Abbas bulaata hai
(Dargaahe alamdaar) x5
(Ya babe hawaaij meri tawkeer barha de, Abbas kate haathon se taqdeer bana de) x2
- Zehra se wafadari dunya ko sikhata he
(Parcham ka parehra ye) x2 lehra ke bata he
(Abbas bulata hai) x3
(Parcham ka parehra ye) x2 lehra ke bata he
(Abbas bulata hai) x3
- Dargaahe abulfazlil abbas ke saaye mein
Tafreeq nahin koi apne mein paraye mein
(Jo bhi yahaan aata he) x2 khali nahin jaata he
(Abbas bulata hai) x5
- Be aas marizon ko dunya ke ghareebon ko
Miskinon ko yateemon ko roti huwe aankhon ko
(Har tute huwe dil ki) x2 ye aas bandha ta he
(Abbas bulata hai) x5
- Haidar ke malangon ki is dar pe qataarein hein
Huron ke farishton ki (is dar pe qataarein hein) x2
(Jis jis ka bulawa he) x2 dora chala ata he
(Abbas bulata hai) x5
- Who maula qadam ho ya shahbaaz ki nagri ho
Matam jahaan hota ho majlis jahan hoti ho
(Dene ke liye pursa) x2 zahra ko jo aata he
(Abbas bulata hai) x5
- Mashhad ho najaf ho ya makka ho baqiyya ho
Who karbobala ho ya shahzaadi ka roza ho
(Dunya ka koi zaair) x2 jab bhi yahaan aata he
(Abbas bulata hai) x5
- Bechain he ghabrake khaime mein tehelta he
Kya jurm kiya aisa kyun haathon ko malta he
(Ay hur teri kismat ka) x2 taara ye bata ta he
(Abbas bulata hai) x5
- Girte huwe parcham ko dekha shahe wala ne
Zainab se kaha ro kar abbas ke maula ne
(Hum jaate hein darya par) x2 dil doobta jaata he
(Abbas bulata hai) x5
- Tum sogaye darya par dekho to zara uth kar
Shabbir ko ghere hein no lakh ka ye lashkar
(Jab teer koi dil par) x2 aaqa ke rakha ta he
(Abbas bulata hai) x5
- "Rehan" ki "sarwar" ki maula se wafaaein hein
Abbas ke roze pe nawha liye aaye hein
(Shahzaadi sakina ka) x2 nawha jo sunata he
(Abbas bulata hai) x5
Bas ya hussain
(Hussain ya hussain) x3
Ay hur kise mili ye shahadat ki zebo zain, baadi pe tere aayi he khud maadare hussain, is martabe ke baad sab kuch to milgaya, ay hur hussain milgaye, rab tujhko milgaya
- (Kuchh nahin mila) x2 use tu nahin mila jise
(Tu jisko milgaya rab usko milgaya) x3
(Bas ya Hussain) x4
- Ye bas hussain ki ata (ye bas hussain ka jigar) x2
Jo kehdiya who motabar (jo dediya to sara ghar) x2
Karam hussain ka karam kisi pe hogaya agar
Mile kisi ko bale par kisi ko milgaye pisar
(Hur banadiya) x2 use jo ek baar milgaya
Tu jisko milgaya rab usko milgaya
(Bas ya Hussain) x4
- (Wa tu izzu man tasha wa tuzzilu man tasha) x2
Adam ki puri nasl pe ehsan kon tha
Jis par khuda ko naaz who insane kon tha
Kunbe ke saath deen pe qurban kon tha
Noke sina pe qariye quran kon tha
Ay karbala bata tera mehman kon tha
(Bas ya Hussain) x4
- (Bas hussain ka) x2 jise ye ikhtiyaar milgaya
Ye ikhtiyaar kitna waseelo buland he
Sara jahaan Hussain ki mutthi mein band he
Badla he karbala mein taqazae inqilab
Neze pe ab jo sar he wohi sar buland he
Ewane imbisaat mein jannat na kar talab
Ye who ghame hussain ke aansu mein band he
(Bas ya Hussain) x2
Tu jisko milgaya rab usko milgaya
- Dastaan Hussain ki samajh mein aagayi agar
To hur ki rehguzaar par karega ishq ka safar
Tarap tarap uthega tu kahega raat raat bhar
Hussain bas hussain he sina pe ya zameen par
(Shahe Karbala) x2 se jis ke bal ka taar mitgaya
(Tu jisko milgaya rab usko milgaya) x2
- Ik do pahar mein jisne bhara ghar luta diya
Nagaah khuda he jispe who sajda ada kiya
Apne lahu se khaak ko khaake shifa kiya
Ashur ek roz tha sadiyon pe chha gaya
Karbobala ko arshe muwalla bana diya
(Bas ya Hussain) x4
(Salam ya Hussain) x2 rab ka itebaar milgaya
Tu jisko milgaya rab usko milgaya
- Jab ran mein zulfiqar e ali nadahaan chali
Bhich bhich gayin safon pe safeen who jahaan chali
