Abbas meer-e-karwan
(Kaarwaan) x6
Yasrab se suwe karbala
ik karwaan rukhsat huwa
Sar pe alam saaya fighan
Ghazi ki aati hai sada
Pehla safar zainab ka hai
Sunsaan kardo raasta
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
- Kya shaan he kya dab daba
Kya log hein quraanuma
Salle ala sale ala ayaat ka he qaafla
Mashko alam inka nishaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
- Allah ke pyaare hein ye
Aale nabi saare hein ye
Quran ke pare hein ye
Kaunain ke tare hein ye
Zere qadam he asmaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
- Koi shabih-e-Mustafa
Koi hasan ka dilruba
Hai koi aks-e-sayyeda
Shabbir ka ye qaafila
Thaame alam jo hai jawaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
- Yasrib se taba karbala
Har din tawaafe kaafila
Abbas karta hi raha
Parde ka zimmedaar tha
Yun mutmain thi bibiyaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
- Abbas woh kirdaar he
Baade ali salaar hai
Aysa alam bardaar hai
Maydan mein be talwar he
Phir bhi alam ka paasbaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
- Lo agaya uska alam
Ghazi jise kehte hein hum
Kehte chalo ye dambadam
Abbas meer-e-lashkaram
Babul hawaaij mehrabaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
- Jab shaam pohoncha qafla
Khutba ye zainab ne diya
Sunle ye qaum-e-ashkiya
Hum hein bina-e-lailaah
Kashti he dee(n) hum baadbaa(n)
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
- Tha hashr mein mola ali
Ye "sarwar-o-rehan" bhi
Nazre karam se aapki
Rakhte hein ummeed-e-qawi
Nawhon se denge ye bayaan
Abbas meere karwaan
[(Kaarewaan) x2 Abbas meer-e-karwaan] x2
Behti rahi furaat
(Aay shaam-e-ghariba) x5
(Behti rehi furat) x4
- Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil
Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye
(Behti rahi furat) x2
- Karbala ke dasht me jaisaa andhera cha gaya
Aa gaye sham-e-gharibaa surkh hai khak-e-shifaa
Jhal gaye khaim-e-sar-e-shamm-e-Alamin
Kitne manzar khaakh ho ker reh gaye
(Behti rahi furat) x2
- Dhal gaya dil shaam aayi shaam phir aisi ke baad
do paher ke baad chayi aisi tanhayi ki baad
Kis terhaa zehra kaa ghar lutaa gaya
Kis terha be sar bahater ho gaye
(Behti rahi furat) x2
- Aaj subhe tak ye ghar roshan bhi tha abaad bhi
sab ke waris the salamaat bhayi bhi awlaad bhi
ik hawaa asi chali perdes me
be zabaan bache bhi be sar ho gaye
(Behti rahi furat) x2
- Ye hai woh sham-e-gharibaa jo kayamaat bangayi
dukhtar-e-zehra ke sar se jisne chadare chin li
ya rasulallah kayamat ho gayi
dakhile khayma sitamgar hogaye
(Behti rahi furat) x2
- Aik ik katre ko tarse ban me ab faal-e-hussain
mashk zakhmi khali quze laash pamaal-e-hussain
reh gayaa maidaan me be kas kaa tan
jashan me masroof lashkar hogaye
(Behti rahi furat) x2
- Marte dam pani pisar mange padar majboor hai
tu bataa sham-e-ghariba al qamaa kiya door hai
waye nehre al qamaa behti rahi
aur pyaase qatl akber hogaye
(Behti rahi furat) x2
- Hai wohi manzar wohi khaimay wohi tishna labi
aaye hai sham-e-gharibaa khu(n) rulaane aaj bhi
gham hame "rehan -o-sarwar" kyu na ho
mahve mataam jab payambar hogaye
(Behti rahi furat) x2
- Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil
Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye
(Behti rahi furat) x2
Mei nok-e-sina
Jab Khatima ba qaid huwa foje shah ka
Kausar pe qaafila gaya pyaasi sipaah ka
Ghar luta gaya janaab-e-risaalat panaah ka
Khaak urh rahi thi haal ka ye baargaah ka
Haaye maqtal mein aayi Fatima Zehra barehna sar
Chillayi Zere tegh hai baba mera jigar
Areh unnis saw hein zakhm tan-e-Chak chak par
Areh Zainab nikal Hussain tarapta hai khaak par
Haayi Pohonchi behan jo bhai ke maqtal mein nawhaghar
Dekha sar-e-hussain he neze ki nok par
Are Sadqe gayi luta gaye ghar wadagah mein
Haaye junbish labon ko he abhi zikre Ilaah mein
(Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura) x2 Mein noke sina par hun
Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- (Nana dekho nawaasa kahaan aagaya) x2
Meine karbobala ko mu'allah kiya
Khoon mera aaj khaak-e-shifa ban gaya
