bazaar may ye zainab fizza se keh rahi
bazaar may ye zainab fizza se keh rahi
abbas ki bahen ko har aankh dhoondti hai
amma mujhe chupa lo
dekha na murtaza ne jisko baghair chadar
na mehramo may haye wo aagayi khule sar
qatle hussain se bhi dushwar ye ghadi hai
amma mujhe chupa lo
bazaar may ye.
himmat nahi hai meri kaise khadam badhaun
is shehre be-amaan may khud ko kahan chupaun
haathon may leke pathar ummat khadi hui hai
amma mujhe chupa lo
bazaar may ye.
bemaare karbala ke aankhon se khoon hai jari
ye soch kar badan may larza hai uske taari
beparda shamiyon may beti batool ki hai
amma mujhe chupa lo
bazaar may ye.
pooche to koi inse cheena hai kya tumhara
pardesi bewatan hai kya jurm hai hamara
kaisa hai ye tamasha ye bheed kyun lagi hai
amma mujhe chupa lo
bazaar may ye.
is naam se hamesha aayi hai mujhko ghairat
paala hai tumne mujhko tum jaanti ho aadat
baazaar zindagi may zianab kahan gayi hai
amma mujhe chupa lo
bazaar may ye.
saahil pe laashe ghazi us dam tadap gayi thi
sar se chini thi chadar jab binte murtaza ki
wo raat thi andheri ye din ki roshni hai
amma mujhe chupa lo
bazaar may ye.
aaya khayaal jab bhi aansu lagi bahane
bazaar ka takallum kaisa asar tha jaane
aksar watan may zainab ye kehke chaunk uthi hai
amma mujhe chupa lo
bazaar may ye.
Haye mazlum Hussain x 4
Haye Hussain ya hussain haye hussain shah hussain
Halmin nasir yansurna x 2
Deene islam hai yu hazrate shabbir ke saath
Jaise Quran baya hota hai tafseer ke saath
Kya sitam ho gaya islam ki taqdeer ke saath
Qatl shabbir hue narae takbeer ke saath
Kal talak zulm hue deen ke madadgaro par
Aaj hote hai sitam sheh ke azadaro per
hussain kal bhi tha mazloom aur aaj bhi hai x 2
sitam ki zid pe hamara imam aaj bhi hai
aza ke farsh ka hal min payam aaj bhi hai
hussain kal bhi....
nazar may phirte hai karbobala ke sab manzar
zameen pe bikhra hua tha hussain ka lashkar
kahin kate hue bazu kahin kate hue sar
gali gali may wohi qatle aam aaj bhi hai
hussain kal bhi....
juloose girya-o-matam pe zulm itne huve
sitam ke maare hue ab khoon may doobe huve
barasti dhoop may maon se bache litpe huve
sawaal karte hai kya fauje sham aaj bhi hai
hussain kal bhi....
huve thay jis tarha qasim ke laash ke tukde
shaheed hote hai yuhin ghulam qasim ke
janaze unke bhi kandhon pe uth nahi sakte
ye gathriyon ke kafan ka nizam aaj bhi hai
hussain kal bhi....
hussain kehne pe zainab ko taziana laga
phir uske baad na aziyat ka silsila na ruka
Halmin nasir yansurna - 2
Haay naam veer hussain da lendi rahi jiwe zainab durre khaake - 2
Shabbir da matam gam khwara - 2
Enjekita ya hussain... Enje kita sar katwake hayee
usi ko maar diya jisne ya hussain kaha
yazeed zadon ka jaari wo kaam aaj bhi hai
hussain kal bhi....
imame asr ki faryaad ab bhi hai akbar
zamana hogaya veeran fatema ka hai ghar
lahoo ke ashk bahata hai abide muztar
mere gharane pe ghurbat ki shaam aaj bhi hai
hussain kal bhi....
as-salam ay bekas baba bekas bete ka salam
as-salamun alaik ya ghareeb hussaina
mai ek bekas pardesi hoo mai laut ke aaunga
mai saath phoophi ke ay baba quran sunaunga
mai ek bekas pardesi....
ho tum pe salam mera ay mere ghareeb padar
ek khaafla tha tera ek mai bhi chala lekar
mai ibne hussain hoo ay baba zaalim ko bataunga
mai ek bekas pardesi....
