Sunday, 16 February 2025

Nadeem Sarwar (1993)

Ya abbas..(3)
Aa dekh mere ghazi uncha hai alam tera..(4)

Dil seene mein jab tak hai boolega na ghum tera..(2)

Aa dekh mere ghazi uncha hai alam tera..(2)

1. Zainab ki dua ban kar ek waqt wo aayega..(2)
har ghar pe saja hoga, abbas alam tera
dil seene mein...

2. Aa jati hai zahra bhi, zainab bhi ziyarat ko..(2)
jab aath moharram ko, uth-ta hai alam tera
dil seene mein...

3. Taboot jab uth-ta hai shabbir ka aye ghazi..(2)
taboot ke aage bhi, chalta hai alam tera
dil seene mein...

4. Wo kaun se sadmey the, sheh toot gaye jis se..(2)
ek dard tha zainab ka, aur doosra ghum tera
dil seene mein...

5. Parcham ka pharera tha, ya aas thi zainab ki..(2)
zainab ke kaleje se, ghum kaise ho kam tera
dil seene mein...

6. Bazaar mein zinda'n mein, darbaar mein har lamha..(2)
zainab ki to sanso'n pe, tha naam raqam tera
dil seene mein...

7. Jab beh gaya sab paani tab saans teri tooti..(2)
tha seene ke andar ya, mashkize mein dum tera
dil seene mein...

8. Awaaz teri sarwar shabbir se wabasta..(2)
abbas se wabasta, rehan qalam tera
dil seene mein...

Yaad-e Abbas. Sara shaam-e ghariba aaya. Dukhtare Hazrat-e Shabbir Hirasa aya.

1. Bekasi aisi ayaa'n thi ban me (x2)
Lashe pamal huwe jab ran me
Aag zehra ki laghi gulshan me
Yaade Abbas thii or ehle harram

Ay khuda dast-e karam (x3)
Shaam-e gariba (x3)

2. Qasimo Akbaro Abbas kuja raftanda
Haaye dar dashte balaa yaade shahida aayad

Qasimo Akbaro Abbas nahi
Kuch bhi sine me bajusi aas nahi
Ab to jine ke bhi kuch aas nahi
Saaya afdan nahi gazi ka alam

Ay khuda dast-e karam (x3)
Shaam-e gariba (x3)

3. Ya kase neest ke aayad paye imdad-e harram
EE safina tarefe yurishe tufa aayad
Koi imdad ko aaye kyu kar
Kat gaya Akbaro Abbas ke sar
Gham ka tufan he or yaad-e padar
Char janib se bahe ranjo alam.

Ay khuda dast-e karam (x3)
Shaam-e gariba (x3)

4. Sailiye shimr-e ba rukhsare Sakina sad hai. Chuba zulmo sitam a dushman-e imaa ayad
Haye wo phool se ruksar tere
Shimr ne jispe tamache mare
Nil ruksar ke dekhe na gaya
Roya neze pe sare shahe umam.

Ay khuda dast-e karam (x3)
Shaam-e gariba (x3)

5. Qaidkhwa alam-e gurbat ke Sakina girya
Yaad-e alsaf-e padar baghamo hilma aayad
Dasht-e gurbat me Sakina ki fughaa
Baba dhasta he andhera zindaa
Jald aao ke nikal jaye na jaan
Aap ki yaad me mar jayenge hum.

Ay khuda dast-e karam (x3)
Shaam-e gariba (x3)

6. Mika shad na laze hasrat sare darbar-e yazid
Bi muhaban-e khayale dare zinda ayaad
Sare darbar fugaa Zainab ki
Qaid kufe huwi binte Ali
Lahade shahe najaf hilne lagi
Ashk Zainab ke jo barse pe hum.

Ay khuda dast-e karam (x3)
Shaam-e gariba (x3)

7. Tohfa e ashke aza peshkunam man ba khuloos
aah ee nauha e nam bar labe reha'n aayad
hai bhi kya sarwar o rehan ke paas
inki daulat hai yehi ghum ki asaas
aapki nazr janabe abbas
ek aawaz hai aur ek qalam

Ay khuda dast-e karam (x3)
Shaam-e gariba (x3)

Aey sheh k azadaron…

tareeq ke kirdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro kis baat may tum kam ho

darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho
tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho
tum mazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho
tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho
ay gham ke lamdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro

rasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho
mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho
insaan ki azmat ke har baab may shaamil ho
zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho
matam ke talabgaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

nisbat hai payambar se nisbat tumhay hyder se
is nisbat-e-maula se tum door rahe shar se
tum aankh milate ho har waqt sitamgar se
jo dars mila tumko salman avuzar se
tum roop wohi dharo kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

abbas ke parcham se seekhi hai wafadari
aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari
kismat se mili tumko mazloom ki ghamkhari
zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari
mazloom ke gham khaaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

zainab ki rida tumse karti hai sawaal aisa
kis gham may bahaate ho aankon se lahoo apna
kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha
jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda
laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

kya dars liya tumne akbar ki jawani se
kya seekha batao to karbal ki kahani se
mat behlo qateebo ke alfaaz-o-mawani se
mehfooz haqeeqat ko rakhna hai kahani se
ay ilm ke mayyaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi
tum hur ki tarha maango ek raat may azaadi
darbar may zaalim ke kyon bante ho faryadi
sajjad ne jis tarha deeware sitam ghaadi
deeware sitam ghaado kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

