Alqamah
(Alqamah Alqamah) x2
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x3
- (Kya Raaz-e-Tashnagi Tha) x2 Kuch To Zuban Kholo
- Ghazi(a.s.) Kay Ghum Mein Bachchay Ro Rokay So Chukay Hain
- Koozay Zamin Peh Rakhkar Be Aash Ho Chuki Hai
- Baazoo Qalam Huey Hain Dariya Peh Jis Jari Kay
- Do Neem Hogai Hai Ghum Say Kamar Hamari
- Zainab Pukarti Hain Meri Rida Ka Zamin
- Har Soo Bapa Hai Matam Hardil Tarap Raha Hai
- Kehta Tha Fazl Rokar Aey Meray Baba jaan
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Aankhon Mein Meri Aansoo Sab Khushk Hochukay Hain
(Abbas Kay Alam Say) x2 Tum Hi Lipat Kay Rolo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Yaani Sakina(s.a.) Ab To Pani Say Dar Rahi Hai
(Pani Kay Naam Say Bhi) x2 Darti Hai Ab Woh Dekho
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Saidaniyan(s.a.) Jamaa Hain Us Kay Alam Kay Neechay
(Mashk-e-Sakina Koi) x2 Is Alam Say Kholo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Kehtay Thay Shah-e-Waal Ghazi Main Tujh Peh Waari
(Hasrat Hai Yeh Humari) x2 Eik Baar Bhai Kehdo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Dariya Peh Sogaya Hai Guzreingay Kis Tarha Din
(Aey Bibiyon Ab Apni) x2 Chadar Say Haath Dholo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Eik Sher Alqamah Ki Godi Mein Soraha Hai
(Soya Hua Hai Thak Kar) x2 Ahistigi Say Bolo
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Rehnay Na Doonga Laasha Aada Kay Darmiyan
(Main Aaraha Hoon Baba) x2 Lillah Tum Na Roko
(Aey Alqamah Ki Mojon Khamosh Kion Ho Bolo) x2
Alvida alvida
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
- BaBa(a.s.) Kaisay Kahon Alwidaa Alwidaa
- Aap(a.s.) Jatay Nahin Jaan Janay Lagi
- Kio Piyon Main Dawa Hochuki Bas Shifa
- Kaisay Behlaaon Dil Kuch To Bolo Padar(a.s.)
- Din To Kat Jaeyga Shab Na Kat Paeygi
- Kon Jaata Hai Beemar Ko Chorh Kar
- Lo Meray Ghar Say Rukhsat Ujaala Hua
- Haaey BaBa(a.s.) Meray Din Yeh Garmi Kay Hain
- Bhai Akbar(a.s.) Chalay Aur Asghar(a.s.) Chalay
- Kum Say Kum Nanhay Asghar(a.s.) Ko Yaan Chorh Dein
- Aap Ki Ghar Say BaBa(a.s.) Sawari Chali
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Zindagi Mujh Say Daman Churhanay Lagi
Saans Seenay Mein Ruk Ruk Kay Aanay Lagi
Ab Meray Saath Hain Aah Aur Hichkiyaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Chorh Kar Mujh Ko Mera Masiha Chala
Aisa Lagta Hai Mujh Say Hue Tum(a.s.) Khafa
Meri Hamjoliyaan Ab Hain Tanhaiyaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Qabr Say Kam Nahin Haaey Ab Mera Ghar
Mot Hai Ab Meri Aap(a.s.) Ka Yeh Safar
Bolti Hai Nazar Chup Hai Meri Zuban
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Aap(a.s.) Kay Hijr Mein Neend Kab Aaeygi
Neend Aai To Woh Mot Ban Jaeygi
Roey Ga Meri Gurbat Peh Ab Aasmaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Haath Rakhtay Hain Beemar Kis Nabz Par
Us Ki Dil Joi Kartay Hain Shaam-o-Sahar
Rakhtay Hain Thanday Paani Ki Bhi Pattiyan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Jata Hai Bhai(a.s.) Naazon Ka Paala Hua
Ranj Is Baat Say Hai Dobala Hua
Tum(a.s.) Rahogay Wahan Main(s.a.) Rahoongi Yahan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Saath Bachchon Ka Hai Yeh Safar Naa Karein
Ya To Phir Saath Mujh(s.a.) Ko Bhi Lekay Chalein
Keh Raha Hai Yehi Ab To Ashk-e-Rawan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Mujh Mein Aur Mot Mein Kam Huey Faaslay
Meri Jaanib Barhhay Dard Kay Qaaflay
Aakhri Baar Akbar(a.s.) Sunado Azaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Saans Ki Toot Ti Doriaan Jorh Dein
Mot Ka Rukh Meri Simt Say Morh Dein
Aur Kuch Roz Jeeloongi Main(s.a.) Natawaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Dam Karoon Aap Par BaBa(a.s.) Naad-e-Ali(a.s.)