Chamki to is tarah udhar ayi wahaan chali
Dene ko daad arsh se pyaase ki maa chali
Muddat ka taal mel tha barson ka saath tha
Jaisi who zulfiqar thi waisa hi haath tha
Khaak aagayi safon ko jidhar aayi zulfiqar
Geh chupgayi to gaah nazar aayi zulfiqar
Sar par chamak ke taba qamar aayi zulfiqar
Zi kat kar zameen pe utar aayi zulfiqar
Phir to ye ghul huwa ke duhaayi hussain ki
Allah ka ghazab he laraayi hussain ki
(Hussain ya hussain) x4
Ayi nidae ghaib ke shabbir marhaba
Is khaak ke liye thi ye shamsheer marhaba
Ye aab ru ye jang ye tauqeer marhaba
Bas bas hussain bas mere dilgeer marhaba
Waqte namaaze asr he takbeer marhaba
(Bas ya Hussain) x4
Labbaik keh ke tegh rakhi sheh ne myaan mein
Palti sipaah aayi qayamat jahaan mein
Lo khanjaron mein teghon mein bhagon mein ghir gaye
Tanha Hussain barchiyon waalon mein ghir gaye
(Hussain ya hussain) x4
- "Rehan-o-sarware" hazeen suno ye aisa raaz he
Hussain keh rahe the bas khuda pe mujhko naaz he
Na bhai na pisar raha na koi chara saath he
Azaan he Hussain he khudaaye beniyaz he
Na seen na zameen par ye aakhri namaaz he
(Hussain ya hussain) x4
- Jiske dil mein Hussain rehta he
Farsh majlis ka jo bichhata he
Jo bhi nawha kahin sunata he
Leke name Hussain rota he
(Usko zehra salam karti he) x6
(Hussain ya Hussain) x4
Haan ye hai shehr-e-shaam
(Haan ye he shehre shaam) x3
Haan ye he shehre shaam, choti shehzaadi ka he yahin par qayam, aaj roze pe he roshni subho shaam, Pursa daaron ka he maatmi azhdahan, phat raha he jigar sochta hun agar, kaisa tareeq tha, kaisa weeran tha, kaisa weeran tha kal ye zindaan tha, (bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
- Itni wehshat ke ik pal na guzre jahaan
Chheekti ho jahaan sirf tanhaiyan
Rona kya siskiyon par bhi pabandiyan
Rassiyon beriyon tauq ke darmiyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
- Sar khule khaak par ghamzada bibiyan
Usmein qasim ki akbar ki asghar ki maan
Maang ujri huwi khali thi godiyan
Sab ki himmat bandhati thi Zainab jahaan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
- Haan isi shaam ke beech bazaar mein
Bibiyan patharon ki thi bochhar mein
Khun mein dubi Muhammad ki thi betiyan
Har taraf shaam mein jashn ka tha samaan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
- Dekh kar binte zehra ka yun sar khula
Noke neza se ghazi ka sar girgaya
Haye ghazi ki ghairat ka ye imtehaan
Sar patakne lagi saari shehzadiyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
-
Ik qayamat si darbar mein aagayi
Jab sakina kaneezi mein mangi gayi
Na padar na chacha bhai bhi natawa
Tori sajjad ghaiz mein beriyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
-
Dukhtare hind boli sakina bata
Kaise daman jala kyun he kurta phataAurni tere sar ki gayi he kahan
Khainchi kis shaqi ne teri baliyaan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
-
Boli kya haal apna bataaoun tujhe
Chhor ke jabse baba gaye hein mujheMein yateem hogayi aur kya ho bayaan
Meri gardan mein bandhi gayi rassiyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
-
Aur ik roz zindan rone laga
Jab sakina ko baba ka sar milgayaBoli ab aye ho tum mere baba jaan
Itne din mujhse dur rahe ho kahaan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
-
Royi "rehan-o-sarwar" ki ankhein lahu
Rozae shahzaadi pe ki guftaguHaye is waqt hum tum khare hein jahaan
Nur hi nur he kal thi tarikiyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Qaidi bunker pabande rasan lashon say jo guzre ahle haram
Har bib apne pyaro say hoti thi vida karke maatam
Ek bibi binte Fatima binte hasan paamal badan qasim ki behan.
