Sunday, 16 February 2025

Nadeem Sarwar (2010)

aakhri salaam
maqtal me pahonche jab shaahe wala
laashe jawaan aur khaimon ko dekha
darya ko dekha phir ye pukaara
ab ye salaame aakhir hai mera

abbas aajaawo bhaayi akela hai
tanha musaafir ko laakhon ne ghera hai

tumne na dekhi ghurbat hamaari
zainab thi laayi meri sawaari
rukhsat ka meri manzar ajab tha
sine se lag jaawo bhaayi akela hai

jab se ho bichre abbas ham se
ehle haram hai lipte alam se
kaise jiyegi baali sakina
kya hoga batlaawo bhaayi akela hai

lashkar kahaan ka jab tum nahi ho
aada to khush hain ab tum nahi ho
kitna akela kitna hun tanha
sine me hai ghaawo bhaayi akela hai

din bhar uthaaye kitne janaaze
ab kaun hai jo dega dilaase
hote agar tum dete dilaasa
aaawo chale aaawo bhaayi akela hai

mujh par baraste ye sang dekho
bekas ki tanha ki jang dekho
dekho na tute nana se waada
himmat barha jaawo bhaayi akela hai

jab shimr khanjar ko pherta tha
qaatil ne shaah se khud ye sunaa tha
pyaasa gala us dam ye pukaara
surat dikha jaawo bhaayi akela hai

sar sheh ka aaya noke sina par
aayi sada ye rehaan o sarwar
be sar parha hai bhaayi ka laasha
ab to chale aaawo bhaayi akela hai

haaye kya aalame tanhaayi hai
jab aakhri rukhsat ko chale sayyade waala
kohraam tha dil hote the gham se taho baala
shabbir ne godi se sakina ko utaara
ghaazi ko kabhi akbar o qaasim ko pukaara
baba ko qasam deke bulaati thi sakina
sar pitti piche se chali jaati thi sakina

achhe mere baba haaye kya aalame tanhaayi hai
achhe mere baba na sakina se chupaana
kahin bhul na jaana
dil rota hai kyun pehna hai malbus puraana
kahin bhul na jaana

is tarha safar par koyi jaata nahi dekha
pehne tumhe aisa kabhi kurta nahi dekha
mein jaan gayi aaj hai maqtal me thikaana
kahin bhul na jaana

sheh bole mein qurbaan meri jaan sakina
ek waada hai jo aaj nibhaana hai sakina
khaimon se nikal kar na hame dhundhne aana
kahin bhul na jaana

kal raat se bechain the mein dekh rahi thi
mein sine pe leti thi magar soyi kahaan thi
ab samjhi tumhe ham se bohat dur hai jaana
kahin bhul na jaana

aata hai nazar haal gharibi ka tumhaari
lagta hai ye saamaan yatimi ka hamaari
baba hame jine nahi dega ye zamaana
kahin bhul na jaana

akbar kabhi asghar kabhi qaasim ne rulaaya
jo ran ko gaya aaj palat kar nahi aaya
bhuli nahi ab tak mein chacha jaan ka jaana
kahin bhul na jaana

pehlu se shahe din ke na hatti thi sakina
daaman kabhi qadmo se lipatti thi sakina
tarhpaata hai ye aap ka daaman ko churhaana
kahin bhul na jaana

ay sarwar o rehaan ye kehne lage sarwar
ham bhi wahin jaate hai jahaan sote hain asghar
beti phuphi ammaa ko na ro ro ke rulaana
kahin bhul na jaana

ya hussain ya hussain

chaand moharram ka nazar aa gaya
bas gayi karbobala

haaye ghazab ho gaya
fatema zehra ka bhara ghar luta
kat gaya shabbir ka sukha gala
maahe moharram me ye kya ho gaya

momino veeraan madina huwa
ho gayi aabaa magar karbala
rote hain marqad me rasule khuda
kat gaya shabbir ka sukha gala

haaye wo aashur wo karbobala
bhul na paayenge ye ehle azaa
aale mohammad pe thi kaisi jafaa
kat gaya shabbir ka sukha gala

ho gayi pardes me barbaadiyaan
bain ye karti rahi rahi shehzaadiyaan
shaam talak jaayenge ham berida
kat gaya shabbir ka sukha gala

jab huwe abbas ke baazu qalam
so gaye be aasra ehle haram
chhini gayi baad saron se rida
kat gaya shabbir ka sukha gala

saamne darya yun hi behta raha
kunba mohammad ka tarapta raha
teen shab o roz na paani mila
kat gaya shabbir ka sukha gala

beh gaya jab khaaq pe sheh ka lahu
gunj rahi thi ye sadaa chaar su
karti thi faryaad ye khaake shifa
kat gaya shabbir ka sukha gala

shaame gharibaan huwi khaime jale
ehle haram khaak pe bethe rahe
sayyade sajjad ka noha ye tha
kat gaya shabbir ka sukha gala

nauha ali jee o shanaawar parho
sarwar o rehaan ke baazu bano
dard me dubi huwi aaye sadaa
kat gaya shabbir ka sukha gala