Meine bachpan ka waada wafa kardiya
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Mera ghar mere bachhe meri zindagi
aap ke deen pe sab meine qurbaan ki
Mere maathe pe woh tha do ab aakhri
Bar sare noke neza sawaari chali
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Deeno qura(n) bache tera kaaba bacha
Ta qayamat rahegi azaan ki sada
Madressa bangayi aaj se karbala
Haaye nana magar mera ghar na raha
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Chakkiyan peesne waali maa ki qasam
Meri aaghosh mein tora akbar ne dam
Kaise laashe jawaan laaya suwe haram
Apne wade pe kehta raha gham pe gham
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Kitne laashe uthaaye hein ik roz mein
Kitne aansun bahaaye hein ik roz mein
Sekro(n) teer khaaye hein ik roz mein
Saare wade nibhaaye hein ik roz mein
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Bhai bat-tees barson se jo saath tha
Meine waada nibhaane mein woh khodiya
Khaagayi uske shaano(n) ko ye alqama
Woh gaya aur darde kamar degaya
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Mere nana ye dulha ye kamsin jawaan
Aise ronda gaya dasht mein al amaan
Apne bete ko pehchan paayi na maan
Uski dulhan ne khud tordi churiyaan
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Haan woh Asghar jo Sughra ki thi zindagi
Jis ki khaatir woh bimaar bachhi meri
Chhote chhote se kurte jo seeti rahi
Uska khun apne chehre pe malke abhi
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Mere nana Sakina ka gham dekhiye
Umr itni si itne sitam dekhiye
Jalti reti pe uske qadam dekhiye
Kitne majboor hein aaj hum dekhiye
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa pura
- Shaam "Rehan-o-Sarwar" jo dhalne lagi
Sar se Shabbir ke ye saada aati thi
Ay behen ab yahaan se qayaadat teri
Mere wade ki khaatir zuroori huwi
Mera waada huwa pura
Mein noke sina par hun, Mera waada huwa pura nana, Mera waada huwa puri
Mei noke sina par hun
Meri Sakina
(Aakhri Salaam) x4
(Meri Sakina is terhaa naa rona) x2.
- (Tum jawo kaha(n) Allah Jane maqtal me rahe kis haal mei hum) x2
(Aab khwab mei baba aayenge) x2 chahe shaam Kaa wo zindan howe
(Meri Sakina is terhaa naa rona) x2
Naa meri bachi naa is naa (is terhaa naa ronaa) x2
- Hum jaate hay milne baba se ab lot ke hum ko aanaa nahi
Kuch der lipat jaa sine se phir baap ka sinaa milnaa nahi
(sojanaa jahaan phuphiyaa(n) kehde) x2
chahe shaam kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
- Jaane de muje maidaa(n) ki taraf denaa ye tuje kurbani hai
rahwaar ke mere pawo(n) na per meri bachi tu sayyedani hai
(Jinaa hai tuje Zehra ki terhaa) x2
chahe shaam Kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
- (Aa ponch le ansoo ankho se tu dekle chehraa baba ka) x2
kal ho saktaa hai aa naa sake pehchan me chehraa baba kaa
(hum saath teraa naa chorenge) x2
chahe shaam Kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
- Abbas kaa dil Akber ki behan jis waqt bandhe gardan me rasan
tum baba baba mat kehnaa tarpenga mera be gor badan
(Asger ki terhaa se chup rehnaa) x2
chahe shaam Kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
- (Dekhaa "Rehan-o-Sarwar" ne khud shaam me jaaker ye manzar) x2
sailaab hai pursadaro kaa masroof-e-fugaa taa hadtay nazar hai
(nara ilaakaa Bibi kaa) x2 chahe shaam Kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
(Akhri Salaam)X2
Pyaare nabi ki
(Shaam ko qaidi ban ke chali hai) x3
Pyaare nabi ki pyaari nawaasi
Shaam ko qaidi ban ke chali he
Sabr ki malka zehra ki pyaari
Shaam ko qaidi ban ke chali he
(Pyaare nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai) x2
- (Dekh rahi he koi to aaye, shaana pakar kar kaash bithaaye) x2
Na he sawaari na he amaari, Shaam ko qaidi ban ke chali he
(Pyaare nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai) x2
- (Bhaai bhateeje bhaanje bete, Saath watan se aayi thi lekar) x2
Haaye muqaddar aaj akeli, Shaam ko qaidi ban ke chali he
(Pyaare nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai) x2
- (Beton ko sadqa bhaai pe karke, jisne kiye the shukr ke sajda) x2
