Monday, 17 February 2025

Shahid Baltistani (2012)

sallalaho alaika ya maula ya abul fazl al abbas
adrikna be haqqal hussain alaihis salam

un girya-e mohabbat har dam ba shahe abbas
karde ast huro ghilmaan maatam baraaye abbas
kehti hai wafaadari wirsa hai alamdaari
bedast hai phir bhi hai alambaar alamdaar

abbas alamdaar abbas alamdaar
sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar

saqqa-e sakina hai mashkiza bataata hai
bhatke huwe logon ko manzil se milata hai
maatam ke juluson me aage nazar aata hai
hai tera alam qaafela saalaar alamdaar

abbas alamdaar abbas alamdaar 
sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar 

abbas ye tujhse hai izhaare wafaadari
paani ki sabilen ye majlis ye azaadaari
tere kate shaanon ka sadqa hai mere ghaazi
naukar hai tere saare azaadaar alamdaar

abbas alamdaar abbas alamdaar 
sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar 

ye kaisi qayaamat hai aulaade payambar par
beghor o kafan laashe saidaniyaan be chaadar
har bibi ye kehti hai dekho to zara aakar
jaate hai haram shaam ke baazaar alamdaar

abbas alamdaar abbas alamdaar  
sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar  

abbas ka girna tha jalti  huwi reti par
sarwar ki kamar tuti zainab ki giri chaadar
laashe pe nabi zaadi deti thi sada rokar
maara gaya pyason ka madadgaar alamdaar

abbas alamdaar abbas alamdaar 
sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar 

yaawar ye haqiqat hai masoom bataate hain
maula ki ziyaarat ko jo qaafele aate hain
jab karbobala ke wo nazdik pahonchte hain
lene ke liye aate hain har baar alamdaar

abbas alamdaar abbas alamdaar 
sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar
Ajeeb shor hai
Ajeeb shor hai ...

Ke shor me sukoon hai 2

Ajab sukoon hai...
Ajab sukoon hai

Sukoon me junoon hai 2

Ye wo junoon hai
Ye wo junoon hai ...

Jo deen ka sutoon hai 2

Ya kya ye kyu ye kaise hai ye sochna haraam hai
sochna haraam hai
Kisi basher ki baat ka khuda ka khud kalaam hai
khuda ka khud kalaam hai

"Fazkoruni azkoro kum washkoruni Wala taghforun"

Quran mein khud kahta hai khuda
Wo mujhko kabhi jhutlata nahi
Aur mere shakir rahta hai
Jo mera zakir hota hai mai uska zakir banta hu

Allah allah kar rahe hai husain
Ya husain ya husain ya husain Ya husain
Allah allah kar rahe hai husain
Kar raha hai Khuda hussain ya husain
Ya husain ya husain ya husain Ya husain

1)Khauf ahle sitam pe hai taari
Zikre shabbir ab bhi hai jaari
Jab khuda khud hai zaakire hai sarwar
Kaun rokega ye azadari
Ishk ka Tarjuma husain husain

Kar raha hai khuda hussain husain
Ya husain ya husain ya husain Ya husain
Allah allah kar rahe hai husain
Kar raha hai khuda hussain husain ...

2) Kah diya aayae mawaddat ne
Hamse manga hai kya risalat ne
Ab bhi Aqlo pe hai pade parda
Raaze quran na samjha ummat ne
Rabte zahra hai ya husain husain

Kar raha hai khuda hussain husain
Ya husain ya husain ya husain Ya husain
Allah allah kar rahe hai husain
Kar raha hai khuda hussain husain ...

3) uski baatil namaz hojae
Shak jo zaate husain me lae
Jo namaze khuda ko thukrae
Phir wo matam liye kaha jae
Hy Shaoore baka husain husain

Kar raha hai khuda hussain husain
Ya husain ya husain ya husain Ya husain ...


4) Kaise kaidi the karbala wale
Sheh ke maksad ko sath leke chale
Kab wo gaafil rahe hai sajdo se
Kaid mein bhi namaz padhte rahe
Aur jaari raha husain husain

Kar raha hai khuda hussain husain
Ya husain ya husain ya husain Ya husain ...

