Monday, 17 February 2025

Shahid Baltistani (2005)

Basta ba zanjeer

(Basta ba zanjeer) x2

Jumla yateema haay

Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema

    1. Jaltay huwe ghar lutti ridaye(n) ah hussaina

kisko sadaa de kisko bulaye ah hussaina. Haay

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

    1. Eik zanjeer-e-sitam bara aseero kay gale

Us pay ye hukm kay har peer-o- jawaan tez chalay

Ee sitam haay hussaina

Pusht pay partay rahe saath durron kay nishaan haay

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

    1. Eik beemar aseeron ka jo salaar bana

Thaame zanjeer sitam jaanib-e-darbaar chala

Ee sitam haay hussaina

Roya shabbir ka sar barsare nok-e-sina haay

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

    1. Dhoop say pyar hay saaye se sarokar nahi

Koi baanu ki tarha bekaso ghamkhwar nahi

Ee sitam haay hussaina

Kaisay asgher kay binaa saye main jayengi maan haay

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

    1. Umm-e-laila ka jigar hogaya paara paara

Us nay dekha hay jawaan lal kay dil main naiza

Ee sitam haay hussaina

Mu ko ata hay jigar sunti hay jab bhi azaan

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

    1. Eik nawshah ki mayat ke bahattar tukre

Maadare Qasim-e- muztar ki nazar say guzre

Ee sitam haay hussaina

Sar kahan jism kahan dil kahan haath kahaan haay

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

    1. Wo jo lashkar ka alamdar tha dast-e-shabbir

Bar lab-e-nehr likhi jis ne wafaa ki tahreer

Ee sitam haay hussaina

Wo nahi hai to nahi ab meray jism mein jaan haay

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

    1. Kaan zakhmi hai gala khushk jalaa hay daman

Saans leyne nahi deti hai sakina ko rasan

Ee sitam haay hussaina

Neend aati hai usay wo magar soye kaha haay

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

    1. Be ridayi ki aziyat ko uthane waale

Haay wo ale muhhamad kay gharaane waale

Ee sitam haay hussaina

Apne is haal pay bhi kar nahi paaye fughaa

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

  1. Nauha "Rehan" aseeron ki zubaan main likh kar

Is qadar roya qalam ho gaya qirtaas bhi tar

Ay meri jaan hussaina

Farshe majlis pay huwa qalbo jaan nauha kuna

(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2

Ghazi ko bachpane mei

(Mere beta abbas) x3

Madine me eik raat ummul baneen bete ko lori sunarahi hai

Abbas abbas abbas abbas

Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. (Tere bazuo(n) ke hote) x2 Zainab na gham uthaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. Haider ki zawjiyat me jis din se hu mein aayi

Unke labo ke mene bas ye duwa hai paayi

Ya rab wo laal de jo zainab ke kaam aaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. Maana ke tu banega salaar-o-meer lashkar

Lekin hussain ka tu bankar rahenga nokar

Itna khayal rakhna sar maa ka jhuk na jaaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. Aka hussain ko tum bhayi kabhi naa kehna

Jab tak hain saas baaqi bankar gulam rehna

Meri dua hai tumko sakaayi raas aaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. Mein hu kaneez-e-zehra fizza se phir bhi kam hu

Ye soch soch kar me bas mubtilaa-e-gham hu

Tere sabab se beta zehra na ruth jaaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. Ye ghar hai sayyeda ka is ghar ki shaan parda

Is ghar ki betiyo ko suraj na dekh paaya

Shahzadiyo sar tak teri nazar naa jaaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. Ab karbala ka manzar raavi ne yu(n) likha hai

Abbas foj-e-sheh ka salaar bangaya hai

Kiski majaal hai jo sheh se nazar milaaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. Ashur ko hai tooti pyaaso pe kya qayamat

Larne ke milna paayi jarrar ko ijaazat

Abbas ja rahe hai mashko alam uthaaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