Chhor ke tanha laash ko uski, Shaam ko qaidi ban ke chali he
(Pyaare nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai) x2
- (Jiski kaneezein nikle na baahar, balwe mein laaye usko sitamgar) x2
Haaye ye ghurbat binte ali ki, Shaam ko qaidi ban ke chali he
(Pyaare nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai) x2
- (Kitne hi qaidi jitney churaye, aaj woh bibi sar ko jhukaaye) x2
Eik rida ki ban ke sawali, Shaam ko qaidi ban ke chali he
(Pyaare nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai) x2
- (Socho woh manzar "sarwar-o-rehan", bhaai ho jiska waarise quran) x2
Kaise woh bibi ashk bahaati, Shaam ko qaidi ban ke chali he
(Pyaare nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai) x2
Qayd khaane mei
(Haay Saadat aur zindan) x2
(Haaye sadaat haaye zindaan) x2
(Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai) x2
- Dukhtare Fatema ghairat se mui jaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Aasman door zameen sakht kidhar jaaoun mein
Yahi behtar he ke dunya se guzar jaaoun mein
Bibiyon milke duaa maango ke marjaaun mein
Maut aati hi nahin jaan khichi jaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Amaad-e-hind ka ghul itrat-e-shabbir mein he
Shor-e-matam haram-e-saahib-e-tathir mein hein
Kehti he jaaoun kahan paaon to zanjeer mein he
Paaon uthta he to zanjir lipat jaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Aa idhar bibi Sakina se ye Zainab ka bayaan
Hind darbar se jab aayegi su-e-zindaan
Sabr tum ko he dikhana na uthe shoro fughaan
Haaye ye din bhi aseeri tumhe dikhlaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Dare zindaan pe huwa itne mein ambohe kamaal
Jaane haatim ka he zindaa(n) mein nuzoolo ijlaal
Qaidiyon uth ke dua deke karo istikbaal
Zawja-e-haakime doraan he jo ye aati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Hind ne dekhke raandon ki taraf di ye sada
Kiska yusuf he ye zindaan mein giraftaare bala
Bibiyaan kiski hai rakhti jo nahin sar pe rida
Un ke chehron se to kuchh aur jhalak aati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Dekhti kya he ke ik sher he aahan mein niha
Laagharo khastatanon faaqakasho Tashnadahaan
Naa to chalne ki taqat he na koi rishtae jaan
Ghustakhaanon se larazne ki sada aati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Aayi nazdeek jo Sajjad ke Hind-e-dilgeer
Boli woh konsi isyan ki mili ye tazeer
Bole dasween ki muharram ki joh pehni zanjeer
Aaj taqdeer bhi qaidi humein kehlati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Hind ne puchha maraz kya he kaha bepadari
Ghar jo daryaft kiya kehne lage darbadari
Boli leta he khabar kon kaha bekhabari
Jo khabargeer the unko to lahed bhaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Baba sahib ke gale par jo na khanjar phirta
Inke sar khulte na mein kaanton pe dar dar phirta
Aur madine ki taraf sab ko mein le kar phirta
Yaad hazrat mei watan ki humein tarpaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Hind ne naam madine ka jo abid se suna
Khaak par beth gayi haal ye taaqeer huwa
Boli kya zainab-o-kulsum se nisbat he bhala
Aise chehron se to khushbu-e-wafaa aati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Boli Zainab ke na le Zainab-o-Kulthum ke naam
Woh nabi zaadiyan he qaid mein unka kya kaam
Hind boli inhi baton mein hein sab un ka kalaam
Kyun meri ruh tumhe dekh ke ghabraati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Jo bhi surat he woh maasum nazar aati he
Qudrate khaaliq-e-qayyum nazar aati he
Koi Zainab koi Kulsum nazar aati he
Un se taqdeer ye kis haal mein milwaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Gird aabid ke phiri phir woh ba haal-e-tagheer
Bole woh kon ye chillai kaneez-e-Shabbir
Assalaam ay rasan-o-tauq-o-salaasil ke aseer
Nawha karti huwi qadmon mein giri jaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
- Bas "Dabeer" ab gham-e-shabbir se larzaa he jigar
Hind bhi mehw-e-azaa aaj huwi nang-e-sar
Qaidkhaane mein huwa sina zani se mehshar
Yehi majlis he jo khud marsiya kehlaati he
Haaye sadaat aur zindaan
Wa hussaina!!!
