Sunday, 16 February 2025

Nadeem Sarwar (2011)

haaye haaye
haaye ali akbar
jivan ka asaasa tha piri ka sahaara tha
kya jaane wo kya kya tha
akbar mera pyaara raaj dulaara tha

akbar ki jawaani par sau jaan se fida maadar
ay kaash use dekhun ek baar nazar bharkar
wo aankhon ka taara tha raaj dulaara tha

ye din the jawaani ke akbar teri shaadi ke
kis tarha lute armaan teri maa dukhiyaari ke
aisa to na socha tha raaj dulaara tha

kya khub wo surat thi naana ki shabaahat thi
waabasta bahot tumse apnon ki mohabbat thi
wo sab ka dulaara tha raaj dulaara tha

ek daaghe alam dekar kis samt chale akbar
sar kham kiye rokar beta teri raahon par
baba ka ye naala tha raaj dulaara tha

sine me jo bhaala hai is dil me bhi utra hai
kaise ye sahu sadma ye maa ka kaleja hai
wo naazon ka paala tha raaj dulaara tha

maidaan se jo aate tum aur maa ko bulaate tum
paani mein tumhe deti aur pyaas bujhaate tum
kya maa ko pukaara tha raaj dulaara tha

jab yaad teri aaye dil tumko kahaan paaye
itna to bata jaawo maadar ye kahaan jaaye
yun mujhko rulaana tha raaj dulaara tha

jab ali shanaawar ye zikre gham sunaata hai
zaakira ka ye noha har maa ko rulaata hai
gham ye kitna gehra tha raaj dulaara tha

ya hussain ya hussain
as salaamun alayk ya hussain ya hussain
bar zabaan o delam ya hussain ya hussain

aamadi az madina be karbobala
ba baraadar wa khaahar wa ham tefleha
ta ke roshan konid dine haq ra ______
marhaba marhaba ya hussain ya hussain

aaye maula madine se karbobla
bhaayi behnon ka bachhon ka ye qaafela
ghaazi abbas ka sar pe parcham khula
aa rahi thi sada ya hussain ya hussain

bhaayi hai mujtaba baba jaan murtaza
aur maadar hai jaane nabi fatema
nana salle ala ehmade mustafa
in ke dil ki dua ya hussain ya hussain

aap ke ghar ko aada sataate rahe
band paani kiya aur rulaate rahe
aap qur'aan parhke sunaate rahe
raahnuma raahnuma ya hussain ya hussain

koshteh dar in zameen shod ali akbaret
qaaseme taaze daamaad o ham asgharet
aun u koshteh shod koshteh shod jaafaret
koshteh shod az jafaa ya hussain ya hussain

aa rahi hai imaame zamaan ki sada
as salaam ay ghareeb ul watan marhaba
parh ke rote hain ham zyaarate naahiya
ay qateele jafaa ya hussain ya hussain

haaye shaame gharibaan na bhulenge ham
haaye saydaaniyaan aur un pe sitam
bibi zainab chali leke din ka alam
zainabi azm tha ya hussain ya hussain

puri rehaan o sarwar dua ho gayi
muntaqel nasl me ab azaa ho gayi
ay shanaawar ali jee ataa ho gayi
daulate karbala ya hussain ya hussain

ya hussain ya hussain

abbas alamdar

kya hua kyon udaas baitha hai
tu azadare ibne zehra hai
chal wahan rab jahan pe milta hai
chal jahan panjetan ka saaya hai
wo saqi dar khula hi rehta hai

chote hazrat ki bargah chalo
chalo abbas ki dargah chalo

inki dargah se saughate wafa milti hai
naam e zainab pe yahan sabko rida milti hai
zayaron aao sakina ki dua milti hai
mere saqqe ke azadaar jiyo
chalo abbas ki....
chote hazrat ki....

haan yehi babe hawayej dua e zehra
ye ali ka sarapa to hassan ka chehra
inko kehte hai hussain ibne ali ka pyara
panjatan paak ke pyare se kaho
chalo abbas ki....
chote hazrat ki....

hazari inki jab hoti hai diye jalte hai
mustafa fatema hasnain o  ali aate hai
milke sab maadare abbas se farmate hai
aao abbas ki tum nazr to do
chalo abbas ki....
chote hazrat ki....

inka jab aat moharam ko alam uth-ta hai
ek mashkeeza bhi panje se bandha rehta hai
uspe saqqaye sakina bhi likha rehta hai
ye alam kya hai sakina se suno
chalo abbas ki....
chote hazrat ki....

