Bujh gayi pyaas chacha laut k ghr me aao,laut k gr me aao...
Poori kar do ye dua,laut k ghr me aao..
1.Jaanti hoo ki kate aapke baazu ran mein
Aap k baad bacha kya hai mere daman mein
Kuch nahi karti gila, x2
Laut k ghar me aao..
2.Hote jaate hai bohot shaam k gehre saaye
Koi bhi ghar me nahi kaun mujhe behlaaye
Tumko deti hoon sada, x2
Laut k ghar me aao...
3.Mujhko maloom na tha door watan se aakar
Aap so jaaenge darya pe alam lehraakar
Lo chacha din bhi dhala, x2
Laut k ghar me aao..
4.Ai chacha dekhiye chinti hai phupi ki chaadar
Bhai sajjad ka khecha hai laeen ne bistar
Kya nahi tumko pata, x2
Laut k ghr me aao..
5.Maa ye kehti hai k hum qaid bhi honge ammu
Chin gayi baaliya khaaye hai tamaache ammu
Dekho daaman bhi jala, x2
Laut k ghar me aao..
6.Nanhe jhoole me kabhi godd me madar k kabhi
Dekhti hoo k mahak paaun kahi asgar ki
Saath asgar ke chacha, x2
Laut k ghar me aao..
7.Roke zainab ne kaha baali sakina meri
Be-chacha aur be-padar hona hai kismat teri
Kisko deti hai sada, x2
Laut k ghar me aao...
8.Shaam se aaj bhi zaair jo koi aata hai
Saath rehan wo paigaam yahi laata hai,
Mai hoon zindaan mein chacha, x2
Laut k ghar me aao...
aal-e-muhammad pe aafat ki ghadi hai
bhaiya teri behna sar nange khadi hai
nalao-shewan se ek hashr bapa hai
koi na waris raha khaima har ek jal gaya
chin gayi sar se rida karti thi zainab buka
uthne lage khaimo se aag ke sholay
kaise teri behna bachcho ko sambhale
ghash mein mera abid sholo may ghira hai
chin gayi sar se ...
haye ali akbar tum kyon nahi aaye
zaalimon ne aakay sab khaimay jalaye
kaun kare nusrat koi na raha hai
chin gayi sar se ...
cheen liye kaano se shimr ne gauhar
kisse kare shikwa baba na biradar
khoon sakina ke kaano se baha hai
chin gayi sar se ...
aag ne daaman ko jab uske jalaya
bali sakina ne ro-ro ke sunaya
dasht-e-bayaba hai aur karbobala hai
chin gayi sar se ...
maut ke sehra mein gham khurda hirasaa
dhoondti hai bachchi har simt pareshaa
lab pe fakhat baba baba ki sada hai
chin gayi sar se ...
makhtal mein goonji aawaz-e-bunayya
yun na karo naale-aelaiyya
door hai darya bhi aur khooni fiza hai
chin gayi sar se ...
tere chacha ko hai is waqt aziyyat
jao na dariya pe gar hai koi ulfat
mujse kaho beta jo unse gila hai
chin gayi sar se ...
teri phuphi beta sehra-e-bala may
dhoondti hai tumko woh girdo-newa may
teri judai se masroof-e-buka hai
chin gayi sar se ...
sunke anees-e-gham ye nauha iram may
hoor-o-malak naale karne lage gham may
majlis-e-sarwar may kohraam bapa hai
chin gayi sar se ...
Haay asr ka waqt hai
Shabbir ki aati hai sada
1. Chur zakhmo se badan hogaya ama mera
Apani agosh me ab mujko chupalo ama
Are dhoop hai apni aba aan ke dalo ama
(Garm reti pa me gir ta hu sambhalo ama)x2
2. Thak gayaa lash utha kar me bhare lashkar ki
Laash qasim ki me laya hu kabhi akber ki
Khud baniyi he lahad me ne ali asger
Do tasali muje sine se lagalo ama
Garm reti……………
3. Teer talwar se, khanjar se badan zakhmi hai
Khaak jalti hai to zakhmo chubhan hoti hai
Mere zakhmo se mere dil ka lahu jari hai
Apni chadar ko mere zakhm pe dalo ama
Garm reti……………..
4. Mera abbas khafa hogaya amma moojse
Wo nahi aaya utha laya tha bazu uske
Aap ek kaam kare nehre kanare jaake
Mere ruthe huwe bhayi ko manaalo ama
Garm reti…………….
5. Chakiya pisi hai godi me bithakar mujko
Jaag ti rehti thi zaanu pe sula kar mujko
Loriya detithi Jule me jula kar mujko
Ek dafa god me phir apni sulalo ama
Garm reti……………..