Mein Dua-e-Safar Bhi Karoongi Abhi
Mera Kia Hai Khuda Hai Mera Meharbaan
(Alwidaa Alwidaa Alwidaa Alwidaa) x2
Arzu-e-karbala
(Jaraha Hoon Jaraha Hoon) x2
(Karbala) x4
Jaraha Ho Karbala Main Jarha Hoon Karbala Main
- (Mominon Mil Kar Chalo) x2 Yeh Hai Hussaini Qafla
- Farz Hai Ganj-e-Shahidan Ki Ziarat Is Tarha
- Woh Zamin Jo Mool Li Thi Syed-e-Abrar(a.s.) Nay
- Karbala Kia Hai Moalla Adam(a.s.)-o-Eesa(a.s.) Ka Hai
- Yeh Zamin Woh Hai Jahan Sota Hai Zehra(s.a.) Ka Pisar
- Gardan-e-Shabbir(a.s.) Par Khanjar Chala Tha Jis Jagah
- Roza-e-Abbas(a.s.) Par Jakar Azadari Karein
- Haaey Woh Shaam-e-Ghariban Jis Mein Zainab(s.a.) Lut Gai
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Farz Quraan Ki Tilawat Aur Ibadat Jis Tarha
Karbalal Ghum Ka Madina Karbala Kaaba Numa
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Us Zamin Par Sheh(a.s.) Ko Mara Shimr-e-Bad Atwar Nay
Us Zamin Ki Khaak Ko Sheh(a.s.) Nay Kia Khaak-e-Shifa
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Karbala Dar-Ul-Khilafa Khum Kay Us Mola(a.s.) Ka Hai
Jo Kay Hai Nafs-e-Payambar(s.a.w.w.) Jo Kay Hai Sher-e-Khuda(a.s.)
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Ambia(a.s.) Kartay Hain Sajda Ab Bhi Us Ki Khaak Par
Apnay Bachchon Kay Liey Mehw-e-Fughaan Hain Syeda(s.a.)
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Seena-e-Akbar(a.s.) Mein Naiza Tha Jahan Toota Hua
Gulshan-e-Zehra(s.a.) Kay Gul Bootay Jahan Hain Ja Baja
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Roza-e-Shabbir(a.s.) Par Aankhon Say Khoon Jaari Karein
Alqama Peh Jakay Piyason(a.s.) Ki Karein Majlis Bapa
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Baap Say Baali Sakina(s.a.) Beton(a.s.) Say Maan(s.a.) Chut Gai
Asghar(a.s.)-e-Maasoom Ka Jis Dasht Mein Jhoola Jala
(Nauha Parhho Matam Karo) x2 (Hussain Ya Hussain) x2 (Jaraha Ho Karbala Main) x2
Assalam ghazi mere
(Assalam Assalam) x2
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
- Jano Dil Qurbaan Tujh Par Jan(a.s.)-e-Haider(a.s.) Assalam
Baazoo-e-Sibt(a.s.)-e-Payambar(s.a.w.w.) Jan-e-Haider(a.s.) Assalam - Dast-e-Haider(a.s.) Aks-e-Haider(a.s.) Marzi-e-Shabbir(a.s.) Hai
- Teray Baazo Zulfeqaar-e-Haidery(a.s.) Say Kam Nahin
- Tera Parcham Parcham-e-Islam Ban Kar Reh Gaya
- Teri Haibat Teri Jurrat Aur Yeh Tera Alam
- Hai Dua-e-Zainabi(s.a.) Say Tu Alamdar-e-Wafa(a.s.)