    1. Ghazi ke raaste par nazre hai bibio(n) ki

Aur hai dua musalsal zainab ke ye labo(n) ki

Meri rida ka zamin ay kaash lawt aaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  1. "Rehan azmi" jab be dast ho ke ghazi

Maqtal me girgaya tha reyti pe karbala ki

Madar ki wo nasihat ghazi ko yaad aaye

Abbas abbas abbas abbas

Karobaar nahi

Hayya ala khayril amal

(Ya hussain) x4

Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi

(Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2

    1. Wo shaks zakir-e-shabbir ho nahi sakta

(Dar-e- zahra ka jo fakir ho nahi sakta) x2

Jissay hai zar say muhabbat aza se pyaar nahi

Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2

    1. Ghame-hussain jo meezan-e-zar main toltay hay

(Wo apnay zarf-o-lahoo ki zubaan boltay hain hay) x2

Unhey ata-e-imaamat pay aitebaar nahi

Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2

    1. Jo zikre ale muhammad main daam rakte hain

(Nazar mein kab wo aza-e-imaan rakhtey hain) x2

Wo zakhm detay hain shabbir ko karrar nahi

Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2

    1. Jo dekhtay hain muharram ko eid ki surat

(Unhey pasand hai goya yazeed ki surat) x2

Unhe imaam ki amad ka intezaar nahi

Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2

    1. Wo farsh-e-gham ho kay mehfil ali ki midhat ki

(Jo baat kartay hain har bazm main siyasat ki) x2

Wo apne naam kay taalib hain pursadaar nahi

Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2

    1. Wo log kon thay hum jin ko aaj rotay hain

(Yeh kis kay tazkeray farsh-e- aza pay rotay hai) x2

Wo log pusht-e- muhammad kay kiya sawaar nahi

Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2

  1. Gham-e- hussain to darvaish ki ibadat hay

(Jahan-e-dard mein "Rehan" yeh wo daulat hai) x2

Qarar deta hai karta yeh beqarar nahi

Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2

Maa pukare lot aawo

(Haaye Ali Asghar) x8

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x3

    1. (Jeena mushkil mera) x2 Ay maa ke dulhaare asghar

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2

    1. Tu na jana kya khabar thi gar meri jaan maa hu

Bhulna paawungi tujhko zindagi bhar chaahu(n)

