Monday, 17 February 2025

Shahid Baltistani (2006)

Abu ar-reza

(Yabna jaffar, abur-raza) x2 (Abur-raza) x2

(Ya musa-e-kazim) x2

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda

(Ya musa-e-kazim) x4

  1. Tere baba imam-e-sadiq hai
  2. Jiske dam se hai Jafferi sare

    Deen-o-mazhab, sabak ibadat hai

    Ham ko saye usi ke dar se mile

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  3. Hai qaramat-e-murtaza tujhme
  4. Saailo(n) ke bhi ye ata tujhme

    Rad jo hoti nahi kisi surat

    Saans leti hai wo dua tujhme

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  5. Tum bhi hajat rawa-e-alam ho
  6. Haideriyyat ka azm-e-mauqam ho

    Tum dua-e-janab-e-zahra se

    Pursadar-e-janab-e-adam ho

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  7. Bas junoon-o-jabal jilawatni
  8. Tere pyaaro(n) ke tujhse hai paayi

    Kitne dana the tere diwane

    Umr bhar teri nokri karli

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

    Almadad (maula raza) x3

  9. Tera beta imam-e-zamin hai
  10. Jiske qabze mei raat hai din hai

    Wo khurasaan ka hai shehzada

    Har shifa uske dar pe mumkin hai

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  11. Teri dukhtar hai qum ki shehzaadi
  12. Uski chowkat pe de sada jo bhi

    Joliyaa(n) apni bhar ke laata hai

    Ghamse milti hai usko aazaadi

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  13. Tere taboot ki wo tanhaayi
  14. Na tha beta ghareeb na bhaayi

    Chand mazboor aye ujrat par

    Lash raste se teri uthwaayi

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  15. Hai najaf dushmano(n) ke narghe mei
  16. Karbala samara ke raste mei

    Bekafan momino(n) ke laashe hai

    Kufr dakhil huwa madine mei

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  17. Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai
  18. Tera sikka jahaa(n) waaij hai

    Ham to har imtihaa(n) se guzrenge

    Dene wala tuhi nataij hai

    Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

  19. Tu bhi "Rehan" istighasa kar

Kehke ya Musa ya bin-e-jafar

Nauha goyi karu qayamat tak

Aur ghulaami karu dar-e-shah par

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

(Yabn-e-jaffar abur-raza) x2 Abur-raza

Us waqt jabkay Zainab darbar main gayi thi,
Qari namaziyoon say mehfil saji huyi thi.

Zalim yeh puchta tha ghazi tera kahan hai?
Baloon say moun chupaye Zainab yeh keh rahi thi

Aey mere baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chupaoon kahan?

Majmaye aam mein, bay watan bay amaan, agaya karvan
Aie meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kahan?

Mein bhi hoon marziya, Bint e Khayrun Nisa,
Mere lehjay mein hai, baba teri ada.
Naam Zainab mera, tunay jo rakh diya, day di apni zubaan.

Ay mere baba jaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Baba jaan mein rida mangti reh gayi,
Bamo dar saj gaye, jitay ji margayi,
Halqa e Shaam mein, naam sunkar mera, margaya naatawan.

Aiy mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Haath kanoon pay hai, kneel gaalon pay hai,
Aur nishan jo Sakina ki shaano pay hai
Har nishan say yehi, aa rahi hai sada, baba jaan baba jaan.

Aie mere baba jan, ho rahi hai azaan, sir chhupaun kahan?

Shaam e ashur say, sham o kufa talak,
Mainay manga nahin hai kharaj e fadak,
Meri chadar say hai, meri maan ka sukoon, sunlay zalim jahaan.

Aie meray baba jan, ho rahi hai azaan, sir chupaoon kahan?

Baba jaan yeh tera akhri tha bayan,
Teri chadar bachayega Ghazi jawaan.
Mar gaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hain bibiyan.

Abbas, Abbas, Abbas, Abbas
Abbas, Abbas, Abbas, Abbas

Ruk na paya meray bawafa ka woh sar,
Noke neza say aanay laga khaak par,
Behan ko darbadar, dekh kar nangay sar, seh na paya jawaa.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kaha?

Haath kanoon pe hai, neel gaaloon pe hai,
Aur nishan jo Sakina ke shaano pe hai
Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Kal thi maan aaj mein bhi houn darbar me,
Misle Zahra khari houn main aghiyar me,
Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiyaan.

Aie meray babajaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Aisa khutba diya mainay darbar mein,
Likh raha hai jo Yawar tere pyaar main,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai saday e azan.