- Tu Hai Quraan-e-Wafa Tafseer Hai Eesaar Ki
- Hashr Tak Dariya Peh Qabza Karbala Jageer Hai
- Hogaey Baazo Qalam Jab Mashk Zakhmi Hogai
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Qalb-e-Zehra(s.a.) Ki Dua Hai Azm-e-Khaiber Geer(a.s.) Hai
Hai Akela Misl-e-Lashkar Jan-e-Haider(a.s.) Assalam
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Ghaiz Mein Aaen To Zarb-e-Haidery(a.s.) Say Kam Nahin
Saani-e-Zehra(s.a.) Ki Chadar Jan-e-Haider(a.s.) Assalam
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Tera Baazoo Baazoo-e-Eeman Ban Kar Reh Gaya
Ibn-e-Mola(a.s.)-e-Abuzar(a.s.) Jan-e-Haider(a.s.) Assalam
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Koi Khasakta Nahin Ab Bhi Teri Jhooti Qasam
Aey Bahadur Aur Safdar Jan-e-Haider(a.s.) Assalam
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Apna Beta(a.s.) Maanti Hain Khud Janab-e-Syeda(s.a.)
Waah Ray Teray Muqaddar Jan-e-Haider(a.s.) Assalam
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Moj Kay Seena Peh Tu Nay Dastaan Tehreer Ki
Mashk Mein Bharkay Samandar Jan-e-Haider(a.s.) Assalam
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Tu Hussaini(a.s.) Azm Kay Quraan Ki Tafseer Hai
Tera Dushman Hoga Abtar Jan-e-Haider(a.s.) Assalam
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Janib-e-Khaima Teri Janay Ki Himmat Naa Rahin
Haaey Abbas(a.s.)-e-Dilawar Jan-e-Haider(a.s.) Assalam
(Assalam Ghazi Meray Assalam) x2
Dard-e-jigar
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
- Teri Qabr-e-Peh Amman(s.a.) Dard-e-Jigar Sunaaon
Yeh Khoon Bhara Kurta Kaisay Tujhay Dikhaaon - Amman(s.a.) Yeh Aik Kurta Samaan Mein Bacha Hai
- Amman(s.a.) Libaas-e-Kohna Manga Tha Jab Akhi Nay
- Amman(s.a.) Tera Gulshan Karbobala Mein Ujrha
- Amman(s.a.) Meri Rida Ka Zamin Jo Eik Jari Tha
- Amman(s.a.) Woh Shaam Walay Nana(s.a.w.w.) Kay Ummati Woh
- Amman(s.a.) Tumhari Beti(s.a.) Woh Kaam Kar Kay Aai
- Amman(s.a.) Ridaen Sar Say Cheni Gaein Hamari
- Amman(s.a.) Mein Shaam Jakar Zinda Rahi Hoon Kaisay
- Amman(s.a.) Main Thak Gai Hoon Seenay Say Ab Lagaalo
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Meray Akhi Ka Kurta Lahoo Bhara Hai
Marqad Mein Is Ko Rakh Lo Soghaat-e-Shaam Samjho
Tum Is Ko Piyar Karlo Aankhon Say Mein Lagaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Mujhay Tha Maara Us Waqt Zindagi Nay
Mein To Samajh Gai Thi Marnay Chala Hai Bhai(a.s.)