5)Jab madine me aae ahle haram
Rozo shab tha husain ka matam
Ab bhi taarikh de rahi hai sada
Ghar me sajjad ke khuda ki kasam
Eid ke din hua husain husain

Ya husain ya husain ya husain Ya husain ...

Sada ye gaib se aati hai ibne zahra ki
Ye kaisi bahes me uljhi hui hai kaum meri
namaz ka koi munkir hai majliso ka koi
takallum aur hai darvesh ki tamanna yahi
khudara jism ko tum jaan se juda na karo
namaz aur aza ka tum mukabla na karo

Ay mere bhai raza, mai saniye zainab hoo
Tu saniye hussain, ay ghareebul ghurba
Ay mere bhai raza, tujhpe humsheer fida

AY GHAREEBUL GHURABA, AY MERE BHAI RAZA,
TUJHPE HUMSHEER FIDA , AY GHAREEBUL GHURABA

Tujhse milne ke liye kitne meelo ka safar
Teri zainab ne kiya
AY GHAREEBUL GHURABA.

1)Mujhko pardes my ye baat rulati hi rahi
door hoo ghar se magar sar pe rida hai bhai
binte zehra ne magar shaam o koofa ka safar
be rida kaise kiya
AY GHAREEBUL GHURABA.

2)Tera deedar bina bhai nahi reh sakti
gham mai furqat ka teri aur nahi seh sakti
kya mujhe bhool gaye tumko behna se milay
ek baras beet gaya
AY GHAREEBUL GHURABA.

3)Tumko zindan may kahi qaid na karle koi
mere baba ki tarha zeher na dede koi
jee nahi paungi mai sun ke mar jaungi mai
tumko gar kuch bhi hua
AY GHAREEBUL GHURABA.

4)Baap ki tarha mere sar pe tera saaya hai
apni beti ki tarha tune mujhe paala hai
tu hai ay bhai jahan mujhko bulwale wahan
hoga ehsaan tera
AY GHAREEBUL GHURABA.

5)Saath hum hotay agar shaam ko jaate bhai
phir sakina ke liye ashk bahate bhai
kya nahi tum ko khabar aagaya maahe safar
waarise karbobala
AY GHAREEBUL GHURABA.

6)Maut se pehle mujhe milne baradar aaja
apni sughra ke liye ay mere akbar aaja
dil may hasrat hai mere dekhloo chehra tera
phir mujhe aaye khaza
AY GHAREEBUL GHURABA.

7)Ay takallum ye behen bhai pe jaan deti thi
sunke bhai ki khabar khaak pe ye aise giri
lab pe tha haye raza dil pe kaabu na raha
kha gayi usko Qazaa
AY GHAREEBUL GHURABA.

Wawaela sad wawaela-2
Kya qayamat se ye kam h -2

Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi -2

Hai kalma goo tamashae -2
Jhuki gardan h abid(a.s) ki

Qayamat aur kya hogi
Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi-2

1. Jahase fasla darbaar ka tha chand kadmo ka -2
Kai ghanto me guzri h -2
waha se meri shehzadi

Qayamat aur kya hogi
Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi-2

2. Sare bazar shami apne baccho se ye kahete the -2
Satao isko sab mil kar -2
bhatiji h ye ghazi ki

Qayamat aur kya hogi
Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi-2

3. Sakina(s.a) saiyade sajjad(a.s) aur Zehra(s.a) woh hasti h -2
Ki jinpar waqt se pahele -2
zaefi hogai tari

Qayamat aur kya hogi
Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi-2

4. Na jane kis tarha badle liye h shaam walo ne -2
Ali asgar(a.s) ke jaisi h -2
lahad Abbas gazi(a.s) ki

Qayamat aur kya hogi
Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi-2

5. Na uth sakta tha aur na baith sakta tha mera kazim(a.s) -2
Ruku me chaoda barso tak -2
raha Baghdad ka kaidi

Qayamat aur kya hogi
Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi-2

6. Imam-e-waqt ho kar haye woh mazloom h mehdi(a.t.f.s) -2
Lahad mismaar madar ki -2
hai jis bete ne khud dekhi

Qayamat aur kya hogi
Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi-2

7. Kaate bazu liye Abbas(a.s) ke aayengi khud Zehra(a.s) -2
Mere mazloom ki majlis -2
taqallum hashr me hogi

Qayamat aur kya hogi
Hue mohtaj chadar ki
Ali ki ladli beti
Qayamat aur kya hogi-2