Ay maray baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Kaha(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-maa
Pura kardo na ye armaan ali akbar-e-maa
Lot awo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Jabse tum ghar se gaye lutf-e-azaan jaata raha
Lot aane ka jo wada tha wo rulwaata raha
Chand lamho(n) ki hu mehmaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Aisi tanhaayi ke tanhaayi ko dar lagta hai
Aisi manzar hai ke binaayi ko dar lagta hai
Ghar mujhe lagta hai zindaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Tere hote huwe abaad the raste sare
Teergi mei bhi the angan mei chamakte tare
Zindagi hogayi veeraan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Tu nahi ata to ik khaat hi rawana karde
Mere jeene ka yahi eik bahana karde
Itna kehna to mera maan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Ab na baba se shikayat hai na amma se gila
Mei to beemar hu beemar se rishta kaisa
Gham ye hai phool phuphi jaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Meri ankho(n) mei tumhe ashk gawara hi na the
Tere bin kaatu(n) ye beemar ke lamhe kaise
Mawt hai samne har aan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Qabr-e-zahra pe bhi ab jaane ki himmat na rahi
Ab diya ghar mei jalaane ki bhi taakat na rahi
Natawano(n) ka hai tufan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Koyi jhoka bhi hawa ka jo idhar aata hai
Mujhse pehle mera dil jaanib-e-dar jaata hai
Bas hai ahat pe lage kaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Kya kabhi socha bahan dard se roti hongi
Lot ke aawo to wo qabr me soti hongi
Hai bohot iska bhi imkaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Ya to pardes se sughra ka kafan ley aawo
Ya mere jeete huwe apni dulhan ley aawo
Rakho itna to mera maan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Kya koi apna watan chor ke yu(n) jaata hai
Shaam ko ghar me parinda bhi chala aata hai
Ay meri ghar ki nigehbaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Ghash ke aalam me bhi "Rehan" tha Sughra ka bayaa(n)
Kya dam-e-marg sirhane na padhoge quran
Ay mere bolte quraan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,

Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  1. majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan
  2. (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  3. me bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,
  4. mere lehje me hai, baba teri ada

    naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day di apni zubaa(n)

    (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  5. babajaan me rida mangti rehgayi,
  6. bamo dar saj gaye, jiteji margayi,

    halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n)

    (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  7. haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
  8. aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai

    har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

    (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  9. shaam ashur se, shamo kufa talak,
  10. mene manga nahi hai kharaje fadak,

    meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n)

    (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  11. babajaan ye tera akhri tha bayan,
  12. teri chadar bachayega ghazi jawaa(n),

    margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n)

    (Abbas) x9

  13. ruk na paya mere bawafa ka wo sar,
  14. noke neza se aane laga khaak par,

    behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n)

    (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  15. haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
  16. aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai

    har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

    (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  17. kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me,
  18. misle zahra khari hu(n) me aghyar me,

    us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n)

    (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

  19. Aysa khutba diya mene darbar me,

Likhraha hai jo "Yawar" tere pyaar me,

Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

Ay mere bhaayi hussain

Suno suno, shab-e-ashoor ka ye manzar hai, haay haay haay

Sirhaane bhaayi ke bethi, ali ki dukhtar hai, haay haay haay

Wo kehrahi hai mera sabr, azmaaoge

(Ay mere bhaayi hussain) x3

Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  1. (Sahar ko nana ka wada) x2 Jo tum nibhaawoge
  2. (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  3. Meri nigaah mei bachpan ki sari yaade hai
  4. Kahi thi nana ne jo yaad wo bhi baate hai

    Sahar se pehle charagho(n) ko tum bujhaawoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  5. Nabi sawari tumhari sawaar tum bhaayi
  6. The amma zahra ke dil ka karaar tum bhaayi

    Aur aaj khoon mei apne hi, tum nahaawoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  7. Tumhare chehre ka ye itminaan jaanti hu
  8. Tumhara hona hai jo imtihaan jaanti hu

    Bahan se dard-e-jigar ko chupa na paaoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  9. Guloo-e-asghar-e-besheer sina-e-akbar
  10. Sata raha hai tumhe sabr kar rahe ho magar

    Rida ke baat pe nazre mila na paaoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  11. Abhi to bali Sakina ka zikr baqi hai
  12. Abhi to sham-e-ghariban ki fikr baqi hai

    Rakhonge yaad kisse kisko bhool jaawoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  13. Na gham karo mere bhaayi tumhare baad bahan
  14. Rida na orhenge jab tak tumhe mile na kafan

    Ye dukh hai saath hamare watan na jaawoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  15. Kahaa(n) Hussain ne sunkar, kalaam Zainab ka
  16. Hamari jaan ke badle bache tera parda

    Ye kya kahaa(n) ke mera sabr azmaaoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  17. Tere baghayr muqammal nahi payaam mera
  18. Tere baghayr adhura hai ab to naam mera