Woh Dastaan Sunakar Mein Khud Hi Mar Na Jaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Tera Kunba Seh Roz Raha Piyasa
Khaimay Jalay Hain Amman(s.a.) Looti Gaein Ridaen
Main(s.a.) Dastaan Safar Ki Kia Kia Tujhay Bataon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Woh Mera Bhaiyya(a.s.) Jo Aks-e-Haidery(a.s.) Tha
Baazoo Qalam Tha Usk Ka Ghum Ko Bhi Ghum Tha Us Ka
Us Khoon Bharay Alam Ko Palkon Peh Mein Uthaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Qasam Khuda Ki Thay Is Qadar Shaqi Woh
Bachchon Peh Zulm Kar Kay Khushian Mana Rahay Thay
Rahon Mein Marnay Walay Bachchay Kahan Say Laaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Wahan Bhi Mein Nay Farsh-e-Aza Bichaai
Kehtay Hain Jis Ko Zindaan Us Ki Zamin Thi Hairaan
Khud Keh Keh Raha Tha Zindan Farsh-e-Aza Bichaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Safar Ki Khatir Be Parda Thi Amari
Pathar Baras Rahay Thay Sar Say Lahoo Tha Jari
Haal-e-Safar Sunakar Ab Kia Tumhein Rulaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Safar Ki Sakhti Zahir Hai Bazoon Say
Bazoo Peh Jo Nishan Hain Soghat Hain Safar Ki
Chehray Ki Gard Apnay Kis Tarha Say Chupaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Mujhay Khudara Pehloo Mein Tum Sulaalo
Tukhrhay Jigar Hai Mera Kaisa Safar Hai Mera
Tum Hi Bataao Amman(s.a.) Kab Tak Main Chalti Jaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Haye Ali Akbaram
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
- Jan-e-Padar Kushta-e-Talwaar Ali Akbaram(a.s.)
- Maah-e-Manam Sher-e-Jigar Dar Ali Akbaram(a.s.)
- Husn-e-Rukhat Mah-e-Falak
- Dolat-e-Bedaar Man Ast
- Da Gham-e-Tu Naala Kasham
- Aah Pisar Raft Kuja
- Banda-e-Razi Ba Raza
- Haif Dar Aan Dasht-e-Bala
- Giriya-e-Laila(s.a.) Paey Tu
- Teera Jahan Dar Nazaram
- Tu Sar-o-Samaan-e-Man(a.s.) Ast
- Kun Sukhan Aawaz Be Kun
- Aey Keh Tu Lakht-e-Jigaram
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Seem Tanat Rashk-e-Malak
Lal-e-Laban Khanda-e-Gul
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Andak-e-Bisiyar Man Ast
Daaro-e-Aazar Man Ast
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Az Paey Tu Giriya Kunam
Aey Pisaram(a.s.) Aey Pisaram(a.s.)
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Gum Zay Nazar Raft Kuja
Zoor-e-Kamar Raft Kuja
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Shud Hadaf-e-Jor-o-Jafa
Qatl Udu Kard Tora
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Shakl-e-Rasool-e-Dosara(s.a.w.w.)
Kushta-e-Shud Jor-o-Jafa
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Ashk-e-Sakina(s.a.) Paey Tu
Nauha-e-Sughra(s.a.) Paey Tu
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Zakhm Zada Dar Jigaram
Aah Che Shum Aey Pisaram(a.s.)
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Tu Pisaram(a.s.) Jaan-e-Man(a.s.) Ast
Hasrat-o-Armaan-e-Man(a.s.) Ast
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Az Basat Awaz Be Kun
Qatl Dilam Baaz Bekun
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Aey Keh Tu Rashk-e-Qamaram
Aey Keh Tu Noor-e-Nazaram
Aey Gul-e-Gulzaar Ali Akbaram(a.s.)
(Haay Ali Akbaram Hae Ali Akbaram) x2
Haye shaam-e-gharibaan
(Haey Shaam-e-Gharibaan Haey Shaam-e-Gharibaan) x2
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
- Ab Aey Hain Jab Fauj-e-Khuda(a.s.) Sogai Ran
- Maidaan Mein Laasha Hai Meray Bhai(a.s.) Ka Uriyan
- Abid(a.s.) Ko Bacha Lai Hoon Jaltay Huey Ghar Say
- Baba Mujhay Jana Hai Abhi Qaid-e-Sitam Mein
- Baba Main(s.a.) Bohat Tarhpi Hoon Shabbir(a.s.) Kay Ghum Mein
- Baba Main(s.a.) Rasan Basta Suey Shaam Chali Hoon
- Khaimon Ki Jali Raakh Peh Baithi Hai Sakina(a.s.)