ek rassi may baba haye bara galay hongay
sab chotay bade baba ek saath bandhe hongay
mehmil se girte bachon ko seene se lagaunga
mai ek bekas pardesi....
zainab ko ban chadar may jab dekh na paoge
tum noke sina se phir quran sunaoge
awaaz may teri ay baba awaaz milaunga
mai ek bekas pardesi....
hum qaidi bane hongay darbar saja honga
haye tashte tala may aur sar tera rakha hoga
us pal may sakina ko baba kis tarha sambhalunga
mai ek bekas pardesi....
maangega sakina ko ek shaami kaneezi may
marjaunga mai baba sunkar ye aseeri may
zehra ko shabi ko ay baba zaalim se bachaunga
mai ek bekas pardesi....
teri yaad may ro ro kar zindan basayegi
phir maut sakina ki hum sab ko rulayegi
mai uski lehad bhi ay baba haathon se banaunga
mai ek bekas pardesi....
pabande rasan yawar ye khaafila jab nikla
bemaar imam mera karta raha ye nowha
hai teri qasam mujhko baba tera naam bataunga
mai ek bekas pardesi....
Aa Tujhe Lori Sunao Ali Asghar
Aa Tujhe Jhoola Jhulaun Ali Asghar
Tere Sadqe Tere Wari Ay Meri Jaan Ali Asgar
Aagayi Fauje Sitam Jhoola Jalane Ke Liye
Aakhri Teri Nishani Ko Mitane Ke Liye
Gham Na Kar Haath Salamat Hai Jhulane Ke Liye
Aa Tujhe Lori
Sar Se Madar Ke Chini Shame Ghariban May Rida
Dhoondne Kaise Tujhe Aaun Batade Beta
Apni Madar Ke Liye Dasht Se Wapas Aaja
Aa Tujhe Lori
Roshni In Ki Khan Raat Ki Tareeki Hai
Mai Bhi Aadi Hoo Teri Tu Bhi Mera Aadi Hai
Haath Phailaye Hue Khaak Pe Maa Baithi Hai
Aa Tujhe Lori
Ran Se Laati Hai Hawaein Tere Khoon Ki Khusboo
Apne Dil Par Nahi Rehta Mujhe Beta Qaboo
Rehgaya Jaake Kahan Dashte Bayaban May Tu
Aa Tujhe Lori
Haye Jab Shame Ghariban Ki Sehar Hogi Ayan
Sunti Hoo Shle Haram Jayenge Suye Zindan
Hogi Phir Tujhse Mere Laal Mulaqat Kahan
Aa Tujhe Lori
Karbala Se Jo Madine May Hawa Aati Hai
Maa Ki Umeed To Yawar Wo Jaga Jaati Hai
Dhoop May Biathi Hui Bano Yehi Kehti Hai
Aa Tujhe Lori
Alwida beti sakina - 2
Baba haye baba
baba haye baba
mai shaam jaungi na tumhe chor ke tanha
mujhe rok lo baba - 2
Bas aaj se kadmo me hi so legi sakina
Muje roklo baba
1. miljaye jo maukha to karun sab ki niyadat
beti kahin bankar kahin hamsheer ki surat
royegi har ek laash pe ja ja ke ye dukhiya
mujhe rok lo babamai shaam jaungi....
2. Bujh jayegi is tarha meri tashnadahani
pyaso ko tere naam pe pilwaungi pani
ghazi ki qasam aaj se banjaungi saqqa
mujhe rok lo babamai shaam jaungi....
3. Beto ka ada farz karegi teri beti
nazdik yaha se koi aabadi to hogi
laaungi kafan maangke logo se tumhara
muje roklo baba
4. Bejaan sahi saamne nazro ke hai mere
Maqtal me hai bikhre hue sab apno ke laashe
is dasht me aabaad hai baba meri duniya
muje rokle baba
5. manzar wo takallum ka qalam likh nahi sakta
jab shimr ne bachi ko juda sheh se kiya tha
kehti rahi shabbir se mud mud ke sakina
mujhe rok lo baba
Rozedaaron Ali pe kufe me ek aisa bhi waqt aaya hain..x6
Ibne muljim ne mere maula par..x2
Haaye sajde me zulm dhaya hain
Rozedaaron...x3
Ibne Muljim ne mere baba par
Haaye sajde me zulm dhaya hain
Rozedaaron...x3
Jiske baazu khuda ke baazu hain
Jiska chehra khuda ka chehra hain
Joke damade Mustafa logon
Jiski zauja Janabe Zahra hain
Yeh usi Murtaza ki mayyat hain
Jisne Islam ghar me pala hain
Rozedaaron..x4
Jiski madar ke paak parde me
Khud khuda ba hijab rehta hain
Yeh woh bibi hain jiski chaadar se
Aaj baaki gilaafe kaba hain
Haye isi paak Sayyada Zainab
Ka yateemi ka waqt aaya hain
Rozedaaron..x6
Ibne muljim ne mere maula par
Haye sajde me zulm dhaya hain
Rozedaaro ...