jisne nau laak ke lashkar ka bharam todh diya
uspe ek mashk ke chidne ne sitam todh diya
ya sakina kaha aur khaak pe dam todh diya
milke sab matame abbas karo
chalo abbas ki....
chote hazrat ki....

zaamine chadare zainab thay almadare wafa
jis ghadi saniye zehra se fizza ne kaha
chadare apni sambhalo ke wo ghazi na raha
pursa ab zainab o kulsoom ko do
chalo abbas ki....
chote hazrat ki....

chote hazrat ki ghulami ka sharaf paaya hai
rabbe kaab ki qasam ye bada sarmaya hai
nauha jo sarwar o rehan se padhwaya hai
shukre maula chalo ghazi se kaho
chalo abbas ki....
chote hazrat ki....

chote hazrat hussain ke bhai
chote hazrat ba haqqe saqqayi
tum waseela ho gham ke maaro ka
tum waseela ho be-saharon ka
baargahe khuda may ay ghazi
aapki baat radh nahi hoti
dil ki uljhan nikaal do maula
meri mushkil ko taal do maula
ye gunahgaar bhi tumhara hai
is liye aap ko pukara hai
dard ki ab koi dawa bhejo
ab mujhe karbala bula bhejo
waasta sayyede madina ka
waasta zainab o  sakina ka
bibi ummul baneen ka sadqa
waasta panjetan ka deta hoo
waasta be-kafan ka deta hoo
chote hazrat hussain ke bhai

mein karbala me khara hun libaase sog me hun
hai arbaeen hussain aur hussainiyon ka
karoron log hain saare libaase sog me hain
har ek nasl har ek rang har zabaan ke log
nigaahen roza e shabbir ke tawaaf me hain
labon pe haaye hussaina ghareeb haay hussain
khayaal aata hai eksathwi sane hijri ka
aur us moharram ka yehi maqaam tha
yehi maqaam tha ek banda e khuda jiska hussain naam tha
hussain naam tha jiska rahe khuda me
hatheli pe sar uthaaye huwe
har ek daur ke insaan ki aabru ke liye
wo apne dil pe bahattar ke zakhm uthaata raha
wo apne jism pe zakhmon pe zakhm khaata raha
qadam barhaata raha qadam barhaata raha
bas ek azm tha insaan surkh ru ho jaaye
bas ek dhun thi ke insaaniyat na mar jaaye

insaaniyat pe hai ehsaan hussain ka
ehsaan hi to hai ehsaan ka sila
har dil me ya hussain har dil me karbala
bedaar kar diya jo zamaana hussain ne
besaakhta tamaam zamaana ye keh utha
ke hamaare hain ya hussain
hamaare hain ya hussain

insaaniyat ki shaan barhaayi hussain ne
insaaniyat bashar ko sikhaayi hussain ne
insaaniyat ki pyaas bujhaayi hussain ne
insaan jab hussain ke paykar me dhal gaya
insaan pukaari wa to izzo man tasha
ke hamaare hain ya hussain

dunya ke har adab me hai hissa hussain ka
dunya ki har zabaan pe hai qabza hussain ka
insaan samajh raha hai ye rutba hussain ka
taarikh ko hussain ne hayraan kar diya
saare jahaan ke ehle qalam ne ye likh diya
ke hamaare hain ya hussain

sureh me maa uti ke allah ne sunaaya
takhleeqe kul me insaan ashraf tujhe banaaya
insaan ka dard dil me insaan ke utaara
insaaniyat ka maktab ghar panjetan ka rakha
us ghar me panjetan ke ek shehr ko basaaya
phir apna khun deke us shehr ko sanwaara
ye shehr naynawa hai ye shehr maariya hai
ye shehr karbala hai ye shehr karbala hai
dil hai to karbala dil hai to ya hussain

insaaniyat samajhne chalo karbala chalo
haan thaamlo hussain ke daaman ko thaamlo
hur jaun aur habib ki saf me khare raho
dil hai to ab hussain ki aawaaz ko suno
farmaate the hussain wo insaan nahi hai
lute jo dil ka chain wo insaan nahi hai
roein na jis ke nein wo insaan nahi hai
hans de jo sun ke bain wo insaan nahi hai
insaaniyat bachaaye wo insaan hai insaan
insaan ka dukh uthaaye wo insaan hai insaan
darse wafa sikhaaye wo insaan hai insaan
jo sab pe rehm khaaye ilm o amal barhaaye
insaaniyat bachaaye wo insaan hai insaan
insaan ko hussain ne insaan banaa diya
insaaniyat ke lab pe musalsal thi ye sada
ke hamaare hain ya hussain