    Kaho(n) mei aawungi majlis mei jab bulaawoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  19. Ye guftugu thi ke gunji azaan-e-akbar ki
  20. "Rehan" hoti thi yalgaar sheh pe lashkar ki

    Ali ki beti pukaari hame rulaawoge

    (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge

  21. (Sahar ko nana ka wada) x2 Jo tum nibhaawoge

Ghayrat ka khuda

(Ay alamdare hussain wa-abbasa) x2

Wa-abbasa, abbasa

Khayme ka parda hai utha, wa-abbasa

Kon chala suwe dariya, abbasa

Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  1. Aane ko hai qayamat, mehsoos ho raha hai
  2. Wo ghar se yu(n) chala hai, dharti pe zalzala hai,

    Aada ka har sipahi ye kehke bhagta hai

    Ghazi hai bawafa hai

    Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  3. Chehra ali ka chehra, khushbu ali ki khushbu,
  4. Sina ali ka sina, bazu ali ke bazu

    Jis rukh se dekhte hai, tasveer-e-murtuza hai

    Ghazi hai bawafa hai

    Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  5. Haa isne bachpane me, maa se sabak ye sikha,
  6. Shabbir ki ghulami, sab se bara hai rutba,

    Ye sher is sabak ko dohraye jaa raha hai

    Ghazi hai bawafa hai

    Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  7. Haider he isme azam, har dard ki dawa hai
  8. Quran kehraha hai, ye naam ik dua hai

    Ghazi hai naam jiska haider ki wo dua hai

    Ghazi hai bawafa hai, abbasa,

    Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  9. Izne vhigha nahi hai, hasrat hai bas vhigha ki
  10. Talwar sheh ne rakhli, qismat hai ashkiya ki

    Mashkiza bazuwo(n) ke badle bacha raha hai

    Ghazi hai bawafa hai

    Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  11. Tashna labi ka alam, mojo pe gara parcham,
  12. Kabze me leke paani, lab ko nahi kiya nam

    Dariya se pyaas bharke, wapas jo aaraha hai

    Ghazi hai bawafa hai, abbasa

    Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  13. Duba huwa lahu me, parcham jo aa raha hai,
  14. Pyaaso(n) ka farte gham se, dil ddubne laga hai

    Boli sakina tthero, paani wo laa raha hai

    Ghazi hai bawafa hai

    Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  15. Bazu to katt chuke hai, mashkiza chid gaya hai
  16. Kya ghar ko jaye ghazi, ghayrat ka marhala hai,

    Haye tashnalab ka chehra nazro me ghumta hai

    Ghazi hai bawafa hai

    Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2

  17. "Rehan" gham se ttuti, shabbir ki kamar hai,

Abbase bawafa ka, duniya se ab safar hai,

Lekin lahu se apne, wo likh ke jaa raha hai

Ghazi hai bawafa hai, abbasa, abbasa

(Haya ala khayral amal) x2

(Ya hussain) x6

(Nokri shabbir ki) x2

  1. (Mere khu(n) ki taharat kehti) x2
  2. Mujhe har shahi se achhi hai

    (nokri shabbir ki) x2

  3. (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2
  4. ye hur jayso(n) ko milti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  5. Ye mansab jisko miljaye, zehra ki duaye(n) pata hai
  6. wo khaak zarra hokar bhi, khud khake shafa banjata hai

    (ye nemat to hum jeso(n) ki) x2

    taqdir banaye rakhti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  7. Ye farshe aza tabuto alam, ye nawhe majlis aur matam
  8. Pani ke sabile(n) aur langar, masum ali asgher ki qasam,

    (hum ehle aza ki mazhub me) x2

    kehlati thi kehlati hai

    (nokri shabbir ki) x4

  9. ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai,
  10. ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai,

    (darwazaye zehra par inki) x2

    ta roze qayamat paki hai

    (nokri shabbir ki) x4

  11. shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai,
  12. khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai,

    (is izat ko khud binte ali) x2

    qura(n) ki zuba(n) me kehti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  13. Majlis me siyasat mat karna, maula se baqawat mat karna,
  14. Is farshe aza par ake talak, is zikr ki kimat mat karna,

    (bemaas jo matam karte hai) x2

    bus unko shafa at deti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  15. wo sajadaye akhir jalti zamin, jis sajde ka sani hi nahi,
  16. khanjar ke tale jis jam rakhi, shabbir ne haye zakhme jabi(n),

    (jibril ne akar di ye sada) x2

    manzur khuda ne karli hai

    (nokri shabbir ki) x4

  17. ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai,
  18. ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai,

    (darwazaye zehra par inki) x2

    ta roze qayamat paki hai

    (nokri shabbir ki) x4

  19. shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai,
  20. khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai,