Haye Mere Hussain O Hassan ×3 

Qaid Se Chud Ke Ayi Watan 
Jab Hussain o Hassan Ki Bahan 
Qabr e Zehra Pai Jis Daam Gayi 
Layi Ro Ro Ke Lab Par Sukn 

Amma ×3

Bhai Mere Hussain o hassan 
Chali Teeron Se Dono Ke Tan ×3

Aik Ka Teeron Ki Zaad Par Janaza 
Hassan Aik Hussain ×2
Hassan Aa Hussain ×3 
Aik Ka Teeron Ke Upar Janaza 

Haye Mere Hussain O Hassan 

Aik Ko Roti Hue Mai Gayi Hon 
Aik Ko Roti Hue Aarahi hon ×2
Yeh Bhi Sadma Bahan Ne Utaya 
Wo Bhi Sadma Bahan Ne Utaya 

Haye Mere Hussain O Hassan 

Amma Dono Shabab e Jinna Hein 
Amma Dono Hi Nana Ki Jaan Hein ×2 
Aik Ne Phelu Nabi Ka Na Paya
Aik Se Shehr-e- Nabi Ko Churvaya

Haye Mere Hussain O Hassan ×3 


Amma Aik Meri Ankhon Ka Taraa
Aik Kulsoom Ka Tha Dulara ×2
Aik Ka Haye Jigr Para Para
Aik Ko Gurbat Mai Lakhon Ne Mara

Haye Mere Hussain O Hassan ×3 

Aik Baqiya Ki Zeenat Bana Hai 
Aik Ka Madfan Bani Karbala Hai ×2
Aik Ne Amma Ka Phelu Basaya 
Aik Ne Bheiton Ko Seene Lagaya

Haye Mere Hussain O Hassan ×3 

Waqt Amma Watan Mujko Laya 
Bhai Koi Na Milne Ko Ayaa ×2
Aik Mujhse Madine Mai Bichra 
Aik Ne Karbobala Ko Basaya

Haye Mere Hussain O Hassan  ×3 

Qabr-e-Zehra Se Awaz Ayi
Beti Zainab Tere Dono Bhai ×2
Roo Ke Kehte Hein Amma Zehra
Koi Lahad Pai Koi Na Zair

Haye Mere Hussain O Hassan 

Keh Do Dunya Se Rehan O Sarwar 
Waqt Badla Hai Badla Hai Manzar ×2
Jin Ke Lashon Par Kal Zulm Dhaya 
Unka Utha Hai Ghar Ghar Janaza

Haye Mere Hussain O Hassan ×4

hussain hussain hussain

charaag jalta raha
jo qaafela tha rawaan wo qaafela hai rawaan
safar ba noke sina sina ke saath azaan
bureeda sar ki sadaayein fiza me phail gayi
dareechon aanganon galiyon me tapte sehra se
zameen o arsh khilaawon se aur fizaawon se
dinon me raat me jangal me kohsaaron se
sadaayein aane lagi ash'hado an la ilaaha illallah

ye ek baar huwa aur la zawaal huwa
sina ki nok pe subhaana rabbi al aala
pukaara kalma e tauheed bhi jazaak allah

jahaan hussain wahaan la illa ha illallah
khateebe noke sina la illa ha illallah

hussain din bhi hai aur diniyaat bhi hai
hussain kalma e tauheed ki hayaat bhi hai
hussain ramze khuda bhi khuda sifaat bhi hai
hussain baara imaamon ki kaayenaat bhi hai
hussain se hai ayaan la illaha illallah 

jahaan hussain wahaan la illa ha illallah
khateebe noke sina la illa ha illallah

wo gaud fatema zehra ki ho ke rege tapaan
wo sehne kaaba ho pushte rasul ya ke sina
fazaaye jang ho ya ho payaame amn o amaan
na dekhein teer na talwaar gar ho hukme azaan
hussain ka hai bayaan la illaha illallah

jahaan hussain wahaan la illa ha illallah
khateebe noke sina la illa ha illallah

hussain waalon ki pehchaan hai azaadaari
hussain waalon ki to jaan hai azaadaari
hussain waalon ka imaan hai azaadaari
hussain waalon ka elaan hai azaadaari
hussainiyat ki zabaan la ilaha illallah