Haay hai kaisa andhera ya kya hogaya hai
Hai kiska janaza Qayamat bapa hai
Qayamat bapa hai xx2
Bhala kaun Qaidi hai kya dhundta hai
kahan par banaye lahad sochta hai
Qayamat bapa hai Qayamat bapa hai
haay haay

zaaefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...x2

kayi baar marke wo zinda hua hai
bahen ko zameen par sulate sulate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...x2

kahin ankh barsi kahin dil chida hai
kahin hath larze kahin dam ruka hai x2
bahattar janazo se guzra hai aabid
behen ka janaza uthaate uthaate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

huwe kaan zakhmi tamache lage the
sakina ki ankhon me aansu bhare the x2
suwe neher takti thi hasrat se bachchi
jala apna daaman bujhate bujhate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

lahad ke liye mil gaya Qaid khana
reha khud na ho payi bali sakina x2
magar wo aseero ko Qaide sitam se
rehayi dilakar gayi jaate jaate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

ye zahra ki poti hai ghazi ki pyari ...
bahut laadli hai ye apne padar ki ...

Qayamat bapa hai Qayamat bapa hai

yeh Darbaar me kya Qayamat hui hai
sakina phuphi se ye kya puchti hai x2
kahin marr hi jae na zainab khudaya
kanizi ka matlab batate batate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

Hai sadme mein bano Qayamat hai kaisi
padar se wo baatein abhi kar rahi thi x2
magar ab kabhi bhi na bolegi bachchi
ye maa ko yakeen aaega aate aate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

sakina ki jaanib se aye mere maula
sajaa naame asgar pe hasrat hai meri x2
guzar jae 'akbar' ki ye umr saari
sabilo se paani pilaate pilaate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

saadaat be-rida hai abid ka sar jhuka hai
sham aa raha hai
saara lahoo badan ka aankhon may aagaya hai
sham aa raha hai

bhai ka sar jahan tha bibi wahan pe aayi
boli ye sar jhuka ke karna duayein bhai
zainab ki karbala ka aaghaz ho raha hai
sham aa raha hai....

ummat khadi hui hai jholi may le ke pathar
zanjeer keh rahi hai chalna sambhal sambhal kar
ehle haram ka maqtal kuch duur reh gaya hai
sham aa raha hai....

naize pe sar jawan ka dekha to maa ye boli
akbar ye iltija hai tujse ghareeb maa ki
chadar kaheen se la de zainab ka sar khula hai
sham aa raha hai....

ailaan ho raha hai jaldi bulaya jaaye
zahra ki betiyon ko paidal chalaya jaaye
koofay ki manzilon se ye sakht marhala hai
sham aa raha hai....

zainab ne jab ye poocha ye kaunsi hai basti
sajjad mere dil par lagti hai gham ki barchi
haye dabi zuban se beemar ne kaha hai
sham aa raha hai....

ye fazl se ruqayya kehti hai ay bhateeje
zainab ki mai hoo zaamin baqir tere hawale
dono ne kaam apna taqseem kar liya hai
sham aa raha hai....

zainab ke gird behne parda bana rahi hai
khud be-rida hai lekin usko chupa rahi hai
akbar sitamgaron ne ailaan kar diya hai
sham aa raha hai....

Haay re haay 
Shabe aashur.....2
Khayma e kulsum se aati thi sada 

Haay haay haay 
mai bhi zaynab ki tarah bhai ka deti sadqah , 
kaash mera koi beta hota...

shabe aashur tha kulsum ke lab par nauha kaash mera koi beta hota 

Mai bhi zaynab ki tarah bhai ka deti sadqah.... kaash mera......