Kissi ek jaan say ruksat na hui-2
Tukdo mein jot ha bhai ka badan,
kahbie is tukde par hai qasim kabhie us tukde par haye qasim.
Teri band gharib nuh nai bhulna-2
Tere qatl da manzar hai qasim.
Haye haye qasim
Kabhie sehra dekh kay rooti thi khabie ghash khake girjati thi 2
Paamaal hua tha bhai jahan. 2
Us khoon pay girke hai qasim
Haye haye
Wich rasiyan day paaband hui nai behan garib da vas koi 2
Hunday hath aazad tay marjandi 2
Tera matam kar kar haye qasim
Haye haye qasim
Kis shaan say tum dulha thay bane kis shaan say thi baaraat chali.2
Baithi rahi dulhan hujre mein. 2
Aaye na palat kar haye qasim.
Haye haye qasim.
Farva nay kahan beta qasim kehdena daadi zehra say 2
Gurbat ki kamai tukdo mein 2
Dey di hai sajaa kay hai qasim
Haye haye qasim
Sanu raaz na aayi karbobala Tu banj kafan main banj rida. 2
Tere qatl dey baad laena nay 2
Meri luth gai chadar hai qasim.
Haaye haaye qasim
Har saath muharrum ko mehdi. teri yaad mein qasim uthti hai.2
Dulha dulha qasim dulha
Hota hai labon par haye qasim.
Haaye qasim
(Ya Hussain) x3
Mera nana nabi meri maa sayyada
Mera baba ali mera bhai hasan
Hum hi hein panjatan
Meri kya he khata, - 3
mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Kya mein zahra ka jaya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
1. (Mere nana ne kalma sikhaya
Aur quran tumko sunaya) x2
(Kya ma nana ka saaya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
2. (Who madina jahaan mera ghar he
Aur masjid mein us ghar ka ghar he) x2
(Kya mein us ghar mein khela nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
3. (Chakkiya pees kar maan ne paala
Mujhko nana ne jhula jhulaya) x2
(Apna bachpan mein bhula nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
4. (Kamli wale ke lab chumta tha
Kitna pyara mera bachpana tha) x2
(Kya mein unka dulhara nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
5. (Mein jo paani kabhi maangta tha
Kyun tarapti thi maa ab mein samjha) x2
(Paas asghar ke jaata nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
6. (Mein jo chahun baras jaaein badal
Khun mein duba nazar aaye maqtal) x2
(Jang karne mein aya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
7. (Ik sada thi ye "rehaan-o-sarwar"
Kehrahe the Hussain ibne haider) x2
(Kya mein mehman aaya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Kya mein zahra ka jaya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Saarbaan saarbaan
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x3
- Waapis madine agaya lo karwaan ujra huwa
Ujri thi saari bibiyan, sajjad ka nawha ye tha
(Roenge tauqo beriyan) x3
Who shaam aur mein alamaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- Logo madina lutgaya
Koi nahin mere siva
(Daghon se he sina bhara) x2
Tanha karun kya kya bayaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- Hajat talaq who mehrebaan
Abbas who meere karwaan
(Mara gaya kya nagahaan) x2
Akhir liye unka nishaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- Kitna kathan tha who safar
Nezon pe the pyaron ke sar
(Uthti na thi meri nazar) x2
Beparda behne aur maa
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- Gham tha qayamat se bara
Charo taraf the ashkiya
(Naamus meri berida) x2
Rota tha sun sun kar azaa
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- Kya ronake bazaar thi
Patthar ki bhi bochhar thi
(Aur who hasi kuffar ki) x2
Khamosh thi meri zabaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- Us shaam ke bazaar ne
Who gham diye darbaar ne
(Jab mein laga lalkaarne) x2
Dene lage zaalim azaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- Hajat talaq who mehrebaan
Abbas who meere karwaan
(Mara gaya kya nagahaan) x2
Akhir liye unka nishaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- Logo madina lutgaya
Koi nahin mere siva
(Daghon se he sina bhara) x2
Tanha karun kya kya bayaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