do tarha ke huwe karte hain jahaan me insaan
hain juda raaste donon ke ba qaule quraan
aadmi ek yazeede azali me ubhra
ek insaan hussain ibne ali me ubhra
us taraf khaam khayaali naya islaam bane
is taraf azme jalaali ke shariyat na mite
us taraf saltanat o daulat o taaqat ka ghurur
is taraf tchota sa ghar faaqon me hai mamba e noor
ek taaqat ke takabbur me jo itra ke chala
dusra nana ke marqad se dua paa ke chala
ek nau laakh ke lashkar ke liye saath chala
dusra god me asghar ko liye saath chala
us neze the talwaaren thi aur bhaale the
is taraf shauqe shahaadat liye dil waale the
us taraf jashn manaate the zamaane waale
is taraf bekas o be aas madine waale
ek taraf tashna dahaan sab ke sab khushk zabaan
unka maqtal ka jahaan ret saari thi tapaan
door thi nehre rawaan al hafiz o al amaan

al hafiz o al amaan

kya dil tha dil hussain alayhis salaam ka
jis me koyi khayaal na tha inteqaam ka
dil tha to dil pe kaare risaalat utha liya
dil tha to dil pe noore shahaadat utha liya
dil tha to dil pe baare qayaamat utha liya
dil tha khuda ke ishq me sab ghar luta diya
dil tha to dil pe daaghe bahattar utha liya
dil tha sambhal ke laasha e akbar utha liya
had hai janaaza e ali asghar utha liya

hussain dil hai tera

karbala kya thi laeenon ki shaqaawat kya thi
soch insaan ke saadaat ki ghurbat kya thi
eid guzri hai abhi yani ke eide qurbaan
aap ne pura kiya hoga ye rukne imaan
chand sharten hain zabiha ki baraaye insaan
sharte awwal hai ke kamsin na ho bimaar na ho
aur bhuka na ho paani ka talabgaar na ho
ru ba ru saamne haywaan ke haywaan na ho
waqte zibha wo ghari bhar ko pareshaan na ho
shart ye bhi hai churi bhi na dikhaawo us ko
zibha se pehle qazaa se na daraawo us ko
ho churi tez magar haath ho narmi se rawaan
ek hi waar me ho jaaye zabiha qurbaan

al hafiz o al amaan

ab jigar thaam ke ay momino ye haal suno
lo zaraa maqtale shabbir ka ehwaal suno
haaye haywaan ki dame zibha sharaayat itni
aur jis ghar se ye mansub huwi qurbaani
us ki aulaad ki maqtam me ye tauqeer huwi
koyi bhi shart zabihe ki nibhaayi na gayi

al hafiz o al amaan

sharte awwal thi ke kamsin na ho tanwaan bhi ho
dudh pita na ho mar jaane ke imkaan na ho
tum ko ab maadare asghar ki qasam ehle azaa
qatl asghar jo huwe sochiye wo kya sin tha
tisra faaqa tha tche maah ka sin waweila
ek bhi daant na nikkla tha ali asghar ka
ek baalisht ka kurta tha ali asghar ka
dudh pina bhi na tchuta tha ali asghar ka
pehla kamsin hai ke jo zibha nahi nehr huwa
teere seh pehlu se maasum ko bhi maar liya

al hafiz o al amaan

sharte dowum thi ke haywaan na ho bhuka pyaasa
aur haftum se the saadaat bina aab o gizaa
halq tar karte hain kassaab bhi qurbaani ka
aur bahattar ko dame zibha bhi paani na mila
jalti reti pe kahin akbar o abbas ghire
aur kahin aun o mohammad aur qaasim the pare
zibhe haywaan ka nahin hukm hai haywaan ke huzur
yaan na shabbir se zainab na sakina thi door
shaah un ko, wo suwe shaahe umam dekhte the
zibha hote the hussain ehle haram dekhte the

hussain ya hussain

mana dikhlaana churi ka hai pa e qurbaani
yaan tha nau laakh ke narghe me ali ka jaani
ek jaana khareedaar eaazan billah
har taraf zzalim o khun khaar eaazan billah
apne rutbe ke kisi ko na shanaasa dekha
dekha pyaase ne jise khun ka pyaasa dekha
aakhri shart churi tez ho narmi se rawaan
ta ke tarpe na aziyat se zaraa bhi haywaan
aakhri sajda idhar karne lage shaahe hoda
kund karta huwa khanjar ko idhar shimr chala
tera zarbon se sare sayyade waala kaata
aur mazlum har ek zarb pe deta tha sada
zarb pe zarb lagi kehte the amaa amma
zarbe aakhir pe kaha ho mere abbas
mere abbas kahaan