jahaan hussain wahaan la illa ha illallah
khateebe noke sina la illa ha illallah

basi hai karbobala to koyi jawaaz bhi hai
luta hai gulshane zahra to koyi raaz bhi hai
ye raaz wo hai ke khaaliq ko is pe naaz bhi hai
baraaye naaz bahattar ki wo namaaz bhi hai
isi ka sirre nihaan la ilaha illallah

jahaan hussain wahaan la illa ha illallah
khateebe noke sina la illa ha illallah

namaaz nafs ki izzat hai auliya ki qasam
namaaz din ki hurmat hai ausiya ki qasam
namaaz husne sharaafat hai ambiya ki qasam
namaaz qissa e wahdat hai kibriya ki qasam
namaaz khaire amal ki taraf bulaati hai
namaaz ishqe khuda ka hunar sikhaati hai
namaaz abd ko mabud se milaati hai
namaaz guftugu allah se karaati hai
yehi namaaz gunaahon se bhi bachaati hai
namaz qabr talak saath saath jaati hai

la illaha illallah

namaaz wo hai jo faaqon me mustafa  ne parhi
jaga ke apne hi qaatil ko murtaza  ne parhi
jo chakiyon ki mushaqat me fatema  ne parhi
gale laga ke zahar ko jo mujtaba  ne parhi
jo chaahta hai ke azmat namaaz ki dekhe
mere hussain  ka wo sajda akhri dekhe
parhi namaaz jo aabid  ne pushte naaqa par
adaa kiya jise baaqir  ne sakhtiyaan seh kar
bayaan kiya jise jaafar  ne bar sare mimbar
ruku me barson rahe jiske kaazime muztar 
raza  ne lab pe sari ar reza sajaa ke parhi
taqi ne taqwa e butaalebi bataa ke parhi
naqi ne naqwate baatil mita mita ke parhi
aur askari ne khabar aakhri suna ke parhi
pase namaaz musalle pe ro raha koyi
imaame asr hai aur hujjate khuda hai wohi

jahaan hussain wahaan la illa ha illallah
khateebe noke sina la illa ha illallah

wo khaimagaah wo saydaaniyaan wo zikre khuda
jahaan musalle pe zainab rabaab aur fizza
hasan ki bewaa ruqayya sakina ka sajda
tamaam bibiyaan karti thi sirf ek dua
mere khuda hame manzur kehte aab rahe
hussain apne iraadon me kaameyaab rahe
sadaa e tishna labaan la illa ha illallah

jahaan hussain wahaan la illa ha illallah
khateebe noke sina la illa ha illallah

magar namaaz se putcho ke karbala kya hai
hussain aur tera rishta e wafa kya hai
kaha namaaz ne sunlo meri baqaa kya hai
bas ek sajda e shabbir ke siwa kya hai
hussain hi ka gharaana bacha gaya mujhko
wo khud ujarh gaya lekin sajaa gaya mujhko
mayaane karbobala aah maine kya dekha
ghera la’eenon me kunba rasul ka dekha
butul zaadon ko be aab o be ghazaa dekha
bahaata paani udhar lashkare jafaa dekha
namaaz parhte rahe dil me isteraab na tha
guzar gaye the kayi din ke ghar me aab na tha
bataawun kaise ke daswi ko maine kya dekha
sahar huwi to shahaadat ka silsila dekha
kisi ka sina to zakhmi koyi gala dekha
labe faraat alam khun me bhara dekha
hussain laashon pe laashen yuhi uthaate rahe
aur apni raahe shahaadat ki samt jaate rahe
kamar ruku’ ki tarha thi magar hussain uthe
ke ehle zulm pe laazimtha ab ke tegh chale
ghazab ki tegh chali koyi rokta kaise
imaame waqt the allah ki riza pe ruke
azaane asr suni
azaane asr suni dekha aalame baala
kaha hussain ne subhaana rabbi al aala