(Dekhle haal mera) x2 Ay maa ke sahaare asghar

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2

    1. Apne haatho(n) se sajaaya, tujhko dulhe ki tarha

Meri aahosh hai veera(n), dekh jhule ki tarha

(Sunlo madar ki sada) x2 Ay jaan se pyaare asghar

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2

    1. Tu gaya jab se hai beta, tere bin jee na saku

Hai kasam mujhko meri jaa(n), ab na saaye mei rahu

(Maa ko chehra to dikha) x2 Maa sadqa utaare asghar

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2

    1. Maa ki jageer hai bas kya, haay shaluka tera

Teri masoom adaaey, wo machalna tera

(teri maa tujhpe fida) x2 Awaaz sunade asghar

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2

    1. Dekho roti hai Sakina sunke ye gham ka sukhan

Khun mei tar mere asghar, ko mila kaisa kafan

(Akhri eik diya) x2 Roro ke jalaaye asghar

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2

    1. Bole asghar mei hu(n) kamsin, par hu ghazi sa jari

Mujhme zahra ki mehek hai, mei bhi hu(n) khoon-e-ali

(Teri godi ka sila) x2 Maqtal mei dikhaaye asghar

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2

    1. Meri saanso mei meri maa, teri khushbu hai rachi

Aur nigaaho mei hai meri, teri mamta hai shabi

(Tere pehlu ke bina) x2 Ab cheyn na paaye asghar

(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2

  1. Tere "Yawar" ki dua hai, mere maula Asghar

Aisi awlaad ata kar, jo ho teri nokar

(Sunle maao(n) ki dua) x2 Godo ko sajaade asghar

Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar

(Haaye ali asghar) x2

Marhaba khairun-nisa

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

Bizate khairal wara ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

    1. aisi maan jis pe meri maa qurbaan

jis ke qadmo ki dhul arzo samaa

jis ke bete shababe ahle jina

jiska shohar he qul ka qul imaan

baap fakhre ambhiya ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

    1. aisi beti ke baap ki maa he

tu to qalbe rasul me jaan hai

teri tazim uspe lazim he

jispe utra khuda ka quran hai

ai kaneeze kibriya ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

    1. jis ne gyara imaam pale hai

sehne kaaba ke jo ujaale hai

haye chaki ki wo mushaqat thi

daste zahra mai ye jo chhale hai

deen jis ke ghar pala ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

    1. jo khadija ke qalb ki dharkan

khuld se jo mangaye pehrahan

tara utra jahaa salami ko

do jahan me hai wo tera angan

ye hai tera martaba ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

    1. be zaron ko waqare buzar de

tashna kaamo ko jame kausar de

tu hai kono makan ki shahzadi

tu zamin ko bhi aasmaan karde

tu agar karde dua ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

    1. tune jis qawm ki dua mangi

hai asar sare matami uski

khun apna bahaa rahe hai jo

chahiye unko teri khushnudi

chahiye teri raza ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

    1. dil tera barsare sina bibi

girta lamhon me asmaan bibi

bad dua tu kaheen jo kardeti

khak hojata ye jahaan bibi

dub jaati karabala ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

    1. hubbe shabbir me jo qatl huwe

un shaheedon ki maghfirat ke liye

teri nazre karam zaruri hai

tere baba rasul ke sadqe

kar rahe hai ilteja ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

  1. roya "rehan azmi" ka qalam

likh ke qirtas par jo tere alam

karb se karbala huwa he dil

khun tapka nigah se peham

hosaka na haq adaa ya zahra

(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2

Sine pe sulane ko

(Akhri raat sakina ki) x2

(Haay haay hay) x3

(Me khaak pa sojaungi) x2 ha kehti hu(n) baba

(Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba) x2

    1. Kehti hu(n) ke chehra hi dikhajayiye baba

Marne se mere pehle hi aajayiye baba

Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba

    1. Bache to bohot chhote huwa karte hai baba

Har aik musibat pe gila karte hai baba

Me naaz uthane ko kaha kehti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba

    1. Sehlungi jo haathon ki lakiron me likha hai

Zindaan ki andheron ka gila kisne kiya hai

Me shamme jalane ko kaha kehti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba

    1. Haaye baba, baba mere bachpan ka taqaza to nahi tha

Khabon me khilone the janaza to nahi tha

Ghodi me khilane ko kaha kehti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba

    1. Baba mere zakhmon ki dawa kon karega

Ab jaan sakina ko bhala kon kahega

Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba

    1. Zindaan ki andheron me sula kyun nahi dete

Baba mujhe marne ki dua kyun nahi dete

Me lori sunaneko kaha kehti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba

    1. Koi bhi nahi aansu mere ponchne wala

Sarpe nahi hathon ko koi pherne wala

Bahon me chupane ko kaha kehti hun baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba

    1. Haaye baba, marjawu agar baba tera shaam ho aana

Bimar akela hai janaze ko uthana

Godi me uthane ko kaha kehtu hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba

  1. Arman sakina ki yahi bayn the haaye

Me kehti rahi baba magar aap na aye

Turbat bhi banane ko kaha keti hu(n) baba

Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba

Baba ko rone wali sine pe sone wali (sakina guzar gayi) x3

Surood-e-Aman

(Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya

(Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3

    1. Suraj sitare aabo hawa, bargo shajar sab teri ataa, ye behte dariya, ye rango bu, (dete he humko tera pata) x2

(Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya

(Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3

    1. Larka hai jese tera chaman, tune banaye wo panjatan, eik mustafa hai eik murtaza, (shabbir or zahra hai or hassan)x2

(Allah) x4 (la ilaha ilallah) x3 (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3