- Abbas(a.s.) Mera Sogaya Dariya Kay Kinaray
- Had Hogai Asghar(a.s.) Sa Mujahid Bhi Nahin Hai
- Aththara Baras Pala Tha Jis Ko Woh Kahan Hai
- Baba Mujhay Koofay Mein Phiraengay Siamgar
Jab Khoon Bhara Parcham Hai Alamdar Ka Ban Mein
Seenay Say Alam Ghazi(a.s.) Ka Liptaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Poshaak Meray Bhai(a.s.) Ki Hai Khoon Main Ghaltaan
Lillha Kafan Bhai(a.s.) Ko Pehnaiya Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Go Shimr-e-Laeh Legaya Chadar Meri Sar Say
Sar Peh Meray Amamay Ko Phailaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Hona Hai Izafa Abhi Kuch Aur Bhi Ghum Mein
Dam Nad-e-Ali(a.s.) Baazoo Peh Kar Jaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Dil Tukrhay Hai Baba Mera Gazi Kay Alam Mein
Matam Karoon Yeh Reesmaan Khulwaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Lagta Hi Nahin Mujh Ko Keh Main Bint(s.a.)-e-Ali(a.s.) Hoon
Hamraah Najaf Ab Mujhay Lejaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Sonay Kay Liey Dhondti Hai Baap Ka Seena
Shabbir(a.s.) Na Aaengay Yeh Samjhaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Pardes Mein Cheenay Gaey Sab Meray Saharay
Main Kis Kay Saharay Jiyon Batlaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Aur Hoosh Mein Is Waqt To Abid(a.s.) Bhi Nahin Hain
Abbas(a.s.) Ko Dariya Say Bula Laiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Tooti Hui Ab Seena-e-Akbar(a.s.) Mein Sina Hai
Maidan Say Akbar(a.s.) Ko Utha Laiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Le Jaaeyga Bazaaron Mein Yeh Shaam Ka Lashkar
Chadar Meray Sar Kay Liey Ban Jaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Khabar
Kisi Nay Aakay Madinay Mein Aam Ki Yeh Khabar
Safar Say Aatay Hain Ibn(a.s.)-e-Batool(s.a.) Laut Kay Ghar
Hain Saath Akbar(a.s.)-o-Abbas(a.s.) Qasim(a.s.)-o-Asghar(a.s.)
Sawaar Shaan Say Hain Bibiyan(s.a.) Bhi Oonton Par
Khushi Manaao Madinay Mein Aarahi Hai Bahar
(Watan Mein Laut Kay Aatay Hain Syed-e-Abrar) x2
- Gharon Ko Apnay Sajaao Hussain(a.s.) Aatay Hain
- Yeh Sun Kay Ghar Say Nikal Aey Mard-o-Zan Saaray
- Pukarin Sughra(s.a.) Keh Din Eik Ka Naseeb Hua
- Madinay Waalon Madinay Peh Chagai Hai Khizaan
- Pukaarin Sughra(s.a.) Yeh Kis Tarha Aai Ho Amman(s.a.)
- Zaeef Kon Hai Amman(s.a.) Jo Saath Chalta Hai
- Pukarin Baano(s.a.) Yeh Boorhha Hai Syed-e-Sajjad(a.s.)
- Sinan Kalejay Peh Khakar Guzar Gaey Akbar(a.s.)
Sabilein Aaj Lagaao Hussain(a.s.) Aatay Hain
Charagh Ghar Mein Jalaao Hussain(a.s.) Aatay Hain
Khabar Yeh Sab Ko Sunaao Hussain(a.s.) Aatay Hain
(Woh(a.s.) Aarahay Hain Woh(a.s.) Tohfay Bhi Saath Laengay) x2
(Woh(a.s.) Sab Say Pehlay Mazaar-e-Nabi(s.a.w.w.) Peh Jaaengay) x3
Keh Aarahay Hain Khuda Aur Rasool(s.a.w.w.) Kay Piyaray(a.s.)