aayi sadaa e ghaib ibaadat ka waqt hai
ay fatema ke laal telaawat ka waqt hai
jannat me saf bandhi hai imaamat ka waqt hai
bas bas hussain bas ye ibaadat ka waqt hai
rakhli mayaan me shahe waala ne zulfeqaar
Woh gauf bandhe aaye qamadar das hazaar
Woh beshumar tego ke phal aur ek Hussain
Woh sekdo payame ajal aur ek Hussain
Dube huwe the khoon me geso Hussain ke
Teron ne chaan daale the pehloo Hussain ke
Naize kabhi naize ke pehlo pe kiya waar
Qandhe pe chale saas zara rakibe talwar
Na waqt beni kahil ka kaleja pe hiwa waar
Bazoo me dar aya sabare khuliye khukhaar
Tege ubhi huwi jo barabar se chal gayi
Gash kha gaya kalam se nakae nikal gaye
Kyu kar kaho ke ashke khuda khaaq par gira
Khyrunnisa ka maha laka khaaq par gira
Reti pe mustafa ke jigar ka lahoo gira
Sayed ki gira Imam gira ke khoon gira
Woh zulm wo raha tha ke duniya ulatti thi
Jab zere teg gardane Shabbir katti thi
Woh khuldah teg zaigamo Zehra pe chalti thi
Matam kunah namaz thi aur khoon roti thi
Jaari thi yeh sadae nabi ka nawasa hoon
Amma pilao paani main pyaasa hu...2
Ya Hussain...x4

Ajab ada se jab namazi namaz padhe kar gaya
Behan ke saamne noke sina pe chadhke gaya
Nazar main bhai ke sajdon ki aabotab jo thi
Behen sar khule makhtal me maghrebain padhi
Nazar ke saamne har mahelaqa ki laash rahi
Gham e Hussain ki barchi utha gayi Zainab
Magar namaz ki duniya basa gayi Zainab

Ya hussain , ya hussain , ya hussain , ya hussain
Haye!! Aseer qafila darbar e sham jab aaya,
Yazeed (LA) Zainab-e-Kubra (SA) se yun huwa goya
Lo aj raaz “Wa tu izzu man tasha” ka khula
Ke ba weqaar hua kon, kon hai ruswa

O! Bad kalam theher, O! Bad kalam theher, Bolen Zainab-e-Kubra (SA)
Nashay mai mast hai aayat yeh poori sab ko suna,
Wo haath khair ka hai kon mujh ko yeh to bata
Ke jis se zillat o tauqeer bant’ta hai khuda
Wo haath tu hai ke hum? Wo haath tu hai ke
Hum Ahlebait(AS) hain us kay, hum hi hai izzat o zillat k baatne wale
Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan, sar e darbar e sitam

1. Zainabi (AS) lehje me awaaz e Ali (AS) goonj uthi
Zulm or jabr ke darbar pe bijli si giri
Laeq e hamd hai jis ne hame izzat bakhshi
Surah e Rum se shehzadi ne aayat yeh padhi
Jo bure the so bura..(2) un ka hi anjaam hua
Jis ne Quran ko jhutlaya wo nakaam hua

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e Kaaba ki Qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

2. Kia kaha tu ne?..(2) ke haq se hame ruswai mili
Hum yeh kehte hai hame izzat o sachai mili
Hum ko Quran mila Rabb ki shanasayi mili
Mere pyaro ko sina par bhi pazirayi mili
Ibn e Marjana tere..(2) jubba o dastar talak
Karbala aagayi ab sham ke darbar talak

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

3. Aye mere bhai ke qatil hawas e zarr ke ghulaam
Imtehan yeh bhi hai mai aur karun tujh se kalaam
Yun mukhatib hu ke  dil mai hai mere gham ki husaam
Mujh ko dena hai Hussain ibn e Ali (AS) ka payghaam
Kar kay tazheek e Nabi (SAWW)..(2) tujh ko maza aata hai
Inteqam e ohad o badr pe itrataa hai

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

4. Aye Yazeed e sitmai! Jaag bohat shaad hai tu
Qaid karke hame samjha hai ke azaad hai tu
Yeh teri khaam khayali hai ke abaad hai tu
Nasl dar nasl sada ke liye barbaad hai tu
Faisla Rab ka hai..(2), mohlat hai sambhal jaane ki
Dheel dee jati hai zalim ko sambhal jaane ki

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

5. Aaj kis zom mai ashraf ka khoon peeta hai
Kaat kay baagh e Risalat ko tu khush hota hai
Cheekhta phirta hai tu badr ka yeh badla hai
Mujh ko hairat nahi hinda hi ka tu beta hai
Hoga maloom shaqawat..(2), ka nateeja us din
Badla yeh kya hai, liya jayega badla us din

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

6. Kardiya qatl hamein tu ne ghalat socha hai
Gosht apna hi chabaya hai badan nocha hai
Kya khabar tujh ko ke hum logo ka rutba kya hai
Aal e Imran mai Allah ka yeh waada hai
Shohada surat e Quran, sada zinda hain
Wo to wo un ke muhibban sadaa zinda hin

