujhay Intezaar Chorh De
(Intezaar Khaa Gayaa) x2 Haey baba Musafira
Ror Akhpal Okato Maash Pe P' Khuwab Ke
Ek Barhaa Sa Daagh Tha Husn Kay Shabab Mein
Dekha Apnay bhayi Ko Raat Main Nay Khuwab Mein
(Khuwab Bhi Dukha Gayaa) x2 Haey baba Musafira
(Watan Tarasha baba jaan) x2 Haey Baba Musafira
Zikr Is Imam Ka Zikr Ka Imam Hai
Karbala Usool Hai Karbala Payaam Hai
Karbala Ki Baat Hai Shaukat-e-Kalam Hai
(Karbala Jagaa Gayaa) x2 Haey baba Musafira

No comments:
Post a Comment