jab hukme rihaai mila zindan se haram ko
ek ghar bhi mayassar hua tarseeda e gham ko
us ghar pe lagaya gaya ek syah alam ko
zainab ne kaha rona hai dil khol ke hum ko
phir farshe aza milke aseeron ne bichaya
aur sham ke ghar ghar se paye pursa o girya
ek ghaul azadaar khawateen ka aaya
phir majlise awwal ka yun aaghaaz hua tha
us majlise awwal ki jo awwal thi khateeba
ghar bhar ki azadaar wohi zainab e kubra
khutba padha aaghaaz kiya majlise gham ka
haye khutba abhi jari tha ke ek shor sa utha
ke sar aate hai majlis may shaheedan e sitam ke
ay bibiyon matam karo halqe may haram ke

haye hum lut gaye
haye barbaad huye
haye qaidi bane
haye dar dar phire
haye matam karo

haye pehle wahan ansare hussaini ke sar aaye
hur jaun habeeb ibne mazahir ke sar aaye
wehab e kalbi ausaja tashna jigar aaye
matam hua us pehle azakhane may aise
shehzadiyan roti ho sagay bhai ko jaise
haye hum lut gaye....

haye ek chand sa sar dekha ke jo khoon may tar hai
sab kehne lage ye kisi naushah ka sar hai
farwa ne kaha haan ye mera lakhte jigar hai
arey qasim mujhe sehra bhi dikhane nahi aaye
arey zindan se amma ko chudhane nahi aaye
haye hum lut gaye....

haye do chote se sar godh may sajjad jo laaye
zainab ne kaha aun o mohamed mere aaye
arey qurban gayi koi meri godh may laaye
royi nahi matam na kiya pyar to karloo
ay bhai ijazat hai inhe aaj to roloon
haye hum lut gaye....

haye jaise hi azakhane may akbar ka sar aaya
zainab ne sare aun o mohamed ko hataya
aaghosh se bhabhi ki sar akbar ka uthaya
arey chillayi mere laal zara aankhein to kholo
arey sughra ke liye hai koi paigham to bolo
haye hum lut gaye....

haye ek chote se sayyed ka jo sar saamne jo aaya
moo ashkon se maa ne ali asghar ka dhulaaya
har bibi ne us sar ko kaleje se lagaya
arey ro ro ke sakina ko sada deti thi madar
arey aajao tumhein dhoond raha hai ali asghar
haye hum lut gaye....

haye sar aaya wahan jab bani hashim ke qamar ka
rote hue har bibi ne dukhda ye sunaya
ay zaamine chadar tu bahot dayr may aaaya
ye dekh ke har bibi ka sad chaak jigar tha
ke pehlu may alam ke hi alamdar ka sar tha
haye hum lut gaye....

haye sar majlis e shabbir may shabbir ka aaya
har bibi ke lab pe thi sada haye hussaina
matam ki sadaon may ye zainab ne sunaya
ke ay mere aqi dekh teri farshe aza hai
matam tera is majlise awwal may bapa hai
haye hum lut gaye....

haye loote hue asbab may jo cheeze mili thi
sadaat se ye shame ghariban may chini thi
tar khoon may do baliyan bhi unmay rakhi thi
ay sarwar o rehan azadariye sheh ka
tha pehla azakhana saron se jo saja tha
haye hum lut gaye....

Bazar e sham men kai ghainty jab beparda thi Al e Nabi (saw)

har mor pe sham ke ruk ruk kar masoom sakeena kehti thi

Sajjad A.s mery Zakhmi Bhai

is shehr ke log yateemo par kya yoon he mazalim dhaty hen?

kya ujry huwon ki aamad par bazar sajaye jaty hen?

yoon jashan manaye jaty hen?

Sajjad A.s Sahara dy muj ko

men thak pai aan

darbar koon kitni dair ey

pooch shimar koloon men beh jawan mery dard karendy ne pair

hy sakeena hy hy hy shaam

Sajjad bhira nai tur sakdi zara qafilay noon rukwa dy

ik wari sir mery baaby da medi jholi de wich pa dy

eho ujri te ehsan cha kar teri weer kary rab khair ey

poch shimar ko loon men beh jawan mery mendy dard karendy pair.