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

7. Haye! Mehwe hairat hun jinhe Rab ne sar afraaz kiya
Ilm e Quran diya or yad e kal khair kaha
Ah! Un Bagh e Risalat ke gulo'n ko masla
Aasteeno se tumhari hai lahoo un ka baha
Pak o pakeeza banaye..(2), the jo khud rabb ne badan
Aaj sehra mai pade hain wohi be gor o kafan

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

8. Aazma le sitami jaag sitam ke har be
Dekh baqi tere dil mai koi hasrat na rahe
Reh gaya ho jo sitam koi to wo bhi karle
Jeet kar har gaye teri hukumat hum se
Fikr e Shabbir (AS) to phaylay..(2) gi, Muhammad (SAWW) ki qasam
Yeh tere bus me nahi malik o mukhtar hain hum

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

9. Hafiz e Nahj e Balagha ka tha wo rob o jalaal
Maut ki khamoshi jesa hua darbar ka haal
Jag utheen bibiyan jo gham se musalsal thi nidhaal
Bhare darbaar se mazloom khateeba ka sawal
Kalema jis ka padha..(2), us ka jigar kaat liya
Apne Mohsin he ke nawaase he ka sar kaat liya

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

10. Tum the nau laakh darinde wo bahattar (72) insaan
Un bahattar me bhi Asghar (AS) sa tha ek tishna dahan
Aisa masoom qasam khata hai jin ki Qur’an
Haye un pyaaso ke hulqoom pe khanjar tha rawan
Tum yeh kehte ho paye..(2) jung Hussain (AS) aaya tha
Betiyo behno ko phir saath me kyun laya tha?

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

11. Aye Yazeed(LA)! Aj na kyun tujh pe falak toot pade
Tu ne wo zulm kiye jis se Muhammad (SAWW) roye
Haye namoos e Nabi (SAWW) kucha o bazaar phire
Dar o deewar saje kothon se patthar barse
Shamiyo hum pe naya..(2), ab yeh ghazab karte ho
Choti Zehra (SA) ko kaneezi mai talab karte ho?

Yad e kal khair bhi hum, Rabb e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

12. Khatm taqreer hui..(2), mehshar e khamosh utha
Ya Ali (AS)! Aap ki beti ka ajab khutba tha
Murda darbaar pe chahi thi khateeba ki sada
Bich gayi Sarwar o Rehan wahan farsh e Aza
Bhai kay sir pe nazar..(2), Zainab e Kubra (SA) ki padhi
Jhuk gayi Bali Sakina (SA) pe Ali (AS) ki beti

zinda rahe - 3
ay azaadaare hussaini ye chalan zinda rahe
haan azaakhaane sajaane ki lagan zinda rahe - 2

jab azaakhaana saje to dil bane farshe azaa
dharhkanon me maatame shaahe zamaan zinda rahe

nohakhwaan maatam ke saaye me safar karte rahen
har bayaaze gham khule har anjuman zinda rahe

roze aashura juluse gham ko kya raahat se kaam
yaad me pyaase aseeron ki thakan zinda rahe

ay azaadaaro chalo mashk o alam ke saaye me
ye tajammul ye hasham ye baakpan zinda rahe

jis jagaah thi maut aasaan zindagi dushwaar thi
haa wahaan zehra ke saare gulbadan zinda rahe

sab azaakhaane hamaare sab hi apni majlisein
ay dua e sayyada ye apna pan zinda rahe

chote chote se alam bachhon ke haathon me rahe
dil me taabute sakina ki chubhan zinda rahe

kar rahe hain ye dua zere alam sarwar hilaal
ay khuda ye gham ba faize panjetan zinda rahe

zinda rahe - 3
ay azaadaare hussaini ye chalan zinda rahe
haan azaakhaane sajaane ki lagan zinda rahe - 2

jab azaakhaana saje to dil bane farshe azaa
dharhkanon me maatame shaahe zamaan zinda rahe

nohakhwaan maatam ke saaye me safar karte rahen
har bayaaze gham khule har anjuman zinda rahe

roze aashura juluse gham ko kya raahat se kaam
yaad me pyaase aseeron ki thakan zinda rahe

ay azaadaaro chalo mashk o alam ke saaye me
ye tajammul ye hasham ye baakpan zinda rahe

jis jagaah thi maut aasaan zindagi dushwaar thi
haa wahaan zehra ke saare gulbadan zinda rahe

sab azaakhaane hamaare sab hi apni majlisein
ay dua e sayyada ye apna pan zinda rahe

chote chote se alam bachhon ke haathon me rahe
dil me taabute sakina ki chubhan zinda rahe

kar rahe hain ye dua zere alam sarwar hilaal
ay khuda ye gham ba faize panjetan zinda rahe

No comments:

Post a Comment