    (is izat ko khud binte ali) x2

    qura(n) ki zuba(n) me kehti hai

    (nokri shabbir ki) x4

  21. "rehan" kalam bhi nokar hai, kaghaz bhi ghulame sarwar hai,
  22. darvesh se badhar lafz me aa, likhta jo azaa ka manzar hai,

    (kehti hai meri noha goyi) x2

    taqdir me teri likhdi hai

    (nokri shabbir ki) x4

  23. (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2

ye hur jayso(n) ko milti hai

(Haya ala khayral amal) x2

Qaza

Ay jaan-e-man ya hussain, ay deen-e-man ya hussain (ishk-e-tora zindagi, man sagi tu ya hussain) x2

Ay waqt-e-ajal rukhja, dede mujhe kuch lamhe

Ashko(n) se wuzu karke (ik baar ye kehne de) x2

(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  1. Eik awaaz suni bad-e-azan waqt-e-jannam
  2. ye wohi naam tha jis naam ka ab hai matam

    (Baap ne deke azaa(n)) x2 Kan mei di ye sada

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  3. Bolna bhi nahi sikha tha magar seekh liya
  4. Azmat-e-farsh-e-aza matam-e-shabbir hai kya

    (Haath sina pe gaya) x2 Ayi jis waqt sada

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  5. Jab zara hosh sambhala to ye taleem mili
  6. Bolo beta ke ali to hai imam-e-azali

    (Panjetan paanch kaho) x2 Phir kaho aaka mera

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  7. Maut barhak hai to isse mujhe inkaar nahi
  8. Juz gham-e-sibt-e-nabi kuch mujhe darkaar nahi

    (Hai agar waqt-e-qaza) x2 Mujhko kehne de zara

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  9. Maut kehne lagi ajaawu(n) to kab talti hu
  10. Tere saaye ki tarha saath raha karti hu(n)

    (Maut se mene kahaa(n)) x2 Ayi kehti huwi ya

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  11. Ambhiya chore na chore hai farishte mene
  12. Ruh se jism ke rad kardiye rishte mene

    (Us pe kuch bas na chala) x2 Jis ne ik baar kahaa(n)

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  13. Maat khayi hai sar-e-karbobala rab ki qasam
  14. Dekha ansar-e-hussaini ko to larze the qadam

    (Unse jis waqt mili) x2 Mujhko bhi kehna para

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  15. Haye jis waqt chala sibt-e-nabi par khanjar
  16. Mene chaaha ke mei marjaawu(n) wahi par ghirkar

    (par ye tha hukm-e-khuda) x2 Chaahiye mujhko mera

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  17. Ruh-e-shabbir ko rote huwe jab kabz kiya
  18. Tha meri pusht pe mawjood wohi ik saaya

    (Mene ki uspe nazar) x2 thi ye zahra ki sada

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  19. Mawt "Rehan" muhibbo(n) ko kaha ati hai

Wo to khud mata shaheeda(n) ki khabar lati hai

(Kabr mei jaake bhi ham) x2 Kya kahe iske siwa

(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

Turbat

Inna lillahi wa inna ilayhi raajeoon

(Sakina guzar gayi) x3

(Ab tak nahi soyi hu) x2 sulaane chale aawo

(Turbat pe diya baba jalaane chale aawo) x2

  1. Baba mujhe mati ka makaa(n) aisa mila hai
  2. Andhera jahaa(n) tera pata puch raha hai

    Baba meri tanhaayi, mitane chale aawo

    Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo

  3. Asghar ki tarha mujhko sulaane nahi aaye
  4. Baba mera lasha bhi uthane nahi aye

    Choti si Sakina ko manane chale awo

    Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo

  5. Kya aap koi basti basaane gaye baba
  6. Sughra se kiya wada, nibhaane gaye baba

    Itna to Sakina ko bataane chale awo

    Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo

  7. Dadi ki tarha mei bhi tere saath chali hu(n)
  8. Baba mei tere sabr ke saaye mei pali hu(n)

    Ansu jo chupaate ho, dikhaane chale awo

    Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo

  9. Jo teri ghareebi ka akela tha sahara
  10. Pani ke liye mene usse kho diya baba

    Ye daagh kaleje ka mitane chale awo

    Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo

  11. Kuch aise jhuka bhaayi ke phir uthna saka hai
  12. Baqir ka gala haaye qamar se jo bandha hai

    Beemar se milne ke bahane chale awo

    Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo

  13. Acha mujhe sine pe sulana nahi baba
  14. Kehti hu jo amma ko batana nahi baba

    Ehsaas yateemi ka mitane chale awo

    Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo

  15. "Arman" ye turbat se Sakina ki sada hai

Ay baba mujhe tumne bohot pyaar kiya hai

Ab phoolo(n) ki chadar hi, charhaane chale awo

Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo

(Aajaiye baba) x2

No comments:

Post a Comment