Bano kaha talash kare apne laal ko..
Jangal me maardala hai zehra ki aal ko..
Bano kaha talash..
Shabbir laarahe hai maidaa'n se dekhiye
Haye Shabbir laarahe hai maidaa'n se dekhiye..
Apne zaiif kandhe pe athhara saal ko..
Bano kaha talash..
Amma ki nigaho'n se mera zakhm chhupana..(2)
baba mere seene me sina toot gai hai...
Amma ki nigaho'n se mera zakhm chhupana..
Istarha kaleje me utar aai hai barchhi
Seena nahi armaan bhi maa ke hue zakhmi
Chaha tha meri maa ne mujhe dulha banana
Ke baba mere seene me sina toot gai hai...
Amma ki nigaho'n se mera zakhm chhupana..
Jee chahta hai aapki tasleem ko uththu
Rutbe ka takaza hai k taazeem ko uththu
Mushkil hai magar haath kaleje se hatana
Ke baba mere seene me sina toot gai hai...
Amma ki nigaho'n se mera zakhm chhupana..
Mai jaanta hu zidd wo bohut tumse karegi
Tanha tumhe zainab kabhi aane nahi degi
Makhtal mei meri paalne wali ko na lana
Ke baba mere seene me sina toot gai hai...
Amma ki nigaho'n se mera zakhm chhupana..
Ye sochke akbar ka phata jata hai seena
Aawaaz na sunle kahi maasoom sakina
Sajjad ko ahista zara jaake batana..
Ke baba mere seene me sina toot gai hai...
Amma ki nigaho'n se mera zakhm chhupana..
Allah kare lautke tum jao watan ko
Majburiya bhai ki batadena bahan ko.
Tum meri taraf usey seene se lagana..
Ke baba mere seene me sina toot gai hai...
Amma ki nigaho'n se mera zakhm chhupana..
kaatil ne sina todi takallum yahi kehkar
Sunta hu k saabir hai bohut sibt e payambar
Akbar ne kaha sabr ki meraaj dikhana..
Ke baba mere seene me sina toot gai hai...
Amma ki nigaho'n se mera zakhm chhupana..
Bano kaha talaash......
dunya may jab zahoor hua tha hussain ka
har waqt apne godh may rakhti thi sayyeda
lori sunaye maa to wo sota tha laadla
muddat ke baad phir sare maidane karbala
zehmat hussain ke liye maa ne uthaayi hai
lori sunane bete ko turbat se aayi hai
lori samajh ke aaj tu maadar ki siskiyan
soja mere hussain
1) kis tarha rehti fatema zehra mazaar may
baba se pooch haal tere intezaar may
maqtal ke aake baithi kal shab se teri maa
soja mere hussain....
2) aaghosh may meri tera sar hai rakha hua
kitne dino ke baad ye mauka mujhe mila
yaad aa raha hai teesri shaban ka saman
soja mere hussain....
3) ay laal apni zaat may khud karbala hai tu
laashe utha utha ke bahot thak gaya hai tu
kuch dayr maa ki godh may aaram se yahan
soja mere hussain....
4) aankhein tadap ke kholta hai kisliye bhala
akbar ki shakl phirti hai nazron may teri kya
bete ka dard kya hai ye bas jaanti hai maa
soja mere hussain....
5) mai jaanti hoo ye meri lori hai aakhri
soyega aaj tu to na jaagega phir kabhi
is dil se pooch kis tarha deti hoo loriyan
soja mere hussain....
6) saqlain gehri neendh wo us waqt sogaya
lori ke darmiyan wo madar ne ye kaha
dekha na tujhse jaayega zainab ka kaarwan
soja mere hussain...