zinda rahe hussain tera gham manaayenge
ay fatema ke laal ye waada nibhaayenge

ghar me hamaare aayengi majlis me fatema
farshe aza ke saath ye dil bhi bichaayenge

jhule amaariyan ye shabihein ye taaziye
tehzeebe gham se dard ke manzar sajaayenge

ye unka hai julus jo pyaase huwe shaheed
ham iske raaste me sabilein lagaayenge

kehte hain chote chote se bachhe ye baap se
ek roz baba jaan ye alam ham uthaayenge

kuch der zuljanah mere ghar pe rok do
pyaase ki is sawaari ko paani pilaayenge

bachpan se hai dua ke banaayenge ghar jahaan
ashur khaana ghar me wahaan ham sajaayenge

ghar me agar ho nazre sakina to hai yaqeen
us nazr me sakina ke ammu bhi aaayenge

kis shaan ke mile hain namaazi hussain ko
teeron ke saamne ye musalle bichaayenge

bachhon ko apne sajda e shabbir ki qasam
maatam ke saath saath namazein sikhaayenge

raahe hussainiyat ke shaheedon salaam lo
inko na apne dil se kabhi ham bhulaayenge

baade zahoor hoga moharram ka ye hasham
ham karbala imam ke hamraah jaayenge

nauha bhi hai safeer e aza sarwar o hilal
jis des me bhi jaayenge nauha sunaayenge

Ghum khaayegi zainab -  2
Mar jaayegi zainab - 2

Zindaan se reha hoke jo ghar jaayegi zainab
bin bhai ke jayegi to mar jayegi zainab
zindan se reha hoke....

1. Ghar lutgaya pardes may veeran hai dinya
zindan se reha hoke bhi zindan hai dunya
is qaid se ghar jaake bhi kya paaegi zainab
zindan se reha hoke....

2. Soona hai makan jisme wo shehdayi na honge
ghar hoga magar ghar may mere bhai na honge
ta hashr yehi bhai ka gham khayegi zainab
zindan se reha hoke....

3. Bachpan hai jahan aun o mohamed ne guzaara
ab un dar o deewar ki tanhai ne maara
ab unke na saaye may khabi jayegi zainab
zindan se reha hoke....

4. Be aas mujhe kar gaye bache mere kamsin
bin beton ke kehlayi to kehlayi mai lekin
bin bhai ke dunya may na kehlayegi zainab
zindan se reha hoke....

5. Is baat pe hairat hai bahot ahle watan may
abbas se bhai ki bahan aur rasan may
roodad ye kis tarha se batlayegi zainab
zindan se reha hoke....

6. Aaya na koi laut ke bhai tera sughra
soona hi rahega bani hashim ka mahella
kya deke dilaasay usay behlayegi zainab
zindan se reha hoke....

7. Haye roti hui jab jaaungi nana ki lehad par
aur maajra poochegi wahan roohe payambar
kurta wo phata bhai ka dikhlayegi zainab
zindan se reha hoke....

8. Aaya na hilal aisa kada waqt kisi par
kis kis ke liye royegi ye bekas o muztar
kis kis ka wahan fateha dilwayegi zainab
zindan se reha hoke....

Ghum khaayegi zainab -  2
Mar jaayegi zainab - 2

Zindaan se reha hoke jo ghar jaayegi zainab
bin bhai ke jayegi to mar jayegi zainab
zindan se reha hoke....

1. Ghar lutgaya pardes may veeran hai dinya
zindan se reha hoke bhi zindan hai dunya
is qaid se ghar jaake bhi kya paaegi zainab
zindan se reha hoke....

2. Soona hai makan jisme wo shehdayi na honge
ghar hoga magar ghar may mere bhai na honge
ta hashr yehi bhai ka gham khayegi zainab
zindan se reha hoke....

3. Bachpan hai jahan aun o mohamed ne guzaara
ab un dar o deewar ki tanhai ne maara
ab unke na saaye may khabi jayegi zainab
zindan se reha hoke....

4. Be aas mujhe kar gaye bache mere kamsin
bin beton ke kehlayi to kehlayi mai lekin
bin bhai ke dunya may na kehlayegi zainab
zindan se reha hoke....

5. Is baat pe hairat hai bahot ahle watan may
abbas se bhai ki bahan aur rasan may
roodad ye kis tarha se batlayegi zainab
zindan se reha hoke....

6. Aaya na koi laut ke bhai tera sughra
soona hi rahega bani hashim ka mahella
kya deke dilaasay usay behlayegi zainab
zindan se reha hoke....

7. Haye roti hui jab jaaungi nana ki lehad par
aur maajra poochegi wahan roohe payambar
kurta wo phata bhai ka dikhlayegi zainab
zindan se reha hoke....

8. Aaya na hilal aisa kada waqt kisi par
kis kis ke liye royegi ye bekas o muztar
kis kis ka wahan fateha dilwayegi zainab
zindan se reha hoke....

No comments:

Post a Comment