1) saath pardes me bhai ka barabar deti, 
sheh ke besheer pe qurbaan use kar deti, 
dil me hasrat hi rahi , aun o mohd jaisa.....kaash mera koi....

2) daag bete ki judayi ka utha leti behen , 
apne bhai ki nishaani ko bacha leti behen, 
sheh ke akbar ki jagah sine pe khaata naiza ... kaash mera koi.....

3) haath ho jaate kalam ran me mere bete ke, 
chaahe khoon apna bahaa deta wo paani ke liye, 
leke gaazi se riza usko banaati sakka... kaash mera koi....

4) saath shabbir ke jis tarha hai gaazi ki wafa, 
wo bhi aaka ko kabhi apne na zehmat deta, 
saath sajjad ka har modh pe deta wo sada ... Kaash mera koi...

5) kehti shabbir se zehmat na uthao bhai, 
gharme saadaat ke sadqe ko na laao bhai, 
uska khaymo me kabhi aane na deti laasha hay.. kaash mera koi ....

6) jab sune bayn takallum to ye gaazi ne kaha, 
kal ye abbas fida teri taraf se hoga, 
tujhko baba ki kasam ab nahi dena ye sada.....

Kaash mera koi beta hota, shabe aashur tha kulsum ke lab par nauha..
Kaash mera koi beta hota

hussain jaata hai marne ko ay meri zainab
khareeb aa gaya ab waqt e aakhri zainab
salam tumpe ay baba ki laadli zainab

zainab ne kaha kaun hai pardes may mera
kyun jaate ho tum chor ke bhaiya mujhe tanha

zainab ko har ek mod pe tadpayegi dunya
yaad aaoge bhaiya

baad aapke hoga meri ghurbat ka ye aalam
us waqt ghareebi bhi karegi mera matam
sadaat ko jab raah may dega koi sadqa
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

yaad aayega bhaiya mujhe armaan tumhara
tum dekh nahi paaye ho akbar ka jo sehra
dawaat koi shadi ki madine may jo dekha
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

is maah se mansooob thi bhaiya meri khushiyan
thi sab se badi eid meri teesri shaban
shaban ke jab chand ko dekhegi ye behna
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

itna tha khayaal aap ko parde ka baradar
le jaate thay tum raat ko amma ki lehad par
ab dekhegi zainab ke khule sar ko ye dunya
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

deedar bhi hojayega beti ke bahane
kya shaam ke zindan may aaoge sulaane
soyegi nahi jab meri lori se sakina
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

hota tha takallum yun juda bhai behan se
jis tarha koi rooh nikalti ho badan se
sheh ran ko chale kehti rahi saniye zehra
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

hussain jaata hai marne ko ay meri zainab
khareeb aa gaya ab waqt e aakhri zainab
salam tumpe ay baba ki laadli zainab

zainab ne kaha kaun hai pardes may mera
kyun jaate ho tum chor ke bhaiya mujhe tanha

zainab ko har ek mod pe tadpayegi dunya
yaad aaoge bhaiya

baad aapke hoga meri ghurbat ka ye aalam
us waqt ghareebi bhi karegi mera matam
sadaat ko jab raah may dega koi sadqa
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

yaad aayega bhaiya mujhe armaan tumhara
tum dekh nahi paaye ho akbar ka jo sehra
dawaat koi shadi ki madine may jo dekha
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

is maah se mansooob thi bhaiya meri khushiyan
thi sab se badi eid meri teesri shaban
shaban ke jab chand ko dekhegi ye behna
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

itna tha khayaal aap ko parde ka baradar
le jaate thay tum raat ko amma ki lehad par
ab dekhegi zainab ke khule sar ko ye dunya
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

deedar bhi hojayega beti ke bahane
kya shaam ke zindan may aaoge sulaane
soyegi nahi jab meri lori se sakina
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

hota tha takallum yun juda bhai behan se
jis tarha koi rooh nikalti ho badan se
sheh ran ko chale kehti rahi saniye zehra
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

No comments:

Post a Comment