Watan Mein Aatay Hain Zehra(s.a.) Ki Aankh Kay Taaray
Kitab-e-Haq Kay Madinay Mein Aatay Hain Paaray
(Saheliyon Nay Khabar Dee Yeh Jakay Sughra(s.a.) Ko) x2
(Chal Uth Kay Dekhlay Sughra(s.a.) Tu Apnay Baiyya(a.s.) Ko) x3
Lo Meri Simt Bhi Mael Mera Tabeeb Hua
Khushi Ka Koi To Lamha Meray Qareeb Hua
Magar Yeh Saneha Sughra(s.a.) Peh Kia Ajeeb Hua
(Basheer Khaak Urha Kar Sada Yeh Deta Tha) x2
(Aray Hussain(a.s.) Maray Gaey Syeda(s.a.) Ka Ghar Ujrha) x3
Gharoon Mein Chain Say Baithay Huey Ho Aaj Kahan
Zamin Karti Hai Matam Falak Hai Mehw-e-Fughan
Rasool(s.a.w.w.) Giriya Kunan Fatima(s.a.) Hain Ashk Fishan
(Mahallah-e-Bani Hashim(a.s.) Mein Sog Taari Hai) x2
(Labon Peh Haaey Hussaina(a.s.) Ka Wird Jaari Hai) x3
Kahan Hai Bhai(a.s.) Hamaray Kahan Hain BaBa Jan(a.s.)
Phophi(s.a.) Kay Shaanon Peh Kion Hai Rasan Kay Daagh Ayan
(Kahan Hai Asghar(a.s.)-e-Besheer Aur Sakina(s.a.) Kahan) x2
(Chacha Kay Hotay Huey Kis Tarha Yeh Haal Hua) x3
Shaheed Karbobala Mein Ali(a.s.) Ka Lal(a.s.) Hua
Kabhi Woh Girta Hai Girkar Kabhi Sambhalta Hai
Bataao Jald Kay Seena Say Dam Nikalta Hai
Mujhay Khabar Na Thi Keh Waqt Yoon Badalta Hai
(Nabi(s.a.w.w.) Kay Lal(a.s.) Ko Ummat Nay Qatl Kar Dala) x2
(Aray Qusoor Kia Tha Kay Mara Gaya Mera Kunba) x3
Hoi Hai Is(a.s.) Peh Bhi Baad-e-Hussain(a.s.) Woh Bedaad
Yeh(a.s.) Roraha Hai Unhin Manzaron Ko Kar Kay Yaad
Koi Nahin Tha Jo Sunta Gharib Ki Fariyad
(Dawa Kay Badlay Isay Tariyanay Lagtay Thay) x2
(Jo Neend Aati To Aada Jaganay Lagtay Thay) x3
Sitam Kay Teer Say Maaray Gaey Ali Asghar(a.s.)
Gulu-e-Sibt(a.s.)-e-Payambar(s.a.w.w.) Peh Chalgaya Khanjar
Phophi(s.a.) Kay Sar Say Utari Laeen Nay Chadar
(Shaheed Hogaey Abbas(a.s.) Hum(a.s.) Aseer Huey) x2
(Ameer Baap(a.s.) Kay Bachchay(a.s.) Sabhi Faqeer Huey) x3
Masooma ki faryad
BaBa(a.s.) Kay Liey Qaid Mein Roti Thi Sakina(s.a.)