6. Aur kuch der ka mehmaan hu tum paas raho
Ret zakhmo me hai aachal se usey saaf karo
Aati hai rone ki aawaz sakina dekho
Jaawo tum jaake sakina ko sambhalo ama
Garm reti……………..
7. Dekh wo aag lagi shame ghariba aayi
Dekho gabra ke nikal aayi meri ma jaayi
Dekho behoosh sakina ka para hai bhayi
Jawo sajad ko sholo se nikalo ama
Garm reti……………..
8. Hai ghuzarish meri tumse abitni madar
Ama baba ki kasam dhamp lo moo par chadar
Dekh jayenga na ab tumse ye khooni manzar
Apni hota ho nighaho ko hataalo ama
Garm reti………………
Hogi jab hashr ke maidan mai majlis barpa
Farsh-e-gham shay ka bechay-engi Janab-e-Zehra Ayegi Hazarath-e-Sabbir ki REHAN Sada
Aaj ji khool ke tum ashk baha loo ama Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2)
Ghar ghar matam
(Ya hussain)
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
1. (Basti basti farya farya, tera hota rahe maula matam) x2
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
2. Tere matami ay mere maula, Dunya ke kisi kone me gayaa
(Musruf raha matam me tere) x2
deta he sukoon tera matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
3. jab dil ne kaha ayi zehra, mere gar me bahaane ashke azaa
(bas maine bichake farshe azaa) x2
kuch der kiya barpa matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
4. kal haath bandhe the zainab ke, majboor behen thi matam ke
(majlis he teri ghar ghar barpa) x2
ab karti hai sab dunya matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
5. abbas ke shane kat to gaye, Masum tere pyaase hi rahe
gazi ke liye bacho ke liye,
(gazi ke liye bacho ke liye) x2
ab karta hai darya matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
6. aashoor ko jab suraj nikla, zehra ke bhare gar ko dekha,
(par chand ne zainab ko dekha) x2
karti hai bhare gar ka matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
7. karbal se safar tha shaam ka jab, lashe pe pukari ye zainab,
(taa hashr teri mazloomi par) x2
karnaa hai mujhe bhaya matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
8. jo karbobala se sham gayi, wo binte zahra binte ali,
(sab maye behne milkar ab) x2
karti hai sadaa uska matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
9. bimar tha aur zanjeere thi, pairo ke tale jalti thi zamin,
(sajad ke gham me roro kar) x2
karta hai har ek rasta matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
10. (basti basti karya kaya) x2
tera hota rahe maula matam
(Gar gar matam, dar dar matam, tera hota rahe maula matam) x2
Haai shaam ka bazaar
(Haai Shaam ka baazaar) x4
Sajjad se rone ka sabab puch raha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Jo Shaam me guzri hai woh sab puch rahaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Woh lakho tamasai be parda fufi behne
Aise na lahu roye bimaar ki fir aakhen
Is gam ki aziyyat ne use maar diya hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Kis tarah karaar aaye bimaar ko ay logon
Sar naizon pe pairon ke aate hai nazar jisko
Yeh juror musafir ki yeh kaisi sazaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Aakhon se hai khun zaari Khar hai bimaari
Janjir hai pairon me Aur Tawk bhi hai bhaari
Jalti hai zamin saari Aur garm hawaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Zaagir nahi maangi zanjir nahi badli
Saaye me nahi baitha poshaak nahi badli
Maan behno ki khaatir woh rida maang raha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Zinda se masaaeb bhi har waqt rulaate hai
Mar jaye na Zainab ye kahi shoch rha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Jinda se rihaa hoke bhi jinda me hain Sajjad
Ek nanhi si turbat karti hai faryaad
Markar bhi rahun Qaid me kya meri khataa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Be zakhm bhi sajjad ko jine nahi deta
Zakhmon se sakina ke jo chipkaa raha kurtaa
Woh Khun bharaa kurta hi kafan Us ko banaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Baazaar me darbaar me jinda me roye
Chaalis baraz mawt ke armaan me roye
Rehan mera maula tadaptaa hi rahaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Sajjad se rone ka sabab puch rahaa hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Jo shaam me guzri thi woh sab puch raha hai
(Haai Shaam ka baazaar) x2
Hogi yeh majlis to hogi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