Zindaa'n se madine aakar bhi sajjad lahu rote hi rahe
maa asghar ki suraj ke tale baithi rahi kitne din guzre
Mukhtaar ne ek din di ye khabar, ye kehdo madar e asghar se
maara gaya qatil asghar ka, ab dhup se shehzadi uthiye
sajjad ne aakar maa se kaha, aye amma ab baitho na yaha
ab thanda paani pilo maa, ab saaye me aao amma
sajjad, sajjad, sajjad
tu khoo'n rona jo chod de..(2)
mai saaye mein aajaungi
sajjad, sajjad, sajjad
tu rat rona je chad de we, mai bhi tupnu chad jawangi
1. Sajjad zara insaaf te kar, aye hukm na de israar na kar
eho soch ke hai fatwenda jigar, menda ujad gaya hai wasda ghar
nit rowangi hud tup wich mai..(2), wich tupte ee marjawangi
sajjad, sajjad, sajjad
2. Mai takya e begoro kafan, tup wich baba mazloom tera
nai tup jo uth sakdi bachda, tup band gayi ye maqsoom mera
hid jad tak saawich samere..(2), wich tupte sog manawangi
sajjad, sajjad, sajjad
3. Maara gaya qatil asghar ka, asghar to nahi milne wala
wo zakhmi gala jalta jhula, nasoor hai mere seene ka
tu dil ko pakadna chod de..(2), mai saaye mein aajaungi
sajjad, sajjad, sajjad
4. Jo laashe husain te kita mai, wo waada tod nibhana hai
majboor na kar meku puttar meda, meku saaya raas na aanaye
muk jaane o do saamere..(2), jado chawe puttar me jawangi
sajjad, sajjad, sajjad
5. Haiwa ko bhi zibha hote hue, tu dekh nahi sakta beta
kazzab zabeeho par apne, tujhe dekhke daalte hai parda
ghash kha kar girna chod de..(2), mai saaye mein aajaungi
sajjad, sajjad, sajjad
6. Nai tup jo uthi jekar mai, tera vi rona nai mukya
aji tay puttar sajjad tera, ankhiyada pani nai sukya
tere wag de athru je thal gae, mai vicha mein wejawangi
sajjad, sajjad, sajjad
7. Mere waali tum shahid rehna, mazboot abhi tak waada hai
saaye ki taraf jo leke chala, sajjad wo mera laasha hai
zainab mera shana chod de..(2), mai saaye mein aajaungi
sajjad, sajjad, sajjad
8. Kar dafn rabab ku saina khe, oda pallu me ku khol wakha
sajjad ne khol ke jad takya, gaya zainab de sang wo ghash khaa
pallu wich chola asghar da..(2), naale raakh jhule diya lawangi
sajjad, sajjad, sajjad
9. Khurshid rehan nadeem deye, nit hasrat dil wich rendiye
un pursa deiye ro roke, rayi tup wich jedi pendiye
likhiye nauhe, padhiye nauhe..(2), hai saanj jado tak sawangi
sajjad, sajjad, sajjad
Salaam ya Hussain
(Salaam Salaam Salaam Ya Hussain) x6
Yaa Khdaa Yaa khudaa surkh hai asmaan chikh ti hai fizaa
Salaam Salaam ya hussain ghayb se aa rahi hai musalsal sada
lo aftab-e-shahadat tuloob ho gaya
(Salaam Ya Hussain) x3
(Hussain Yaa Hussain) x3
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
- Bar zabano dilam (Ya hussain) x2
Marhaba mohtaram Ya Hussain Ya Hussain
(Salaam ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
- Azeem tha Azeem hai azeemtar hai Yaa Hussain
Khuda ye Paak ki nazar se teri nazar hai Ya hussain
ye dil bhi teraa Dil nahi khuda ka ghar hai ya hussain
Wahaa(n) Wahaa(n) azan hai jidher jidher hai ya hussain
Sina ki nok par azaa(n) tera jigar hai ya hussain
(Sina ki nok per buland) x3 zindagi ko ker diya Azim kaam ker diya
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