    1. Hai masjidon me barsaate khun, teri ibadat kaise karun, ye khof mehshat ka raaj hai, tere namazi hai besukoon, ay rab-e-akbar sunle dua, karte hai tujhse hum iltija, zehra ki chadar saya kare (kehta hai tujhse bandaa tera) x2

(Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3

  1. Ik rab hai quran bhi aik hai, ik deen hai imaan bhi aik hai, rehan phir kyun ye tarfiqa, (qalma musalman bhi aik hai) x2

(Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya

(Allah) x6

(allahu qabla kullu shay', allahu ba'ada kullu shay') x2

allahu akbar

Vichora

Jeene se hamesha gham-e-bezaar thi sughra

Tanhaayi ki afat mei, giriftaar thi sughra

(Ghash rehta tha istarha ke beemar thi sughra) x2

Hosh ata tha karti yahi guftaar thi sughra

(Akbar nahi aaye) x2 haay

(Akbar nahi aaye) x4

    1. Kaise shab-e-baraat manaawu

Kaise mei akbar tumhe bhool jaawu

Nana ke roze pe is raat bhaayi tanhaa bhala kaise shamme jalaawu

(Mujhko milenga na cheyn) x2

(Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3

  1. Hai eid ka din bhi aane wala

Har ghar mei honga us din ujala

Veeran ghar mei kahe roke sughra

Pehlungi mei eid pe jora kala

(Karti rahungi ye bayn) x2

(Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3

("Arshad" thi sughra ke lab par duhaayi) x2

Baba khushi raas mujhko na aayi

Zuljanah ay zuljanah

Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

  • Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

  • Lay gaya ghar se ek pyaase ko, Rab ke mehboob ke nawase ko, Chor ker aagaya laeeno me, Gham zada maa ke tu assase ko. Dhund ne jawu(n) use, is andhere me kaha(n), Mera bachaa hai(n) kaha(n)

(Zuljana ay zuljana mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

  • Jis ne lashe uthaye the din bhar, khune asghar tha jiske chehre par, zakhme akbar ki thi anni dil me, bhayi ki gham me jhuk gayi thi kamar, khaak urhaate hai nabi, hai ali mehve fughaa, mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

  • raqibe dosh mustafa tha wo, tujhko bachpan se chahata tha wo, saath kyu(n) aaj uska chor diya, jabke mushkil me agaya tha wo, bewafayi ka sabab, kya karu(n) tujhko bayaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

(Fatema zahra) x4

  • tere mathe pe khun hai kiska, rang khu(n) ye tere sawaar ka tha, hai mere shir ki mehek usme, kampta hai alam se dil mera, bol khamosh hai kyu(n), tere asu(n) hai rawaa, mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

    1. jo teri pyaas par udaas raha, ho ke paani ki aaspaas raha, phir bhi paani piyaa nahi usne, teri khatir wo mehwe yaas raha, khushk tha uska ghala, khushk thi uski zabaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

  • kaise soyegi ladli uski, jisko sine pa neend aati thi, jisne roka tha tujhko jaate huwe, kya kahega agar wo puchhegi, samna uska na kar, roke dedegi wo jaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

  • qalb zainab kahee(n) fighar na ho, dilpe ehle haram ke waar na ho, tu jo khayme me jayenga khali, kon hai jo, ke soghwaar na ho, tu jo jaayega wahaa(n), hashr ka honga samaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

  • na gawaa sar sina pe aayaa nazar, zikre khaliq tha jiske honto par, thaam kar dil larazte haatho(n) se, boli "rehan", madare sarwar, tujhse ay aspe jhari, ab na puchengi ye maa(n), mera bachha hai kahaa(n),

Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2

(Fatema zehra) x4

Meera vad maula, sarwar-e-zehra, aho-wawayla

No comments:

Post a Comment