(Aarzu hai yeh nabi ki) x2
Ruk nahi sakti kabhi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Chawdaa sadiyaan ho gayi hai
Majlise Shabbir ko
Khun se Iikhte rahe ham
Gham ki iss tehrir ko
(Yeh sadaa hai karbalaa ki) x2
Yeh sadaa Shabbir ki Hogi yeh majlis to hogi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Tegon ke saayen me palte hai
Husaini Nawjawaan
Maut se larna sikhati hai
Hame lori me maa
(Apne khun se morte hai) x2
Har gam to teg ki
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Sunnate Zainab ye majlis
Sunnate Zainul ebaa
Shaam ke darbaar me
Majlis huwi Maatam huwa
(Ruk na paee shaam me jab) x2
Kya rukengi ab sabi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
God ka bacchaa ho koyi
yaa jawano pir ho
Dekho usko uss gadhi
Jaab maatame Shabbir ho
(Ek hai raftaar sabki) x2
Ek hai aawaaj bhi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Saw janaaze ham uthaae
Apne pyaaron ke to kya
Ruk nahi sakta Azaadari
Kaa yeh silsilaah
(Apne hi khun me naha kar) x2
Ham pukaarenge yahi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Chin bhi jaaye gar hussaini
Maaon se unke jawaan
Yaad karke zakhme akbar
Ko kahengi sab yeh maa
(Tha aliakbar sa sadqa) x2
Laal mera maatami
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Keh raha hai parchame
Abbas ka panja yehi
Hath kat jaye to matam
Ruk nahi sakta kabhi
(Sar ko takra kar karenge) x2
Aag par chal kar kabhi
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Ai azaadaro hussain
Ibne ali ke maatami
Yu guzaro tum azadari me
Apni zindagi
(Pairwi karte hi rehna) x2
Abu zaro salman ki
(Hogi yeh majlis to hogi Hogaa yeh maatam to hogaa) x2
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Kijiyee Zahur yaa Imaam
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Kijiyee Zahur yaa Imaam
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Keh rahi hai zulm-o-jabar
ki Muhib Aandhiyaan
Gir rahi hai Moaminon ke
Qalb-o-jaa(n) pe bijliyaan
Uth rahi hai dine Mustufa ki
Simt Ungliyan
Hujjat-e-Khudaa hai aap jee ko dijiye amaan
Har kadam pe ab to ek (karbalaa hai yaa Imaam) x2
(Kijiye Zahur yaa Imaam) x2
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaem...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Har baras areezay mauj ke supurd kar chuke
Zakhm-e-intezaar se jigar hamaare bhar chuke
Kitne log ji rahe hain kitne log mar chuke
Waqt ke tamaam raston se ham guzar chuke
Lab pe aap ke Zahur ki
(Dua hai yaa Imaam) x2
(Kijiyee Zahur yaa lmaam) x2
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaem...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Chawdaa so baras se zulm seh rahe hai yaa Imaam
Raaz-e- Karbalaa har ek se keh rahe hain yaa Imaam
Sheh ke gam me Ashk ab bhi beh rahe hai yaa Imaam
Zulm ke muqaable pe dat gaye hai yaa Imaam
Aap ka Jo dil ko ek
(Hauslaa hai yaa Imaam) x2
(Kijiyee Zahur yaa Imaam) x2
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Jad hai aap ke Ali Ali hai shere kibriyaa
Sirate Batul kya hai Aap kaa hai madrasa
Dars-e-Sabr Aap ne Husain hi se hai liya
Khatemaa karenge aa ke zulm-o-jabr kaa
Saath aap ke duwaaen (Sayyadaa hai yaa lmaam) x2
(Kijiyee Zahur yaa Imaam) x2
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Jis ko gaib par yakin nahi jise woh munkire Khuda hai
Jis ko gaib par yakin wohin padhegaa laa Elaah
Laa Illah padh ke ho gayaa Rasul Ashnaa
Jo Rasule Aashnaa hai woh mohib hai Aapkaa
Yeh nabi ka our Khudaa kaa
(Faislaa hai yaa Imaam) x2
(Kijiyee Zahur yaa Imaam) x2
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa lmaam...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Ek do nahi kahi jawaan shahid ho gaye
Karbalaa e Asr me Sitam mazid ho gaye
Zulm ke tamaam silsile shadid ho gaye
Pairawe Yazid aaj khud yazid ho gaye
Aapka Husainiyon ko
(Aasraa hai yaa Imaam) x2
(Kijiyee Zahur yaa Imaam) x2
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Aalye ab Baarwen Imaam....
Maaon ne pisar behen ne bhai nazar kar diye
Bacche bhi yatim huwe Shuhaag bhi ujad gaye
Baap ne game Husain me lahu jigar kiye
Jaari aaj bhi hai majlis-e-aza ke silsile
Aaiye ke panjetan kaa (Wastaa hai yaa Imaam) x2
(Kijiyee Zahur yaa Imaam) x2
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Aaiye ab Baarwen Imaam....