Yeh Kon Hai Kia Naam Hai Hakim Nay Yeh Poocha
Darbaan Nay Hakim Ko Yeh Tab Jakay Bataya
Eik Bachi Hai Rassi Say Gala Dukhta Hai Jiska
Main Is Juda Karta Hoon Jab Bhai(a.s.) Say Is(s.a.) Kay
Yeh Khauf Zada Hokay Yehi Karti Hai Naalay
- (Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
Aray Zalimon Sitam Na Karo Labon Par Ruki Meri Jaan Hai - Behan(s.a.) Kehti Thi Yeh Sajjad(a.s.) Ki Sifarish Karo Laen Say MeriYeh Tum(a.s.) Say Mujhay Juda Na Karay Meray Haal Par Mujhay Chorh DayYahan Tum Raho Wahan Main Rahon To Bas Mot Ka Hi Imkan Hai
- Padar(a.s.) Aur Chacha(a.s.) Kay Sar Hain Juda Mera Bhai(a.s.) Bhi To Mara GayaYeh Beemar(a.s.) Jo Mera Bhai Hai Yahan Is(A.S) Ko Bhi Qaza Lai HaiJuda Hokay Hum(a.s.) Na Jee Paengay Saza Yeh Na Do To Ehsaan Hai
- Ujaalon Mein Main(s.a.) Hamaisha Rahi Na Bhai Mujhay Kabhi Teergi
- Chalo Ab Kabhi Nahin Rouongi Aziyat Mein Hoon Magar Souongi
- Tamanchay Lagay Main Chup Hi Rahi Gohar Chin Gaey Main Chup Hi Rahi Giri Oont Say Rah-e-Shaam Mein Tamanchay Milay Hain Inaam Mein Mujhay Ronay Do Aray Zalimon Mera Dil Bohat Pareshaan Hai
- Khuda Kay Liey Sitam Yeh Na Kar Kisi Say Nahin Khuda Say To Dar
- Mujhay Hai Khabar Na Jee Paaongi Yahan Say Na Ab Main Ghar Jaaongi
- Hai Jaari Lahoo Meray Kaan Say Yeh Kaisa Sitam Hai Mehmaan Say
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
Yeh Tanhaiyan Yeh Tarikiyan Meri Umr Say Barhi Sakhtiyan
Main Zakhmi Badan Main Tashna Dahan Meri Mot Ka Yeh Saamaan Hai
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
Chalo Ab Rahogay Tum Chain Say Na Jagoo Gay Tum Meray Bain Say Mujhay Hai Khabar Main(s.a.) Roi Agar To Zulm-o-Sitam Ka Toofaan
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
Nabi(s.a.w.w.) Ka Agar Tu Hai Ummati Yeh Be Hurmati Sar-e-Shaah Ki
Kudara Na Kar Aray Bad Nazar Yeh Sar Deen Hai Yeh Quraan Hai
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai) x2
Karay Ga Na Ab Koi Bhi Madad Isi Qaid Main Banaygi Lahad
Mera Perahan Banayga Kafan Keh Maskan Mera Yeh Zindaan Hai
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai) x2
Phophi(s.a.) Say Alag Hoon Maan Say Juda Hai Kurta Mera Lahoo Say Bhara
Meri Zindagi Dukhon Say Bhari Yeh Mazloomiat Meri Shaan Hai
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai) x2
Nanna sa phool
Inkaar Aasman Ko Hai Raazi Zamin Nahin
Asghar(a.s.) Teray Lahoo Ka Thikana Kahin Nahin
Maidan Mein Garmi Hai Matti Hai Dhool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
- Asghar(a.s.) Ki Qabr Khood Kar Rotay Raha Hussain
- Khaimay Ki Simt Kis Tarha Jaaon Meray Pisar(a.s.)
- Ab Hum(a.s.) Bhi Marnay Jaatay Hain Aey Laal(a.s.) Alwidaa
- Laasha Hai Us Kay Haat Peh Khoon Mein Bhara Hua
- Aey Fauj-e-Kibria(a.s.) Kay Mujahid(a.s.) Tujhay Salam
- Zakhmi Tera Gala Hai Lahoo Phool Sa Badan
Kehtay Thay Haaey Lakht-e-Jigar Meray Dil Kay Chain
Teray Liey Hussain(a.s.) Bohat Dil Malool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Kis Tarha Teray Marg Ki Baano(s.a.) Ko Doon Khabar
Us Ko Teray Baghair To Marna Qubool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Laasha Hamara Hona Hai Pamaal Alwidaa
Bach Jaey Deen Nana Ka Mehnat Wusool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Jisko Lab-e-Furaat Bhi Pani Na Mil Saka
Jis Kay Liey Rasool Kay Sajday Ko Tool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Kia Shaan-e-Be Zubani Say Tu Nay Kia Kalam
Tareekh-e-Guftugu Ka Anokha Usool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Khaimay Kay Dar Peh Baali Sakina(s.a.) Teri Behan(s.a.)
Kehti Hai Teray Baad Ghumon Ka Nuzool Hai

No comments:
Post a Comment