- "Rehan-o-sarwar" umr bhar
Aankhein rahengi nawha gar
(Jis waqt farshe dard par) x2
Nawhe mein hogaya ye bayaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Ye maa(n) kaha na
Yasrib mein aayi khaab mein zainab ke yun butool
Maatha bhara tha khun mein sar par rida na thi
Zainab ne puchha kiske lahu se jabeen hein laash
Amma tum par to aafatein safare karbala na thi
Ro kar kaha butool ne tum yaad to karo
Tum apni yaad ko zara abaad to karo
Kis waqt kis jagah mein shareeke aza na thi
Ye maa kahaan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Royi tumhare saath bahattar ki laash par
Akbar ki lash par ali asghar ki lash par
Zainab mein kis shaheed ki sahib aza na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Jhara tha kisne balon se sehrae karbala
Kisne bichhaya aake musallae karbala
Haye haye me karbala mein shabe qatl kya na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Rakhte qauhan hussain ne manga tha jis ghari
Khaime mein bibi tum ko ghash aya tha jis ghari
Khaime ke peechhe rone ki meri sada na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Rukhsat ko aya khaime mein jab ibne bu turab
Thami thi tumne jis ghari mazloom ki rakaab
Kyaa sath sath ghore ke mein nnd paa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Jab tum giri thi bhai ke laashe pe unt se
Naaqe pe tum sawaar thi bazu rasan mein the
Kya baal khole laashe pe khairun nisa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Yasrab se taaba maariya aur wahan se taba sham
Hamraah thi qadam ba qadam saath gaam gaam
Zainab kahi hussain se zehra juda na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Zainab ye arz ki ke baja kehti he janaab
Mein sunrahi hun jo ba khuda kehti hein janaab
Ay waalida mujhe khabare dasto pa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Imsaal bhi najaf ka irada tha ay "dabeer"
Aur karbala bhi jaaoun ye socha tha ay "dabeer"
Par rehgaye tarap ke ke kismat rasa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
Ye maa(n) kaha na
Yasrib mein aayi khaab mein zainab ke yun butool
Maatha bhara tha khun mein sar par rida na thi
Zainab ne puchha kiske lahu se jabeen hein laash
Amma tum par to aafatein safare karbala na thi
Ro kar kaha butool ne tum yaad to karo
Tum apni yaad ko zara abaad to karo
Kis waqt kis jagah mein shareeke aza na thi
Ye maa kahaan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Royi tumhare saath bahattar ki laash par
Akbar ki lash par ali asghar ki lash par
Zainab mein kis shaheed ki sahib aza na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Jhara tha kisne balon se sehrae karbala
Kisne bichhaya aake musallae karbala
Haye haye me karbala mein shabe qatl kya na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Rakhte qauhan hussain ne manga tha jis ghari
Khaime mein bibi tum ko ghash aya tha jis ghari
Khaime ke peechhe rone ki meri sada na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Rukhsat ko aya khaime mein jab ibne bu turab
Thami thi tumne jis ghari mazloom ki rakaab
Kyaa sath sath ghore ke mein nnd paa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Jab tum giri thi bhai ke laashe pe unt se
Naaqe pe tum sawaar thi bazu rasan mein the
Kya baal khole laashe pe khairun nisa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Yasrab se taaba maariya aur wahan se taba sham
Hamraah thi qadam ba qadam saath gaam gaam
Zainab kahi hussain se zehra juda na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Zainab ye arz ki ke baja kehti he janaab
Mein sunrahi hun jo ba khuda kehti hein janaab
Ay waalida mujhe khabare dasto pa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
- Imsaal bhi najaf ka irada tha ay "dabeer"
Aur karbala bhi jaaoun ye socha tha ay "dabeer"
Par rehgaye tarap ke ke kismat rasa na thi
Ye maa kahan na thi
Zainab safar mein saath tere maa kaha na thi
Ye maa kahan na thi
No comments:
Post a Comment