tum nahj-e-lbalagha ki tafseer may dhal jao
hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao
mazloom ko mat chedo zaalim se na ghabrao
haq baat jo kehna hai suli pe bhi dohrao
allah ke naqqaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

shabbir ke matam may imaan ki hararat hai
ye ayne ibadat hai ye ayne shariyyat hai
shabbir ke paykar may islam ki nusrat hai
khanjar ke talay dekho khayim jo ibadat hai
maula ke tarafdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

socho to zaro manzar tum shaam-e-ghareeban ka
ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka
pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka
kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka
samjho to samajhdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

pyasa tha labay darya wo lakhte dil-e-zehra
aankhon se barasta tha ghurbat may lahoo jiska
wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha
haaton pe tadapta tha pani ka na khatra
us waqt ke jaabaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti
shabbir ki nusrat ki dil may jo tamanna thi
kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki
awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi
jalte hue angaaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

tum raahay sadaqat se imaan ki hararat se
kirdaare imamat se afkaare risaalat se
tum shaukhe shahadat se maula ki inayat se
islam ki qidmat se mayyaare mohabbat se
tareekh nayi likhdo kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

imaan hai azadaari hai deen ki bedaari
jarraari-o-karraari hai azme wafadari
himmat na agar haari zinda rahi khuddari
miljayegi sardari hyder ki tarafdari
karke to zara dekho kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

rehaan pe sarwar pe maula ki inayat hai
nowhe ki azaano may matam ki ekhamat hai
sach poocho ko dono ki har saans ibadat hai
ae ehle aza tumko matam ki jo daawat hai
moo mod ke mat jaao kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….

Na rakh ab chadar bazuo pe
tu neele daagh chupa nai
zahra ki jaa'n sharma nai

Tere nana ka ye roza hai
koi kufa shaam ki raah nai
zahra ki jaa'n sharma nai

na rakh...

1. Jo chadar ujli thi teri rang uska kaise laal hua..(2)
ab sar pe tere aye shehzadi..(2)
wo kyu maujood rida nai
zahra ki jaa'n sharma nai

2. Atthara jo tere bhai the kis baat pe tujhse rooth gaye..(2)
do shehzade kyu saath nahi..(2)
kyu saath abbas tera nai
zahra ki jaa'n sharma nai

3. Ye kaun jawaan hai saath tere hai kapde jiske khoo'n se bhare..(2)
in zakhmo se ye choor hua..(2)
aankho'n se bhi khoo rukta nai
zahra ki jaa'n sharma nai

4. Kis haal mein karbal se aayi aye zainab apne shehr mein tu..(2)
ab iske siwa afsos hai kya..(2)
pehchaan saki sughra nai
zahra ki jaa'n sharma nai

5. Wo bacchi jisko seene pe shabbir sulaya karte the..(2)
meri aakhein dhundh ke haar gayi..(2)
kahi'n milta uska pata nai
zahra ki jaa'n sharma nai

6. Ek ghuncha dahan masoom bhi tha naam uska asghar rakha tha..(2)
kyu khaali god rabab ki hai..(2)
asbaab mein kyu jhoola nai
zahra ki jaa'n sharma nai

7. Rehan karo har dum matam, tum nauha padho har dum sarwar..(2)
ye ek ibadat hai aisi..(2)
jo hoti kabhi bhi qaza nai
zahra ki jaa'n sharma nai

Tere nana ka ye roza hai
koi kufa shaam ki raah nai
zahra ki jaa'n sharma nai

Ye shame gariban hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

Pyase na rahe baki phir kisliye paani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Asger tere lashe ko maa ban ke zamin rakhe) x2 (Ujri huwi godi ki) x2,

Masum nishani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Khun kaise ruke logo akber ka jawani mai) x2 (Ai khun naya lekin) x2

barchi ko purani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Malum na tha sheh ko khud apne hi hathose) x2 (Shabbar ki nishani bhi) x2

Mati me milani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Shabbir ko khanjar se zyaad aa ye aziyat hai) x2 (Taklif jo zindan me) x2

Bachi ko uthani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Zainab ne kaha thero me dasht me aati hu) x2 (Bhaya tume akber ki) x2

Ab laash uthani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Har gham ko bhula denge har yaad mitadenge) x2 (Zehra tere bacho ki) x2

Bas yaad manani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

Ye shame gariban hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

Pyase na rahe baki phir kisliye paani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Asger tere lashe ko maa ban ke zamin rakhe) x2 (Ujri huwi godi ki) x2,

Masum nishani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Khun kaise ruke logo akber ka jawani mai) x2 (Ai khun naya lekin) x2

barchi ko purani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Malum na tha sheh ko khud apne hi hathose) x2 (Shabbar ki nishani bhi) x2

Mati me milani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Shabbir ko khanjar se zyaad aa ye aziyat hai) x2 (Taklif jo zindan me) x2

Bachi ko uthani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Zainab ne kaha thero me dasht me aati hu) x2 (Bhaya tume akber ki) x2

Ab laash uthani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

(Har gham ko bhula denge har yaad mitadenge) x2 (Zehra tere bacho ki) x2

Bas yaad manani hai

(Ye shame gariban hai, dariya ki rawani hai) x2

 

No comments:

Post a Comment