- Hussain woh jo maqtalo ko maktabo me dhaal de
Hussain woh jo mushkilo se dee(n) ko nikaal le
khudaa agar talab kare Hussain apne shaal de
Hussain jo talab kare woh rab-e-zuljalaal de
Ya Hussain Ya Hussain
Hussain woh sakhi hai jo gala besawaal de Ya Hussain Ya Hussain
(Kamaal yeh hai khud khudaa) x3 kahe kamaal bhar diya ajeeb kaam ker diyaa
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
- Bulandiyo se puchlo sina sina Hussain Hai
kadam kadam hussain hai nishaa(n) nishaa(n) hussain hai
dilo me Ahlebayt ke rawaa dawaa Hussain hai
Zamanaa puchta hai ye kahaa(n) kahaa(n) hussain hai
Ya hussain ya hussain
jahaa(n) jahaa(n) rasool hai wahaa(n) wahaa(n) hussain hai Ya Hussain
(Kudaa ne is shaheed ko) x3 ajeeb ye samar diyaa azeem ye kaam ker diyaa
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
(Hussain ya Hussain) x3
- Ajeeb hai ye marhalaa Ajeeb hai ye hosela
bichar gayaa hai kafele se ye ameer-e- kafelaa
ghiraa hai foj-e-shaam me akelaa ibne sayeeda
hai door khaimaa gaah se ye fatema ka ladlaa
Ya Hussain, ya Hussain
Sukoon apnaa de chukaa karaar apnaa de chukaa, ya Hussain
(Hussain ne khudaayi ko) x3 bhi be karaar ker diyaa azeem kaam ker diyaa
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
(Hussain ya Hussain) x3
- Idhar guloo-e-khusht per hussain ke churi chali
udhur gharib-e-alqamaa tarap ke rehgayaa jari
behen ko hosh na raha sakina khakh per giri
(Hussain Ya Hussain) x3
Sanaye gunj ne lagi Hussain Ya Hussain ki
Ya Hussain ya Hussain
ye khud ne apnaa sar diya khudayi cheekh ne lagi, ya Hussain
(sina se sar ke khun ne) x5 salaam-e-akhri kiyaa, Azeem kaam ker diyaa
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
(Hussain ya Hussain) x2
- Hussain badshaah per salaam her zamaan kaa
salaam ho salaam ho zamin aur asmaan ka
salaam ibne sayaada "sarwar-o-rehan" kaa
har eik rang falak likha her zabaan kaa
ya hussain ya hussain
Kalaam shah-e-karbala khuda-e-mehrebaan kaa, ya Hussain
(Khuda ka zikr do jahaa(n)) x2 me tune aam ker diyaa Ajeeb kaam ker diya
(Hussain ya Hussain) x3
Shaam ko qaidi ban kay chali hai x3
Pyaare Nabi Ki Pyaari Nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali he
Sabr ki malka zehra ki pyaari
Sham ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2
Dekh rahi he koi to aaye, shaana pakar kar kaash bithaaye x2
Na he sawaari na he amaari, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2
Bhaai bhateeje bhaanje bete, Saath watan se aayi thi lekar x2
Haaye muqaddar aaj akeli, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2
Beton ko sadqa bhaai pe karke, jisne kiye the shukr ke sajda x2
Chhor ke tanha laash ko uski, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2
Jiski kaneezein nikle na baahar, balwe mein laaye usko sitamgar x2
Haaye ye ghurbat binte ali ki, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2
Kitne hi qaidi jitney churaye, aaj woh bibi sar ko jhukaaye x2
Eik rida ki ban ke sawali, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali hai x2
Socho woh manzar Sarwar-o-Rehan, bhaai ho jiska waarise quran x2

No comments:
Post a Comment