Laash Jab Husain ne uthayi thi Jawaan ki
Kabr jab banayi thi sagire be zubaan ki
Aankh nam huwi thi Jab zamin-o-Aasmaan ki
Yaad hai wohi gari Husaini Imtehan ki
Apna gam isi sabab (Bhulaa diya hai yaa Imaam) x2
(Kijiyee Zahur yaa Imaam) x2
Labbaik Labbaik Labbaik Yaa Imaam...
Aaiye ab Baarwen imaam....
Assalaamo alaika ya sahibul asre waz zamaan
Al amaam al amaan al amaan min fitnatil Zamaan
Assalaamo alaika ya khalifatar Rahman
Assalaamo Alaika ya Imaamal Inse wal jaan
Assalaamo Alaika ya Sharikal Qur'an
Ajjalallaho Ta'aala Farajak
Wa sharallaho Makhrajak
Wa Zahurak
wa rahmatullahe wa barakaatuh
Parcham Abbas ka
(Parchame abbas) x2
- Ha yehi parcham hussaini, foj ka bankar nishan. Jis gari pocha tha foj-e-ashkiya ke darmiya(n). Har taraf se aa rahi thi, bas sadaa-e-alamaa(n). Nara-e-abbas tha or thi farishto ki zuban
(Parcham Abbas ka) x4
- Is alam ke sath he jo, saath mash kiza bandha. Bazu abbas parje, se ho tawize bapa. Na alam isse juda hai. Na alam se ye juda. Is alam pe saya afgan, he dua-e-sayyeda
(Parcham Abbas ka) x4
- Ha yahi parcham ali ke, haath me har jange me. Karbala poncha dua-e-sayyeda ke ran me. Ha isi parcham pukara, tha ali ne sang me. Dorta hai khun isko, dekhe kar rang rang me.
(Parcham Abbas ka) x4
- Ha isi parcham se aya, karbala me inkilaab. Leke isko jab gaya darya pe ibne buturab. Jumuli maujoone bhar kar, aspe gazi ki rakaa. Iske panje ki chamak se, roshni le aftaab
(Parcham Abbas ka) x4
- Jab talak uncha raha par, ban me gazi ka alam. Aa sakena khaymay-e-sarwar me ada ke kadam. Ye alam tandha huwa rone lage shahe umam. Roke kehte the yahi tha, mere lashkar ka bharam
(Parcham Abbas ka) x4
- Ye alam tha raasta zainab, or sakina ke liye. Dhup me icha uthaye, shah-e-wala ke liye. Is ka girna mawt-e-se bar, kar tha akaa ke liye. Mawt ke payghame ye parcham tha adaa ke liye
(Parcham Abbas ka) x4
- Aaj har ghar par alam hai, mere ghazi ka sajaa. Hazrat-e-zainab ki puri, hogayi akhir dua. Marhaba abbas-e-gazi, marhaba sad marhaba. Asamaa(n) to juk gaya tera alam uncha raha
(Parcham Abbas ka) x4
- Is alam ki shaan to us, roz dekhenga jahaa(n). Ayenga jis roze is parcham ka waris bayebaa(n). Kufr ki basti pe tute, ye hazaro bijliyaa(n). Momino ke sar pe honga, is alam ke sahiba
(Parcham Abbas ka) x4
Pyaase pe ajab
(Yaa Husain Yaa Husain) x3
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
Ek laash abhi laayaa hai ek lene chala hai
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Yeh Hur ka hai Woh Bhai kaa yeh bete kaa Iaashaa) x2
(Zehra ka pisar ganje ganje shahida me para hai) x2
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Zainab teri chaadar ka Khuda hafiz o naasir) x2
(lashkar na alam our na alamdar bachaa hai) x2
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Yeh aakhri hadyaa tha Husain ibne Ali kaa) x2
(Yeh Bachchaa abhi Tir se jo maaraa gaya hai) x2
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Munh dhaank to ammaa nazar aye na neaje) x2
(Neajon se yehi Oono Mohammed ki sadaa hai) x2
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Chhup chhup ke use royi thi ek raat ki Biyahi) x2
(Woh Dulha jo be goro kafan ran me para hai) x2
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Iaila tere Akbar ne nahi khaya hai neza) x2
(Yeh Neaja Dile Sibte Payambar me laga hai) x2
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Maa julaa julaati hai khayalon me abhi tak) x2
(Ab julne waalaa nahi baaki ye pata hai.) x2
(Pyaase pe ajab waqt Qayaamat ka para hai) x2
(Jis khaak par khun beh gaya Zehra ke jigar ka) x2
(Woh fakat khaak nahi khaake shifa hai) x2

No comments:
Post a Comment