Haaye zehra teri tanhai hai tanhai ali ki
haye gham may tere jaati rahi beenayi ali ki
teri tanhai hai tanhai ali ki
darbar may zaalim ke gayi binte payambar
kya waqt tha kuch kar na saka faatahe khyber
haye haste rahe ghurbat pe tamashayi ali ki
teri tanhai hai....
paighame wilayat liye ghar ghar gayi zehra
shohar ke liye dhaal thi jab tak rahi zinda
haye dunya ko batati rahi sachayi ali ki
teri tanhai hai....
kehte thay ali zehra se kya haal hai bibi
ab hum ko salam aake bhi karta nahi koi
haye hai baade nabi kaisi pazeerayi ali ki
teri tanhai hai....
dar jalta hua fatema zehra pe giraya
mohsin ki shahadat ka sabab bangayi dunya
haye tasveer mukammal nahi ho payi ali ki
teri tanhai hai....
baahar kabhi hujre may kabhi qabre nabi par
har raat ki tareeki may aulaad se chup kar
haye nikli hai tujhe dhoondne beenayi ali ki
teri tanhai hai....
zahra ki judai ko lagaye hue dil se
pachees baras maula ne chup chaap guzare
haye ek hujre may kul dunya simat aayi ali ki
teri tanhai hai....
us waqt takallum wo zamane ka wali tha
sajjad jo zainab ko liye shaam se guzra
haye islam ko khamoshi bacha laayi ali ki
teri tanhai hai....
YA HASAN HAYE HASAN YA HASAN ASKARI (AS) X2
bhejiye bete ko maula muntazir hai matami
ya imame askari
daastane zulm maula ab jahan se khatm ho
jab talak mehdi na aaye rokhdije waqt ko
al-ajal kehke guzarti jaa rahi hai har sadi
ya imame askari....
zaalimo ne zehr maula aapko aisa diya
dast-o-pa ke nakhoono se khoon jari hogaya
aapki ghurbat ko dekha yaade shabbar aagayi
ya imame askari....
dafn sheh ne jis tarha se apne asghar ko kiya
aagaya nazron may haaye manzare karbobala
apni turbat aap ne jo ghar may khud tayyar ki
ya imame askari....
yun to saara saamra tha rone walon may magar
haye bhai kehke roye koi teri laash par
ek behan zainab ke jaisi kaash ke hoti teri
ya imame askari....
ghar may daakhil hogaye thay zulm dhane ke liye
pursa dene ke bajaye qatl karne ke liye
dhoondte thay charo jaanib tere mehdi ko shaqi
ya imame askari....
pardaye ghaibat may mehdi bhi tadap kar rehgaya
gyara sadiyon baad ye phir se sitam dhaya gaya
aapke roze ka girna hai shahadat doosri
ya imame askari....
madare shabbir ka tameer roza dekhle
ghar may khaaliq ke takallum sheh ka matam dekh le
kam kam se itni badhado matami ki zindagi
ya imame askari....
YA HASAN HAYE HASAN YA HASAN ASKARI (AS) X2
bhejiye bete ko maula muntazir hai matami
ya imame askari
daastane zulm maula ab jahan se khatm ho
jab talak mehdi na aaye rokhdije waqt ko
al-ajal kehke guzarti jaa rahi hai har sadi
ya imame askari....
zaalimo ne zehr maula aapko aisa diya
dast-o-pa ke nakhoono se khoon jari hogaya
aapki ghurbat ko dekha yaade shabbar aagayi
ya imame askari....
dafn sheh ne jis tarha se apne asghar ko kiya
aagaya nazron may haaye manzare karbobala
apni turbat aap ne jo ghar may khud tayyar ki
ya imame askari....
yun to saara saamra tha rone walon may magar
haye bhai kehke roye koi teri laash par
ek behan zainab ke jaisi kaash ke hoti teri
ya imame askari....
ghar may daakhil hogaye thay zulm dhane ke liye
pursa dene ke bajaye qatl karne ke liye
dhoondte thay charo jaanib tere mehdi ko shaqi
ya imame askari....
pardaye ghaibat may mehdi bhi tadap kar rehgaya
gyara sadiyon baad ye phir se sitam dhaya gaya
aapke roze ka girna hai shahadat doosri
ya imame askari....
madare shabbir ka tameer roza dekhle
ghar may khaaliq ke takallum sheh ka matam dekh le
kam kam se itni badhado matami ki zindagi
ya imame askari....
No comments:
Post a Comment